॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

ekantik vartalaap evam darshan #1432

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

rup saloni sahachari ji shri hari guru maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam. Maharaj ji apne sharir ke kisi sambandhi ke kalyan hetu pratdin kitni mala jap karke usko prabhu ko samarpit karen ki wah bhi prabhu ka bhakt ya sharanagat aisa nahi hota hai. Uske punya badh sakte hain lekin wo bhakt nahi ban sakta. Bhakt to sadhu samagam mein ave aur swayam bhakt banna chahe to bhakt ban sakta hai. Anytha aisa nahi ki ham 10 20 mala usko de de. Uske punya badh sakte hain. Usko laukik labh prapt ho sakta hai.

lekin baudhik star jab tak nahi badle jaise saanp andar bil ke hai aur upar ham itr chhidk den chandan laga den. Kya saanp ko pahunch jaega kya? Ab hamari baat suno. Ya lathi se mare to kya saanp mar jaega kya? To andar jab hamare antahkaran mein jo hamari buddhi hai wah jab tak parivartit nahi hogi tab tak bhakti kaise aa jaegi? Aise bhakti kaise aa jaegi? To ham uske andar bhakti paida kar den. Aisa kisi mahatma ne bhi nahi kaha ki main bhakti bhakti paida kar sakta hoon. Haan, aap badlna chaho to badla ja sakta hai.

aap badlna na chaho to koi bada siddh mahapurush bhi aapko nahi badal sakta hai. Yah pakki baat samjh lo. Bade-bade siddho ke paas bhi bade dusht dekhe gaye jo nahi badle. Aur dur se hazaron kos dur se baat sun li aur man li badal gaye. Aap badlna chaho to badal sakte ho. Agar aap badlna nahi chahte to hamara jap tap aapko nahi badal sakta. Kyonki aapki buddhi to galat marg mein lagi hai aur ham idhar jap karke aapko de rahe hain to aapki laukik unnati hoti jaegi. Lekin parmarth unnati tabhi hogi jab sadhu sang hoga aur swayam wo chahe ki main bhagwan ki bhakti karun.

yah baat hai. Sant sang mil jae aur phir usko yah ruchi badh jae ki mera kalyan ho, mera paramarth bane to buddhi badal jaegi anytha aise nahi badlegi. Onkar das ji Vrindavan se shri Harivansh shri Harivansh maharaj ji maharaj ji aapka kathan hai jab bhagwan kripa karte hain to wah teen durlabh chijon dete hain. Dhan sampada ityadi ka haran kar lete hain. Sage sambandhi aadi sambandh vished ho jaata hai. Maharaj ji sharir mein koi asadhya rog de dete hain. Maharaj ji in avasthao ko sun ke to dhiraj tutne sa lagta hai maharaj ji phir bhagwat aap nahi aap nahi samjh pa rahe vyakti ki asakti teen hi jagah vishesh hoti hai.

ek to parivaar mein hoti hai aur ek dhan mein hoti hai aur ek sharir mein hoti hai. Teen jagah asakti hoti hai na aur bhagwan se jab ham priti karne chalenge to sharir bhi nashvan parivaar ka sambandh bhi nashvan aur dhan bhi nashvan. Dhan kisi ka hua hai kya? Chahe arabon kharbon rupya ho jab maroge to yahi rah jaega ki nahi rah jaega? Chahe jitna bada parivaar ho jab sharir chhutega to yahi rah jaega ki nahi? Chahe jitna svasth sundar sharir ho marega ki nahi marega? To bhagwan tino ki asakti ka nash kar dete hain.

dhan ki asakti ka nash, parivaar ki asakti ka nash, bina parivaar ki asakti ka nash hue bhagwat prem thodi hota hai. Janani Janak bandhu sutdara tan dhan dham suhad parivara sabki mamta tag batori mam pad man hi bandh bhar dori sabki mamta jab bhagwan ke charnon mein samarpit ho to ab nahi samarpit ho raha hai to bhagwan unki mamta ka nash kar dete hain bhagwan unke parivaar ka nash thodi kar sakte kisi bhakt ka hamen batao amrish ji chakravarti samrat hai kitna vaibhav aur mahan bhakt hain. Raja hai to raniyaan hain, putr hain, parivaar hai.

