bhagwan se 18 bar yuddh karne wale Jarasandh ke janm ki adbhut katha
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
magadh desh mein bahad naam ke prasiddh ek balvan raja rajya karte the. Wah teen akshoyiyon ki senaon ke keval Swami the. Isi ke pita Jarasandh ke. Yuddh mein bahut achhche veer the. Brihdat bade rupvan the, balvan the, dhanvan the, parakrmi the. Bade tejasvi the. Unke gunon ki charcha hoti rahti thi. Brihdath ke mahima ko sunkar kasheeraj ki do kanyaen thi. Judwa. Apni sampatti ke saath unhone brihadrath ko byah diya. Ab wo judwa paida hui thi isliye ek rup ek swabhav ek shil brihadrath ko bahi gayi. Donon bahno mein bada prem tha.
donon ne jab byah ho gaya to kaha bahan ho sakta hai hamari irshya jagrit ho jae. Kyonki ek hi pati ko donon byahi gayi hai to kabhi hamare andar irshya na paida ho. Bole donon kasam khate hain ki ham saman vihaar karenge. Kabhi bhi ek dusre se irshya nahi karegi. Vihaar mein vishmata chu nahi jaegi. Ab bade anand se samay vyatit ho raha tha. Aisa man parta tha. Mano ganga aur yamuna ki pavitra dhara maharaj badrath se sangam kar rahi ho. Vishyon mein yadyapi sukh nahi par itna akarshan hai ki maharaj ki puri ayu vyatit ho gayi aur koi ek bhi santan nahi hui.
jab unhone dekha ki hamari vriddhavastha aa gayi aur ek bhi santan nahi to bade udas ho gaye ki hamare pitro ko tarpsn kaun karega? Putreshthi yagya karaya unhone vansh ki vridhi ke liye usse bhi nahi aap yah samjh lo ki agar bhagya mein putr nahi to duniya ke sab yagya kara dalo nahi hoga agar bhagya mein hai to koi sanyog baith jaega ab bahut udas the maharaj brihadrath to Gautam gotri mahatma kaksheevan ke param udaar putr chand kaushik muni ye mahan tejasvi ye aksmaat udhar se nikle ek vriksh ke niche baithe brahdat je bhi suna kisi guptachar se ki mahan tapasvi tejasvi chand kaushik muni hamare rajya ke vriksh ke niche baithe hain.
unhone apni patniyon ko liya aur wahan jakar ke sashtang dandvat kiya aur prarthna ki bhagwan Maharshi yadi aap jaise rishi chahe to hamara durbhagya mit sakta hai. Ye santo mein bal hota hai. Brahmshi chand kaushik ne pucha rajan akele bhi aa sakte the. Donon patniyon ko saath kyon laye? To unhone kaha bhagwan tino milkar prarthna karna chahte ki hamara bhagya hai. Aaj tak hamare koi putr nahi hua. Hamne putrashti yagya bhi ki hai. Log kahte hain ki agar putr na ho to pitro ka tarpsn, pitro ka udhar aur bahut si aisi grihasth ki kriyaen hain wo purn nahi mani jati.
aur budhapa aa gaya. Putraheen hoon. Ab rajya ka adhikari koi nahi hai. Isliye ham donon patniyon ke saath aae hain. Ya aap kripa karen. Unhen tapasya karke pran tyag du. Mujh santan hin ko ab kuch accha nahi lagta is lok mein kyonki parlok khali hai. Jab santan hi nahi to parlok mein kya maharaj ke samne ro pare aur dandvat ho gaye. Chand kaushik rishi ko daya aa gayi. Unhone kaha suno tum jaise dharmatma ko itna dukhi nahi hona chahiye. Tum uttam vrat ka palan karne wale Rajendra ho. Main janta hoon tumhare acharno ko tum bahut achhche ho.
main tum par prasann hua. Bolo kya chahte ho? Brihadrath ne turant charan pakar liye. Bole maharaj chahne ki baat to aap jaan hi rahe hain. Main putr chah raha hoon. Bhagwan yadi putr nahi diya to tapovan mein jakar apne sharir ko sukhakar pran tyag dunga. Bhagwan shri Krishna ne maharaj yudhishthir se kaha rajan jab brihadrath rishi ko aise vachan bole to unka hriday pighal gaya aur wo dhyansth ho gaye. Aam ki chhaya mein baithe the. Jevi dhyan hue to apne aap aam ka ek phal unki god mein aa gaya. Na hawa chali thi na kisi tote ne muhn mara tha.
