ekantik vartalaap evam darshan #1427
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
sourabh Gupta ji aleegadh se Radhe-Radhe maharaj ji aapke charnon mein koti-koti dandvat pranam. Maharaj ji kya koi aisa mantr ya stuti hai jise sunkar garbhsth shishu ko adhyatmik bal aur shuddh sanskar mil sakte hain? Bhagwan ke naam kirtan aur bhagwan ki leela katha mein apaar samarth hai. Prahlad ji maharaj jo itne mahan bhagwat hue jis samay hiranyakashyap kathor tapasya mein sanlagna hua brahma ji se vardan mangne ke liye to kayadhu ji ke garb mein the us samay devtaon ne aakraman kiya kyonki hiranyakashyap tapasya paraayan tha to jo anya senapati daitya senapati the unko devtaon ne parast kar diya aur pure mahal mein chhanbeen ki to aur to sab bhag chuke the kayadhu garbhvati thi inko bandi bandi bana liya hiranyakashyap ki patni ko aur bandi bankar liye ja rahe the to devrshi narad ji raste mein mile unhone kahan ja rahe ho to unhone kaha is ke andar hiranyakashyap ka wo jab balak paida hoga to use mar dalunga main unhone kaha tumhari kya samarth hai us balak ko mar sako ye nindniy karya karne ki sochna bhi mat chhod do to kayadhu ko chhod diya to kayadhu ko devrshi narad ji apne ashram le gaye aur wahan bhagwan ka naam kirtan bhagwan ki katha to garb mein hi Prahlad ji mahabhagvat ban gaye.
jaise garbhsth shishu Abhimanyu arjun ji chakravyuh todne ki kala garbhsth shishu ko shiksha di. Ab wo jab satwan dwaar todna tha akhiri to usmen maa ko nind aa gayi to wo nahi sun paye kyonki maa ke kan se hi wah sun rahe the. To isse pata chalta hai ki agar ham garbhsth nari ko satvic bhojan pavave, bhagwan ki katha sunawe, bhagwan naam kirtan karvawe, shastron ka kirtan sunawe to isse uska param mangal ho jaega aur Ram Krishna hari jo naam priy ho khub naam jap karen. Isse jo garbhsth shishu hai wo bhakt bhagwan ka bhakt banega.
wo dharmatma banega. Lekin jab garb rah jae phir maithun nahi karna chahiye. Yah log grihasth log manmani aacharan karte hain. Isliye bachchon ke angon par prabhav parta hai aur wah bahut hanikarak hota hai aur bachchhe kamuk paida hote hain. Jis din ye pata chale ki stri garbhsth hai usi din se brahmcharya rahna chahiye jab tak balak prakt na ho jae aur to ab aajkal log in santo ko dharm shastron ko na padhte hain aur na mante hain. Ankita ji bengaluru se Radhehe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji khud ke liye kaise jie koi upay andar ka dar kaise khatm karen khud ko pehchan lo khud ko pehchan lo bas ho jaega khud ke liye kya tum stri ban ke jiogi sharir ke liye ji rahe ho indriyon ki vasnaon ke liye ji rahe ho bhogon ke liye ji rahe ho khud ke liye kahan ji rahe ho khud ko jana hai kya to jab jana hi nahi to ji kis ke le rahe ho jana to sharir ko hai.
tum yahi to jante ho ki tum ek stri ho. Hai na? To sari indriyon ki bhog vilasita khanpan jitna jeena hai wo stri pane ka jeena hai. Khud ke liye kahan jeena? Khud tum kaun ho? Jante ho? Haan. Ab sahi marg ki baat hai ki jab tum khud ko jaan jaugi to khud ke liye jeena nahi hai. Dusron ke liye jeena hai. Khud ke liye jeena nahi hai. Dusron ke liye jeena hai. Jeena usi ka is jagat mein sarthak hota hai jo dusron ke liye jita hai. Khud to avinashi sacchidanand bhagwan ka bachchha hai. Wo to anand swaroop hai na stri hai na purush hai.
