ekantik vartalaap evam darshan #1436
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
kaveri ji Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji kya andar ki shanti sangharsh se aati hai ya sweekar kar lene se aa jati hai andar ki shanti gyan se aati hai na sangharsh se aati hai na swikrati se aati hai gyan gyan se ate hain kyonki ashanti ka karan agyaan hai. Agyaan ke karan hi ham paristhitiyon mein, vipattiyon mein, dukh mein, bhogon mein fanse hue hain. Bhagwan ne kaha hai shraddwan labhte gyanam tatpara sahitendriya gyanam labdh param shanti param shanti machre aadi gachati jab koi shraddha karke sant mahatmaon ka sang karta hai shastr ka swadhyay karta hai to use gyan hota hai kya karna chahiye kya nahi karna chahiye kya karne se shanti milti hai kya karne se ashanti milti hai phir wo apni indriyon ko kabje mein karta hai abhi ham indriyon ke gulam wo apni indriyon ko apne adhin karta hai.
man aur indriyon ko adhin karke jab paramatma ka chintan karta hai tab use jo andar gyan prapt hota hai tab shanti prapt hoti hai. Jise shashwat shanti kahte hain. Ki bhari se bhari vipatti mein bhi uske hriday mein koi halchal nahi use shanti kahte hain. Prarambh ki shanti tyaga shantintam jo jitna bhogon ka tyag karta jaega utna hi wo shant hota jaega aur bogi purush ashant hota hai aur tyagi purush shant hota hai. To agar ham sangharsh se kahe to sangharsh se nahi gyan se gyan se prapti hoti hai.
ab ham swikrati karen ki main shant hoon to itne matra se shanti thodi aa jaegi. Koi vipatti aa jaegi. Ab ye shant ho jab hamare andar gyan hai ki vipatti kiske upar prabhav dal rahi hai? Yah kyon ai hai? Iska karan kya hai? Aur us karan ko jante hain ki hamare hi karmon ka phal hai. To ham bahut shant hokar nirapeksh hokar usko sah lete hain. Tab tab shanti rahegi jab gyan rahega. Agar gyan nahi to shanti nahi rahti. Kafi bar aisa hota hai ki gyan hone par bhi wo nahi ho pata. Iska kya karan hai hamare?
wo gyan keval aisi jankari jaise swapna mein ham dekhte hain ki ham jage hue hain. Ham karyrat hain lekin ham soe hue hote hain. Jage hue nahi hote. Unko gyan nahi hua. Keval vachik gyan hai. Asli gyan jab prapt ho jae. Bataya na jo andar se bhajan karne se gyan aayega. Tabhi ek aata hai shastriya gyan. Sun sunakar gyan aur ek hota hai andar ka gyan. Andar ka gyan shanti pradan karega. Jo bhajan karoge indriyon ko bhogon se hataoge aur jab asli gyan hai to hamen pata hai ki phir wo shanti bhang nahi hogi.
jab tak brahm gyan nahi hai, bhagwat gyan nahi hai tab tak to ashant rahega hi jeev. Aur jo dekho sant mahatmaon ko param shant har paristhiti mein shant. Badi se badi vipattiyan phir bhi sab shant. Nahi to pareshaniyan sabko ashant kar deti hai. Agar hamko vastvik gyan hai to badi se badi viparit paristhiti mein bhi ham aandit rahenge. Ham ashant nahi honge. Ham shant rahenge. Mahara ji us samay sadhak to kating karta hai andar se jo aap gurujanon ke vachan hote hain to maharaj ji siddhvastha mein kya iska bhi bhan nahi rahta wo sah bhan rahta hai sthiti nahi rahti wahan bhan to rahta hai jaise ab inke sharir mein ghav hai to hamen dikhayee to de raha hai sharir mein ghav lekin pida inko ho rahi hamen nahi ho rahi aise is sharir ki pida is sharir ko ho rahi hai hamen nahi ho rahi sthiti prajya mein yah sthiti hoti hai aur sadhak ise kaata hai ki main sharir to nahi hoon na yah sharir mera ghar hai.
