ekantik vartalaap evam darshan #1434
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
siddhartha Agarwal ji Radhehe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji aap kah rahe hain ki khud par sanshay dar stres depression se bahar kaise nikla ja kaun kiska haan khud ko jante hi nahi ho to khud par sanshay kya hai khud khud ko jante ho kya? Khud ko jaan jao to sab sab samasyaen hi khatm ho jae. Aap bhagwan ke swaroop hain. Aap vimurkh hokar ke apne ko manushya sharir mein aasakt kar liye hain. Manushya sharir ki avashyaktaon ki purti karne ke liye ham jab utre bhogon mein to itni avashyaktaen badha li ki aapse un avashyaktaon ki purti kartekarte khud ko bhul ke itni badi galtiya ban gayi ki man malin ho gaya.
ab wahi man overthinking zyada soch mein galat sochon mein jara si baat mein bhi bhay kar baithna jara si baat mein sanshay ho jana ab ye sab dukh ke karan hai bina adhyatma ke is dukh ko to dur kiya nahi ja sakta isliye Bhogeshwar prasakta naam tapat chet sam vyavsayatmika buddhi samadh vidhte jo bhog aur aishwarya mein rat buddhi hai jinka chitt apar it ho gaya hai bhogon mein wo bhagwan ki taraf chalna hi nahi chahte bhagwat prapti karna hi nahi chahte to unko sukh kahan se mile shanti kahan se mile jitna bhog bhog liye ho kisi mein shanti mili kya aur bhog bhog lo kya hai na jeevan vyarth ho jana hai kuch milna to hai nahi agar aaj se sambhalna chaho to naam jap karna shuru kar do satsang sunna shuru karo shastron ka swadhyay karna shuru karo paropkar karna shuru karo abhi shanti mil jaegi.
naam jap mein maharaj ji kya naam ka jap karen? Ab ham to Radha Radha japte hain. Vrindavan vasi hain. Ab aap dekh lo Ram naam priy ho, Krishna naam priy ho, shiv naam priy ho, hari naam priy ho, Ram jo naam wo sab bhagwan ki samarth hai unmein. Hamen to Gurudev ne jo Radha naam diya to Radha Radha Radha Radha naam hamara jeevan hai. Aapse akarshit hokar ke ham patip aapka darshan labh lene aae hain. Naam jap karo adhyatma mein aao. Bina adhyatma mein aae sukh nahi prapt hoga. Bhai ye janm maran ka dukh to bana hi rahega.
jab tak aap apne swaroop ka bodh nahi prapt karte ya bhagwan ki bhakti nahi karte tab tak mangal nahi ho sakta. Baat pakki samjh lo. Chahe arabon rupya bank mein jama kar lo, chahe vishv ki sundriyan bhog lo, chahe vishv ka sab vaibhav ekatrit kar lo, swapna mein bhi shanti nahi mil sakti. Shanti tabhi milegi jab paramatma bodh ho ya bhagwan ke charnon ki bhakti ho. Do mein ek to hona hi chahiye. To naam jap karo, bhagwan ki aradhna karo. Char roti mein se ek roti dusron ko dene ki koshish karo. Paropkar karo tab mangal hoga.
par ji aajkal overthinking bahut zyada badh gaya hai kyonki jab sat chintan nahi to asat chintan hi to hoga man phasa ke tumhen dand nahi dega tum manmani aacharan kar rahe ho to dekho kitna paap kiya us paap ka kya prayashchit kiya to inko jalega nahi aur kya karega inhone koi tapasya ki koi sadhna ki koi tirth yatan kiya koi dharm karya kiya koi bhajan kiya lekin manmani aacharan sab hote rahe sabse ho rahe hain sabse ho rahe hain ham kah rahe imandari se isi janm ke agar aap apne papon ka chintan karen aur unka dand mile to aap socho kitna bhari dand milega.
ek galti khul jati hai na ek galti to aajeevan karavass milta hai aur na jane kitne hamse paap aise hue hain to kya wo karm hamko dand nahi denge wo karm dand denge kyonki un karm ke vinash ke liye aapne koi sadhna ki koi anusthan kiya koi bhajan kiya koi to sadhan bhajan kiya nahi isliye aap shuru kar do naam jap karna maharaj ji itna zyada chinta badh jaata hai ki vyarth ka chintan maharaj ji kal ek mile the wo kah rahe the ki abhi kuch nahi karte kah rahe main bahut badi company kholunga phir usmen karodon rupaye aaenge agar ek karod bhi bank mein jama ho gaya to uska 70000 byaj aayega aur ek mahine se bahut badhiya hoga.
