॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

bhagwat prapti ke marg par chalne wale sadhako ke liye anmol updesh

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

pujypad shri odiya Baba ji maharaj mahapurushon ke vachan vihaar aur paramarth donon ko pusht karte hain. Isliye dhyan purvak suna jae unko aacharan mein utara jae. Bhagwat prapti ke teen marg batte hain odiya Baba ji maharaj. Karmkand, upasna kand aur gyan kand. Ye teen marg hai. Karm marg, karm yog marg, upasna yog marg jise bhakti yog kahte hain aur gyan yog marg. Inme se jo karmkand mein unmein niyam ki pradhanata pure jeevan rahti hai. Jo upasna kand mein inme prem ki upasna jeevan bhar rahti hai.

aur jo gyan kand ismen vichar ki pradhanata rahti hai. Main brahm hoon. Ye sab mithya hai. Satya hai mera swaroop wahi main hoon. Main hoon. Har samay vichar karmkand mein niyam upasna kand mein prem aur gyan kand mein vivek vichar har samay vichar se chuke dum se gir gaye koi uthane wala nahi bchane wala nahi isiliye gyan ka panth krpan ka dhara parat Khagesh lage nahi bara upasna wale ko chahiye jo bhakti marg ka hai in donon marg walon se sang na kare na karmkand marg aur na gyan kand marg agar karmkand marg mein to uski premay bhakti niyam se badhit ho jaegi.

yah niyam, yah niyam, yah niyam, yah niyam badhit ho jaegi. Aur agar gyani ke sang fas gaya tab to jaise ajgar lil jae aise bhakti ko lil jaega. Kiski bhakti? Kaun bhakti? Kahan? Jab main ke siva koi hai nahi to kiski bhakti? Bhakti marg ke upasak ko karmkand aur gyan kand marg walon se backar ke apne bhav ko pusht karna chahiye. Aur jab bhav paripakva ho jaata hai to jaise ajwain ka dana hota hai na aise bat vriksh ka bij hota hai. Ab itna bada wo jo ankurit hota hai to aise do pallav phir ankurit hua dhire dhire dhire ek vishal vriksh ban jaata hai tab hathi bhi nahi kuch bigad ho pata aur agar chhote mein to ek muhn mein bakri char jaegi isliye upasak ko apni upasna pusht karne ke liye anya dharmavalabi anya margo se apne ko bacha ke bhakti marg isht mile aur man mile mile bhajan ras riti tahan nishank hai milie taso kije priti bhakti mein shraddha badhti chali jati hai.

wahi prem ko pradan karti hai. Gyan mein vichar badhta chala jaata hai aur wah apne swaroop mein aur karmkand mein niyam purvak karne se wo nishkam bhav ko prapt hokar moksh ko prapt hota hai. Shri Ram aur shri Shyam mein kinchin matra koi antar nahi hai. Ramavtar mein bhagwan shri hari ne mukhya mariyada ki sthaapna ki. Prem gad aur pradhan mariyada lekin shyama avatar mein krishna avatar mein mariyada gad aur mukhya prem ye prem avatar hai bhagwan ka shri Krishna ka jo braj mein leela vilas hai ye keval prem mein hai.

yahan na Shastri mariyada dekh na niyam yah dekhoge to prem ko pehchan hi nahi paoge. Yah braj hai. Yah Vrindavan hai. Yah agam nigam purannon se bhi bahar ki baat hai. Jahan agam nigam puran ki bhi pahunch nahi wahan ye Vrindavan mein adbhut ras khel ho raha hai. Jo ras neti net shruti bhyo tako te adh suda ras chakhyo jah viranch umapti naye tape te ban phool bina isliye Vrindavan ki leela ek rahsyamay leela hai jo vedatit hai puranateet hai bade bade yogendron munindon ke liye bhi sambhavya narad shiv swayambh isliye aap ismen mariyada ka kahin kinchna matra darshan karne ki koshish na karen.

