ekantik vartalaap evam darshan #1429
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
deepti Agarwal ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji yash nahi milta zindagi mein kitna bhi kar lo kisi ke liye bhi kar lo yash prapti nahi ho rahi kisko phir yash chahiye kya aapko yash Radha naam jap karo dat ke Radha naam jap karo jitna Radha naam jap karoge na bistare sab jag Vimal kirti sadhu sangati na tare bas vrinda vipin pave shri Radhika jo kripa kare japo naam dekho Premanand ji banne mein kitne jeevan lagenge ab ye to shri ji jane shri ji ka khel hai ki kai janm se Premanand ka chakra chal raha hai unke charnon mein par ham ye jarur jante hain yadi vishuddh kirti chahni hai to bhagwan ke naam mein priti kar lo bistar sab jag Vimal keeti sadhu sangati na tare vas vrinda vipin pave shri radhikaj kripa aap samjhte ho ki kuch 10 panch rupya kela dan karke ham yash kirti kar le to aise nahi hona hai jab dat ke tapasya ki jati hai aur bhajan hota hai tab ham chahte nahi hai hamne chah nahi ki ye YouTube mein dalna kirti ke liye dalna nahi hua hamara itna sakhta shasan tha hit dham mein shuruaat mein ki aap
mobile se bhi tep nahi kar sakte bole bole maharaj ji baat ye ki aap jo bolte ho use jab ham kai bar sunte hain to vishesh labh prapt hota hai. To ham kaha agar labh prapt ho raha hai to phir chhut hai aur ye YouTube mein isliye dalne lage ki logon ko labh mile. To bhagwan ki kripa se aaj hamare navyuvak bhai kafi matra mein apne swabhav ko apne aadaton ko chhodkar gandi aadaton ko achchhi aadaton mein to iska bada labh mila ki aaj hamare bharat mein aaj hamare vishv mein adhyatmik sudhar shuru ho raha hai.
adhyatmik parivartan ho raha hai. Kuch na agar 100 mein ek bhi sudhar jae to yahan baithe-baithe baat kar rahe hain. Bahut bada labh hai. Bahut bada labh hai. To yah jo ham yash kirti ke liye nahi ham to bhagwat yash jae logon ke kano mein isliye shuru kiya tha karen aap sab jan badhai den shri kishori ji ko jaisi to agar yash chahiye to kishori ji se milo bina kishori ko kishori ji ke adhin hai Lalaju aur Lalaju ka samasth brahmand hai ja ke adhin sada hi sanvro ya braj ko sirtaj hamare mai shyamaju ko raj lalan tere ya adhin sunri sakhi ho saanch kahat hoon tu jal hai yah meen tu jal hai yah meen lalan tere hi ain tere hi ras bas Shyam sundarwar janchat hai ja din lalan tere hi adhin yadi Radha Radha Radha Radha to ladli ji ka kripa prasad badhega yash ho jaega theek hai na is janm mein sahi to agle janm mein sahi par khub naam jap karo to mangal hoga ji punit kumar Sharma ji Radhehe prabhu ji Radhehe maharaj ji maharaj ji man ki shanti ke liye koi aap mantr bata sakte hain?
Radha Radha sab jagah khub seva satkar bhajan sadhna karne ke baad Radha pujypad bhai ji hanuman prasad podar ji ke paas Baba Radha antim sthiti Radha agar pakar pao to pakar lo nahi to phir Ram Krishna hari bhagwan ke vivid naam hai jo naam priy lage so naam jap karo sab namon mein saman samarth hai sab namon mein uddharak shakti saman rup se hai. Lekin hamse puchoge to hamara pran dhan jeevan Radha naam hai. Radha naam hai jeevan hamara. Radha naam pran adhar hai. Radha naam hai karta vidhata. Radha naam palanhar hai.