bas jankari na hone ke karan ham agyaan mein fanse hue hain. Samjh paye? Hamen lagta hai naam jap karo khub naam jap karo bhagwan ki leela katha suno satsang suno sas sasur ki seva karo pati ko bhagwan ka swaroop mano parivaar ke liye jio samaj ke liye jio dusron ko sukh pahunchane ki bhavna ke liye jio to aapko anand ane lagega jab ham apne anand ke liye sharir man ke karte hain to hamse paap hone lagta hai hamse phir durachaar hone lagta hai hamse galtiya hone lagti hai hamse aparadh banne lagte hain samjh hamare agar baat samjh mein aa rahi ho ki naam jap karo sas sasur ki seva karo pati ko bhagwan ki bhavna se dekho aur parivaar pati ke parivaar ki seva karo ab pati ka vihaar yadi aapke saath ruksha hai karva hai to aap wo bhagwan ki kripa se usko sahne ki koshish karo tab mangalmay jeevan vyatit khud ke liye to kya-kya log kar rahe khud ke sukh ke liye log apne pati ki hatya kar dete hain khud ke liye patni ki hatya kar dete hain khud ke liye bachchon ko mar dete hain.
khud ke liye bade budhon ka apman kar dete hain. Khud garji ye to bahut niche ki baat ho gayi. Khud ko samjh jao jo apna swaroop hai to dusron ki seva ban jaegi. Phir to sare jagat ki seva apne aap ban jaegi. Samjh pa rahe hain aap? Sant digvijay Ram ji chittaudgadh. Ram Ram maharaj ji. Maharaj ji ek bar Ram naam se udhar ho jaata hai. Aisi sant vani mein aata hai maharaj ji. Hamare vani mein aata hai par shart hai ek bar jin naam liye hit so hoe ati din samasth ahankaar galit ati dainya aur hit mane prem yahi baat ruk jati hai mile na Raghupath bin anurag prem pehle prem prakt ho na to lakho karodon arabon bar jape ham prem prakt ho jae phir ek bar jab niklegaa tab usse bhagwat prapti hogi ek bar jin naam liye hit so hoe ati din tako sang na chhar hi dhruv apno kar leen uska prabhu saath nahi chhote jo prem se ati dainya jiska sampurn ahankaar kar galit ho chuka hai aur jo bhagwat prem ko prapt ho chuka hai.
ek bar pukarta hai to bhagwan uske samne hote hain. Samjh rahe ho na? Haan aur 10 nama apardhon se rahit hokar ke jo bhagwan naam jap karta hai wo priti ko prapt hota hai. To hamen bar-bar naam jap karna hai. Savdhani purvak karna hai. Hamara ahankaar galit ho jae. Hamara aur dhire-dhire namakar vritti karni hai. Jaise mala hath mein chal raha hai, mukh mein naam chal raha hai lekin man sansaar mein chal raha hai to connection sahi nahi hai. Tino chijon ek honi chahiye. Karm mein to mala phire aur mukh mein jibhyamae man hua 34 phire so to sumiran na aae.
sumiran kise kahte hain? Jab man usi mein lag jae. Ham Ram bole aur Ram hamari ankhon ke samne Ram hamare kano mein sunai de raha hai aur Ram ka hi hamara chintan ho raha hai. Sampurnatya pura antahkaran ramakar wo bhajan bahut jaldi par prarambh mein sabki dasha thodi itni hogi. Isliye kaha jaata hai bhav kubhav anakh alas ho naam japat mangal dashu dason dishaon mein uska mangal hota hai chahe bhav se japo chahe kubhav se japo par itne se jab age badhta hai tab uski baat hoti hai ki man ke saath sumiran hona chahiye kyonki bandhan aur moksh man ka hai.
man vishyon mein laga to bandhan ka karan hai aur man bhagwan mein laga to moksh ka karan hai. Bhagwan Ajamil ka jaise udaharan haan antim samay antim samay antim samay uska antim samay tha aur usne apne putr ke bahane narayan pukara lekin naam ki itni mahima hai bhagwan ke naam ki ki narayan to antim samay narayan itne mein swas puri ho gayi aur yamduton ne gala daba diya utne mein bhagwan ke paas aa gaye ki ab kaise aapka adhikar hai kyonki isne antim samay mein narayan naam liya hai antim samay samay ke ucharan ke karan naam ucharan ke karan bhav wahan nahi tha.
