॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

sadhak ko is ek chiz se har hal mein bachna chahiye

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

yah jo bahari bhajan nahi hota na un logon ko dekhen bada prapanch karte rahte hain. Yah granth wo panth ye unki tang kheenchna unki dadi kheenchna yahi baithe karte rahte hain. Aise logon se bahut dur rahna chahiye. Ham amuk dharmavalabi amuk acharya ke mar dusre ki ninda ye sab kuch nahi. Ye prapanchi log hain. Na ye acharya ke hain na acharya ke swaroop ko jante hain. Acharya ka swaroop kya hai? Vyas nandan [gana gane ki aawaz] jagat adhar sevak jo maharaj jaan rahe hain acharya ka swaroop jagat ka adhar hi hai vyas nandan Harivansh mahaprabhu vyas nandan jagat adhar jagmag jag jas sab jag bandneey jag bhay vihandan jag shobha jag sampada jag jeevan sab jag mandan sab jag mandan ek bar gita ji ki tika mein charcha hui thi ki sansaar ka uljha hua sut hai 250 gram aur sampraday ka uljha hua sut hai man 100 man suljhana mushkil hamen Priya pritam se matlab hai acharya se matlab hai bas duniya se kuch matlab nahi agar ham apne acharya ki vani manenge aur acharya dwara upasna karenge to nikunj pahunch jaenge lathi chalane se nahi pahunch jaenge.

ek acharya ke anuyai dusre acharya ki ninda karen. In donon ko narak milega. Chahe kisi bhi acharya ki ninda karne wale sunne wale in donon ko narak milega. Ye kisi acharya ke nahi. Acharya ke ho to dekho kya kah rahe hain. Jagat ka adhar vyas nandan. Jagat ka mangal hai vyas nandan. Jagat ka udhar karne wale hain vyas nandan. Adhar mangal udhar jag mangal jag uddhan jag nidhi jagat prashans charan sharan sevak sadas jai jai shri Harivansh samjho acharya Vishvambhr sab jag abhas jas varno Harivansh vilas shri Harivansh shri Harivansh viditi vidhi bhedam shri Harivansh jo tatwabhedam kahan samjh mein aa raha hai sab ye jo sampradaywad ladai jhagda prapanch inse bacho ya vrindad bhay samta ye jo khandan mandan karne wale hain inko bhajan se koi matlab nahi koi matlab nahi acharya se koi matlab acharya se matlab hai to acharya ki vani padho acharya kya kah rahe hain ye krura papino nat satam sambhas dash jo krur hai papi hai dekhne yogya chune yogya sambhshan yogya bhi nahi sar vastu daya nireeksh param swadhya buddham mere shri Radha vallabh lal sakshat virajman hai.

ab bolo duston mein papi mein neechon mein bhi bhagwan ka darshan karne wala mahatma kahin vair virodh nahi karta. Kah rahe sakshat aradhya dev Radha vallabh lal hai. Hit jo maharaj kah rahe hamen keval acharya se matlab hai dhyan rakhna aur Priya pritam se matlab hai aur na vad se matlab hai na vivad se matlab hai duniya se matlab nahi dhyan rakhna sampraday ka matlab hai marg aur marg hai chalne walon ke liye khade hokar na dekhne walon ke liye wo bura dekh raha hai aur wo bura kar raha hai donon ka samay barbad ho raha hai bilkul mat fasna sampradaywad mein ham ye aapko isliye suna rahe hain ki aap ise apne man mein dharan karo.

ham nahi hai kisi ke. Ham Radha vallabh lal ji ke hain. Harivansh mahaprabhu ke hain. Harivansh mahaprabhu hamare Radha vallabh lal hamare bas iske age kuch nahi. Padosi kya kah raha hai? Amuk kya kah raha hai? Ye tum suno. Tumhare kano mein abhi jagah hai. Hamare kano ke liye Harivansh mahaprabhu ne kaha shravan phato jo an suno shri Radha jas bain. Ye Harivansh mahaprabhu ko mante hain. Ye Harivansh mahaprabhu ki baten samjh rahe hain. Shravan phuto jo nahi sunna mujhe aisi baten. Ye sansaar kabhi kahin bhi samyak rup se nahi chal sakta.

