॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

Bhimsen aur Jarasandh ka aisa yuddh, dekhkar kamp uthe sabhi

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

chalte hain Shrimad bhagwat mahapuran prasang chal raha hai. Bhagwan shri Krishna chandra jo Bhimsen aur arjun chaitrak parvat ke shikhar ko tod ke nagade ko phod karke parvat ki taraf se rasta bana ke jahan Jarasandh brahmano ka sammaan karta tha aur unki muhn mangi vastue deta tha. Us samay uska niyam tha jaise Karna ka niyam tha jis samay bhagwan surya ki aradhna prat kal surya uday hote hi muhn kar leta aur jab tak surya bhagwan pith mein nahi aa jaate tab tak khada hath uthakar mantr japta rahe us samay agar koi maang le to pran de dega na nahi kahega aise hi Jarasandh ka niyam tha jis samay brahmano ko dan dene ke liye aata us samay koi kuch maang le wo use pradan kar de bhagwan isi samay ko dekh ke gaye uski uski drishti padi wo Jarasandh ne kaha nar shreshth teen dodiyon ko par hokar bade abhiman ke saath tum mahabali Jarasandh ke nikat nirbhay hokar ke aa gaye ho waise maine tumhara swagat kiya madhuparka dan karke argh dan karke brahmin ke rup mein parantu mujhe kuch chhal nazar aa raha hai aap mein Jarasandh ne kaha shri Krishna chandra jo aur mahabali bhim aur arjun in tino se kaha kaun ho aap?

bhagwan shri Krishna bol uthe ye donon maun hai. Arjun aur bhim maun hai. Ye raat ke 12:00 baje ke baad apna maun kholte hain. Hamse baat karo. Kya puchna chahte ho? Tab raja ne kaha theek hai. Baat tabhi karenge jab inka maun khulega. Yagyashala mein tiko. Badhiya vyvastha kara di yagyashala mein aur theek raat ke 12:00 baje aa gaya. Bada niyam ka kattar niyam ka palan karne wala Jarasandh tha. Adhi raat ke samay unke paas aaya shatruo ka nash karne wale bhagwan shri Krishna Bhimsen arjun dekhte hi bole maharaj aapka kalyan ho jaise brahmin ashirwad dete hain aur khade ho gaye kyonki mahabali jara sandeh koi sadharan nahi hai.

tino khade ho gaye. Bhimsen, arjun aur bhagwan shri Krishna kaha maharaj aapka kalyan ho. Jarasandh ne phir niche se upar tak tino ko drishti bhar karke dekha. Jarasandh ne kaha baith jao. Baith jao. Baith gaye. Bahut tumhari shobha udbhashit ho rahi. Jaise teen agniyan baithi ho aise mujhe dikhayee de rahe ho. Lekin bhesh ke viparit aacharan hai tumhare. Snatak brahmin vesh aur aacharan viparit ab itne mein kya aacharan pehchan liya hamen lagta hai ham tum tino ki ninda karen tum brahmin nahi ho sarvatra tumhen shastr ka gyan hai snatak vrat ka palan karne wala brahmin keval samavartan ke samay mala aur chandan dharan karta hai.

is samay tum mala aur chandan kaise dharan kiye ho? Mujhe achchhi tarah malum hai ek gale mein foolon ki mala aur yah sugandhat chandan aur bhujao mein pratyancha ki ragad aur hath mein tankar karne wali anguthe mein ye brahmano ke lakshan to nahi hai. Tum brahmin nahi ho sakte. Aap log kshatriyochit tej se udbhashit dikhayee dete hain. Parantu brahmin bankar hamare samne aae prichay diya hai. Ye rangeen kapde akaran mala akaran chandan abhi-abhi to aae ho. Sach bataiye hamen lagta hai tum koi raja ho. Brahmin nahi ho.

