॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

ekantik vartalaap evam darshan #1425

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

maharaj ji Radhe-Radhe maharaj ji koi kam karte wakt kuch galat ho jae ya dhyan na lage kisi aur jagah jae to bahut krodh aata hai. Is samay main naam jap karta hoon. Naam jap karne se krodh kam hota hai par naam jap chhote hi krodh aur badh jaata hai. Is sthiti mein aapka prashn hai yar. Bade guru aadmi ho tum. Itni chhoti avastha mein tum itni sukshm baat pakar rahe ho. Bahut badhiya baat hai. Bahut adhyatma ke achhche aadmi banoge tum. Naam jap karte hue jab tumhare andar galat vritti aati hai na to andar jo man mein galat vritti hoti hai wah delete hoti hai.

wah nasht hoti hai. To aise naam jap ka abhyaas karo ki khali samay hi na rahe. Krodh tabhi accha krodh kyon aata hai? Kamna se krodh aata hai. Jaise ham chahte hain ye ho jae aur wo nahi hota tabhi krodh aata hai. Krodh ki swayam ki satta nahi. Kamaste krodha krodha smriti vibhrama smriti bhrasad buddhi nasho buddhi nashat pranaste kam jab hamari kamna ki purti mein badha padti hai to krodh aa jaata hai isliye ham har samay naam japne ka abhyaas karen aur jab krodh aa jae tab dant pees le aise mujhe bolna hi nahi hai bas kyonki agar krodh mein bolna shuru kiya to phir krodh ane par bhajan ksheen ho jaata hai anand ksheen ho jaata hai aur hamse aparadh ban jaata hai.

apne se bado ke prati bhi galat shabd nikal jaate hain. Apvitra bhasha bhi zyada krodh aa jae to galiyan bhi ane lagti hai. Jaban pe durukti galiyan ane lagti hain aur bade katu vachan nikalne lagte hain. Isliye krodh ko rokna hai to maun dharan kar le. Jahan krodh aae usi samay chup. Wahan se hat jae. Jahan jis avastha mein krodh aa raha ho us paristhiti ka tyag kar de. Ekant ho jae. Maun ho jae us samay bache. Ab yah nahi ki bhide agar bhide to phir krodh aa gaya phir gali galauj phir marpeet phir hinsa isse jitna bach ja sake ye raaksasi pravriti hai.

krodh jo hai ye asuri pravriti hai. Ye nash kar deti hai. Isliye sabko isse bachna chahiye. Jis samay krodh aa jae us samay maun ho jao. Jis samay krodh aa jae us samay hat jao. Jis samay krodh ave jor-jor se Radha Radha bolne lago krodh shant ho jaega. Manjeet sinh ji gudganv se. Ji shri Harivansh maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam. Gurudev kuch samay pehle tak sharab aur gande acharno se lipt tha. Phir chha mahine pehle shri ji ki kripa se aapki sharanagati mili. Sharab chhut gayi. Bhojan bhi satvic ho gaya.

naam jap bhi khub badha. Parantu maine apne ghar mein uska bakhan karna shuru kar diya. Jisse naam jap abhi thoda kam hona shuru ho gaya. Maharaj ji shri ji se kshma mangi. Punah naam jap karna bhi shuru ho gaya. Parantu maharaj ji krodh par kabu nahi pa pata. Jisse baad mein ghanton pashchatap mein jalta rahta hoon. Naam jap bhi kam ho jaata hai. Aisi sthiti ko samannya lane ke liye bahut samay lag jaata hai. Haan, naam jab badhiye aur jab krodh ave to ham krodh ko pariksha samjhe ki bhagwan meri pariksha le rahe hain.

mujhe krodh nahi karna hai. Ye bhajan ke vighna hai. Kam, krodh, lobh, moh, mad, matsar. Ahankaar nahi karna, irshya nahi karna. Parivaar se moh nahi karna, krodh nahi karna. Kam bhavna se kisi parai stri ko nahi dekhna. To jab hamara man krodh mein ave to savdhaan Radha Radha Radha Radha Radha bolna nahi hamen us vishay mein nahi bolna aise hat jana hai jaise ham abhi baat hi nahi kar rahe the bilkul piche turant mudie hatie aur chal dijiye uttar chahe balak kyon na ho us samay hat jaiye phir baad mein samjhaie krodh ke liye us samay wo sthan wo paristhiti aapko chhodni padegi nahi to jahan prati uttar hua to galiyan ayengi phir wo krodh apna swaroop prakt kar dega.