apne aap wo phal god mein aaya. Hath mein liya phal mantr se abhimantrit karke kaha jao tumhara manorath purn hoga. Isse tumhen mahan bali putr prapt hoga. Laut jao rajdhani ko. Maharaj isse bada sundar tejasvi putr hoga. Dharm purvak praja ka palan karo. Yagno dwara bhagwan ka yajan karo. Jao. Ab main tumhare jo putr hoga usko aath vardan deta hoon. Pahla tumhare jo putr hoga is phal ke khane se wo yuddh mein ajay hoga. Dusra wo yuddh mein kabhi ruchi kam nahi karega. Tisra wo atithi ka itna premi hoga ki apna pran bhi de sakta hai.
din dukhiyon par uski kripa drishti rahegi. Uska bal mahan hoga. Lok mein uski akshay kirti hogi. Wo prajajnon se sneh karega. Chand kaushik muni ne aath vardan diye. Ab to maharaj safal manorath ho gaye. Nach pare. Bar-bar muni ke charnon mein mastak rakha. Phir ashirwad lekar ghar laut aae aur patniyon ko diya wo aam ka phal donon palo un donon ne ek saath kyonki judwa paida hui thi to bada prem tha kasam bhi khae the ki ham bhed nahi karenge aam ka phal liya age vichar karna chahiye tha puchna chahiye tha rishiyon se brahmano se kaise paye unhone chaku se do bhag kar diye aam ke aur donon bahno ne ek ek tukda pa liya.
donon garbhvati ho gayi. Raja ko badi prasannata hui. Rishi ne kaha tha ek putr hoga. Donon garbhvati ho gayi to socha ki rishi ne kaha tha ek putr hoga lekin hamare saubhagya to aur badh gaye. Dod putr ho jaenge. Do putr honge. Ab jab garb ke prasav ka samay aaya to ascharya ho gaya. Raja bade prasann the. Prasav hua to sharir ke do tukde nikle. Maya aise ek paksh ek mata se ek paksh ek mata se wo to dar gayi ek aankh ek hath ek pair aadha pet aadha muhn aur kach ke niche ka aadha bhag ek ma se baya aur daya ek ma se wo bhayabhit ho gayi tharthar kanpne lagi unka hriday bada udwagna ho gaya donon bahno ne maharaj ko suchna di ki mara hua putr putr paida hua aur wo to murchhit ho gaye.
atyant dukhi hokar donon raniyon ne salah ki. Bilkul koi halan dulan nahi ho rahi thi. Lekin donon jivit the. Donon mein pran shakti rishi ka phal diya hua. Aise thodi par us samay unko gyan nahi raha. Wo adhaadha dekhkar bhayabhit ho gayi. Aur alag-alag kapton mein lapte karke bahar nikli aur phenk diya jakar. Jara naam ki ek raaksasi tahal rahi thi. Yah phenk ke aa gayi. Usko pata nahi fenka gaya. Usko gandh ai manushya sharir ki. To kapton mein lapte hue navjat shishu ke aadha aadha sharir ye rakt mans khane wali jara naam ki raaksasi thi.
raaksasi ne un donon ko kapton se alag kiya aur aise kiya aur badi prasannata se khane ke liye jio jio jio donon aise jud gaye jud gaye to bada sundar balak donon ka sanyog hote hi bada hi sundar kumar ban gaya ab us raaksasi ke netr ascharya se khil pare ab usne socha itna mans khane se kya hoga ye apne raja ko de dete hain bharpet mans ki vyvastha raja kar kar dega. Ab wo balak aise muhn mein dal ke angootha rudan karne laga. Us balak ke rone chillane ka bada shabd hua. Athas jaisa raaksasi ko bhi laga ki aisa balak to nahi hota ki do alag-alag khand mein paida ho jodne se jud jao.
itna bhayanak rudan. Ab wo mahal ki taraf chali. Raaksasi rup se nahi sundar manweey rup dharan kiya. Jaise meghmala surya aur brihadrath ke paas gayi aur kaha maharaj brihdath tum shok mat karo tumhare jo putr ke tukde paida hue the maine jod diya aur putr ho gaya tumhare hi putr hai maine dhyan ke dwara dekha batao itna dhyan gyan to rakshasiyon ko bhi tha tum ise grahan karo mujhe pata hai brahm rishi kaushik muni ke ashirwad se tumhari patniyon ke garb raha. Unko gyan nahi tha isliye do tukde karke aam ke paye isliye do tukde paida hue.
