॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

ekantik vartalaap evam darshan #1421

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

shweta Agarwal ji jalandhar se Radhe Radhe Radhehe maharaj ji maharaj ji man sammaan vilasita yash izzat ye sab chahiye maharaj ji parivaar mein to bhajan karo bhajan se prapt ho bhajan karo. Dekho yadi aap vastvik sukh chahti ho to bhagwan se judna padega. Hamara praarabdh itna balvan nahi ki barabar hamko sukh de sake. Jaise din hai to raat avashya aayegi to sukh hai to dukh avashya aayega. Agar dukh ko jad se mitana hai to bhagwan ki bhakti karni padegi. Ek chhota sa balak dhruv chha mahine mein bhagwan ko rijha leta hai aur chakravarti samrat pad aur bhagwan ka param pad ye sab kuch prapt kar leta hai to bina bhagwan se jude man ki kamnayen purn to hongi nahi aise hi to nahi ho jaenge na agar hamen ₹500 chahiye to chahe lebri karna pare karna padega ki nahi karna padega pura jeevan jo bhagwan ke marg mein lagaya gaya jo tapasya ki gayi to usko uska dabal parinaam hota ek to hota hai laukik sukh aur ek hota hai parloulik sukh.

yahan bhi sukh milega aur wahan bhi i parlok sakal sukh pavat meri so bhaiya Krishna gun san yadi bhagwan ka bhajan nahi karoge to dekho Sudama ji maang ke khate the kai kai din bhojan nahi milta tha aur jab bhagwan ki nazar ho gayi to Sudama puri bas gayi jaise Dwarikpuri aise Sudama puri bas gayi to yadi sammaan man to vilasita agar hai to bhagwan se hai kyonki unhin ka sara vaibhav hai agar unse se nahi hai to wo vilasita narak le jane wali hai. Sir aap mansik vichar karo narak jao hai ki nahi dhan badha to aur kya hoga yahi hoga vilasita mein agar bhagwan se jude nahi purv punya tapasya ke bal se dhan vaibhav aa gaya to is samay yahi bhog suhaega to isliye hamen lagta hai sahi vilasita prapt karne ke liye bhagwan ka bhajan aniwarya bhagwan ka bhajan karte ho kahoge haan agar sahi wale mein bhagwan ka bhajan hone lage to inse ghrna ho jaegi jo aap chij kahte ho vilasita se ghrna ho jaegi to vilasita ka agar sahi bhav prapt karna hai to lakshmeepti

bhagwan hai anant vaibhav anant bramhandon ka vaibhav to bhagwan ki aradhna karo aur wo den tab anand aayega kyon accha vilasita kitne din tikegi jab sharir tikau nahi jab sharir vina nashi hai to vilasita kitne din chalegi isliye avinashi bhagwan ka bhajan kar lo aur dukh sukh jaisa hai usko sah lo to parlok ban jaega parlok yahan ka sab tikau nahi hai vilasita yahan ka sukh tikau nahi kafi sukh to bhog hi liye ab aapse poohe aapke paas kya hai aap socho aapke paas kya hai anubhav kya hai kuch anubhav nahi bas usi ki chah hai jiska koi anubhav nahi hai usi usi ki chah hai jo koi tikau nahi.

arabon bank mein aapke jama ho aur aap mar jaoge to ek rupya jaega kya aapke paas? Yar bekaren kama ke rakhe ho. Arabon tumhare kam mein to nahi aae. Itna vihaar, itna pad pratishtha. Yadi parlok ke liye tumne bhajan nahi kiya to yahan se jab jaoge to na tumhari padhai jaegi na tumhari pratishtha jaegi na tumhari gaadi jaegi na tumhare mitra jaenge na tumhara bank balance jaega ab agla janm pata nahi iski kaun sa janm ho isliye hamko chahiye ki manushya jeevan mein aise aacharan karen ki paap na ho aur aise aacharan karen ki hamen bhagwan ki prasannata mil jae.

hamara agla janm theek ban jae to khub naam jap karo, satsang suno, shastron ka swadhyay karo aur pavitra aacharan karo. Mans, madira, vybhchar, gandi baten inse bacho to sab mangal ho jaega. Tabhi sab mangal ho jaega. Doctor shilpa ji maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam. Maharaj ji kya hamare jeevan mein jo bhi sab hota hai wah purv karmon ke phal se praarabdh dwara nirdhrit hota hai? Sukhdukh unnati aur unnati jai parajay yah praarabdh ke anusaar hai. Lekin kriyman ke dwara ham praarabdh ko raund sakte hain.

