ekantik vartalaap evam darshan #1424
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
haridas ji maharaj Barsana se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji dandvat pranam maharaj ji ladli ji ke liye khub rona tadpna aae iske liye kaise kripa hogi seva ban jae ladli ji ki seva mein agar hamen kahin saubhagya mile ya ghar mein seva virajman karen. Seva se jo priti hoti hai aur priti se rona aata hai, tadpna aata hai. To agar ham shri ji ki shri ang seva prakt shri vigrah seva prapt kar le aur wah bhi nishtha purvak. Jaise Jaymal ji nishtha purvak thakur seva karte the. Seva mein vighna na par jae.
isliye unhone niyam lagu kar diya tha ki 10 ghadi jis samay main seva mein jaaunga agar us samay kisi ne kisi bhi tarah ki suchna di to use jaan se mar diya jaega. 10 ghadi ek ghadi 24 minute to 10 ghadi char ghanta char ghanta hote hain. Char ghanta wo aisi seva karte the ki koi bhi unko suchna bhi nahi de sakta tha. Itni seva mein sanlagnata ab jahan pravesh hue thakur ji ka pat band kiya aur snaan shringar char ghante puri tanmayata purvak seva karte sashtang dandvat karte aur jab bahar nikelte tab koi baat kar sakta tha.
yah mador ek raja jo mador ka raja tha unka bhai tha. Uske man mein aaya ki char ghante koi suchna de nahi sakta aur 4 ghante mein ham vijay prapt kar lete hain. To usne asopas jo hai Jaymal ji ki rajdhani ko gher liya. Ab jab ye suchna pahunchi to ab kisi ki himmat nahi ki seva mein wo hai aur jae kyonki mar dala jaega. To sabne ki yuddh karne mein to ham samarth par bina raj agyaa ke yuddh kaise prarambh ho aur Jaymal ji ka niyam tha char ghante koi suchna nahi de sakta nahi to mara jaega to yah hua rajmata se prarthna ki ki aapko nahi marenege jo Jaymal ji ki maa thi aap jakar keval agyaa bhar le aao to wah gayi aur unhone kaha shatru paksh ne charon taraf se rajdhani ko gher liya hai aap agyaa dijiye kya kiya jae to unhone kaha Ram jo karenge wah sab bhali hogi piche mudkar nahi dekha seva nahi roki aur kaha jo Ram karenge wah bhali hi hogi bhagwan jo karenge wo bhali hi hogi jao wo wapas chali gayi to agyaa to hui nahi to bhagwan ne jab dekha ki mere ashrit itna meri seva mein sanlagnata to swayam bhagwan rajput sipahi ka vesh dhar ke Jaymal ji ke ghode par chadhe aur jakar ke yuddh kiya.
sabko murchhit kar diya. Ghyal kar diya. Mara ek ko bhi nahi. Sab murchhit ho gaye. Banon ki varsha se sabu ab Jaymal ji jab char ghanta apni seva karke nikle tab unhone kaha hamara ghoda lao. Main abhi shatru paksh ko uttar deta hoon. To ghoda haaph raha tha aur pasina se lathpath tha. To unhone kaha aisa lag raha hai yah to bahut yuddh karke aa raha hai. Yah ghoda hap kyon raha hai hamara? Kisi ne kaha iska to koi pata nahi. Pasina pasina ghoda aur dusra ghoda raj ghode to bahut hote hain. Dusra ghoda mangaya aur jab wahan gaye to sab murchhit pare.
to jo shatru paksh ka raja tha usko chetna dil jo chetna dilai so Jaymal ji ke hath jod ke kaha mujhe ek bar us sainik ke darshan kara do. Jo aapka ek sipahi aaya itna balvan ki sabko murchhit kar gaya mara kisi ko nahi aur hamko to banon se bhi ghyal kiya aur apne netron se bhi ghyal kiya ek bar hamko apne sipahi ke Shyam sipahi ke darshan kara do wo jo Shyam rang ka tha to Jaymal ji ne kaha Shyam rang ka sipahi to unki samjh mein aaya wo to mere bhagwan the jinki main seva mein tha laut ke aae ghode ki parikrama ki aarti utari ki bhaiya mere ko to aaj tak darshan nahi hue lekin tere ko darshan bhi ho gaye aur tere ko sparsh bhi prapt ho gaya.