ye visham hai. Isliye hamen koi matlab nahi. Ham kiske? Hetu jo maharaj ke Priya pritam ke. Ham yahan shri ji ki prapti karne aae aur shri ji ki prapti ke liye shri ji adesh kar rahe hain Harivansh mahaprabhu ke rup mein ki dusht papi nindak sabko pranam karo sab mein mahaprabhu kah rahe hain Radha vallabh lal dekho bas hamen dekhna hai apne Radha vallabh lal sab mein virajman agar koi hamare samne hamare isht guru ki nyoon baat kahta hai to ham wahan chati phula ke is baat mein rahte hain ki he prabhu aap pariksha le lo main apne guru nishtha se acharya nishtha se aur aapki nishtha se kabhi phayl

hone wala nahi karo aap ninda hamen kya matlab ham apni nishtha mein rahenge to bhaya vrindad bhay samta ye jahan sangoshti ho wahan nahi jana chahiye jahan ek dusre ki tang khinchi ja rahi ho nahi jana chahiye wahi Harivansh mahaprabhu hai wahi chaitanya mahaprabhu hai wahi Swami ji maharaj hai wahi bhagwan shankaracharya hai wahi bhagwan bhagwan Vallabhacharya hai wahi narkacharya hai bhagwan kah rahe acharya mama mein jana main acharya rup se aata hoon sevak ji kah rahe jab jab hoe dharm kahan tab tab tan dhar pragat tan jaan

aur dujo nahi ka samjh hai kahan samjh ek bhi vyakti sansaar mein yadi hamara vairi hai to ham Harivansh upasak nahi hai Harivansh naam leen je ajat shatru te sada koi paida hi nahi hua dushman yah hai naam ka pratap isliye hamari prarthna hai shripad Prabuddhanand ji jo kah rahe hain use samjho jahan kahin tang khinchi jane wali baten ho ek dusre ki ninda ho wahan nahi sunna chahiye hamara sampraday kya hai Priya pritam hai hamare sampraday acharya charan hai hamare sampraday bas Harivansh vani aur Harivansh keli yahi hamara ahar vihar hai iske alawa nahi ham kuch nahi jante siddhant se chal rahe ho to aap Harivansh ke ho.

siddhant se nahi chal rahe to tilak kanthi bandhe hue bhi aap Harivansh ke nahi ho. Tilak kanthi lagane se Harivansh ke ho jaoge. Siddhant se chalo. Jo acharya kah rahe hain uske anusaar chalo. Bair virodh khandan mandan ye upasak ke jeevan mein nahi hona. Fursat nahi yar. Agar apne se koi bahari na mile to pata nahi ki aaj ravivar hai ki somwar hai ki kaun sa war hai, kaun si tithi hai, kaun sa nakshatra hai. Koi matlab nahi. Subah se wahi shuru Radha aur vishram Radha, jagrti Radha, swapna Radha, sushupti Radha hamse duniya se matlab nahi.

isiliye to ham bhajan marg mein aae hain ki hamen duniya se matlab na rah jae. Ham kis sampraday ke? Harivansh mahaprabhu ke Priya pritam ke Vrindavan ke bas aur hamko iski baat karo to ham sunenge nahi manenge tum sampraday ke ho ladai jhagda irshya dves rag ye sab kisi bhi aisi sangoshti mein na jae jahan kisi ki bhi ninda hoti ho sab hamare hi prabhu hain sab hamare prabhu hain dusra kaun hai saradhika nav kunjwat saradhika purn rasotsaven hai ham un kishori jo ki upasna karte jo nikunj vati Vrindavan mein pritam ke saath adbhut adbhut sukh varsha karti rahti hai.