buddhimani yahi hai ki turant maun hoiye aur wahan se hat jaiye. Maharaj ji apne bachchon ko bhi dant dete hain. Main itna jalta hoon. Ham ye kah rahe hain ki bachchon ko dantne ka natak kiya jaata hai krodh ka. To agar aise galat baat kiye to aur samjh rahe ho? Agar padhai theek se nahi ki na to aap ham andar koi krodh nahi. Krodh ka natak karna aur krodh hona yah thoda antar hai. Bachchhe mein krodh ko karna hota hai. Parivaar mein krodh karna hota hai. Zaruri hai. Jaise chhote-chhote bachchhe hain agar wah bhayabhit hamse nahi hue thoda thoda bhay hona zaruri yar agar hamne jo papa ne kaha wo path nahi tayyar kiya to marenege yar ham koi galti karenge.

hamare papa jane ke unko bhay hona zaruri. Bhay se wo satmarg mein chalenge. Lekin itna bhay bhi nahi ki wo aapse duri bana le. Kabhi mitrvat vihaar karke aise baithe hain, khelte hain ki wo apni chhoti se chhoti kamia bhi aapko bata den aur kabhi pita ki tarah ham hokar unko dhalte hain jisse wo bhayabhit ho ke asat marg ka tyag kar de. Lekin hamen krodh ka natak karna hai. Krodh nahi karna. Jaise shisyo se karna parta hai. To yah agar hamko us samay socho to 100 mein 100% ham krodhit rahe hain. Ham apni nokri nibha rahe hain.

hamen guru bhav se unhone sweekar kiya. Agar unki galtiya ban rahi to hamara kartavya hai unko dant karke achhche acharno mein yukt karna. Aise aap pita hai. Agar apne putr ko achhche acharno se yukt karna hai to kabhi-kabhi krodh ka natak karna parta hai. To agar pita ka shasan pavitra hai to ab aajkal shasan hi nahi rah gaya hai. Bachchhe padh likh ke mata-pita ka apman kar rahe hain. Mata-pita ki avhelna kar rahe kyonki bacchapan se dali nahi gayi baat. Khalne ke liye mobile de diya gaya. Aur dhire dhire dhire dhire mobile se itne gande acharno mein prakta ho jaate hain.

itni malin buddhi ho jati hai ki apne pujya mata-pita ka apman karne lagte hain. Avhelna karne lagte hain aur itna dur nikal jaate hain satmarg se ki lautna mushkil ho jaata hai. Gande gande vybhchar mein vyasan mein fail jaate hain. To yah krodh karna aniwarya hai. Par krodh andar se nahi bahar se natak karna hai. Krodh ka natak karna hai. Andar se karoge to aap pareshaan ho jaoge. Bas wah marna nahi hai. Marne ki ekting puri karni hai. Bap re aaj to bach gaye. Aisa karna hai. Krodh ka andar hriday mein pravesh na hone paye.

agar bahar se ham natak karen to accha rahega. Parivaar mein agar ab mata-pita sharab pi rahe hain. Mata-pita gandi baten kar rahe hain. Mata-pita gande drishya dekh rahe to bachchon par aacharan nahi padega. Tum khud adhyatmvan bano aur bachchon ko adhyatmvan banao. Bina adhyatma se jude kisi ka jeevan mangalmay nahi ho sakta. Aaj hamara samaj jitna adhyatma se bilag hai utne dekh lo crurta mein pahunchta ja raha hai. Kaise-kaise ghama ate hain? Matlab kya hai? Kya hai? Ye naujawan kahan ja rahe hain? Kahan ja rahe hain?

