ekantik vartalaap evam darshan #1428
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
akhilesh Mishra ji kashi Harivansh shri Harivansh Gurudev aapke charnon mein koti-koti pranam maharaj ji vapsi ki tayyari kab va kaise ki jae dehabiman purnata galit kaise aur kab hoga dekho vishyon ki is purn hoti hai. Sabse pehle jab ham vishyon ka chintan karte hain. Dehabiman galit hone ka upay bata rahe hain. Kyonki karta aur bhogta hi dehabiman hai. Main karta hoon aur main bhogta hoon. To antahkaran mein vishay sphurna hoti hai. Man mein buddhi uska nischay karti hai. Chitt uska chintan karta hai. Vishay purna mein agar hamari thodi bhi priti hui to sankalp ban jaata hai.
sankalp mein priti hone se wo kamna ban jati hai aur kamna se kriya hoti hai. Kriya mein sukh bhogne ki lalsa hoti hai. To karta aur bhogta bhav dehabiman hai. Ham aisa bhajan karen ki is ko hi nasht kar de. Is sankalp na banne pave. Sankalp kamna na banne pave. Kamna kriya mein na utarne pave. Jitne bhi bhog sukh hain wah sab kshnik hai. Sab nashvan hai. Sharir nirvah ke liye main sharir nahi hoon. Sharir nirvah ke liye ham keval vishay sevan karen aur sharir ka jo dharan karne ka lakshya hai wo bhagwat prapti hai.
isliye ek kshan bhi naam ka antray na rah jae. Har kshan naam chalta rahe jisse sphurna hi na bane, sankalp hi na bane, kamna hi na bane, kriya hi na bane. To hamari sukh bhogne ki lalsa aur karta bhav. Main ye karta hoon. Main ye kriya ki aur usse ye sukh bhoga. Ye donon bhav jitne ksheen hote jaenge utna abhiman galit hota jaega. Nirantar naam khub dat ke bhajan aur ahar utna hi jitne se hamari sharir prakriya chal jae. Ahar ka sadhna mein bahut bada role hai. Agar ham bajari ahar zyada payenge to rajogun aur tamogun rahega.
satogun nahi rahega. Agar ham satvic ahar payenge to rajogun tamogun ka nash ho jaega aur satvic pravriti bhajan mein rahegi aur jitna bhajan mein satvic pravriti rahegi utne hi dehabiman galit hota jaega. Asat acharno se dehabiman pusht hota hai. Sad acharno se dehabiman galit hota hai. Jitna man malin hota hai utna dehabiman pusht hota hai. Jitna man nirmal hota hai utna dehabiman galit hota hai. Jitna sansari purushan ka sang karte hain dehabiman pusht hota hai. Jitna sant purushan ka sang karte hain dehabiman galit hota hai.
yah hamen savdhania rakhni hai aur hamen aise chalna hai. Naam ek tar chalana hai. Sphurna hi na hone pave man mein vishay ki kamna ki kriya ki sphurna hi na hone paye aur kriya karna hi hai. Hamko jaise aap officer ho to apne department mein aapko karya karna hai. Sab mein bhagwat swaroop dekhte hue apne kartavya ke anusaar vihaar karte hue bilkul nirapeksh rahte hue karte hue bhi nahi kar rahe hain. Nahi karte hue bhi kar rahe hain. Is sthiti mein jab tak ham nahi aaenge tab tak deha abhiman galit nahi hoga.
naam khub jap karo. Pavitra ahar alphar karo aur itna bhajan karo ki sphurna hi kisi kamna ki na hone pave. Aur apne kartavya ka gyan rakho ki hamara jo pad hai uske anusaar hamen samaj mein kya vihaar karna hai. Usmen aparadh na banne pave. To isi se bhagwat kripa se deh abhiman galit hokar yantravat kriyaen ho rahi karta aap nahi hai. Jaise inke sharir ki kriyaen ho rahi aap karta apne ko nahi mante. Aise is sharir ki kriyaen ho rahi to aap apne ko karta nahi mante. Jaise inke paap punya ke aap adhikari nahi hai.
aise jo akarta purush hai jo samdarshi purush hai wah apne sharir ke paap punya ka adhikari nahi hota. Mukt ho jaata hai. Jiska dehabiman galit ho gaya uske dwara pure sansaar ki hatya ho jae to paap nahi lagega. Pure sansaar ka bhandara ho jae to koi punya nahi lagega. Dehabiman rahit mahapurush ke dwara jo sat hoti hai wo yantravat bhagwan ke dwara hoti hai. To wo bhagwat swaroop ho jaata hai jiska dehabiman galit ho jaata hai. Aur uske liye prakriya yah ki khub naam jap karo aur savdhani yah rahe ki vishay spharna na hone paye.