kriman mane hota hai naya karm aur naya karm bhagwat bhakti bhagwat anusthan shastron ka swadhyay, paropkar, tirthon ka ugahan in pavitra karyo ke dwara ham aati hui asflata ko badal sakte hain safalta mein. Nahi to jitna bhi dukh sukh hai wah praarabdh ke adhin purv janm ka kiya hua karm hi jo shubh aur ashubh karm hai wah hamare nirman ka hetu hua is sharir ke to jab tak yah sharir nasht nahi ho jaega tab tak donon apna prabhav dikhate rahenge samay-samay par sukh aur dukh paap ka phal dukh aur punya ka phal sukh agar ham naya karm anusthan karen manushya janm naya karm karne ka adhikar rakhta hai aur koi yoni mein naye karm karne ka adhikar nahi hai.

to agar ham naya karm karen jaise devi ji ka anusthan karen durga Saraswati bhagwan shankar ji ka anusthan karen bhagwan hari ka anusthan karen gopal sahasra naam Vishnu sahasra naam aur yajurwed ke dwara mantro ka anusthan to iske dwara ham anushthanon ke dwara apne praarabdh ko badal sakte hain. Ab aajkal koi bhakti ya anusthan mein lag nahi raha. Keval adhnikta hi adhnikta to purv karm ke anusaar safalta ya asflata prapt hoti hai. To safalta prapt hui to harshit hua. Asflata prapt hui to shokit hua lekin uski safalta zyada din tikti nahi hai.

kyonki naya kuch hai nahi. To purana jitna hisaab hai utna wah bhog lega aur naye mein jo karm kar raha hai usmen pavitra kam hoti hai. Apvitrata zyada hoti hai. Manmani aacharan apvitra aacharan hote hain. To uske dwara koi labh milna nahi. Ab uska agla janm bhi bigad gaya. To isliye hamen lagta hai manushya janm mein sukh aur dukh ko sahakar bhagwat bhakti ka anusthan karte hue ham purv ko bhi gira sakte hain aur age ka bhi sambhal sakte hain. To age ka sambhalna aur purv ka bigadna jo purv ke gande aacharan kiye hue phal hamare samne aa rahe hain unse ladne ki samarth ye adhyatma ke dwara hi prapt hogi.

to adhyatma ko sweekar karna chahiye. Naam jap karna chahiye. Satsang sunna chahiye, shastron ka swadhyay karna chahiye aur galat acharno se bachna chahiye. Kesha ji bhavsar se Radhe-Radhe guru ji guru ji main surat se ai hoon. Main peshe se manochikitsak hoon jo log depression darna man udas akelapan ke saath man buddhi logon ka upchar karti hoon. Apne seshan mein kai bar aapke satsang mein suni baton ko bhi batati hoon. Jaise jaldi uthna, saaf safai dhyan rakhna aisi baton ko maharaj ji kyonki adhiktar log atma ke liye vichar karte hain din bhar aisi nakaratmakta bhari jab adhik paap ho jaata hai adhik papacharan ho jaata hai to sharir nasht karne ke liye swayam hi prerit kar deta hai man ye jo atya hai yah adhik paap ka karan hai.

adhik chinta adhik shok yah sab paap ke lakshan hai. Adhik chinta, adhik shok hua aur nakaratmak bhav badh gaye to usko lagta hai ki sharir shant kar den to ham shanti ko prapt lekin aisa nahi hai. Balki dusron ko to bacha deti hoon bat itna khud nirash ho jati hoon ki aise lagta hai ki itna madad karne pe bhi lagta hai ki isko chhod du kya peshe ko? Nahi paisa na chhodie. Ab bhagwan ka naam jap kijiye. Naam jap se aapke hriday mein itni samarth aa jaegi ki aap dusron ko sukh dene wali baten karte hue dusron ke dukh se aap lipt nahi honge.

jaise dubne wale ko bachana hai to hamen vastrad ka agar ham swayam achhche taik nahi aur gaye to dubne wala pehle hamko duboega kyonki wo sans lena chatur yahi hai ki use koi danda koi vastr pakda de aur phir uske sahare usko khinch le to aise hi jo shok mein doob rahe hain jo depression mein doob rahe hain jo nakaratmak bhav mein doob rahe hain hamen chahiye ham baat pakda de unko ham unke dukh mein lipt na ho nirapeksh hokar nahi wo unki baten sunsunkar aap depression mein pahunch jaenge agar aap samarth nahi hai to 10 50 log aap roz mil rahe hain wo sun sunkar ke dimaag kyonki wo sab sansarik baten hain wo aapke dimaag ko kamzor kar denge.

