brahmcharya + naam-jap = tino loko par vijay
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
pujya shri odiya Baba ji maharaj ke vachan jo hamare vihaar aur paramarth donon ko pusht karte hain. Prashn maharaj ji bhajan mein ruchi kaise ho? Uttar bhajan karne se hi bhajan mein ruchi hoti hai. Apne aap nahi ho jati. Tum jise apna isht mante ho, aradhya dev mante ho, uska naam, uska rup, unki leela, unke gun nirantar kabhi naam jap rahe, kabhi rup chintan kar rahe hain. Kabhi leela gayan kar rahe, kabhi leela shravan kar rahe, kabhi naam kirtan kar rahe hain, kabhi naam kirtan sun rahe hain. Kabhi seva kar rahe hain.
is abhyaas se nirantar upasna paripakva hoti hai. Bhajan mein ruchi ho jati hai. Upasna mein ruchi ho jati hai. Ham jo nirantar sochte hain usi ka prabhav parta hai. Kal do naujawan bachchhe alag-alag jagah ke prashn hue ki main bas susaid kar hi raha tha. Ye to kaho aapka video mil gaya to main aapke paas aaya hoon. Main jine se ub gaya hoon. Naye-naye bachchhe jo chintan karte ho usi ka prabhav parta hai. Tum keval negative chintan mein aa gaye. Sansarik chintan karte karte. Ab naam mein man ko nahi lagaya. Prabhu mein man ko nahi lagaya.
khali man shaitan ki tarah daud raha hai sansaar ki kamnao ki taraf. Kabhi nakaratmak bhav, kabhi sakratmak bhav. Donon se dwaand karte-karte wo depression mein pahunch jaata hai. Aap depression mein pahunch use saaf suna dikhayee deta hai. Kahin koi harsh anand nahi. Lagta hai susaid kar lo. Unse kaha bhai susaid karne ke pehle tum kahin buking kiye ho kya ki yahan se sharir chhodoge wahan phaiv star hotel mein tumhari badhiya vyvastha bhut banoge. Pani bhi pine ko nahi milta pret atma ko. Chahe wo nadi ke kinare tahle ek bund pani nahi pi sakta.
ek kan bhi bhojan nahi kar sakta. Hai hai chillata hua kabhi kisi yug mein yah nahi varsh mein kisi yug mein kisi mahatma se sammukhta ho gayi uska kalyan ho gaya yugo bhatkte rahte hain aisi jo atmhtyaa karne wale log nischit pret yoni ko prapt hote hain isliye jo tum chintan karoge usi ka prabhav padega sansaar asat hai dukhalai hai bhagwan kah rahe hain dukhalam shashwatam aur tum sansaar ka chintan karoge to tumhare vichar dukhmay ho jaenge adhyatma ki bahut zaroorat hai har vyakti ko zaroorat hai bina adhyatma ke shok, santap, dukh, udganta, vishad, depression isse bach hi nahi sakte.
davaiyaan kab tak tumhen bachaengi? Kab tak tum sote rahoge? Agar naam jap nahi karoge, bhagwat chintan nahi karoge to jab chetna aayegi to sansaar ka chintan hoga. Sansaar dukh mein nashvan hai. Tumhen phir wahi pahuncha dega. Isliye naam jap karo, bhagwat leela suno, satsang suno aur kabhi vyarth mat baitho. Agar bilkul khali baithe ho to naam mein lag jao. Nahi to kuch karya karo. Kisi ko bhi chahiye karya karna atyant aniwarya hai sharir se. Yadi aap grihasth mein ho koi karya nahi mil raha hai to lebar hi karo. Kuch nahi jaata.
aath ghante mehnat karoge ₹550 ₹500 milenge. Mata-pita parivaar ki seva banegi. Depression hoga nahi. Depression hote hain kayar purush ko papatma ko jo vyarth chintan karta rahta hai usko. Isliye bhajan mein ruchi badhane ke liye bhajan hamen karna padega. Bhagwan mein jabit joda jaata hai tit prasann hokar nai bhavanon mein dubta hai. Itni positive sakratmak bhavna hai ki badi se badi vipatti mein bhi wo sakratmak bhav se us par vijay prapt kar leta hai. Yah kisse bal mila? Naam jap se. Bhagwan ki upasna se.
