॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

ekantik vartalaap evam darshan #1426

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

karnal Rahul khanna ji shri Radhe-Radhe shri Harivansh shri Harivansh maharaj ji maharaj ji kya snaan vrat in sab se hi kya hamare pure paap kat jaate hain aur ham moksh nischit ho jaata hai hamen kaise pata chalega hamara manushya janm mein ab moksh prapt yah shubh karm hai moksh alag alag chij hai. Silsila ye hota hai ki aap tirth snaan kar aao, tirth gahan kar aao to aapko yah shubh karm hai. Ham moksh hota hai jo shubh ashubh donon karmon ko mita de. Swaroop bodh hai. Bhagwat tatv ka gyan hone par moksh hota hai ya bhagwat prem hone par moksh hota hai.

moksh jaise khilwad thodi hai. Mukt hona karmon karm bandhan ko bhasm kar dena ye khilwad nahi hai. Teerthavgahan dan punya satkarma ye sab punya ke antargat aata hai. Shubh karm ke antargat aata hai. Lekin bhagwat aradhna sadhna yogabhyas dhyan dharana samadhi ya tatwagyan ya bhagwat prem ye moksh padvi ka marg marg hote hain na alag-alag ye moksh ki taraf jaate hain punya karm ka phal hoga aap swarg jaenge bahut zyada punya hai tap lok mahlok janok brahmlok tak jaenge lekin aapka moksh nahi hua phir ana padega brahm bhan lukan punravartino arjun jo yahan se lekar brahm lok tak hai ane jane wala hai yah moksh ka marg nahi hai.

aa brahm stambh paryantam sarvam mayamyam jagat tinke se lekar brahmlok tak sab mayamay hai aur moksh hoga jab tinke se lekar brahmlok tak sabka tyag ho jae aur wah bhajan se hoga isliye ham sabse prarthna karte rahte hain ki papacharan ka tyag karo mans mat khao madira mat piyo para stri se vybhchar mat karo juaa mat khelo khub naam jap karo pehle yahan se shuruaat karo asatmon ka tyag aur bhajan aur bhajan ka phir jab rang chadega tab prem tatv gyan ye phir upar uthne lagega par bhajan avashyak hai. Uthte baithe chalte phirte yuddh karte bhi maa manushmar yuddh cha bhagwan kah rahe na mera smaran karte hue yuddh karo har samay Radha Radha Radha Radha jo naam apne ko guru ji ne diya hai us naam ka bar-bar bar-bar jap kar rahe hain.

har samay sumiran kar rahe hain. Ab moksh ho jaega. Bina sumiran ke moksh nahi hota hai. Paramarth ka jo swaroop hai vat yagya chhnd tirth nayma ye bhagwan shri Krishna ke vachan hai. Vat yagya chhnd tirth yama yama yatha var satsanga sarwasangom main vrat se yam niyam se teerthayatan se vedadhyan se vash mein hone wala nahi jab sadhu sang ke dwara mera sab sangon ka tyag kara ke mera nirantar bhajan hota hai tab main vash mein hone wala milah na Raghupath binu anurag [chikne ki aawaz] kiye koti tap jog viraga bhagwan kan kan mein vas karte hain lekin prakt kaise hote hain teh samaj girja main rah rahe avsar pai vachan ek kahe hari vyapak sarvatra samana prem te pragat ho main jana bhagwan ka prem astr bah rahe hain naam se param pavitra aklamsha wo nishpap ho chuka hai sankalp rahit ho chuka hai brahm bhut ho gaya brahm bhut prasann atma soch ka samate par samjh mein aa rahi baat to kahin-kahin hamare shastron mein jeev ko lagane ke liye aisa nahi ki usko phal nahi milega.