are kahan fursat hai kisi se baat karne ki kaun ras bayo jahan bolbo bhari jahan Kabir das ji ke liye keval itni baat kah di hariram vyas ji ne ki Kabir das ji to nirguniya sant hai wo Priya pritam ke vihar ki baat aur unka bhajan band ho gaya aur yahan pura kamar mein phent bandhe ghum rahe hain ek dusre ki ninda karne ke liye pata nahi kaun sampraday ke hain. Hamara bhajan surakshit rahe. Isliye shripad kah rahe hain bhaya vrindad bhay samta ye bhay dene wala hai. Keval kishori ju kishori ju ka nau nivrit nikunj Vrindavan unke premi rasik jan pujya Sadgurudev bhagwan ke yahan Priya pritam ke siva aur dusri charcha nahi hogi.

wahi vani ji aur bas iske baad maun bolna to hai hi nahi. Raat din Priya pritam na kaho so bolbo na koi vihaar apni kunwar kishori ko jayat nihar nihar atho pahar bhajan mein ye sab bhai chahe vishram ghat nahao chahe jugal ghat nahao chahe kesi ghat nahao nahaoge to yamuna ji ab ham kahe jugal ghat shreshth tum kaho kesi ghat shreshth ko kahe vishram ghat shreshth to tumhara man jahan lag gaya ki bhai vishram ghat mein snaan karne se zyada labh milta hai hamen laga jugal ghat mein lekin lekin labh kya mil raha hai?

wo yamuna ji to mil rahi. Aise hi paramanandmay ras swaroop paramatma hi har sampraday ka anand hai. Uska anand lo. Akash itna bada hai to uda lo jitni patang tumhare paas dori hi nahi itni jitna akash bada hai. Par wo apni patang udane ki koshish nahi karega. Wo dusre ki katne ki koshish karega. Yah sansaar ka bada vichitra swaroop hai. Isliye kisi sangoshti mein kisi aise sabha mein nahi jana chahiye jahan kisi ki bhi ninda ho. Acharya aur bhagwan ki upasna ki to baat jane do. Kisi ki bhi ninda ho.

us sabha mein nahi jana chahiye. Bhaiya sevak ji maharaj kah rahe hain trate nich panpo kahat shubh ashubh isliye kah rahe hain bilkul sujha hua jeevan upasak ka chahiye. Chaturasi ji gaenge, sudha nidhi gaenge aur Radha vallabh shri Harivansh gaenge aur pare pare Vrindavan mein apna jeevan bitaenge. Bas hamen duniya se matlab nahi. Bilkul pakki samjh lo. Hriday ki baat kah raha hoon. Agar aapko kabhi kahin phasna na ho to hamari baat pakar lena. Radha vallabh hamare mahaprabhu kya kah rahe hain? Radha vallabh lal ko hriday dhyan mukh naam.

mukh mein naam jap karo maharaj pind nahi chhodenge. Radha vallabh lal ji wo yahi mandir mein baithe hain. Agar is mandir mein na ho na to us mandir mein tumhen dikhayee nahi denge. Jao darshan kar aao. Aur ek bar darshan ka phal hai ki jeev ke anant janmon ke sanskar bhasm ho jae. Kya bhasm hue? Pehle yahan darshan hote hain. Pehle chati mein darshan hote hain. Narayan ya gaur Shyam ko hriday nikunj bas. Sab bahari tabhi sarthak hoga jab antarik aap aoge. Antarmukhta mein aoge. Nahi bahar sarthak nahi hone wala.