prem ko dekhen prem ki swayam ki mariyada hai aur kisi ki mariyada rahne nahi deta. Amaryad mel surat pas jaladh tarang kim do tanu yahan hamare Priya priyatam anandmay premay unmatt hokar ke rasmay krida kar rahe hain jo agam nigam jahan keval sanket karta hai wo sthan Vrindavan mein adbhut nav nivat nikunj ke rup mein ras ke karte hue wo param ras tatv vilshan kar raha hai. Isliye bhagwan ki agar shri Krishna chandra ji ki mariyada leela dekhna hai to Mathura Mathura se bhi shreshth Dwarika leela mariyada aur jab prem ki baat dekhte hain to Dwarika se shreshth Mathura Mathura se shreshth braj aur braj se shreshth Vrindavan keval prem hi prem shri Krishna leela mein yah tabhi samjh mein aata hai jab mal vikshep awran iska nash ho jaata hai.

agyaan ki ye teen shaktiya hai. Mal vikshep awran mal ki nivitti hoti hai shubh karmon ke anusthan se jitna shubh karm karoge shastr yukt karm karoge tumhara maya mal nasht hota chala jaega ahmta mamta ksheen hoti chali jaegi durwasnaon ke prati jo ek priyata hai bhog ke prati ek priyata hai sharir ke prati ek jo mamta hai sharir sambandhi ke prati jo mamta hai ise mal kahte ye bhasm ho jaata hai. Shubh karmon ke anusthan se karna hi padega. Bina shubh karmon ke anusthan se mal ka nash nahi hota.

guru charan seva, thakur seva, samaj seva ye sab sharir se bahut se paap hue hain. Jab ham sharir seva mein lagate hain, sharir nishpap hota hai. To dhire-dhire antarik jo mal hai wo nasht hone lagta hai. Jo ham karte hain uska prabhav parta hai hamare andar. To mal ki nivitti hoti hai shubh karmon ke anusthan se. Shubh karm kahte hain. Shastr jiska vidhan karta hai karo use shubh karm kahte hain. Aur shastr jise kahta hai na karo use ashubh karm kahte hain. Aur vikshep yah hota hai bhagwan ki bhakti se dur.

jitna bhakti karoge utne vikshep rahit hote chale jaoge. Bar-bar jo bhogon ka akarshan hai yah vikshep hai. Bar-bar jo bhog priyata hai, bar-bar jo man chanchal hokar bhogon mein jaata hai wo vikshep hai. Yah bhakti se dur hota hai. Aur awran ye shuddh brahm gyan se nivraat hota hai. Ye awran hai ahankaar. Iski nivitti hoti hai shuddh gyan se. Shuddh gyan atmjyan. Atmjyan se awran ki nivitti, bhakti se vikshep ki nivitti aur shubh karm anusthan se mal ki nivitti. Jab yah mal vikshep awran nasht ho jaata hai to shuddh prem hriday mein ya shuddh bodh hriday mein jagrit ho jaata hai.

praarabdh janit vikshep yah jeevan bhar siddho ko bhi satata rahta hai. Ye naveen vikshep to nasht ho jaega lekin praarabdh janit vikshep aata rahega. Pure jeevan bhar savdhaan hokar usko sahna hai. Bade-bade siddho mein kisi ke cancer, kisi ki ye kisi praarabdh janit vikshep aata rahta hai. Teen prakaar ki srishti hai. Ek laukik srishti, ek alaukik srishti aur ek loteet. Laukik alaukik donon se tit indri man aur buddhi ki vishay bhuta ye laukik srishti hai gochar jahan lag man jai so sab maya jano bhai ye laukik srishti hai aur jo samannya buddhi se indriyon se agamya jaise swarg lok mahok janok tap lok satyalok ye alaukik srishti hai aur in lok aur parlok donon se pare ek loteet srishti hai.

jaise Saket dham, Golok dham, braj dham, Kailash dham ye alaukik hai. Bhagwat swaroop hai. Ab ismen bhagwan ki alaukik leela bhi jhalakti hai. Jaise chhah din mein mahabali Putna ko mar dalna. Chathi ke din jaise kitne varsho ki raat ek saath mil gayi aur bhagwan ne maharaj puri raat bhar kiya. Sab alaukik sab divya yah man buddhi indriyon se nahi dekhi ja sakti yah alaukik drishti hi prapt hoti hai jab lokateet drishti prapt hoti hai tab ye dikhayee chashma nitya bihar ko da bihari moh upasak ko dekhna hai ki wo chah kya raha hai laukik alaukik ya lokateet ham sab lokateet srishti ke upasak hai arthat Priya pritam sahachari gan nau nivatt nikunj mein vilas rahe hamen wahan pahunch hai to idhar hamen dhyan nahi dena dur srishti aadi varta srishti ki varta se hi dur bas Priya pritam niv nikunj Vrindavan samasth sahchariya aur unka adbhut vilas Priya pritam ka sampurn dharmon mein in panchon ki upasna hoti hai.