bhagwan unke putr parivaar ko mar diya. Bhagwan ne unki sampatti apna haran kar li. Amrish ji svasth the. Kya bhagwan ne unko asadhya rog diya? Nahi. Vibhishan ji ko lanka ka raj diya. Ek kalp tak ke liye dhruv ji ko rajya diya. Prahlad ji ko rajya diya. To iska matlab samjho. Shastr ke vakyo ka arth agar sahi nahi samjh mein aaya to phir bhay aa jae. Shastr nirbhay karne wale hain. Parivaar ki mamta ka bhagwan nash kar dete hain. Dhan ki priyata ka bhagwan nash kar dete hain. Sharir ki ahmta ka nash kar dete hain.

ab wo kaise karenge? Yah unka khel hai. Doctor hain. Ab hamko thodi chinta karni hai. Aur ye tino jab tak rahte hain tab tak jeev ki durgati nahi rukti. To bhagwan sadgati dene wale hain to bhagwan to kripa karke durgati se hata rahe hain. To ismen bhay hone ki kya baat hai? Shantnu kaushik ji Radha vallabh Radhavallabh shri Harivansh maharaj ji maharaj ji sabki atma ek hai to moksh kiska hota hai? Maharaj ji moksh aur kalyan mein kya antar hai maharaj ji moksh hota hi nahi hai. Jo moksh kaha gaya hai wo yah baat kahi gayi.

jaise hamne mike pakde hamne chhod diya. Isi ko moksh kahte hain. Atma ko kabhi hamko kabhi mike pakar sakta hai kya? Phir jad sharir atma ko kabhi pakar sakta hai kya? Kabhi nahi. Atma ne ise sweekar kiya. Yah bhul mit jana hi moksh hai. Jo main sharir hoon yah bhav ban gaya. Yah bhul mit jana hi moksh hai. Is sthiti mein bhi kabhi bandhan atma ka nahi hai. Is sthiti mein agyaan ki sthiti mein bhi kabhi atma ka bandhan hua hi nahi. Trikal mein na pehle tha na ab hai na baad mein hoga jab dekho goswami tulsidas ji likh rahe hain badi sukshta se jad chetan hi granthi par gayi samjh rahe ho jad chetan hi granthi par gayi yadyapi mrisha chhutat kathinai yadyapi jhuthi hai jad chetan ki granthi kabhi lagi lag hi nahi sakti par chhut tat nahi kyonki hamne pakar rakha hai.

hamne man liya sharir main hoon. Hamne [gala saaf karne ki aawaz] man liya hamara parivaar hai. Hamne man liya main karta bhogta hoon. Ab bandh gaye. Yahi karta bhogta bhav jab divya gyan ke dwara hatta hai aur yah bhav aa jaata hai ki main brahm hoon. Tatwamshi main wahi param tatv. Ye bodh apne aap se apne aap ka ho gaya. Mukt ho gaya. Kyonki pehle bhi mukt tha baad mein bhi mukt rahega. Beech mein bhi mukt hai. Usne pakar rakha. Usko kisi ne nahi pakar rakha. Koi ganth nahi ban rahi. Par chhutaj kathinai bina sadhna ke chhut nahi sakti hai.

samjh pa rahe ho? Aur kalyan ka matlab hai ki jaise aapki durgati ruk gayi. Aap tap lok gaye, janlok gaye, mahar lok gaye, brahmlok gaye, swarg lok gaye. Uttam loko ko yah baat hai. Lekin moksh hona matlab janm maran chakra se hi nivraat ho jana. Kisi lokar mein bhatakne ki baat nahi. Janm maran se hi moksh ho jaega. Ab janm maran nahi hoga. Jisko yah bodh ho gaya. Main karta nahi, main bhogta nahi, main sharir nahi, main to paramatma swaroop hoon. Aisa bodh ho gaya. Vani se nahi swayam se ho gaya. Uski pehchan hai ki use kabhi moh nahi vyapt hoga.

use kabhi kam nahi sataega. Use kabhi krodh nahi aayega. Use kabhi lobh yah sad vikar jit anagh akama koi uske andar kamna nahi. Wo nishpap mahapurush param pavitra atma swaroop ko jo prapt ho gaya wo divya ho jaata hai. Samjh pa rahe hain aap? Janvar gadhe ka udaharan diya usko uska malik bandh deta hai. Par jaise ham aise sochte hain jaise wo gadha to aise bhag bhi sakta hai. Aise ham nahi bhag sakte. Main khud paramatma hoon. Aisa vani se anubhav gyan se hi anubhav hoga. Bhajan se hi anubhav hoga. Bhajan se bhajan se apne aap se nahi hoga.