ye chaitak parvat ke shikhar ko kyon toda? Sidhe rajmarga se kyon nahi aae? Bhayabhit ho hamse. Chhash dharan karke kya apna kam banana chahte ho? Brahmin ke vachan mein virata hoti hai. Kshatriya ki bhujao mein virata hoti hai. Tumhari bhujaye bata rahe ki tum bahut bade yodha ho. Tino kyonki parvat shikhar ko todne ka kam brahmin nahi kar sakta. Ye koi bhujbal kshatriya kar sakta jo bhujao se balvan ho. Aapka vesh, aapki chal, aapke varn, aapki yogyta ke viparit hai. Jarasandh ne kaha [gala saaf karne ki aawaz] kya chahte ho mere yahan akar ke?

kya prayojan hai? Jarasandh se tumhara kya prayojan hai? Bhagwan shri Krishna ne gambhir vani mein kaha, rajan aapki jai ho. Main snatak brahmin hoon. Accha vrat palan karna abhi aapko pura shastr ka gyan nahi hai. Snatak brahmin bhi ho sakta hai, snatak kshatriya bhi ho sakta hai, snatak vaishy bhi ho sakta hai. Aur snatkon ke kuch vishesh niyam hote hain. Sadharan sadharan niyam palan karte hain. Ham log vishesh hain isliye vishesh niyam palan kar rahe hain. Pushp dharan karna. Pushp mein lakshmi ka nivas aur ham sab lakshmi stri vaibhav se sampann snatak hain.

ham isliye pushp mala dhari hai aur parakram bhujao mein hota hai. Bolne wala veer keval veer nahi kaha jaata. Jiski bhujao mein bhi bal hota hai. Vani mein bhi bal hota hai wahi veer kaha jaata hai. Brihdat nandan ye dhashtata rahit vinay yukt vani meri suno. Vidhata ne mujhe bhujao mein itna bal diya hai jitna vani mein bal diya hai. Ham aise snatak hain ki jo bolte hain wah karke dikhate hain aur dekhna chahte ho to dikhane aaya hoon tumhen apni bhujao ka bal aur ye jo pucha ki tum raste se kyon nahi aae?

to itna samjh lo dhairyvan maha balvan kabhi shatru ke raste se nahi jaata. Wah apna rasta khud banata hai. Raste se mitra ke darwaze aaya jaata hai. Shatru ke liye darwaza naya banaya jaata hai. Aur ham samjh gaye honge tumhare kis karya se aae hain. Tumhari isiliye puja grahan nahi ki kyonki tum hamare shatru ho. Yah baat achchhi tarah samjh lo. Par ham tumhen phir kah rahe hain ham sanatan vrat ka dharan karne wale hain. Jarasandh ne kaha mujhe yad nahi aata ki aap logon se maine kabhi koi yuddh kiya ho, kabhi koi var kiya ho ya kabhi aapka kuch ahit kiya ho.

main bahut soch raha hoon lekin meri sochne mein nahi aata ki maine kabhi aapka mangal kiya. Aap mujhse kyon bair karte hain? Mere se kya aparadh hua? Aur nirparadh mujhko aap shatru kah rahe hain. Kya yahi sadhu purushan ka bartaav hai? Kya yahi aapke vesh ke anurup bhasha hai? Maine tumhare kis dharm mein badha dal di? Dharm maharathi kshatriya lok mein dharm ke viparit aacharan karne walon par dand deta hai. Iske alawa nahi. Satkarma karne wale kshatriyon ke liye tino loko mein kshatriya dharm se shreshth bada aur kar aur kaun dharm hoga?

to maine agar kabhi kisi ko dand diya to apne chatra dharm ke anusaar diya hai. Tum brahmano ka maine kya virodh kiya? Main apne man ko vash mein rakhta hoon. Indriyon ko apne vash mein rakhta hoon. Praja ka palan karta hoon. Kisi ka aparadh nahi karta. Phir tumhara dushman kaise ho gaya? Bhagwan shri Krishna ne kaha mahabo samuche kul mein sab koi samarth nahi hota. Usmen ek samarth hota hai jo pure parivaar ko poshan karta hai. Aise sampurn kshatriyon mein ek mahapurush hai jiski agyaa se ham tumhara man mardan karne ke liye aae hain aur tum aparadhi ho.

