॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

prem prapti ke liye sabse bada sahayak aur badhak kya hai?

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

sumit patel ji madhya pradesh se helo Radhe-Radhe maharaj ji jai sitaram maharaj ji maharaj ji prabhu ka prem pane ke liye sabse bada sahyogi va sabse bada badhak kya hai sabse bada sahyogi bhagwat premi mahatma hai mahasangas durlabho agamyo amoghas yadi mahapurushon ka sang na mile to phir bhagwat prem ho hi nahi sakta. Kisi ko bhi bhagwat prem aaj tak prapt hua hai to mahapurushon ke dwara hi prapt hua hai. Koi bhi agar thoda bhi paramarth mein chala hai to kisi na kisi sant ka sang prapt hua hai.

bina bhagwat premi mahatma ke prem ho hi nahi sakta. Jaise bhagwan ka sang karne wale Uddhav ji, param gyani Uddhav ji, bhagwan ke mitra Uddhav ji, bhagwan ke mantri Uddhav ji, brihaspat shishya Uddhav ji lekin bhagwan ke prem ko nahi jante the. Jab premi gopikaon ki charan dhul mathe par lagi aur Vrindavan akar unke asuon ko dekha tab unko apna gyan sab phika laga aur kaha Vrindavan ki koi lata gul aushadhi ban jaun jinse in braj gopiyon ki charan dhul mathe par lage aur main bhi premi ban jaun to bina bhagwat premi mahatmaon ke sang ke prem nahi hota aur sabse badi badha devrshi narad ji ne kaha hai kastarti kastarti mayam maya se kaun tar sakta hai kaun tar sakta hai to bole yo sangajti yo mahanubhav sevte sangajti mahanubhav sevte jo mahapurushon ka sang karta hai aur sangasta jo kusang ka tyag karta hai hamare dekhne ki vritti kusang mein na ho bolne ki vritti kusang mein na ho hamare vichar mein kusang na ho hamare aacharan mein kusang na ho abhi mahapurushon ka sang mil jaega to prem ki prapti ho jaegi.

yah ko kusangti paye nasha rahe nich mte chaturi bada prabhav kushang ka parta hai. Jo ham drishya dekhte hain agar wah kusang ka hua ganda hua to prabhav par jaega. Dekho ek mahatma saubhri ji yamuna mein nirvigghn bhajan karne ke liye jal ko stambhit karke bhajan kar rahe hain aur ek machhli ka maithun dekha to 50 byah kiye. Ek drishya ne Ajamil ko bhrasht kar diya. Wah apne pita ke liye jangal se lakdi lane gaya tha yagya ke liye. Wahan dekha ek vaishya aur vyabhchari purush bas wo drishya dekhte hi uske dimaag mein paagalpan chhaa gaya.

sab dharm bhrasht ho ke vaishyagami vaishya ke paas hi rahne laga. Sab sampatti de di. Ek drishya ne nasht kar diya. Shravan indri se gandi baat sunna, galat prapanch ki baat sunna, vichar mein galat baat rakhna, kriyon mein galat yah sabse zyada bhagwat bhakti mein nash bhav hai. Kusang sabse aur satsang bhagwat premi mahatmaon ka yah prem pradan karne wala hai. Devrshi narad ji ke yo mahanubhav sevte jo mahapurushon ka sang karta hai. Yo sang tejti jo anya satsangon ka tyag kar deta hai. Jo kusang ke antargat ate hain yo nirmamo bhavti jo kahin bhi mamta nahi rakhta ekmatra bhagwan ke charnarvind ke siva kahin mamta nahi rakhta wo is sansaar samudra se par ho jaata hai wo bhagwat prem ko prapt ho jaata hai bhagwat prem prapt karne ke liye do baten sudridh mahapurushon ka sang aur unke sang ka matlab hai unke batae hue marg par chalna jaise naam jap karo leela gun gayan karo thakur seva karo aise aise aacharan karo aise na karo ye unka sang sang mana jaega.