yadi aap naam jap kijiye to naam jap mein ek apurv anand hota hai hriday mein aur usse ek samarth milti hai. Aap apna vihaar bahut accha kijiye. Apni mridu baton ke dwara uttam baton ke dwara pravinta purvak dusron ke manobal ko pusht kijiye. Kuch ausdhiya bhi dijiye aur kuch vani ke dwara bhi unko paripakva kijiye aur aap naam jap ke dwara pusht hoiega. Lipt nahi hoiega. Agar lipt honge to phir aap jaise abhi aap kahe to aap lipt ho jaate hain. Lipt mat hoiega. Tatastha rahiyega. Wo uske karm hai bigde hue.

aaj hamare paas aaya hai. Ham sudharne ki cheshta karte hain. Wo prayas karen aur bhagwan kripa karen to theek ho jaega. Nahi theek hota to bhoge apne karmon ka phal hai. Aap tatastha rahiyega aur naam jap kijeyega. Aur yah band to kijeyega nahi kyonki bhagwan ne agar yah pravinta di hai ki apni vani ke dwara ham dusre ke dukh ka nivaran kar sake to jarur karna chahiye. Ye paropkar ki bhavna se bhi hota hai. Arth hi sab kuch thodi hota hai. Haan dusra thodi tumhari baten sunkar sahas kiya jine ka sahas kiya to bahut uttam baat hai.

wo jahan negative mein ja raha tha use positive mein laie to bahut uttam baat hai. Ise chhorne ki to baat kijeyega mat. Ise aur badhaiega aur aap balvan baniega. Satsang sunie, naam jap kijiye to aap atmabalwan ho jaenge. Adhyatma bal se balvan vyakti sabke dukh ko dur karke swayam sukhi ho sakta hai. Ji inka ek shanka aur thi ki nai-nai shadi hui hai to kah rahe the ki bachchhe pe iska prabhav to nahi padega jo vartalaap ho rahi hai ya kuch samay ke liye chhod du. Aisa nahi nahi paropkar ki bhavna hai na to ham kah rahe hain bachchha bhi inheen ke agar marg ka anusaran karne wala ho aur paropkari ho to wo kitne saikadon hazaron logon ke dukh ko dur karne wala hoga isse nahi aap jo naam jap karenge aap jo ahar karenge aap jo chintan karenge ekant mein wo garb par prabhav parta hai aise bahari vihaar par nokri pesha ka garb par thodi prabhav parta hai garb ka swayam ka jo gahra chintan hai wah prabhav dalta hai.

mata ke udar mein jo balak hota hai mata ka jo gahra chintan hota hai uska prabhav usse sanskar bante hain. Isliye aap naam jap kijiye bhagwat katha sunie satsang sunie aur swayam bhagwat paraayan rahie to phir dusron ke dukh ka nivaran karte hue aap aur aapka parivaar sukhi rahega. Ashish ji Delhi se Radhehe Radhe-dhe Gurudev maharaj ji man jad hai ya chetan agar jad hai to hamara ubhay control mein kyon nahi hai ubhay ubhay hai ubhay mane donon taraf hai wo chaitanya mein laga to indriyana manasma swayam bhagwan hai aur jad mein laga to jad mein laga hua gandi gandi chijon ko bhogta rahta hai yah ubhay swaroop hai ubhay rup hai man na ise aap pura jad kah sakte aap ise pura chaitanya kah sakte hain.

yah chaitanya bhi hai aur yah jad bhi hai. Prakriti se yukt hone ke karan jad hai aur paramatma swaroop hone ke karan chaitanya hai. Isi se paramatma ka gyan hota hai. Isi se paramatma ka dhyan hota hai. Isi se jagat ke gande karya hote hain. To jad mein lagne ke karan wo jad ho jaata hai aur chaitanya mein lagne ke karan chaitanya ho. Wo ubhay rup hai. Use aap na jad kah sakte hain na chaitanya kah sakte hain. Wo jad chaitanya mein hai. Keval chaitanya nahi kah sakte aur keval jad nahi kah sakte. Aur vash mein karne ke liye sadhna hai.

