॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

sab kuch bhagwan par bhi chodna chahte hain aur paisa bhi kamana chahte hain, to kya karen?

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

piyush ji surat Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji sadar charan sparsh maharaj ji prarthna karte samay dwaand mein rahta hoon ek man ishwar ke samne dhan ki lalsa karta hai dusra kahta hai ishwar se dhan ki lalsa jaisi chhoti lalsa mat kar jo milega sabse accha hoga maharaj ji aise haan uttam baat to yahi hai lekin jab hamen avshyakta hai ham bhagwan ko apna mante hain to ham bhagwan se prarthna kar sakte hain. Bhagwan ne gita ji mein char prakaar ke bhakt swayam batae hain. Ek hai artharathi jo bhagwan se arth chahta hai.

ek hai ar jo bhagwan se sankat nivitti chahta hai. Ek hai jignyasu jo bhagwan ko janna chahta hai. Ek hai gyani jo bhagwan ko jaan chuka hai. Jo bhagwat swaroop ho chuka hai. To char prakaar ke bhakt ismen keval bhagwan se chahna hai. Ham praytn kar rahe hain, kartavya kar rahe hain, lekin bharosa bhagwan par hai. Wah hamen denge. Yah mangna koi dosh nahi hai. Kyonki bhagwan ne sweekar kiya hai. Artharathi bhakt jo jaise dhruv ji ne jab maharaj uttanpad ki god mein baithna chaha to jo maharaj ki dusri patni thi unka naam tha suruchi.

unhone ek thappad mara aur kaha ki agar is chakravarti simhasaan par baithna hai to mere garb se paida hona padega. Tu suneeti se paida hua hai. Isliye ja narayan ki tapasya kar mere garb mein prakt ho. Tab tu is simhasaan ka adhikari kathor shabd bole. Dhruv ji mata suneeti ke paas gaye aur kaha maa vi mata ne aisa aisa to unka beta theek kaha hai maharaj mujhe patni ke aap to dasi bhi nahi samjhte hain yadi tum bhagwan narayan ki tapasya karo narayan ko prasann karo to jo chahoge wah prapt ho jaega sahi sala di mane dhruv ji panch varsh ki avastha ke the dridh nischay kiya panch varsh ke balak ne ki bhagwan narayan ko prasann karke main aisa pad prapt karunga jo mere pita aur pitamah ko bhi prapt nahi hai.

pita uttan pad pitamah Manu ji aur pravitam brahma ji zyada srishti nahi bilkul nazdik hi hai. Dhruv ji nikle nagar se bahar to jab koi bhajan karne ka bhav karta hai to bhagwan kisi sant se mila dete hain. To devrshi narad ji mil gaye. Devrshi narad ji ko pranam kiya dhruv ji ne to dhruv ji se pucha ki tum panch varsh ki avastha ke ho aur bina kisi suraksha ke rajkumar ho kahan ja rahe ho? To unhone kaha maine nischay kiya hai ki main ekant kshetra mein jakar bhagwan ka bhajan karke bhagwan narayan ko prasann karunga.

accha to tumhare pita ki god mein baithe ke liye tumhari bhi mata ne mana kiya. Isliye main chalo abhi chakravarti samrat pad ka abhishek karva deta hoon. Abhi adesh karunga uttanpat tumhare abhishek kar denge. Dhruv ji ne vichar kiya abhi to bhajan kiya nahi. Abhi to bhajan karne ke liye kadam badhaya to jinki god mein baithe ke liye hamen jhid diya gaya us simhasaan par adhikar den. Devrshi narad ji ke vachan kaun kaat sakta hai? To unka Gurudev ab nahi. Ab kadam piche nahi hatenge aur vishwas ho gaya aur unhone kaha main bhagwan ka aradhan karke hi prapt karunga to unka jangal hai pehle pralobhan diya phir bhay dikha rahe hain jangal hai sinh bhediya bade-bade aise janvar tumhen kha jaenge tum jangal mein kaise tapasya karoge to dhruv ji ne vichar karke kaha ki yadi meri bhagwan raksha karenge to koi bhi bal banka nahi kar sakta aur yadi yadi meri mrityu hai to yahan mahal mein bhi main mar jaaunga.

isliye main nischay karta hoon ki bhagwan ki aradhna chhod nahi sakta. Dekha chela pakka to wahi guru mantr de diya dwadshakshar mantr ka aur kaha jao bhagwan tum par kripa karen to ye Mathura mein aae madhuban Mathura ko kahte hain aur yahi akar yamuna ke pavan tat par dwadshakshar mantr ka anusthan kiya. Mathura bhagwan ki nitya siddh sthal hai. Waise bhi bhagwan prakt hue lekin shastron mein Mathura ki badi mahima varnan ki gayi hai. Mathura nitya Krishna ko vas nish din Shyam na chhadat paas tas sakal leela ke chha mahine mein bhagwan ka darshan prapt kar liya aur wo atal pad bhi prapt ki ki aaj bhi sapt rishi us parikrama karte hain us pad ki jahan dhruv ji virajman hai.

to yadi ham dhan bhi chahe to keval bhagwan se chahe aur bhajan karen, bhagwan ki aradhna karen aur apne kartavya ka palan karen to wah dhan mangna bhi sarthak ho jaega. Jo ham kamnayen karen wo bhagwan se karen par aise na karen jaise aajkal log karte hain. Ab aapko ₹00 ka bhog chadha denge. Aap hamari ek kamna to tum naukar samjhe ho kya bhagwan ko? To bhagwan to malik hai yar. Naukar thodi hai. Apne pita se jaise manga jaata hai. Apni maa se jaise manga wo aae maa se pita se ye baat kahte hain kya ki aapko itna khwa pila denge aap thoda hamko ₹1000 de dijiye.

adhikar purvak mangte hain kyonki aap hamare pita ho aap hamare mata ho. Aise ham adhikar purvak bhagwan se mange par bhagwan andar ki baat dekhte hain. Yadi anya aashray hai. To phir bhagwan jaldi nahi. Anannya bhav se par aradhna zaruri hai. Dhruv ji ne kaisi aradhna ki? Ek chhulu jal pikar ke phir patta sukha khakar phir usko bhi chhod diya. Vayu pikar chha mahine mein bhagwan ko apne samne prakt kar liya. To ham aradhna ab itte hain sharab khate hain gande bhojan manmani aacharan karte hain. Bole bhagwan hamari kamna purn aise purn ho jaegi.

tapasya karo, sadhna karo, pavitra aacharan karo, vrat upvas karo, tab bhagwan ki jo ham aradhna karke kamna karenge tab hamari baat puri hogi. Se

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • ekantik vartalaap evam darshan #1441 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • brahm gyani mahatma apna sharir chhota hai to uska sukshm sharir kahan jaata hai? — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1440 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • diwali par maharaj ji ke amritmay vachan | Diwali Special — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1439 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • ye 9 galtiyan aapki puri sadhna bigad sakti hain — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…