uttam phal ki prapti hogi. Lekin itne se hi use moksh mil jaega. Aisa nahi hai. Moksh ka marg jo hai wo alag hai. Lagaya jaata hai. Jaise ki bhai aap tirth shasan karo hamara mangal hoga. Mangal shabd hai. Tumhara kalyan ho jaega. Kalyan shabd hai to kalyan aur mangal mein bahut antar hai aur moksh ye sabse alag baat hai aur prem se lilaon mein pravesh ye aur alag baat hai to sarkari sainik ek homgarda bhi hai nahi sarkari sainik ek aap bhi hain aur ek kamando bhi hai level aise hi kalyan aur mangal ki ek level hai jo moksh hai wo akhiri level hai wo uske age phir wahan purnata hai anand ka samudra hi samudra jahan dukh ka kinchin matra les nahi atyantik maha sukh ab uske liye sadhna hai tino loko se vairagya tino shariron se vairagya sthul jagat sthul sharir sukshm sharir swarg lok karan sharir brahmlok idhar teen aur idhar bahar bahar aur bhitar tino se jo vairagi wo moksh ka adhikari hota hai.

kitna kathin hai. Jab tak guru na milega aur sadhna nahi bataega tab tak kaise prapt ho jaega? To ye level hai. Jaise chhoti-chhoti kathayen hain. Amuk katha amuk katha usse uska mangal hua. Uska kalyan hua. Wo sadharan laukik moksh nahi. Moksh to ek alag padvi hai. Moksh to ek alag baat hai. Sadhu mahatma sant jan jo raat din sadhna mein lage hue hain. Phir bhi sanshay hoga ki nahi? Phir bhi sanshay hoga ki nahi? To ye agar wo sahi marg mil jae jeev avinashi hai. Aur us avinashi ka is jad sharir se kabhi bandhan hua hi nahi.

ab usne bhul se pakar rakha hai. Ab is pakde ko bandhan kaha jaata hai. Agar wah chhod de to wah mukt tha. Mukt hai mukt rahega. Usne pakar rakha. Main purush hoon. Yah pakdna hai. Main stri hoon. Main amuk hoon. Main main isi main ko jo sadhna ke dwara galit kar de usi ko moksh kaha gaya hai. Kyonki jo ham hain. Ham hai ka matlab ye sharir nahi. Ham hai ka matlab man nahi ham hai ka matlab buddhi nahi jo ham avinashi hain. Hai isi mein kahe jaise aap praveen ho lekin kai sal ke ho sharir kai sal ka hai 47 47 47 varsh mein ek second bhi aap apne se nahi mile.

bas shisha mein dekhkar isi ko aap apna manne lage aur isi ki padvi ko aap apna manne lage. Lekin ek second bhi aapne apne ko nahi socha ki main hoon kaun. 47 varsh ho gaye sa hath ke ghar mein rahte hue aur 47 second aap apne mein nahi baithe ki main kaun hoon aur agar baith jao to mukt ho gaye. Bas usi ka gyan hai. Sara ka sara gyan usi ka gyan hai. Samjh pa rahe hain aap na? Swami gujeshanand ji shri Harivansh maharaj ji dandvat pranam. Maharaj ji vedant ki ek prakriya hai neti neti karke man ko sansaar se alag karne ki lekin iti karke sarv mein bhagwan ka darshan karte karte evam ishwar ko apne sarv vicharon ko samarpit karna kya uchit prakriya hai?

haan ye bhakti janit hai. Jahan kaha jaata hai nahi hai. Wahan bhi hai. Nahi hai. Wahan bhi hai ki nahi hai? Haan. Jahan kaha jaata hai nahi hai agar paramatma na ho to yah siddhant khatm ho jaega. Sarvam khalmidam brahm ne nanast kinchan sab jagah wo paramatma hai. Koi kan bhi aisa nahi jismen paramatma na ho. Eesha vasdam sarvam yat kinch jagatyam jagat jagat ka ek kan bhi aisa nahi jismen paramatma na virajman ho. Jad chetan jag jeev jat sakal Ram mein jaan sab mein bhagwan virajman hai. Do siddhant hai. Ek pehle na kahte hue phir haan mein aa jana aur ek haan haan kahte hue usi mein doob jana.