maharaj sunte hain bhakton ko divya drishti prapt ho jati hai. To divya drishti kaise prapt hoti hai? Bhajan se bhajan se divya drishti prapt hoti hai. Koi aisa kshetra nahi hai jo darshan na de. Bade-bade siddho ka kshetra, bade-bade bhagwat svaroopon ka kshetra, bade-bade maha acharyon ka sab akar darshan dete hain jo bhajan karne wale hain. Ganga kinare to anubhavo ki barsat hoti thi kyonki ekdam ekant na bhojan ki vyvastha na koi avyvastha hi avyvastha jeevan mein aur nirantar bhajan vritt to anubhavo ki bauchhar hoti rahti thi.
yahan ka alag anubhav hai. Ganga kinare ka alag anubhav hai. Aisi sardi mein jaise sharir par koi vastr nahi bas kopi khal bhagyavanta aur trikal ganga snaan bhojan hai nahi. Koi chai nashta inki to kahin koi gunjaysh hi nahi. Wah mantrakaar keval vritti to jo anubhav hote wo anubhav rajaaai mein baithkar ke thodi honge. Jo anubhav avyvastha mein hote hain wo halwa kha ke thodi honge. Halwa puri kha ke anubhav thodi honge. Ye to siddho ka jeevan hota hai. Siddh paripakva avastha ko prapt ho gaye. Mahlo mein rakho chahe jhopdi mein unko koi fark nahi parta.
wo chahe halwa praarabdh anusaar mile ya bhukhe rahe us par bhi koi fark nahi parta. Lekin sadhak bhajan kaise badhe bas yahi vicharta rahe wahi khaenge wahi dekhenge wahi sunenge usi se milenge jisse hamara bhajan badhe kyonki bhajan se hi divya drishti prapt hoti hai. Kaun si tribhuvan mein aisi adhyatmik ya laukik pratishtha pad nahi hai jo bhajan se na prapt ho jae. Sab bhajan se prapt ho jaega. Bhajan karo asht siddhiya prapt ho jaengi. Bhajan karo nirwikalpa samadhi prapt ho jaegi. Bhajan karo mahanubhavon ke darshan hone lagenge.
bhajan karo divya Vrindavan ka darshan hoga. Are sadharan bhajan karne walon ki to srishti alag dikhne lagti hai. Unki drishti badal jati hai. Phir jo dat ke bhajan karte hain unke jeevan mein kya kami rah jaegi? Bhajan se hi divya drishti prapt hoti hai. Maharaj jinko divya drishti prapt ho jati hai unko kya dikhayee deta hai? Jahan nirantar raas ho raha hai aisa divya Vrindavan aise divya Priya pritam aisa divya raas vilas ye unko dikhayee deta hai. Charachar jagat Priya pritam mein dikhayee deta hai. Wo kaise dikhe Priya pritam?
jab is jagat se andhe ho jao. Mujhe nahi dekhna is sansaar ko. Mujhe Priya pritam ko dekhna hai aur Priya pritam se ro ki mujhe aap mil jao to wo kripa karke phir hamen mil jaenge. Bin roye kin pya ye pakki baat hai. Jab rudan hoga prabhu ke liye tabhi wo reejhte hain. Jisko prabhu ke charnarvind ka prem chahiye use sansaar se vairagya to dharan karna hi padega. Vairagya ka matlab Baba ji banna nahi andar se rag ka tyag karna. Ham to yah kahte hain ki brahmcharya aur naam jap se tribhuvan par vijay prapt kar sakte ho.
do baten pakar lo. Baba kah rahe hain ham to ye kahte hain ki brahmcharya aur naam jap se tribhuvan par vijay prapt kar sakte ho. Jo chaho brahmcharya aur naam jap bahut bejod sadhan hai. Par donon bahut kathin hai. Donon bahut kathin nirantar naam jap karna bhi bahut kathin hai aur barabar brahmcharya rahna bhi bahut kathin hai. Brahmcharya aur naam jap se tribhuvan par vijay prapt kar sakte ho. Prarambh mein yadi dikhave se bhajan hone lage to main uska virodh nahi karta. Main kahta hoon dikhava bhi ek din sacha bhajan ban jaega.
