॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

ekantik vartalaap evam darshan #1422

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

charul gangwani ji Indor se Radhavallabh shri Harivansh maharaj ji maharaj ji pichle dhai sal se aapko follow kar rahi hoon. Maharaj ji kya apne Gurudev ko prasann karne ke liye bhi koi mantr hote hain? Jo Gurudev mantr dete hain usi mantr ka jaap karo. Jitna isht mein priti hogi utna hi Gurudev prasann honge. Jitna aap naam jap karenge, mantr jap karenge, achhche aacharan se chalenge utne hi Gurudev prasann honge. Gurudev ko prasann karne ke liye koi alag se mantr nahi. Jo Gurudev ne mantr diya hai usi ka jap karo.

jo naam bole hain usi naam ka jap karo. Jo aacharan bole hain waise aacharan karo. To guru prasann honge. Agyaa sam na susahib seva agyaa ka palan karna hi apne Gurudev ki sabse badi seva hai. Jo Gurudev ki agyaa ka palan karte hain Gurudev un par prasann rahte hain. Ji maharaj ji aap hi ka ek prashn hai ki maharaj ji aapne jaise bataya ki rachna karke naam ka karna hai. Kah rahe ki baith ke to ye niyam nahi ho pata kyonki ghar grahasti mein hai to kah rahe ghar ke sare karya karte hue prayas karti hoon to maharaj ji jaise roti bana rahe hain to tave pe ho jaata hai.

maharaj ji kapde pres to ismen aparadh to nahi hai? Nahi nahi nahi nahi wah to brash aur kapde ke beech mein hai na jaise aap kapde pe likh rahi to kapde pe thodi hai wo to kapde aur aapke netron ke beech mein hai na ham bhavna kar rahe hain Radha to yahi se likhna shuru hua na to yahi rahta hai ham dekha bhale kapde par bhavna karen par wo beech mein hi rahta hai wo na jamin par rahta hai na kahin wo hamare netron ke samne hi rahta hai isliye kiska hai haan jarur jarur karna. Jarur karna chahiye. Bahut sundar karte raho aise.

pratham avasthi ji Radhe-Radhe. Radhe-Radhe maharaj ji. Maharaj ji jo phal braj yatra se milta hai kya wahi phal braj ka dhyan, shiv vigrah ka dhyan aur mansik braj yatra se mil sakta hai? Baat to jab jaise ham aapse kaha ki Vrindavan ki parikrama dev to Vrindavan ki parikrama dene mein aapko shareerik kasht milega. Nahi milega. Shareerik kasht milega aur dhai ghante Vrindavan ki parikrama lagane mein naam jap hoga. Yah to kaha jaata hai ki tumhara man lag jae lekin hamen batao 5 minute mein tum mansik parikrama laga liye to dhai ghante jo naam jap hua wo 5 minute mein thodi ho gaya.

dhai ghante jo paidel chalkar ke nange pair parikrama di jo kasht mila wo mansik mein thodi ho gaya. Mansik mein chitt lagane ke liye kaha jaata hai. Lekin baat to pragat mein karne ki hai. Kyonki pragat mein aap kasht sah rahe hain. Ab pragat mein 84 kos ki parikrama paidel lagave. Jab bahut raftar se lagaenge to 15 din to lagenge. Ab 15 din bhookh, pyas, kasht, garmi, sardi wo hamen lagta hai pehle ek pragat mein laga le aur phir mansik lagata rahe to baat theek hai. Par pragat mein lagana aniwarya hai. Kyonki usse sharir ka paap nasht hota hai.

jab ham kahin ki bhi dandvati karte hain, parikrama lagate hain to hamare sharir ko kasht hota hai. Usse hamare paap nasht hote hain. Jaise giriraj Govardhan ji hain. 21 ki.mi. Hai. Ab 5 minute 10 minute mein aap mansik laga sakte ho. Lekin 21 ki.mi. Ke liye 5 ghanta 6 ghanta aapko barabar paidel chalna padega to aapke pairo ko kasht hoga. Aapke sharir ko pida hogi. Bhookh pyas bhi lagegi. Garmi sardi bhi lagegi. Usse aapke sare paap nasht honge. Haan isliye hamen lagta hai pragat mein lagni chahiye. Aur shesh samay mansik bhi karni chahiye.

