॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

Depression mein aa gaya hoon. Marne ke dar ko kaise khatm karu?

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

rabin sinh ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji Gurudev bhagwan aapko sunne se pehle ka jeevan vyarth hi bhogon mein vasnaon mein gujara lekin aapko sunne ke baad pata chala ki manushya ke jeevan ka uddeshya bhagwat prapti hai ab lagta hai ki maine apne jeevan ke 55 varsh aise hi vyarth gujar diye pichle teen varsho mein meri do badi sarjari hui maharaj ji jiske karan main bahut pida se gujra hoon aur depression mein aa gaya hoon uski dawai kha raha hoon bat usko sweekar nahi kar pa raha sarjari aur pida ki swikrati nahi jiske karan main usi mein uljha rahta hoon dar aur bhay ka samna karna par raha hai maharaj ji aise mein bhagwat prapti ka marg kaise nahi nahi bahut gadbad sthiti sweekar kiye ho kahe ko pareshaan depression mein kahe chale jao Radha Radha Radha depression koi mahal hai jismen anand se rahoge chinta shok bhay ye sab depression mein kahe ko vyarth ka chintan karte ho Radha Radha Radha Radha Radha jo hona tha wo ho gaya jo hona hoga mangalmay bhagwan mera swarupavinashi sharir

nashvan chinta kya karni mast raho lekin lekin masti koi lena hi nahi chahta hai. Ab baithe baithe baithe are us samay Radha Radha rato naam jap karo abhi theek ho jaoge. Depression ki dawai hai bhagwan ka chintan karna. Aap man lo hari smriti sarv vipad vimokshanam bhagwan ki yad samasth vipattiyon se bacha leti hai. Davaiyaan khate rahoge. Kamzor hote jaoge. Unke side iphekta bhi hain. Aisa nahi hai. Ab nind ki goli ka abhyaas ban gaya. Bina nind ki goli khae aapko nind nahi aayegi. Jitni din nind ai uske baad phir aapka wahi depression chintan chalne laga vyarth ka to aise theek ho paoge kya?

chintan badlo aur svasth bhojan pao tahlo phiro aur satsang suno. Man ko ek relax karo. Man ko bar-bar itna chintan kiye hue ho ki wo depression mein ja raha hai. Chintan karo. Bhagwan kahe ko vyarth chintan karte ho? Jo ho gaya uska kya chintan? Har kasht sahte hue mast rahne ka upay Radha Radha Radha Radha kahe ko chinta karte ho jab marna hai tabhi maroge jo hona hai use rok sakte nahi to kya chintan karen Radha Radha Radha he bhagwan main tumhari sharan mein hoon kya par he bhagwan theek kar do aisa bhi nahi soche theek to nahi karenge kyonki paap karm kiya hamen bhogna padega agar theek karte to tum 10 panch mala japte ho ham bachpan se Baba ji hain bade-bade siddho ke nahi theek karte Ramkrishna Paramhans ji ke gale mein cancer tha.

hanuman prasad podar bhai ji ke udar mein cancer tha. Swami Ram Sukhdas ji ke brahmand mein cancer tha. Bade-bade siddho ke akhiri janm hote hain aur unko kasht bhogna parta hai. Avashya mein bhoktuvi kritam karm susubham haan bhogne ki samarth de denge. Gurudev praarabdh praarabdh praarabdh bahut bura praarabdh hota hai. Praarabdh jo aata hai phir bade bado ko bhogna ji samarth kise kahte hain? Jaise ham baithe hain tumhare samne muskura rahe hain. Kidney phayl hai. Hamare hriday mein anand ki ubal aati rahti hai.

ham mast rahte hain. Kyon? Kyonki bhagwan se jude. Agar bhagwan se na jude ho to aaj hamari durgati ho jae. Hamen koi depression hai na hamara koi hamse baat karo to depression rahit ho jaoge tum hamse baat karo to depression dekhna tum theek ho jaoge pradip aap jaisi sthiti kaise ho bata to rahe hain yar Radha Radha Radha Radha Radha isi mein mast raho Radha Radha Radha Radha prabhu ka naam jap karne se aur prabhu ke bhrose se bahut anand rahta hai. Ab tum log pareshaan ho bhagwan se vimurkh ho ke apne ahankaar ke karan agar bhagwan ki sharan mein ho jao to namak roti mein bhi santosh hone par anand hota hai.

agar santosh hai to namak roti kha ke bhi aap aandit ho aur santosh nahi to rabri pi ke bhi aap depression mein pahunch jaoge. Aajkal logon ka manna hai dhan ana chahiye. Nahi bhai sukh hriday mein jab bhagwan ka chintan hota hai tab hota hai. Ab depression mein mat rahna. Ab naam jap karna uchit dawai le lo aur naam jap karte ho dhire-dhire theek ho jao mrityu ke bhay se kaise par naam jap se abhi Radha bole sharir chhuta bhagwan ke paas pahunch gaye yar bilkul chinta mat khub mast raho ham kahte hain manushya jeevan yar masti ke liye mila hai lekin log masti samjhte hain klab mein masti samjhte hain sharab mein masti samjhte hain murga varga mein are masti bhagwan mein hai yar kaisi ham ye aapko batana chahte hain ki mans mein shakti nahi hai khane se yah gande ahar mein shakti nahi hai satvic ahar khao bhajan karo adhyatmik bano balvan ho jaoge sachchi kahte hain aap log jeena nahi jante ho agar jeena sikho 4:00 baje tadke utho bhagwan ka naam smaran karo jal piyo chauth jao snaan karo 2 kilometer daudo 10 10 15 minute dand baithak maro abhi dekho sharir chamakne lage abhi pavitra bhojan pao ye pizza bargar kha ke chaumeen pameen kha ke thodi koi svasth hota hai.