nahi bhajan jab tak nahi karoge tab tak aise kaise anubhav hoga? Jaise abhi aap yah jaan lo hamse ki aap sharir nahi ho lekin aapko pida hogi to mehsus hoga na mere ko aap darpan mein dekhoge to mehsus hoga na main apne ko dekh raha hoon kyonki yah bodh nahi hua yah vani se keval ho gaya aur jab bodh ho jaega to aap kahoge nahi ki main brahm hoon wo anubhav hota rahega aur sab dukh sukh saman bhav se sahte hue jeevan yatra puri ho jaegi maharaj jaise ham aapne bata rakha naam japte hue sona chahiye aise mein swata par gasth jeevan mein hai ashudh ho jaate hain haan haan

haan to naam jap to us samay bhi kar sakte tandra mein chalte hain to na apne aap mantr suphit hone lagta hai isse koi aparadh to nahi lagta jaise jab ab hosh mein nahi ho to koi baat nahi hai hosh mein jab nahi pakka kampharma nahi hai jaise usmen aisa lagta bhi hai haan haan haan haan koi baat nahi usmen koi baat nahi haan usmen haan usmen koi baat nahi hosh mein jawab to Radha vallabh shri hariv Radha Radha Radha Radha devi kalyan ji osa se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji Shrimad bhagwat ji mein suna maharaj ji aapke shri mukh se ki Sukhdev ji ne shri parikshit ji ke antim samay mein bhagwan aur mahapurushon ke charit bolne ke baad matlab pura charit bolne ke baad bole ki maine jo kuch bhi abhi tak varnan kiya ye sab vani ka vilas paramarth satya matlab ismen kaise kiska ka prashn hai.

haan ismen baat yah dekhni hai ki maharajyati maharaj na hos maharaj amuk amuk amuk naam rupon ka jo varnan kiya gaya ye paramarth satya nahi hai. Paramarth satya ek brahm hai. Beta parikshit tu brahm hai. Aisa anubhav kar. Ye akhiri vachan hai shri Sukhdev ji maharaj ke. Yah maine jo tumhen vivid charit sunae rajaon ke vivid bhagwat avtaron ke yah vairagya ke liye sunaya ki yahan koi tika nahi sabko antardhya hona para. Ye jitne naam rup hain ye sab aae aur gaye satya vastu to ek brahm hai aur wahi brahm swaroop tu hai.

aisa beta chintan kar. Samjh pa rahe ho na? Kyonki jitna vilas aap dekh rahe hain srishti ka yah satya nahi hai. Jitna bhi vilas dekh rahe hain yah maya mein brahm satyam jagan mithya ye mithya mein hai. To mithya mein raja nas hue mithya mein maharaj hue mithya mein purva hue mithya mein ye ab akhiri antim jo chintan banana hai jisse moksh ki prapti honi hai. Takshak kate aur durgati na ho. To isliye kaha ki sat din tumhare paas the to hamne bade-bade naraptiyon ke bade-bade mahapurushon ke charit sunae jisse tumhen vairagya ho jae ki yahan koi sansaar mein tika nahi sabko jana hai aur jinke bhi kahan hai Yayati kahan hai nos kahan hai purva kahan hai bhageerath bade-bade mahapurush sab aae aur antardhya ho gaye lekin unmein jo tha bhageerath banne ke pehle jo tha wo brahm bhageerath banne ke baad jo bacha wo brahm to beech mein kaun tha?

brahm hi tha. To sabko brahm mein bhav mein dekhte hue tu apne ko bhi dekh ki main brahm hoon. Jaise swarn hai to pehle bhi swarn tha. Baad mein abhushan bigdne ke baad bhi swarn rahega. To beech mein jo abhushan ke naam hai har kangan kar dhani anguthi jo bhi wo keval swar hi hai wo naam rup mithya hai to naam rup mithya ko dikhaya ki jitna bhi hamne varnan kiya ye vani ka vilas matra hai agar satya vastu hai to wo brahm hai jo tha jo hai jo rahega aur wahi brahm tu hai aisa anubhav kar tatwasi to tu mukt ho jaega baat samjh mein aa rahi hai haan wo antim antim updesh jo vedant ka hai wo sar bhagwan shri Sukhdev ji ne wahan diya ki jo sarv kuch hai wahi tu bhi hai.

vedant ka jo swaroop hai apni atma sab mein hai aur sab apni atma mein hai. Isse antar koi nahi. Ek hi atma tatv hai jo sab tatv hai dikhayee de raha hai wah meri atma hi hai jo atma mein hi sab kuch hai jaise bhagwan kahte hain kim pashyati sarvatra sarvam cham pashyati tasyah na pranasyami sachmen na prannasati jo sab jagah mere ko dekhta hai aur mere mein sabko dekhta hai main uski ankhon se ojhal nahi hota aur wo meri drishti se kabhi ojhal nahi hota aise hi atmjyan ka swaroop hai sab apni atma yah mayamay shabd hai.