anya jab na pahunch pave to mansik kare par prakt jarur lagave chahe ek bar hi lagave. Ji maharaj ji jaise [gala saaf karne ki aawaz] swapna mein hamen jaise shri vigrah ke darshan hote hain ke darshan accha hai par wo satya nahi hai wo satya nahi hai accha hai wo man hi shri vigrah ban jaata hai man hi bhagwan ban jaata hai darshan to waise jaise ham aur aap matlab ane ka aisa koi yog nahi tha Vrindavan aap sapne mein dikhe mere ko to ekdam se laga ki chal ke maharaj ji se haan matlab bhagwan man hi hai wo akarshan karke aise karte hain lekin ham ise se bhagwat sakshatkar thodi man lenge.

bhagwat sakshatkar tab manenge jab jaise aap aur ham aise sakshatkar hota hai. Aise sakshat jaise guruon ka ya bhagwan ka sakshatkar hota hai to aise sakshat jaise aap baithe hain waise ham baithe hain. Aise samne pragat dikhayee dega. Haan wo jamin par baithe nahi dikhayee denge. Wah jamin se upar dikhayee denge. Jaise mahapurushon ko dekha hai to aise akash mein asan laga dikha hai asan par baithe hain par pura sajeev aisa nahi hai ki chitra dikhayee de rahe hain aise pure jaise aap baithe hain aise baithe dikhayee diye aise aaj ham log chhoti moti jahan swapna mein aaya to man lete hain bhagwan mil gaye bhagwat darshan aisa nahi hai haan aisa nahi harsh Parashar ji pushkar raj Radhe Radhe guru maharaj ji main pushkar raj se aaya hoon.

maharaj ji aap aap kah rahe hain maharaj ji ki bhagwan ne sare yug ah matlab agar samapti karni thi to banae kyon? Khel khel kyon racha aisa matlab agar bhagwan ne kyon racha ye nahi ye prashn nahi kiya ja sakta. Iska uttar bhagwan denge. Ham to unke bhakt hain. Ham to unke das hain. Bhagwan se prashn karo ki aapne kyon racha? Guru ji jab mrityu hui matlab sab kuch ant karna hai bhagwan ko ant nahi kisi ka ant nahi hai khel hai parivartan hai aap batao ant kya hai jaise sabhi log bolte hain ki apna kalyug ka ant ho jaega srishti ka vinash ho jaega sab kuch ho jaega hamari baat suno teen leela hain bhagwan ki wo har kshan hoti rahti hai ye second hai is second mein lakho log paida ho gaye lakho log mar gaye lakho log aandit hain lakho log dukhi hain.

puri srishti mein bhagwan ne teen leela ki. Brahma rup se srijan karna, Vishnu rup se palan karna aur shiv rup se sanhaar karna. Wahi bhagwan brahma hai. Wahi bhagwan hari hai. Wahi bhagwan har hai. Koi antar to nahi. Aur wahi charachar jeev bane hue hain. Koi aur thodi hai. Wah apne aap se apne aap ka srijan karte hain. Apne aap se apne aap ka palan karte hain. Aur apne aap se apne aap ka sanhaar kar lete hain. Aapko isliye prashn utha ki aap dehabhmani jeev ho. Aap is samay deh bhav se bol rahe hain. Deh bhav se bol rahe ho?

kyonki deh bhav hi hai. Abhi paramatma bhav mein to aae nahi ho. Isliye aapko bada bhayav lag raha hai. Bhagwan ne aisa kiya kyon? Bhagwan ne aisa racha hi kyon? Jab vinash hi karna tha to rachna kyon tha? Nahi unka khel hai. Jaise bachchhe jo hai na gharaunda banate hain bigad dete hain. Unse pocho kyon aisa kyon kiya? To unka khel hai. Unke paas kyon ka uttar thodi? Ganv mein jaise bailgadi ja rahi to bachchhe baith gaye. Aur aadha kilometer dur gaye. Phir utar ke wahan se paidel aa rahe hain. Unse pocho kyon?

to unke paas uttar hai kya? Khel hai unka. Aise bhagwan ka ek maya mein ye khel hai. Ek bahu shyama ekom main ek bahut rupon mein ho jaun. To wahi bhagwan bahut rupon mein hokar apne aap se apne aap ka palan karte hain. Apne aap se apne aap ka sanhaar karte hain. Koi dusra ho to unko dard ki baat ave. Wo apne aap mein khel rahe hain. Aag bhi wahi hai. Mrityu bhi hai. Sab kuch haran karne walon mein mrityu main hoon. To koi dusra ho tab ho na apne aap se apne aap ko khel jadugar apne aap ko kaata hai apne aap ko duniya ka dikhata hai nana prakaar ke usko koi na ascharya hota hai na koi dukh hota hai na koi sukh hota hai aise hi bhagwan ko na koi ascharya na koi dukh hai na sukh anant brahmand ek sankalp mein apne aap mein rach diye aap hi ban gaye aap hi palan kar rahe hain apna aur aap hi apna vinash kar rahe hain to usmen pareshani kya hai pareshani hamari hai jo ham aapko bhul gaye hain.