bar-bar ghode ka aalingan kiya. Ghode ki aarti utari, ghode ki dandvat ki. To jab ham bhagwan ki seva mein is tarah tanmay hote hain ki hamen kuch bhi ho jae. Ham seva se nahi nikal sakte. Tab hamen priti ho jati hai aur phir bhagwan bahar le lete hain. Abhi man lo agar nishtha na hoti to suchna milte ki shatru paksh ne gher liya hai to seva chhodkar yuddh ke liye to phir yah ghatna thodi ghatti. Itni seva mein tanmayata ho ki kisi bhi tarah se ham seva mein vikshep na sah aur ladli ji se ham to priti ho jaegi.
phir jisse priti ho jati hai usse pragat mein milne ka man hota hai ki ek bar pragat mein mile. Phir tadpna, rona, sisakna yahi usko jine ka rasta milta hai. Jo bhagwat premi hota hai wo tadpna, sisakna, rona to ham seva par vishesh dhyan den. Hamari shri ji rai ki seva ko Meru ke saman samjhti to phool seva shringar seva pocha seva Sohni seva jaise aap Barsana mein virajte hain to ladli ji ke mahal mein kuch na kuch seva liye pragat mein shri thakur ji viraj ghar pe viraj haan to phir unki seva karo khub seva mein seva se hi priti hoti hai aur priti mein hi tadpna rona hota hai seva pehle shri ji ladli ji ka anubhav hote the ab kuch dino se anubhav hamare bahut to dekho khanpan to nahi bigad gaya koi rasikon ka aparadh mansik to nahi ban gaya nahi to ye to pratikshan vardhmaanam prati kshan varnaman mane badhna chahiye ek ruk kyon gaya ghat kyon gaya to do hi karan hote hain ekdam ruk jana to kisi rasik ke prati he bhav bhi ho gaya to ruk jaega jaise hari Ram vyas ji ke hriday mein ek bar Kabir das ji ke prati bhav aaya ki to nirguni sant hain.
nirgun nirakaar bhagwan ki upasna karte hain. Yah nikunj prem ras aisa to hariram vyas ji ke hriday ki leela ruk gayi jo prabhu ki chalti thi. Tab Harivansh mahaprabhu se kaha to Harivansh mahaprabhu ne kaha bhagwan ke kisi ladle ka aparadh ban gaya. To unka aisa to ham kyon vaishnav aparadh karenge? To unka dhyan kar to unka Kabir das ji ke prati aisa kaha bole yahi aparadh ban gaya to ab Kabir das ji ko rijhao to yamuna kinare phir kali mein sancho bhakt Kabir aise pad ki rachna karke gayan kiya to yamuna ji ki dhara se Kabir das ji prakt hue to Kabir das ji ne kaha ki bhagwan alag-alag santo ko apne naam rup leela dham ka prachaar prasar karne ke liye bhejte hain.
iska matlab ye thodi hai ki bhagwan usko ras se vanchit kar dete hain. Sab ras ka adhikari bhakt hota hai. Tab wo samjhe to kahin kisi sant bhakt vaishnav ke prati thodi hamari malin buddhi ho jaegi to phir hamara jo hai bhav ruk jaega. Phir hamare chintan mein kami aa jaegi. Maharaj ji bhautik jeevan mein samaj mein hamare vichar samne wale ke prati achhche hone par bhi kabhi-kabhi samne wale ke bhav hamare prati galat hote hain. Fark parta hai. Hamen kya fark parta? Galat aur achhche ki pehchan karne mein kabhi-kabhi galti ho jati hai aur uske bhav hamare prati galat hain.
yah samjh baad mein aati hai. Nahi hamen koi fark nahi parta. Tere vichar galat ho to ho hamare vichar tere liye achhche hain na phir hamare koi fark ki baat nahi. Hamare dwara galti nahi honi chahiye. Iske baad koi galat karta hai to mere rakshak bhagwan hain. Mera koi bal banka nahi kar sakta hai. Ab hamne aapke prati accha bartaav kiya. Aap hamare prati bura bartaav kar rahe hain. To hamen aapke prati shikayat nahi. Mera koi karm hai jiska parinaam mujhe bhogna hai. Aapko nimit bana karke wah karm hamare upar lagu ho raha hai.
ham aapko kabhi doshi nahi thahraenge. Yah paramarth hai, adhyatma hai. Haan, aapka stri sharir hai. Stri sharir mein yadi koi kisi bhi tarah ki kam janit harkat karta hai to usko bardast karne ki zaroorat nahi hai. Hamare sarkari kanun hai. Un kanunon ka sahara lijiye aur bchie. Pahli harkat mein hi usko dand dene ka vidhan kijiye. Dusra kadam badhane ki koshish na hone pave. Yah adhyatma ko samjhiye. Adhyatma ka antarik vishay alag hai aur bahya vishay alag hai. Vihaar ka. Vihaar ka vishay jaise aapka stri sharir hai aur aapko koi chherd raha hai.