aise thodi vash mein kar loge. Uske liye sadhna aur sadhna ke dwara vash mein hota hai. Agar vash mein na hota to koi bhagwat prapti kar hi nahi sakta tha. Vash mein to kiya ja sakta hai lekin kathin hai. Kathin hai. Asamabhav nahi hai. Kathin hai. Abhyaas karte raho. Khub naam jap karo. Shastron ka swadhyay karo. Pavitra ahar karo. Brahmcharya se raho. Man ko adhin kar loge. Pran man aur brahmcharya tino ka ek yog hai. Jo pran ye pran vayu chal rahi hai. Ye jab sthul ho jaegi to man chanchal ho jaega. Man chanchal ekagrata rahit sthul pran agar pran sukshm alphar karne wala alphar karne wala aur nirantar bhagwat chintan karne wala brahmachari vrat mein rahne wala to man ko sahaj mein adhin kiya ja sakta hai.

man sahaj mein adhin ho jaega. Ab gandi baten mobile se dekho. Ganda bhojan pao, gande aacharan karo. Man ko vash mein karna chaho. Nahi hone wala hai. Pavitra aacharan ho, pavitra bhojan ho, pavitra vichar tab aaenge jab hamara sab pavitra aur pavitra vichar koi nishedh nahi hai. Galat vicharon se man ko hatana hai. Galat acharno se man ko hatana hai. To naam jap karo. Pavitra ahar karo. Pavitra vichar wale bano. Pavitra shastron ka swadhyay karo. Koi nasha na karo. Mans machhli mat khao. Gande drishya mat dekho. Ganda aacharan mat karo.

naam jap karo. Tab akar ke man vash mein. Naam jap ke bina pura jeevan adhura hai. Koi bhi kahin bhi ho agar naam jap nahi hai to sab bakwas hai. Pura jeevan bakwas hai. Naam jap hona atyant aniwarya hai. Karte ho naam jap to counter to liye nahi mala. Shuruaat le lo. Waise karta hoon. Hamen lagta hai shuruaat mein rakhna chahiye yar. Shuruaat mein counter le lo. To usse sankhya mein pata chalega ki aap kitna japte ho to aapka man aur usmen lagne lagega. Theek hai? Thodi der kabhi asan mein bhi baitha karo. Baithe ho samay milta hai asan mein baithe.

samay to hai lekin baithe dard ho jaata hai. Dard ho jaata hai. Abhyaas karo. Abhyaas karo. Abhyaas se ho jaata hai. Abhyaas yog yukt abhyaas karo. Thodi der baitha karo. Theek hai? Vah guru ji ka khalsa. Viraj ye shri guru arjun seth ji ki vani hai Baba parbahma parmeshvar antarjami Madhusudhan Damodar Swami likhi kesh Govardhan dhari Murli manohar haringa mohan Madhav Krishna murari Jagdishwar hari jeev asur sanghare jagjeevan avinashi thakur ghat ghat vasi hai Sanga dharneedhar i narsin narayan dada ag prithvi dharay matlab 12 bhagwan baman rup ki o tujh karte sab hi seti hai changa shri Ramchandra jis rup na dekhiya vanmali chakrapani daras anupiya sas netr murat hai sahsa ek data sab hai manga bahut sundar bhagat

vachhal anath nathe gopeenath sakal hai sathe Vasudev niranjan date baran sako gun anga Mukund manohar lakshmi narayni drupdi laj nivaran udharan kamla kant karah kotuhal anand vinodi nisanga amog darshan ajni sambhav akaal murat jis kade nahi kho avinashi avigat agochar sab kuch tujh hi hai langa shri rang Baikunth ke vasi machhu kachu kam agiya avtar rasi Keshav chalat kare nirale ki ta lo so hoeega nirahari nirair samaya har khel chaturbhuj kaha saval sundar rup badavah benu sunat sab mohega vanmala vibhukhan kamal nain sundar kundal mukut bain shankh chakra gada hai dhari maha sarasti satsanga pit Pitambar tanwan dhani Jagannath gopal mukh bhani saringdhar bhagwan bithula main ganat na ave sir banga bahut sambhal ke sambhal ke maharaj shri aapki sehat ke liye hajur sahab ne prarthna ki thi ki aapke yahan ham vani ke bare mein kah rahe the maharaj shri ye na guru arjun sahab maharaj ki se Baba buddha sahab Baba gurdas sahab ji Sikh hue unke Baba gurdas ji jinko guru ghar ka vedavyas kaha jaata hai ji to unhone sawal kiya