agni ke dwara upasna, vayu ke dwara upasna, akash ke dwara upasna, nirakaar rup ki upasna, vedant ke anusaar upasna, agni upasna kahte hain. Ek to pragat mein jo swaha diya jaata hai yagya aadi panchahuti aadi aur ek agni ka swaroop hai rup tej. To rup tej mein samasth avatar aa jaate hain. To agni upasna mein samasth bhagwat avatar hain. Aur dviti upasna vayu ki vayu devta ki upasna hoti hai. Prannon upasna ko vayu upasna kahte hain. Pran vayu ko rokna pranayam ke dwara vayu ko niruddha karke us samay paramatma dhyan mein sthit rahna.

inme pratham upasna sarvshresht hai. Bhagwan ke rup aadi ki. Pran vayu mein hai. Jab ham prannon ka sansodhan karke pran vayu shuddh karte hain to sushmana marg sanchari sushmana marg khul jaata hai jisse swatah bhagwadakaar vritti bani rahti hai. Aur tisri upasna hai akash. Akash shabd shabd Ram Krishna hari Radha ye jo naam bola ja raha hai isi ka dhyan isi ka chintan nad shravan ke dwara bahut jaldi bhagwat prapti hoti hai nad shravan Radha Radha Radha bas yahi shravan kar rahe hain yahi dekh rahe hain yahi chintan kar rahe hain iska chintan matra bhagwat prapti kara deta hai bahut jaldi chaturtha upasna nirakaar pancham upasna vedant mein brahm hoon.

ismen sarvshresht upasna nad shravan naam jap dviti upasna Ram Krishna aadi bhagwan ke avtaron ki upasna phir tritiya upasna pran vayu ka sansodhan karke chittavatta ka nirodh karke paramatma mein sthit karna. Chaturtha upasna nirakaar upas pancham upasna aham brahmasam main brahm aisa chintan karna. Sansaar mein dhan dene ke liye patr jarur dekho nahi tumhari durgati ho jaegi. Yah nahi ki dan se tumhari sadgati. Agar tumhara rupya jiske paas gaya aur wo gande acharno mein lagega to tum bhi usi ke phal bhogta bankar durgati ko prapt hogi.

agar tumhara diya hua rupya satkarma mein lagaya gaya to tum bhi us satkarma ke karta mane jaoge aur tumhari sadgati ho jaegi. Lekin kisi ko bhojan dena ya vastr dena ya dawa dena iske liye patrata nahi dekhi jati. Bas bhukha hai to bhojan pawa do. Thandi se kamp raha hai kapda uda do. Bimar hai agar aapko bhagwan ne vyvastha ki hai to aushadhi ki vyvastha kar do. Aushadhi lakar de do. Arth dene mein bahut vichar karne ki avshyakta hai. Agar arth ko anadhikari ko de diya jae to ahit ho jaega.

amangal ho jaega. Anadhikari apna bhi patan karta hai. Arth data ka bhi patan kar deta hai. Agar koi bhagwat prapt mahatma ek bar tumse kuch sweekar kar liya hai. Bhojan vastr aushadhi kuch bhi to aap nischit samjh lijiye ki aapka kalyan ho gaya. Grihasth ke kamae hue dhan, vastu, padaarth kuch bhi ek bhagwat prapt mahatma agar sweekar ek bar kar le to us grihasth ka param kalyan nischit hai. Isliye grihasth ko chahiye ki apne darwaze par aae hue kisi bhi prani ko apmanit na kare. Pata nahi kaun kitni koti ka mahapurush hai.

paaglon jaisa vihaar kar raha hai. Pagal dikhayee de raha hai. Lekin bhagwat prapt mahatma hai. Yahi raman reti mein pare rahte the nang dhadang khichdi rakh gaya koi rabri rakh gaya aap bhi saath pa rahe hain dhanya hai unka jeevan Vrindavan ka kaise sevan karte the unka naam bhagwan das tha bade vichitra koti ke koi samjh hi nahi sakta tha ki sant hai kashi se aae the aise siddho ke darshan hote rahte the lekin na koi wo varta karte na koi wo pravachan karte na koi bhagvatik kuch nahi koi prasad de gaya prasad pa rahe hain idhar soch idhar prasad idhar pare hain kutte aaspas ghere kambal hai wo to aaj odha diya koi subah le gaya ratri mein aise chode par pare dusra aisa unka tha ab pakde to kahan se pakde bahari sthiti se to dikhayee de raha tha avdhut mahapurush hai lekin antarik sthiti mein bhagwan mein hai ya pagal hai ye samjhna bada mushkil tha kyonki baat karen to samjh mein aa jae ya ek bar dekhen drishti milave to samjh mein aa jae wo to alaukik mahapurush aur hamare man mein andar andar prashn utha ki mahapurush hai ya nahi hai mujhe bhagwan pramanit karen.