aap kah do kshma to dusri bar pakar lega wo aapko aur kanun is samay bharat ki striyon ke prati bahut support mein hai. Bahut support mein hai. Bahut sundar-sundar kanun mane durpayog na karen. Lekin apne prati agar koi aisa akshamya aparadh karne ki soche to usko rasta na de. Kyonki aajkal raaksasi buddhi badh rahi hai. Bachchiyon ke prati bada krur swabhav ban raha hai. Haan to hamara bilkul pehle kadam mein hi pahli drishti mein hi aap turant kanun ka sahara lo aur unko dand dilwao. Ye aise log kshma ke patr nahi hote.
ek dar sa ban jaata hai maharaj ji ki hamare parivaar ko koi vikshep na kar de ya aisa jo hoga dekha jaega. Bhagwan hai. Sabke sochne matra se thodi ho jaata hai. Agar nash likha hoga to nash ho jaega. Aise kaise tum nash kar rahe ho? Tum brahma ho kya? Tum bhagwan ho kya? Dekhenge ham bilkul darpok nahi banna chahiye. Bilkul himmat rakhna chahiye. Dekhenge agar ham aise ho dekho bilkul bilkul fit tayyar rahna chahiye. Marna jis din hai usi din marenge. Lekin iske beech mein tum hamko hastakshep karoge.
bilkul kadak rahna chahiye. Aur agar ye jara bhi is tarah ka ki ek do log hain hastakshep kar rahe hain to kisi tarah backar nikalna chahiye. Iske baad phir sarkari sahyog lekar ke apne bachav paksh ko rakhna chahiye. Yah samaj ab aisa nahi kshma karne layak. Ab naye-naye bachchhe bahut udand hote chale ja rahe hain. Bahut uddand nasha karne lage hain. Gandi baten dekhte hain mobile mein aur usi ka prayog praiktikal karna chahte hain. To gande gande aacharan, gandi gandi baten ho rahi to ham bahno se prarthna karte hain. Bilkul kshma mat karo.
ji ek samadhan aur de dijiye. Ji maharaj ji hamse galti ho gayi aur ah samne wala hamen bahut blackmail kar raha hai aur aur phir galti pe galti ban rahi hai. Aisi sthiti mein ham depression bilkul blackmail nahi hona chahiye. Agar hamse galti ho gayi to ek bar galti ho gayi. Mana ki tere saath ek bar galti ho gayi. Galti ho gayi to ye thodi mummy jane, papa jane, vishv jane to bar-bar thodi ham blackmail hote rahenge. Ek bar hamse truti ho gayi, ek bar galti ho gayi. Dabna nahi chahiye ki ek bar hamse galti ho gayi.
ham bhed khul jaega. Maharaj ji meri 17 sal ki beti hai. Ji. Wo jaise ektiva pe jati hai wo mujhe ghar aake bolti hai mamma papa ki umr ke haan aise galat nahi bilkul bilkul bilkul bilkul nahi aajkal umr umr ka nahi sabki buddhi bhrasht hai jo bhagwan se bilag hai jo dharm se bilag hai jo adhyatma se bilag hai bhrose layak nahi 80 varsh ka bhi isliye aaj ka jo samay hai adhyatma se jo juda nahi hai jo adhyatma se juda nahi adhyatma se juda hai to dekho ye bachchha hai ye ro ke kah raha hai mere se galti gandi baten andar aati hai.
adhyatma se juda hai to sabha mein chhota bachchha hai. Kah raha mere andar gandi baten aati hai. Adhyatma se na juda ho to itni baat kaise kah sakta hai? Adhyatma ke bina jude pashuta nahi jati. Asuri pravriti nahi jati hai. Radhe-Radhe maharaj ji Gurudev kuch maah pehle mere ek sahpathi se mitrata ho gayi thi aur main us vyakti mein aasakt ho gayi aur ek dusre se jeevan sathi jaise sambandh bhi koshish hue. Maharaj ji halanki wo zyada din tak tike nahi na hi rahe par kuch paristhitiyan ai aur sab khatm ho gaya parantu meri usmen asakti itni zyada ho gayi ki main use bhul nahi pa rahi maharaj ji wo vyakti dikh jaata hai vasnaon ke khel kheloge man malan hoga to bhul kya paoge are dhikkar hai aise jeevan ko ki jo manushya jeevan milne par bhagwan ke liye baat nahi ai ki main bhagwan ko bhul nahi pati hoon.