kya wo manushya sharir nahi hai? Kya wo apni bahan nahi hai? Aap kaisa vihaar kar rahe hain? Adhyatma to charachar jagat ko mangalmay bana de lekin jude na jab ab wo raaksasi pravriti se jude adhnikta se jude mangalmay bhav hai nahi to dekho kaisi-kasi gandi baten hoti hai ab aajeevan saja hogi ek galti ka parinaam aajeevan saja jeevan barbad ho gaya padhai likhai swasthata sab jab jao jail ya to phansi ki saja ya to jail aise aise aacharan hone lage hain to hamen lagta hai bahut sambhalna chahiye aur adhyatma mein judkar bhagwan ka naam jab apne bachchon bachchon se bhi karana chahiye.

thodi der baithkar katha sunani chahiye. Sat shastron ke shravan se bada mangal hota hai. Maharaj ji bachchhe tilak laga ke jaate hain to school kah rahe hain school mein kahte hain ki ye kaun sa kala jadu hai? Haan to dusra kar le ki sukhi raj le le na. Sukhi raj ka aise laga le to chinh nahi banega aur tilak bhi lag jaega. Ab school mein to jo padhai ho rahi hai aap dekh hi rahe ho adhnikta ki padhai ho rahi hai aur aise aise aacharan naujvano ke ho rahe hain jo jo nahi hone chahiye kya ye vidya hai vidya to wahi hai jo vinay aur sadgun ki utpatti kar de vinay aur sadgun ki utpatti kar de aaj tilak lagane ko log roka jaata hai aaj bhagwat karya ko agar mala dal ke jae to usko roka jaega uska uphash hoga agar bhagwan naam kirtan bhagwan naam jap karke path ham logon ke school mein prarambh se hi he prabhu anand data gyan hamko dijiye.

yah sab prarthanaen hoti thi bada aur Kabir das ji ke dohe rahim das ji ke dohe mangalmay veer veer purushan ke charit to usse sanskar padhte hain. Ab ham pata nahi hai ki nahi is samay chijon hamare desh ke veer veerangnaon aur sadhvi sadhuan ke charit bhi rakhiye jisse padhkar ke unke andar sanskar pare. Unke andar bhav pare to theek hai. Krodh karna nahi par krodh ka natak jarur karna chahiye. Suneet kaushik ji Radhehe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji kya zyada puja karna bhi hanikarak hota hai? Ham aapke samne baithe hain.

zindagi hi puja hai. Hanikarak hai. Aap kyon aae ho? Aapki sharan mein aae hain. Nahi to kyon? Hamare mein kya hai? Bhakti bhav hai, puja hai. Haan. To aap yah samjho to zyada puja hanik hanikarak kaise ho sakti hai? Hanikarak paap karm hota hai. Hanikarak hinsa hoti hai. Hanikarak vybhchar hai. Hanikarak juaa hai. Hanikarak sharab hai. Bhagwan ki puja hanikarak ho sakti hai. Kaisi baat karte hain? Kaise kaise? Kaise ye baat kaise matlab dimaag pe ai? Puja karne se matlab apne grah jaise matlab baat samasya yah hai ki kuch logon ke dimaag mein aisa baith jaata hai ki jo zyada dharm se chalte hain jo zyada puja karte hain wo pareshaan ho jaate hain.

aap jo prashn kar rahe ho main use samjh raha hoon uski dhara ko aisa nahi hai. Purv ke jo paap karm hai jaise hamari donon kidney phayl hai. Bachpan se Baba ji hoon. Yah hamare purv ke paap karm ka phal hai aur yah hamare bhajan ka phal hai ki hamen pure ki puri janta ka pyar mil raha hai. Ham subah jab nikelte hain na chhote bachchhe se le sab Radha Radha Radha to dikhayee deta hai. Sabki ankhon mein pyar dikhayee deta hai. Bhakti se dukh nahi milta. Lekin jaise hamne abhi bhakti shuru ki hamare paap karm ka parinaam lag gaya to ab hamen dukh milega.

kyonki bhakti hamari abhi kheti hai. Lekin purani kheti mein hamne bambul boe hain. Paap boe hain. To hamko bhogna padega. Jaise bade-bade santo ko bhogna parta hai. Ramkrishna Paramhans ji ke cancer aur bade-bade santo ke kasht dekhe gaye aur wo itni samarth rakhte hain ki dusre ke cancer ko mita de. Dusre ke dukh ko mita de. Lekin wo apne dukh ko bhog karke bhagwan ki prasannata ke liye bhagwan ko bhakti se kabhi kisi ko dukh mil hi nahi sakta. Lekin bhakton ke jeevan mein dukh dekha gaya hai. Haan ji.