tumne 20,000 rajaon ko kaid mein rakh liya hai Bhairav yagya chadne ke liye. Ye aparadh nahi hai. Ek raja dusre raja ka sammaan karta hai. Rajaon ko kaid karke Rudra devta ki bhet chadna. Yah kis shastr mein likha hai? Ye shastriya adesh palan kar rahe ho. Tum aparadhi ho. Tumhen dand denge. Ham maharaj naam nahi liya. Kaha ek mahapurush hai maharaj yudhishthir. Chakravarti samrat maharaj yudhishthir ke adeshanusar ham tumhen dand dene aae hain. Brihadrath kumar tumne bahut paap kiye hain aur ham dharm ki raksha karne wale hain aur ham samarth hain isliye tumhen dand dene aae hain.

kisi bhi devi devta ki puja mein kisi ki bhi bali chadhani chahiye. Bhagwan kah phir tumne rajaon ki bali chadne ki baat soch li aur hinsa dwara koi dev devi devta prasann hota hai kya? Tumhari buddhi mari gayi hai. Jarasandh tum usi varn ke ho jis lok ke rajaon ko kaid karke tum hinsa karna chahte ho. Tumne apne jati bhaion ke hatya ka vichar kiya. Hatya kiya isliye tum hatyare ho. Kahte ho ham praja ka palan karte hain. Tum jo ye man baithe ho ki is jagat mein tumhare saman koi veer yodha nahi.

tumhen bahut bada bhram ho gaya hai. Swabhimani kshatriya wahi hai jo dusron ko sammaan deta hai. Dusron ki raksha karta hai. Swarg prapti ke uddeshya se rakhkar ran yagya ki diksha lene wale kshatriya apne abhi loko par vijay pat karte hain. Tum bhaleebhanti jante ho. Kshatriya ka param kartavya jab tak pran na nikal jae tab tak shatru ko parajit karne ki cheshta karna chahiye. Main tumhare yahan ek chij mangne aaya hoon. Doge jara sant ne kaha bolo jab brahmin bankar mere bhay se aae ho to tum jo mangoge de dwaand yuddh ki bhiksha dwaand yuddh hota hai amne samne ek ek lado dwaand yuddh ki bhiksha tumhen swarg lok ki prapti ki kamna karni chahiye main dwaand yuddh mein tumhen swarg lok bhej dunga tumhara ghamand aur magadh desh ki agnit senaon dwara tum dusron ka jo apman kiye ho ye sab shant kar dunga.

Bhopal jab tak tum is baat ko nahi jante ho ki ham log kaun hai tabhi tak ghamand bhari baten karte ho aur jis samay tum yah jaan loge na ki ham log kaun hai to tumhara ghamand choor ho jaega janne matra se dambodbhav kartiveer hazar bhuja wala shastr arjun uttar brihadrath in sab bade janon ka tumne apman kiya hai. Kshatriya dharm ke virudh aacharan karke rajaon ko kaid mein karke tumne theek pahchana main brahmin nahi hoon. Main Vasudev hoon. Vasudev putr Vasudev aur ye jo beech mein khade hain mahabali parwatakar Bhimsen panduputra maharaj Bhimsen aur ye jinki bhujao mein pratyanchha ki ragad bani hui gandeev dhanushdhari arjun hai.

aur jante ho hamara inka kya sambandh hai? Main in donon ke mama ka putr hoon aur tumhara purv ka prasiddh dushman shri Krishna pehchan le achchhi tarah magadh naresh main yuddh ke liye tujhe lalkarta hoon aur tere ghar mein akar lalkarta hoon yuddh kar mujhse Jarasandh bahut jor se hansa shri Krishna ho tum shri Krishna jo yuddh chhod ke bhag gaye the bhagwan se kaha o tumne ye baat kahi ki main 20,000 rajaon ko bandi banae hoon to aise fusla ke nahi bandi banae hoon. Apni bhujao ke bal se unke abhiman ko raund karke unko kaid kiya hai.

yahan kaun aisa shatru hoga jo ajay kahlae? Mere se ajay kahlae. Shri Krishna ye chatra dharm hai. Dharmanukul jeevika hai ye. Ki kisi bhi raja ko lalkaar karke usko parast karke uske samasth vaibhav ko chhin lena yah mahaveeron ka kam hota hai. Phir tum isko aparadh kaise bata sakte ho? Shri Krishna main kshatriya vrat mein rahta hoon aur devtaon ko balidan dene ke liye main laya hoon aur inki bali dunga. Koi bacha nahi sakta. Tumhari sena meri vu rachna sena ke saath lad le ya jo chaho swarg chahte ho mar ke to jo chaho dwaand yuddh lad lo.