yah jeevan ka to labh hona chahiye. In nashvan shariron mein asakti karke indriy jan sukho mein bhog sukh ka anubhav karke main unko bhul nahi pati to dhikkar tumhari buddhi ko apne jeevan ko patit karke bhrasht karke buddhi ko manushya mein aasakt kar liya yahi to narak jane ka rasta hai aur kaun sa rasta hai jeevan sathi chunna hai to ek bar chun liya aur aaj jeevan uska nirvah kiya to to jeevan sathi hai to vybhchar pravriti hui aaj isse kal usse parso usse narson usse jise aajkal log kah rahe hain breakup boyfriend girlfriend breakup phir boyfriend phir breakup phir tisra boyfriend ye kya hai kya aaj shasan nahi hai na mata-pita ka shasan hai na samaj ka shasan hai na shastr ka shasan na bhagwan ka shasan koi sweekar nahi hai na isliye manmani aacharan hote hain manmani aacharan karne ka adhikar kisne diya tumko bhaiya ek bar pani grahan kiya to aajeevan nirvah kiya apne par shasan nahi apne dharm ko nahi jante ho sharir sharir ka bar-bar apvitra hona yah kya hai?
man sharir mein laga hua hai. Man apvitra ho raha hai. Paap ka khajana ban raha hai. Narak jao, narak bhogo. Ye durlabh manushya deh ka kya labh mila? Aajkal yahi pravriti chal rahi. Tumhari baat nahi bachchha. Ye aajkal pravriti yahi chal rahi hai. Ye koi matlab nai baat nahi. Yahi pravriti chal rahi hai. Bhagwan ka naam jap karo. Sanyam se raho. Agar stri sharir hai to kisi ek purush ka ek bar varan karo. Aajeevan varan karo. Chhut jae to brahmcharya se raho aajeevan brahmcharya raho yah vichar pravriti se narak jane ka rasta hota hai triwidh narkasdam dwaram nashnatma kam krodha tatha lobha tamam taje ye teen narak ke dwaar hai kam krodh lobh inhi mein jo fanse hue narak jana hai aur kya karna hai narak ki pravriti karni hai bhul nahi pate tumhen ghrna ho jani chahiye ki jiske liye maine sharir samarpit kiya wo aadmi mera nahi hua to wo bhulne yogya wo ghrna karne yogya hai.
naam jap karo aur sahi raste se chalo nahi to kisi kam ka manushya jeevan nahi rah jaega. Ham kahte hain dosti karna paap nahi hai. Koi bhi kisi se bhi dosti karo lekin dosti gandagi karna paap hai. Vybhchar karna paap hai. Ye kyon karte ho? Agar aapko dosti pakki to aajeevan nirvah karo. Mata-pita ka ashirwad lo. Devtaon ka archan vandan karo. Byah karo. Ek saath raho koi baat nahi. Aajeevan raho. Yah kya hai? Isse bechar, usse bhi vichar, usse bhi vichar to kisi ka shasan nahi hota. Isiliye manmani aacharan hote hain.
koi tumhari bahut avastha hai kya? Ye manmani acharno se kya hoga? Apne jeevan ko khokhla karke narak jao, narak ka rasta pusht karo. Isliye bachchha savdhaan naam jap karo aur savdhaan raho aur bhagwan ka aashray lekar ke dharm purvak jeevan vyatit karo. Manushya jeevan yah divya mila hai. Isse bhagwan ki divyta prapt karo. Ham kahte hain theek hai grihasth mein jana hai grihasth mein jaiye lekin kisi ek purush ka aisa varnan karo dekho aajkal manmani chal raha hai mata-pita var khojte the panditon se vichar kiya jaata tha bade dharm purvak devi devtaon ki aradhna karke byah hote the aajeevan nirvah hota tha hamne kabhi nahi suna divorce ganv mein kabhi divorce nahi suna hamne ye jo vybhchar pravriti shuru hui na girlfriend aur boyfriend aur liv in relation yahan se shuru hua hai divorce nahi hamne kabhi divorce nahi suna aajeevan nirvah kyonki mata-pita ne kiya devi devtaon ka pujan karke shastr ke pandit ke anusaar agni ke phere lekar tab kahin wo dharm se chalo is tarah ke manmani aacharan koi bhi mat karo nahi to pachtana padega sansaar ka bada vichitra swaroop hai hosh mein chalna chahiye acharya akhilesh anand ji haridvar Radha vallabh shri Harivansh Radha vallabh shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ham sab kuch jante hain dharm kya hai adharm dharm kya hai?