aap kaun hai? To aap sharir ko lekar ke bolenge main amuk hoon. Mera naam yah hai wo nahi hai to isi is danche ka prichay de rahe hain aap. Aap apna prichay bataiye. To aap apne ko jaan paye ki aap kaun hai? Jab apne ko jaan paoge to aap hi hain uttar dene wale. Aap hi phas gaye hain. Agar aap isse mukt ho jao to kaha gaya brahmavit brahm bhavti jo brahm ko jaan leta hai wo brahm mein ho jaata janat tumhen tumhen ho jae kyon tumhen ho jae kyonki wahi hai hi hai ek bahu shyama wahi paramatma hai phir koi prashn hai aur vinash kisi ka nahi hota rup parivartan hota hai jaise sharir jala diya gaya to agni tatv agni tatv mein vayu tatv vayu tatv mein jal tatv jal mein prithvi prithvi tat akash akash tatv mein jeevtma avinashi hai.

wo apne karm anusaar man ko lekar dusre sharir mein chala gaya. Mrityu kiski? Kisi ki nahi. Jab vinash pura hota hai to puri srishti 100 varsh sukha parta hai. Bhaykar phir 100 varsh agni phir bhaykar jal 100 varsh tak jal. Phir iske baad jab prabal ta badi koi srishti mein nahi rahega to jal tatv vayu tatv mein vayu tatv agni tatv mein akash tatv mein aise kram se hote hue akash tatv mahat tatv mein maha tatv ahankaar mein aise mul prakriti tak pahunchkar mul prakriti brahm mein kuch nahi nasht hua sab apne apne swaroop mein ate hue chale gaye phir jab srishti hui to brahm brahm se mul prakriti mul prakriti se trignatmika prakriti trignatmika prakriti se mahat tatv mahat tatv se ahankaar ahankaar se puri srishti wahi fail gaya wahi samit jaata hai samit jana vinash hai fail jana srishti hai aur jitne din fail ke khelte hain wahi jeevan hai.

isiliye to jab gyan ho jaata hai to puri srishti se rag khatm ho jaata hai. Kuch nahi koi 10 20 nahi hai yahan ek hi hai. Ek hi paramatma ka sara khel chal raha hai. Wahi aap bhi hain. Lekin aap apne ko jaan pa rahe hain. Main paramatma kaise ho sakta hoon? To aap deh bhav se bol rahe hain. Swaroop mein aie. Swaroop kaun hai? Swaroop kaun hai? To swaroop ka gyan hai nahi. To isiliye deh bhav ke hone ke karan janm maran dukh sukh labhhani man, apman jai, parajay yah bhogna par raha hai. Bada kathin hai. Isiliye bhajan karo aur mukt ho jao.

sadhan dham moksh kar dwara moksh ko prapt kar lo to yah jeevan sarthak ho jaega nahi to phir yah chalta rahega punarp jannam punarp maranam punarp janani jathre shanam bhagwan ne kisi ko nahi racha apne aap se apne aap ko racha dusra koi nahi hai aap dekho yah kya hai panchbhuton se bana hua sharir hai na panchbhut kaun hai yah paramatma swaroop hai. Parivartnshil hai. Aur ek paramatma swaroop bhagwan ki do prakriti hai. Ek para ek apra jo sharir hai ye bhagwan ki ek prakriti hai. Jo swaroop hai wo aap hai. Wahi jo aap mein swaroop wahi aap mein wahi aap mein wahi aap mein ek hi hai.

jaise karnon ke karan dekhne mein bijli kai prakaar ki dikhayee deti hai. Ek bijli light de rahi, ek bijli hawa de rahi, ek bijli thanda kar rahi, ek bijli heater mein nikal rahi. Lekin kya bijli kai prakaar ki hai kya? Ki yah bijli garm karegi, yah bijli thanda karegi. Yah bijli hawa phenkegi, yah bijli roti banaegi. Bijli to kai prakaar ki nahi hai. Yantr kai prakaar ke hain. Karan kai prakaar ke hain. Unmein wah power waise jakar prabhavit ho jaata hai. Aise ek bijli hai. Agar sampurn brahmand mein puchi jae to bijli ek hai.