Radha naam sabka pujya hai. Radha naam ka pujan karen. Radha naam ke hi dhyan se ham shuddh apna man karen. Radha naam ke jap dhyan se prem badhta jaega. Radha naam hi hamen ant mein premay nikunj mein pahunchaega. Ye nikunj tak ka lahi hai Radha naam jo chaho hamara man bhi shuddh ho jaega. Tan bhi shuddh ho jaega. Ji aman Tiwari jeeva Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji guru ji parivaar bhai mitra ke saath hamare rishte hamesha pyar bhare rahe hain. Iske liye kya prayas karna chahiye? Yadi in rishton mein kabhi ladai ya manmukh bhav aa jae to aise mein kaise sahi?
se bachchha bina bhagwat bhav ke koi bhi rishta pusht nahi rahega kyonki kabhi pratikultaa udhar se aayegi to aapka man nirash ho jaega ki itni anukulta dene ke baad bhi itni pratikultaa aur jab ham bhagwat bhav rakenge to ham anukulta ka bhav rakha hi nahi hamne to bhagwat bhav rakha hai jo hamne ab kiya apne prabhu ke liye kiya udhar se jo aaya mere prabhu ka vidhan hai isliye joi joi pyaro kare soi moh bhave naraz hone ki baat nahi kisi bhi rishte mein kisi bhi vyakti se dves ya narajgi tabhi hoti hai jab hamari anukulta ya pratikultaa ki bhavna hoti hai aur jab bhagwat bhavna hoti hai to umad Ram charan rat vigat kam mad ko nij prabhu mein dekh jagat to kesan karen virodh sab mein apne prabhu ko dekhta hai to phir virodh wo kisi se nahi karta hai.
apne sambandho ki dridta ke liye sab mein bhagwat bhavna karna atyant avashyak hai. Apne sambandho ko param pavitra bankar ke bhagwan ki prapti karane ki samarth is samta mein hai. Bhagwat darshan mein bhagwat bhav mein hai. Jab tak bhagwat bhav nahi aayega to in sambandho ka koi mahatva nahi. Ham aapko bahut pyar karte hain. Kal ham mar gaye ya aapka sharir pura ho gaya to kya sambandh? Lekin hamne yadi bhagwan mana hai to the hain aur rahenge. Bas bhagwan the hain aur rahenge. Ye baat samjh gayi. Naveen patani ji dubai se. Radhe-Radhe.
ji. Radhe-Radhe maharaj ji. Maharaj ji yah prashn bahut sare aise janon ka hai jo jinke jeevan ka koi uddeshya nahi hai. Bhakti bhav bhi nahi hai. Inka bhav age yahi hai. Ye kah rahe hain ki jeevan ka spasht uddeshya nahi hai. Main nokri karta hoon aur samay bitane ke liye rojana kuch kam bhi karta hoon aur zyada karta hoon. Mere paas koi uddeshya nahi hai. Par mere ko abhi jab lagta hai ki main ritayar hounga to uske baad main karunga kya? Ham ye aapse puchna chahte hain ki padh likh karke nokri kiske liye ki dhan ke liye.
dhan kiske liye? Jine ke liye. Lekin ji kiske liye rahe ho? Ab iska uttar de dijiye. Ji kiske liye rahe ho? Yadi aapke jeevan mein bhagwan nahi hai, aapke jeevan mein prem nahi hai, aapke jeevan mein sacchidanand nahi hai to phir wo yahi kram ki ji rahe hain. Rupya kamane ke liye rupya kama rahe hain. Jine ke liye ji rahe hain. Bhogon ke liye rupya kama to yah to sab nashvan chal. Vyavahrik buddhi mein uska uttar hoga. Agar adhyatma nahi hai ki parivaar bachchon ke liye to isliye to nashvan khel ye to swapnik khel ismen kuch satya nahi hai.
haan bahut paisa kamaun bachchhe haan theek hai bahut badhiya hai lekin maroge tab iske baad kya hai duniya mein lakho ka mela juda hansa jab jab uda koi sakshi nahi us samay bolie us samay naam sathi hai aaj bahut sundar bhagwat charcha satsang mein hui thi ki jiska man bhagwan mein bas mein nahi hua nahi lagta wo thoda bada bhajan karta hai satsang karta hai aur to uski gati kya hogi bhagwan mein man lag jae to bhagwat prapti ho jae. Lekin jab man jitendri nahi na indriy vash mein hai na man vash mein hai aur na man bhagwan mein purn rup se laga hai lekin wo bhajan sadhan kar raha hai naam jap kar raha hai satsang sun raha hai path kar raha hai to bhagwan ne kaha uski durgati nahi ho sakti uska patan nahi ho sakta us shriman kulvan dhanwanon ke yahan uska janm hoga aur aisa bhakti ka mahaul hoga ki agle janm use bhagwat prapti ho jaegi to hamen lagta hai ki hamare jeevan ka uddeshya bhagwan ki prapti hona chahiye ya bhagwan se matlab nahi rakh pa rahe ho.