bhajan ka dikhava bhi karne lage to dhire-dhire damb nasht ho jaega aur bhajan shuddh hone lagega. Par damb tabhi chhutega jab sadhu sang hoga. Vastvik bhajan tabhi hota hai jab kisi mahapurush ka aashray le liya jaata hai. Bahari bahut se sadhan kiye antarik sadhan nahi bana jisse adhyatmik ki unnati kah rahe hain brahmcharya aur naam jap se tribhuvan par vijay prapt kar sakte ho. Aur naam jap nana ho keval brahmcharya ho to bhi kam nahi banega. Brahmcharya sadhan hai. Aur sadhya hai shri bhagwan. Sadhan karte hue sadhya ki prapti ho.
sadhya ke liye brahmcharya raha jae. Brahmcharya rahte hue nirantar naam jap sab kuch prapt ho jaega. Tum bhagwat darshan ki chinta mat karo. Bhagwat bhajan ki chinta karo. Kisi bhi prakaar tumhara bhajan banne lage. Bas sar baat yah hai hamare aur paramatma ke beech mein jo antray khai paida kar diya hai maya ne kanchan kamini kirti ki ise bhajan se pura karna hoga in khaiyon ko lang kar jana hoga wo bhajan se hota hai duniya ka chintan karte ho baithe baithe apne ko gyani ya bhagat kahlate ho kaise gyani bhagat ho jo duniya ka chintan karte ho gyani wahi hai jo swaroop mein sthit rahta hai bhakt wahi hai jo bhagwan ke chintan mein duba rahta hai aur to sab prapanchi hai.
gyan aur bhakti khilwad samjh rakha hai kya? Gyani aur bhakt donon na to duniya ki baat karte hain na duniya ka chintan karte hain. Ye keval avara aadmi jo hota hai wahi duniya ka chintan karta hai. Duniya ki baat karta hai. Ham use gyani ya bhagat nahi use avara aadmi kahte hain. Kayar purush kahte hain. Pujya padu Baba ji maharaj sacha bhajan ka phal hai ki sansaar dukh mein dikhne lage. Jaisa bhagwan kahte hain dukhalai dukh yo yadi chitt ko bhajan se khali rakhoge to ismen kam krodh lobh moh sab tut padenge aur tumhen bhrasht kar denge khali nahi ka Hanumant vipatti prabhu soi jab to sumiran bhajan na hoi ghar mein bahar panth mein kahun rahe ya deh tulsi sitaram so lagyo rahe sneh ghar mein bahar har panth mein kahun rahe ya deh tulsi sitaram so lago rahe sane apne isht ke chintan khas baat hai isht chintan aajkal jise dekho wahi updeshak ban jaata hai bhajan karte nahi hai pujypad Baba are bina bhajan kiye shastron ke shabdon ka bhav samjh jaoge kya yadi vidhi purvak bhajan nahi kiya aap shastron ko padh lo bhav nahi samjh paoge.
sthiti nahi hogi. Dekho jitna bhajan karoge to bina padhe aapke andar shastr jagrit hone lagenge. Khas baat bhajan hai. Bhajan karne wale ko vishay bhog achhche nahi lagte. Jise vishay bhogon ki chat lagi hai. Wo bhajnanandi ka natak kar raha hai. Bhajnanandi nahi hai. Yadi tum kuch bhi unnati prapt karna chahte ho to bhajan karo. Baba kah rahe hain tum nirbhal ho. Mahabalwan bhagwan ka naam hai. Iska sahara le lo. Bade ka sahara lene se bahut jaldi par hua jaata hai. Sabse bade bhagwan aur bhagwan se bhi bada bhagwan ka naam.