baat samjhna. Us dukh mein bhi wo sukhi rahe hain. Aur bade-bade kasht unke jeevan mein aae. Kya hua? Ab jaise hamara akhiri janm hai. Ab hamen janm nahi lena. To hamare hazaron ananton janmon ke papon ko thoda-thoda bhuga bhuga kar. Ab jab thoda-thoda bhogenge to kadam kadam pe bhogna hai. Ab bhogte bhogte mar jaenge. Iske baad bhagwan ko prapt ho gaye. Khatm. Ab tumhara anant janm bhatakna hai. Abhi bole papi aadmi koi koi bhi kasht nahi hua. Jukham bhi nahi hua. Chat mar gaya. Dekhne ko milta hai aisa ki papi aadmi hanste nachte mar gaya aur sant bane hain.

pura jeevan bhajan karm mahina sadna para. Kyon? Kyonki inke anant janmon ka hisaab hokar ab ye bhagwan ko prapt honge aur unko bhatakna padega. Abhi hazaron janm bhatakna pare. Bhakti se kabhi kisi ko pareshani ho hi nahi sakti. Bhakti kabhi dukh bhagwan bhala mangal bhavan hai unka bhajan unki puja kisi ko dukh de sakti unki puja to dukho ka nivaran karti hai ye baat pakki samjh lijiye iti choudhri ji Mathura se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji niyam kanun ke bina puja sarthak hoti hai kya haan niyam kanun ek taraf hai bhav ek taraf hai kiska hai haan bhav ek taraf hai agar bhav mein bhar ke niyam kanun ka khandan bhi hota hai to usse koi fark nahi parta.

jaise shri karma bai thi. Unhone vichar kiya ki Jagannath ji ko din mein to khub bhog lagta hai lekin jab raat mein pat band ho jaate hain to unko phir bhog to unko bhookh lagti hogi. Unhone apne bhav sechara to 3:00 baje tadke uthkar bina nahaye dhoe. Sabse pehle khichdi banai aur Jagannath ji ko ro ke pukarti to Jagannath ji ane lage. Unki god mein baith jaate aur wo puri khichdi pawate. Ek din 7:00 baje lagbhag subah snaan karne ja rahi thi to ek sant bhagwan mil gaye jo niyam kanun ko janne wale the aur niyam se chalte the.

unka karmaba bhai snaan karne ja rahe ho. Bole haan bole kya kis prakaar ki tum bhakt ho ki surya uday ho gaya. Ab snaan karne ja rahe ho. Are bhakt to tadke snaan karte hain. To unka tadke tum thakur ji ka bhog banate ho. Are Ram Ram kitna bada aparadh karte ho bina snaan kiye bina pavitra hue bhog bana ke thakur ji ko yah to aparadh hai ab unhone dusre din pehle snaan aur sab dincharya ki aur bhog banaya aur bulaya to je ek kaval pavaya so wahan parda mandir katne ko thakur ji antar dhyan ho gaye chale gaye ab wahan khichdi muhn mein lagi thi ek kaval keval to Jagannath ji ke parsado ne pucha ki jai jai abhi to bhog padhraya nahi ye mukh mein bhog kaise are bole wo karmabai niyam wale ke chakkar mein par gayi hai to ek hi kaval mein pa karmabai se kah do main niyamon se prasann nahi hota main prem se prasann hota hoon main prem se adhin hota hoon to jab kabhi bhav se bhakt pavata hai to bhagwan pate niyamon ke anusaar nahi niyamavli to prem prapti ke liye hai aur prem ko bhagwan sweekar karte hain.

bhav ka bhukha hoon main na ki niyam ka bhukha hoon main. Bhagwan ne kya kaha? Bhav ka bhukha hoon main aur bhav hi ek sar hai. Bhav se mujhko baje to bhav se beda par hai. Bhav bin suni pukare main kabhi sunta nahi. Bhav purit terror hi karti mujhe lachar hai. Bhagwan ko lachar kar de wo bhav to bhav ki prapti hoti hai. Jab sanyam niyam purvak bhajan karta chala jae. Lekin seva mein pradhanata bhav ki honi chahiye. Niyam ki nahi. Iske baad yah chadna, iske baad yah chadna ek niyam ki tarah pura ho gaya. Bhav tumhara bana nahi.