man lo abhi itni pavitra nahi to itna to ho jae ki manushya banau tab suar kutta na banu. Itna to uddeshya ho hi jae to kam se kam ham itna bhajan to kar le ki hamen phir manushya sharir mile aur ham phir achhche karm karen aur bhagwan ko rijha le. To isliye bhajan karo. Isliye bhajan karo ki yah jo padvi mili hai, jo sukh suvida mili hai, jo manushya sharir mila hai, yah dobara bhi mil jae. Kyonki yah punya bal se mila hai. Bhagwan ki kripa bal se mila hai. To donon bal hamare paas ho. Punya bal bhi ho aur bhagwan ka kripa bal ho.
to naam jap se badhkar koi punya nahi hai. Agar hamare paas ₹100 hain to ham ek kisi garib ki seva mein lagane ki bhi sochen. Kyonki jo ₹100 abhi mile hain agar ek jama ho jaega to age hamen milega aur naam jap kar rahe hain isliye bhagwan ki kripa hamen prapt hogi. To do karya ek paropkar aur ek naam jap. Ye do karya jeevan mein kar lo. Har vyakti ko karna chahiye. Bhai bank balance kyon karte ho? Age ke liye karte ho na. Lekin is sharir ke age ki baat socho. Ab wo soch hi nahi hai. Yah soch keval bharat mein hai.
marne ke baad kya hoga? Is baat ko keval bharat ke brahm rishiyon ne jagaya hai. Nahi to aur to bas jio, khao maro. To hamen lagta hai jeevan ko sarthak karne ke liye naam jap aur paropkar avashya karna chahiye. Paropkar bahut bada dharm hai. Parhit sarish dharm nahi hai. Trilok kumar ji Rajasthan se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji main karm mein vishwas rakhta hoon aur aapko YouTube madhyam se ek sal se sun raha hoon. Maharaj ji mera prashn hai ki ramayan mein ek bataya gaya hai ki karm pradhan vishv kari rakha jo jas karhi to tas phal chakha aur sakal padaarth hi hai jag mahi karm hin nar pavat nahi to aur maharaj ji ek taraf kahte hain ki hoi hai so hi jo Ram rach rakha to keval karmay tak simit rahna chahte ho kya keval karmay tak karna chahte ho kya to karm do hi prakaar ke hote hain shubh karm aur ashubh karm aur inke donon ki gati bas nark swarg aur mrityu log to durgati se bachoge kya karm karke satkarma karna hai bhagwat karm karna hai bhagwan ke adhin hokar ke karm karna hai shri Krishna anukul karm karna hai pratikuls visarjan karna hai bhajan karna hai paropkar karna hai mata-pita ki seva karni hai putr parivaar aadi ka palan karna hai aur ye sab karm bhagwan ko arpit karke bhagwat prapti karni hai.
agar bhagwat prapti nahi to shubh ashubh karmon ke pachne mein to pura sansaar fansa hua hai. Sab sansaar karm kar raha hai. Tum hi thodi karm kar rahe ho. Bina karm kiye koi ek kshan bhi nahi rah sakta. To sab karm kar rahe hain. Shubh karm ban rahe hain. Ashubh karm ban rahe hain. Shubh ka phal sukh mil raha hai. Ashubh ka phal dukh mil raha hai. Dukh sukh kisi pachde mein sab fanse hue hain. To kaho manav deh isi ke liye mila hai. Kya keval karm karte hue sukh aur dukh ka bhog karna. Manav deh ka phal mila hai. Sukh dukhe samay krtva labha labh jaya jai sukhdukh mein saman bhav karte hue labh alabh mein jai parajay mein saman bhav karte hue paramatma prapti karne ke liye paramatma prapti karne ke liye shubh ashubh donon karmon ka nash karna hota hai.