bhav to putr ka tha. Haan bina bhav ke usne narayan naam mein apna chamatkar dikha diya. Yahi bhagwan ke naam ki mahima hai. Antim samay ke karan us naam ka prabhav para. Nahi jeevan bhar apne putr ko jo pukara narayan narayan kabhi romanchak hua kya? Kabhi uska bhav badla kya? Putr ko pukarta. Lekin antim samay jab narayan pukara to usi samay bhagwan ke parsad akar aur usko jeevan mukt avastha pradan ki. Usko avsar diya haridvar mein phir jakar usne sadhna ki aur bhagwat prapt mahapurush hua. Hamare yahan ramachran ji maharaj hue bhagwan acharya Ram sneh sampraday ke unhone pharmaya hai ki azaan bhaja ka yah shanana to jaan bhaja ka kaha agar ham jaan ke narayan narayan japenege to hamara kalyan kyon nahi ho jaega?
bilkul ek chhota sa aur bhav hai bhagwan naam jap satsang aur prani matra ki seva teen alag-alag hai par shreshth marg kya hai tino tino barabar hai kyonki ham jaise naam jap kar rahe hain to naam jap bina sant sang ke nahi hoga bhajan na hoe sang bin bhajan bina nahi prem to bhajan ka mul hai satsang satsang se bhajan hoga aur bhajan se hi prem prapti hogi aur satsang aur bhajan donon ka phal hai ki samaj mein vihaar mein ham sab mein paropkar ki bhavna aur bhagwat bhavna karen. To tino ka ek connection juda hua hai.
tino mein se ek bhi hat jae to mamla gadbad ho jaega. Agar hamara vihaar bigad gaya aur ham bhajnanandi hai to hamen bhajan mein vikshep par jaega. Agar ham bhajan shuru kar rahe aur satsang na mile to bhajan ke vikshep jo hai wo nivaran karne ki ham mein vivek shakti nahi hogi. Bin satsang vivek na ho aur satsang aur bhajan donon ka phal hai ki vihaar ramakar ho jae. Vihaar bhagwadakaar ho jae. Isliye tino avashyak hain. Sadhak ko tino hi karne chahiye. Bhajan karna chahiye, satsang karna chahiye aur paropkar karna chahiye.
par hit saris dharm nahi. Kyonki bina vihaar ke bina kriya kiye ham rah nahi sakte. Ek kshan bhi bina kriya kiye nahi rah sakte. To ham keval bhajan mein ekant mein baithe hue hain. Lekin kabhi to vihaar mein jana padega. Jab vihaar mein ham jaen to paropkar ki bhavna rakhen. Parhit ki bhavna rakhen. Uska kalyan kaise hoga? Usko sukh kaise milega? Usko shanti kaise milegi? Ye hamare vichar ho. Tabhi ham sadhak hain. Tabhi ham sadhu hain. To tino baten avashyak hain. Ismen shreshtha satsang ki hai.
kyonki satsang se hi bhajan aur paropkar donon dharaen phutti hain. Agar satsang na ho to bhajan mein ruchi nahi hogi. Bhajan prarambh hi nahi hoga. Sabse mul karya hai satsang aur satsang se bhajan aur satsang bhajan donon se paropkar ki bhavna. Radhe-Radhe maharaj ji Gurudev main niyam pure nahi kar pata. Dincharya na bhajan apne aapko kosta rahta hoon. Kal se nahi karunga par mata ji ki dant aur mar khane ke baad bhi nahi sudharta. Ma mataji pitaji chhoti-chhoti baton par krodh bhi kar deta hoon. Ke jawab de deta hoon.