tha maharaj Vishnu puran mein Vishnu stotr brahm puran mein brahma stotr shiv puran mein shiv stotr aur Vishnu ji ke sansar naam mala ucharan ki thi to aap hamen kripa kijiye parmeshvar ke koi sansar naam mala ucharie jismen prabhu ke sheshnag jo sansar naam leta hai aisi koi hamen bhi dijiye ki jisko padh ke ham bhi apna jeevan udhar karen tab guru arjun sahab ji ne ye sansar name vani maru rag mein uchari thi jisko Sikh padhe aur parmeshvar ne sargun nirgun sare naam jo hai usko sab aa jae ek hi parmeshvar ke kirtan kirtan naam kriya se jo naam kiye bhagwan ke sab avatar bhi sab avatar usmen aa jae aur ham par kripa ho jae purane jo Sikh hote the apna wo brahm muhurt ka niyam shuru karte the na to is vani ko sabse pehle padhte the jismen prabhu ke sare naam sare naam aa jaate hain sare avatar aa jaate sare avatar aa jaate haan bahut sundar bahut sahi sanjeev Sharma ji Delhi se Radhehe Radhe-dhe maharaj ji mar sharir Delhi tihad jail mein karyrat hai wahan par ek negative urja si

rahti hai jiske chalte sharir sharir ka chintan negative ho jaata hai. Aap kahte hain sabhi mein bhagwan dekho maharaj ji wahan sare gunah karke aae hote hain. Aise jane hote hain. Unmein matlab thoda sa mushkil hota hai aapne karya kabhi film dekhiye to usmen role karne wale bhi hote hain. Negative aur positive aapko koi pareshani hoti hai. Aap paisa dekar ke film dekhne jaate hain to usmen nakaratmak aur sakratmak do role hote hain. Tabhi maja aata hai. Nahi. Agar keval sakratmak ho to maja nahi aayega. Agar keval nakaratmak ho, negative ho to maja nahi aayega.

hiro bhi hona chahiye aur khalnayak bhi hona chahiye. Nahi lekin khalnayak jo banta hai wo khalnayak hota nahi hai. Wo keval abhinay karta hai. Aise hi achchai aur burai ye mayakrit hai. Lekin donon ko karne wala power wo bhagwan hai. Unmein power ko dekho. Unki achchai burai ko mat dekho. Achchai burai ko dekhoge to bhagwan nahi dekh paoge aur bhagwan ko dekhoge to achchai burai nahi dikhayee degi. Prabhu kabhi unko na control karne mein apne man se galat ya mukh se galat ho nahi aap samjho ab aapki seva jaise yah vichar karna hai ki jaise mano aapki seva hai aur aapko control karne ke liye 10 20 dande lagane par rahe hain to aapko yahi kahna hai ki bhagwan aap role kar rahe ho aisa to hamko bhi to swang mila hai role hai apna dekho ham tum to kitne bade bhakt hain pata nahi lekin Bhishma ji mahan bhakt hain na aur bhagwan ke vipaksh mein arjun shri Krishna pandavo ka paksh aur Bhishma ji Duryodhan ke paksh mein hai to baan tan tan ke mar rahe hain bhagwan mein jab role mila hai yodha ka aur vipaksh mein aap ho to tan tan ke bhagwan ke bhi baan mar rahe hain aur mahan bhakt hain yahan to bhagwan ki bhavna karni wahan to sakshat bhagwan hai nahi hai bhagwan to hamko yahi de ki hamko jo role diya hai prabhu us role mein chuk nahi hogi yahi aapki puja hogi pitne ka paap to nahi lagta.

nahi nahi apne kartavya ka palan ham kar rahe hain na. Ham wahan adharm nahi kar rahe. Apne aap udandta kar chor rup mein aaenge to agarbatti rup se puja nahi hogi. Danda rup se puja hogi. Hai samjh rahe ho na? Ye ye gyan aapko rakhna hoga. Prabhu aapke shri mukh se Radha naam sun. Ab Radha naam karte karte wo kam karta hoon. Bahut badhiya. Radha Radha kyonki jo swang mila hai ab dekho agar sab mein bhagwan man karke agar apne kartavya ka palan na karen tab to rashtr apni sthiti se gir jaega. Jo adharm aacharan karne wale hain unko phir shasan mein kaise liya ja sakta hai?

to un hamara matlab power se hai. Aacharan se nahi hai. Sab mein power wahi hai. Power dekhte hue aacharan ke anusaar kartavya ka karm karna. Ab jaise do aadmi hain ek unnatisheel hai to sammaan yogya hai. Ek avantisheel avnati ke karan ban rahe hain to apman yogya hai. Man aur apman donon ke saath vihaar karte hue bhi hamen ye vichar rahega ki bhagwan donon mein hai. Aur vihaar to ek jaisa ho hi nahi sakta. Vihaar ek jaisa kabhi nahi ho sakta. Jaise patni mein bhi bhagwan, putri mein bhi bhagwan, bahan mein bhi bhagwan, maa mein bhi bhagwan.