jab aisa Jarasandh ne kaha bhagwan shri Krishna chandra jo shri Krishna chandra ji ka vai swabhavic nahi hai par kans ke marne ke karan Jarasandh bhagwan ko apna shatru manta hai aur bhagwan ka avatar bhi aise mahabali duston ko paramdhaam dene ke liye hai. Bhagwan shri Krishna ne kaha raja tumhara utsah kisse ladne mein hoga? Hamse Vasudev Bhimsen ya arjun se? Bolo kiske saath yuddh karoge aur mar karke swarg jane ki ichchha rakhoge. Swastivachan kara lo. Brahmano se aur jiske saath chaho teen mein yuddh kar lo aur pakka samjho mar karke swarg jaoge.

Jarasandh ne shri Krishna se kaha tum koi yodha ho yuddh chhod ke bhag gaye 18vin bar tumhare ladna matlab apman karvana hai nahi ladunga tumse tum hamare samne yodha nahi ho arjun to bachchha hai abhi haan Bhimsen hai agar ye chahte hain ki dwaand yuddh mein swarg ki prapti inko ho to main tayyar hoon Jarasandh ne brahmano se kaha swasti vachan karo kyonki adesh hua inka ki swasti vachan to karo swasti vachan mukut utar karke rakh diya. Kesh paas banda bhan bali taal thok karke khada ho gaya.

us samay Bhimsen se kaha bhim aao mujhse yuddh karo. Main samjhta hoon ki tum mahan bali shreshth purush ho. Yadi kahin main har bhi gaya to mera apyash nahi hoga kyonki tum jaise mahabali se ladunga. Aur Jarasandh ne bhim ki or kadam badhaya. Bhimsen ne kaha ki prabhu yah to aa raha hai abhi. Abhi to baten cheet ho rahi thi. To bhagwan ne kaha swastivachan ham padh de rahe hain. Uska swastivachan brahmin ke hari Om ma swastina indra lapak aa gaye. Hamare liye kya chalo Jarasandh bilkul Bhimsen ke panje ke paas akar pair dhama.

are koi darne wala thodi tha. Sinh ke saman parakrmi utsah bhar ke Bhimsen ki bhuja mein ek chat se mara mano jaise bijli kadki ho aur kaha aao bhagwan ne kaha chalo lad lo Bhimsen ne kaha mariyada hai jhuk kar ke Jarasandh ke age pehle ye mariyada hoti hai Jarasandh ne bhi hath milaya Jarasandh aur bhim ne ek dusre ke charnon ka sparsh karke abhinandan kiya padabhiv vandnam phir ek dusre ko gale se lagaya. Bhai aisa dushmani to bahut priy dushmani. Pehle charan chhue ek dusre ke. Phir gale lagae aur phir baju band ko halka kiya.

thoda dheela karke ghumaya jaise pahlvan log apna aur Bhimsen ne taal thoki. Bhimsen ka ye tha ki agar wo prithvi ka sparsh kar liye to unmein dugna power aa jaata tha. Agar ghutne tek diye aur bhumi ka sparsh hua to unmein dugna jab ye balak the to Duryodhan ne inko marne ke liye khir mein jahr mila diya tha. Ab ye to mano vaishwa nar agni inke pete mein puri vishv ki ho to puri kada haki pa gaye the. Khub jahr milaya gaya tha to behosh ho gaye to inko lataon se bandh karke aur ganga ji mein phenk diya.

yah ganga ji mein doob rahe the. To wahan ek nag inko apne paas mein bandhkar nag lok le gaya. Wahan prichay ki nikal aae. Nag bole ham jante hain maharaj pandu ke putr bhim hai. Accha Duryodhan ne aisa kiya hai. Us ichchhadhari nag to nag lok mein 10 da hazar hathiyon ka bal rakhne wale kundon mein amrit tha. To unse kaha jitne kund pi jao to chhah kund pi gaye. 60 hazar hathiyon ka bal aa gaya. Aram se so jao. To ye tha ki jitni bar ye bhumi mein utni bar inme bal ka Vikram badhega aur jabki bhumi par girne par bal hraas hota hai.