haan haan kahte hue hai yah bhakti aur gyan kyonki tarkik pravriti hai na to yah jo dikhayee de raha hai yah paramatma nahi hai yah maya hai jo dikhayee nahi de raha hai inme rahte hue wo paramatma hai isliye total nahi hai brahm satyam jagat mithya nahi sabam nahi ye sab nahi wo tarkik buddhi hoti hai na vairagya prabal hota hai to pure jagat se vairagya karke sthul jagat sukshm jagat aur karan jagat bahar aur bhitar samjh rahe ho bahar jaise sthul jagat sukshm jagat swarg lok karan jagat brahmlok yahan sthul sharir sukshm sharir karan sharir tino se nakar diya aur jab swayam se swayam ka anubhav hua phir aankh khuli to sarvam khalmidam brahm ne nanast kinchna jisko neti neti kaha tha brah brahm satyam jagan mithya wahan sab jagah brahm ka anubhav hua ab brahmanubhuti brahm bhuta prasann atma na sochta na kakshat sama bhute mat bhakti late para ye para bhakti ki prapti hui ki wo akhand prasann ab wo swayam brahm bhut ho gaya matlab brahm vid brahm bahut swayam brahmamay hokar akhand

prasannata akhand anand ko prapt ho gaya ab kinchin matra kahin sukhdukh ki sambhavna nahi na soch ki na shok ki na chinta ki har samay apaar anand kyonki apna anand swaroop hi hai gyan marg bhagwan ki sharan mein hokar bhagwan ka naam jap karte hue bhagwan ki leela katha sunte hue sab kuch bhagwan hai vasudeva sarvam iti samatma sudarlabha sarvatra bhagwan pure ke pure virajman hai panch panchbhut bhi bhagwan hai. Sab kuch bhagwan hi hai. Siya Ram mein sab jag jani karo pranam jo ye bhakti hai. Ye bhakti hai. Sarvatra apne bhagwan ko sab rupon mein dekhna.

jab tak yah bhakti nahi aati hai tab tak purnata nahi hoti. Aur is bhakti mein main kho jaata hai. Is bhakti mein main ka vismaran hai aur usmen tu ka vismaran hai. Keval main hi main aham brahmasam aur ismen brahm nahi maya nahi jeev nahi kal apni sudhi na rahi ek raho Nandlal ishtkar vritti jaise ramakar vritti shivakar vritti krishnakar vritti bhagwadakaar vritti ismen anya vritt jab ham ek ek kshan ek ek vritti ko sambhal sambhal ke prabhu ke sumiran mein lagaenge jahan man jae wahan se hata hata ke bar-bar prabhu mein lagaenge to hamara man ekaagr hone lagta hai.

ekaagr man hi sampragyat samadhi mein jaata hai. Sampragyat samadhi hi nirwikalpa asampragyat samadhi ko prapt ho jaata hai. Yahi moksh pad hai. Yahi nirvaan pad hai. Samjh pa rahe hain? Maharaj ji jab bahut sare vichar ate hain to un vicharon ko ham lalju ke saath jod den. Jaise Lalaju dekho ye vichar aa rahe hain. Lalaju dekho ye aa raha hai. Nahi vichar aa rahe hain. Unmein dekhna hai ki sad vichar kitne aur asad vichar kitne hain. Jo asad vichar hain unko nakar dijiye. Dves nahi karna. Nakar dena hai.

vyarth vichar jo bhi haan dekho vicharon se upram ho jana. Upram ka matlab hota hai pehle upram ke pehle sthiti hoti hai udasin. Udasin ka matlab hota hai na mitrata na shatrutha na rag na dves jo gande vichar aa rahe hain unse ham upram ho jaate hain hamara jaise kabhi apne logon ke bhojan mein mans ka chapter hi nahi na ragatmak na dweshatmak upram upram jo mahapurush hota hai uski dasha aisi hoti hai jaise idhar baithe koi mans kha raha hai aur idhar baithe koi satvic bhojan kar raha hai aur beech mein baitha usko koi matlab nahi na isse koi rag na isse koi dves hai wo apni sthiti mein prakriti ke anusaar sab cheshta barat rahe hain wo apni sthiti mein rahta hai na rag na dves to hamko aise hi man jo hai puri bazar hai man ke dwara diye hue jitne vichar hain vichar kya hote hain sphurna hoti hai pehle sphurna hoti hai satna asatna phir sphurna mein jab ham rag karte hain ya dves karte hain to sankalp banta hai aur jab sankalp ban jaata hai to kamna hoti hai.