shubh ashubh Durg vidhvans bal tab jayati jayat jag uchh shubh ashubh donon karmon ka jab nash hoga tab bhagwat prapti hogi. Jab ye aata hai ye kala aati hai donon karmon ka nash karne ki wo hai soi jo Ram rach rakha ko kar tark badhave saka wahi hota hai jo bhagwan ne rach rakha hai to ab bhagwan ne hamen manav deh rach rakha hai bhagwan ke ham ansh hai ab ham bhagwan ka bhajan karke shubh ashubh ka nash karke bhagwat prapti karenge karmon ke karm to sab jeev kar rahe kaun sa aisa jo karm vihin ho kuch paap karm ho rahe hain kuch punya karm ho rahe hain lekin karmon ke upar jo uthe tab to baat bane manushya jeevan keval karmon mein fanse rahne ke liye thodi hai.
karm samarpan karke karm yog karne ke liye hai. Karm yog ke dwara bhagwat prapti karo. Bhakti yog ke dwara bhagwat prapti karo. Gyan yog ke dwara bhagwat prapti. Ye yog prapt karne ke liye manav jeevan hai. Samjh pa rahe ho aap? Anshu tripathi ji Radhe-Radhe. Radhe-Radhe maharaj ji. Maharaj ji jab bhi mere jeevan mein khushi aati hai to main dar si jati hoon. Jaise uske badle kuch bura ho jaega. Mujhe aisa dar kyon satata hai maharaj ji? Jab man malin hota hai to sukh mein wo bhay ki kalpna kar leta hai.
nakaratmak soch le aata hai. Aur jab man pavitra hota hai to bhay, dukh aur chinta ke samay mein bhi wo sakratmak soch kar leta hai aur sukh ka anubhav karta hai. Isiliye man ko pavitra karna aniwarya hai. Isiliye sabse kahte hain paropkar karo, naam jap karo, mans madira ka sevan mat karo, vybhchar mat karo. Jisse tumhara man pavitra ho jae. Nahi sukh ka avsar ane par bhi wo nakaratmak soch matlab negative soch lakar wo bhay paida kar dega. Sukh ka to avsar aaya aur dukh de raha hai man aur jab dukh ka avsar aaya tab to dukh bhogega hi.
isliye man ko pavitra karna aniwarya hai. Aur uski pavitra ke liye do upay hai. Ek naam jap aur ek paropkar. Dusron ka hit karo. Koi bimar hai, koi bhukha hai, koi garib hai, uska sahyog kar do. Uski jo maang hai, us samay avshyakta hai, uski purti kar do. Bhagwan aapka bada mangal karenge aur naam jap karo. Naam jap ke bina sab baat gadbad hai. Isliye kiska prashn hai? Haan, isliye naam jap karo aur paropkar ki bhavna rakho aur ghar parivaar mein sabki seva karo aur nakaratmak soch apne aap chali jaegi. Yadi naam jap karoge dekho badi se badi dukh ki paristhitiyon mein bhi bhakton ne anand ka anubhav kiya hai.
bhagwan ki badi kripa hai. Aisa bole dekho sakratmak soch ka phal ki badi se badi vipatti hai, dukh hai. Unse jab varta ki gayi to kahte hain badi kripa hai bhagwan ki. Matlab dukh mein bhi bhagwan ki kripa ka anubhav karke wo sukhi ho rahe hain. Aur yahan sukh mein bhi bhay ki ek ki kahin bhay na aa jae. Sanshay vritti aa gayi to yah man ki malinta hai. Isko nirmal karne ke liye naam jap aur paropkar kijiye. Abhi ji punjab se shri ji maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam. Gurudev bhagwan jaise aap kahte hain ki parivaar mein kisi ek ko bhagwat prapti ho jati hai to 21 pidiyan tar jati hain.
to maharaj ji is iska bhav kya hai? Maharaj ji bhagwat prapti hona bahut kathin baat hoti hai. Kalyan ho jana baat alag hoti hai. Bhai jaise 21 pidiyan matlab unka do unka kalyan hone ka matlab ki dobara janm nahi hota. Haan phir nahi pakka nahi hoga. Ismen koi sanshay nahi hai. Dekho bharatiya suvida jaise koi bada adhikari hota hai to uske mata-pita free rail mein chal sakte hain. Uske parivaar janon ko hoti hai na suvidhae? To jab kanun apni bharat sarkar itna suvida parivaar walon ko deti hai bhai ladka nokri mein to mata-pita phir kyon chal denge bole nahi suvida hai kab parivaar ko suvidhae nahi milti to bhagwan ne suvida di hai ki agar ek bhakt nikal gaya aur bhagwan ko prapt ho gaya bhagwan ka sakshatkar kar liya to 14 pidhi age ki aur sat pidhi piche ki 14 aur sat 21 21 pidiyan tar jati hai par ho to bhagwat prapt do char mala ghumane walon ke liye kah rahe hain bhagwat prapt ho gaye to agar uske kul mein ho gaya to satar sat tart santaryat wo tar jaata hai utar jaata hai loko ko utar deta hai badi baat hoti hai na kulam pavitram janani kritarth shastr kahte hain wo kul so kul dhanya umasun jagat pujya supneet shri Raghuvirr paraayan je jan upaj vineet bhagwan ka vinay sampann bhakt jo paida hua bhagwat saksha wo kul jagat jagat pujya ho jaata hai.