dekho ismen bahut gambhirta se chalna hai. Jo hamari galtiya hai wo aaj ki nahi hai ki ham abhi kah de kasam khate hain aaj se nahi karenge to ham Bhishma nahi hai. Dhire-dhire dhire-dhire ek-ek galti ko katte jao. Ek-ek galti ko dhire-dhire hatate jao. Jo sachchai hai us par chalte jao. Jo kachchai hai usko chhote jao. Iske liye jo samarth hogi wo naam se milegi. Agar aap Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha adhik se adhik naam jap karenge to gandi baten apne aap chhutti jaengi. Achchhi baten apne aap ateengi.
niyam ka palan tabhi hota hai balvan niyam ka palan karta hai. Nirbhal nahi to sharir ka balvan nahi adhyatma bal. Adhyatma bal hota hai naam jap shastr shravan shastr swadhyay santo ka sang. Isse hamare andar adhyatma bal aata hai. Aur mata-pita chahe jitna katu vachan kahe unke pair hi chuna. Kabhi unko katu shabd mat kahna. Kabhi unhen marne pitne wali bhavna mat rakh lena. Chahe jitna vayo vridh ho roz charan chhute ho. Haan roz charan chu unke jab wo gali de to hath jod ke khade ho jao. Guru ji jab mata hamari dantti hain hamko to aapka satsang mein aapne bataya tha jab aap maa mata-pita dante to man mein Radha naam japo taki kuch na aae.
haan haan karta hoon lekin itna bolti hai bolti hai to wo bhi achanak se sab bhul jaata hai aur phir main bhi palat jawab deta hoon nahi jawab nahi de uttam baat to ye hai ki nahi jawab nahi diya hath jod ke sunte rahe jitni der wo gali galauj jo bhi karen charnon mein pranam phir dekhna aap kitna aapka saubhagya uday hoga jab kisi ke pita mar rahe ho bas aise ho jae aur mata jab gali de rahe ho mar rahe ho to bas aise charnon ki taraf ho jae uski unnati ho jaegi par aisa putr hona bahut saubhagya ka to aap bano na saubhagyshali kya jaata hai chahe mar thodi dalenege mata-pita hai agar do char thappad bhi mar den to jawab palat kar na de charan chu ke jae phir dekho bhagwan kaise unnati karte hain apne mata-pita ko jo matri devo bhav pitr devo bhav to bhagwan dekh raha hai wo mangal karega theek hai Madhav Vashisht ji maharaj ji kah rahe hain ki jo shri ji ko poshak dharan karai jati hai.
usmen kya savdhani rakhni chahiye? Jaise garmiyan aa gayi hain to garmiyon mein kya unko bhi sukhad shri ji ko sukhad hona chahiye aur hawa lagni chahiye. Aise vastr jaise hamko anukul bhagwan ki seva kaise kahte hain? Deh bhav se. Bhagwan ki seva kaise karte hain? Jaise agyani purush apne deh ka poshan karta hai. Agyani purush jaise garmi ka samay hai to apne sharir ke liye kaisa vastr dharan karta hai? Kaisa jal chahta hai? Kaisa bhojan chahta hai hamko theek waise hi karna hai. Jaise deha abhimani jeev apne sharir ko sukh dene ke liye karta hai.
aise apne isht ke sukh ke liye karna chahiye. Lakshman ji ke liye aaya hai ki Siyaram ji ki kaisi seva karte hain. Jaise ji aviveki purush sharir jaise aviveki purush apne sharir ko sukh dene ke liye bhai garmi ab jaise sardi hai to pani ko ham utna hi garm karen. Pehle apne hath mein dal ke dekhen. Phir shri ji ko snaan karaen. Apne ko jaise garm kapde to komal aur garm kapde shri ji ko ab jaise garmi aa gayi hai to aise kapde dharan karwaen jisse garmi na lage shri ji ko vastr bhi dharan ho aur sukhad ho sparsh mein sukhad ho.
