॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

ekantik vartalaap evam darshan #1435

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

priyanka Mishra ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji jab manushya ko uske purv janmon ke karmon ke hisaab se dukh ya sukh bhogna parta hai to kya pandavo aur kaurvon ko bhi unke purv janmon ke karmon ki wajah se sukh athva dukh bhogna para tha? Avashya avashya bhogna hi parta hai. Jeev ko bhogna hi parta hai. Apne apne karmon ka anekon janmon ka jaise Bhishma ji ne kaha ki ham banon ki saiya mein hamen to 100 janm tak dekh rahe hain ki ham bhagwan ne kaha 100 janm ke age ki baat hai. To apne hazaron karodon janm ho gaye hain.

to aise hi chahe Pandav ho, chahe kurav ho, chahe are yahan tak ki bhagwan ne apne aap ko bhi usi kanun ke antargat rakha. Yadi Bali ko chhup ke mara to ant samay mein vyyadh ne bhagwan ke charnon mein baan mara ki nahi mara? Aur bhagwan ko paramdhaam jane ke samay usko nimit banana para vyyadh ko. To hamen lagta hai jaise dashrath ji se galti ho gayi shravan kumar ka vadh ho gaya shabd vedi baan se dubeb se ghade ki awaz thi to unhone samjha koi mrig pani pi raha hai to shabd vedi baan sandhan kiya shravan kumar ki chati mein laga to unke pita mata ne yahi kaha jaise main putr viyog mein tadap raha hoon aise tum tadap kar pran tyagoge to dekho bhagwan samarth unke putr hue par unko bhogna para antim samay ha Ram ha Ram tadpate hue pran tyage to hamen lagta hai ki karmon ka bhog sabko bhogna parta hai.

chahe rishi ho, chahe mahatma ho, chahe dusht ho, chahe punyatma ho. Haan jo is janm mein apne naye karm sudhar liye to un bhogon ko bhog lega. Age uska param mangal ho jaega. Maharaj ji yudhishthir to dharmraj the. Phir to dharmraj ko nahi bhogna padega kya? Dharmraj se truti ho gayi mandavya rishi ke dwara to unko vidur ji ke rup mein ana para. Wo to dharmraj ji ke ansh se the. To ham bhagwan ke ansh hai sidhe. Wo to dharmraj ke ansh hain. Aur ham kin ke ansh hain? To hamen bhogna par raha hai ki are wo to dharmraj ke ansh hain.

ham to bhagwan ke ansh hain. Nahi hai. To hamko jab bhogna par raha hai to dharmraj ke ansh wale ko kyon nahi bhogna padega? Wo to dharmraj ke ansh hain. Ham to bhagwan ke ansh hain. Sidhe bhagwan ke ansh hain. Koi milavat nahi hai. To ab aisa thodi ki ek hi yudhishthir ji jo janme to pahli bar srishti mein janme ho. Nahi piche kai bar janm ho chuke hain. Unke dharmraj ke kai bar janm ho chuke hain. Are brahma ke kai bar janm ho chuke hain. Rajsu yagya mein ek chita ki tang tut gayi thi. Wah teen tangon se ek ann ka kan lekar badi museebat se ja raha tha.

to arjun ji ne dekha kaha prabhu rajasva yagya mein sab anand lut rahe hain. Bechara ek chita kya kabhi isko sukh milega? To bhagwan ne jante ho kya kaha? 14 bar indra ban chuka hai. Ye 14 bar ye indra ban chuka hai. To ab aap vichar karo. Ab aap soch sakte ho ki indra 14 bar indra pad par baitha hua chita bana hua indra ki padvi mein maharaj nas aur sidhe ajgar yoni mein pahunche to aise hi jeev ki badi gatiyaan hoti hain to wo to dharmraj ke ansh se ham bhagwan ke ansh se hamen apne karmon ka bhog bhogna parta hai to phir dharmraj ke ansh se kya hai nahi sakshat dharmraj vidur ji hain ki nahi aur kitna kasht bhogna para aur dharm ke ansh se yudhishthir ji hain to vayu ke ansh se bhim ji hain to sab bhogna parta hai.

