॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

kya sansaar se bhay ya ghrna ko hi vairagya kahte hain?

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

mitul ji Gujarat se shri Harivansh shri Harivansh maharaj ji maharaj ji hamne aksar sunte hain ki sacha vairagya man ko sabhi prakaar ke bandho se mukt karta hai par kya yah sambhav hai ki kabhi-kabhi kisi vyakti mein ek prakaar ka akaran bhay utpann ho jae jo use vairagya ki or prerit karen lekin wah vairagya prem ya samjh se na hokar keval sansaar ke prati ek nakaratmak pratikriya ho. Yadi aisa hai to is bhay janit vairagya ki prem janit vairagya mein kaise parivartit kiya jae taki hamare keval bhay ka parinaam na hokar bhagwat prem ki swabhavic abhivyakti bane.

ismen navdha bhakti sahayak hogi. Kiska prashn hai? Ismen navdha bhakti sahayak hogi. Bhagwan ke param pavan charitra ka shravan kathan bhagwan ka naam kirtan bhagwan ka naam jap bhagwat bhav se sabko sukh pahunchana dekho kis baat se vairagya lena hai yah baat samjhna hai galat aacharan jo paap hai bas usse hatna hai hamen pani pina hai hamen ann pana hai hamen kapda pahnna hai hamen samaj mein rahna hamen samaj ke vihaar se yukt rahna hai. Jeena hai. Accha man lo jaise kah do aap ki bairagi hokar Baba ji ham to bachpan se hain.

ana para na samaj mein jane ke pehle yahan se bhagwan ne ki tumhen jo kuch prapt hua hai samaj ko dijiye aur phir aie. To samaj ka swaroop bhagwan ka swaroop hai. Yah sab bhagwat swaroop hai. Agar ham inse nakaratmak bhav rakenge to hamen bhagwan ki prapti nahi hogi. Main sevak sachrachaar rup Swami bhagwant mera aradhya dev sab rupon mein virajman hai. Main sevak hoon. Aisi bhavna se yadi chala jae to vairagya apne aap shuddh bhagwat prem prakt kar dega. Ab jaise vairagya mein vyakti ke prati ghrna to ghrna aur nafrat ya ashanti paida karti hai.

wo sacha vairagya nahi. Nahi nahi sacha vairagya hai ki jaise ham apni maa ke paas baithe hain to hamen kam nahi satata hai. To janani saman par nari dhan parae vishte vish bhari sampurn jagat ki matao bahno ke prati pavitra bhav ho. Ghrna ka bhav nahi hona chahiye. Ghrna nafrat yah vairagya nahi hai. Vairagya yah hai ki ham unke samip rahte hue bhi gandi vasna se yukt na ho. Aur yah tabhi ho sakta hai jab ham bhagwan ka bhajan karenge. Pavitra ahar payenge, accha sang karenge, kusang karenge, ganda bhojan payenge, ganda chintan hoga, phir ganda vihaar ho jaega.

isliye bahut savdhaan. Jaise log sharab pite hain to ab unki buddhi bhrasht ho jati hai. Wah pavitra sambandho ko bhi dushit kar rahe hain. To yah jo gande khady hain, gande pey padaarth hai aur ganda sang hai, yah hamari buddhi ko bhrasht karta hai. Aur accha satvic bhojan hai, pavitra prey hai aur ham sadhu sang karen to ye hamari buddhi ko shuddh karta hai. Aur shuddh buddhi sahi nirnay karti hai. Ashudh buddhi galat nirnay karti hai. To vairagya ka matlab ghrna karna nahi hai. Ham to samjhe the tyag ka matlab hota hai ki sab pe sabse nafrat karke ek akele apne sharir se pyar karo dusre sharir se nafrat karo to wahi bhavna ban nahi nahi bilkul nahi vairagya to isse lena hai.