phir ismen chinta ho rahi thi. Phir usmen kah rahe ki yar bade akaunt ho jaate hain to sarkar ki nazar ho jati hai. Phir sarkar ki nazar ho gayi to mera mera bank jamp japta ho gaya to phir main matlab wo vyarth ki chinta matlab aa gaya aa gaya. Ek the. Holi ki jaise katal hai. Unka ek ek bhens launga. Uska doodh nikalunga. Phir uska ghee banaunga. Aur jab ghada ghee ka bhar jaega to use bazar mein bechunga aur bazar mein bechunga to aise kai ghade ho jaenge aur aise kai ghade jab bazar mein ghee ka bechunga to khub rupya milega aur jab rupya milega to dulhan badhiya milegi dulhan milegi to teen char bachchhe honge aur jab bachchhe honge hamara karya nahi manenge to ham kahenge ham akar nahi mante itne mein wo unka to unke ghee ka ghada rakha tha wo bhi foot gaya ab bachchhe bhi nahi patli bhi nahi aur disturb isi mein tension ho gaya ki bank bhi ho
gaya maharaj ji ye manorajya hai isi mein to sabko fansa hai sansaar ko yahi manorajya hi to fansa hai isi se hata ke bhagwan ke chintan mein lagana chahiye bhagwan ka naam jap karna chahiye naam jap nahi karoge to isi mein fansa hai itna bank balance ho gaya aur itna ho jae to itna ho jae aisa ho jae vai isi mein fansa aur itna sote sote mar jaata hai hota kuch nahi mar gaya jo manushya jeevan itna kimti mila mila tha bhagwat prapti ke liye brahm bodh ke liye wah bhi hath se nikal gaya suar kutta pashu pakshi
nana prakaar ki yoniyon mein use jana hota hai naam jap karo satsang suno shastron ka swadhyay karo tabhi buddhi pavitra hogi mohan das ji Radhe-dhe maharaj ji maharaj ji bhajan ko kaise badhaya jae jaise chahte hain hota nahi hai pad mein man lagta hai par naam jap mein nahi lagta maharaj ji pad bhi to bhagwan ki param pavan lilaon se yukt hai par unko gaye to tanmayata purvak gawe. Jaise Swami ji ke khel malu ke jo pad hai na tanmayata purvak gawe. Yah kaun baat jo ab hi aur ab hi aur ab hi aur ekant kisi lata ke niche baith jao aur uchh swar se gaan karte hue aur us pad ki bhavna mein dubo.
jaise pyari ji ke liye kah rahe na yah kaun baat jo pyari jo abhi aur aapka mukharvind abhi aur aapka mukharvind abhi aur aapka mukharvind pache na suni ab hoon age hoon na hoe hai ye gati adbhut rup ki aur ki aur pache na suni na bahu na age hi hoga he pyari ji aapka jaise ek pad mein kahte hain pyari jo jab dekho tero mukh tab tab nayo nayo lagat ab usi rup ki bhavna karen pyari ji ke rup ki bhavna to ye pad sidhe nikunj ras mein dube hain sidhe Priya pritam ke prem ras mein dubate hain to aisa nahi ki agar ham mantr jap nahi kar rahe naam jap nahi kar rahe pad gayan kar rahe to bhajan nahi hai.