avashya mein bhoktuvi kritam karm anek janmon ka jal bicha hua hai. Kis janm mein kaun kahan hua? Iske baad wo dharmraj mein leen hua. Phir wo dharmraj ke ansh se wo yudhishthir ke rup mein jeev aaya. To ye badi leela bhagwan ki hui. Ye bhagwan hi jaan sakte hain. Par bhogna avashya parta hai. Ji rajesh ji Bhopal se Radhe-Radhe. Radhe-Radhe maharaj ji. Maharaj ji grihasth jeevan mein niyam se seva aur bhakti mein kabhi-kabhi der ho jati hai. Maharaj ji aise mein koi grihasth mein sabse bada niyam rakhe naam smaran ka aur dincharya to prat kalin jaise 3:00 baje 4:00 baje uthke kai baje uthte ho 6:00 baje uthte hain.

yah koi sadhna hai. Kai baje sote ho? 11:00 baje. 11 10:00 baje kyon nahi sote? Samay vyarth kyon karte ho? 10:00 baje so jao. 11 12 ek do teen. Agar 6 ghante so to char. 6 ghante se zyada sona raaksasi buddhi hai. Asuri buddhi hai. Sadhak to 4 ghante 5 ghante mein ab aapki mano grahasti mein kya seva hai mujhe to pata nahi. Dainik seva hoti hai. Usmen kabhi der ho jati hai to glani mehsus hoti hai ki nahi 6 ghante se zyada sone ka niyam na lo aur mobile aur tv inse bachne ki koshish karo.

yadi bhagwan ki prapti ke marg mein chalna hai nahi to kuch bhi kholo YouTube to sab deta chala ja raha hai manoranjan ab mobile mein lag gaye to ghanton mobile mein lag gaye nahi to aao khao piyo thoda apna parivaar se mile aur iske baad ekant hokar ke bhagwan ka sumiran karte hue soe phir uthkar ke apni dincharya ki agar 4:00 baje uth jao to kitni badhiya dincharya ban jae ab ye 6:00 baje 7:00 baje sokar ke jagne wale kya dincharya karenge jab bhuvan Bhaskhar uday hone wale hain. Ab dincharya kya hogi?

log to 8 8 10 baje tak sote hain. Aisa bhi suna hai. Aath waise 6:00 baje wala to bahut kripa patr mana jaata hai maharaj. Accha accha 8 10 11 12 ek do to ye to matlab apne jeevan ko barbad karna hai. Apne jeevan ko barbad karna hai. Aisa nahi karna chahiye. Uttam baat to yahi hai ki brahm muhurt mein jag hi jana chahiye. Sabko jag jana chahiye. Ab jinki nait duty unki baat alag hai. Nahi to hamen lagta hai aisi pramad sthiti nahi rakhni chahiye. Dod baje teen-teen baje raat tak manoranjan karte hain. Phir so jaate hain.

10 11 baje tak sote hain. To kya jeevan hai? Pashuv jeevan hai. Koi jeevan hai kya? To pehle to jagna sikho. Samay se uthna sikho. 4:00 baje uthna sikho. Ab kya hai? Ab dhire-dhire jeevan vriddhavastha ki taraf ja raha hai. Agar savdhaan na rahe to ek avastha sabke upar aati hai. Mrityu avastha wo sab haran kar legi. Aapka sab haran kar legi. Na bank balance jaega aapke saath na parivaar jaega na ye sharir jaega to phir aur kya jaega? Kuch jana to hai nahi. Jo jana hai wah kama nahi rahe. Jana hai bhajan. Grahasti mein thodi der ke liye seva path aadi kar len.

phir har samay uthte baithe chalte phirte kam karte hue naam jap ka abhyaas rakhen. Naam jap samarth sadhan hai aur ismen koi pareshani nahi hai. Aapko kahin jana hai naam jap karte hue ja rahe hain. Koi karya kar rahe hain jab baat karna hai to baat alag hai. Nahi to naam jap kar rahe hain. Andar bar-bar Radha Radha Krishna Krishna Ram Ram hare hari jo naam priy ho wo naam jap kar rahe hain. To naam jap se bhagwan ki prapti hoti hai. Kalyug keval naam adhara sumir sumir nar utrah para bar-bar naam sumiran karne se ham is sansaar samudra se par ho jaenge samjh pa rahe hain aap thakur ji ki seva mein kabhi-kabhi niyam se jo deri ho jati hai tab dukh hota hai wo haan wo priyata ke karan dukh hota hai lekin grahasti mein aisa kuch nahi hai jab samay mile tab thakur seva kar le man lo aapko kabhi subah aise karya lag gaye subah chale jao karya mein jab samay mile tab aao apne thakur seva kar li.