aho supachto gar yyaa warte naam tyam wo chahe chandal kyon na ho nich swapach kyon na ho agar jiske jibhya pe bhagwan ka naam aa gaya aur bhagwan ka nirantar naam jap kar raha hai wo jagat puj gari wo jagat mein sabse shreshth hai naam prasang kahat updesh jaya dharm dhanya so desh dhanya so kul ja janm bhyo dhanya su tat dhanya so may santat sakal suno chit laye shri Harivansh pratap jai naam japak jap karne wala balak jiske to wo desh dhanya wo kul dhanya wo mata dhanya wo pita dhanya dhanya dhanya ho jaate hain lekin asli bhakt bhagwan ka paida ho jiske kul mein uske liye likha hua hai kulam pavitram janani krit haan ji renu ji Mathura se Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji ki main pativrat dharm ka palan karte hue akhand suhag ki kamna hetu agar naam jap ya puja path karun to kya mujhe bhagwat prapti ho jaegi bilkul bilkul ho jaegi.
bilkul ho jaegi. Bilkul ho jaegi. Bilkul ho jaegi. Aur bhagwan aapke pati ki ayu ki raksha bhi karenge. Kyonki bhajan mein bada bal hai, tapasya mein bada bal hai, sanyam mein bada bal hai. Maharaj ji inka ek aur prashn hai ki maharaj ji matayen bahne jo ghunghat karti hain kya iski koi dharmik manyata hai ya pavitra acharno mein pavitra acharno ke liye yah gramin manyata hai. Dharmik ya shastriya manyata nahi hai. Ye jo ghunghat hai ye isliye kaha jaata hai ki ham rup darshan na karave aur na sahsa kisi ke karen.
nari ki pavitra ka bahut bada usmen ab aajkal to yah sab dekhne ko nahi milta lekin ganv mein budhi matayen ab bhi itna dalenege accha ghar mein jaise budhe koi jaate the [gala saaf karne ki aawaz] dada aa gaye sab ghunghat karke mein aaj bhi hai ganv mein aaj bhi ganv mein hai na haan to dekho kitni pavitra thi ki pujya jan jo hai wo aise savdhaan karke jaate the ki matayen bahne yadi asavdhan ho to savdhaan ho jae ki ham unke ang bhi na dekhe unka chehra bhi na ganv mein to aisa hota tha ki marne ke baad jab parvah karne jaate tab kahte the yar tumhari bahu ko to hamne aaj dekha hai nahi to aur dekho yah mariyada Purushottam bhagwan shri Ram ke samay mein bhi tha jis samay Sita ji ke shish phool aadi jo hai wo lakshman ji ko dikhaya ki Sita ji ke abhushan hai ki skindha mein jab Sugriva ji ne diye ki viman ke upar se Sita ji ne to unka prabhu yadi mata ke charnon ke koi abhushan hote devra hain.
devra hain ki mata ke charnon ke abhushan hote to main bata sakta tha. Hamne kabhi mata ko aise nahi dekha aise charnon ki taraf. Matlab chhota bhai bade bhai ki patni ko maa samjhta tha aur bada bhai chhote bhai ki patni ko beti ke saman samjhta tha. Aaj to aise Rakshash paida hote chale ja rahe ki apne bachchon ke saath hi dushkarm karne ke liye tayyar hain. Phir bahu betiyan ho sab to yah badi pavitra ka pratik hai. Par ye koi Shastri nahi hai. Ye koi shastr mein aisa adesh nahi hai. Ye gramin vihaar hai.