keval atma hai. Wahi main hoon. Wahi main hoon. Wahi bodh kara rahe hain. Jab bodh karana hoga to yah sutra lagu ho jaega. Brahm satyam jagan mithya. To isiliye kaha yah mera vani ka vilas matra hai. Samjh paye aap? Ji nitin ji bareli se. Radhe-Radhe. Radhe-Radhe maharaj ji. Maharaj ji sadhak ko vihaar karte samay kya-kya savdhania rakhni chahiye? Kya sabke saath ek jaisa vihaar karna chahiye ya phir alag-alag? Jo ek jaisa vihaar karta hai wah murkh hota hai. Jaise bahan, beti, patni, maa charon striyan hain.

kya ek jaisa vihaar ho sakta hai? Hamara hi ang hai. Par kya ek jaisa vihaar ho sakta hai? Gal chune par dhoenge nahi lekin guda chune par dhoenge. Vihaar ek jaisa nahi ho sakta. Pandit samwartana nahi kaha. Pandit samadna kaha hai vidya vinay sampann brahmin gahastani suni cha supakecha pandita sam darshana sab mein ek paramatma hai jaise ham apne pure sharir ko apna mante hain lekin vihaar alag hai pure sharir ki pida ham guda mein bhi hogi to ham hi ko hogi lekin jab ham malmutr ke dvaron ko sparsh karte hain to raj lagakar sabun lagakar hath dhote hain lekin anya angon ko sparsh hone par nahi hota.

to hamen dharm ki mariyada ke anusaar sab hamara jo jaisa lagta hai hamen vihaar vaisa hi karna hai. Lekin darshan sab mein ek karna hai. Ek jaisa vihaar nahi ho sakta. Kabhi ek jaisa vihaar nahi ho sakta. Jaise ek papi purush hai aur ek mahatma hai to ham papi purush ko udasin bhav se dekhte hain. Aur mahatma ko apne pritam bhav se dekhte hain. Sashtang dandvat karke vinay. Lekin ham us papi mein bhi paramatma dekhenge aur mahatma mein bhi paramatma dekhenge. Dekhna donon mein ek hoga. Bartaav donon ka alag hoga.

ek se ham udasin ho jaenge. Na shatrutha na mitrata aur ek ko ham apna pritam man ke sashtang dandvat karte hue uski vandna karenge. To vihaar to ek jaisa ho hi nahi sakta. Jo vihaar ek jaisa karna chahta hai wah murkh hai. Hamen vidya vinay sampann brahmin mein gay mein kutte mein chandal mein hathi mein ek paramatma dekhna hai. Bhagwan kah rahe hain lekin bartaav kaise ho sakta hai? Aur bhagwan adesh kar suni chapakhecha cha pandita samdarshana jo gay aur kutte mein barabar bhagwan ko dekhe jo hathi mein chandal mein vidya vinay sampann brahmin mein ek dekhe lekin bartaav to nahi ho sakta na chandal ke pair nahi chhuenge vidya vinay sampann brahmin ka sammaan karke uska aadar karenge gay ka doodh piyenge lekin kutiya ka thodi doodh pi lenge alag-alag vihaar hai jo kutiya ko bhojan denge wo hathi ko thodi de sakte hain hathi ka kya uska vihaar alag hai usko usko ek kuntal chahiye aur usko do roti chahiye.

do roti mein uska kam ban jaega aur ek kuntal bhojan hathi ko chahiye. Vihaar to ek jaisa ho hi nahi sakta. Chahe khanpan kisi bhi drishti se dekha jae samadna ek krura papino nata samasya sar vasta ni param swadhya buddhim jo krur hai papi hai dusht hai nich hai wo bhi mere sakshat isht dev hai aisa darshan kar sakte hain jad chetan jag jeev jat sakal Ram mein jaan bartaav nahi kar sakte jo dusht swabhav ke log hain unse udasin rahna udasin tirah gosai khal parihri sthan ki nahi shastr jo kahta hai vaisa mein vihaar karna vihaar ke liye shastr praman tasma shastram prmanam te karyakar vyavasthitau kya karya karna chahiye kya nahi karna chahiye iski agyaa shastr ke anusaar hamen bartaav karna chahiye lekin ham darshan samyak paramatma ka kar sakte hain samjh paye komal ji hisar se shri Harivansh Gurudev shri Harivansh maharaj ji Gurudev jab hamen pata hai ki hamare jeevan mein accha bura sab shri ji ki ichchha se hota hai to ham vipatti ane par vichlit kyon ho jaate hain?