grahasti mein zyada niyam is baat ka isiliye naam ka niyam dete hain ki uthte baithe chalte phirte har samay naam jap karo aur jab samay mile tab thakur seva prakt mein kar lo. Shastron ka swadhyay kar lo path kar lo. Grahasti mein bahut se karya hain. Man lo koi vyapari hai, koi kisan hai, koi duty mein hai, kab kahan, kaise kya to jab samay mile tab thakur seva path kar lo nahi har samay naam jap karo. Mahara ji kuch sadhak jan aise hain jo matlab aapke sharanagat hain. Wo matlab niyamit rup se unhone apni dincharya phiksa kar rakhi hai.

to kah rahe jab aap matlab yadyapi jo ekdam sansaar mein unko lagane ke liye aap ye vakya bolte hain to kah rahe hain ki thode shithilta aa jati hai ki maharaj ji ne bola grahasti mein ho to nahi wo unke liye hai. Ab ye koi asht prahar seva thodi karte hain shri ji ki lekin jinko shri ji mili hui hai aur jinki asht prahar seva ki bhavna hai unko in baton ko sunkar shithilta nahi lani chahiye unko pravinta purvak karni chahiye. Ab jaise jo sansaar mein hain abhi diksha nahi liye abhi koi unke andar shri ji ke prati seva ki bhavna nahi hai to unke liye yah baten hain lekin jo diksha le chuke hain jinko asht prahar seva ki bhavna mein man lo do hi prahar seva karte hain to wo to prahar ke anusaar hi hogi wo to time se hi hogi agar time ke anusaar nahi to phir seva ka kya man kyonki man age itna chanchal hai wo support leta hai maharaj ji ki maharaj ji ne bola hai ki yahi baat samjhna hai ki bukhar ki dawa doctor 10 mrijon ko deta hai lekin alag-alag deta hai.

ek hi thodi deta hai. Ab kaun sa bukhar hai? Usko maleriya hai. Usko dengu hai. Usko kaun sa bukhar? Kisi ko sadharan bukhar hai to sadharan tablet de diya. Hai bukhar hai to bharti kar liya. To ab kah de us bukhar wale ko to tablet dekar bhaga diya. Hamko bharti kyon kar liya? Kyonki tum serious marij ho. Isliye bharti kar li. Aise hi prashn ka uttar jo adhikari hai uske anusaar hota hai. Ab jaise aap hain to aapki jo dincharya hai uske anusaar aapko bata rahe hain ki aap naam par vishesh dhyan dijiye aur jab samay mile tab seva kijiye aur yah jo dukh hota hai ki samay se seva nahi hui.

yah aapki priyata hai. Bhagwan ke prati priyata hai. Par grahasti mein bahut se aise karya hain. Par jo niyam nishth hain jinhone diksha le rakhi hai jo shri ji ki seva asht prahar karte hain unko is baat mein pramad nahi lena chahiye ki ab aap 12:00 baje akar mangala kar denge. Nahi mangala ke samay mangala karo aur 5 minute 10 minute mein karke phir apne karya mein jao. Nahi maharaj ji jab aap kahte hain na grahasti mein bahut zyada karya hote hain to bada sukh sa milta hai kah rahe hain ki nahi yah maharaj ji support kar rahe hain abhi chalo maharaj ji bhi samjh rahe hain hamari nahi alag-alag hai alag-alag hai praveen ji Radhehe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji agar meri patni puja path kar rahi ho to kya uska phal uske pati ko prapt hota hai kya maharaj ji nahi uska chintan uska bhajan usko pura ka pura prapt hoga.

aap yadi sadhan bhajan karenge to aapne pani grahan liya hai. Aapki ardhangini mein usko prapt hoga. Lekin uska sadhan bhajan kiya hua wo chahe aapko de to aapko prapt ho sakta hai. Nahi to nahi. Aapka aap chaho ya na chaho wo chahega. Jaise aap ganga snaan karne gaye to uska aadha punya phal usko milega kyonki wo ardhangini hai. Pani grahan aapne kiya usne thodi aapka hath rakha hai. Aapne us uska hath pakda hai to pani grahan kiya hai to pati ka kiya hua dharm patni ko milta hai. Lekin patni jo swayam dharm karti hai wo chahe to pati ko de nahi to swayam mein wo paramatma prapti ke liye samarth ho sakti hai.