patle kapde ho aur badhiya sukhad kapde ho. Shri ji ko sukh mile. Aisa bhog lagane mein jaise ritu phal hai, jal hai aur sharbat hai aur phalan ka joos hai. Aise achhche-achhche bhav karke jitna pavaoge utne shri ji prasann hoenge. Maharaj ji ek ek prashn vyang chal raha hai. To maharaj ji jaise jo shri ji ki poshak hoti hai wo kya ham phir se unko dhona dho dho ke hi phir dala jaata hai ya usko rakh de phir kabhi bhi dal sakte hain? Nahi agar dhone layak ho man lo jinke paas bahut hai to ek do bar pahnae phir de diye kisi ko de diye bakaya jo dhoya bhi ja sakta hai lekin aise sthano par dhoya jae shri ji thakur ji ki ki jismen laghu shanka na ho ki gayi ho aisi jagah dhoya jae jaise ham ek tasle mein dho dho lete hain bade patr mein dho lete hain ek bar pani se nikal ke jaise dho ke jaise bhi bane aur wo ham vrikshon mein dal den bhagwat vastr wastron ko sambhal ke aise dhoya jaata hai ki jaise prakshaln kiya gaya dhoya gaya ek
to wahan zyada usmen sabun sab ki zaroorat nahi hoti saaf hi hote hain agar prakshaln pavitra karna hai to jaise pani dal diya gaya aur niche patr rakha hua hai bada tap rakha hua hai wo sab pani tap mein gaya tap uthakar kisi vriksh ke thale mein dal diya gaya jaise kisi ke pairo ke niche bhi na pare bathroom mein bhi na jae ab jaise yahan Vrindavan hai yahan to koi baat nahi ye to bhagwan ka dham hai yahan to bhagwan ke dham ka puri bhumi sab chachchidanandmay hai yahan to koi baat nahi lekin ganv gali mein savdhani is baat ki rakhen par ji ek bar jo poshak dharan kara diya agar gandi nahi hai to ham usko sambhal ke rakh den aur phir dharan kara sakte ismen aisa nahi ki usko dhona padega ya prasad nahi aisa nahi nahi aise aisa nahi aur abhushan ka maharaj ji abhushan to aajeevan dharan kara sakte hain.
abhushan to ajeev keval jo phool aadi se bane abhushan haan phool aadi ke jo prasadi hai wo dobara nahi dharan kara sakte hain. Ji poshak mein rang ka mahatva hota hai kya? Koi rang ka mahatva nahi hota. Jo apna jo rang mein man aa jae ki aaj shri ji ko is rang ka pahnate hain wahi pahnate hain. Koi niyamavli thodi shri ji ke liye hamara man aa gaya hari dekha to aaj harit pahna dete hain. Aaj lal pahna dete hain. Aaj kali pahna dete hain. Aaj pili pahna dete hain. Kale vastr pahnte hain. Kyon nahi? Ham avasya ko to kale vastr dharan karte hain.
hamare Priya pritam ama amavasya ko to kale vastr dharan karate hain. Priya pritam. Are yar apne bhav ke vishay hai. Unko koi kapda chahiye kya? Hamare bhav jaise bante chale ja rahe hain waise garmi ka samay tha. Thakur ji ki seva karke shayan kara ke Jaymal ji gaye to upar chat par gaye. Bangle pe apne raja the to hawa aa rahi sheetalata. Unke man mein aaya yar thakur ji ko niche shayan kara ke ham upar hawa le rahe hain. Ye to theek nahi. To thakur ji ke liye alag mahal banwaya aur upar jaisa apna bangla waise sab khidki se hawa aa rahi sab aise pura raj darbar ki tarah jali padi hui aur gadda laga hua shayan kaksh pura shital kaksh banwaya shital aur roz sham ke jakar ke Priya pritam ka shayan karate jo shri vigrah tha charan dabate aur shayan kara ke ate aur sidhi hata dete ki koi wahan pahunch na paye.