nahi yahi rasikon ka bhajan hai. Pad gayan karte hue shyama pyari kunj bihari mein doob gaye. Raat din inheen pado ko gungunao aur kuch na karo to dekho nikunj ras mein pravesh ho jaega. Pyari ji ki seva ka adhikar prapt ho jaega. Kyonki yah pad sarv samarth priyal ki rasmei leela jo yogendron muniddon ke liye durlabh hai jo brahm Rudra sukh narad Bhishma mukhya lalakshito sahsa purushas tas sad vashikaran churn anant shaktim tam Radhika kishori jo aise anant bramhandon ke Swami shri lal ji ko apne prem ke adhin kiye hue hain aur us prem adhinta ka bhav pado mein gaya gaya hai to jab ham pad gayan karte hain to pyari ju pyare ju ko sukh milta hai aur pyari ju pyare jo hamen apni seva mein le lete hain to pad ko
nyoon bhav se na dekhen ki ham mantr jap kar nahi pa rahe to pad gayan kar rahe to isse pata nahi kya hoga ki nahi hoga hamari chaturasi ji ke pad phal stuti mein likha hai chaurasi Harivansh krit padhe sune nishbhor chhut chaurasi bhramte nirkhay jugal kishor nirkhay jugal kishor bhor arun na jane piye rup ras mat bhyo kachu manah nane prem lakshna bhakti hoy hi anandkari aur Vrindavan vas sakhi sukh ke adhikari kunj mahal ki tahal sukh dampati sampatti pai hai jaise rup lal hit priti so jo chaurasi gai keval gayan ka phal hai kunj mahal ki tahal su da chhut chaurasi bhramte nirakh jugal kishor priyal ki leela tav katha mritam tapt jeevanam bhagwan ki jo charcha hai wo to wahi anand dene wali phir to priyal ka prem ras hai yah to aur adbhut gadh ras hai jo yogendhr munindron ke liye bhi durlabh ras hai ji shri Harivansh maharaj ji maharaj ji do sal pehle aapse judne ke baad bhajan marg ko jana aur bhagwat prapti ke marg par aapki agyaa anusaar chalne ka purn prayas kar rahi hoon.
sab kuch theek chal raha tha parantu kuch samay pehle pati ka dharm virudh aacharan ke bare mein janne ke pashat hriday bahut vikal hua aur nirantar chintan usi vishay ka hone laga jiske karan dainik dincharya to dur gambhir overthinking depression ke lakshan aa gaye. Main isse ubhar pane mein purn asmarthta ka anubhav kar rahi hoon. Mera chintan bhagwan se hatkar nirantar is baat par sthit ho gaya. Maharaj ji kya ye antim gati mein badha utpann karega? Bahut badi badha bahut badi badha ho jaegi. Koi kisi ka pati nahi hai.
koi kisi ki patni nahi hai. Koi kisi ka putr nahi. Agar apne dharm se koi chalta hai to ham dharm palan ke liye uska sahyog karte hain. Aur adharm se chalta hai to andar se sambandh hata den. Nahi to mamta se hi to nash hota hai. Aur bhagwan kahte sabki mamta tag batori mam pad man hi bandh bar dori. Ab man lo pati durachaar mein sthit ho jae to tumhari buddhi isi baat se vikal ho jaegi ki hamen chhod diya. Hamara sambandh shithil ho gaya. Wo dusre se sambandh kar raha hai. Ab aapka jo sambandh bhagwan ka tha us par dhyan hi nahi de rahe ki bhagwan ne ham par kripa ki.
chalo pind chhuta. Wo sansaar ke bhogon ke liye dusre ko varan kar raha hai. Mujhe bhagwan sanyam se rakhkar apni taraf ghasit rahe hain to anand aa jae. Abhi anand aa jae ki chodo tumhen to chodna hi tha. Aaj nahi to kal chhod dete hamen kyonki kaun mere saath jaata aaj hamen chhod diya to meri samjh mein aa gaya ki koi mujhe pyar nahi karta. Pyar karne wale ek bhagwan hain. Chalo accha hua ki tumne sahi aeena hamen dikha diya ki koi mera nahi hai. Agar yah sadbhav lao to abhi bhajan aur badh jae ki he bhagwan ab to aapke siva koi hai nahi.
aur jab pati priyata jagrit hogi to ye hoga ki dekho ye hamko chhodkar dusre ki taraf to phir sari buddhi udhar hi chali jaegi aur rag dves mein phaskar yah janm barbad ho jaega aur kuch nahi. Jiska patni mein rag hai usko agla janm stri ka milega. Jiska purush mein rag hai to jahan rag hai wahi janm to kahe ko janm ham bhagwan ki taraf badhe ki prapanch ki taraf badhe aur koi kisi ka nahi hai. Bilkul sachchi samjho bogi purushan ko kabhi kisi se pyar nahi hota. Keval bhog se pyar hota hai. Usse achchhi usko tisri mil jae to tisri se pyar karega.
chauthi mil jae to chauthi se pyar. Usko kisi se pyar nahi. Usko apne indriy bhog se pyar hai to aise logon se kya pyar karen? Pati rup mein ho theek hai. Bhagwan ne aapko hamara sathi banaya tha. Ab aap bhtak rahe ho to ham kya kar sakte hain? Aap bhatkie. Ham to satmarg mein chalenge. Bilkul shant hokar bhagwan ko apna pritam mankar naam jap karte hue chalie. Dukhi mat hoiye. Agar dukhi hogi to phir kai gande raste nikal jaate hain. Man kahega accha tum ja rahe ho galat to phir ab ham bhi galat ho rahe hain.