Ram se bada Ram ka naam. Kahan kahan lagi naam bardai Ram na sake naam gun gai. Atah naam ka sahara lo. Bhagwan ke naam ka sahara. Dekho batayen tumhare papon ka thikana nahi. Itne jama hai tumhare 84 lakh yoniyon ke chakra kitni bar kaat chuke ho wo sab karm jama hai tumhare. Kitni bar hamne kya-kya paap kiya. Tum samjhte ho ki vartman mein ham badhiya prayas karenge. Vyapar nokri safalta sukh mil jaenge. Jo paap hai unko kaun bhogega agar safalta ho jaegi. Isliye tum naam jap karo. Naam jap pehle tumhare papon ko nasht karega.
phir age safalta hi safalta hai. Bhajan karte raho bhajan. Isi se sare paap nasht ho jaenge. Dhire-dhire tum mahan atma ho jaoge. Bhagwan ke bhajan smaran mein itna bal hai ki zabardasti abhay pad prapt ho jaata hai. Param pad zabardasti param pad prapt ho jaata hai. Bariyai zabardasti bhagwan ka naam jap smaran karne wala bhagwan ko bhi adhin kar leta hai. Sumir pawan sut pavan naam apne bas kar rakhe Ramu ye dekho kitni badi baat hai. Yahi to samjh mein nahi aa rahi. Mahima roz sun rahe par nirantar naam pakar nahi pa rahe.
jo bhagwan ka smaran karta hai wo dusht se dusht swabhav wale manushya ko bhi badal karke uska udhar karne ki samarth rakhta hai. Satrati sarti salok tarti jo nirantar naam jap karta hai. Shraddha ho ya na ho bhav bane na bane khub bhajan karo zabardasti karo. Agar kahin shraddha ke saath bhajan hone lagega phir kya kahna hai man lo tumhari shraddha dan ki hai khub shraddha hai dan kiye dher sara dan aur ek vaishnav aparadh ban gaya sab nasht ho gaya kiye sukrit sukrit mane punya bahu janm ke kshan mein direct hue aur aapne 500 naam jab kiye aur aapse vaishnav aparadh ban gaya to 500 naam aapke bhagwan ke bank mein jama hai ab aapko dand milega prayashchit karna hoga aur jahan vaishnav aparadh khatm hua to phir 501 se shuru hoga.
500 mein koi mainas nahi hoga. Wah aapka bhajan divya rakha hua hai. Isliye kah rahe hain is baat ko samjho. Bade-bade tirth yatan dan punya ye sab ek jhaatke mein nasht ho jaega. Lekin avinashi bhajan bhagwan ke naam ka hai. Bhagwan ke bhajan se char baton ki prapti hoti hai. Bhagwan ke saman aishwarya bhagwan ke saman aishwarya. Logon ke man mein rahta hai ki santo ke paas itna vaibhav kahan se aata hai? Tumhen pata nahi anant bramhandon ko ek sankalp mein mere bhagwan ne bana diya aur unke das hokar nirantar bhajan karte hain to unke charnon mein nahi aayega.
siddhant hai. Jaise bina kisi prayas ke anyas hi samudra mein samasth nadiyan apne aap bhag bhag ke jati hain. Aise hi jo ekmatra bhagwan ka anannya bhakt dharmatma purush hai. Uske paas vishv ka sara vaibhav apne aap chala jaata hai. Bhagwan ke aishwarya ka gyan aur bhagwan ka aishwarya bhajan karne wale ko gher leta hai. Dusra tatkalik samasya ka turant samadhan. Aap bhajan karte ho aapki tatkalik samasya koi utpann hui uska samadhan saath hi saath hone lagega kyonki aap bhajan kar rahe ho. Tisra rajogun tamogun jo maya ke ye gun paap karate hain aur narak bhijwate hain inka jad se nash ho jaata hai bhajan karne se.
chautha janm maran ki samapti aur maha anand ki prapti. Ye char baten bhajan se apne aap ho jati hai. Dat ke bhajan karo. Bhajan karo. Kya chahiye tumhen? Jo chahiye wah mil jaega. Sachchi maniye. Sachchi maniye. Jab Vrindavan mein aae the. Ek vyakti ka prichay nahi, ek paisa nahi, ek inch jagah nahi. Kaise kuch hisse aap dekho ham kuch laye the kya kashi se? Ye maharani jhuka hai. Bole Baba gaadi se chalta hai. Kahan chalta hai? Kahan chalta hai? Vrindavan mein. Kaun chalata hai? Shri ji. Ham le aae the kya kashi se gaadi le aae the kisi se kaha hai kya gaadi de do malik ke naukar hai naukar ko kaise chalana hai ye malik jane itne bade malik hai wo chahe to viman manga de unke kya anant brahmand hai ham kiske hain wo jo salahkaar hote hain bade adhikariyon ke mantri aadi ke unko kya kahte hain piye ham piye hain shri ji ke shri ji ke shri ji ko salah dete hain kaise lal haan ab kaise shri ji ka peee chalega socho ek sant ko kisi ne sone ki ghadi bandhwa di thi aur atchi mein sab badhiya naye kapde shisyo ko lagta hai ki ham apne Gurudev ko kya de de sabko lagta hai hamare hriday mein har samay hota hai kabhi mere Gurudev mujhe adesh karen aur seva ka avsar aise sabko lagta hai ki apne Gurudev ki seva karen to kisi dhani shishya ke yahan gaye honge to usne bilkul dur dulha ki tarah saja diya tha.