jab kamna hoti hai to phir kriya ho jati hai. Pehle spana phir sankalp phir kamna phir kriya. Kriya hui sat to sataarg ka pathik age badh gaya aur kriya hui asat to bhrasht ho gaya. Aur sat kriya karte karte sankalp ka abhav ho jaata hai. Bina sankalp ke jo kriya hoti hai, bina aham karta bhav ke jo kriya hoti hai, wah bhagwat prapti wali hoti hai. Sankalp karke jo kriya hoti hai, wo bandhne wali hoti hai. To sadhak chalta to sankalp se hi hai. Par pahunchta nisankalpa sthiti ko hai. Samjh pa rahe hain aap?

to maharaj koi bhi vichar ham lal ji ko arvan karte ja sakte hain. Asat vichar nahi maharaj ja rahe hain kahin par lalo dekho Lalu ji ye dekho ye vichar hai shri ji dekho ye vichar hai aapko arvan kar rahe the haan to maharaj vichar haan usse kya hai ki man aisa lagta hai ki hamari sadhna ho rahi hai haan bilkul bilkul haan bilkul theek baat theek baat hai achchhi baat bhai santa sinh ji Uttarakhand se sat Shri la maharaj ji Radhe-Radhe maharaj ji guru vani mein har shabd mein har ang mein sadhu sang ki mahima gai gayi hai aur Vrindavan dham ki mahima gai hai aur arjun arjun dev ji maharaj ji ne bhi hamare guru granth sahib mein mahima gai hai.

isi mahima ko jankar ham Vrindavan aapke darshan karne aae hain. Maharaj ji maharaj ji aapka bhav hai ki aapka jo jeevan hai wah satsang naam aur kirtan mein akhand pravah chalta rahe kya margdarshan hai hamare liye maharaj ji guru vani ka khub adhyan karne ka jo phal mila wo sadhu sang aur naam jap hai. Guru sahab ki kripa se hamko bhi guru vani adhyan karne ka saubhagya mila. Guru granth sahab ka usmen do baten khas pai gayi. Chahe jo jin guruon ki vani ho naam jap aur sadhu sang. Ye do baten guru vani mein bahut jor ki pai gayi hain.

to yadi ham sadhu sang karen aur naam jap karen to hamare hriday mein nirantar anand nirantar paramatma ka aur akaal purush ki vah guru ki kripa hamare hriday mein jhalakne lagegi. Naam jap aur satsang sadhan ko hari bhajan hai kah satsang sahai jo naam jap hai nanak naam jahaj hai chadhe so utre par jo naam rupi jahaj mein chadh gaya bahut samudra se par ho gaya par naam rupi jahaj mein chadne ka aur naam jap ka utsah badhne ka ye sadhu sang se hota hai isliye sadhu charan raj ki mahima sadhu seva ki mahima sadhu sang ki mahima har gurjan ne gai hai jo apne 10 gurjan hai na to har gurjan ne gai har guru updesh mein yahi paya hai naam jap aur sadhu sang isi bhav ka lekhan maharaj ji aae kot aparadhi sant sang utre jam taake ne na ave janm janm ka bichhda hove har an bilkul bilkul bhram bh kate sant sharan jo ave ja manorath kare aradhe so santan te pave ji ji maharaj ji ye bhav leke aae ye naam satsang katha kirtan ka akhand jo parvah ye nirantar chalta rahe aur akhri dum tak ji ji ji haan yah guru kripa se hi sab sambhav hai.

guru kripa wo hai khub guru kripa hai. Akhri dum tak bas haan bas isi mein lage raho isi se par bhi ho jaoge. Isi se par ho jaoge. Anya ismen pravesh na karne pave maya prapanch nana prakaar ki jo varta hai keval bas guru vani ji aur naam jap aur sadhu sang aur asang rahe asang rahe prapanch se asang rahe to yahi par kar degi Radhe new Delhi se shri Harivansh shri Harivansh maharaj ji aapke charnon mein dandvat pranam Gurudev bhagwan sant aur sad granth kahte hain ki kartavya palan avashyak hai. Kya kartavya palan kiye bina bhajan sadhan safal nahi hoga?