sab kyonki adhya kyonki adhyatma bal nahi hai. Adhyatma bal na hone ke karan gyan bal na hone ke karan hamari buddhi jab dukh aati hai to dukh mein doob jati hai. Jab sukh aati hai to sukh mein doob jati hai. Anukulta pratikultaa ka bhog karne wali buddhi sansarik hoti hai. Aur jo anukulta aur pratikultaa mein samta ko dharan karen wo adhyatmik buddhi hoti hai. Isiliye adhyatma sarvshresht sukh hai. Atyantik sukh hai. Jahan dukh ka namonishan nahi hai. Bade-bade dukh mein bhi jo muskura karke nikal jae use adhyatmik kahte hain.

sukh dukhe samay krtva labha labho jayaj sukhdukh mein labhhani mein jai parajay mein jo saman bhav rakhta hai wahi yogi hai. Wahi paramatma ka marg ka anusaran karne wala sadhak hai. To ab abhi aap bhagwat chintan utna nahi kar pa rahe hain jisse aapke andar samta ave to aap naam jap karo shastron ka swadhyay karo satsang karo aur jab dukh ave to us samay vichar karo yah mere kisi karm ka phal hai jisko main bhog karke pavitra ho rahe ho aur jab sukh ave to bhagwan ki daya ka smaran karte hue dusron mein banto apne sukh ko dusron mein bant karke dusron ko sukh dene ki bhavna karo to sukh ke abhiman man se rahit ho jaugi udhar dukh ke bhog se rahit ho jao agar sukh ka bhog na kare laukik to dukh ka bhog apne aap nahi hoga agar rag na kare to dves hoga hi nahi kam na ho to krodh hoga hi nahi kyonki kam se hi krodh rag se hi dves aur sukh bhog ki lalsa hi hamen dukh ka anubhav karati hai Gurudev jaise ham shri ji ke samne apni ichchhae rakh dete hain sari ichchhae rakh dete hain.

shri ji ke samne sab ichchhae rakh dete hain. Aur uske baad apni ichchha rakh ke shri ji ko bol bhi dete hain ki shri ji dekh lena aapko jo uchit lage na aap wahi karna ji bilkul uttam uttam baat hai ye uttam samarpan ki vritti hai lekin abhi samarpan hua thodi hai ye to vani se samarpan hai tanwang manobh amal soham ta vashita tanu mane sharir sharir se sari kriyaen shri ji ke liye ho koi bhi kriya pratikuls visarjan jo pratikul hai uska tyag ho jae to sharir ka samarpan jo abhi bhi aap bole ye vani ka samarpan aur jab man priyal ke siva

dharm ke siva kahin jae na to man ka samarpan aur jo swayam mein aham bana rahe ki main shyama ji ki main Priya lal ki to aham ka samarpan tanu vang manobh amal soham tavata nishkam bhav se kisi swarth ke vashbhut hokar nahi he ladli jo sharir se man se vani se aur swayam se main aapki sharan mein hoon tab baat banti hai swayam se bhi aur vani se bhi aur tan se bhi aur man se bhi tan ki sari kriyaen bhagwat man ka sara chintan bhagwat mein swayam bhagwan ke ashrit aur sharir se jab ham kriyaen Bhagvati karenge na to apne aap anand ane lagega.

jab hamare dwara sharir se pratikul cheshta hoti to wahi paap bankar hamko dukh dete hain. Anytha dukh ki koi gunjaysh hi nahi kyonki jeev ishwar ka ansh chaitanya ghan amal avinashi sukh swaroop hai. Wo kisi sadhan ka karen ya na karen wo sukh swaroop hai. Par apne swaroop ka vismaran karke deh bhav mein akar hamare dwara kuch aise galat karya ho jaate hain. Jinko paap kahte hain aur wah hamen chinta shok bhay dukh pradan karte hain. Par kya age chal ke aisi sthiti bhi aati hai ki yah prarthanaen bhi khatm ho jati hain ki accha karo ya bura karo yah yah bhi khatm ho jaata hai.