to karna chahiye aapko. Patni puja karti hai to aap bhi puja karo. Bhakti maharaj ji bahut karte hain lekin bhajan aapka bhajan sunte hain raat mein nind nahi lagti hai dod dhai baj jaata hai maharaj ji bhakti bahut karte hain yar aaj tak ham nahi kah paye bhakti bahut karte hain hamen hamko bhi sankoch lagta hai ki abhi bahut karte hain maharaj ji jitna ho pata hai utna karte hain duty ke jitna samay nikal pate ye shabd theek hai jitna ho pata hai utna kar bahut karne mein to ham logon ki himmat nahi itna kah den ki bahut bhakti karte adhe aadha patni le jaate hain na na khubkhub

naam bhagwan ka naam jap karo raat mein nind nahi lagti hai maharaj ji tablet le lo nind ka tablet le lo kya karen batao uske liye to doctor se baat kar lo ki aapko nind nahi aati nind na ane ka matlab hai sharir ka adhik parishram se yukt na hona mind ka adhik parishram se yukt ho jana agar sharir ka parishram sahi ho jae aur mind shant rahe to aram se nind aa jae ab shant kaise rahe manorajya yahi sabka chalta rahta hai yah hone ke baad aisa ho jaega itna ho jaega phir waise ho jaega phir aisa kar lenge phir wo bhog lenge phir koi tension wali bhi baat aa jati hai pratikultaa wali wahi sab sochte sochte kya hota hai man ashant ho jaata hai ashantas kuta sukham jo ashant man hai usmen sukh nahi sukh nahi to nind kahan sharir utna shramit nahi hota jitna mind shramit ho jaata hai aur mind ko vishram do aur sharir ko shram se yukt karo tabhi baat aur vishram bhagwan ke naam rup leela dham mein milega tab lag kushal na jeev ko sapne ho man vishram jab lag bhajat na Ram ko shok dham taj kam isliye bhai naam

jap karo bhagwan ke satsang suno bhagwan ki leela katha suno to usse anand ki prapti ho paap karm se bacho paap karm jo jante ho ki ye sab paap karm hai un paap karmon se bacho aajkal to bahut gandi baten chal gayi hai boyfriend girlfriend gandi gandi gandi baten ye to bahut hanikarak ho gayi. Byah ho gaya pati dusri se patni dusre se yah sab bahut galat galat baten ho rahi hain. Aur kitna sundar pati ho usko apne pati par santushtata nahi. Kitni sundar patni ho usko apni patni par santushtata nahi. Aaj hamare dharmik bharat desh mein ye jo gandi baten prachlit ho gayi.

kitna matlab anisht ho raha hai. Pati patni par vishwas nahi rah gaya. Pativanchak parapti rati kar rau narak kalp sat par jo apne pati ko tyag kar dusre purush se sambhog karti hai wo karodon kalp tak roro narak mein dali jati hai bahut dukh milta hai par kaun jab shastr swadhyay nahi to manmani aacharan hote chale ja rahe hain isliye purush ko bhi chahiye apni patni ke siva kisi ki taraf gandi drishti na karen patni ko chahiye apne pati ke siva kisi ki taraf ganda bhav na rakhen gandi drishti karne se paap banta hai aur paap ashanti dukh depression yahi pradan karta hai.

maharaj ji pichle do din se aap satsang mein jo hol mein kar rahe hain maharaj ji usmen varnan kar rahe hain ki jo bhakt jan matlab bhajan karte hain aur unse galat aacharan bhi ban gaye to unki durgati nahi hogi. Unko uchh loko mein matlab unko wo bhog bhugwae jaenge. Ye un bhakton ki baat ho rahi hai jinhone nischay kiya hai ki ab mujhe isi janm mein bhagwat prapti karna hai aur khub dat ke praytn karke bhajan kar rahe hain. Par unka kusang ho gaya aur wah bhrasht ho gaye. Wah jitendra nahi hai. Wah manonigrahi nahi hai.

man par vijay prapt nahi kar paye. Ab wo bhrasht ho gaye. Ab bhrasht ka matlab hai lagataar bhrasht ho thodi hai. Ab wo bhrasht ho gaye. Pryasrat the bhajan mein. Unka lakshya tha bhagwat prapti. Aur sharir pura ho gaya. Bhagwan ke darshan nahi ho paye. Bhagwat prapti nahi hui. Tatv bodh nahi hua. To us bhrasht ka kya gati hogi? Bhagwan shri Krishna se arjun ji ne pucha to us bhrasht ki kya gati hogi? To bhagwan ne bataya ki aise jo bhrasht hote hain wo narak to ja nahi sakte kyonki bhagwan ka naam jap karte the.