sone ki janjir, sone ki ghadi patta aise aur sab aur train mein badhiya wale usmen baithaal diya tha. To samne do char suit boot pahne baithe the. Bola Baba ji bhaiya bole itna to hamare paas nahi jitna tum abhi liye baithe ho. Tum mein aur ham mein antar kya raha? Sant gambhir hote hain. To kaha bhaiya kaun station aa raha hai? Bole amuk ke bole chai pine chalenge. Bole haan ghadi utari atchi sab wahi rakh diya chain kholi wahi rakh diya aur jitne rupaye the sab chai wale se kaha chai banao chai bana chai piye tle haran baja to kaha sab rupaye chai ke bole Baba ji nahi bole sab chai ke wo bole ek ek chai aur banao bole bhaiya baitho ek-ek chai bole nahi gaadi ja rahi hai bole nahi ab hamara mood badal gaya ab ham chai piyenge yahan se idhar paidel jaenge wo bole atchi ho bole kisi ne diya tha koi le lega kisi ne diya tha koi le lega ham uske adhin thodi hain.
pahna diya, pahna diya, utar diya, utar diya. Agar aap samjhte ho ki keval baten aaj bhi na ek rupya hai, na ek vastu hai, na ek inch jamin hai, na koi bhi hamara hai. Keval shri ji kahin rajkiy vibhag mein kahin Premanand ke dastakhat ki zaroorat nahi. Haan, jis samay pani gir raha tha hit dham mein sab bhi rahe the. Katha ho rahi thi to us samay bhagwan se prarthna ki thi agar katha karwani hai aur shrotaon ko yah dukh dena hai to hamse sa nahi jaega kamp rahe hain thandi ka samay varsha ho rahi hai aur itne jiddi ek bhi uth ke nahi gaya bhagwat charcha hoti hai jo purane hain wo sab jante hain pheelda mein baithe tulsi ji ne vyvastha kar di satsang ke liye katha ke liye unki vyvastha hai jo bhagwan ka bhajan karta hai uska to aishwarya tum dekh hi nahi sakte ho maharaj ke liye sona chandi rupya paisa makan gaadi ghoda yah
to kasaiyon ke paas bhi hai jo bhole bhale pashu ki hatya karte hain unka mans bechte hain unke paas bhi hai sut dara dhan lakshmi papi ke ghar ho to ye hamare bhajan ka phal hai are bhajan ka phal tum kahan dekh sakte ho bhagwan ke bhajan se jab bhagwan adhin ho jaate hain to maya kya chij hai maya kya chij hai tum kya samjhte ho Baba ji haram ka khate hain baith ja char ghante hamare paas barabar dekho Baba giri hoti kya hai are puri ka pali pa jae bhagwan ka aashray bhagwan ka aashray are santo ke bhagwan ke premi janon ke mahajnon ke vaibhav ko keval keval bhagwan ya bhagwan jana de to jaan sakte bahari nahi hota bahari nahi bhagwan ke saman aishwarya prapt hota hai saman bhagwan ke saman aishwarya tatkalik vartman ke dukh ki nivitti tatkaalik rajogun tamogun ka nash janm maran ka nash aur maha parmanand ki prapti bhajan koi khilwad samjhte ho mala le liya bhagwan ka naam jap kar rahe bhagwan ke ashrit hai bhagwan ke liye kanthi tilak dharan karke samarpit ho chuke hain unke jeevan ka mulya keval bhagwan hai are
damb natak se kare to durgati nahi hoti damb kar raha tha wah pandak Vasudev use sarupya moksh ki prapti hui jo sachchai se bhagwan ka vesh dharan karke bhagwan ke marg mein agar thode hi kadam chal de bhagwan bik jaate hain. Yah sansari log jab bhiksha maang ke khate the to kuch baithe the aise vign jan bade jan bulaya ji yar tumhari zindagi kis kam ki hai to ham to kahne wale the kam ki hai hi nahi Ram ki hai hamari to zindagi hamari zindagi kam ki nahi hai hamari zindagi to shyama Shyam