haan sab khatm ho jaata hai kyonki jab sharanagati ho jati hai tab ye baten nahi rahti main aapki sharan mein hoon meri wo yantravat chalta rahta hai haan bilkul yantravat hota hai aur usse bura ho nahi sakta kyonki ahankaar mein hi samasth dosh virajman hai. Sansti mul shul prad nana sakal shokdayak abhimaan jo dehabiman hai yahi janm maran ka hetu hai isi mein kam krodha aadi ka attack hota hai yahi hamko bandhe hue hain ya agar bhajan ke prabhav se sadguru ki seva ke prabhav se dehabiman galit ho jae to dekhega gunanugun warte manushya Parth sarvsa gunon ke dwara prakriti ka sharir prakriti ki kriyaen ho rahi par wo shastr sanyamit kyonki kyonki bhagwan ko arpit hai.

aham galit ho gaya. Aham se paap hota hai. Main stri hoon to purush ka akarshan. Main stri hoon to nana prakaar ke vihaar ka srijan. Main main yahi hamare janm maran ka hetu hai. Aur jab yahi main shuddh brahm swaroop hoon jo hai anubhav aa jaata hai to phir ye sab malintaen nasht ho jati hain. Usi jab ham bhagwan ki sharan mein ho gaye to aham nasht hua. Ya ham brahm swaroop ka chintan kiya to aham nasht hua. Aham nasht hua to galat kam ho hi nahi sakte. Paap ho hi nahi sakta. Agar koi vihaar mein aisi truti ho jati tatkaal bhasm ho jati wo uske upar lagu nahi hoti kyonki ahankaar nahi hai.

abhinav ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji deh tyagne ke baad hamare isht bhagwan ki pratima ki chinta hoti hai. Maharaj ji unka dhyan kaun rakhega maharaj ji? Haan ye to hoti hai pyar ke karan hoti hai par yah to hoga yah to hoga sab bade-bade mahapurushon ka jaise acharyon ka haridas ji ke thakur bihari ji to seva ho rahi na Harivansh mahaprabhu ke thakur ji Radha vallabh lal to seva ho rahi gopal bhatt ji ke Radha raman ji to seva ho rahi ab apne thakur hain to bas yahi hai jab tak jivit hain tab tak seva ab iske baad unki kya leela hogi wo khud jane samarth hai wo apna kar le jo vyvastha unki karni nahi par premi janon ko to chinta hoti hai.

aisi hamen bhi hui thi. Jab hamara sharir atyant svasth ab bhi svasth hi rahta hai. To hamen chinta hui ki hamari shri ji ki seva kaun? To shri ji ne hazaron hath prakt kar diye. Hazaron log seva mein sab to agar apni priyata isht ke prati hai to wo vyvastha kar lenge. Wo vyvastha jite ji hamare samne seva hone lagi. Hamen chinta thi ki ab ham seva nahi kar pa rahe. Kaise seva hogi shri ji ki seva aur bahut achhche se sab seva ho rahi shri ji ke aise pratap uday hue wo apni seva kara rahe hain to aise hi apne isht se prarthna karen ki aap apni dekh lena apni vyvastha kar lena to kisi na kisi ko prerit karke wo unke paas chale jaenge.

jaise ek vayovriddh mata Mathura mein rahti thi to thakur Madan mohan ji unke ghar mein rahte the to seva karti thi to unko chinta hui ki mere baad inki seva kaun karega? To bhiksha mangne gaye sanatan goswami to thakur ji ne kaha inko de do hamen sanatan goswami ko de diya aur aaj bhi Madan mohan ji karauli mein hai karauli karauli mein Madan mohan ji virajman hai khub thaat bat se seva ho rahi thakur ji ki to apne thakur ji se prarthna kar de ki jab tak ham jivit hain hamare sharir mein bal hai tab tak ham aapki seva mein iske baad aap apni koi vyvastha kar lena aise mat baithe rahna nahi to hamen chinta hai.

aisi baat karoge to kar lenge. Aisi vyvastha kar yah hoti hai premi janon ko hoti hai ki hamare baad hamare isht ko kaun dular karega? Yah hota hai. Aisa hota hai. Aisa hota hai. Bahut jor se hota hai. Jab sharir ko koi hani nazar aati hai ki ab kabhi chhut sakta hai. Tab lagta hai ki inko kaun dular karega? Inko kaun seva karega? Ham jaise pyar karte hain waise inko kaun yahi premi janon ka pyar yadyapi bhagwan to avinashi sacchidanand gan kan-kan vasi hai par yah bhakton ka ek apna lad hota hai ek apna pyar hota hai ji Rakesh Gupta ji Radha vallabh shri Harivansh shri Harivansh maharaj ji maharaj ji naam jap mein man nahi lag raha maharaj ji maya ghasit rahi hai maya ke pahalwanon se puri tarah parast ho chuka hoon maharaj ji aisa raha to main depression mein chala jaaunga aisa lag raha hai bhavar nahi nahi nahi depression mein kyon chale jaoge jab yuddh kshetra mein utre to parast hona ya vijay hona khas baat nahi khas baat hai date rahna pith dikha ke bhagna nahi hai jab ham bhagwan ke marg mein chale hain to hamen date rahna hai aur dekho man lage ya na lage agar hamko vish khwa diya jae to mar hi dega ham shraddha se piye ya anjane mein piye aag ko agar koi bhul se chu le ya sahi mein chhwa wa de to wah jala hi degi kyonki usmen dahika shakti hai.