na ho jae to sankalp na banne pave. Sankalp ban jae to kriya na banne pave aur kriya ho to savdhaan ho jae. Ab wah fansa legi kriya. Kriya mein utar gaya to phir karta bhav use fansa lega aur jahan karta bhav hai to bhogta bhav apne aap use bhogna padega. Avashya mein bhoktuvi kritam karm shubhashubbam. Shubh ashubh karm ka karta phal ko jarur bhogega. Uska sukhdukh phal bhogega. Ahankaar vimudh atma mudhta mein ahankaar hota hai. Gyan mein ahankaar nahi hota hai. To yah gyan rakho har samay savdhaan raho.
khub naam jap bas khas baat naam jap hai. Jitna naam jap karoge utne gyan vigyan prakt hota chala jaega. Ahankaar galit hota chala jaega. Samjh pa rahe hain aap? Prem nidhi ji. Shri Harivansh maharaj ji maharaj ji har paristhiti mein yah bhi pyare ki ichchha hai ya shri ji ka mangal vidhan hi hoga. Yah baat kaise aayegi? Tasma shastram prmanam te karya akary vyvasthit karya aur akary ki vyvastha shastr pramanit honi chahiye. Pehle shastr pramanit aacharan karo. Shri Krishna anukul pratikuls visarjan.
bhagwan ke anukul aacharan karo. Pratikul ka tyag karo aur bhajan karo. Satsang suno. Shastr swadhyay karo. Jab aham galit ho jaata hai tab yah hota hai ki jo ho raha hai wah bhagwan ki ichchha se ho raha hai. Main kahin karta nahi hoon. Bhagwan ki ichchha jab tak aham hai tab tak apni vasnaon ke khel ko kahin bhagwan ki ichchha na samjh le. Nahi to bhagwan ki ichchha se narak bhi bana hai. Bhagwan ki ichchha se rog bhi hai. Bhagwan ki ichchha se kanun bhi hai. Phir aapko dand milega to kahoge hamko to dukh mil raha hai. Hamko to kasht mil raha hai.
wah bhi to bhagwan ki ichchha se hi racha gaya hai. To hamen chahiye is shastr ke anusaar chale. Bhagwan ke pratikul acharno ka tyag kar den. Khub satsang sune. Shastr swadhyay karen. Naam jap karen. Aur jab ahankaar galit ho jaata hai tab yah dikhayee deta hai ki bhagwan ki ichchha se sab ho raha hai. Har ichchha bhavi balwana hriday vicharat sam Sujana har ichchha ka prabal khel ho raha hai. Kahin palan ho raha hai. Kahin srijan ho raha hai. Kahin vinash ho raha hai. Yah bhagwan ki ichchha se ho raha hai. Wah nirapeksh mahapurush bhagwan ki leela ka darshan karte hue kabhi kisi bhi sthiti mein ashant nahi hota, udyugna nahi hota, chintit nahi hota, shokit nahi hota.
tab ham jaan payenge ki bhagwan ki ichchha abhi log manmani aacharan karte hain aur kah dete hain bhagwan ki ichchha ke bina patta nahi hilega. To phir aur bhi kuch hai bhagwan ki ichchha se. Nark hai, dand hai, rog hai, kanun hai to phir bhogna padega. Mohit ji Mathura se shri Harivansh shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek baat kuch dino se pareshaan kar rahi hai ki mrityu satya hai aur is baat ko aapne apne satsang aur ekantik vartalaap mein bhi kafi bar bataya hai ki pata nahi kaun sa pal akhiri ho maharaj ji aapse bahut prem karte hain bahut shishya parikar bhi karte hain aur sach mein wo pal dekhna hi nahi chahte aapke bina koi bhi gati nahi hai maharaj ji jab ratri mein aapke darshan nahi hote to parikshit bolte hain par wo wo to satya hai mrityu to satya hai raat din ham tayyari mein lage rahte hain mrityu ki raat din tayyar rahte hain.