ki hai Ram ki aur ham kaha haan maharaj bole mangte ho dekhte hain maang ke late ho kamre mein ghus gaye phir nikle darshan karae phir kamre mein ghus gaye na kisi samaj na kisi hit ke karya kya jeevan aapka hai kuch uttar nahi wahi hit dham mein aae kya matlab jagat ka phir bhi kuch nahi bole ab donon ko milao donon ko mila ke wo Balram bhai brajvasi unse pocho pehle jeevan ko utna wo keval dekhe kashi ke ghat ka to jeevan wo dekhe jugal kishor yahi ab rahne lage Vrindavan unse baat karke dekhna kashi ke ghat ka jeevan kya donon jeevan mere nahi mere prabhu ke dwara karae hue.
ab wah jo jo chahe jaise jaise chahe vairagya dekhna to sadhak mein dekho jab samarpit paripakva ho jaata hai na prabhu chahe to sone ka mukut dulwa de aur prabhu chahe to padukaon ki mala dalwa donon mein barabar hai hamara ye tan nahi hamara jeevan nahi nath aapko bika hua jeevan hai ab agar ismen koi chandan lagata hai to aapka wo aapka chandan hai aapke lag raha hai agar isko koi gali deta hai to aapka ka mera nahi mera to kuch bacha hi nahi hai. To ab yah prashn nahi rahta ki hamko kya pavaya jaata hai? Hamko kahan rakha jaata hai?
hamko kaise rakha jaata hai? Ab ye prashn nahi rahta. Tab rahta hai chahe ghee ghana chahe mutti bhar chana kabhi wo bhi na bana jaise mere nath chahe. Lekin aishwarya bhagwan ke saman. Jo purush papon mein pravatt hai, manmani aacharan karta hai, bhajan nahi karta hai, to purv punya se usko sampatti milti hai. Lekin kuch hi kal mein wo sampatti aur jo kuch bhi hota hai, sab samet kar nasht ho jati hai. Ho sakta hai purv paap ke karan aap bhajan kar rahe hain. Abhi aapko na sampatti mili, na koi vaibhav mila, na koi bhog mila, nana prakaar ke kasht sah rahe hain.
lekin yah kasht kuch hi dino mein sab kohre ki tarah nasht ho jaenge aur surya ki tarah anand prakashit ho jaega. Bhajan sadharnatya jo bhagwan se vimurkh hain ashastri kam karte hain aise papi janon ko kabhi sukh milne wala nahi. Sambhav hai kisi sant ka sang mil jae. Wo bhi sudhar jae. Bhagwan ke marg mein chalne lage to unko parmanand ki anubhuti ho jaegi. Kyonki gita mein bhagwan ne kaha hai api suduracharo bhajte mam anannya bhag sadhu samant samita hisa chahe jitna bada durachari ho mere charnon ki sharan mein aa jae mujhe anannya bhav se bhajan karne lage to main use sadhu hi manta hoon aur tum bhi sadhu mano sadhu samavya kyonki chhipti dharmatma main use mahatma banaunga kah sate sadh samana ghor durachari ko bhi main mahatma banaunga bhagwan ki sharan mein aa jae kisi sadhu sang ke prabhav se to nich durachari bhi mahatma ban jaata
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- ekantik vartalaap evam darshan #1441 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- brahm gyani mahatma apna sharir chhota hai to uska sukshm sharir kahan jaata hai? — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- ekantik vartalaap evam darshan #1440 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- diwali par maharaj ji ke amritmay vachan | Diwali Special — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- ekantik vartalaap evam darshan #1439 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- ye 9 galtiyan aapki puri sadhna bigad sakti hain — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…