sang ka matlab keval paas baith jana nahi hai. Unki baat ko manna aur kusang ka tyag kar dena. Kusang kise kahte hain? Jis vastu vyakti sthan ke sang se hamara man chanchal hokar bhogon mein chala jae. Prabhu ka smaran chhod de use kusang kahte hain. Aur satsang kise kahte hain? Jinke sang se hamare man ka sansaar ki taraf jane ka swabhav hatkar prabhu ki taraf jane lage. Hamare galat adte chhutne lage. Samjh lo mahatma ka sang ho gaya. Satsang ka matlab hai kusang ka tyag karke bhagwat marg mein chal dena. Jaise bahut se satsang sunkar sharab, mans, gande aacharan chhod ke phir wo milte hain ki hamen chha mahina ho gaye chode hue.

hamne satsang suna to satsang vani jo hi kan mein padi to aapka parivartan kar degi. To usse bhi zyada prabhav kusang ka hai. Chha mahina satsang aur chha ghanta kusang kyonki satsang ham janm janmantar se karte nahi aa rahe. Kusang karte aa rahe hain. To kusang ka abhyaas bahut jaldi prabhav par jaata hai. To isliye kusang ka tyag aur satsang ka sevan to nischit bhagwat prem prapt ho jaata hai. Anuj Sharma ji Delhi se. Radhe Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji chetna aur sadhna kise kahte hain? Dekho chaitanya to atma swaroop hai aur usi ko janna sadhna kahte hain.

sadhna ka sidha arth hai sadhna. Sadh mane chah chah na rah jana hi. Achah sthiti atma ki hai. Jah na chahiye kabahu kachu. Tum san saj sane baso nirantar ta sur sura nijge chetna chaitanya shakti chaitanya shakti atma aur usi ki prapti karna sadhna aur hamen jo sadhna karni hai ichchha rahit hona bhagwat prapti ka swaroop kya hai brahm bhuta prasann atma na sochti na kakshati na koi chah rah jae na koi soch rah jae ekmatra shri bhagwan ekmatra atma swaroop mein to sadhna ka tatparya bhagwat prapti ke jo sadhan batae gaye hain usmen chalna aur chaitanyata ka chetan ka tatparya hai ishwar ansh jeev avinashi chetan amal sahaj

sukh rashi bataya gaya chetan kaun hai atma aur uski prapti karne ke liye jo sadhan batae gaye hain use sadhna kahte hain aur sadhna ka sidha arth hai kisi bhi bhog ki ichchha na rah jana jab tak ichchha hai tab tak sadhna mein badha hai aur sakal kal kamna hin je Ram bhagat ras leen jab koi kamna nahi koi ichchha nahi to apne chaitanya swaroop ko prapt ho jaega jitni kamnayen hain sab sharir ko le hai swaroop ko atma ko lekar ke nahi hai sharir ka rag chhute to kamna rahit ho gaya isi baat ki sadhna hai sadhna chah nahi bole hamari badi sadh puri ho gayi log kahte hain na sadh mane chah puri ho gayi aur sadhna chahna chah na rah hai aur sadhna mane chahna chahna prabhu ki prapti sadhna ka matlab hai chahna prabhu ki prapti ho jana sansaar ke bhogon ki chah na rah jana isi ka naam sadhna hai apni indriyon ko sadhna apne man ko sadhna indriy man ko prabhu mein laga dena isi ka naam sadhna hai hriday mein koi chah na rah jana isi ka naam sadhna hai prabhu ki chah mein bhar jana kab prabhu milenge?

kab prabhu ki smriti mein main dubunga. Kab prabhu ke liye main rounga? Isi ka naam sadhna hai.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • ekantik vartalaap evam darshan #1441 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • brahm gyani mahatma apna sharir chhota hai to uska sukshm sharir kahan jaata hai? — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1440 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • diwali par maharaj ji ke amritmay vachan | Diwali Special — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1439 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • ye 9 galtiyan aapki puri sadhna bigad sakti hain — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…