aur agar khub utsah hai andar jaise apne chhote ladle bachchhe ko pavana hai roti daal sabji khir pua jo bhi banae aur bade bhav se gaye to bhagwan use prapt pate hain. Bole bhagwan kahte hain patram pushpam phalam toyam bhakta prekshati ek chhulu jal ek tulsi dal ek phal ya ek phool bhav se mujhe samarpit kar diya jae to main use kha leta hoon. Bhav hi pradhan hai. Niyam ke dwara bhav ki purti hoti hai. Agar bhav nahi hai to niyam ka koi mahatva nahi hai. Prakash ji tamilnadu se maharaj ji Radhe-Radhe maharaj ji bhagwat gita mein teen mukhya yog ka varnan kiya hai.

karm yog, bhakti yog aur gyan yog. Maharaj ji inme se kaun sa yog jeevan mein sarvshresht hai? Sab apni jagah shreshth hai. Apni buddhi ko dekhna chahiye ki main kis yog ka adhikari hoon. Yadi khub karmathta hai, karm pravinta hai, karm mein rati hai to nishkam bhav se karm yog ke adhikar ka wo prani hai, manushya hai. Jo bhagwan ki charcha sunte hi hriday aasakt ho raha hai. Dainyta hai. Bhagwan ka naam priy lagta hai. Lagta hai mere se to kuch ho nahi sakta. He bhagwan sharanagat pratipal na vishyon ka sampurn tyagi hai na use sansaar ka sampurn gyan hai wo apne ko adham samjhkar bhagwan ki taraf wo bhakti ka adhikari hai aur jo bahut viveksheel hai tarkasheel hai aur jo vairagywaan hai jo charm sima ki vastu ko prapt karne ke liye apne pran tak dene ke liye tayyar hai wo gyan marg ka adhikari hai vairagywaan viveksheel tarkasheel buddhi pradhan gyan marg bhav pradhan dainya bhav sharanagati ka bhav apne mein asmarthta bhakti bhav karmth pravinta karm

pravinta karmathta ye karm yog to apne ko dekhna chahiye ki apna bhav kidhar hai karm pradhan hai ya bhav pradhan hai ya gyan pradhan hai jidhar ho udhar marg bhagwan ne isiliye alag-alag sabko ek marg mein nahi chalaya ja sakta aur sabka phal ek hi hai parinaam mein sabka phal ek hi sansaar sansaar bandhan se mukt hokar atma swaroop mein sthit hona gyan marg sansaar bandhan se mukt hokar bhagwan ke prem mein dubna bhakti marg sansaar sambandh se rahit hokar ke paramatma swaroop mein sthit hona karm yog wahi paramatma hai wahi bhagwan hai wahi brahm hai jo gyani log jise brahm kahte hain bhakt unhen bhagwan kahte hain yogi unhen paramatma kahte hain tatv ek hi hai samjh gaye na aap brijesh kumar ji bihar se Radha vallabh maharaj ji shri Harivansh maharaj ji aapke charan charan mein koti-koti pranam.

maharaj ji bachpan mein se yah sunte aa rahe hain ki ham sharir nahi hain. Aaj tak jaan kyon nahi paye ki apne aap ko atma ke rup se dekhna itna sadhan jab tak sadhan nahi karoge tab tak nahi. Sadhan karo. Sadhan kartekarte sadhan ka abhiman tyag ho jaega tab samjh mein aa jaega. Bina bhajan ke baat samjh mein aa jaegi. Aapne pakda hai to aapko hi chodna padega. Jab aapko gyan hoga tabhi to aap chhod sakte hain. Sansaar ne aapko pakda hai kya? Nahi. Vastu, vyakti, sthan, sansaar ka swaroop ye jad hai. Aap chaitanya avinashi sacchidanand bhagwan ke ansh hain.