bhagwan ke marg mein the. Bhagwan ke ashrit the. Wo nark nahi ja sakte. Accha unka patan nahi ho sakta. Kyonki jaise aapne 500 naam jap kiya to aapke 500 naam to staak mein jama hai. Ab aap bhrasht ho gaye. Galat aacharan kiye to uska aapko dand milega. Lekin wah dand khatm hote hi aap 500 bhajan se upar chalenge. 499 nahi pure 500 bhajan se upar aapki gati hogi. To ab jaise unka sharir chhuta to unko punyavan ke loko mein le jaya jaata hai. Swarg aadi loko mein swarg aadi loko mein jaise wo stri se bhrasht hue ya jisse bhrasht hue wo sare bhog unko diye jaate hain.

ye unka punya chay nahi hoga. Jaise yagya karke koi swarg jae dan punya karke swarg jae tirth yatan karke swarg jae to unka punya kshay hoga aur wo punya kshay hone ke baad mrityu lok mein phir punah ashubh gati ko bhi prapt ho sakte hain lekin wo bhajan karne wale ka bhajan to stock mein jama hai aur uska jaise vip swagat ho aise swarg aadi loko mein jin bhogon ke karan bhrasht hua hai un bhogon ki bahulyta usko hogi aur jab uski un bhogon mein aruci ho jaegi tab uska janm hoga shriman kulvan dhanvan raj vaibhav sampann bhog sampann aur wahan janm lekar ke usko aisa vatavran milega bhakti ka vairagya ka ki purv ka jo sadhan hai wo unhen un bhogon mein lagne nahi dega.

un bhogon ke beech mein rahte hue bhi usko vairagya hoga. Ab uska vairagya itne jor ka hoga ki jab kabhi akarshan kisi bhog ka hua to wo sochega ki main to apna itna vaibhav chhodkar aa raha hoon. Itna bhog chhodkar aa raha hoon. Ab main bhog nahi bhogung aur wo dat karke jahan se uska bhajan ruka tha wahan se bhajan uska chalu hoga aur wo prayas karke isi janm mein bhagwat prapti kar lega. Agar kahin phir chuk ho jati hai to phir usko wahi gati prapt hogi. Wo swarg aadi loko ko bhog karke wo matlab patan nahi ho sakta.

par ji phir to thoda bhi bhajan karne wale ka patan nahi ho sakta. Nahi nahi uska chanj haan isiliye to ham sabko prarthna karte hain. Naam jap karo naam jap karo kaise bhi karo bhav se karo kubhav se karo. Jaise bhi karo mano aap buri aadat nahi chhod pa rahe to bhali aadat pakar lo na to kam se kam tumhare paas burai ke saath-saath bahut bada bhajan bhi to hai jo tumhari har jagah raksha kar lega tumhari buraiyon ka nash karke yah tumhen unnati pradan karega ham galat baat nahi chhod pa rahe hain. Ham asmarth hain.

to sahi baat bhi to pakar lo. Radha Radha beech mein dal lo to aapki jo asabh jo ashubh gati hone wali wah nahi hogi. Aapki ashubh gati nahi hogi. Aapka jo asat bhav hai wo nasht ho jaega aur yah sadbhav ek din aapko bhagwat prapti kara dega. Isiliye pujya Radha Baba ne kaha ek bar ji bhi jo Radha Krishna bola usne moksh ke liye kamar kas liya. Ek bar bhi ek bar bhi Radha Krishna bola to usne mano moksh ke liye kamar kas liya. Ab ek bar Radha Krishna jo bola to uska patan nahi ho sakta. Wo nark nahi ja sakta kyonki bhagwan ka naam uske paas ye to bahut badi baat hai.

shabdon mein to chhoti lage. Haan to isiliye to par sabki rati kahan hoti hai? Jo isiliye kaha gaya hai ki bhagwan jab kripa karte hain to sant sang dete hain kyonki sant sang se bhagwan ke naam rup leela dham mein asakti ho jati hai bina satsang ke naam jap hoga hi nahi to agar naam thoda bhi jap liya to mangalmay ho jaega uska patan nahi hoga wo kabhi adhogati ko prapt name bhakta prannasati apichet suduracharo bhajte mam anannya bhag sadhu samantavya samyak vyavtasa suduracharo mane hota hai sangopang durachaar karne wala bhrpur durachaar karne wala api chet suduracharo bahut bhari papi aadmi ab usko satsang mil gaya ab usne suna ki maine to bahut paap kiye aur paap kar raha hoon mera kalyan kaise ho sakta hai ekmatra bhagwan hi hai jo hamara kalyan kar sakte hain to samyak vyavasthita aisa usne apni buddhi mein baitha liya ki main nich hoon papi hoon papacharan ho raha hai par main bhagwan ki sharan mein hoon.