isse ho gaya to sabse vairagya ho gaya. Gandagi ka ghar to apna sharir hai. To apne khud ka sharir ka bhav kaise chhutega? Naam jap karo. Bhagwan ki aradhna karo to dehabh viman nasht ho jaega. Har har sthiti mein anand bana rahega. Ab jaise hamara sharir hai ye hamare liye ek kapda hai. Main nahi hoon. To sharir ka rag tabhi mitega jab dat ke bhajan karoge. Pavitra bhojan karoge. Pavitra sang karoge tabhi hoga. Nahi to apvitra bhav mein sharir rag pusht hota hai. Dekho kitna sharir rag logon ka pusht hai ki apne sharir ke poshan ke liye dusre shariron ko kha rahe hain.

murga, bakra, gay, bhens kuch nahi bach raha. Sab khae ja rahe hain. Kis liye? Sharir ke liye hi to sharir rag ke liye. Yadi sharir rag nasht ho jae to sacha vairagya hai. Dusron se vairagya karna to saral hai lekin apne sharir se vairagya karna sahi vairagya hai. Phir man sahaj apni prem priti mein lag jaata hai. Haan bhagwan ka bhajan khub naam jap karo. Bhagwat aradhna karo. Bas pavitra bhojan hona chahiye. Jaisa jae ann vaisa bane man aur jaisa piyo pani waisi bane vani. Haan dekho na sharab pite hain to vani badal jati hai ki nahi badal jati hai.

to isliye khanpan sahi rakho. Ekta deevan ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji manushya ko prashansha ya ninda mein kaisa swabhav rakhna chahiye? Saman nirader aadar hai. Man mein aur apman mein aur prashansha mein aur ninda mein saman bhav jo rakhta hai wahi mahan unnati ko prapt hota hai. Prashansha mein jo phool jaata hai aur ninda mein jo dukhi ho jaata hai wah sadharan manushya hai. Jo prasannata ninda mein bhi aur sammaan prashansha mein bhi ek prasannata bhagwan ki dikta hai. Bhagwan ki ichchha hai prashansha ho rahi hai. Bhagwan ki ichchha hai ninda ho rahi hai.

jab ninda ho tab yah dekh lena chahiye ki jo ninda ho rahi hai wah dosh ham mein to nahi hai. To hamen pehle check karna hai apne ko. Ab agar uttar aaya andar se nahi to hamen prasann rahna chahiye. Wah uska swabhav hai. Bhagwat prerit ninda kar raha hai. Ab hamari koi prashansha kar raha hai to hamen dekhna chahiye ki ham mein [gala saaf karne ki aawaz] koi sadgun nahi tha. Agar koi sadgun hai wo bhagwan ka diya hua hai. To ye prashansha bhagwan ki ho rahi hai. Meri nahi. Prashansha sweekar karne se abhiman pusht hota hai.

isliye prashansha sweekar na karen aur ninda hone se abhiman nasht hota hai. Isliye ninda ko mane ki bhagwan se prerit hokar hamare abhiman ka nash karne ke liye bhagwan ninda kara rahe hain. Shant bhav se santo ne to kaha nindak niyre rakhie angan kuti chhavae bina sabun bina pani nirmal kare sobhae. Agar koi ninda hamara kar raha hai to hamare papon ko nasht kar raha hai. Hamare dukho ko nasht kar raha hai. Isliye pahli baat to saman bhav rakhen aur dusri baat yah hai prashansha bhagwan ki aur ninda apne abhiman ko nasht karne ke liye sweekar karen to bahut accha labh prapt hota hai aur bhagwan ki kripa se wah accha adhyatmik aadmi ban jaata hai.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • ekantik vartalaap evam darshan #1441 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • brahm gyani mahatma apna sharir chhota hai to uska sukshm sharir kahan jaata hai? — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1440 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • diwali par maharaj ji ke amritmay vachan | Diwali Special — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1439 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • ye 9 galtiyan aapki puri sadhna bigad sakti hain — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…