main ismen rahne wala avinashi hoon. Aur jo siddh purush hota hai, wah apni sthiti mein hota hai. Wah bhagwan mein chitt ko jode hota hai. Iske jo kasht hote hain, bhan hota hai par uska dukh nahi hota. Bhan hota hai. Garmi hai to bhan hoga par uska dukh nahi hai. Sharir mein pida hai, bhan hoga par uska dukh nahi. Sadhak vivek ke dwara kaata hai ki nahi main sharir nahi hoon. Yah iska praarabdh bhog hai. Isko bhog lene do. Main iska dekhne matra drashta hoon. Main iska bhogta nahi hoon. Wah bar-bar aise kating karke wah apne aap ko bachata hai.
lekin jo siddh purush hota hai bacha bachaya bhagwan ki sthiti mein rahta hai. Usko dukh nahi hota kasht hota hai. Jaise pida ho rahi hai. Sir dard ho raha hai to sir dard hoga lekin sir dard ka dukh nahi hoga. Maharaj ji kating karte-karte kitna samay lagta hai maharaj ji us sthiti mein? Bhajan bhajan keval kating se nahi baat banegi. Uske saath-saath bhajan bhi bhajan jitna jor ka bhajan hoga utne jor ka vivek jagrit ho jaega. Bhajan nahi to vivek jagrit hua jo gyan hai na wo prayog mein nahi aayega. Gyan to sabko hai.
kisko gyan nahi ki sansaar nashvan hai. Kisko gyan nahi ki marna hai. Kisko gyan nahi ki sab kuch yahan chhut jaega. Lekin kaun sab usi mein to lage hue hain. Kaun usse virakta hokar bhagwan mein lag raha hai? Matlab bina bhajan ke shabdik gyan se bar mathe ghat hoe bar shikta te bar tel binu hari bhajan na bhatar ya siddhant pel bina bhagwan ke bhajan ke koi bhi gyan prayog mein nahi aayega. Prayog mein tabhi aayega jab aap dat ke bhajan karoge. Sansaar se hat ke bhajan karoge aur khub dat ke bhajan karoge tab to gyan vigyan sab andar jagrit ho jaega.
ji doctor vivek tangdi ji shri Radhe shri Radhe maharaj ji maharaj ji aap kah rahe hain ki aap ek mandir ke sevayat hain. Maharaj ji kah rahe hain ki bhaktjan bahut sare apni suvida anusaar sanskar ka chayan karke marg puchte hain. Matlab jo naveen pidhi puja ki ya sanskar haan marg suvida anusaar nahi hota. Marg shastr anusaar hota hai. Tasmat shastram prmanam te karya akar vyavasthitau karya aur akary ki vyvastha shastr pramanit hoti hai ruchi anukul nahi ruchi anukul manmani to bhogachran hote hain jo bhagwat aacharan hai wo shastr agyaa ke anusaar hote hain aur usi ke anusaar chalne se hamara mangal hoga ham apni suvida ke anusaar chalenge to hamara mangal apni suvida anusaar puchte hain to unko kaun sa aisa granth ya shastr ka udaharan dekh sabse badi baat hai ki jo rishi muni bole wah to bhagwan ki kripa se bole swayam bhagwan jo bole wah gita ji hai.
swayam bhagwan jo hai wo gita ji hai. Agar gita shastr ka swadhyay karen to usmen karm yog bhi hai. Bhakti yog bhi hai aur gyan yog bhi hai. Aur jab ham gita ki tika padhenge to mahapurushon ne badi suvida kar di hai. Uski badi vyakhya kar di. Jaise pujya shri Swami Ram Sukhdas ji maharaj ki jo tika hai sadhak sanjivni sampurn shastron ka sar usmen gita vyakhya mein kar diya hai. To padhna chahiye aur saral bhasha mein Ramcharitmanas hai. Padhna chahiye jisse hamara kya aacharan hona chahiye? Kaisa hamara dharm hona chahiye?