hai na? Aur uske karan kitne hain? Karodon ho sakte hain. Karodon karan hai. Karodon prakaar se uska prayog ho raha hai. Aise hi yah karodon arabon karan hai. Lekin ismen paramatma ka power ek hai. Ab karan hai dusht swabhav ka racha hua. Ab wo dushtata hi karega. To bole ismen paramatma kaise ho sakta hai? Nahi paramatma hi hai. Wo karan ke prabhav se aisa bol raha hai. Jaisa jaisa swabhav jaisi jaisi prakriti to paramatma tatv waise hi jakar bartaav kar raha hai. To lagta hai yah paramatma kaise ho sakta hai?

yah paramatma kaise ho sakta hai? Nahi paramatma hi hai andar se wah apne ko nahi jaan raha hai aur wah uska swabhav hai. Wah karm ke anusaar aisi sthiti ko prapt hokar aisa bartaav kar raha hai. Jaise ismen bhi bijli hai aur yah bhi bijli se chal raha hai. Bijli kitni laghu ho sakti hai aur bijli kitni mahan ho sakti hai. Bade-bade masheenen chal rahi phaiktriyon mein. Nahi chal rahi. Bade-bade karya usse ho rahe hain. To ek chhota sa pankha bhi usi se chal raha hai. Chhota sa mike bhi chal raha hai. To ek chinti se lekar brahma tak sab usi paramatma se sanchlit hai.

wahi paramatma hai. Dusra nahi usmen aur ham log dvait mein hi fanse hue hain. Dusra hai. Ye sab dusre hain. Hamara parivaar hamara ghar main sharir isi agyaan ki nivitti ke liye adhyatma hai. Jab adhyatma to ek swapna chal raha hai. Jaise swapna mein aapne dekha bahut si saman dekha bahut se vyakti dekhe accha bura swapna dekha kya kuch hota hai kya to ye kab pata chalta hai swapna dekhne ke samay pata chalta hai kya haan jab ham jagte hain tab hamko pata chalta hai ki wo jhutha tha usmen kuch bhi satya nahi tha usmen koi nahi tha ek man hi hamara keval sab kuch rache hue tha aise jab ham gyan mein jagte hain to kuch nahi hai.

ek paramatma hi paramatma hai. Vasudeva sarwamit sam mahatma sudurbha bahu naam janm navte gyanvan mam prapaddyate vasudeva sam mahatma su durlabh bahut janmon ki sadhna ke baad jab ye gyan prapt hota hai ki ekmatra bhagwan Vasudev hi virajman hai dusra koi nahi. Sab Vasudev sarvam khaldam brahm sab brahm ab kahan pareshani wo apne aap mein apna srijan kar raha hai palan kar raha hai vinash kar raha hai yah swapna hai Uma kahun main anubhav apna sat hari bhajan jagat sab to swapna mein ham sab kuch dekh rahe hain.

ek jagrit avastha jo ham man rahe hain yah moh ki hai. Swapna mein apne ko soya hua mante hain kya? Usmen jagte hue to hote hain lekin kya jagte hain kya aise hi moh nisha sab so nihara moh nidra agyaan mein ham is samay aur jis samay gyan prapt hoga asli mein jagna gyan mein hoga tab aap dekhna jab gyan prakt ho jaata hai ekmatra bhagwan hi bhagwan hai kuch nahi na koi hani hai na labh hai na jai hai na parajay hai na unnati hai na unnati hai na janm hai na maran hai ki yah sab swapna jaisa chal raha hai.

bhayavat swapna chal raha hai. Isiliye kaha jaata hai sadhna karo aur jag jao. Jag gaye to jeh jane jag jae hirai jage jatha swapna bhram jae. Jis paramatma tatv ko janne ke baad ye sansaar sansaar nahi rahta. Ye paramatma swaroop ho jaata hai. Sab bhay bhram khatm ho jaata hai. Samjh pa rahe ho bachchha? Chanchal ji karnal se Radhehe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji man mein ek ajeeb sa dar rahta hai apno ko khone ka bahut dar lagta hai maharaj ji aise mein mrityu lok hai yahan ye dar to sabko lagta hai aur marna sabko padega mrityu lok hai pata nahi kis minute kiski ayu khatm ho jae kis ghatna se kis paristhiti se sharir chhut jae to isi bhay se mukt hone ke liye bhajan kiya jaata hai jo sabheet awa sharnai rakh ho tai pran ki nai bhagwan kahte hain yadi koi bhayabhit hokar meri sharan mein aa jae to jaise apne prannon se pyar kiya jaata hai aise main usse pyar karunga to jab ham naam jap karte hain bhagwan ka [gala saaf karne ki aawaz] aashray le lete hain to hamare andar gyan jagrit hota hai.