to jad chaitanya ki ganth kabhi par hi nahi sakti. Lekin aapka sambandh na sansaar se tha na hai na rahega. Par aapne pakar rakha hai. Sansaar ne aapko nahi pakar rakha hai. To aapko jab tak gyan nahi hoga tab tak aap sansaar ka rag nahi tyagenge. Ham pakde to ham hi ko chodna padega. Zabardasti koi kitna bhi kare thodi chhut jaega bandhe kir markat ki nai to ham hi ne pakda hai ab ye hamko gyan ho antarik bahya gyan se ye nahi hota ye bahya gyan se nahi chhutne wala ki ham atma hai ham sharir nahi hai aisa kahte hue bhi bhogon mein jaoge jab tak bhajan nahi hoga bar mathe ghat hoe baru shiktat te bar tel aur binu hari bhajan na bhatri ya siddhant dat ke bhajan karo abhi gyan prakt ho jaega pavitra aacharan karo pavitra bhojan shastr swadhyay sanyam se raho aur phir apne aap sataarg mein badhegi buddhi aur jaisejaise buddhi badhegi to aapko dikhne lagega ki yah sansaar mera nahi accha kiska hua hai sansaar pura jeevan padh likh ke bade paddhikari bane karodon arabon rupaye kamae makan banaya ladka bachchha parivaar mar gaye ek chavanni paas nahi kuch saath nahi jaega to pura jeevan bekar ho gaya na ab agle jab yoni mein jaoge to inki yad rahegi kya?

jaise pichle yoni mein hamara pura parivaar sab kuch tha. Ab yad hai kya? Naya phir dukan makan phir ye kab tak chalta rahega? Anant janm ho gaye yahi karte hue ye gyan hota hai. Jab bhajan karta hai ji tab are ye mere nahi hai. Main to bhagwan ka hoon. Main paramatma swaroop hoon. Ye bina bhajan ke thodi gyan aa jaega. Pura jeevan barbad kar rahe hain log. Khub pura jeevan padhai mein laga diya. Khub kamai mein laga diya. Budhapa aa gaya. Bhog bhog karke indriyan shithil ho gayi. Mar gaye. Hath kuch nahi laga. Jab yahan se gaye to wahi paap ki gathri aur punya jo hath laga kuch nahi.

bhajan to kiya nahi. Agar bhajan kiya to wahi saath jaega. Anytha yahan se kuch aur sab jante hain aur jaan karke sab anajan bane hue hain. Sab unko lagta hai wo mara main thodi murunga. Unko lagta hai uska chhuta mera thodi chhutega. Mera to sab mere saath jaega. Ye jeev ka agyaan bhagwan se vimurkh karke durgati karata rahta hai. Nipun ji Delhi se maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam maharaj ji prem bhav bhakti ya shastr anusaar bhakti mein kisse zyada apnapan aayega bina shastr anusaar bhakti kiye prem bhav prakt hi nahi hota tasma shastram pramanamte karyakar karya vyvasthit wo do bhag nahi hai pratham sidhi hai shastr ke anusaar chalo karm karo shastr ke anusaar har karm karke bhagwan ko samarpit karo naam japo bhagwan ki leela katha suno, bhagwan ka smaran karo, bhagwan naam kirtan karo.

isi bhakti se prem yog aa jaega. Prem aise thodi prakt ho jaata hai. Sadhan bhakti karte karte phir anurag bhagwan se prakt ho jaata hai. Jab bahut samay tak katha sune bhagwan naam kirtan karen shastr mariyada ke anusaar chale to jab nav nav lakshan bhakti kara tab tin prem lakshna pahi. Navdha bhakti ka anusthan karte karte prem lakshna bhakti jagrit ho jati hai. Prem lakshna swayam thodi hoti hai. Bhajan na seni prem ki prem rupi unchai par chalne ke liye khub bhajan karna padega. Aur bhajan na hoi sang bin bhajan bina nahi prem chhinhu bhajan chhadie dharie ya dhruv nem bina Bhajnandi mahatmaon ke sang ke bhajan nahi hota bina bhajan ke prem nahi hota to tasma shastram pramanamte karyakar vyavasthito karya aur akari ki vyvastha shastr mein jo ki gayi hai uske anusaar chala jae aur naam jap kiya jae kirtan kiya jae bhagwat katha suni jae bhagwat seva ki jae paropkar kiya jae to hamare andar prem lakshna bhakti jagrit ho jaegi prem koi alag se thodi aata hai aur aur jo hamare andar prem hai wahi prem samet ke prabhu ke charnon mein samarpit karna hai.