maran shakti hai aur naam mein taran shakti hai. Jaise ham Ram Ram Radha Radha hari hari rat rahe hain. Hamara man nahi lag raha hai to bhi hamara kalyan hoga. Pakka kalyan hoga. Is baat par vishwas kijiye. Bhagwan ko jab yah bolte hue arjun ji ne suna ki jisko apne man ko vash mein karne ki prakriya nahi ai indriyon ko vash mein nahi kiya to usko yog prapt hona bhagwat prapti hona kathin hai. Jiska man vash mein nahi hai. Jiski indriyan vash mein nahi hai use bhagwat prapti nahi ho sakti. To arjun ji ko bada sanshay hua.

arjun ji ne prashn kiya ki bhagwan jo aapka naam jap karta hai, indriyon ko vash mein nahi kar paya hai, man ko vash mein nahi kar paya hai, phir uski gati kya hogi? Jo indriyon ko vash mein kiye hain, man ko vash mein kiye hain. Aapka bhajan kar rahe hain, wah bhagwat prapt ho jaenge. Unka to kam ban gaya. Lekin jo naam jap kar raha hai, katha kirtan kar raha hai, lekin uska man vash mein nahi hai, indriyan vash mein nahi hai, jo man aaya so apni manmani karva lete hain. To uski gati kya hogi? To bahut sunne layak baat hai.

wo nark nahi jaega. Bhagwan ke bhakt ka patan nahi hota. Name bhakta pransashyati. Bhagwan ke bhakt ka nash nahi hota. Pahli baat to narak nahi jaega. Dusri baat swarg nahi jaega kyonki swarg ki usne kamna nahi ki aur moksh hoga nahi kyonki itna sadhan nahi hua to uska kulvan Shri van aise ghar mein janm hoga jahan bhakti ka mahaul hoga khub aishwarya hoga aur bachpan se hi use bhakti ka aisa anukul vatavran milega ki is janm mein aisa bhajan karega indriyon aur man ko usmen kar aur bhagwan ko prapt ho jaega ek janm aur to ghate ka to sauda hai nahi depression mein kyon jaoge?

Radha Radha bol rahe yah vinashi thodi hai. Yah avinashi hai. Yah kisi bhi kal mein bhagwan ke bhajan ka nash nahi hota. Jo ham bhagwan ka bhajan karte hain, kisi bhi kal mein nash nahi hota. Aur jitna bhajan karte hain, man lo hamara 100 naam jap ho gaya hai to ab 99 nahi utrenge. 101 se chalenge. Kisi bhi janm mein bhajan karna dekho bharat ji maharaj raj parivaar ghar sab chhodkar ke gandki nadi ke kinare bhagwan ki prapti ke liye sadhna kar rahe hain. Ek din wo argh de rahe the bhagwan surya ko. Itne mein ek sinh ne dahad mari aur hirni ne chhalang lagai.

wo garbhvati thi. Uska bachchha jal mein gir gaya. Ab koi bhi dayavan purush kaise dekh sakta hai ki wah bachchha navjat pani mein bah jae daud ke utha liya utha ke apne ashram mein laye uska palan poshan karne lage hari hari dhoop tod ke lana pavana dular karna ab usmen mamta ho gayi ab usko chhod hi nahi paye to antim samay hiran ka chintan ban gaya to agla janm unka hiran ka hua lekin bhajan nahi chhuta aap bhagwat mein padh ke dekh lijiye us hiran sharir ko gandki nadi mein khada karte aur sukhe patte kha ke wahi mantr japte jo rajshi bharat ke rup mein bhajan kiya aur agla janm brahm bodh sampann mahapurush jad bharat ke rup mein hua.