maharaj ji shri Krishna to param prem hai na yani ki unka prem to kabhi mitne wala nahi to aap mujhe wo de dijiye. Kya pata main unke baad isko bhul jaoongi. Mujhe shri Krishna de dijiye aap. Haan bas unhin ki sharan mein raho. Bhagwan se yahi prarthna ekant mein karo rokar to bade kripalu hain. Wahan wo bahut karuna karte hain. Mere andar bilkul peshens nahi bacha. Mere ko shri Krishna chahiye. Ab agar wo nahi milenge to mujhe kaun prem? Haan khub naam jap karo. Khub naam jap karo. Bhagwan badi kripa karte hain.
sahi mano. Bhagwan badi kripa karte hain. Aisi badi kripa hoti hai jisse jeev ka sab rag nasht hokar bhagwan ki taraf hamari ek gati ho jati hai. Isliye chinta na karo. Yah bhi bhagwan ki kripa mano. Vaibhav ji balaghat Radha shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji bhagwan shri Krishna ji gita ji mein kahte hain ki sat bhi main hoon aur asat bhi main hoon aur na main sat hoon na main asat hoon. Maharaj ji in donon bhav kaise samjhe maharaj ji in donon baton ko? Pahli baat to hai jab tak bhagwan ka bhajan nahi karoge buddhi shuddh nahi hogi tab tak bhagwan ki baat ko samjhna bada kathin hai.
bhagwan kahte hain main satya hoon aur main bhi asat hoon. To asat kya hai? Aur satya kya hai? Jo aap yah dekh rahe ho yah sab asat hai. Ismen jo dikhayee nahi de raha hai wah satya hai. Jo dikhayee nahi de raha wah kaun hai? Wo ishwar ka ansh paramatma ansh paramatma swaroop sat hai. Wo drishti se kahan dikhayee de raha hai? Aur jitna drishti se dikhayee de raha hai. Gochar jahan lag man jai so sab maya jano bhai. Jahan tak hamari drishti jae, jahan tak hamari indriyan jae, jahan tak hamara man jae, wo sab maya hai. Jahan man ka pravesh nahi hai, wo sat hai, wah apna swaroop hai.
jo antahkaran ko badhit karke apne swaroop ko pehchan leta hai. Wo bhagwat swaroop ho jaata hai. To bhagwan sat swaroop hai. To phir yah kya hai? Bole yah asat hai. To yah bhi to bhagwan hai. Jaise sona jab gahna nahi bana tha tab sona tha. Jab gahna bigad jaega to bhi sona rahega. To beech mein kya hai? Sona hi to hai. Jab yah manushya sharir tumhen nahi mila tha tab tum paramatma swaroop the. Jab yah nahi rah jaega tab tum paramatma swaroop ho jaoge. To beech mein kaun hai? Paramatma swaroop hi to hai. To yah jo srishti prakt hui wah swayam paramatma hi bana.
koi aur nahi bana. Wahi panchbhut bana, wahi indriyan bana, wahi man bana, wahi pura jagat ban gaya. Vasna vasudevasya vasitam bhatram sarvabhut nivasosma Vasudev namostute wo Vasudev bhagwan apni hi ichchha se apne aap ko is sansaar ke rup mein prakt kar liya. To jab bodh hota hai to hota hai vasudeva shamit samatma su durlabh sab bhagwan Vasudev pure ke pure itna bhi kuch nahi hai. Keval bhagwan hi bhagwan hain. Baat samjh mein ai? To pehle siddhant hai brahm satyam jagan mithya. Pehle ham brahm ko satya man karke jagat ko mithya jaan ke iska tyag karte hain.
jab jagat ka tyag hokar brahm swaroop mein sthit hote hain to sarvam khalmidam brahm sab brahm hi hai. Ab jo bhagwan ne kaha main sat aur asat donon se pare hoon. Jaise hamara yah sharir asat hai. Yah bhagwan nahi hai. Hamara jo swaroop hai bhagwan ka ansh hai. Purush lekin Purushottam usse bhi pare hai. Ham itna hi jaan liya to sab kuch nahi jaan liya. Ved neti neti kahte hain. Isliye sat bhi hai, wah asat bhi hai. Wah sat asat donon se pare bhi hai. To bhagwan ka swaroop ye jitne bhi aap dekh rahe ho pure ke pure bhagwan ke swaroop hain.