ab bhagwan hi mera udhar karenge aur Krishna Krishna Krishna Krishna Radha Radha Radha aur paap kar raha hai. Vartman mein paap kar raha hai to bhi uski durgati nahi hogi. Bhagwan kah rahe use sadhu mano main usko sadhu banaunga. Karo sate sadhu samana apichet suduracharo bhajte mam anannya bhag sadhu samantavya use sadhu mano kyonki ab main banaunga sadhu chhipam bhavti dharmatma ab main use shighr dharmatma aur bhagwan jise sadhu banana chahe wo asadhu rah kaise sakta hai to durachari hokar ke bhi yadi wo bhagwan ka aashray lekar naam jap karta hai to wo narak nahi jaega wo bhagwan ki prapti ke marg mein jahan se gira hai un bhogon ko swarg aadi loko mein bhogega jo bade-bade punya atmao ke liye durlabh vastu hai wo us bhajnanandi ko bhogne ko milega aur phir bade pavitra kulon mein raj vaibhav kulon mein uska janm hoga koi sadharan nahi kyonki naam jap usne kiya hai isliye naam jap avashya karna chahiye maharaj ji ye to ho gaya ki wo bhajan kar raha hai phir wo apne usse jaega maharaj ji ek sharanagati ka marg aap bilkul saath-saath mein chalate hain to maharaj ji sharanagati ka ismen siddhant kya rahega usmen to prabhu khud bachhate hain.

aap kahte hain ki usko to maharaj ji ismen sharanagati mein jab ham bhagwan ki sharan mein hote hain to jahan hamen bhrasht hona hota hai wahan bhagwan kahte karo sada tin ke rakhwari jim balak rakhe mahatari agar abhiman hai bhagwan ke sharanagati hone ke baad bhi to girna padega nahi to bhagwan bacha lenge aur bhagwan ka sharanagat agar gir bhi jaata hai to isi janm mein usko itna kasht diya jaega ki uske paap ka marjan ho jaega aur ant ant mein bhagwan uski smriti baenge aur usko yah sab agla janm nahi hoga swarg nahi jaega wo isi janm mein bhagwan ko prapt bhagwan uske ahankaar ka vinash karne ka vidhan karte hain.

haan karenge jarur kyonki wo to aisa hi hai na haan bhagwan uske ahankaar ka vinash karenge aur usko yah nahi sochna chahiye ki bhagwan ne hamari raksha kyon nahi ki kyonki tumhara ahankaar jo hai uska nash karne ke liye ki tum kuch nahi ho. Jab yah samjh mein aa jae main kuch nahi hoon aur he nath keval to bhagwan keval is sambandh se kalyan kar denge. Bhagwan ne kaha hai matit sarv durgan mat prasada trati ismen sadhan nahi bataya mat chitta sarv durgan mat prasada tarasti jo meri sharan mein aa gaya to mere prasad mane kripa se wo sab dosho se mukt hokar mere ko prapt kar leta hai ek hi janm mein bhagwan ki sharan hokar bhagwan ka bhajan kar raha hai agar kahin girne ke chans aae to bhagwan uski raksha karte hain agar raksha nahi ki to tumhare ahankaar ka nash hone ke liye wo bhagwan leela karenge par zyada din wo leela tikegi nahi mayamai wo

turant nikal kar ke phir paramarth mein chalega aur bhagwan ko prapt kshma kijeyega maharaj ji par ye marg aur zyada aasan lagta haan tabhi to sharanagati durlabh vastu hai sharanagati hriday se ho jae to nihal ho jae mat chitan bhagwan kah rahe mat chitta mat chit mere mein chitt lagane wala bas bhagwan aap hi mere hamare mein to koi na main indri vijay hoon na man vijay hoon he nath aap hi mera kalyan karo he patit pavan prabhu aap dekh lo aise bhakt ka kabhi na mein bhakta prannasati aise bhakt ka nash nahi hota bhagwan kahte hain matit sarv durgan mat prasadat trati mere mein chitt lagane ke karan sare dosho ka main nash kar deta hoon aur mat prasadat tarishti meri kripa se wo mukti ko prapt ho jaata hai meri kripa se wo ek janm mein hi bhagwat prapt bhagwan sab sab kuch kar sakte hain.