tumhara hi putr hai. Ise sweekar karo. Bhagwan shri Krishna kahte hain bharat kul bhushan kasheeraj ki un kanyaon ko bulaya jo brihdat ki patniyan thi aur unki god mein ek putr yahi rakha. Unke stanon se doodh waise hi pravahit ho raha tha. Harsh ki sima na rahi brihadraj ke us swarnnim kant wali devi se kaha tum kaun ho kamal ke bhitri parag ke saman tumhara sundar rup hai mujhe putr pradan karne wali devi tum kaun ho raaksasi ne kaha Rajendra tumhara kalyan ho darna mat main sundari nahi hoon main badi bhayanak hoon sundari rup dharan kiya tumhare liye kyonki putr lekar mahal ana tha main jara naam ki raaksasi hoon ichchha ichchha anusaar rup dharan kar sakti hoon.
jahan chahun wahan ja sakti hoon. Tab unhone kaha aaj se main tumhari puja sthaapit karta hoon. Pure nagar mein aaj se tum kul devi ki bhanti puji jaugi aur hamare hi nagar mein sukh purvak raho. Main gharghar mein tumhari puja karaunga. To unhone kaha ye vardan brahma ji ne bhi pehle mujhe diya tha ki kuch samay tum raaksasi rahoge phir grih devi ke rup mein tumhari puja hogi. Inki puja kaise hoti hai? Ghar ki divar mein banaya jaata hai. Sab bachpan mein dekha tha pot karke phir aise akriti karke aur sab banaya jaata hai.
ghar ki deevaron par chitra ankit kiya jaata hai aur anek putro se ghiri hui aise usmen nirman kiya jaata hai aur phir achhche-achhche bhog lagae jaate hain. Us puja ke badle main us ghar ko surakshit rakhti hoon jiske ghar mein puja hoti hai. Maine tumhare putro ko jod diya hai. Tukdon ke judne se rajkumar prakt hua. Rajan ab is balak ka sanskar karo. Mere naam se jod karke sumer parvat ko nigal jane ki shakti rakhta hai balak. Main dekh rahi hoon sumer parvat ko. Is bachchhe ko koi kha sake aisa paida hi nahi hua.
kintu meri puja tumhare nagar mein aur tumhare ghar mein bhaleebhanti honi chahiye. Raja ne aisa kah kar jara raaksasi unhee ke samne antardhya ho gayi. Raja us balak ko lekar mahal mein gaye. Jat karm sanskar karaya aur magadh desh mein adesh kar diya. Grih devi ke rup mein jara raaksasi ki puja honi chahiye. Brihadrath ne us balak ka naam brahmano se milkar ke rakha kyonki jara ne joda aur jara raaksasi kah rahi thi mere naam se yukt hona chahiye. To jara sandh sandh mane jodna jara ne joda isliye Jarasandh us balak ka naam para Jarasandh bhagwan suna rahe maharaj yudhishthir ko ato maha tejasvi balak din pratdin jaise ghee mein ahuti di jae to prajvalit ho uthta hai aise tejasvi balak hua dino din badhne laga rajan kuch kal ke pashat mahatpaswi bhagwan chand kaushik muni punah magadh desh ghumte hue aae unke aagman se raja brihadrath ko badi prasannata hui.
unhone raj mantri, brahmin, gau aadi age karke unka pujan kiya aur samasth rajya khajana ko sab unke charnon mein arpit kar diya. Raja ki aisi udarta dekhkar ke puja sweekar karke maharaj bade prasann hue aur kaha rajan Jarasandh ke janm se lekar ab tak sari baten mujhe divya drishti se jankari mil chuki hai. Suno tumhare putr ka bhavishya kaisa hoga? Ismen rup bal shabd oj ka vishesh avirbhav hoga. Yah putr samrajya lakshmi se sampann hoga. Ye mahan balvan sarv dukhari devdhidev Rudra dev ki aradhna karke unka pratyaksh darshan payega.
maharaj vridath se bahut Jarasandh ke yash ki baat ki. Tadantar maharaj vridath Jarasandh ko rajya abhishek karke raja banaya aur aap apni patniyon ke saath tapasya karte hue bhagwat dham vasi hue. Jarasandh ne sabse pehle raja banne ke baad sabse pahla karya kiya devdhidev mahadev shankar ki aradhna bhagwan shankar prakt hue aur unse vardan paya ki bhagwan shankar hi rajya lakshmi ki raksha ke liye tumhen vishisht bal denge. Ab shri Krishna chandu ne kans ko mara. Jarasandh ki do putriyan thi. Wo kans ko byahi gayi thi.