par kahan bhagwan hai? Jab tak hamen gyan nahi hoga tab tak hamen anubhav mein nahi aayega. Wah asat bhi hai, wah satya bhi hai, na wah sat hai, na wah asat hai, wah kya hai? Aaj tak purn rup se koi nahi varnan kar paya. Ved bhi neti neti karke varnan karte hain. To isiliye sant mahatma jan anubhav kar lete hain. Anubhav karke unhin mein leen ho jaate hain. Jaise samudra ki tarang samudra hi hai. Vayu vikar hone ke karan tarang naam para. Jahan vayu vikar hata to samudra mein leen ho gaye. Samudra se karodon tarang utpann hote hain.
lekin ek tarang kya samudra utpann kar sakti hai kya? Nahi kar sakte na. Aise hi ham karodon ansh rup mein bhagwan ke hain. Lekin bhagwan to samudra hai. Ham jaisi trange bhagwan rupi samudra mein karodon asankhyo arabon ananton prakt hoti hain. Lekin ek tarang ki takat nahi ki samudra prakt kar de. Vayu hata wo samudra rup ho gaya. To maya ka vikar hone ke karan ham brahm se bilag apne ko mankar stri purush jad chaitanya bhed dekh rahe hain. Aur jab maya ka vikar hata to sab lahren samudra hi hai.
wo shant samudra ho gaya. To paramatma ko janna purn rup se wo anubhavgamya hai. Anirvchaniyam swarup. Paramatma ka kya swaroop hai? Wo anirvcni hai. Wo satya bhi hai. Wo asat bhi hai. Wo satya aur asat donon se pare bhi hai. Ji tushar khurana ji haridvar se Radhehe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji naam jap ke dauran agar man bhtak raha ho lekin bhakt ka bhav sacha hai to kya bhagwan us jap ka phal dete hain? Usko sweekar karte hain. Bhav sacha na ho to bhi phal prapt hota hai. Hamne kai bar satsang mein bataya ki jaise agni mein dahika shakti hai to ham pyar se chhue, shraddha se chhue to wo jala degi.
ashradha se chhue to jala degi. Bhul se chu jae to jala degi. Kyonki usmen dahika shakti hai. Aise bhagwan ke naam mein paap nashak taran shakti sukh pradan karne wali bhagwan ko adhin karne wali anant shaktiya virajman hai. To isiliye goswami tulsidas ji ne kaha bhav kubhav anakh alashu naam japat mangal dashu bhav se japo ya kubhav se japo shraddha se japo ya ashradha se japo tumhara mangal dason dishaon mein hoga. Prarambh mein sabka man bhajan mein nahi lagta. Bhajan karte karte abhyaas karte karte hamara man bhajan mein lagne lagta hai aur jab man bhajan mein lagne lagta hai to man pavitra ho jaata hai.
jab man pavitra ho jaata hai to use bhagwat anand milta hai. Nirmal jan man so mohe pava. Jahan use bhagwanand mila vishay anand chhut gaya. Vishyon ka anand ka akarshan jahan chhuta bhagwat anand mila ta jeevan muktata ki taraf badh jaata hai. Wo bhagwat prapti ki taraf badh jaata hai. Isliye kisi bhi sadhak ko ubna nahi chahiye. Uktahat nahi honi chahiye. Jaldeebaji nahi honi chahiye. Dhairya purvak khub naam jap karen aur man se ladta rahe. Man galat sankalp karega. Galat jagah le jana chahega. Galat kriyaen karana chahega, galat drishya dekhna chahega.
to hamko bahut savdhaan rahna hai. Sabse zyada sadhak ko savdhani ekant mein rakhni hai. Jab wah akela ho, ekant leta ho, baitha ho, us samay usko bahut savdhaan rahna hai. Ekant pakar adh kachre yogi ke upar man apna havi hota hai aur havi hokar usse galat chintan karata hai. Galat drishya dikhane ki cheshta karta hai. Ab jaise mobile hai, ekant mein hai aap bahut aap naam jap kar rahe hain. Aur lekin wo man aapko zabardasti mobile khulwaega aur galat drishya dekhne ke liye vivash karega. Galat sankalp karega. Galat kriyaen karne ke liye vivash karega.