char stri svaroopon mein bhagwan ek hi hai to vihaar jamin asman ka antar hai. Vihaar mein antar hai na aur jo vihaar ek jaisa kar de wo murkh mana jaega. Wo papi mana jaega. Vihaar ek jaisa ho hi nahi sakta. Achchhon ke saath accha vihaar aur buron ke saath bure jaisa vihaar adhikar ke anusaar wo karte hue bhi un achhche bure kriyon mein bhi ham yah dekhte hain ki inme bhagwan baithe hue hain. Bhagwan ko dekhna pandita samadna na ki samwartana samwartana samwartan ho hi nahi sakta. Vartan to saman ho hi nahi sakta.

sab mein bhagwan ka darshan. Ab jaise putr hai, padha rahe hain, galat agar padh raha hai, padhne mein ruchi nahi rakh raha, galat aacharan kar raha hai. Lekin ham bhav bhagwan ka hi rakenge. Wo tum putr rup mein aae ho to yah seva hamari hai. Man lo ticher hai. Wo apne vidyarthi ko padha raha hai. Wo anukul nahi padh raha to wo dand dega. Wo use dantega, phatkarega. Par bhav usmen bhagwat bhav hi rakhna hai. Ye ye kala hai. Agar yah kala seekh gaye to mukt ho gaye. Hamen acharno par dekh ke ye nahi vihaar mein lana bas prabhu isi baat se vichlit hota hai ki kabhi prabhu mujhe hi na ulta aparadh lag nahi nahi ham jo ham jo aapko baat kahte hain na to haan usmen bilkul sanshay mat kijiye.

ham shastr sammat baat kahte hain aapko ismen darna nahi. Nahi to phir aapki hani ho jaegi. Phir aap apne kartavya se chit ho jaenge na to aap apne kartavya ka palan kijiye sab mein bhagwat bhav karte hue gurwindar sinh ji vah guru ji ka vah guru ji ka waheguru ji Radhe-Radhe maharaj ji waheguru naam se prem kaise ho kyonki abhi sab kuch pata hai bat dhan aur jo padartho ke liye hi jap kiya jaata hai aisa manushya jeevan haan agar hamare andar yadachchha labh santushto dwandateeto agar ham dwaand se atit hona chahte hain to pehle yadachchha labh santusht jaise wahguru rakh rahe hain ham utne mein santusht rahe hamare chahne se nahi hoga kuch ham chah jo karenge wo apne liye patan ka rasta kholenge waheguru jo vyvastha karenge wo hamare liye bade sukh ki vyvastha hogi to ham chah karen kyon an mange age avego jo pal lage pal ko jaise pal bina prayas ke lagti hai aise wahguru ke ashrit ki sari vyvastha wahguru karte hain.

ham chah kyon karen? Hamare paas jo kuch hai wo sab waheguru ka hai. Jo kuch karenge wo waheguru karenge. Waheguru ke siva mera koi astitva nahi. Abhi naam mein priti hone lage. Ham naam to japte hain lekin vayguru par purn samarpit nahi hai. Purn samarpit na hone ke karan hamare naam mein truti ho jati hai. Naam chhut jaata hai. Naam se badhkar abhi kuch hai dimaag mein tabhi wahguru chhut jaate hain. Jaise ham Ram Ram jap rahe hain ya wahguru jap rahe hain. Accha bhojan aaya naam chhut gaya to bhojan shreshth hua ya vayguru bade hue.

rupaye ki chah hai. Rupya kamane mein itna vyast ho gaye ki rupya mila mana. Rupya mila par rupya mila wahguru ka chintan chhut gaya. Jab ham waheguru ko sabse bada mane sampurn jeevan waheguru ko samarpit kar den. Bhukhe rakhe to waheguru waheguru dekho apni gardan tak samarpit kar di mahapurushon ne waheguru ke liye to ham waheguru jaisi paristhiti mein rakhen waisi paristhiti mein rahe aur jaban se har samay unt bhale band rahe waheguru waheguru waheguru waheguru waheguru ham kyon dhan ka chintan karen agar parivaar wale ko marna hai to aap bacha nahi sakte aur nahi mar marna to vishv mein koi paida nahi hua ki mar sake aur wahguru ko parivaar samarpit vah guru ko jeevan samarpit to ab vah guru jo vyvastha