dekho marna hai hi nahi parivartan hota hai. Panchbhut panchbhuton mein mil jaate hain aur jeevtma man ke saath dusre sharir mein chala jaata hai. Parivartan ka naam mrityu yahan hai. Jo mrityu hai wo parivartan hai. Hamara rag hai isliye apne janon ko bichho ki sthiti mein sochne matra se bhay lagta hai aur wah hoga. Isiliye chinta, shok, bhay, dukh isse bachne ke liye bhagwan ki sharan hokar bhagwan ka naam jap kiya jae, bhagwan ki leela katha suni jae, bhagwan ki seva ki jae to mangal ho sakta hai. Nahi yah to nischit hai ki mrityu avashya hogi.

nischit hogi. Chahe sadhu mahatma ho, chahe grihasth ho, balak ho, jawan ho, balvan ho, nirbhal ho, koi ho, mrityu sabko sabko mrityu ke prhar se koi nahi bach sakta. Mrityu sabko marti hai. To isliye bhagwan ka aashray lo. Bhagwan ka naam jap karo. Wahi bal denge to unhin ke bal se ham apne priyjanon ke bichho ko sah sakte hain. Yah to hoga. Nischit hoga. Ismen koi sanshay nahi. Ram ji jinke putr the un dashrath maharaj ko padharna para. Padhare ki nahi padhare? Bhagwan swayam antardhya ki leela kiye to yahan mrityu lok hai.

yahan sabko jana padega. Uske liye koi jantur nahi bana. Koi havan nahi hai. Koi ashish nahi hai ki jao tum mrityu rahit ho jao. Aisa nahi. Bhishma pitamah ko mrityu vijay ka vardan prapt tha. Phir bhi unka sharir chhuta ki nahi chhuta? To yahan sharir chodna hi hota hai. Nirmala Yadav ji Delhi se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji sansaar mein rishte zyada mahatwapurn hai ya paisa kyonki samaj mein paizon ke liye na paisa mahatwapurn hai na rishta mahatwapurn sansaar mein mahatwapurn hai bhagwan ka bhajan rishta bhi marega paisa bhi chhutega donon mahatwapurn hai kya na rishta tikau hai aur na paisa tikau hai pati patni mein vishwas nahi rahega gaya.

pavitra sambandho mein darar aa rahi hai. Pavitra sambandho mein vishwas ja raha hai. To agar bhagwan ka adhyatma ka aashray nahi liya to kuch bhi ho sakta hai. Vishwas karne yogya kuch nahi hai. Sambandho ki baat puchi to aaj sambandh har sambandh khtre mein hai. Kyonki jab pavitra nahi hai to jahan adhyatma nahi hai jahan bhagwan ka aashray nahi hai wah buddhi kuch bhi kar sakti hai to na paisa mahatwapurn hai na sambandh mahatwapurn hai mahatwapurn hai adhyatma bhagwan jab tak bhagwan ka bhajan nahi karoge tab tak khub paisa hone par bhi shant nahi rahoge aandit nahi rahoge kyonki papacharan hoga aur papacharan ka phal dukh hoga use bhogna nahi padega.

avashya mein bhoktuvi kritam karm shubhashbham. Isliye bhagwan ko mahatva do. Sansaar ke sambandho mein jo priyata hai wah bhagwan se hai. Jaise beta bahut priy hai. Lekin uske andar se bhagwan chale jae to kai din bete ke sharir ko rakhoge. Uske sharir ko jala doge na. To sambandh mein priyata kisse thi? Bhagwan se hi to. To sambandh mein priyata bhagwan se hi hai. Rupaye ka jo sukh hai rupaye mein koi mahatva buddhi nahi. Rupaye se vishay bhog milte hain. Yah baat buddhi hai. Agar aapko rupaye ke sukh ki baat kahe to aapko ek kamre mein baithaal diya jae aur 500 ke noton se yahan tak kiya jae.