har minute tayyar rahte hain. Har second tayyar rahte hain. Ham har second tayyar rahte hain. Kisi bhi second mrityu aa jae to ham bilkul tayyari fit kiye hue baithe hain. Har samay tanmay rahte hain ki kabhi bhi mrityu aa jae. Koi second aisa khali nahi hona chahiye jismen paramatma ka chintan na ho aur hamara sharir chhut jae. Aisa nahi hona chahiye. Ham isiliye uttar de rahe hain lekin ham tayyar baithe hain uttar dete hue ki pata nahi agla shabd ham bol pave ki na bol pave wo bhagwan mein har samay har samay Radha Radha Radha uttar bolte hue aur jana to bachchha padega hi iska naam mrityu lok hai sabko jana parta hai bura se bura aadmi bhi jaata hai accha se accha aadmi bhi jaata hai yahan bhagwan bhi avtrit hue to unko leela smaran karni padi bade-bade dharmatma mahatma hue unko bhi jana para to jana to padega hi.
yahan naam hi iska naam mrityu lok hai. Yahan to marna hi padega. Chahe ham ho, chahe aap ho ya koi bhi ho. Jab tak hai tab tak uska anand le lo. Nahi unki agyaa ke anusaar jeevan chalao. Unki jaisi agyaa rahi waise jeevan chalave to waise anubhav hoga. Waise anubhav hota rahega. Jaise hamare sanidhy mein aap sukh le rahe hain. Aise ekant mein yadi hamari agyaa ka palan karenge to aapko hamara sanidhy milta rahega. Kyonki ham bhagwan ke hain aur bhagwan aap jab chintan karoge to yahi rup bhagwan aapke dimaag mein bhar denge to aapko lagega guru ji to mere saath rahte hain.
mere se kabhi alag hi nahi hai. Pragat mein bhale dikhayee den ki antardhya ho gaye lekin wo to har samay hamare saath rahte hain. Jab aap guru agyaa ka palan karke bhajan karoge to guru ka sanidhy bana rahega. Mohan Gupta ji surat sevansh shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ham shastron ke vachno ko shraddha se sunte hain. Shri Ram naam ki mahima prasad ki mahima dham hari katha sadhako ke jeevan mein jo bhi shuddh bhakti ke anurup hota hai use karne ka prayas bhi karte hain. Par maharaj ji phir bhi ye anubhav hota hai ki man abhi shuddh nahi hai.
man ekaagr nahi hai. Bhitar se talleenta nahi ho rahi. Kamna anarth ki nivitti nahi ho rahi. Maharaj ji aisa andar se bana rahta hai. Maharaj ji aisi avastha bhi bhajan ki kami hai. Sunne matra se kam nahi chalta. Ham zyada padhne aur sunne mein samay nahi lagaya. Karne mein lagaya hai. Agar hamne kisi baat ko padha ek line to wahi granth band kar diya aur uska 100 bar chintan kiya aur usko apne jeevan mein utarne ki koshish ki. To bahut na atma pravchne labhya na medhya na bahuna surte yah atma bodh na to bahut pravachan karne wale ko milta hai na bahut pravachan sunne wale ko milta hai na bahut buddhiman ko milta hai jo varn kar leta hai usko milta hai aacharan mein utaro khub naam jap karo abhi sab sanshay khatm ho jaega man nirmal ho jaega raat din naam ka chintan karte hue naam jap karo naam ka chintan karte hue naam jap jaise jaise aap man lo mahamantr japte hain to puri line aapke mahamantr ke dimaag mein likhi honi chahiye.
usi ko suno usi ko bolo. Man lo dimaag mein ekdam chal raha hai. Hare Krishna hare Krishna Krishna Krishna hare hare Ram hare Ram Ram Ram hare Krishna hare rona ane lagega. Aap dekho chintan karte hue jap karo to abhi hriday itna nirmal hone lagega ki ashv pravah ane lagega. Naam jap ab wo chal raha hai mala anguli mein jaban mein naam aur man sansaar mein to connection sahi nahi hai. Jab tino ka connection ek baith jaega man jibhya aur mala tab anand ane lagega. Khub jap karo. Ek minute bhi khali mat raho. Pata nahi kaun sa minute hamari zindagi ka akhiri minute ho aur us samay ham kuch aur chintan kar rahe ho.
isliye hamen savdhani purvak bhajan mein lagna chahiye. Jab bhajan mein lagoge to sanshay, malinta ye sab nasht ho jaega. Apne aap hriday mein anand ka anubhav hone lagega. Maharaj ji jaise gurjan agyaa karte hain ki 11 mala karo, 16 mala karo, 32 ye keval keval lagane ke liye hai. Yah keval prambhik sadhak ko lagane ke liye hai ki ab ekdam nahi jap raha. To diksha di gayi. Kaha gaya 11 mala to aapko japna hi hai ki chahe jitna aap biji ho aap 11 mala kijiye. Lekin yah had nahi hai bhajan ki. Yah bhajan ki had nahi hai.