ladai, jhagda, irshya, ninda, stuti, sampradaywad in sab se duri bankar sadhak ko keval bhagwat prapti karni hai. Raat din bhajan karo. Kiske ho? Priyal ke. Kisi se batane ki zaroorat nahi. Apne hriday ki baat hai. Hamen kisi se koi sambandh nahi. Na [khansne ki aawaz] kisi ko bulana hai aur na kisi ke bulane par jana hai. Niyam bana le. Kisi ko bulana nahi apne paas. Kisi ko bulane aae hain ham. Radha vallabh lal ko bulane aae wah to aa nahi rahe wah aa nahi rahe to ham kisko bulaye kisi ko nahi kisi ko nahi bulana aur kisi ke yahan nahi jana ham vihaar karne aae ham shri ji ka bhajan karne aae Radha vallabh shri Harivanshi Vrindavan shri mantr upasna naam vani bas isi se param pad ki prapti jo iske alawa utar gaye bhajan se sampraday ka vistar hota hai bhajan se sampraday ke tatv ka anubhav hota hai.

bhajan se sampraday acharya prasann hote hain. Bhajan se isht ka sakshatkar hota hai. Khuli baat hai. Aur bhajan nahi to jhanda uncha rahne se acharya prasann nahi honge. Bhajan nahi to isht dev tumhare netron mein nahi jhalkenge to labh kya milega? Pujypad shri odiya Baba ji maharaj mahapurushon ke vachan vihaar aur paramarth ko pusht karte hain. Jab tak hriday mein kam, krodh, lobh ki spurna hoti rahe to samjhna chahiye abhi paap pura nasht nahi hua. Aur bhajan badao, khub bhajan karo, swadhyay karo, satsang karo.

bhagwadakaar vritti jab hone lage tab janna ki ab hamara bhajan purn ho gaya. Kab? Jab na kamurit ho, na krodhurit ho, na lobhurit ho, na ahankaar keval prabhu ka chintan swabhavic bhagwadakaar vritti tab samjhna chahiye ki ab ham nishpap ho chuke hain. Hamara bhajan paripakva ho gaya hai. Jab tak koi bhi vikar hriday mein purit ho tab tak ye nahi man lena chahiye ki mera bhajan pura ho gaya. Ek prashnta ne ekantik mein prashn kiya kitne mala roz jape ki bhagwat prapti ho jaegi ham kaha hamara vishwas is par nahi hai hamari shraddha mala pe nahi hai hamari shraddha swason ki mala pe hai koi bhi swas aapki khali na jae bhagwat prapti nischit shwasa swasa naam jape duwidha raha na koi swas swas sumiran kare tatkaal anand ki anubhuti man lo hamne kaha ki 20 mala jap to 20 mala ke baad aap swatantr ho gaye na ki hamara bhajan ho gaya pura.

guru ne kaha 20 mala aur iske baad sansarik chintan mein usi samay mar gaye to sansarik chintan ke prabhav se aapka bhav bigad gaya. Aapka janm hoga jo chintan hoga. Hiran ka chintan hua. Hiran bane itne bade mahapurush to apne ko nali ke kida banne mein kitne second lagenge? Isliye har swas naam jap karen. Aur bhajan hamara paripakva kab hua? Jab hamare hriday mein koi vikarit na ho pujya padiya Baba jab tak bhagavlakar vritti na ho jae tab tak bhajan purn nahi mana jaata kabhi kisi bhi vishay ke sanyog mein bhogne ki ichchha na ho kabhi bhi koi bhi param labh milne par bhi bhagwat vismaran na ho to jano ki bhagwadakaar vritti ho gayi bhakt aur abhakt donon sansaar mein rahte hain.

bhakt sansaar mein rahte hue sharir wo bhagwan mein sthit rahta hai aur abhakt kahin bhi rahe wo sansaar ka hi chintan karta hai. Abhakti ki pehchan jo sansaar ka chintan karta hai. Bhakti ki pehchan jo bhagwan ka chintan karta hai. Ab jaise bhesh nahi hai bhagat ka. Par raat din naam jap karta hai. Parivaar mein rahte hue bhagwan ka chintan karta hai. Vyapar nokri karta hai. Bhagwan ke ashrit hai. Wo bhakt hai. Bhash Baba ji ka chintan rupaye ka ho raha hai. Man sammaan ka ho raha hai. Bhogon ka ho raha hai. Prapanch ka ho raha hai.