kartum anytha kartum ek hai sadhan paksh aur ek hai kripa paksh. To jo bhagwan ki sharan mein kripa paksh se hai wo sadhan karte hue bhi agar kahin ladkhda jaata hai to uske dosho ko prabhu mante hi nahi. Jan avgun prabhu man na kaun din bandhu ati mridul swabhav uske dosho ko mante nahi dosh hai uska kalyan kar dete hain mat prasadat trati meri kripa se wo par ho maharaj ji ek aur samadhan chahiye maharaj ji sadhan paksh bhi dete hain prabhu aur kripa paksh bhi dete hain maharaj ji kripa paksh kinko dete hain maharaj ji jo satsang mein sadhu mahatmaon ke satsang mein apne ko anadhikari samjh paye ki main to nahi man ko jit paunga.

indriyon ko bhi nahi jit paunga. Par bhagwan ko to prapt hi karna hai. To he bhagwan main aapki sharan mein hoon. Main jaisa bhi hoon. He patit pavan he bhakt jan ranjan jaisa bhi hoon nath main aapka hoon. Ab aap dekh lo. Aapko jo karana hai hamse kara lo. Bhajan karana hai bhajan kara lo. Jitendrita jaise aap chaho waise chala lo. Prabhu mere mere bas mein nahi. Main to sirf aapke he nath main aapki sharan mein hoon. Andar se jo bar-bar bhagwan ki wo sharanagati aur jiska accha aise se aisa aise se aisa wo har sadhan ko pakdta hua chal raha hai wo bhi bhagwan ka kripa patr hai kyonki sadhan pakar raha hai par usmen kuch aham hai usmen apni buddhi ka bharosa hai aur usmen buddhi ka jaise sharanagati ke do prakaar batae ek bili ke bachchha ki sharanagati aur ek banriya ke bachchha ki sharanagati banriya ke bachchha ki sharanagati vivekvan sadhan dhan sampann usko ishara bhagwan denge ki bhrasht hone ka avsar aa raha hai.

jaise bandriya apne bachchhe ko ishara deti hai jab chhalang lagana hota hai. Aise karegi to kas ke pakar le. Ab wo chhalang mari agar kas ke na pakde gire to gir jae. Wo ishara degi ki main chhalang mar rahi hoon. Jara sa aise bachchhe ko sambhalegi. Bachchha samjh jaata hai ki abhi chhalang lagane wali hai aur kas ke pakar leta hai. Aise hi bhagwan ishara denge ki maya ka aakraman hone wala hai. Tumhare samne prashn ane wala hai. Tum savdhaan vivekvan ho isliye apne aap ko pakar ke bachao. Sadhan ko pakar lo kas ke aur lekin jo bilaiya ke bachchha ki sharanagati hai wo aise hai.

tumhen le jana hai jahan le jao. Hamen jhatkavatka se koi matlab nahi hai. Ishara ishara de main hoon. Chup ho. Ab wo bilaiya kya karti hai? Apne muhn mein daba ke le jati hai. Jin danto se chuhon ko marti hai, unhin dant wahi muhn mein dant hai. Lekin itni sephti se us bachchhe ko pakadti hai jahan usko le jana hota hai swayam le jati hai. Aise ye ajat pakshayu matram khga ye bahut sundar marg hai. Jaise jis pakshi ke bachchhe ke abhi pankh nahi nikle. Ghonsle mein baithe keval maa ki bat jota rahta hai.

aise jo keval bhagwan ki kripa ki bat jote hue bhagwan ka sumiran karta rahta hai. Aise bhakt ka nischit isi janm mein kalyan ho jaata hai. Aisi koi vyvastha honi chahiye ki hamare paap nasht ho gaye hain aur kitne paap bache bache hain. Ye hamen samjh mein aae. Wo to hriday mein hi pata hriday mein hi pata chal jaata hai. Iske liye koi kagjat ki likhat thodi chahiye. Iska apna hriday janta hai. Jis samay hriday mein sansaar ke kisi bhogon ka akarshan na rah jae. Keval bhagwan ka hi akarshan hriday pavitra ho gaya. Ab abhi kuch samay bhagwan ka akarshan kuch samay sansaar ka akarshan to abhi malinta baji hai.

zyada sansaar ka akarshan aur kam bhagwan ka akarshan to abhi zyada malinta hai. Bilkul bhagwan ka akarshan nahi keval sansaar ka akarshan wo ghor paap janit man hai. To ye to vyvastha shastron mein hai. Ab isko likhat thodi diya ja sakta hai. Andar ka vishay, andar ka hriday, ab aapka hriday aapko pata chalega ki aapke hriday mein kya ho raha hai. Sansaar ki priyata ya bhagwan ki Prita. Sansaar accha lag raha hai ya bhagwan accha lag rahe hain. Agar sansaar accha lag raha hai, bhagwan achhche lag nahi rahe to pura ka pura man paap se sana hua hai.