bhajan ka kabhi nash nahi hota. Isliye depression wali to sab baat hi nahi. Aisa to vyarth to ho hi nahi sakta. Keval jaban se naam japne matra se jeev ka param kalyan ho jaega. Ram naam mani deep dhar jih dehri dwaar tulsi bhitar bo jo chaha sujiya man lage na lage Radha Radha kah rahe hain Ram Ram kah rahe hain Krishna Krishna kah rahe hain shiv shiv kah rahe hain param anand milega aap iski chinta na karen haan jahan tak aapka bas hai wahan tak aap galat acharno se apne ko bachaie jab nahi bacha pa rahe hain to bhagwan ke samne aise ho jaiye ki he nath dekh lo meri samarth nahi aap hi kripa karke mujhe bachao aur na bachao to aap hi taro.

main jaisa nich papi patit hoon. Ab aapka hoon aap dekh lena. Theek hai? Haan. Depression wala shabd hi ucharan mat karo. Bilkul nahi. Ye anand ka marg hai. Depression ka marg thodi ismen to depression khatm ho jaata hai. Naam jap ke samay bhi vishay vikar havi hote hain. Koi baat nahi. Tum chinta mat karo. Wo kuda karkat hai. Andar se nikal raha hai. Andar aa nahi raha. Jab naam jap karte hain aur gandi gandi baten man mein aati hain to man mein aati nahi hai. Wo man se jati hain kyonki naam jab chal raha hai wo man ko nirmal kar raha hai.

ab us samay aisi bhavna karun ki hamare man se gandagi nikal rahi hai. Aa nahi rahi kyonki bhagwan ke naam ka phra hai. Naam pahu divas nish to pahredar bahut jor ka hai to andar to aa nahi sakta. Andar ki gandagi mar mar ke bahar nikali ja rahi. Aisi bhavna karna chahiye. Gurur brahma gurur Vishnu gurur dev Maheshwara guru sakshat param brahm tasmai shri guruve namah yadi apne Gurudev ko ham param brahm rup mein dekh len to hamen aur kaun se brahm ki prapti karni hai unhin ka charanamrit piye unhin ke ashrit rahe aur jab darshan karen to brahm rup darshan karen to bhagwat prapti ho jaegi guru sakshat bhagwan hai bhagwan aur guru mein bhed thodi aur sanyasi sant to narayan ka swaroop hai sakshat narayan swaroop bas hamare hamari samjh manushya wali buddhi hai na ki thoda achhche sant hain.

brahm buddhi nahi ho pati. Jaise guru pe na ki achhche sadhak hain. Achhche sant hain. Par yah buddhi nahi ho pati ki mere param brahm paramatma hai. Agar guru mein param brahm paramatma bhav jis sadhak ka ho gaya mukt ho gaya. Uske liye koi sadhan nahi wo apne guru ki kripa se mukt ho jaega. Dhyan mulam guru murti puja mulam guru padam mantr mulamm guru vakyam moksh mulam guru kripa maharaj ji hamara shraddha hai. Bhagwan ke prati sadhu ke prati shraddha hai. Isiliye main ghar chhod chhod diya.

baad bhi mere shraddha ko komal shraddha dridhbhutan nahi ho raha hai. Main kya karun? Pata hai maharaj haan ismen kya hai ki thoda vihaar se hatna padega. Vihaar mein vishmata hoti hai. Hamari shraddha vyavahrik shraddha abhi parmarth shraddha ki dridta nahi le ai ki hamare samne koi galat kare ham use bhagwan mane. Aisa nahi ho sakta. To isliye hamen thoda vihaar se bachna chahiye aur khub naam jap karna chahiye aur bhagwan se prarthna karni chahiye ki hamari shraddha itni dridhavti ho jae ki hamare samne agar galat ho raha hai to bhi main aapko dekhun.

galti ko na dekhun. Aapko dekhun aap par shraddha rahe ham kriyon ko na dekhen us kriyon ke karta aap andar jo virajman paramatma tatv hai main unko dekhun kriyon se main aapko agar kriyon ko dekhenge to aapko nahi dekh payenge aur aapko dekhenge to kriyon ka mahatva khatm ho jaega to sab mein Govind hai vasudeva sarwamti sam mahatma surbha isi shraddha se ham paripakva honge sab mein bhagwan Vasudev hai agar ham aisa nahi manenge to phir gun dosh darshan hoga gun gun dosh darshan hoga to hamara patan ho jaega.

hamara paramarth ruk jaega. Isliye savdhaan rahie.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • ekantik vartalaap evam darshan #1441 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • brahm gyani mahatma apna sharir chhota hai to uska sukshm sharir kahan jaata hai? — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1440 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • diwali par maharaj ji ke amritmay vachan | Diwali Special — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1439 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • ye 9 galtiyan aapki puri sadhna bigad sakti hain — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…