ab donon bhid gaye. Jaise koi balvan garjaj bhide ho aise Jarasandh aur Bhimsen ka yuddh hone laga. Bahu paas charan paas dav pech ek dusre ko pairo se bhishan prhar karna. Lat ka prhar karna, ghase ka prhar karna, purn kumbhk namak dav donon hathon ki anguliyon ko paraspat ga hathon ki hatheliyon se shatru ke sir ko dabana uro hast ka prayog kiya aur chati par ghuse thappad phir ek dusre ko daba ke donon garjan karte bhujao ka prhar karte sinhnad karte ghase thappad ghutne pairo ki mar us samay bhaykar yuddh ab itni pratidwandta ek dusre ko pachhadne ke liye donon mal yuddh ki shiksha mein praveen utha uthakar patakne lage ek dusre ko Jarasandh bhim ko bhim

Jarasandh ko prishthabhang namak dav ek dusre ki pith ko dharti se laga dene ki cheshta karna donon bhujao se sampurn murcha arthat murchhit karne ke liye prhar karna ichchha anusaar jaise rassi bati jati hai aise bhujao ko aithna pair ko aithna mal yuddh dekhne ke liye purwasi brahmin kshatriya vaishy sab ekatrit ho gaye paraspat itna aghat ki log wo chat chat shabd marne ka aisa tha ki log kano mein anguliyan rakh lete itni jor ka awaz hota ab samarbhumi mein donon tarjana kar rahe garjan kar rahe lad

rahe hain aur jab sham hoti to donon hath milakar ke phir mahal mein sari vyvastha bhojan khao piyo anand se pair dabwao samay se phir subah hoti to hath milakar phir kushti sham tak sham tak ghanta ghanta wali kushti nahi thi Kartik mas ke pehle din se shuru hua tha donon ka yuddh din mein koi khana pina nahi aur age chalkar ke itna avesh badha ki raat mein vishram khatm ab raat din yuddh 28 din pura yuddh jo hai 28 din ho raha magadh nare Jarasandh thak gaya Bhimsen bhagwan ki kripa aur bachpan se wo vardani mahapurush Jarasandh thak gaya bhagwan shri Krishna ne ishara kiya bhayanak karm karne wale Bhimsen ko thak gaya hai kyonki iski halat bata rahi hai aur pida do jab shatru thak jae to use aur pida dena chahiye aur pida do.

yadi adhik pida di jaegi to ye shithil ho jaega. Phir iske pran vash mein kar sakte ho. Jarasandh ko adhik pida do. Bhuja paas mein bandho. Bhagwan shri Krishna ke aisa kahne par Bhimsen ne Jarasandh ko thaka hua dekhkar ke utsah sampann hokar vadh karne ka vichar kiya. Briddhar mahabali pawan putr shri Bhimsen ji ne bhari krodh dharan kiya. Jarasandh ke langot ko pakar kar ke uthaya aur patak diya. Bhimsen ne dekha phir uth ke khada ho gaya. Bhagwan ki taraf dekha itni jor patakne par to ye mar jana chahiye. Bhagwan shri Krishna ka prayas karo.

tum apne sarwotkrishta daivi swaroop ka chintan karo. Jante ho tum vayu putr ho. Hanuman ji ke chhote bhrata utha phir patak isko jor se bhagwan bhi isiliye ki yah rah na jae bhim ke ki hamare thoda bal rah gaya tha khoti buddhi wala maharathi Jarasandh tumhare hathon mara ja sakta hai ye baat maine akashvani se suni hai samay aa raha hai jis samay Balram ji ne Mathura mein isko marne ki koshish ki to akashvani hui thi nahi tumhare hath se nahi mara jana chahiye kyonki iski mrityu Bhimsen ke hath se likhi hui hai.