kai bar arthik sthiti ya anya kai kashto ke karan ghar ke parijnon ke seva nahi kar pata to kya mera bhajan naam jap vyarth ho jaega? Bhajan naam jap ye bhagwat prapti ke liye alag kshetra hai aur kartavya palan alag kshetra hai jo ham kartavya palan kar rahe jaise mata-pita ki seva hai dhan kamane ka udyog karna hai dhan kama ke lana hai parivaar ki seva hai ye to manushya ka kartavya karm hai apne parivaar ka poshan karna par jo naam jap karna hai bhagwan ka dhyan karna hai bhagwan ka pujan karna hai ye bhagwat prapti ke liye mahan kartavya hai param kartavya kartavya aur param kartavya dharm aur mahan param dharm ismen antray hota hai.

yah laukik kartavya hai. Wah alaukik kartavya hai. Bhagwan ka naam jap usmen yah thodi ki yah nahi kiya to usmen badha par jaegi. Par hamen chahiye ki ham kartavya ka palan karte hue bhajan karen. Tabhi anand aayega. Ab budhe mata-pita kasht pa rahe ho. Tum mala liye baithe ho to aisa nahi hai. Unke pair dabao, unke kapda dho, mehnat karke lao, kamao aur unko khavao, piyao. Kyonki jab tum kisi yogya nahi the tab unhone tumhen palan poshan kiya. Ab unki vriddhavastha hai. Tum som teerthayatan ja rahe hain.

tirthon ki jarur unke charnon mein tirth hai. Unki seva karo. Budhe mata-pita ki seva karna, budhe parivaar ke jo bujurg jan hai unki seva karna, dharm purvak dhan kamana yah bhi to kartavya karm hai. Haan, isse bhi bhagwan prasann hote hain. Yadi naam jap karte hue apne mata-pita ki seva ki jae aur dharm purvak dhan kamkar parivaar ki seva ki jae to kahin tirth jane ki zaroorat nahi. Ghar hi uske liye tirth hai aur ghar mein use bhagwat prapti ho jaegi. Bas naam jap jarur hona chahiye. Bhagwan ka smaran jarur hona chahiye.

mahamandleshwar karanpuri ji maharaj rohtak se maharaj ji Radhe-Radhe maharaj ji ab aisa lagta hai ki yug badal gaya hai jaise na pehle prani the na jaise pehle jaise soch nahi rahe maharaj ji aajkal sab bachchhe mobile mein agradsar hai nashe mein bahut bahut jor se yug parivartan ho raha hai bhrashtachar nashebaji hinsa chori ye sab bahut kisi par kisi ko vishwas nahi rah gaya varnashram dharm ka koi achar nahi rah gaya shastr sammaan nahi rah gaya sab manmani aacharan chal rahe hain. Manmani badal raha hai aur badlega. Abhi to bhrashtachar aur badhega.

tabhi to kalyug ka prabhav aayega. Bha bhrashtachara sab sansara dharm sun nahi kana kan se bhi dharm sunne mein nahi aayega. Aisa bhrashtachar badhega. Wo to badh hi raha hai. Pratiphal badh raha hai. Ye raaksasi pravriti badhti chali ja rahi hai. Jisko dekho nashebaj ban raha hai. Jisko dekho vybhchar mein pravatt hai. Jisko dekho dhan mile chahe jitna jhooth bolna pare beimani karna pare. Ghuskhori karna pare adharm karna. To kahan kahan? Shastr mariyada kahan? Dharm mariyada kahan? Kahan maryadaen rah gayi? Koi birla hi aisa hai jo shastr ka chintan karta ho ki iske anusaar hamen chalna chahiye.

koi dharm ka chintan kar nahi mera dharm yah nahi hai. Main aisa nahi kar sakta. Aisa ganv mein ₹100 ke gehun beche gaye the. Ye 45 varsh pehle ki baat bata rahe hain. To 1110 aa gaye the. Uske ginne mein bhram ho gaya hoga. 10 ka note zyada aa gaya tha. To jab ghar mein gina gaya to 110 the. To kaha pure le jao uske samne aur usko dikhao jake ki 10 note 10 ka note tumhara itna tha aur usko diya aur phir ₹100 ₹100 ke gehun rupya ₹1.5 kilo gehun bikta tha to ₹100 ke gehun beche the. 10 is tarah aa gaye to kafi the.