par sab kuch jante hue bhi adharm aur nahi jante ho nahi jante ho. Jankari use kahte hain ki jab jaan gaye to je jane jag jae harae jage jatha swapna bhram jae. Swapna mein jaise ham jage hue hote to kya jage hue hote hain? Kya swapna mein ham kriyaen karte dekhte hain aur aisa thodi lagta hai ki main swapna dekh raha hoon. Aisa lagta hai main jaga hua hoon. To kya wo jaga hua hota hai kya? Wah agyani swapna mein apne ko jaga hua jaise manta hai to jaga hua nahi hota. Aise aap agyaan ki dhara mein ho aur aap yah jankari kar rahe ho ki mujhe dharm ka pata hai.
mujhe adharm ka pata hai. Jaise apne ko jankariyan jo kuch hai jo uplabdha ho chuki hai wo prakriti janny keval buddhi tak hai. Aapke anubhav mein nahi hai. Anubhav mein nahi to pata pura halwa banane ki prakriya aati hai lekin kabhi baithkar ke bana ke paya nahi to kya fayda? Jis jankari ka prayog na ho sake wah jankari hamari kis kam ki? Baat samjh rahe hain na? Iska tatparya hua ki ham adhyatma bal se kamzor hain. Ham jante hain ki ye nahi karna chahiye. Ham jante hain ye karna chahiye. To jo karna chahiye wo kar nahi pate.
jo nahi karna chahiye wo ham chhod nahi pate. Imandari ka vishay yah hai. Iska karan hamare andar adhyatma bal ki kami hai. Ham agar prashantatma vigat brahmachari vrat sthit agar ham sanyam se chale apne antahkaran mein nirantar bhagwat chintan karen. Brahmachari vrat se sthit ho aur nirantar paramatma chintan karen to abhi aa jaega. Jo nahi karna aur nahi karna chahe pran nikal jae aur jo karna hai wo utsah sampann hokar ke karna hai to hamare andar jo jankariyan unka prayog na karne ka jo hamare andar asmarthta hai wo adhyatmik ki kami hai.
yadi ham khub bhagwan naam jap karen shastr swadhyay karen. Brahmcharya se rahe pavitra ahar karen to bahut badhiya aa jae. Bahut badhiya aa jae. Sthiti ban jae hamari aur ham bhagwat chintan rahit hain. Isiliye hamare to isliye yah jankari hote hue bhi ham nahi jankar hain. Jankari agar jitni aapko jankari agar uska prayog kar le to aap brahm siddh mahapurush ho jae. Kisko jankari nahi? Jab ganv mein log shav yatra karte hain. Bole Ram naam satya hai. Satya bolo mukti hai. Isse bada aur kya gyan hoga?
is gyan se bada aur kya gyan hoga ki pure tribhuvan mein agar satya hai to bhagwan ka naam satya hai aur bhagwan ka naam bolo to mukti hai lekin wo bidi pite hue laute hain. Unko koi matlab nahi ki kya ga rahe hain. Wo samjhte hain marne wale ke saath ye gaya jaata hai. Bas wo geet gate hain. Wo uska bhav to samjhte nahi hai. Isliye hamen sabko jankari hai. Apne kalyan bhar ke liye sabko jankari hai. Sab koi janta hai marna hai. Sab dekh rahe hain ek dusre ka marna. Sabko pata hai yahan sab nashvan hai.
sabko pata hai yahan se koi kuch leke nahi jaata. Bas itni jankari kafi hai. Agar ham paramarth mein chal den aur itni jankari hamari pakki rahe to ham to mahatma ban jae. Lekin ye jankari na jankari ke antargat hi hai. Jaise swapna mein jaga hua manta hua bhi wo so raha hai. Wo apne ko jaga hua manta hai. Lekin jab jagega to swapna hat jaega. Jagne ki pehchan hai swapna hat jaega. To sachchi jankari ka matlab hai dharm ki jankari ka matlab hai je jane jag jai jage jatha swapna bhram jai jo jaan gaya to uske samne se sansaar aise gayab ho jaata hai jaise swapna ka pura ka pura drishya jagne par gayab ho jaata hai.