jis sadhak ka ekant pavitra hai, wah sadhak ka jeevan pavitra hai. Samaj mein to sab hosh mein rahte hain. Hamara jo hosh udata hai man wo ekant mein hota hai. Ekant mein man havi hokar apni manmani karana chahta hai. Isliye uski ek bhi baat na mane. Ekant mein bahut savdhaan hona chahiye. Jab akele kamre mein baithe ho ya sahay karne ja rahe ho us samay bahut savdhani ki zaroorat hai ki man ham par havi hokar koi galat kriya na kara le koi galat drishya na dikha de koi galat sankalp na bana de koi galat manorajya mein na le jae agar ham aisi savdhani rakenge to naam dhire-dhire khud anubhav karane lagega ki hamko kitna anand prapt hota hai.
ji surjeet sinh ji maharaj ji man ko santushti kaise milti hai paramatma ki prapti ke baad anytha nahi tab lag kushal na jeev ko sapne man vishram jab lag bhajat na Ram ko shok dham taj kam aapki kitni avastha sharir ki hai 48 varsh mein kaun sa aisa bhog hai jo aapne bhoga nahi vichar karke dekho to kya man man shant ho gaya kya man santusht hai to jab tak bhagwan ki prapti nahi hogi tab tak yah santusht nahi hoga tab lag kushal na jeev ko sapne man vishram jab lag bhajat na Ram ko shok dham taj kam jab tak kamnao ka tyag karke bhagwan ka bhajan nahi hoga tab tak man ye shant nahi hoga chahe ise duniya ke bhog de do ek aadmi ko sab vaibhav bhog samgri mil jae aur bhagwan se vimurkh ho to kabhi shanti nahi mil sakti aur kuch na ho aur bhagwan ka bharosa ho santosh ho naam jap ho are wo chain se aram se so jaega use tablet nahi khana padega use nind ka tablet nahi khana padega wo chode mein so jaega bhagwan ka bharosa ho hriday mein santosh ho naam jap chal raha ho isse badhiya jeevan kya hai ab sabke hriday
mein asantosh hai sab bhagwan se vimurkh hone ki wali kriyaen kar rahe hain to kahan se man santusht hoga? Kahan se man shant hoga? Shant to shant swaroop bhagwan hai. Shakarkaram aur ascharya ki baat hai. Bhujag shayanam saanp ki saiya par shayan kar rahe hain. Shant hai. Saanp ko dekhkar ashanti ho jaegi aur sheshnag par shayan karte hain. Shakarkaram bhujag shayanam. To bhagwan yah dikhate hain ki bhari pratikultaa mein bhi shanti tabhi aa sakti hai jab tum hamara chintan karoge. Bhagwan ka chintan karo to shanti man ko mile. Bhagwan ka bhajan karo.
bure acharno ka tyag karo to phir anand ki anubhuti ho. Tab bhagwan ki taraf anand mile to man shant hoga. Bina bhagwan ke bhajan ke man shant nahi ho sakta. Chahe lakh upay kar lo, lakh bhog de lo, thodi der raji hoga, phir yah ashant ho jaega. Phir wahi naye-naye bhog mangta hua dekho itna jeevan ho gaya. Ab age ka jeevan jitna bacha hai use bhagwan mein laga lo chahe bhogon mein laga lo. Bhogon mein lagaoge to jeevan vyarth chala jaega. Abhi savdhaan ho jaoge. Ramkrishna hari naam japne lagoge to yah dhan aapka mangal karega.
aapka kalyan karega. Shilpi Yadav ji Radhe-Radhe maharaj Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji aap kah rahe hain aap ek khel kud ke usmen usmen hain 9 sal se gem khel rahe hain gem ke badaulat unki nokri lagi neshnal aur intarneshnal level par khalne ka mouka mila maharaj ji par jab se aapko sunne lage hain tab se khel mein aruci si hone lag gayi hai man bhakti mein zyada lagne lag gaya hai maharaj ji lekin aisa aisa nahi hai aisa nahi hai bhakti ham jis department mein hote hain usi mein sacha banati hai ham ek sache sache khiladi bane.