wo abhakt hai. Bhash dhari hari ke ur sale. Bin vivek vairagya bhakt bin satya na ek ko mano bhagwat vimurkh kapt chaturi. So pakhand nahi jano bhajan. Bhagwat chintan yahi hamara har samay chalta rahe to ham bhakt hain. Jiska charit bhrasht hai wo na kabhi bhakt ho sakta hai aur na kabhi bhagwat prapti kar sakta hai. Jiska charit bhrasht hai wo kabhi ab unko to pata nahi tha. Ek bade vidvan the to Baba ke paas aae aur Swami Akhandanand ji bhi maharaj baithe the bade-bade to kahne lage ki Baba hamen bhagwat prapti kab hogi?

aise hi Baba ne aise dekha sat janm mein tumhen bhagwat prapti nahi hogi. Bole Baba aisa kyon? To Baba ne yahi shabd kaha tha aacharan bhrasht purush ko kabhi bhagwat prapti nahi hoti. Usko ho hi nahi sakti. Ho sakti hai yadi aacharan sudhar kar bhagwan se kshma yachna kare aur ye niyam le le ab nasani ab na naso to phir yah shlok kam kar jaega. Ap sudcharo bhajte mam anannya bhag saad samavya samita ghor durachari raha hai. Ab usne niyam le liya hai bhagwan ke charnon ka ki ab hamse galti nahi hogi to bhagwan use karo satyate sadhu samana use sadhu ke saman bana dete hain.

jo ganda bhojan karta hai. Ganda bhojan, tamsi bhojan, rajogun bhojan, abhaksh bhojan aur jo ganv gramya katha, lok katha, rajniti katha yah baten karta rahta hai, uske hriday mein kabhi bhakti ka uday nahi ho sakta. Jo asatwik ahar pata hai arthat apvitra bhojan pata hai jo gramya katha lok katha rajniti ki katha isi mein varta karta hai uske hriday mein bhakti uday nahi hoti apne ko to badi kripa hoti hai jab santo ke anubhav hote hain kal ek veshdhari 65 varsh ke honge to unhone satsang suna hoga usse prabhavit hokar ke aae honge satsang ke prabhav se unka itni itni ayu ho chuki hai aur main dhyansth rahta hoon.

par jis samay jo vishay chahta hai mujhe gira deta hai. Main samjh nahi pa raha hoon ki mere paas wo bal kyon nahi aap bata sakte hain. Kaha haan pakka pata hai. Aap jahan bol rahe hain va baithkar ke ham baat kar rahe hain. Usmen bilkul shabd yahi ham kaha aap jahan bol rahe hain wahi baithkar baat kar rahe hain. Aap uska to dhyan kar nahi pate jo dhyan ka vishay hai. Kaha aap vichar karke dekhna sthul sukshm karan tino shariron ka tyag karke swaroop mein sthit hona wo hai nahi. Bole nahi tum kaha nirantar naam jap nahi hai.

naam jap karte ho bole bilkul nahi. To ham kaha phir kahan se aa jaega aapke andar bal? To kya dhyan karte ho? Kiska dhyan karte ho? Kya labh mila? Kuch nahi. Ab kya karen? Aaj se naam jap shuru karo aur ek mahina baad hamen batana tumhen kaisa lag raha hai ek mahina kyonki kahin na kahin sadhan mein to lage ho lekin sahi thikane par nahi lage ho naam jap naam jap ke dwara bahut jaldi har labh prapt kiya ja sakta hai par log are pura jeevan ka jeevan nikal gaya kuch chap nahi laga ham kah rahe hain 100 naam jap karoge to tumhare 100 satnam to kam se kam jama ho gaye wo tumhen amangal nahi hone denge yahi baat sabki samjh mein aa jae to mangal ho jae.