kuch gramin vihaar aise hote hain jo kul manyata hazaron varsho se chali aa rahi hain. Ab bada samay kharab ho gaya hai aur usi ka parinaam bhogna par raha hai. Nahi bhogna par raha hai. Friend boyfriend yah kahin koi manyata kahin koi aisi are ganv ke bujurg byah tay karate the aur baad mein dulha dulhan dekhte the ki ye hamari dulhan hai ye hamare dulha hai nahi to itna [gala saaf karne ki aawaz] ghunghat kadhe aur bas ghar mein aake pata chalta tha ki ye hamari dulhan hai aur aajkal to matlab liv in relation ke baad byah hote hain nahi hote to kya matlab pavitra rah gayi kya pehle byah karke ate the to dulhan dulha nahi milte the.
pure ganv ke devi devta pujte the. Bujurg aur khwa piya ke sabke ashirwad leke phir wo grahasti dharm mein jaate the. Maharaj ji ghar grahasti ka ek aur prashn hai. Maharaj ji aap kah rahe hain ki aap apne mata-pita ko bahut pyar karte hain aur sansaar se sabse upar samjhte hain. Parantu main apni patni se bhi bahut pyar karta hoon. Parantu patni aur mata-pita mein achchhi sulah nahi hai maharaj ji is sthiti mein main kaise donon haan donon ka donon ka prathmikta mata-pita ki rakhni hai kyonki ardhangini apna hi ang hai aur hamen prakt karne wale mata-pita hain to ardhangini ko itna aap hamare mata-pita ki seva na karen mante hain lekin aap hamen nahi rok sakte ham aapki suvida aapki anukulta aapko denge lekin aap hamare mata-pita ki seva mein agar tanik bhi virodh karte hain to hamare aapke sambandh mein virodh ho jaega.
mata-pita ka tyag nahi kar sakte. Yah jarur aap mein hona chahiye. Agar yah nahi hai to jo apne mata-pita ka tyag kar de patni ke kahne par phir kya hai? Phir dharm mein virata nahi rahi. Aisa nahi hona chahiye. Jo ladki is tarah ki matlab vihaar wali ho ki aap hamse pyar karte ho. Aap to aap apne mata-pita ka tyag kar do. To use kah dena chahiye ki tayyar rahna. Tyag ke liye tayyar rahna. Jis din hamare mata-pita ki seva mein vyavdhan upasthit kar doge usi din hamare aapke beech mein sambandh vikshepad ho jaega aur agar aap hamare mata-pita ki seva karti ho to ham aapko prannon se adhik pyar karenge nahi karti ho to aapko adhikar denge lekin aap hamare ko seva mein jane se nahi rok sakti ho itna jarur rahna chahiye mata-pita bhagwan ka swaroop hai aur putr ka pura adhikar hai mata-pita ki seva karne ka to dhyan rakhna avashya mein bhoktuvi kritam karm shubhashbham jo jaise karm
karega vaisa phal dega bhagwan bhagwan bhogna padega isliye bahut savdhaan to kabhi chuk mat kar dena patni ke chakkar mein akar apne budhe mata-pita ko marna pitna ya ghar se nikal dena aise koi aacharan mat karna patni se kaho tum karo ya na karo ham tum par dabaw nahi dalte lekin aap ham par dabaw nahi dal sakte ki mata-pita ki seva se ham vanchit ho mata pita maharaj ji thode se alag vihaar ke ho wo bahut galat vihaar karen haan to unko chahiye mata-pita ko chahe ki budhapa aa raha hai zyada agar updandta karenge to dur durgati ko prapt ho jaenge.
bahu beta ko apna beta aur apni beti ke saman chahiye. Thoda pyar ka vihaar karen jisse kam se kam unko chai aur nashta mil jae. Agar mata-pita karne layak hain aur wah bahu beta se seva nahi karate hain. Bahu beta se irshya karte hain to bete ko chahiye ki dur se dekhta rahe. Unki seva mein bhale na jae. Lekin jis din wo aisi sthiti ko prapt ho ki wo apni seva karne layak na ho us din wo gali den to bhi unki seva karni chahiye. Mata-pita ki to bhi seva karni chahiye kyonki wo bujurg hain.