unki patni ne vichar kiya ye kya chakkar hai? Roz sidhi laga ke upar jaate hain alag mahal se pooch sakti nahi bhaywash unka kuch na kuch to gadbad hai unko shanka hui ki kuch na kuch to gadbad matlab kisse milne jaate hain kya hai vyvastha upar aur kisi ko jane nahi dete swayam wahan ki sevkai karte the jab sidhi laga jab wo so gaye to sidhi lagaya upar gaye to unhen murti nahi dikhayee di sakshat Priya pritam sote hue dikhayee diye upar chadh ke gaye darshan kiye kamp gayi ekdam ki are main kya sochti thi yahan to Priya niche utar kar ke ai aur dusre din kaha ki kshma kijiye hamen sanshay tha ki aap upar to unhone kaha upar gayi thi kyon gayi upar to kaha upar gayi dekha Priya pritam sakshat so rahe hain sakshat Priya pritam to gale laga liya ki hamko to jeevan ho gayi seva karte hue lekin tumhen bhagwan sakshat darshan diye bhagwan to bhavna Priya pritam sakshat unko darshan isliye liye diye ki main seva sweekar kiye hoon.
kya bhavna ki yar ham to khule mein so rahe hain. Priya pritam niche so rahe. To aise hi bhavna jaise garmi ka samay hai to raybel gulab kamal ye phool le liye aur saiya laga di. Raybel ki bichhae upar kamal ki pankhudiyan upar gulab ki aur uske upar Priya pritam ke liye ek kapda maheen bicha diya. Sugandh sheetalata aur Priya prit bhavna ye bhavotsaven bhajitam ras kam dhenu ham tumhen kaise batayen bihari ji ke jo daliya lagate hain na inse ratri mein phool mangte jakar ke to do-do phool de dete aur wahi jakar rote hue ki ham garib bhikshuk prabhu ham aapke liye kya saiya lagave to aise aise tod ke phool do char aur aise karke aur jab shri ji ko sahan karate to aisa hriday mein lagta ki sakshat shri ji sahan kar rahe hain kyonki ek dainya bhav tha ek paisa paas nahi mangkar phool laye to jo bhav banta tha na ki mujh garib ki prabhu seva sweekar karo to bhav bhav agar aap char gulab ke phool liye aur char pankhudi aise dal diye aur bhavna ki ki Priya pritam ki maine saiya lagai to prabhu saiya ko sweekar karte hain bhavotsaven bhajta prabhu kah rahe bhav ka bhukha hoon main aur bhav ek sal bhala tribhuvan jinhone racha unko kya chahiye aap socho ham sabke data to wo hai ham unko denge lekin hamara jo bhav hai wah sweekar karte hain.
Rajendra kumar bharatpur se Radhe Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji main sal bhar se naam jap kar raha hoon. Maharaj ji mera man thoda shant nahi rah raha. Ye kah rahe hain ki shanti chahte hain par shant kyon nahi rah raha pata nahi chal raha maharaj ji jaap bhi karne ka prayas kar raha hoon. Phir bhi kamnao ko jab tak ham control nahi karte tab tak shanti sukh nahi milta. Bin santosh na kam na sahi aur achat kam sukh sapne na. Jab tak ye kamnayen jinda hai tab tak ye hamen jinda rahne nahi deti. Ye ashant karti rahti hai.