karen usi mein raji hai nahi to hamara ek hi kam hai vah guru ka chintan karna aur wahguru ka karya hai tumhari sari vyvastha karna yah vishwas karo unki vyvastha se hoga hamare karne dharne se itna nahi hoga jitna unki vyvastha se hoga to jaise bhagwan shri Krishna ji ne gita mein kaha anannya chinto mam ye jana parpasate te nityabhukta naam yogakshemyam keval tum anannya chintan mera karo main tumhare yogkshem ka vahan karunga to wahi shri Krishna wahi waheguru hai kya kah rahe hain tum mera keval chintan karo main tumhare yog mane jo prapt hai aur aprapta vastu ko prapt karana jitna prapt hai usse zyada aapko prapt karana aprapta vastu ko prapt karane ka naam yog hai aur chham prapt vastu ki raksha karne ka naam chhem hai.

wahi raksha karenge wahi prapti karayenge. Hamara kam hai nirantar waheguru waheguru waheguru jaban se ratte rahe. Jab jaban se ratte hain na tab wo andar hriday mein jaata hai. Aur jab hriday mein chalne lagta hai phir yah shikayat nahi rahti ki wahguru ka smaran chhut gaya. Wo to jeevan ban jaate hain. Jaise dil ki dhadkan swayam hoti hai. Aise vayguru ka chintan swayam hota hai. Isliye sab kuch vayguru ka hai. Sab kuch vayguru ke vidhan se hoga aur mera keval ek hi kartavya hai nirantar waheguru ke ashrit hokar wahguru ka chintan karna.

waheguru ka naam jap karna. Ji aap kah rahe hain ki aapke guru bhai hain aur aapke bahut premi hain. Ek bhai nishant sinh ji hain. Wo unka ek ko tha ki jab wo guru granth sahib ji ki hujuri karte hain aur jab jap vani ji ka path karte hain aur shabd aadi ka to kisi ek shabd mein ya kisi ek pankti mein chitt lag jaata hai aur usmen doob jaata hai. To phir path ki jo ek niyamit samay sima hoti hai maharaj ji usmen pura nahi ho pata. Kaise kiya jae? Waise shreshth sthiti hai ye. Ek pankti mein ya ek shabd mein ab doob gaye to path pura ho gaya.

sahi mayne mein path pura ho gaya. Haan niyam mein purti mein ki itna roz hona chahiye wo to baat nahi puri hogi lekin vastvik path pura ho gaya. Kyonki agar ek shabd mein ek pankti ke chintan mein ham doob gaye. Yahi vani ji ke path karne ka phal hai. Guru vani ji ke path karne ka phal hai ki guru vani ke shabd mein doob jae aur doob karke jaisa guru vani kah rahi vaisa ham chalne lage. Yahi baat hai ki age hamko padhne ki samarth na rah jae aur ham usi baat mein doob jae. Usi shabd mein doob jae. Yahi Guruvani ke path ka phal hai.

wo chinta na karen. Ye koi aisi baat nahi hai ki hamko apne dubne se hatkar ke aur path karna chahiye. Agar chitt doob raha hai to dubne dijiye. Guru vani ka phal yahi hai. Jai jai Radha vallabh shri hariv jai jai shri Vrindavan [gana gane ki aawaz] Shri cha jai jai Radha vallabh shri hariv jai jai shri Vrindavan shri vanach jai jai Radha vallabh [gana gane ki aawaz] shri hariv jai jai shri Vrindavan shri van chandra pehle to ye bahut accha lagta hai ki sab aap satvic veshbhusha ekdam bharatiya satvic vesh haan Gurudev sab aapki kripa hai.

ab ham na kya karte hain ikatthe ho ke na sankirtana karte hain to jo chhuti wala din hota hai hamen aata to kuch nahi par Radha- Radha naam ka jap karte hain to pehle to apne gharo mein hi karte the. Ab koi padosi aur idhar-udhar bulane lag gaye to ham lete to kisi se kuch nahi. To par ye hai ki wo prasad wagairah pana parta hai. Haan koi baat nahi hai. Ham arth na len. Bhet rup mein na le. Ab prasad rup mein agar hamen bhojan mil raha hai ya koi dupatta aadi to wo chalega. Arth na le bas haan kyonki aap log grihasth hain to arth lena aur yah bahut punyadayak rahega jaise kisi ke ghar mein gaye aur sab milkar naam sankirtana kar rahe to isse aapka bhi param labh hoga aur dusron ka utsah banega aur aap uske adarsh baenge kyonki aajkal sab paisa ka khel ho raha hai.