mata mein, pita mein, bhai mein, bandhu mein, rupya mein, makan mein, sansaar mein jahanjahan hamari mamta hai sabki mamta tag batori mam pad manah bandh bhar dori. Bhagwan ke charnon mein sabki mamta ko samet ke samarpit kar do. Khub naam jap karo, khub kirtan karo. Dekho bhagwan se prem ho jaega. Samjh pa rahe hain aap? To yah nahi ki shastr bhakti alag hai aur prem bhakti alag hai. Shastr bhakti ke anusaar chalne par hi prem bhakti ka pradurbhav hota hai. Rajat sahni ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji bihari ji ke darshan karte samay kya karna chahiye?

kya bolna chahiye? Kuch ichchha ho to mangna chahiye ya sirf shukriya karna chahiye? Pyare ke darshan se kuch maang prakt hoti hai kya? Jab apne pyare ko dekhte hain to yahi lagta hai aho bhagya aaj saubhagya hai ki main aapko dekh pa raha hoon. Main aapse kya mangu? Sabse badi baat to aapne de di ki apne samip bula liya aur aapko main dekh pa raha hoon. Bas prabhu main sadaiv jo aapko dekh pa raha hoon yahi dekhta rahun. Yahi chintan bana rahe. Jab yah dekhte rahoge chintan bana rahega to dukh paas aayega nahi.

vipatti paas aayegi nahi. Aur jiske hriday mein bhagwan ka chintan hota hai to jaise nadiyan bina chah ke samudra ke paas swayam hi ja rahi hai daudti hui aise dharmatma bhagwat chintan karne wale ke paas apne aap sari sampattiyan sukh aati rahti hain aur jo bhagwan se vimurkh hai adharmacharan karta hai to bina bulaye vipattiyan usko ghere rahti hai samasyaen chinta shok bhay ye paap ka phal hai aur jab ham bhagwan ka chintan karte hain dharm se chalte hain to sukh nirbhay ta nishokta nishchintita ye hamare hriday mein chaai rahti hai.

bina bulaye jaise nadiyan samudra ke paas jati hai. Aise dharmatma purush ke paas bina bulaye samasth vaibhav aa jaata hai. To bihari jo darshan karne ko mile bihari ji se kaho aapke charnon mein prem ho. Aapka naam smaran ho. Prabhu main sadaiv jo jhanki dekh raha hoon yah mere netron mein bas jae. Aisi kripa karo. Aisa yah mangna chahiye. Aisi kripa karo ki yah jhanki kabhi hamare netron se na hate. Swami ji maharaj ne ek pad mein gaya hai. Aise hi dekht raho janm safal kar mano. Pyare ki bhavati bhavati ke pran pyare jugal kishore jano.

aise hi dekht raho. Janm safal kar mano. Jeevan ki safalta kya hai? Aise bihari jo aap Vrindavan bulate raho. Main bar-bar aapko dekhta rahun. Kunj bihari kunj bihari aisa naam jap karta rahun. Isse bada jeevan mein aur kya labh ho sakta hai? Kya mangoge unse? Jo mangoge sab aise hi hoga jaise chakravarti samrat ke paas koi jae garib aadmi aur wo bole prasann ham hue vardan mango to kahega vardan ek sal bhens ka chara aur hamare khane pine ki vyvastha kar do. Kyonki uski kshamta nahi aur maang le.

wo garib aadmi ye sochega ek sal ke liye bhojan mil jaega. Ek sal ke liye bhens aur gay ka chara mil jaega. Isse badhkar kya hai? Wo isse zyada maang hi nahi sakta. Ye nahi jaan sakta ki ye chakravarti samrat hai. Ye nagar ka nagar de sakta hai. Ye hamare aajeevan ka bharan poshan kar sakta hai. To akhil koti bramhandon ke nayak patar is bhagwan sacchidanand se ham kya maang sakte hain? Bahut kshadra vishay mangenge. Stri mil jae, putr mil jae, rupya mil jae, paisa mil jae, mukadma jit jaun. Ye sab kya hai?