phir dikhayee kya deta hai? Siya Ram main sab jag jani karahu pranam jor jug pani to ham apni jankari ko satya banain ham apni jankari ka prayog kar sake isliye khub naam jap karo aur brahmcharya ka jarur dhyan do aaj vybhchar paraayan hamari janta ho rahi hai jidhar dekho vybhchar ka bolbala hai wo sab apvitra buddhi adhyatma ko dharan karne ke liye grihasth mein hai to uchit brahmcharya aur virakta mein hai to purn brahmcharya brahmcharya ke bina brahmcharya jeevan ki niv hai ye aajkal naye-naye sab jitne bachchhe hain na girlfriend
boyfriend hastmaithun ye wo sab nasht kiye de rahe hain apne aap ko ye kya hai manushya jeevan ka uphash kar rahe ho dev durlabh manushya jeevan ka uphash kar rahe ho bade bhag manush tan pava sur durlabh sad granthan gava sadhan dham moksh kar dwara paye na je parlok sambhara so partr dukh pav sir dhun dhun pachtae kalah karm ishwar mithya dosh lagae isliye khub naam jap karo mohit sethi ji Gurugram se ji Radhe-Radhe maharaj ji shri Harivansh maharaj ji pehle 25 varsho tak arthik kathinaiyon ke karan maine padhai aur ab office ke kam ko hi shreshth karm mankar ab tak jeevan bita bas is asha mein ki parivaar ko sambhalun lekin jab se aapko guru guru sweekar kiya tab se samjh aaya ki jeevan ka ekmatra lakshya bhagwan ko purn rup se samarpit hona hai maharaj ji ab is ode par pahunch chuka hoon ki jahan roz 13 14 ghante kam karna parta hai aur saath mein naam jap mein maharaj ji bahut kathinata aa rahi hai keval ek hi ghanta din mein de sakta hoon naam ko maharaj ji abhi man mein pida hoti hai chinta hoti hai dar bhi
hota hai lekin 14 ghanta har samay aap bolte to nahi rahte na kriyaen bhale kar sakte hain koi bhi kriya aur usmen bhi hamen minute second ka to samay milta hai na us minute second ko Radha Radha Radha Radha aur pure ke pure 14 ghante bhagwan ko samarpit kar dena. Ye karm samarpan ho jaega aur bhagwan hriday se bhagwan ke ashrit ho. Jo shesh samay mile aapke 14 ghante mein usmen Radha Radha Radha Radha Radha Radha usmen naam jap karo aur jo 14 ghanta ke baad chha ghanta sone mein samjh lo to 14 chha kitne hue? 20 hue to char ghante to abhi bache wo char ghante kahan doge maharaj ji kya hota hai ki jaise 13 14 ghante kam kar rahe hain regular uske baad bhi kyonki aadat aisi padi hui hai ki usi ke bare mein sochte rahte hain ki us kaise nahi galat baat isi ko sudharo wo sthai chij nahi hai maroge to na office jaegi aur na ye sab karya jaenge tumhare ek kartavya puja hai.
ham 14 ghante samay usko den. Ham nahi kahte ki aap 14 ghante samay mat do. 14 ghanta samay diya. Iske baad karya pranali ke staaph. Ab ham dusra apne jeevan ko parloulik unnati ke liye ab ham thoda satsang sunte hain. Thoda sa shastr swadhyay karte hain. Ek ghanta le lo uska marjan karne ka. Hamare dwara usmen se kya galti hui? Kya unnati ke liye hamen karna chahiye? Us par vichar kar lo. To teen ghante phir bhi bachte hain. To teen ghante bhajan karo. Shastr swadhyay thakur seva naam jap teen ghante bhagvatik karo.
14 ghante sansarik karo. Ek ghante donon karyo ke chintan ka karo. Chha ghante so jao. Pura vibhag ho gaya 24 ghante ka. Imandari se yadi karo to bhajan ke liye sabko time hai. Aur beimani karo to kisi ko time nahi hai. Bole ham to grihasth hain. Bas ek shabd mein mara ki pura ka pura jeevan barbad kar diya. Are grihasth ho to kya har samay tum kam mein lage rahte ho. 12 ghante 14 ghante kam karne ke baad chha ghante sone ke baad char ghante bache ham do ghante chhod dete hain. Ek ghanta bhojan ek ghanta manoranjan to do ghante bhajan karo.
120 minute agar bhajan karoge to tumhen anand ki prapti hone lagegi. Ye beimani na ki jae. Manoranjan mein sansaar ke is karyo mein hi keval jeevan nasht kar dene se jeevan ka labh nahi. Jeevan ka labh us din ki yad karo jis din tum maroge. Ham to adhyatma hamara us din ke liye tumhen balvan banata hai jis din tumhari mrityu aayegi na tumhari patni saath hogi na tumhara mitra saath hoga na tumhari office saath hogi na bank balance hoga na ghar hoga na koi samgri hogi kya pura jeevan barbad kar diya ab jane ke samay tumhare paas kya hai is lok se kya le jaoge is lok se le jane ke liye bhagwan naam Radha Radha Radha jo naam jap kiya jo paropkar kiya jo dharm kiya jo teerthatan kiya yah tumhare saath jaega to manushya jeevan mein ek paksh udhar bhi rakho to ek paksh age ke sambhalne ke liye bhi rakho parlok sambhalne ka bhi rakho to isliye do ghante to bhajan karo hi aur ek se dedh ghanta to ho jaata hai roz ka ji haan bilkul theek hai aur beech-beech mein naam jap karte raho aur shesh jo bhi samay aapka wo bhagwan ko arpit karte raho ye karm samarpan aur bhagwat smaran ke prabhav se nischit bhagwan ki kripa prapt hoti hai chahat Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji bhagwan ki kripa sab par saman rup se kyon nahi hoti?