isliye Balram bhaiya ne jivit chhod diya tha. Mahabali bhim [gala saaf karne ki aawaz] tumhare dwara hi iski mrityu hai. Vayu devta ka chintan karo aur magadhraj ko mar dalo. Mahabali Bhimsen bhagwan vayudev ka chintan kiya. Jarasandh ko uthaya aur akash mein aise ghumaya. Akash mein uthaya utha ke patak diya aur gardan mein ghutna rakha. Phir wah khada ho gaya. Bahut prayas kiya lekin phir bhagwan se ishare se kaha nas nas tut gayi bar-bar utha utha ke patakne mein kahin hamko na patak de mar hi nahi raha hai ye to utha ke ghuma ke patka gardan mein tyuna rakha ghutne rakhe dabaya kuch nahi hua phir uth ke bhagwan shri Krishna ne dekha Bhimsen ne ishare se kaha hamare bas ki baat nahi rah gayi ye itna sunna chahte hain ki jeev ko kahin ahankaar na rah jae ki ham to apne bal se mara hai.

yah anubhav hona chahiye ki mere mein bal nahi. Yah bhagwat bal se mara gaya. Bhimsen ne bhagwan se kaha ki prabhu ab hamare mein bal nahi rah gaya hai. Aur yah nischit hai ki aise yuddh raha to ho sakta hai ki ye hamara hi ahit na kar de kyonki mar hi nahi raha. Bhagwan ne ishara kiya ek bar phir prayas karo. Bhimsen ne phir uthaya phir ghumaya aur patak diya. Bhagwan ne Bhimsen ki taraf dekha ek narkat uthaya tika aise cheer karke phenk diya Bhimsen samjh gaye ki ghutnan se nahi marega ye gala dabane se nahi marega ye marne se nahi marega cheerne se marega Bhimsen ne uthaya 100 bar ghuma kar dharti par patka aur pith ki taraf ulta usko daba karke maroda ji marodi iske baad ek hath se ek pair pakda dusre pair par apna dusra pair rakha.

mahabali Bhimsen ne use cheer diya. Donon tukde phenk diye. Jab ye fenke so phir jud gaye. Bhimsen ne kaha prabhu ab hamen marna nischit hai. Are do tukde karne par bhi ye jivit hai. Kyonki aise sam fenka to je sam fenka to jara raaksasi ne kaha tha jio jio jud gaya tha. To aise hi wo jud gaya apne aap. Donon tukde phir jud gaye. Ab Jarasandh ne bhim ko uthakar ke patka. Bhimsen aur Jarasandh ka bada romanchkari yuddh. Bhagwan ne Bhimsen ki taraf dekha. Bhimsen ne kaha prabhu ye marega hi nahi. Ye to amar hai.

jab faad diya aur phir jivit ho gaya. Bhagwan ne ishara kiya nahi marega ruko. Ek narkat liya cheera aur aise fenka. Bhimsen ne kaha yah bhi karke dekh lete hain. Bhimsen samjh gaye aur uthakar patka patak karke pair se phir faad karke ulta phenk diya. Jaise sidha fenka tha to jud gaye. Ulta fenka aise donon tukde viparit disha mein gire. Iske baad wo nahi jude. Ab to Bhimsen garjan karne lage. Rajan Jarasandh ka sharir do mans ka lochda ho gaya. Ek pair ek aankh aise beech se aise do bhagon mein vidhiyon ne padha tha.

pandu Bhimsen bar-bar bhuja thok kar jaise vijay yodha garjan karta hai. Tharra gaya pura magadh naresh ka rajya. Ab kya hoga? Jab Jarasandh mara gaya. Ab kya hoga? Bhimsen ki garjan se samasth prani bhay aur jab cheera ja raha tha Jarasandh to uska cheekar donon se bhayabhit ho gaye. Samasth prani yahan tak ki nagar nivasi tharthar kanpne lage. Bhimsen ki garjan sunkar magadh ke bhayabhit log sochne lage ki ab sabka nash kar dega yah mahabali. Shatruo ka daman karne wale tino veer rajabhwan ke dwaar par Jarasandh ke sharir ko chhoda.