bhajan to behad hai. Jo had behad hai. Uski koi ganna nahi hai. Bhagwan ki prapti ke liye koi ganna nahi ki bhagwan 11 mala mein milenge ki 21 mala mein milenge. Wo to jab nirantar priti purvak bhajan kiya jaata hai. Bhagwan ke siva aur kuch yad na rahe. Keval bhagwan ki chah rah jae. Main bhagwan ka bhagwan mere tab bhagwan ki prapti hoti hai. Maharaj ji jaise ye to uttam sadhak aur ye uttam avastha prapt karne ke liye uttam sadhan hai maharaj ji. Maharaj ji jaise sansaar mein bahut sare grihasth jan hain jo duty pe bhi jaate hain sab kuch karte hain unke liye maharaj ji kathin ho jaata hai jab aap ye bolte ho ki aisa karna hai to maharaj ji jo naam jap ki sankhya hoti hai wo bhi chhod dete hain hamare saath maharaj ji milte rahte hain na to kahte hain ki usko chhod dete hain phir usmen karne lag jaate hain kuch samay mein hi man ek do din to theek chalta hai tisre din phir wahi patak deta hai phir wo sankhya bhi jati hai aur matlab jo naam ka jo ek abhyaas wo
bhi chala jaata hai tumhare haan hamne ye kaha hai ki 11 mala jo sankhya hai wo to to jaise ab aap ek mala likhat kiye to 10 mala aise karo aisa haan ab jaise aapka man 50 naam mein laga ki likhne mein laga to shesh mala se pura karo kuch 10 minute 15 minute lekhne ka abhyaas karo kyonki sabka man ekaagr to hai nahi man bada chanchal hai ek kshan mein vishyon mein bhag jaata hai yadi ham ekagrata purvak 10 minute abhyaas karen aur shesh apni sankhya puri karen aur roz badhate chale jae man lo kram se mahina 15 din
10 minute chale phir ham 15 minute chalne lage phir 20 minute chalne lage par hamari sankhya puri 11 ki honi chahiye maharaj ji koi chha mahine se juda hai koi sal se juda hai to siddhvastha wali baat karne lag jaate hain ki abhi wo bhi jaata hai kuch din baad wo kahte hain ki Baba naam bhi haan nahi nahi niyam to pura hi karna chahiye shesh samay mein ye kar lena chahiye jaise ek mala dhyan purvak kar liya aur 10 mala ganna purvak kar liya to guru agyaa ka palan ho dekho bhav ko bhav anakh alashu naam japat mangal das dhyan nahi lag raha bhav nahi ban raha shraddha bhi nahi anand bhi nahi par ham mantr jap rahe to uska phal to milega hi yah to bhagwat prapti ke liye age badhe hue purushan ki baten hain lekin prambhik sadhako ko to ganna se hi chalna hoga nahi wah bhi chhut jaega man bhajan mein lagega nahi isliye prambhik sadhako ko ganna di jati ki aapko 11 mala karni hi hai to unko karna hi chahiye.
10 minute 5 minute alag se samay nikal le 24 ghante mein jo lekhni wala mantr hai lekhni wala naam hai wo prakriya karen. Shesh samay 11 mala apne pure kar jab aap maharaj ji naam ki mahima aadi sunate hain to kafi sadhak kahte hain ki Baba hamen koi niyam de dijiye ki ham 500 roz Radha naam jap karenge. Matlab niyam se karenge aur aapko check karayenge. To wo 50000 kuch din karte hain. Kabhi-kabhi phir aapka vaisa wala ekdam uchchatam avastha wala pravachan hota hai ki vastvikata mein wahin pahunchna hai. Isi se paunchenge.
abhi chha mahine hue hain to maharaj ji wo 500 bhi chhod diye. Dhire-dhire karna chahiye. Ab unko kya karna chahiye? 500 to niyam wala karna chahiye aur 5 minute 10 minute ye karna chahiye. Iska abhyaas karna chahiye. Koi bhi abhyaas karne ke liye apne niyam ko nahi chodna chahiye. Niyam ke alawa hamara aur samay 10 minute jae to ham wo abhyaas mein karen. Aisa karna chahiye. Lal sinh ji maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam. Maharaj ji main yah janna chahta hoon ki anannya bhakti ki prapti kaise ho sakti hai aur kya sadhan aur savdhania rakhne par anannya bhakti ki prapti navdha bhakti se ho sakti hai.