thoda santosh dharan karo. Jo bhagwan jaise chala rahe hain usmen raji raho. Yah yatha labh santosh sada kahu so kachu na chaho jab santosh aa jaata hai to shanti apne aap aa jati hai jab tak santosh nahi hota tab tak shanti nahi hoti koi na koi kamna ashant karti rahti hai koi na koi baat ashant karti rahti hai nind bhi nahi padti hai nahi aap ye vichar karo ki agar koi andar baat na ho to parmanand jagrit ho jae ek baat samjho siddhant hai na agar koi baat andar na rah jae prashant atma to to phir brahm bhut kalamsha akalmasha nishpap wo brahm bhut ho jae koi na koi baat hamare
andar rahti hai jisko ham pakar nahi pa rahe hamen ashant kiye hue andar dekho koi baat hai koi kamna koi ashanti koi priyata koi chah sab kuch theek ho gaya bhagwan kripa se maharaj ab koi kam nahi par to phir ashanti kyon hai ek sal se Ram naam ka jap bhi karta hoon bhojan pata hoon to bhagwan bhog karke pata hoon haan to ashanti kis baat ki hai wo to pakdo na andar ki ashanti kis baat ko lekar hai maharaj ji aisa ho sakta hai ki bhajan mein zyada chitt lag raha ho ki abhi sansarik jo vihaar hai usmen man na lag raha ho aisa bhi ho sakta hai lekin udasin mat hoiye nokri se udasin mat hoiye yah bhi bhag nahi lagta bilkul pata nahi man bilkul vichlit ho jaata hai nind nahi pati hai bilkul kuch bhi nahi sochta hoon maharaj ji kabhi pata nahi ye agar bhajan se nind nahi aayegi to pareshani nahi hogi ek baat yah samjh lo agar bhajan se nind nahi aayegi na ki bhajan karte hue puri raat vyatit ho gayi aur nind nahi ai to pareshani nahi hogi aur agar shareerik kuch kami matlab aisi jo jisse nind na ave usko
doctor ko dikha lo kisi aap aandit rahie aandit rahie aur andar ke vishay ko dekhte rahie hamen to lagta hai ki aap ek sal se naam jap kar rahe ho ham logon ka jeevan naam jap karte hua yah jarur hai jaise ab hamse pocho hamare man ki pocho to lagta hai band kamra ekant shant par hamko duty di hai bhagwan wah hamen karna hai. Apne man ko rok karke ham yah baat karte hain. Aapse prashn uttar karte hain. Aapse baat to jab hamara man bhajan mein lagne lagta hai to sansaar vyarth lagne lagta hai. Sab to phir wo accha nahi lagta hai.
phir accha nahi lagta. Par aisa hone par bhi apne kartavya ka palan karna chahiye. Man mar karke apne kartavya ka palan jaise ham kar rahe hain aise aapko karna chahiye. Aur nind wali baat to mujhe kam samjh mein aa rahi hai ki jaise din bhar bhajan karen to dat ke nind aa jati hai. Thak gaye na to nind aa jati hai. Yadi bhajan karte hue raat puri nikal jae aur nind na ave tab to aur anand aata hai. Disturb nahi hote. Hamen lagta hai kuch matlab aisi sharir ki maang hai kisi aushadhi ki jisse hamara dimaag shant aur sthir ho jae.
jaise joi joi pyaro kare soi mein bhave. Tej pratap ji Delhi se Radha shri Harivansh maharaj ji Gurudev jab ham kisi ke bare mein zyada sochte hain ya phir kisi ko bar-bar dekhte hain to wah chij kisi na kisi din hamare sapne mein avashya dikhayee deti hai lekin Gurudev jab wahi ham bhagwan ki leela dekhte hain ya phir unka zyada smaran karte hain to bhagwan usi rup mein swapna mein kiska nahi aa rahe maharaj ji aisa nahi karte bhagwan ki zyada leela sunna aur bhagwan ke liye zyada chinta chintan karna nahi to tum mahapurush ho jao.
tum sadharan baat samjhte ho. Keval prashn karna sahaj hai. Bhagwan ki lilaon ko zyada sunna aur bhagwan ki lilaon ka zyada chintan karna aur bhagwan ka naam chintan karna aur phir yah adhurapan hona ki bhagwan ki leela hamare swapna mein nahi aati. Kaisi baat karte ho? Kitna bhajan karte ho? Kitni leela padhte ho? Kaun se puran ka adhyan kar liya? Kaun se shastron ko shravan kar liya? Bolo. Kaun se baithkar ke sant charnon mein tumne sab shastron ka shravan kiya? Kitna naam jap karte ho? Kitna kirtan karte ho?