Bhimsen arjun aur bhagwan shri Krishna sabse pehle pucha kahan girivraj hai? Aur 20,000 raja jo kaid hai wah kahan hai? Ab wahan to sab hath jod ke baat karne wale jab raja mara gaya bhagwan wahan gaye aur un rajaon ko chhudaya jo bhagwan shri Krishna ki bat jo rahe the 20800 raja nikle. Jab bhagwan ne us pahadi mein jo gufa thi jail kaidkhana to 20,800 dut ne to bataya tha 20,000 lekin 800 aur nikle tab tak 800 aur bandi bana liye the. Bhagwan ne sabko nikala sabke sharir maile kuchle sab gande wahi gufa mein hi sab to bahut durgati thi.

sharir vastr sab maile kuchle gande bhookh se durbal pyas se muhn sukh raha tha. Na pani ki vyvastha na bhookh ki vyvastha na shauch laghu shanka ki vyvastha ek ek ang bada hi kurup aur kasht yukt ho gaya tha bhagwan ne sabka snaan karana naye vastr pahnana abhushan dharan karvana adesh kiya ab wahan to jo adesh hoga wahi hoga sabko reshmi vastr pahnae sabko mukut dharan karvaaye snaan aadi karwane ke baad sabne jab dekha samne ki jin shri Krishna ki kripa se hamare pran bache hamara jeevan bacha char bhujaye shankh chakra gada padm dharan kiye hue Pitambar dharan kiye hue chati par Shri vats ka chinh kaustubh mani komal ratnare netr sundar vadan prasannata ka sadan kano mein makrakrit kundal jhilmila rahe sundar mukut motiyon ke har kade kardhni bajuband apne apne sthan mein shobha pa rahe hain.

rajaon ne bhagwan ko aise dekha jaise pyase ko pani mil jae, bhukhe ko bhojan mil jae, pran ja rahe ho aur pran bach jae. Aisa lag raha tha mano netron se pi jaenge, jibh se chat jaenge, nasika se sungh rahe, baghon se aalingan kar rahe hain. Sare paap tap un rajaon ke nasht ho gaye. Bhagwan shri Krishna ke darshan karke bhagwan shri Krishna ke charnon mein sab 20800 raja sashtang dandvat kiye aur bhagwan se hath jodkar stuti karne lage namaste dev dev prapna harav prapna pahan Krishna niran gh sanskrite sharngat ke sare dukh aur bhair lene wale dev deveshwar he sacchidanand swaroop avinashi shri Krishna ham aapko namaskaar karte hain.

aapne Jarasandh ke karagar se to hamen chhuda hi diya. Ab is janm mrityu rup ghor sansaar chakra se bhi chhuda dijiye. Prabhu main ub gaya hoon. Bada dukhmay sansaar hai. Ab main aapki sharan mein aaya hoon. Prabhu ab aap hamari raksha kijiye. Madhusudhan he hamare Swami shri Krishna ab hamen dikhayee de raha hai ki Jarasandh ne badi kripa ki. Bhagwan bada anugrah kiya kyonki mujhe rajya lakshmi se chit kar diya to aaj mujhe pata chala. Kyonki raja hone ka jab ahankaar tha to main sache sukh ko janta nahi tha. Jarasandh ne kripa kari aur mujhe rajya chit kiya, bandi bana liya.

to aaj mujhe pata chala ki sacha sukh kya hai? Aapka sakshatkar bhagwat prapti sacha sukh hai. Bhagwan ham log dhan sampatti ke nashe mein choor hokar andhe ho rahe the. Is prithvi ke hi aishwarya ko sab sukh man rahe the. Sacchidanand shri Krishna kal ki gati badi gahan hai. Wah itna balvan hai ki kisi ke tale tal nahi sakta. Kyon na ho wah aapka sharir hi hai. Prabhu ham log Shri hin nirdhan bahut hi dukhi avastha ko prapt ho gaye the. Aaj ham mukt ho gaye aapke charnon ki kripa se prabhu aapki apaar kripa hui.

krishnay Vasudevay harey Paramatmane pranat klesh nasay Govindai namo namah he shri Krishna he Vasudev he hari he paramatma he Govind ham bar-bar aapko pranam karte hain kyonki pranam karne wale ke samasth kleshon ka nash keval pranam karne se aap pranat klesh nasay pranam karne walon ke klesh ka nash karne wale he shri Krishna he Vasudev he hari he paramatma he Govind ham bar-bar aapke charnon mein namaskaar karte hain. Jab naraptiyon ne aisi bhagwan ki stuti ki to bhagwan shri Krishna ne kaha rajaon tum logon ne jaisi ichchha prakt ki uske anusaar aaj se mujh mein tum sabki nischay sudridh bhakti hogi.