na pani na bhojan. Aap kya kahoge? Chilla padoge ki rupya hatao hamko. Sab rupya le jao. Hamko pani pila do. Hamko bhojan de do. Rupya kis baat mein sukh deta hai? Usse vishay samgri milti hai. Nahi vishay samgri na mile to aap 2000 ka rupya aapke paas ek atchi rakh diya jae. Aapko accha lagega kya? Kahoge hatao bekar hai. Kyon? Kyonki usse vishay samgri milegi nahi. Ab wo chalta nahi hai. Rupaye ki priyata dhan ki priyata hai. Usse vishay samgri milti hai. Vishay priyata hai. Sharir sukh milta hai.

sharir se apnapan ho jana yahi agyaan hai. Yah sharir jo hai nasht hoga. Pratiphal nasht ho raha hai aur ek din bilkul nasht ho jaega. To hamen chahiye ki in sharir ke sambandho aur rupya mein asakti na karke bhagwan mein asakti karen to hamara param mangal ho jaega. Maharaj ji ek sansatti kar dijiye. Sharir aur sharir ki dharmpati jo hai wah aapki agyaa anusaar naam jap aur satsang shravan wagairah aur apna chaturasi gayan aur niyamit kartavya karm har ek ghante mein bhagwan ko samarpit karke dincharya kar rahe hain. To hamne aapko mansik rup se guru man rakha hai.

to hamari gati aur jinhone diksha le rakhi hai unki gati mein koi antar aayega maharaj ji ab ye to ham isliye nahi kah sakte ki aapka lakshya kya banega aur jo diksha le chuke unka lakshya ban chuka hai. Unka lakshya ban chuka hai. Priya pritam ki dasi bhav to ab aapka lakshya kya banega? Ji ki haan to phir lakshya ban jane par lakshya ki prapti ho jaegi. Bahut sundar karte ho aur bahut accha ajit sinh ji maharaj ji moksh kaise prapt kiya ja sakta hai? Gyan ke dwara. Kiska prashn hai?

gyan ke dwara. Aur gyan prapt karna bahut kathin hai. Lok parlok ke bhogon se vairagya samjho pehle ek hi pahla sutra hai lok parlok ke bhogon se vairagya lok yahan ke bhogon se ab dekho sthiti kya hai lok aur phir parlok ke bhogon se vairagya shad asad ka vivek satya kya hai asatya kya hai iska vivek sham indriyon ka nigrh dum man ka nigrh shraddha guru shastr par aur samadhan chitt ka nirantar paramatma mein sthit karne ka abhyaas aur mumukshta main mukt ho jaun tab jakar gyan marg mein chalna hota hai.

bahut kathin hai. Gyan ke panth krpan ke dhara parat Khagesh lage nahi bara. Gyan ke marg mein chalne mein girne mein der nahi lagti. Ismen bhagwan ka sahara hota hai. Bhakti marg mein bhagwan ka sahara hota hai. Agar hamse koi truti bhi ho gayi to bhagwan kshma kar dete hain. Agar ham girne wale hain to karo sada tin ke rakhwari jim balak rakhe mhatri. Bhagwan apne bhakt ki aisi raksha karte hain jaise maa apne bachchhe ki raksha karti hai. To kalyug hai ismen moksh aur kalyan ka sahaj marg bhagwan ki bhakti hai aur bhagwan ki bhakti ka sahaj swaroop hai.

jo mile bhagwan ko arpit karke khao. Naam nirantar jap karo. Jo karm karo bhagwan ko samarpit kar do. Isi se kam ban jaega. Naam jap se pavitra hriday mein gyan prakt ho jaega. Karm samarpan se koi karm bandhan nahi rahega aur bhagwan ka aashray liye isliye agar dhokha ho gaya to bacha lenge wo antim samay wah kalyan kar denge bhagwan ka aashray bhagwan ka naam jap aur jitne karm kar rahe wo sab bhagwan ko samarpit bhagwan ke ashrit ka kabhi patan nahi hota bhagwan ke ashrit ko kabhi koi bhrasht nahi kar sakta kyonki seem ki chap sake ko utasu ba rakhwar Ramapati ja jiske ke rakshak bhagwan hain.