bhagwan ki leela kathaon ka shravan karna, bhagwan ke naam ka kirtan karna, leela kathaon ka gayan karna, bhagwan ke smaran mein dubna, bhagwan ki charan seva karna, bhagwan ka das bhav rakhna, bhagwan hi mere sakha hai aur bhagwan ka archan vandan karna aur bhagwan mein purn samarpit ho jana. Yah jo navdha bhakti hai shravanam kirtanam smrnam Vishnu pad sevnam archanam vandnam dasyam aur sakhya atma nivedan ye nau prakaar ki jab bhakti ki jati hai to bhagwan ki anannya bhakti ka jagran hota hai kyonki wahi sunna wahi bolna wahi dekhna wahi archan wahi bandhan to anya sab chhut jaata hai anya jab sab chhut jae aur ektar bhagwan ka chintan ho to uska bhaar bhagwan le lete hain.
anannya chinto mam ye jana parpasate tesham nityabhakta naam yogkshm vamyam bhagwan kah rahe hain jo mera anannya chintan karta hai us bhakt ke yogkshem ka vahan main karta hoon yog matlab jo prapt hai aur jo aprapta hai to aprapta ko prapt karana aur kshem jo prapt hai uski raksha karna ye donon kam bhagwan kar lete hain. Bas bhakt ka ek kam hota hai nirantar naam jap karna. Bhagwan ke siva anya jo hai hamara chintan hai wah chintan na jae. Ab ismen savdhani hai ki bhojan pavitra hona chahiye. Kyonki ann se hi man ka pura ka pura khel hai.
agar hamara bhojan adharm yukt apvitra hai to phir bhajan mein man nahi lagega. Bhojan pavitra ho aur thoda ho. Alphar matahar pavitra bhojan hona chahiye aur iske baad kam bolna uchit uttar de hitkar uttar de satya bole mridu bole nahi to maun rahe aur bhagwan ka naam jap karen kam dekhna kam sunna aur kam sona sona char ghante panch ghante narayan hari bhajan mein yah panchon na suhat vishay bhog nidra hansi jagat priti bahu baat in panch baton ka tyag karne ke liye kaha gaya ki bahut adhik sona theek nahi samay barbad karna hai hansi majak kisi se na karen jagat ke sambandho mein mamta na kare sabki mamta tag batori mam
pad manah bandh bar dori sabki mamta ko ghasit kar ekmatra bhagwan mein jaise Meera ji kahti mere to Giridhar gopal dusro na koi ekmatra shri bhagwan mein mamta unhin ka chintan aur hamara khanpan jitna vihaar ho sab bhagwan se judkar ho pani bhi piye to bhagwan ko arpit karke bhojan bhi paye to bhagwan ko arpit karke kisi se vihaar mein baat karen to sab mein bhagwan ki bhavna karke in sab mein bhagwan hai tab wo maha bhagwat ban jaata hai tab wo bhakt jagat ko pavan karne wala ban jaata hai sat trati sat trati salok y labdhaman siddho bhavti wo siddh ho jaata hai wo bhagwat prapt mahapurush ho jaata hai jo nirantar bhajan karta hai ji nidhi garovar ji ludhiyana se maharaj ji ye kah rahe hain ki maharaj ji kuch sahyog aisa bithe diya inhone ki panch ka koi jeevan mein mahatva hai kah rahe hain ki panch tatv hote hain panch gyan indriyan hoti hain panch dev hain panch Pandav the to maharaj ji har ek ka ham sanyog baithe chale jao har har ek ka teen lok hain, teen gun hai, teen devta hain.
matlab agar baithalna shuru karen na to sab aise baithe chale jao. Usmen panch hai ki kya hai? Har ek ka baithalte chale jao. Kartik ji ke chhah muhn hai, chhah rituen hain. Matlab kuch bhi aise aise iska koi baat nahi. Sab bhagwan ki char bhujaye hain. Char sanak sanandan sanatan Sanat kumar hai. Char yug hai. Matlab baithalte chale jao to baitha chale jao. Panch char teen do ek aise maharaj ji ismen bahut fanse matlab kafi jane manyataen aisi bithe di. Panch sat ye hain. Sat ye hain sat ajube hain. Bhagwan ek hai. Wahi anek rupon mein leela kar raha hai.
bas ye baat samjh jao sab kuch samjh jaoge. Wahi ek anek leela kar raha hai. Khas baat hai in sab baton se mrityu se jit jaoge kya? Mrityu se jitne ka upay ek ko bhajo. Paramatma ko bhajo aur achhche karya karo. Bure karyo ka tyag karo. Khub naam jap karo. To mrityu se jit jaoge. Sab gyan ki baat hai. Akhiri yodha ban se nipat lo. Mrityu se mrityu aisa maro ki ab dobara marna na pare. Ek bar to marna padega. Lekin aisa maro ki bar-bar maa ke garb mein na ana pare. Bar-bar marna na pare.