unka dimaag sthiti 60 70 ke baad jo hai mansik sthiti bigad jati hai. Agar wo gali dete hain wo ninda karte hain to hamen yah baat nahi manani. Hamen unki seva karni hai. Aur agar wo svasth hain apne aap seva kar lete hain. Kha pi rahe hain to dur se dekhta rahe kha pi rahe hain. Anand se hain koi baat nahi. Agar do-teen beta hai maharaj ji haan to unmein se sab betaon ko chahiye. Sab betaon ko chahiye ki apne mata-pita ki seva ke liye agar hissedari le len tino kram bye kram seva karen. Agar tino mein se na karen to ek to tayyar ho jae yar.
budhe mata-pita ko khavane se kya kami hoti hai? Data to bhagwan hai. Khub achhche se dete hain. Jo mata-pita ki seva karta hai us par bhagwan prasann ho jaate hain. Kyonki bhagwan dharm se prasann hote hain. Dekho pundrik ji apne mata-pita ki seva karte the to vitthal bhagwan swayam darshan dene ke liye maharashtra mein aae the ki nahi aae the? Mata-pita ki seva karne wale ko bhagwat prapti nischit hoti hai. Sudheer kumar ji Mathura se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji aapke pravachan desh ke yuva mahila purush sabhi dekhte aur sunte hain.
sabhi mein aapke pravchno ka kafi prabhav bhi ho raha hai. Maharaj ji yuva galat sangat se apne aap ko sudhar rahe hain. Jinke liye Gurudev ham sabhi aapka koti-koti pranam karte hain maharaj ji. Gurudev jeevan mein kis prakaar ki bhakti bhajan karen? Ham grihasth mein vihaar mein rahte hue nokri pesha mein rahte hue ki hamen sakshat prabhu ke darshan haan bhakti ka alag-alag swaroop hai. Har vyakti ke liye ek jaisi bhakti nahi hai. Kyonki alag-alag position alag-alag kartavya karmon mein laga hua hai to uske liye alag-alag bhakti ka swaroop hai.
ab jaise aap apni posta mein hain to aapko agar ham kahe ki aap chha ghanta baithkar mala chalaie to galat updesh hai. Aapke liye yahi ki jab aap aapko raat mein kabhi kisi bhi samay kisi bhi samay subah brahm muhurt mein bhi agar kah de ki bhai duty nibha ke brahm muhurt to brahm muhurt mein phone aa jaega. Aap chalie wahan taynaat hoiye chal ke aap chal hain. Haan to aapke liye hai chalte phirte uthte baithe naam jap karna aur sabse badi baat hai adharmic purush ko bakhshana nahi aur dharmik purush ko dand nahi dena. Yah khas baat hai.
bhakti ka alag-alag swaroop hota hai. Matlab rupya ka pralobhan ya koi officer ka bhay aapse galat karva de wo hamen nahi karna. To ab bade officer ke dwara ya rupaye ka pralobhan hamare dwara adharm na hone pave. Bas is baat bade officer ka gyan hamen isliye hua ki ek adhikari yahan akar ke bola tha. To ham kaha are video chal raha hai. Tum kya bol rahe ho? Bole teen bar saspend ho chuka hoon. Bolte bahut nokri se nikal diya jaaunga. Mujhe iski koi parvah nahi hai. Bole ab main adharm nahi kar sakta.
jab se aapka pravachan suna hoon bole main ab adharm nahi kar sakta. To ab jaise ganv bhasha mein use ghus kahte hain. Koi ghas de ke hamse galat karva le aisa nahi ho sakta. Ya koi adhikari hamko ke pralobhan dekar ya bhay dekar ke hamse galat karva le aisa nahi ham karenge to hamara department jo kanun hamen adesh karta hai ham uske jitna hamen adhikar mila hai ham kanun ke adhikar ke anusaar doshi ko dand dena aur nirdosh ki raksha karna aur bhagwan ka naam jap karna yahi bhakti hai kyonki aap kabhi thakur ji ko baithkar ke snaan karva rahe ho aur usi samay phone aa jae to aapko chhod ke bhagna padega to sabse badi bhakti aapki hai ki rashtr seva mein jo aapko pad mila hai apne adhikar ke anusaar ham uska bartaav karen aur sarkari payment se apna jeevan poshan karen.