bhagwan ka naam jap karte hue ham ek sache achhche khiladi bane. Aapke vijay se bharatvasion ko sukh milta hai. Jaise koi apne bharat ka kisi bhi khel mein vijay prapt karta hai to aisa lagta hai mano mujhe hi number mila ho. Mano main hi jita hoon. Har bhartvassi ko lagta hai bharat wala jab vijay ko prapt hota hai. Chahe cricket ho chahe koi bhi khel ho to hamen lagta hai ham hi vijay ko prapt hue. Itne bharatvasion ko sukh milega. Yadi aap jis khel mein ho bahut achhche khiladi bankar naam jap karte hue aur agar vijay ko prapt karen to yah hamari bhakti ka swaroop hoga.
aruci nahi honi chahiye. Agar hamari aruci ho jaegi to phir bhakti ka matlab marg sahi nahi baithega. Kyon? Ab jo jis pad pe usko aruci ho jae. Jo jis kam mein usko aruci ho jae to sab kam hi band ho jaenge. Nahi. Bhakti sahi marg par kadam badhane ki prerna deti hai. Jaise koi paddhikari hai to nirdosh ko chhod dena, doshi ko dand dena aur perfect bilkul ghas na lena, khub naam jap karna, dharm se chalna yah bhakti sikhaati hai. Nahi to chakravarti samrat amrish ji kaise bhajan karte? Mahagyani Janak ji kaise bhajan karte?
vibhishan ji kaise bhajan karte? Ye sab bade-bade chakravarti raja hue. Raja hote hue bhi bhajan kar rahe hain aur apne raj pad ka sanchan kar rahe hain. To hamen lagta hai bachchha apni ruchi ko khel mein rakhiye aur naam jap kijiye. Satsang sunie aur jis khel mein ho us khel ka abhyaas roz kijiye jisse aapka avsar ane par vijay prapt ho. Mahara ji bhakti ke saath khel khalne pe hamen kya labh milega? Matlab jo bhakti karte hue haan to bhakti se bhagwan ki prapti hogi aur khel karne se jagat ke bhog aur yash aur sammaan prapt hoga.
ja jo jagtiik unnati hai wah bhi hogi i parlok sakal sukh pavat meri so bhaiya Krishna gun san is lok mein bhi sukhi rahoge aur parlok mein bhi bhagwat prapti aur anand milega kabhi dwandatmak sthitiyan aa jati hai ki matlab khar mein har mil gayi to usmen koi baat nahi yahi bhakti sikhaati hai sukh dukhe samay krtva labha labho jaya jev yadi ham har gaye hain to hamare abhyaas mein kami hai us samne wale ne abhyaas shreshth kiya hai agli bar ham abhyaas shreshth karenge usko pachhadenge ham udas hokar nirash ho ke nahi baith jaenge.
ham apne abhyaas ko aur badhaenge aur abhyaas badhakar samne wale ko pachad denge. Bal bhi bhakti se milega. Naam se haan naam jap se milega. Bhakti se milega. Aman jeend Haryana se Radhe Radhe-Radhe maharaj ji guru ji yah man sabhi ke samne to indriyon par sanyam ka dikhava karta hai parantu ekant mein theek isse ulta ho jaata hai maharaj ji isse haan waise waise kaha bhi gaya hai jis sadhak ka ekant pavitra hai wahi sadhak hai. Netron ke samne samaj ke samne sab hosh mein rahte hain. Lekin sahi hosh uska mana jaata hai jo ekant mein hosh mein rahta hai.
ekant mein jab man chanchal ho tabhi ham sadhan ka bal prayog karen. Jo bhajan bal hai usi samay to naam jap karen. Ham ekant mein khali na rahe. Jab tak nind na aa jae tab tak hamen khali nahi rahna. Koi granth rakh len jiska ham avlokan karen. Sankhya rakh len jo naam jap kar naam jap karen ya satsang rakh len. Satsang sune. Ham khali baithenge to hamara man turant ekant mein havi ho jaega aur koi na koi hamse paap karm karva baithega ya paap chintan karva baithega. To isliye bahut savdhaan rahna chahiye. Ekant mein mobile rahta hai.
koi gandi baat na dekhen. Ham satsang sune ya shastr swadhyay karen ya naam jap karen aur nind jab aa jaegi to apne aap aa jaegi. Usmen pareshani nahi hai. Nind jo 4 ghante panch ghante leni hai uske alawa hamen savdhaan hokar samay katna hai. Khas samay ekant ka aur jab khas samay sone ja rahe hain us samay to aur bilkul savdhaan hokar bilkul namakar vritti karke jaise apne log sote hain na to sone nahi jaate dhyansth hote hain. Let gaye aur ekdam paramatma mein dhyan ab kab so gaye pata nahi. Phir jab jage to phir usi dhyan mein baith gaye.