kuch logon ko sukh aur safalta milti hai jabki anyon ko dukh aur sangharsh ka samna karna parta hai. Iske piche kya reejan hai? Nahi bachchha bhagwan ki sab par saman kripa hai sab mam priy sam upaj aankh kan nak sab sharir ki suvida sabko vayu sabko surya sabko chandrama bhagwan ki taraf se sabko saman kripa hai jaise kheti pita apne putr ko panch ko de ab ek ne bambul boya ek ne aam boya ek ne gehun boya ek ne chana boya ek ne ganna boya ab pane ko kya milega bambul wale ko kanta milega. Ganne wale ko ganna milega.
chane wale ko chana bhagwan ne hamko bharat bhumi mein janm diya. Hamare karm kaise ho rahe hain? Unka phal kaun bhogega? Gita mein bhagwan kahte hain avashya mein bhoktuvi kritam karm shubhasham. ₹100 rupya pita ne sabko diya. Ab ek ne sharab mein uda diya. Ek ne gandi baton mein, ek film dekhne mein, ek jue mein aur ek ne jakar bhagwan ka kam kiya. To alag-alag ₹1 sabko barabar diye lekin alag-alag hone ke karan char ko dukh milega aur ek ko sukh milega to bhagwan sukhdukh ke data nahi hai nij krit karm bhog sun bhrata kon kan ke sukhdukh kar data apne karm ka bhog hi hamko bhogna accha ham logon se karm kharab ho gaye bhagwan ne aisa nahi kiya bhagwan ko koi priy ho bhagwan ka koi apriy ho aisa nahi sab mam priy sab mam upjae sab bhagwan ke bete hain.
sab bhagwan se prakt hain aur sabko bhagwan barabar pyar karte hain. Sab par mor barabar daya. Bhagwan ne kaha par hamare aacharan bigad gaye. Hamare karm bigad gaye. To jaise ham karm karte hain. Paap karm ka phal dukh aur punya karm ka phal sukh. To hamare dwara jab paap karm adhik hote hain to hamen dukh bhogna parta hai. Dekho nahi manmani manushya sharir mila hai. Murga kha rahe hain, bakra kha rahe hain, gay kha rahe hain, bhainsa kha rahe hain. Rakshash bane hue log hain. Dekho na aajkal kya ho raha hai? Girlfriend, boyfriend vybhchar ki pravrittiyon.
ab iska phal tum sukh chahoge. Karoge, vybhchar karoge, vyasan karoge, hinsa khaoge, mansamri iska parinaam sukh chahoge. Narak bhogoge, yahan bhi dukh bhogoge, wahan bhi dukh bhogoge. Sanyam se chalo, brahmcharya se raho, shastr swadhyay karo, satsang suno, naam jap karo, jeevan par daya karo, dusron ka mangal karo. Abhi anand aa jaega. To anand ka marg hai idhar aur chal rahe hain idhar to phir kaise anand prapt hoga? Par marg hamare sab prabhu ke banae hue hain. Hamare prabhu ne sab marg banaya hai. Narak ka marg bhi bhagwan ne banaya, Baikunth ka marg bhi bhagwan ne banaya, swarg ka marg bhi bhagwan ne banaya.
aapko bhi bhagwan ne banaya. Ab aap chalna kis marg mein chahte ho? Sab marg aapke samne aap bhut ban sakte ho. Aap devta ban sakte ho. Aap mahan ban sakte ho. Aap nich ban sakte ho. Jaise aacharan karoge waise ban jaoge. Ismen bhagwan ki baat nahi. Samjh pa rahe hain aap? Sourabh ji faridabad se. Radhe-Radhe. Radhe-Radhe maharaj ji. Maharaj ji koi bhi adhyatmik karya ke samay jaise naam jap se 84 ji ka path ke samay man bahut zyada sansarik vishyon mein bhagta hai maharaj ji itna to wo dainik karyo ke samay bhi haan aisa hi anubhav hota hai kiska hai prashn haan wo bhagta nahi hai delete hota hai usmen jo bhara hua hai jaise mobile mein koi message delete hona ho to pehle samne aata hai na to aise jab wo sansarik karya karta hai tab wo kawar karta hai andar apne leta hai jab ham naam jap karte hain dhyan mein baithe bhagwat chintan karte hain ya bhagwat path karte hain to us jaise chip hai na aise ek man hai bhagvatik chip anant janmon mein jo jo hua hai wo sab bhara pura ka pura delete karna hai to jitna ham naam jap karte hain utni gandi gandi baten jo ham sochna bhi nahi chahte dekhna bhi nahi chahte karna bhi nahi chahte wo bhi sab baten usse niklti kabhi utaptang ki baten niklti kabhi bhut ki kabhi bhavishya ki chinta ki to hamko usko shant bhav se rahna nirapeksh drashta bhav hamko na to pareshaan hona hai aur na accha lagna chahiye.