kitna badhiya bhagwan ne vardan diya aur yah gyan tumko ho jaega ki main sabka atma hoon. Sabka Swami hoon. Tum logon ne jo nischay kiya sachmuch tumhare liye bade saubhagya aur anand ki baat hai. Tum logon ne mujhse jo kuch kaha wah bilkul theek hai. Kyonki main dekhta hoon dhan sampatti aur aishwarya ke mad se choor hokar bahut log uchh sankalp mat wale ho jaate hain. Jaise shastrav arjun ven Ravan narkasur aadi aadi bade-bade tum log ye samjh lo ki sharir aur sharir ke sambandhi paida hue hain isliye marenge.

bhagwan kah rahe yah janm liye hain isliye inka nash avashya hoga. Sharir aur sharir sambandhi ka. Atah asakti mat karo kisi se kyonki marna hai yahan. Badi savdhani se man aur indriyon ko mere mein laga do aur samaj seva praja seva yagya aadi ke dwara meri aradhna karo. Tum log apni vansh parampara raksha ke liye bhog ke liye nahi santan utpann karo aur praarabdh ke anusaar janm mrityu sukh dukh labh hani jo kuch prapt ho saman bhav se mera prasad samjhkar sevan karo aur apna chitt mujh mein lagao jao tumhara anandmay jeevan vyatit ho bhagwan shri Krishna chandra ji ne jab aisa updesh kiya usi samay jarasundh ke putr putr sahdev ji apne mantriyon ke saath dar se kampte hue bhagwan ki sharan mein aae.

bhagwan ne unko abhay diya. Daro mat. Ye ham rajya nahi lenge. Keval Jarasandh ko mara hai. Rajaon ko mukt kiya hai. Is samrat pad ke adhikari tum hi ho. Bhagwan ne adesh karwaya. Sabka snaan chandan aadi se shringar rajaon ka sabko bhojan karaya. Bandi rajaon ko sammant kiya aur sabko raat ghode hathiyon par yatha yog baithalkar kaha apne apne desh ko jao aur maharaj yudhishthir rajasva yagya kar rahe hain. Sab rajasva yagya mein upasthit ho aur bhagwan ne phir sahdev ka rajya abhishek kiya Jarasandh ke simhasaan par.

unhin ke putr sahdev ko virajman kiya. Is prakaar bhagwan shri Krishna sampann hone ja raha hai. Bhagwan shri Krishna Bhimsen se Jarasandh ka vadh karakar arjun ke saath sahdev se pujit hokar Jarasandh ke putr se pujit hokar bahut si swarn rashi ratna rashi lekar indraprastha wapas laut aae aur jakar panch jan shankh bajaya. Maharaj yudhishthir samjh gaye Jarasandh mara gaya. Bahut prasann hue shankh dhvani sunkar ab wo samjh gaye Jarasandh mara gaya matlab rajasva yagya ho gayi Bhimsen arjun aur bhagwan shri Krishna ne raja yudhishthir ki charan vandna ki yudhishthir ne bhagwan shri Krishna ko hriday se lagaya phir anand se baithkar puri charcha ki ki kaise kaise ham wahan gaye kaise Jarasandh ka vadh hua kaise 20800 raja kaid se chhudae aur phir usi ke putr ka rajya abhishek karke ke ham punah aae hain.

ab wah 20800 raja bhi yagya mein aaenge. Sahdev Jarasandh putr bhi bhet lekar yahan aayega. Rajasva yagya pakka. Ab koi vighna nahi. Shesh charcha age shri Radha vallabh lal ki ji

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • ekantik vartalaap evam darshan #1441 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • brahm gyani mahatma apna sharir chhota hai to uska sukshm sharir kahan jaata hai? — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1440 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • diwali par maharaj ji ke amritmay vachan | Diwali Special — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1439 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • ye 9 galtiyan aapki puri sadhna bigad sakti hain — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…