lekin aisa nahi turant paise wapas kiye. Yah dharm hai ki nahi uske ₹10 zyada aa gaye. Ham ₹1 aur aaj kya hota? Are wo agar kahta bhi ki hamen lagta hai ₹1 zyada aa gaye kya? To bole kaise ₹100 diye the tumne. Wo jhooth bol jaata. Dharm ka sakshi rakh ke kahin koi adharm nahi karta tha. Kahin bhulchak se koi adharm ho jae to log usko samaj mein baithaal karke uski ninda karte the. Usko pratdit karte the. Ab samaj hi nindniy ho gayi hai. Bade budhe char log baith ke hukka pite hain. Sharab pite hain to bachchon ke upar aacharan kiya jaega.

to dharm ka shastr ka aajkal sammaan karne wale bahut kam rah gaye hain. Shastr mein kya likha hai? Mera kya ashram hai? Ashram ke anusaar mera kya dharm hai? Ye koi jaan hi nahi raha. Bas manmani aacharan karte raho. Manmani aacharan karte raho. Pehle satya tha. Haan pehle bilkul satya baat hai. Pehle satya dharm ka swaroop satya hi hai. Pehle satya tha ab to vibhchar jhooth vish ye sab badh raha hai. Par phir bhi kuch dharmatma log to hai hi kuch bhagwan ke naam japak to hai hi nahi to bada atank mach jae. Agar sab vyabhchari ho jae sabhya Shani ho jae.

unmein se kuch to sanyam mein chali rahe. Kuch sant mahatma hai kuch dharmatma grihasth hai jisse abhi thoda prithvi tiki hui hai. Nahi to atank mach jaega. To ye adhnikta agar dharm yukt nahi hai to log anusaran karte hain ki dusre deshon mein dekho log kitne sukhi ise sukh kahte hain aag lagi to lagte hi chali gayi bhukamp aaya to girte hi chali baadh ai to samette chali to jal prithvi vayu akash agni ye panch pradhan devta hai jinse sharir bana hua hai agar dharm se nahi chaloge to jitna punya utna bhog lo iske baad tumhen yahi jala ke rakh kar denge yahi tumhen nasht kar denge isliye bahut darna chahiye ki hamse paap na ho aur dharm purvak aacharan karna chahiye.

maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam. Maharaj ji bhojan ke prati meri lalsa kam hi nahi ho rahi. Roz naye-naye vyanjnon mein meri ruchi badhti ja rahi hai. Haan to yahi panch gyan indriyan hain aur panch karmendirya hain. Yahi pure charachar jagat ko phansi hui hai. Kisi ko jaban phansi hui hai. Kisi ko Jnendra phansi hui hai. Koi dekhne mein koi sunne mein koi chune mein, koi bhogne mein pura sansaar isi mana kastan indriyaan prakriti sthan karshti panch gyanendriay aur ek man prakriti mein sadaiv lagae hue jeev ki durgati karta hai.

wahi koi balvan hai jo bhagwan ke naam jap ke prabhav se shastron ka swadhyay karke sadhna ke prabhav se apni panch gnyanedryo ko in bhogon se hata ke bhagwan mein lagate bhagwan mein lagane se atyantik sukh ki prapti hoti hai jahan dukh ka niveesh matra nahi hai aapki khade-khade khal utarwa di jae to bhi aap dig nahi sakte wo atyantik sukh hota hai jo bhagwan se prapt hota hai wo atyantik sukh prapt hota hai thakur haridas ji ko 22 bazaron mein mar beton ko mar kholo unke lekin hari bol hari bol bhagwan se jo anand prapt hota hai wo atyantik sukh prapt hota hai wo kahin nahi prapt hota hai wo Swami tulsidas ji kah rahe hain jaki kripa lavlesh te mati mand tulsidas ho payo param vishram Ram saman prabhu nahi hi kahun ye mal mutron ke dvaron mein sukh hai yahan se kha lo itne itne bhar ke jane ki baat hai yahan se gaya kya tha koi matlab nahi hai wo phir turant ulti karke karke dekho to dekhne layak nahi rahega aur agar chha ghante pet mein ruk gaya to durgandh yukt