bilkul drashta bhav se apne karya mein ham magan hai. Naam jap karne mein wah phenk raha hai gandi baten wo nirmal ho raha hai. Jitna nirmal hota jaega utna anand aata jaega. Aur jahan pura nirmal hua to nirmal jan man so mohe pava mohi kapt chhal chhidr na bhawa. To hamko ye dekhna chahiye hamare man rupi chip se ye sab delete ho raha hai. Aa nahi raha. Aata tab hai jab ham bhagwan se vimurkh hokar ke kriyaen karte hain. To seesi camera ki tarah man sab kawar karta rahta hai aur jab ham bhagwan ka bhajan karte hain tab wo sab delete hoti rahti hai.
to kawar karna kam karo. Ham naam jap har samay karte hue kriyaen karen. Dekhna sunna sab mein bhagwan ki bhavna karen to hamare man mein achchhi chijon ja rahi hain. Aur jo buri chijon bhari hai wo delete hoti chali ja rahi hai. Tabhi to samay lagta hai na. Nahi to aise tatkshan bhagwat prapti ho jae. Ek naam bhagwat prapti kara de. Ek naam trailok hi tare jo na le so janm hare. Ek bar jin naam li hit so hoe ati din. Hit so ma prem se aur ati dainya hokar to prabhu ek bar mein darshan de de. Ek bar jin naam li hit so hoe ati din tako sang na chhanah dhruv apno kar leen.
to ek bar dat kar pehle bhajan karen. Man delete ho jae. Iski gandi baten ki danya aur prem se pukarenge to bhagwan ek naam mein aa jaate hain. Ek naam mein daude chale ate hain. Ji maharaj ji jaise ham nitya chintan karte hain Vrindavan ka lekin jab ham jaise apne niji palon mein hote hain jaise graste hain ham patni ke saath mein to tab maharaj ji achanak se bahut zyada chintan banta hai yahan ka. Haan bahut badhiya hai. Bahut badhiya hai. Maharaj ji andar se man aise lagta hai jaise aap batte hain ki andar se natak aise karo sab ke.
haan bilkul bilkul maharaj ji usmen kami aati hai. Haan kis mein vihaar karne mein nahi kami nahi ani chahiye. Safalta is andar se matlab ye chintan hota hai ki main jaun Vrindavan nahi ye achchhi baat hai. Lekin patni ke saath jab vihaar kar rahe hain, jab putr ke saath vihaar kar rahe hain, jab sansaar ke saath vihaar kar rahe hain to pura perfect natak hona chahiye. Natak mein kami nahi. Chintan banta hai maharaj. Chintan andar se bhagwan ka hona chahiye. Natak sansaar ka hona chahiye. Tabhi to perfect aap kalakar hoge.
is jaganna natak manch par aapko jo role diya gaya hai uska perfect role karna chahiye. Ab ye nahi ki patni se ham udas ho rahe hain. Ab hamara man Vrindavan mein ja raha hai isliye ham tumse baat nahi karenge. Tumse nahi ye to badi kripa hai ki jab ham sansaar ke rag ke bandhan mein bandhne ki sthiti mein tab hamara man Vrindavan bhag raha hai. Tab hamara man prabhu lekin koi jaan na pave ki hamare man ki dasha kya hai. Haan bahari vihaar hamara sansarik ho lekin antarik hamara chintan bhagwat ho. Yahi to grihasth dharm ki bhakti hai.
yahi grihasth dharm ki bhakti hai.
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- ekantik vartalaap evam darshan #1441 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- brahm gyani mahatma apna sharir chhota hai to uska sukshm sharir kahan jaata hai? — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- ekantik vartalaap evam darshan #1440 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- diwali par maharaj ji ke amritmay vachan | Diwali Special — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- ekantik vartalaap evam darshan #1439 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- ye 9 galtiyan aapki puri sadhna bigad sakti hain — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…