kitne ghante shastr swadhyay karte ho? Keval bachchha prashn kar lena sahaj hota hai. Aise mariyada bhagwan ki leela ki khandit hoti hai. Yahan to aisa lagta hai ki jage na sote hi rahe. Swapna mein jo anand bhagwan dete hain na. Haan. Haan kabhi vishesh mahapurushon ka samagam kabhi bhagwan ki mangalmay leela to aisa lagta hai jagna vyarth hai sote hi rahe jinme bhagwan ki leela aur chintan chalte hain zyada shabd mala do mala ghuma lo to bhi baat pavitra to hriday hone hi lagta hai lekin zyada jaise tum kah rahe ho to zyada karke dekho khuli aankh darshan hone lagenge khuli aankh bhagwan ki leela ka chintan hone lagega kaisi baat karte ho wo bhi baat ham logon se karte ho hamari asha yahi hai hamare hamara jeevan yahi hai.
hamari sadhna yahi hai. Hamari purnata yahi hai. Baat samjh mein ai na? Haan. To galat prashn tha. Bhagwan ki lilaon ka dekho to tum gakar ke kaun se puran ko tumne samyak rup se sun liya? Kaun se puran ka samyak adhyan kar liya? Kaun se puran ki tumne leela samyak chintan ki? Bolie. Dekhte hain. Kya dekhte ho? Ramayan. Are Ramcharitmanas padhkar ek bar puri dekho aur Ramcharitmanas ka adhyan karo. Jis mahapurush ne jeevan bhar Ram Ram kah ke tapasya karke granth ko likha usko padho. Yah to prambhik manoranjan ke liye bane hain.
dekho wah keval abhinay kar rahe hain. Unmein wah pavitra nahi wo sadgun nahi hai. Jo abhinay kar rahe hain wo sadgun nahi hai. Wo yudhishthir ka charit dekhna to mahabharat padho jo bhagwan shri Krishna dwapan vyas dev ji ne likhi aur jab us un yudhishthir se prichay hoga tab tumhara pavitra hriday ho jaega. Ye to akarshan ke liye bahut badhiya banai hai. Kyonki sacchidanand leela ko prakritik leela mein utarna sacchidanand bhagwan avtrit hokar satchidanandmay leela kiye to Chinmay leela ko prakritik leela mein utara hi nahi ja sakta.
wo yatha ki anubhav jo anuran kiya gaya wo wo bhi itna anand diya ki jis samay ramayan chalti thi us samay jam lag jaata tha. Sab shant ho jaate the. Log aandit hokar dekhte the. To socho jab us samay satchidanandmay leela ko jab tum Valmiki ramayan mein padhoge jab Ramcharitmanas mein padhoge Ram Ram japoge aur leela ko padhkar ke chintan karoge to tum brahm rishi ho jaoge tum bhagwan ke nitya bhakt ho jaoge kaisi baat karte ho anuran kiya hi nahi ja sakta jo yat kinchit anuran hai wo hamare ko bhagwan ki taraf thoda sa lekin bhagwan ki lilaon mein pravesh kara de wo to ramayan karayegi ramayan ka roz path karo.
ramayan ki roz chintan vritti se aarti puja karo aur bhagwan ka khub naam jap karo aur bhagwan ki bhakti karo. Tab leela mein pravesh hoga. Aise aise leela nahi hai. Aisi leela unki to bas yah hai ki hamare prabhu ka role kar rahe hain. Hamare prabhu ke rup mein us samay aae to hamare prabhu ka koi bhi rup dharan kar le to ham jaise sant bhesh ko pranam kahte hain waise apne prabhu ke rup. Lekin ham mein jo leela pravesh hai wo ramayan mahabharat tv ka dekh ke thodi leela pravesh ho jaega. Uske liye to sadhna chahiye.
uske liye to bhakti chahiye. Uske liye ramayan padhna padega. Bhagwat padhna padega. Mahabharat padhna padega. Uska chintan karna padega. Tumhen apne charit sambhalne padenge. Tab leela mein pravesh hoga. Tab swapna mein jagrit mein leela jhalakti
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- ekantik vartalaap evam darshan #1441 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- brahm gyani mahatma apna sharir chhota hai to uska sukshm sharir kahan jaata hai? — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- ekantik vartalaap evam darshan #1440 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- diwali par maharaj ji ke amritmay vachan | Diwali Special — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- ekantik vartalaap evam darshan #1439 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- ye 9 galtiyan aapki puri sadhna bigad sakti hain — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…