ab wo jab vidhva hui to Jarasandh se Jarasandh ne isi baat ke liye to 18 bar aakraman kiya tha. Var andar se itna badh gaya tha ki 99 bar girivaj se ghumakar gadha fenka tha. Mathura mein girti thi akar wo to kah sudarshan chakra ki raksha thi to gadha upar hi nasht ho jati thi. Nahi 99 bar aisi gadha phenki ki Mathura churchur ho jae. Giri braj se magadh desh se Mathura 99 bar gada ghumakar fenka Jarasandh ne adbhut karm karne wala par wo Mathura mein kuch isliye nahi bigad paya kyonki sudarshan chakra bhagwan shri Krishna chandra ji ne dharmraj yudhishthir ko bataya ki Jarasandh ke mukhya sahayak hans aur dimbhak wo to yamuna ji mein doob mare kans apne sahayko ke saath kal ke gal mein chala gaya.
is samay bahut badhiya avsar hai ki ham Jarasandh ko jit sakte hain. Dekho mere se koi niti mein nahi jit sakta. Bhagwan shri Krishna kahte hain niti mein nahi jit sakta. Aur Bhimsen se koi bal se nahi jit sakta. Aur arjun donon ki raksha karne wale hain. Isliye vijay hi vijay hai. Ham teen jaenge na koi sena na koi rath hathi, ghoda. Yudhishthir ji se kaha ham teen jaenge aur teen isko parast karenge. Jarasandh se jaenge aur bhiksha mangenge ki teen mein se kisi se dwaand yuddh kar le. Wo apman ke bhay se ismen sandeh nahi ki na hamse yuddh karega pun arjun se karega wo bhim se hi karega aur Bhimsen bahubal mein is ghamandi Jarasandh ka vadh nischit kar denge bahubal mein bahut bade hue Bhimsen hai jaise utpann hue sampurn jagat ke vinash ke liye ek Yamraj kafi hai aise Jarasandh ke liye Bhimsen kafi hai yadi aap mere hriday ko jante hain mujh par vishwas hai to Bhimsen aur arjun ko dharohar ke rup mein dijiye Jarasandh ko markar main vijay prapt karaunga.
bhagwan ke aisa kahne par wahan khade Bhimsen aur arjun ka mukh prasannata se khil utha. Us samay donon ki or dekhkar yudhishthir ne is prakaar kaha yudhishthir ji bole Govind apni mariyada se kabhi chat na hone wale shatru sudan achut aap aisi baat na kahe. Aap pandavo ke Swami hain. Rakshak hain. Ham sab log aapki sharan mein hain. Ki aap kahte hain arjun aur bhim ko de do. Prabhu ye to sab aapke hi hai. Govind aap jaisa kahte hain wo sab theek hai. Jinki raj lakshmi vimurkh ho chuki unke samukh aap ate hi nahi hai.
aapke ane ka matlab hai ki yash kirti mangal aapki agyaa ke anusaar chalne matra se main yah manta hoon ki Jarasandh mara gaya. Samasth raja uski kaid se chhutkara pa gaye. Mera aaj sui yagya bhi ho gaya. Aapki agyaa se Purushottam aap savdhaan hokar wahi upay kijiye jisse karya shighr hi pura ho jae. Jaise dharm, kam aur arth se rahit rogatur manushya atyant dukhi jeevan mein hath dho baithta hai. Usi prakaar itna keval aap jaan lijiye ki ham aap tino ke bina jivit nahi rah sakte. Aap puchenge tino ke bina kaise?
to kram sun lijiye shri Krishna ke bina arjun nahi jivit rah sakte. Aur pandu putr arjun ke bina ham sab jivit nahi rah sakte. To aap tino samjh lijiye ki hamare pran hain. Par hamen vishwas hai ki jiska naam Krishna hai uske liye kuch bhi ajay nahi hai. Yah Bhimsen aapke saath rahenge. Aap apne shasan mein rakhna prabhu kyonki yah kab kya karna chahta hai yah ham bhi nahi jaan pate hain. Chatur senaptiyon dwara achchhi tarah se sanchalit ki hui sena jaise vijay prapt karti hai aise hi shri Krishna aap iska sanchan karna bhim ka yudhishthir ke aisa kahne par maha tejasvi bhagwan shri Krishna arjun aur Bhimsen ko lekar magadhraj Jarasandh ke parajay karne ke liye uski rajdhani ki or chal pare.