haan bhagwan ke bhakt ka koi uphash nahi kar sakta. Chahe jitni prachnd maya ho hai to hamare bhagwan ki hi to hamko kyon parast karegi? Kyonki ham bhagwan ke das hain. Ji mahima vajpei ji Lucknow se Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam. Maharaj ji mera prashn hai ki kya navda bhakti mein puri nau bhakti bhakt ke andar ane hi bhagwat prapti ya ya nikunj ki seva prapt hoti hai matlab nau ki nau bhakti honi chahiye andar ek aa jae to nau aa jaenge nau ma eko jinke hoe agar ek bhi bhakti aa jae shravanam kirtanam smrnam Vishnu pad sevnam archanam vandnam dasyam shakya atma nivedan ye nau prakaar ki bhakti hai.

ismen ek bhi bhakti aa jae to nau apne aap purn ho jaenge. Ek jagah lag to jae. Shravan mein lag jae, kirtan mein lag jae, smaran mein lag jae, archan vandan mein kahin bhi lag jae to [nak se ki jane wali aawaz] hamare andar navdha bhakti purn aa hi jaegi. Aur navdha bhakti ki purnata hai prem lakshna bhakti shravan kathan sumiran sevan chit lavah archan bandhan ardas santan sakhya aur atma samarpan ye nau lakshan bhakti badhai tab tin prem lakshna pai jab prem lakshna bhakti aati tab nikunj dham mein seva aadi ki baten hoti hain navdha bhakti ki purnata hai prem lakshna prem prapt ho jana wah ho hi jaata hai jab nau prakaar ki bhakti ki jati hai to ek bhi bhakti shuru karen pehle pavitra aacharan apvitra acharno ka tyag aur bhagwan ka naam sumiran katha kirtan sumiran shuru to karen to navdha purn rup se aa jati hai.

ajay choudhri ji nagpur se Radhe-Radhe maharaj Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji do-teen sal se satsang ke madhyam se aapse juda hoon. Maharaj ji mere guru maharaj aur aapke divya vani ke saank ke prabhav se mere isht shri vitthal bhagwan ji ke naam smaran kam se kam do-ti ghante ek din mein ho jaata hai. Maharaj ji abhyaas ka praytn hai uthte baithe khate pite naam smaran karen. Lekin durbhagyavash abhi tak shri vitthal bhagwan par pura bharosa nahi man aa jaega. Aa jaega. Jaise-jaise man nirmal hota hai waise-waise bhagwat bharosa jagrit hota hai.

phir anubhutiyan hone lagti hain to vishwas dridh ho jaata hai. Jahan vishwas dridh hua sab kam ban gaya. Bhagwan par vishwas ki avshyakta hai. Bhagwan par bhrose ki avshyakta hai. Par wah tab hoga jab man nirmal hoga. To isliye hamen khub naam jap par dhyan dena chahiye aur kisi bhi baat par dhyan nahi dena chahiye. Naam jap agar ham dhyan purvak jap rahe hain to sab theek ho jaega. Age chalkar sab theek ho jaega. Socho jinhone Ram kahne ki bhi samarth kho di thi asat acharno se aur mara mara kaha wo siddh brahm rishi ho gaye to yadi ham Ram Krishna hari vitthal japenege to hamko kyon nahi bhagwan par dridh vishwas ho jae dridh vishwas kya apna astitva hi kho jaata hai apna astitva kho jaata hai.

prabhu ka hi keval samrajya rahta hai. Man krishnamay, buddhi krishnamay, chitt krishnamay. Gopijan kahte hain na kan bhay pran mein pran bhay kan mein hi hamen na jaan par kan hai ki pran hai pran shri Krishna ban jaate hain. Man shri Krishna ban jaate hain. Buddhi shri Krishna ban jaate hain. Hamko adhik prayatnsil rahkar naam dhyan purvak japna chahiye. Agar ham dhyan purvak sunte hue, likhte hue, dekhte hue jape to bahut jaldi bhagwan par vishwas ho jaega. Kyonki nirmal man bhagwan par vishwas karta hai.