kaisa hamara karm hona chahiye. Yah gita Ramcharitmanas aur saral bhasha mein 18,000 shloko ki vyakhya Shrimad bhagwat mahapuran aur to phir vedant hai, shastr hai par agar in teen granthon ka swadhyay karen Shrimad bhagwat mahapuran shri [gala saaf karne ki aawaz] Ramcharitmanas aur shri gita ji to samyak rasta mil jaega paramarth jeevan ke jo vyavahrik sanskar hote hain jaise mundan hua janeu hua ismen bhi sab apneep suvida anusaar nahi ismen ismen brahm rishiyon ke brahm rishiyon ke vakya pramanit hai.
jo brahm rishiyon ne jo mahan purushan ne ek parampara rakhi hai. Itne varsh mein aise aise to waise hi karna chahiye. Aajkal yah manmani chal gaya hai ki byah ke samay ek do din teen din yagya pehle karva liye aur phir utar ke tang diye to buddhi bhrasht hai aur satmarg ka anusaran nahi hai. Hamare dharmashastra mein aisi kaun si pustak hai jismen bahut se granth hai bahut se granth jaise bahut si smritiyan hain. Jin smritiyon ko manusmriti parashar smriti in smritiyon mein in chhoti-chhoti baton ko bahut khol khol karke kaha gaya hai.
jaise parashar smriti hai, manusmriti hai aur bhi shastr hain. Ab jaise gita pres mein aap jaiye aap kah dijiye yagyopit sanskar ke liye hamko kaun si vani to wo khud apne aap aapko de denge ye yagyap sanskar ki vani hai. Aur sabse badhiya baat yah hai ki hamari purv parampara chali aa rahi hai. Us parampara ko ham tode na to shastron ke anusaar hi parampara chali aa rahi hai. Aath se lekar ke jo 12 13 varsh tak ka brahm rishi balak hai us balak ki jo hai sangopang yagyap par ye sab gurukul mein hote the. Samaj ki samasya yahi hai ki ekal parivaar hone ke karan ye sab vilupta hoti ja rahi hai.
haan nahi ab varn ashram ki mariyada ko manna kathin ho raha hai. Sabse pahli baat to yah hai ki varn ashram ki mariyada ko manna kathin ho raha hai. To phir shastr ka kaise sanyam lagu hoga aur jo hamari pratham mariyada hai brahmcharya brahmcharya naisthik brahmcharya sanyaas brahmcharya grihasth vanprasth sanyaas ye char jo vyvasthaye hamare shastron mein pehle hi kharab ho chuki girlfriend boyfriend ye jo dalit duraen chali hai jo amangalkari krit chale hain to ab wo kya shastr ko manenge jinki buddhi pavitra hona chahiye is avastha sthaa mein isi avastha mein buddhi bhrasht ho gayi hai.
jo vybhchar paraayan hai, jo vyasan paraayan hai, wah shastragya ka kaise palan kar sakte hain? Shastragya ka palan karne ke liye to pahla hi sutra hai ki janm se lekar ke jab tak byah na ho tab tak brahmachari rahna chahiye. Sabke liye hai. Brahmcharya ashram sabke liye hai. Grihasth ashram phir dviti phir vanprasth phir sanyaas aur moksh padvi ki prapti. To yahan pahli sidhi ni hi kharab ho gayi. Brahmcharya koi nahi rahna chahta. Sab apnep manmani vibhchar mein lage hue hain. Chhote-chhote bachchhe hain. Hath mein mobile hai.
gandi baten seekh gaye hain. Kisi na kisi prakriyaon ke wo gyata bankar apne brahmcharya ka nash kar rahe hain. To pahla hi ashram pahli hi varn vyvastha to kaise shastr? Shastr to tab lagu ho jab unke siddhanto ko aap palan karen. Unki shuruaat hi kharab ho gayi. Mata-pita ke prat kal uthkar ke bhagwan charan chhute the. Prat kal uth ke raghunatha mat pita guru nav mata aajkal bachchon mein kahan sanskar hai? Jawab dete hain mata-pita ko ulta jawab dete hain. Kathor vachan bolte hain. Jahan vidya vinay dene wali hoti hai.