Radha raman jo gaye to saubhagya se pundrik ji ke Baba inke pita ka naam vibhuti Krishna aur unke Baba ka naam pujya shri atul Krishna wo sanyaas vritti mein the. Jab ham sanyaas vritt mein the to sanyaas vritt jaisa vesh dharan kiye to unke charnon mein pranam kiya to unhone ishara kiya to vibhuti Krishna ji seva mein the pundrik ji ke pitaji unhone daliya aur thakur ji ka prasadi vastr diya us samay sanyaas vesh tha subah parikrama laga to kamdal mein kuliya rakhi aur sankalp kiya ki agar wah siddh purush hai to hamare kamdal ka dhakkan khole Radha raman ji ka prasad le raman riti mein aae sankalp hamara Radha raman ji se judkar us samay Radha vallabhi nahi

hue the je bhi chaurahe pe aae so aa gaye gale mein hath dala bilkul alert ho gaye kyonki dekha tha bhuse chalate hain ham kaha pata nahi kahan kaun si leela karne lage to ekdam aur balvan sharir tha us samay to ekdam alert the ki unko do minute mein sambhal lenge matlab pakar lenge wo hamen mar nahi payenge bilkul jo idhar bhuja ai to uske bilkul nazdik aise hath rakh liya jo idhar kamdal mein tha aise liye hue the to idhar bhujai to idhar unka agar marne ki koshish karenge to bchane mein samarth rahenge wo odiya bhasha mein bole mujhe samjh mein nahi aaya kuch kya bole mujhe samjh mein nahi aaya aur hamare kamdal ko aise pyar se liya dhakkan khola kuliya nikali chata dhakkan band kiya us din se unko man se pranam karte the ki aap vikshep na ho koi ye na jaan pave siddh mahapurush the paaglon jaisa vihaar karte the to hamen chahiye chahiye ki grahasti mein agar koi darwaze par pagal bhi aa gaya hai lagta hai pagal hai to ham do roti sabji un tak pahuncha de hamare darwaze se koi vimurkh na jane pave atithi satkar

karna bhagwat prapti ka upay hai grahasti mein koi atithi wapas na lautne pave mridu vachan hath jodna jal asan ye sab koi de sakta hai radheshyam virajie jal piye piyenge aap nahi teen swagat hamne kar diye hath joda madhur vachan aur pani ke liye pooch liya ab aap aparadh rahit ho gaye kuch aparadh nahi lage kyonki aapne teen satkar unke kar diye chauthe mein aap swatantr aap dena chahe de dijiye nahi dena chahe na dijiye ann jal asan mridu vachan ye to sabko diya ja sakta hai yadi kisi grihasth ke darwaze se koi

apmanit hokar laut jaata hai to wah apne sare paap uske ghar chhod jaata hai. Uske punya le jaata hai. Aisa hamne mahabharat mein bhi padha hai. Koi raja ek fakir ke paas gaya aur bola ki main ek lakh sanyasiyon ko bhiksha karana chahta hoon. Mahatma ne use ek ghanti di aur kaha jab 1 lakh mahatma bhojan kar lenge to ye ghanti swayam baj uthegi. Ginne ki zaroorat nahi hai. Radha pratdin jhara bhandara bhojan pawate. Kai lakh sadhu bhojan pa gaye. Ghanti nahi baji. Pucha maharaj aap kah rahe the ek lakh sadhu pane par ghanti baj jaegi.