mal ban jaega. To hamko utna hi khana hai jitne se pet pal jae aur satvic bhojan karne. Jaban ke swad ke liye khaoge phas jaoge. Jaban ke swad mein nana prakaar ke indriyon ke vilas mein pura jagat fansa hua hai. Agar bhagat bhi isi mein fansa hai to kis baat ka bhagat hai? Isliye thoda savdhani to rakhne ki zaroorat hai. Thakur ji ko uttam uttam bhog lagao. Achhche-achhche padaarth bant do. Rukha sukha kha ke sharir se khub bhajan karo. Mehnat karo. Dharm purvak kamao. Parivaar ka poshan karo. Bhagwan ko prapt ho jao.

ab bure acharno mein jaoge. Jiski rasendriy bas mein nahi hai. Uski koi indri bas mein nahi ho sakti. Nau indriyan uske bas mein ho jaenge. Ek indri ko vash mein kar keval rasendriy ko bahut dusht hai. Khatekhate jeevan are itna khane lagte hain ki murga murgi bakra gay bhainsa sab khane lagte hain. Nahi jabane ka to swad hai. Kitna girte chale gaye ki Rakshash ho gaye. Bolo gay murga bh kuch bhi kitna log bhrasht hote chale ja rahe hain jaban ke karan kuch bhi kha rahe hain kuch bhi chat rahe hain kuch bhi matlab kuch bhi ab uske age aap vichar karke samaj mein dekh lo sansaar ka kya hai manushya janm devatwa ke liye mila hai uttam anand ke liye mila hai 56 prakaar ke bhog thakur ji ko lagte hain ek se ek sundar swadisht bhog thakur ji ko bhog lagao aur utna pao jitne se pet pal jae sharir ko zyada mota karne se hamari dincharya mein badha aati hai.

rog badhte hain. Pramad sthiti hoti hai. Alasya badhta hai. Bhog buddhi badhti hai. Sharir ko uchit ann do aur charbi mat badhne do. Thoda vyayam karo. Daud bhag karo jisse sharir svasth rahe. Mota hona svasth hona nahi hai. Svasth hone ka matlab yatha yogya wajan hona, yatha yogya pet hona, yatha yogya ahar vihar hona to aapka uthna baithna sab theek rahega. Ek-ek kriya karne mein paresh wo koi swasthata hai. Swasthata hai ki swayam khade ho jao. Swayam apni dincharya karo. Jab tak vriddhavastha na ave tab tak tumhari koi seva na karne pave.

aise apne sharir ko svasth rakho. Tab to khanpan uchit raha. Ab achchhi chij mili dawa kha li wo charbi badha rahi to wo kisi kam ka nahi. Maharaj ji jaise aapne bola ki kuch bhi to maharaj ji dekha jaata hai maharaj ji hriday ki malinta hai kya? Kyonki maharaj ji jaise ek aise pavitra atma hote hain jaise kal hi aap hol mein ek chita tha to aapne bola isko bahar kisi ka pair par jaega. Ek hriday yah hai aur ek hriday ki jinda ko tal rahe aur jinda ko mar rahe maharaj kaise hriday inke hriday malin ho chuke hain.

karkash kathor patthar hriday ke log hain. Inki durgati honi hai. Inki haan inki durgati honi hai. Wo to bahut nindniy log hain. Bharat jaisa param dharm bhi dusre deshon ka anuran karne ke karan bhrasht hota ja raha hai. Anya deshon ke khanpan anya deshon ke bhog vilas ka anuran kar raha hai bharat. Jabki sada se bharat ke dharm ka anuran anya deshon ne kiya hai. Hamara dharmik desh hai. Hamara pavitra desh hai. Jahan dharm aur pavitra hai. Wahin sab kuch hai. Lekin ab naye-naye bachchhe to buddhi bhrasht ho rahi hai.