kyonki ab kalyug jaisejaise badhega ab ane layak nahi hai. Aisa bhajan karo ki isi janm mein bhajan karke bhagwan ki prapti ho jae. Nahi to roz ka roz malinta badhti chali ja rahi. Aaj ke 40 varsh pehle jo hamne pavitra dekhi wo ab nahi rah gayi. Matao bahno mein, purushan mein, bhai bahno mein pavitra, vybhchar, vyasan yah jo asamman ki vrittiya badh rahi hain wo aur age badhti chali jaengi. Raaksasi pravriti hoti chali jaegi. Dekho pati patni mein vishwas nahi rahega. Putr mata mein vishwas nahi rahega.
to bada samay dhire-dhire ganda aata chala jaega. Isliye bhajan karke abhi bhagwan ko prapt kar lo. Age samay aur galat aayega. Aur galat aa jaega. Harita Sharma ji Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji kah rahe hain ki jab bhi inko koi bhagvatik anubhav hota hai yahan tak ki kam samay mein turant pareshaan ho jaate hain. Inhe aisa lagta hai ki jo anubhav hua bas wo mera bhram tha. Iske baad badi nirasha aur baad mein bhay aur dar paida hota hai. Maharaj ji aise aise koi bhagvatik anubhav nahi hote jinme nirasha aur bhram aur bhay aur sanshay ho.
bhagvatik anubhav aise nahi hote. Wo man ki kalpna ham man sakte hain. Lekin jo anubhav hoga to nirbhay, nishcint, nishok, sanshay rahit, viparit bhavna ka tyag ye chhah baten aati hain. Bhagvatik anubhav mein ye chhah baten aati hain. Nirbhay, nishcint, nishok, sanshay rahit, viparit bhavna ka tyag. Ekdam adbhut anand ki anubhuti chhota bhi anand ka anubhav hoga to dhire-dhire wah bade ki taraf badhta chala jaata hai. Sanshay kis baat ka? Maharaj ji vaisa hota hai jaisa wo anand aa jaata hai uske baad turant wo mujhe lagta hai ki mera main khud ka main hoon wo soch raha hoon aisa ho raha hai.
lekin jab wo jab anand aayega to sochne layak nahi rahoge. Jab anand aayega to sochne layak nahi rahoge. Jab tak sochne layak ho tab tak wo anand nahi aaya. Wo jo Bhagvati ka anand aayega to sochne layak nahi rahoge. Usi mein doob jaoge. Usi mein doob jaoge. Wo anand badhta chhine ghate chhin badhe so to prem na hoe. Aghat prem pinjar base priti ka ave soe. Bhagwan ki priti se jo anand ka anubhav hota hai wo ghatta nahi hai. Haan prem sada babo kare. Prakshan vardhmaanam aise anand prakshan badhta rahta hai. Sanshay ki to koi gunjaysh nahi rahti hai.
bhagwan ka aashray dridh lo aur bhajan badao to sab theek ho jaega. Bhagwan ka aashray lekar aur bhajan badao to sab theek ho jaega. Shashla sahu ji shri Harivansh maharaj ji maharaj ji param pujya shri Radha Baba ne apne ek patr mein likha tha ki hanuman prasad podar ji dhoti kurta mein ek sadharan baniya se dikhte hain par inke donon netron mein Radha aur Krishna virajman hai. Yugal sarkar ne inke chitt par pura kabja kar liya hai. Aise mein manushya ko to kya chahe koi sukar kukar bhi ek bar inki drishti mein aa gaya to uska kalyan avashya sambhavya hai.
maharaj ji pujya Baba ji ki vani puri ki puri aapki vani mein ghatit hoti hai. Karunon mein Gurudev yah jeev ek drishti ki yachna hai. Santo ki jo drishti hoti hai wo bhagwan naam hota hai. Ham par guru kripa hai. Ham par guru drishti par gayi hai. Iska matlab hamare aacharan theek ho jae aur hamara bhajan banne lage. Ham sant sang kar rahe hain. Iska phal hai ki hamare andar bhi bhagwan ki priyata badhe. Hamare andar sataarg ki baten badhe. Gandi baten hamare hriday se dur ho jae. Yahi drishti hoti hai. Aise dekh lena dekhna nahi hota.