aajkal ki yahi sab kha rahe hain. Nahi roti banane ki alasya hai to sen bhi jo dhar diye usmen bas aise aise khanpan bazar ka khanpan pasand hai. Hotel ka khanpan pasand are aadha kilo matha 100 gram makhan aur char roti pav dekho kaise hote ho. Kaisa sharir aapka svasth hota hai. Ab ye chijon to hai nahi. Ham ye chijon ganv wali hai. Ganv mein svasth bhojan chulhe ki char roti aadha kilo ek kilo matha piye tagde tandurusta ghum rahe. Ab yahan subah bed teech hi hai. Subah uthte aur subah kab hoga pata nahi 10:00 baje ki 11:00 baje.

yah vilay hai surya uday uthne ka. Surya uday ke samay uthne se hamare andar urja shakti badhti hai. Baudhik shakti badhti hai. Hamari ayu badhti hai. Jab ham surya uday mein so rahe hain use lagbhag ab sabka sona 10 11:00 baje tak rahta hai. Koi aise birle jo satsangi jan hai jo thoda sanyam mein aa rahe hain. Wo bhale 4:00 baje uthte ho nahi 4:00 baje kaun uthta hai? 2:00 baje to sote hain. 2:00 baje ratri tak jagte hain aur phir sote hain. 10 11:00 baje uthte hain. Ab 4 baje uthne wale itne mein batao 4 baje kaun uthta hai?

haan chalo do teen char hath to uthe yahan 3:30 baje apne 1:00 baje ham uth jaate hain. 1 baje uthte hain. Haan uthna chahiye aur apni kamai karna chahiye. Bhagwan naam ki kamai karna chahiye. Kyonki yar marna hai na rupya paisa saath jaega na parivaar saath jaega na makan saath jaega aapka bhajan saath jaega aap prasann rahenge ab isiliye garaj garaj kar kahte hain apna udaharan dete hain ki yar aisi samasya mein bhi yadi aandit raha ja sakta hai to keval bhagwan ke sharan mein rahkar raha ja sakta hai bhagwan naam jap karke raha ja sakta hai sab pareshaan hai to agar hamari buddhi shuddh ho to ham swayam sukhi rah sakte hain aur dusron ko sukhi kar sakte hain to buddhi kaise shuddh hogi?

hogi achhche aacharan se. Achhche aacharan kaise honge? Jab ham bhagwan ka naam jap karenge, jab ham adhyatma se judenge, jab ham santo ki baat sunenge, santo ki baat manenge tabhi nahi to phir kaise buddhi kaise pavitra hogi? Aajkal sabke paas mobile hai, gandi gandi baten dekhte hain. Gande gande vichar ate hain. Gandi gandi kriyaen karte hain. Isiliye patit hote chale ja rahe hain. Chahe bachchha ho, chahe bachchi ho, chahe budha ho, chahe jawan ho. Ab kal ekantik mein ke hamare mata-pita hamare samne gande aacharan karte hain.

matlab maa anya purush se aur pita anya stri se. Ab hamara kya kartavya hai? Ab bolo bachchha jawan prashn aisa kar raha hai. Ab kya uttar den? Kya uttar den? Kaise hamara samaj suvyavasthit rahe. Chhoti-chhoti bachchiyon ke saath log gande aacharan kar rahe hain. Pashu ki tarah hinsa kar rahe hain. Bachchiyon ki aag mein jala diya. Aise ye kya buddhi ho rahi hai? Yah samaj ki buddhi tabhi sudhregi jab adhyatma jae, inki khopdi mein dharm ghuse. Tab unki samjh mein aayega. Ab to Rakshash ban rahe hain. Matlab kaise aiseise aacharan kar rahe hain jo sochkar lagta hai ki kaisi durgati ki vrittiya badh rahi hai.

jawan jawan bachchhe jawan jawan bachchyan koi brahmcharya nahi, koi dharm nahi. Manmani aacharan kar rahe hain. Isliye hamen lagta hai adhyatma suno. Dharm se chalo. Apni indriyon ko control rakho. Naam karo tumhen anand ho jaega.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • ekantik vartalaap evam darshan #1442 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • har 5 minute mein Radha bolo, phir dekho chamatkar — pujya pad shri odiya Baba ji maharaj mahapurushon ke vachan swarth aur paramarth donon ko param pavitra kar dete hain. Donon mein pusht kar dete hain. Baba satsang karte hain par bhajan nahi karte. Bhajan…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1441 — dharmik ji surat se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji grahasti mein rahkar balance bankar chale to phir prabhu milan ki vyakulta kaise badhegi agar nahi to kis tarah se ham prabhu milan ki chah aur virah…
  • brahm gyani mahatma apna sharir chhota hai to uska sukshm sharir kahan jaata hai? — Vinayak ji maharashtra se Radhe Radhe Radhe-Radhe maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam maharaj ji jab koi brahm gyani mahatma apna sthul sharir chhota hai to uska sukshm sharir kahan…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1440 — doctor vidhi ji maharashtra se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam. Maharaj ji sharir aur man donon ek saath chalte hain. Sharir accha hoga, svasth hoga to…
  • diwali par maharaj ji ke amritmay vachan | Diwali Special — Maharshi aaj Diwali ka shubh parv hai maharaj ji desh videsh mein aapko bahut log sunne wale hain. Maharaj ji aapke kuch ashi vachan ki aaj kya savdhania rakhen kya karen? Kya na karen maharaj ji…