ye aise jaise chakravarti samrat se bhoosh manga jae. Ye sab nashvan padaarth hai. Bihari ji se agar mange to yahi mange ki aapko jo accha lage de do. Hamen accha lagta hai aapko dekhna aapka sumiran karna aapko jo accha lage aap de do to apni sthiti se jab denge na to nihal kar denge Sudama ji ko diya bina mange to jaisi Dwarikpuri waisi Sudama puri bula di Sudama ji mangte to kitna mangte jab manga nahi to bin mange an mange age avego bahut dene wale data hain wo nihal kar denge samjh paye aap Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji aap kah rahe hain ki pichle do sal se satsang kirtan sun rahe hain.

mahadev ki bhakti pichle 10 sal se kar rahe hain. Abhi Radha naam maharaj ji kah rahe hain ki yah medical line mein hain aur pichle 5 sal se drink ki lat lag gayi aur abhi chhod nahi pa rahe maharaj ji drink haan to theek nahi hai. Aur kah rahe ki par prabhu ko pana chahti hoon. Nahi galat baat hai. Galat bilkul galat baat hai. Bilkul galat baat hai. Aap roz batao ki main roz ganga naha ke aati hoon. Lekin yah bhi baat to samjho gatar mein roz dubki laga rahe ho. Yah jo madhyapan hai yah hamare shastr virudh hai. Panch mein kalyug ka vas hai aur mahapap bataya gaya hai.

par stri gaman, madirpan, dwatkheeda, hinsa aur juaa. Kisi ki hatya kar dena, hatya karne wala ya juaa khalne wala ya para stri se bhog karne wala ya mans khane wala ya sharab pine wala ye sab ye kabhi bhagwat prapti ki varta hi nahi ho sakti. Ye to pehle gandi baat chodo na. Agar bhagwat prapti chahte ho to gandi baat chodo. Yah kya mane aacharan yah kya hai? Ek bar apne upar ghrna to paida karo ki aap kitna galat kar rahe hain. Jab tak use dosh drishti nahi manogi tab tak to chalta rahega na.

kaisi kaisi-kasi gandi adte pal li hai. ₹100 agar roz jod lo aur mahine mein kitna hota hai? ₹000 kisi garib ki seva mein laga do, kisi bimar ki seva mein laga do to bhagwan ki prapti ka hetu ho jae. Ye kya hai? Kya hai? Kya ismen aapko ghrna karni chahiye. Aapko chodna chahiye. Aaj niyam lok mein sharab nahi pungi. Himmat ho to bolo. Hai himmat pakka. Vrindavan mein baithi ho hamare samne. Bolo aaj ke baad sharab nahi pungi. Aaj ke baad sharab nahi pi. Bhagwan tumhen bal denge. Bhagwan tumhari sahayata karenge.

naam jap karo aur aaj ke baad sharab. Haan. Bas sharab mat pina tum. Wo sab aise ho jaata hai. Jaise ghar mein pocha lagaya aur phir dhul phenk do. To pocha lagane ka matlab kya raha? Naam jap ka matlab kya raha? Jab aapke aacharan pavitra na rahe. Aapka khanpan pavitra na rahe. Mansa aadi to nahi pate. Haan to bas sharab aaj se chhut gayi. Ab dobara mat pina. Agar ab piyogi to phir koi chans nahi hai. Ye to bhari aparadh ban jaega ki Vrindavan mein baithkar ke sant samagam mein aapne na kaha aur phir piyo to theek hai. Hamari baat aaj se pakki hai.

haan pakki. Theek hai. Bahut sundar. Aur wo naam jap to karti aradhna to karti hain. Ye gandi baat chhut jaegi to aap param pavitra ho jaenge. Bahut sundar ji. Bhakti dan mohe dijiye Gurudev ke dev aur nahi chahiye nish din tumri se ai khuda te mangda jo wakt mera akhir hove is juban pe tera naam age

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • ekantik vartalaap evam darshan #1441 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • brahm gyani mahatma apna sharir chhota hai to uska sukshm sharir kahan jaata hai? — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1440 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • diwali par maharaj ji ke amritmay vachan | Diwali Special — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1439 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • ye 9 galtiyan aapki puri sadhna bigad sakti hain — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…