hriday se dekhna dekhna hota hai. Hriday ke netron se sant jab dekhte hain to samne wale ka jeevan parivartan hona shuru ho jaata hai. Uska jeevan ham dekhen na dekhen. Agar ham hriday se baat kah rahe hain to hamari baat jahanjahan jaegi wo lakho ka parivartan kar degi. Agar ham isi baat ko kahkar paisa chahe, isi baat ko kahkar sammaan chahe, isi baat ko chhal kapt se kahe to ek ke upar bhi prabhav nahi padega. Aur agar niskapat bhav se ki hamare desh ka mangal ho, hamare vishv ka mangal ho to hamari baat jaegi aur jakar aapka sudhar karegi karegi.
ji ho raha hai sudhar itna ho gaya maharaj ji logon ne sab kuch chhod diya maharaj ji galat aacharan wagairah aap to sunte aur aap hi ke ashirwad hai maharaj ji aap sab log phalphul rahe ho bilkul bilkul bilkul bhagwan sabka mangal karen bhagwan ke hi kiye sab karae hota hai to ye hai santo ki antardrishti aise dekhna alag baat hota hai antardrishti se dekhna alag baat hota hai neha ji Delhi se shri Harivansh maharaj ji Gurudev aapke charnon mein koti-koti pranam maharaj ji yadi kisi ka sharir Vrindavan se bahar chhute lekin lekin antim sanskar Vrindavan mein kiya jae to uska bhi kuch mahatva hamari samjh mein zyada mahatva nahi.
ant mati sogti us samay uska chintan kya tha? Bharat ji maharaj gandki nadi mein jahan se jiske Shaligram utpann hote hain. Antim chintan unka hiran tha to hiran bane. Sadgati nahi hui. Jabki wahin sabko sanskar hue honge. Gandki nadi ke paas hi jis nadi mein Shaligram bhagwan utpann hote hain. Ab hamara sharir chhuta sansaar ka chintan karte hue bahar hamare sharir ko Vrindavan mein jalaya gaya to wah to hans to gaya ab pinjra jalaya ja raha hai usse kya matlab hai khas baat samjho hans to gaya wo to ud gaya khali pinjra hai ab uske saath jo vihaar karoge haan thoda usmen sukrit mil jaenge lekin uska kalyan nahi hoga kalyan hoga jab jite ji Vrindavan ka chintan karte hue sharir chode shyama Shyam ka chintan karte hue sharir chode Ram Krishna bolte hue sharir chode tab baat banegi ya Vrindavan mein sharir chhute to kalyan ho jaega kashi mein sharir chhute to kalyan ho jaega ye hiren upar marbo manglay bahar agar mar raha hai to uska chintan kahan hai yahan antim samay jab sharir jeev chhota hai to sakhiya aake kan mein Radha naam sunati hai ye vrinda sakhi ka kshetra hai Vrindavan dham jaise kashi mein koi mare to bhagwan shiv Ram naam sunate hain tarak mantr sunate hain phir dham ki mahima hai, kashi ki mahima hai.
agar bahar sharir chhote ho to aapka chintan kya hai? Usi ke anusaar aapki gati hogi. Agar aap chintan sansarik karte hain to aapki gati sansarik hogi. Aapka sharir chahe kashi mein jalaya jae, chahe Vrindavan mein jalaya jae, hansat gaya pinjra ko liye kahin bhi ghumo. Haan jai prakash ji Mathura se. Radhe-Radhe. Radhe-Radhe maharaj ji. Maharaj ji paap karm ka phal sankalp liye bina hi mil jaata hai. Lekin manokamnaen purti hetu koi bhi karmkand anusthan ke liye apna naam amuk gotr sthan tithi aadi bolkar sankalp liya jaata hai tatha tatkalik sukh ke liye wo tatkalik parivartan ke liye sankalp kiya jaata hai.
tatkaalik ki main abhi yah chahta hoon aur jo purv se uska sankalp kiye ho kya? Jo purv ka punya hai uska sankalp karte ho kya? Apne aap akar ke sukh de deta hai. Jaise purv ka paap bina sankalp ke dukh de deta hai. Aise purv ka punya bina sankalp ke sukh deta hai. Abhi hamen yah parivartan chahiye. Ab sankalp karo. Uska anusthan karo. Aur agar uska anusthan jor parta hai to purv praarabdh jo paap hai usse jor ka anusthan ho jaega to parivartan ho jaega. Nahi khopdi ke bal khade ho jao to nahi parivartan hoga.