updesh to paisa leke, kirtan to paisa leke. Jab aap log aise kirtan karenge na aur kuch lenge nahi to ye adarsh bhi sthaapna hogi. Bahut uttam rahega. Bahut vakeelon ki mandli banaiye Baba. Haan ye aapki kripa hai. Hetu ki kripa se varna ye kabhi ho nahi sakta. Haan bilkul jo satvic sab ho gaye maharaj chandigarh hai court ke haan jitna mangal ho sake. Dekho aaj ekantik mein ek ne prashn kiya ki manushya jeevan ka uddeshya kya hai? Sab log apne apne alag-alag uddeshya hamka wah uddeshya nahi uddeshya hai sadhan dham moksh kar dwara paye na je parlok samara so partr dukh pavai sir dhun dhun pachtae kale karm ishwar mithya dosh lagae jaise aap wakil ban gaye to wakil banna aapka uddeshya purti nahi hai wakil banna kartavya hai aur vakalt se jo mil raha hai wah jeevan jine ke liye lekin ji kiske le rahe ho wakil ke liye nahi.

wakil to ek kartavya hai. Vakalt se mila hua arth jeevan jine ke liye. Lekin ji kiske le rahe ho? Paramatma ke liye. Ab uddeshya sahi ho gaya. To vakalt rupi kartavya karm karte hue prapt arth ke dwara parivaar ka poshan karte hue jeevan jite hue yadi ham Radha naam jap kar rahe hain paramatma ka chintan kar rahe hain ab ham sahi uddeshya par hain. Ab dekho ismen yah ho gaya ki ab aapse koi adharmic purush yadi adharm karana chahe to aap karodon par lat mar denge ki bhai ab nahi ho sakta. Pehle main dharm se nahi juda tha to hamari baat samjh mein nahi aa rahi thi.

ab main bhagwan se jud gaya hoon. Main bhukha rah sakta hoon lekin adharm nahi kar sakta. Ab uddeshya sahi ho gaya. Ab uddeshya uddeshya mahan hone par aapko mahan bana dega. Jiska uddeshya mahan hai wo vyaktitva ka mahan uska ho jaata hai. Aap adarsh ban sakte hain hamare samaj ke. Jaise aap kirtan karne jaate kuch lete nahi to ye adarsh hi to hai. Bahut sundar khub kirtan. Aur ek ek wakil sudhar gaya to samjho 500 log sudhar gaye. Bilkul. Karya karwane ke liye log aaenge. Ham kahte hain nahi bhai ye nahi hoga aapka.

to phir wo sochega uske bhi dimaag mein yah baat jaegi ye to updesh dene lag gaye. Phir uske man mein aayega ki chalo chodo yar ye to kyon ladai karni aap bhagwan mana kar dete hain galat koi hota hai ham mana kar dete hain ham nahi lenge aapko. Bhai paise kharab mat karo. Inhone na hai court mein bhi apna ek alag se sthan bana liya. Har koi aake seet par aake Radhe-Radhe karta hai, baithta hai aake aur wahan pe ek aisa hora kriet ho chuka hai ki jo dusre tarah ke log hain kahte hain yahan mat chale jana. Jaoge yahan daru chhutwa denge.

aur maharaj ji jo bhi kuch aati hai chij pehle to main akela bhog lagata tha. Ab itni der ye mera intazar karte hain. Main agar court mein hoon na ji koi chij aa gayi to bhog lagane ke liye. Pehle mansik bhog lagega shri ji ko uske baad sare payenge. Bahut badhiya. Itna badhiya prem. Itna badhiya prem ka vihaar ho raha hai. Bahut ye sab aapne sudhara hai. Ham to varna us samay hi the maharaj bahut sundar nahi to prayah is marg mein buddhi patit ho haan bilkul thi ji pehle thi ji khao piyo mauj masti ab wahan har samay aapki charcha hoti hai Vrindavan ki charcha hoti hai bhai yahi baat hoti hai abhi ab chhuti thi to usi din aa gaye sare ke bahut bahut sundar jai jai shri Radha vallabh lal

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • ekantik vartalaap evam darshan #1441 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • brahm gyani mahatma apna sharir chhota hai to uska sukshm sharir kahan jaata hai? — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1440 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • diwali par maharaj ji ke amritmay vachan | Diwali Special — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1439 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • ye 9 galtiyan aapki puri sadhna bigad sakti hain — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…