papvant kar sahaj subhav bhajan mor te bhav na kaun. Papvant jo jeev hota hai usko bhagwan ka bhajan bhagwan ki charcha sant mahatma ye sab achhche nahi lagte usko khao piyo apne manmani aacharan karo ye accha lagta hai to vyvastha to hai hi par ab wo koi likhat nahi di ja sakti ki itne percent aap papi hain. Itne percent aap paap [gala saaf karne ki aawaz] se rahit ho chuke hain. Aisa lagta hai ki hamse bahut kam naam jap ho raha hai aur aur zyada hona chahiye. Haan yah to sabko hota hai. Har sadhak ko hota hai ki chahe jitna bhajan ho lagta hai abhi wah bhajan nahi ho raha jaisa hona chahiye.

haan ye bhajan ki sachchai hai. Jab ham sachchai se bhajan karenge to hamare andar ye baat ane lagegi. Bhajan ki bhookh badh jaegi ki man mein bas yahi lagega ki adhik se adhik bhajan karun aur koi jaise bhajan karne wala dikhayee diya to lagega he bhagwan ye kitna bhajan karte hain main kitna kam karte ho haan unke charan chune ka man hoga unki seva karne ka man hoga unki vandna karne ka to samjhe ki hamara bhajan theek chal raha hai jo bhi bhajan chal raha hai hamara wo theek chal raha hai kiran ji gwalior se shri Harivansh maharaj ji Gurudev bhagwan [gala saaf karne ki aawaz] mantr milne ke baad bahut se vikaro se mukti mil gayi hai.

lekin Gurudev bhagwan chitt ki ekagrata mein abhi bhi bahut kami ka anubhav karti hoon. Gurudev janmajanma ke vikaro se mukti mil jae aur purn sharanagati prapt ho maharaj ji iske liye aur kya karen? Jo bhajan hai isi ko adhik karo. Adhik samay tak uthte baithe chalte phirte khate pite sote jagte har samay yadi naam dhan ekatrit ho jae hamara to hamara man bhi nirmal ho jaega aur nirmal man hone par phir nirvikarta hoti hai koi vikar nahi rah jaega man ko swad mil jae bhagwan ke naam ka to aise brahmaadik ke bhog sab visham lagat tae narayan braj chand ki lagan lagi hai jae jise bhagwanand mil jaata hai phir yah vishay anand accha nahi lagta hai.

isliye bhagwanand ke liye avyavat bhajanat akhand bhajan karo. [nak se ki jane wali aawaz] jitne aacharan karo wo pavitra hone chahiye. Koi gandi baat nahi honi chahiye jeevan mein. Aur jo karm ham karen wah bhagwan ko samarpit kar den. Tadparpita akhilacharita aur har samay bhagwan ka naam jap karen. Bhagwan ki leela katha sune, bhagwan ki seva karen. Agar ham aise chalenge to dirgh kal tak yah nahi ki do char 10 din mein dirgh kal tak aise karne ke baad ham dekhenge ki hamara man prabhu mein lagne laga hai. Ham dekhenge hamen anand aa raha hai.

ham dekhenge hamare andar jo pehle vikar the wah ab vikar kam ho rahe hain. Dhire-dhire nasht ho rahe hain. Hamari adhyatmik unnati ho rahi hai. Par hamen lagna padega. Parhej yah ki koi gandi baat na hone pave. Gandi baat agar hai to jaise ghade ko ham bharne ki cheshta karen lekin usmen chhed ho to nikal jaega. Chhed band karna mano gandi baat ko band karke ham apni sadhna ko surakshit rakh rahe hain. Nahi to sadhna bhi ho rahi aur chhed bhi hai. Usi se sadhna ka bal nikalta chala ja raha hai. Kuch anubhav mein nahi aayega.

pehle gandi aadaton ko chode. Jo shastr virudh papacharan hai wah hamse na hone pave aur ham khub dat ke naam jap karen to hamara man shant ho jaega. Hamari sthiti ban jaegi. Hamen bhagwanand ki anubhuti hone lagegi.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • ekantik vartalaap evam darshan #1441 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • brahm gyani mahatma apna sharir chhota hai to uska sukshm sharir kahan jaata hai? — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1440 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • diwali par maharaj ji ke amritmay vachan | Diwali Special — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1439 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • ye 9 galtiyan aapki puri sadhna bigad sakti hain — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…