yahan to kai lakh sadhu pa gaye ghanti nahi baji. To unka sadhu jab pa jaenge to ghanti baj jaegi. Ham bhashdhari ki baat nahi ki hai. Hamne kaha hai ek lakh sadhu jab pa jaenge. Ek din wo dauda hua aaya aur bola maharaj ek naveen avastha ke mahatma aa rahe hain. Nangat dhadang hai. Dekhne mein akarshan paida ho raha hai. To fakir nazdik gaye. Dekho bole ye to Sukhdev ji maharaj hai. Bole sab santo ko pawane ka phal mila. Ye Paramhans aur je Sukhdev ji ne ek kaval paya ghanti dason bar baj gayi. Matlab don lakh mahatmaon ko pawane ka labh ek mahatva ab to pehchan gaye the ki shri Sukhdev ji hain nahi to nang dhadang paaglon jaisi vritt kaise samjh mein ave bhagwat mein varnan jab aa rahe the to log int mar rahe the Sukhdev ji ko kyonki wo aisi sthiti mein the isliye brahmanishtha mahatma praksha bhav se ghuma karte hain kisi ke darwaze mein na jane kis vesh mein narayan mil jae kabhi kisi ko apmanit na kare tulsi ji ka dal utar lo aur sat din tak chadao taja hi mana jaata hai.

bil patr panch din tak kamal pushp teen din tak taja mana jaega aur dusre pushp ek din tak yah seva walon ke liye bahut labhdayak hai. Sat din tak tulsi naveen hi mani jaegi. Panch din tak bil patr naveen mana jaega. Teen din tak kamal pushp naveen mana jaega aur dusre pushp ek din turant utare chadha dijiye sham tak to dusre din basi ho jaenge. Char yug aur teen gun ye har samay apna prabhav dikhate rahte hain. Antak karan mein jab achhche vichar naam jap mein ruchi dhyan aadi ki sthiti to samjho Satayug ka prabhav ho raha hai hamare hriday mein.

jis samay varnashram dharm ke anusaar karm karne ki cheshta arth aur kam mein vishesh ruchi us samay dhyan nahi hoga us samay jap mein ruchi nahi hogi bhagwat vichar nahi honge to samjh lo treta yug ka prabhav aa raha hai arth dharm ki pravritti varnashram ki pravritti aur kam aadi mein vishesh ruchi jab hriday mein asantosh ho dusre se man prapti ki ichchha ho, dikhava karne ki ichchha ho, irshya ho to samjh lena chahiye ki Dvapar ka prabhav hamare hriday mein par raha hai. Jab hriday mein kapt ho, jhooth ho, tandra ho, nidra ho, hinsa ho, vishad ho, shok ho, moh ho, bhay, dinata to samjh lena chahiye ki kalyug ka prabhav hamare hriday mein par raha hai.

aur ye kramash antahkaran par prabhav dalte rahte hain. Isi prakaar tino gun hai satogun Satayug rajogun treta Dvapar aur tamogun kalyug jahan tamogun wahan kalyug hi virajman hai. Jahan rajogun to man lijiye treta aur Dvapar shuddh satogun Satayug Gangajal Gurudev bhagwan aur gita ji ramayan ji aur bhagwan ki adbhut vashi in par hamari kabhi sanshay vritti nahi honi chahiye. Gangajal param pavitra are ab to wah Gangajal nahi aisa nahi Gurudev sakshat param brahm ham sachchi baat kahte hain ki hamari buddhi kam nahi kar rahi hamare liye hamare Gurudev param brahm paramatma ne avatar liya hai Gurudev ke rup mein hamare liye sabke liye ham nahi kahte ki bhagwan ka avatar hai hamare liye prashn mat bando guru pad kanj kripa sindhu nar rup hari mahamoham punj ja suvchan ravivkar nikar wo hamare liye hota agar ham ye dekh pave ki mere Gurudev sakshat meri ladli hai ab mujhe kaun si sadhna karni hai aur kiska sakshatkar karna hai pakka par itna dridh vishwas nahi hamen lagta hai Gurudev sadhak hai ya bahut achhche sant hai lekin guru sakshat param brahm tasmai shri guruve namah aisa bhav nahi aata bas yahi bhav lana sadhna hai jab apne guru mein sakshat ladli dikhayee dene lage meri ladli baithi hai ab kya hamen kiske sakshatkar karna hai?

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • ekantik vartalaap evam darshan #1441 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • brahm gyani mahatma apna sharir chhota hai to uska sukshm sharir kahan jaata hai? — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1440 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • diwali par maharaj ji ke amritmay vachan | Diwali Special — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1439 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • ye 9 galtiyan aapki puri sadhna bigad sakti hain — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…