tino ne brahmin bhash banaya snatak brahmin ka vastr badal liye aur brahmin bhash aur brahmin bhakt tha Jarasandh aur subah subah wo brahmin jo maang le wo de deta tha. Mahan tejasvi log prannon ki parvah nahi karte hain. Tino kur pradesh kur jangal ke beech se ramneey padm sarovar pahunche. Phir kalkut parvat ko lakar gandki mahasan sada neera ek parvat pradesh mein par karte hue age badhe saryu nadi par karke kaushal pradesh Ayodhya kaushal ko par karke Mithila ganga ko par karke sobhadra purwamik hokar chalne lage brahmin vesh mein magadh sima mein pahunche godhan se bhara hua tha bade-bade bade sundar paripurn jalashay bahut sundar rajdhani thi Jarasandh ki shri Krishna bole arjun ye magadh desh hai magadh desh Jarasandh ki suraksha mein dekho kitna sundar hai kitni gaye apaar kitne sundar jal ke sarovar yahan to hamen lagta hai ki brahma ke rache hue aadi vyadhi rog ka bhi pravesh nahi hai bhi Jarasandh se darte hain kitna sundar manohar nagar bhagwan shri Krishna arjun aur bhim rajmarga se nahi vemarga se pravesh kar rahe hain.
maha tejasvi bhai donon arjun aur bhim aur shri Krishna charon varnon ke logon se bhara hua jo nagar hai wahan se nahi rajpath se nahi girivaj se pravesh kar rahe hain. Girivaj ke nikat gaye aur wahan chaitya namak parvat par chadh gaye upar. Wahan puja hoti thi us parvat ki choti ki. To kaha yahi se amangal shuru karo. Yahan bali chadhai jati hai chaitak parvat ke shikhar par aur ye unka pujya dhaav. Bhimsen ne mari bhuja ki takkar. Pura chaitra parvat ka shikhar jo pujni tha unka wo gir para. Aur wahan ek Rakshash ke khal se mada hua teen nagada aur wo ek bar chot ho jae to teen mahine tak awaz gunjti rahti thi teen mahine tak aur uska matlab tha ki nagada tabhi bajega jab vidhwansak leela honi hai to socha ki shikhar toda aur agar kahin thoda bhi nagade pe to matlab mahino awaz jati rahegi to usko pata chal jaega koi veer aa gaya.
to bhim se kaha pehle nagada ko phodo. To aise rakh ke faad diya. Mahabal ke dwara magadh nivasiyon ka chaitak parvat dhvaja sahit dhaha diya. Bhagwan jiske saath uske liye durlabh kya hai. Ab vedgami ved ke pargami jo vidvan the. Unhone Jarasandh se kaha maharaj yah ghadi bata rahi ki aapka ashubh hone wala hai aur udhar chaitrak parvat gira diya nagade phod diye to Jarasandh ne kaha upay karo amangal na ho to brahmano ne swastivachan karaya aur hathi par baithaal kar aag ki char parikrama Jarasandh amangal hatane ki koshish kar raha hai brahmin log bhi bhagwan shri Krishna Bhimsen arjun brahmin ke vesh apni bhujao se kam karte hue marg banate hue marg se nahi gaye bemarga se sab uske jitne shrringarik shobhaen sab ujadte hue shatru ke bhavan mein pravesh karte hain kaise sab vidhvans karte hue balpuk jitni sajavat unko ujadte hue todte hue age badhe jaise Himalay ki gufa mein rahne wala sinh nagar mein ghusta hai aise tino ab brahmin ke vesh mein hai jab dekha Jarasandh ne ki brahmano ki pankti mein teen brahmin alag dikhayee de rahe hain.
na inka chal dhal rang rup brahmano jaisa to hai nahi kyonki sab bhujaye dhanush ki ragad se waise to ye aadar dene yogya hai kyonki brahmin vesh mein lekin brahmin hai nahi Jarasandh ne dekhte hi anuman lagaya phir bhi khada ho gaya vidhi purvak arghapa diya atith satkar kiya swagat hai padharo tino padharo arjun Bhimsen se bhagwan ne kah diya to tum bologe nahi maun rahoge bolenge ham maha buddhiman shri Krishna ne kaha Rajendra ye hamare donon brahmin niyam le chuke hain raat ke 12:00 baje ke baad bolte hain isliye tumse baat karenge nahi jo baat karni hai hamse baat karo tab raja ne kaha nahi tino se baat karenge pehle yagyashala mein thahro raat ke 12:00 bajne ke baad ham aaenge aur tino se baat karenge tum maun thahra de kya bhai thhar jae yagyashala mein tino se phir baat karenge shesh charcha age ki shri Radha vallabh lal ki
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- ekantik vartalaap evam darshan #1441 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- brahm gyani mahatma apna sharir chhota hai to uska sukshm sharir kahan jaata hai? — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- ekantik vartalaap evam darshan #1440 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- diwali par maharaj ji ke amritmay vachan | Diwali Special — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- ekantik vartalaap evam darshan #1439 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- ye 9 galtiyan aapki puri sadhna bigad sakti hain — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…