pehle sabse pehle bas naam jap to ekant ko sambhalna hoga. Yah aapka hi nahi sabka hai. Ekant sabka ganda ho jaata hai. Yadi chatur sujan sadhak nahi hai to ekant mein gandagi kar hi baithta hai. Aur jiska ekant ganda hai uski sadhna theek nahi hai. Jiska ekant pavitra hai wahi vastvik sant hai. Wahi sadhu hai. Wahi sadhak hai. Wahi mahatma hai. Chahe grihasth ho chahe virakta ho. Ye sadhu sant mahatma grihasth virakta ke liye bhed nahi hai. Ismen grihasth bhi mahatma ho sakta hai. Sthiti hai to mahatma hai. Sthiti nahi hai to vesh se mahatma nahi mana jaata.
sthitiyon se mana jaata hai. To hamen lagta hai ki hamen ekant mein zyada savdhaan rahna chahiye. Kyonki ekant pakar man kachu sadhako ka sache sadhako ka to ekant pate hi wo to ekdam dubega bhagwan mein. Ekant pate hi to bilkul man aise ullasit hokar bhagwan mein dubega ki ek matlab itna ekant priy ho jaata hai ki ghadi ka sel ka jo awaz aati hai na tak tak ab man lo kamra shant hai to abhi aapko ghadi ki awaz sunai degi tak tak tak jaise ab dubne mein wo bhi par to phir usko hatana parta hai ki hatao ekant mein wo bahirmukh bhogon ka chintan ya bahirmukh baten jo kachu sadhak hain abhi jo prathmik sthiti ke sadhak hain unka jo chhalang laga chuke hain adhyatmik unka to ekdam ekant hote aur ekdam shant paramatma mein doob gaya aur jiska abhi vishay ras bhogne ki lalsa bani hui hai usko bahut parast kar deta badi durdasha kar deta hai ekant mein nana prakaar ke kukrit karva deta hai jahan ekant hua to wahan wo havi ho jaata hai isliye us samay bahut savdhaan rahna chahiye yah char baten yad kar len.
naam jap, shastr swadhyay, satsang aur sadwichar inke dwara ham ekant ko vyatit karen. Ekant mein yah jarur lagu karen. Aise odiya Baba ke updesh aise har samay jeevan bhar sirane rakha hai. Jab sone ja rahe hote jahan dekha man chanchal ho raha. Fouran khola do char sutra padhe ekdam chintan mein bas jaise koi bandook rakh ke padhta hai na aise aaspas mala jholi aur granth aaspas bilkul sirahane jara saman bhatka turant granth khola turant jara saman bhatka mala uthaya baith gaye usko rokna hai agar usko rok liya ekant pavitra ho gaya to badhiya pavitra ho gaya ji
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- ekantik vartalaap evam darshan #1442 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- har 5 minute mein Radha bolo, phir dekho chamatkar — pujya pad shri odiya Baba ji maharaj mahapurushon ke vachan swarth aur paramarth donon ko param pavitra kar dete hain. Donon mein pusht kar dete hain. Baba satsang karte hain par bhajan nahi karte. Bhajan…
- ekantik vartalaap evam darshan #1441 — dharmik ji surat se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji grahasti mein rahkar balance bankar chale to phir prabhu milan ki vyakulta kaise badhegi agar nahi to kis tarah se ham prabhu milan ki chah aur virah…
- brahm gyani mahatma apna sharir chhota hai to uska sukshm sharir kahan jaata hai? — Vinayak ji maharashtra se Radhe Radhe Radhe-Radhe maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam maharaj ji jab koi brahm gyani mahatma apna sthul sharir chhota hai to uska sukshm sharir kahan…
- ekantik vartalaap evam darshan #1440 — doctor vidhi ji maharashtra se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam. Maharaj ji sharir aur man donon ek saath chalte hain. Sharir accha hoga, svasth hoga to…
- diwali par maharaj ji ke amritmay vachan | Diwali Special — Maharshi aaj Diwali ka shubh parv hai maharaj ji desh videsh mein aapko bahut log sunne wale hain. Maharaj ji aapke kuch ashi vachan ki aaj kya savdhania rakhen kya karen? Kya na karen maharaj ji…