bhajan ka swaroop kya hai? Baba se pucha gaya. Kaha bhagwadakaar tail dharavat vritt bhajan ka swaroop hai akhand bhajan. Radha Radha Radha Radha ye to ye akhand bhajan kaise ho sakta hai? Jo guru ki upasna karta hai, guru ke vachan aur shastr mein purn shraddha rakhta hai aur stri putr dhan makan sab kuch shri bhagwan ka aisi bhavna karta hai. Uska akhand tail dharavat bhajan hone lagta hai. Guru upasna bhajan kis sthan mein shreshth hai karna. Kah rahe hain bhav sthan mein. Yahi samjhna hai. Bhav mein barkar jab bhajan kar rahe ho usi samay wah chahe jahan baithe ho wo badhiya sthan hai.

baithe Vrindavan mein chintan rag dves ka prapanch ka ho raha hai to kya hai? Ye khas baat samjhni hai. Khas baat bhav aur bhajan shashan mein baithe ho bahut badhiya bhav hai to tum bahut badhiya jagah baithe ho. Mandir mein baithe ho bhav bigad gaye to bahut kyonki tumhara baithna kahan hai? Mandir mein nahi hai. Tumhara baithna us prapanch mein hai. Andar jahan tumhara chintan hota hai wahi tumhari upsthi mani jati hai. In sab bahari baton ka vishesh mahatva nahi hai. Mahatva hai tumhara andar chintan kahan ho raha hai.

bhajan kahan karna chahiye? Bhajan bhav mein karna chahiye. Mere prabhu mere to Giridhar gopal dusro na koi jake sir mor mukut mero pati soi. Yah bhav bhajan ka sabse bada vighna kya hai? Bhogon ki asakti aur bogi purushan se mitrata. Bhogon ki asakti aur bogi purushan se mitrata sabse bada bhajan ka vinay hai. Bogi purushan se daro aur bhog se daro. Bhajan mein sahayata kisse mil sakti hai? Sant sang shastr swadhyay pavitra ahar sharir vachan man inke dwara apvitra chintan apvitra sankalp apvitra kriya na ho to bhajan bahut jaldi banne lagega badhne lagega paripakva hone lagega sab milakar ye bataiye Baba ki bhakti ka mukhya sadhan kya hai bahut se sadhan hai bhakti ke par mukhya sadhan kya hai yahi bhagwan naam jap mukhya sadhan hai bhajan tad smaran param vyakulte tadpita akhilacharita samasth karm bhagwan ko samarpit aur raat din naam jap yahi mukhya bhakti hai devrshi narad ji ke dwara bhakti ka swaroop bataya gaya tadta akhilacharita ta smaran param vyakul teti samasth aacharan karm bhagwan ko samarpit ho aur thodi bhi der ke liye naam chhute to hriday mein vyakulta paida ho jae.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • ekantik vartalaap evam darshan #1442 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • har 5 minute mein Radha bolo, phir dekho chamatkar — pujya pad shri odiya Baba ji maharaj mahapurushon ke vachan swarth aur paramarth donon ko param pavitra kar dete hain. Donon mein pusht kar dete hain. Baba satsang karte hain par bhajan nahi karte. Bhajan…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1441 — dharmik ji surat se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji grahasti mein rahkar balance bankar chale to phir prabhu milan ki vyakulta kaise badhegi agar nahi to kis tarah se ham prabhu milan ki chah aur virah…
  • brahm gyani mahatma apna sharir chhota hai to uska sukshm sharir kahan jaata hai? — Vinayak ji maharashtra se Radhe Radhe Radhe-Radhe maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam maharaj ji jab koi brahm gyani mahatma apna sthul sharir chhota hai to uska sukshm sharir kahan…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1440 — doctor vidhi ji maharashtra se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam. Maharaj ji sharir aur man donon ek saath chalte hain. Sharir accha hoga, svasth hoga to…
  • diwali par maharaj ji ke amritmay vachan | Diwali Special — Maharshi aaj Diwali ka shubh parv hai maharaj ji desh videsh mein aapko bahut log sunne wale hain. Maharaj ji aapke kuch ashi vachan ki aaj kya savdhania rakhen kya karen? Kya na karen maharaj ji…