anya deshon ka anuran ye boyfriend, girlfriend, living relation, ye vyasan jo drugs ye sab anya deshon se apne desh mein padhara hai. Ye koi hamare desh ki na shastr mein kahin likha hai aur na samaj mein tha. 40 varsh pehle nahi tha. Boyfriend, girlfriend, livilaishan ye sab kuch nahi, gandi baten nahi thi. Jawan jawan bachchhe bachchyan ek saath padhte the. Kabhi koi gandi harkat nahi thi. Jante hi nahi the. Ab mobile aa gaya ek chhote bachchhe se puri thyorikal gatha sun lo usse sansaar ki puri gatha usko aati hai.

pura usko pata hai kyonki mobile uske hath mein hai. Jankari sab kuch hai. Charu nagpal ji shri Harivansh shri Harivansh maharaj ji maharaj ji main ek lekhika hoon. Vibhinn patr patrikaon aur kitabon mein lekh deti hoon. Maharaj ji main aksar samajik vishyon par jagrit karne ke vishay par likhti hoon. Pratdin jab samchar patr mein kisi naye vishay par mera lekh chhapta hai to adhiktar log us vishay ko samaj mein uthane ke liye mera dhanyavaad karte hain. Par usi vishay par hi kuch log mujhse naraz ho jaate hain aur uska alag tark de dete hain.

aise mein kai bar mujhe samjh nahi aata ki main sahi hoon ya galat hoon. Is vishay par aap maharaj ji yadichchhala santushto dwandateeto vivatsar kahin bhi vijay prapt karne ke liye pehle hamko kshamta lani padegi. Char prashansha kar rahe hain to khushi nahi aur char ninda kar rahe hain to hamko dukh nahi. Sukhadkhe samay krtva labha alabhau jaya ajay. Sukhdukh mein labh hani mein jai parajay mein saman bhav teen gun hai satogun rajogun tamogun aapka lekh yadi satoguni log padhenge to unko accha lagega rajoguni padhenge haan likh diya tamoguni padhenge wo ninda hi karenge unka swabhav hai wo dves hi karenge to hamko ye vichar karna hai apne ko bhi hamko sudridh karna hai ki agar samne se 100 log prashansha kar hai harshit nahi hona.

hamari baat 100 ki buddhi pavitra hai to samjh mein aa rahi hai aur agar 10 log ninda karne lage inko samjh mein nahi ai isliye ye viparit dves bhav se kar rahe hamen unke prati bhi koi dves bhav nahi karna chahiye aur anand hamara anand achurna hona chahiye. Wo kisi ke kahne na kahne koi kah diya bahut accha aap aandit ho gayi. Koi kah diya bahut bura aapka anand nasht ho gaya. Ye achchhi sthiti nahi hai. Achchhi sthiti yah hai ki ham sahi kar rahe hain. Ham dharm ke anusaar kartavya ka palan karte hue lekhni ke dwara jo bhagwan likha rahe hain wo likh rahe ho.

iske baad 100 ninda karen, hazar ninda karen isse mujhe koi parvah nahi hai. To aise bhav se rahoge to aapka hriday shital bana rahega aur yah prakriti hai. Ismen sabko support milta hai aur sabka virodh hota hai. Hamko kisi ko ek ko bata do jiska virodh na hua ho. Bhagwan tak ka. Yahan bhagwan ke bhi agar hazaron pujne wale hain to do char gali dene wale bhi hai. Prakriti ka aisa niyam hai. Isliye bhagwan ke samne Shishupal gali deta tha bhagwan ko to bhagwan ke samne to iska iska koi mahatva nahi hai ki char hamari baat ko na mane kyonki wah unki buddhi ki baat hai.

unki buddhi ki dhara ki baat

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • ekantik vartalaap evam darshan #1441 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • brahm gyani mahatma apna sharir chhota hai to uska sukshm sharir kahan jaata hai? — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1440 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • diwali par maharaj ji ke amritmay vachan | Diwali Special — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1439 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • ye 9 galtiyan aapki puri sadhna bigad sakti hain — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…