hamko ghus nahi chahiye. Jiske dwara ham adharm bane wo hamen karya nahi chahiye. Hamne dekha hai aapko sachchi batayen jo galat aacharan karte hain unke parivaar mein uska prabhav parta hai. Unke bachchhe unke parivaar unka parivaar matlab vidhvans ho jaata hai. Bhale wo sari vyvastha kiye rahe. Agar nirdosh purush ko dand diya jae aur uski hai lag jae kabhi sarsab nahi ho sakte aap to doshi ko bakhsho mat chahe jitna rupya wo de aur nirdosh ko dand mat do bas yahi sabse badi bhakti hai aur naam jap karo aur gande aacharan to karen na man lo mans hai madira hai ye chijon tyag kar de aur aise chale to aapke liye mala chalane wali bhakti zyada nahi hai ki aap baithkar ke puja path aur bhakti aap apne taynaat rahie aur naam jap kijiye wah bhay aur pralobhan se bach jaiye to isi se mangal ho jaega.
suresh Swami ji merath se maharaj ji Radhe-Radhe aapke charnon mein koti-koti pranam. Maharaj ji janm aur mrityu pehle se hi tay hota hai. Phir akaal mrityu ka kya arth adhik paap adhik paap adhik paap ho jane par akaal mrityu aa jati hai. Jaise janm aur mrityu ka hamara samay tay hai. Wo jawani mein bhi mar sakta hai. Budhapa bhi mar sakta hai. Par jo achanak akaal mrityu hoti hai jiski wo adhik paap ban gaya. Koi mahat paap ban gaya. Mahan paap ban gaya to tatkaal ayu ko ksheen karke uska nash kar deta hai. To akaal mrityu ka kisi ka bhi yog na bane isliye bhagwan ka charanamrit roz pina chahiye.
bhagwan ke charanamrit ka prabhav hai. Akaal mrityu harnam sarwavyad vinashnam shri Krishna padodkam pitwa punarjanma na vidyate agar roz bhagwan ka charanamrit piye Shaligram bhagwan ka jaise Radha vallabh ji banke bihari ji inse charanamrit le le aur usi mein jal mila le aur roz ek dhakkan charanamrit le to akaal mrityu nahi hogi. Akaal mrityu harnam sarv vyadhi vinashnam samasth rogon ka shaman karne ki samarth aur bhagwan ki prapti ki bhi umang ye charanamrit prakt karta hai. Jo roz charanamrit pita hai uski akaal mrityu nahi ho sakti.
usko koi rog pareshaan nahi kar sakta. Hoga sharir mein ho sakta hai rog lekin usko pareshaan nahi kar sakta aur uska sharir jab chhutega to agla janm nahi hoga. Aisi uski sthiti ban jaegi. Bhagwan ka antim samay smaran aa jaega. Agar roz niyam se charanamrit pita hai. Akaal mrityu harnam sarwavyadh vinashnam shri Krishna padodkam pitwa punarjanma na vidyate jo bhagwan ka roz charanamrit pita hai uska punarjanma nahi hota. Uski akaal mrityu nahi hoti. Usko koi rog daba nahi sakte. Nahi to apne dwara paap aise ban jaate hain.
ab jaise garb hatya hai, bhrun hatya hai, stri hatya hai, vridh hatya hai. Kai aisi hatyaen hain. Kai aise paap hain jo mahat paap ban jaate hain aur jeevan barbad ho jaata hai. Jeevan aajkal to log vichar hi nahi karte ki paap ho raha hai. To jahan paap ban jaata hai. Is janm mein to durdasha hogi aur jab agle janm mein lenge to bhari durdasha inki hogi. Ab ye us samay bhale koi paap na kar rahe ho. Tabhi lagta hai ki yar dekho is aadmi ko kitna kasht lekin ye wahi aadmi hai. Agar isko puri seen dikhayee jae to aapki theek hai bhale isko aisa hi hona chahiye.
to jo dand milta hai na jinda jal gaye. Truck mein pees gaye. Ab ye sab wahi hai. Ab is janm mein aae ghum ke to achhche aadmi hai. Bhale paap nahi kar rahe lekin purv ka jo paap hai wo pees dega. Wo jala dega. To jo koi mahan paap ban jaata hai to hamari akaal mrityu bhi kar deta hai.
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- ekantik vartalaap evam darshan #1441 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- brahm gyani mahatma apna sharir chhota hai to uska sukshm sharir kahan jaata hai? — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- ekantik vartalaap evam darshan #1440 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- diwali par maharaj ji ke amritmay vachan | Diwali Special — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- ekantik vartalaap evam darshan #1439 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- ye 9 galtiyan aapki puri sadhna bigad sakti hain — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…