malin man mein sanshay rahta hai. To man anant janmon se malinta ke aacharan karta raha hai. Ab wo sahaj mein nirmal to hoga nahi. To ham naam par dhyan den. Khub adhik se adhik naam jap karen. Ji chirag ji paneepat se shri Harivansh maharaj ji shri Harivansh maharaj ji maharaj ji aapki karuna aur vatsalya pal par is das par bhajan marg par age badha rahi hai parantu prabhu har samay ek bhay sa rahta hai kahin apne aacharan ahankaar aur apni kutilta se aapse dur na ho jao har samay lagta hai kahin aap naraz na ho jao ahelna na ho jae yah jo bhay hai yahi abhay kar deta hai abhay hoe jo tumhen darai agar yah dar bana rahe to accha hai yah dar hi darap Harivansh hit jino bhram gun sali par ji naman mangal lok ta suhar pad bhaj na vilumb kar jise guru ka dar rahta hai bhagwan ka dar rahta hai usse paap nahi bante aparadh nahi bante aur uska aham apne aap galit ho hi jaata hai jo guru ashrit hota hai to ye dar accha hai yah koi tyagne yogya nahi ye badhane yogya hai ki ham itna dare ki swapna mein bhi guru ke virudh aacharan [gala saaf karne ki aawaz] na karen jagrit ki to jane do swapna mein bhi dar lage ki ham apne Gurudev ke virudh aacharan nahi kar sakte.

ham bhagwan ke virudh aacharan nahi kar sakte. To yah baat hona chahiye. Ek bar swapna mein odiya Baba ne dekha ki wo bhiksha mangne gaye hain. To bahut si sundari striyan thal lekar ke ratna aadi nikli. To Baba ne kaha main to bhikshuk hoon sanyasi. Mujhe isse kya tatparya? Mujhe to ann chahiye. To un logon ne gher liya aur vilasita ki cheshta karne lagi. To Baba bhage aur khub bhagte rahe bhagte rahe aur bhag ke phir ekdam aankh khul gayi. Tab unko hriday mein santosh hua ki swapna mein bhi ratna aadi ke taraf akarshan nahi hua aur na stri akarshan hua.

to jo sacha upasak hota hai wo swapna mein bhi virudh aacharan nahi karta. Jagrit ki to baat jane do. To yah bhay bana rahna chahiye. Guru bhay, bhagwan ka bhay, dharm ka bhay, yah sadhak ki unnati karta hai. Yah unnati karta hai. Yah unnati nahi karta. Yah bhay tyagne yogya nahi, yah bhay rakhne yogya hai. Abhay pratap sinh ji Noida se Radhe-Radhe. Maharaj ji Radhe-Radhe. Maharaj ji bhagwat prapt mahapurushon ka charit padhne se pata chalta hai ki unka jeevan kitna sangharshapurna raha hai. Agar ham apna jeevan dekhte hain to lagta hai mujhe koi bhi ek gun nahi hai.

un maha purushan ke age to aisa lagta hai ki matlab ham patit hain nich hain adham hai. Iske siva kuch nahi hai. Haan yahi gun hai. Bhagwan ko yahi priy hai. Jiske hriday mein aa gaya main adham hoon. Main patit hoon. Main din hoon. To bhagwan din bandhu hain. Patit pavan hai. Adham udaharan hai. Hamara sambandh sthaapit ho gaya. Ham patit hain to bhagwan patit pavan hai. Ham din hai to bhagwan din bandhu hain. Ham adham hai to bhagwan adham udaharan hai. Adham udaharan ki sharan mein jakar bas apne jeevan ko samarpit kar do. To jo mahapurushon ne sangharsh karke prapt kiya hai wo aap sahjta se prapt kar lenge.

karne layak bachchhe ko karya bataya jaata hai. Lekin chhote bachchhe ko karya nahi bataya jaata. Samay se maa apne aap usko bal bhog rajbhog khavana pilana nahlana dhulana sab. Lekin jab wo tayyar ho jaata hai apne aap karne layak to mata dant jarur deti hai. Tera nahane ka samay ho gaya. Tune nahaya nahi. Tera khane ka samay ho gaya. Lekin chhote bachchhe ko aisa nahi kahti. Chhote bachchhe ko god mein lekar snaan karati hai. Wahi bhojan pawar yadi ham chhote bankar bhagwan ki sharan mein chale jae to jo bade-bade mahapurushon ne karke prapt kiya hai bhagwan ko wahi ham chhote bankar bhagwan ko prapt kar sakte hain.

yahi darbar din ko aadar riti sada chali ai. Din bankar bhagwan din bandhu ki sharan mein ho jao aur khub naam jap karo. Bhagwan ke charit suno. Gandi baten tyag kar do to isi janm mein bhagwan ki kripa ho jaegi.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • ekantik vartalaap evam darshan #1441 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • brahm gyani mahatma apna sharir chhota hai to uska sukshm sharir kahan jaata hai? — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1440 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • diwali par maharaj ji ke amritmay vachan | Diwali Special — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1439 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • ye 9 galtiyan aapki puri sadhna bigad sakti hain — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…