karke dekh lo. Ho hi jaata hai kya sabka ho hi jaata hai kya karke anusthan dekh lo yadi paap hai 250 gram aur sankalp hai 25 gram kya karega char panch bar anusthan karao aur wo nasht ho tab jakar safalta hogi aise thodi safalta aa jaegi nahi sab sankalp karte hain kam ban jae na turant sabke kam ban jaate hain kya sankalp karte hain nahi bante jiska ab paap hai 25 gram aur sankalp hai 250 gram daba ke use nasht kar diya safal ta prapt ho gayi to tatkaalik sukh ka parivartan karne ke liye ki ham tatkaalik paristhiti ko uttam banana chahte hain.
iske liye sankalp kiya jaata hai. Iske liye sankalp kiya samjh payenge aap ki nahi paye ji ardhangini ko bhi to le saath mein ardhangini patni ho aur uske bagair sankalp nahi liya ja sakta. Koi bhi anusthan karte hain to ardhangini ka hona zaruri hai. Kyon nahi zaruri hai. Ardhangini kyon banaya hai? Isiliye to banaya hai. Uski anumati zaruri hai. Uska dekho jab Ram ji Siya ji antardhya ho gayi na bhumi pe to jab Ram ji ne yagya kiya to sone ki Sita bankar ke bam bhag mein virajman kiya. Swarn ki Sita bam bhag mein virajman karke tab yagya yad kiya.
ardhangini isiliye ardhangini hai ki uske ke satsang mein ane ke liye jaise aapke darshan karne guru ji ke to ardhangini kahna zaruri hai. Nahi aisa nahi aisa zaruri nahi hai. Aisa sankalpit karya jaise ham yagya kar rahe hain. Ham jaise saptahik bhagwat kar rahe hain. Koi anusthan kar rahe hain to usmen sa agar wah nahi ana chahti hai to uske liye asan zaruri hai. Haan uska uska ek adhikar hota hai. Aur aap jo punya karenge uska usko phal prapt hoga. Agar wo aapke anukul chalti hai to agar wah pratikul chalti hai, aapki avhelna karti hai, aapka apman karti hai, nirader karti hai to pativrat dharm mein hai hi nahi to usko kahan se prapt ho jaega?
lekin uska adhikar hai wo ardhangini hai aur aisa chahiye ki usse anumati lekar ke hi dharm karya kiye jae. Usse anumati usko is baat ka adhikar milna chahiye ardhangini ka aur usko sochna chahiye ki mere pati hain mere bhagwan hain. Mujhe pura inka sahyog karna chahiye. Donon prem se chalna chahiye. Lekin ye aaj bada asamabhav hai. Purv ki jinko ladka ladki ne dekha nahi keval gharwale byah kar dete the. Jab ghar mein akar dekhti thi ki hamara pati hai, hamari patni hai to jeevan mein kabhi naam ucharan nahi karti thi.
dharm ki dhajhiyan udai ja rahi hain. Jo dharm ka siddhant hai uski dhajhiyan udae. Devi devta sab puj ke byah hone ke baad bhi pure ganv ke devi devta puj ke gurujanon ki agyaa lekar tab grihasth dharm mein utarte. Yahan zaroorat nahi. Pehle hi boyfriend girlfriend hai. Pehle hi liv in relation hai. Tabhi wah pati ke saath tikti nahi hai. Wo pati ke aur pati bhi unke saath le tikta hua aur to aajkal to bada vichitra hal hai ki kisi ki grahasti pavitra jud jae aur aajeevan nibh jae. Ye bahut badi baat hai.
ab to aisa chal para hai ki 30 30 sal ke baad divorce. 30 sal ke baad divorce hain. Ek minute. Main adhivakta hoon. Telangana hai court mein praiktis karta hoon. Maine sat din mein divorce dekha hai. Sat din byah ho raha hai. Sat din mein divorce dekha hai. Maine dusre din alag hote hue dekha. Haan bilkul bilkul bilkul. To byah kahe ko kiye? Wo to galat acharno mein fansa hua vyaktitva hai. Chahe stri ka ho chahe purush ka ho. Isiliye are apna bharat desh aisa hai is dharm ki mariyada ek bar jiska hath pakar liya to kami besi na dekh ke aajeevan nirvah kiya jaata tha purwajon mein dekho ganv mein kabhi hamne yah divorce shabd nahi suna kabhi shabd nahi suna aajkal dekho kaise vatavran ban rahe
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- ekantik vartalaap evam darshan #1441 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- brahm gyani mahatma apna sharir chhota hai to uska sukshm sharir kahan jaata hai? — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- ekantik vartalaap evam darshan #1440 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- diwali par maharaj ji ke amritmay vachan | Diwali Special — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- ekantik vartalaap evam darshan #1439 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- ye 9 galtiyan aapki puri sadhna bigad sakti hain — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…