wahan abhinay aur uddandta dikhayee deti hai. Naveen bachchon mein jo naveen bachchhe hain unmein vinay nahi dikhayee deta. Unmein uddandta dikhayee deti hai. To shastr agyaa ka palan koi virla hi kar payega aur jo shastr agyaa ka palan karega wahi mahapurush ban sakta hai. Wahi bhagwan ko prapt kar sakta hai. Wahi hamare samaj sevak ban sakta hai. Nahi to samaj sevak ke rup mein samaj ka shoshan hota hai. Seva kahan hoti hai? Seva to ek dikhava hota hai jo bahari hoti hai aur shoshan karke apni vasnaon ki karte hain.
to ye hai jo galtiya ho gayi usko sudhar kaise? Pehle galti pata chale ki kaun si galti to aaj ke bachchhe jo galtiya kar rahe hain haan satsang ke dwara ho sakta hai. Yadi ham sadh sang karen shastr swadhyay karen aur apne galtyon ko jinko ham jante hain galtiya unko niyam len ki ham dobara nahi karenge to sudhar ho sakta hai. Yadi sadhu sang nahi to shastron ki baten satmarg ki baten sunne mein hi nahi ayengi. Samjhne mein hi nahi ayengi. Jaise abhi is kuch vatavran mein sudhar shuru hua. Jaise hazaron log akar ke kahte hain ki hamara jeevan parivartan hua.
aapke vachan sune parivartan hua. To agar wah sadhu sang na sune satsang na sune to unka parivartan kaise hota? To sadhu sangh se aur shastr swadhyay se aur mani hui jo hamari galti hui hai ki hamne ye galti kiya hai usko aajeevan niyam le le ki dobara ham aisa paap karm nahi karenge. Ab nashani ab na naso aur naam jab bhagwan ka karne lage to sab paap nasht ho jaenge aur uske andar aisa bal aayega ki wo galtyon ko raund karke achchai par sadgunan ko wo sweekar kar lega. Par bina sadhu sang ke nahi ho sakta.
kanhaiya lal ji Rajasthan se Radhe Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji mujhe bar-bar apne purv paap karm ko dekhkar lagta hai ki mujh jaise nich ko shri ji kyon sweekar karenge maharaj ji haan purv papon ka aisa chintan karke hriday mein jalan karne se us paap ka jo prabhav hai wo nasht ho jaata hai aisa karna chahiye kritam smar kritam smaran shastr agyaa karta hai ki agar aap galat kiye ho uska bar-bar smaran karke jalan paida ho rahi mere se galti kyon ho to us paap ka nash hota hai aur ham patiton ko hi pavan karne ke liye bhagwan avatar lete hain.
to aisa nahi hai ki ham patiton ko bhagwan kyon sweekar karenge? Aspataal bane hi hote hain. Beemaron ke liye nahi bane hote. Wo svasth purushan ke liye nahi hote hain. Beemaron ke liye hote hain. To bhagwan ki sharanagati hai hi hai. Patiton ke liye bhagwan ka naam patit pavan din bandhu karuna varunalay. To agar ham patit hain to hamara nata hai bhagwan se. Unka naam patit pavan hai. Agar ham din hai to hamara nata hai bhagwan se. Unka naam din bandhu hai. Ham ar hain, dukhi hain to ar haran bhagwan hain. Hamare hamare bhagwan ke sambandh hain.
isliye hamen yah utsah rakhna chahiye ki ham jaise bhi hain bhagwan ke sharan mein hain aur bhagwan ke layak hain. Kyonki ham bhagwan ke ansh hain. Ham chahe jitna patit ho jae lekin ham bhagwan ke layak hain. Beta chahe jitna bada nikrisht aacharan kar baithe par wah kahega to apne bap ka hi naam to ham hai to bhagwan ke hi hamare ansh hi to bhagwan hi hai ishwar ansh jeev avinashi ishwar ka ansh hi to jeev hai to ham bhagwan ke hi ansh hai haan hamse galti ho gayi hamse paap ho gaye to he bhagwan hamen kshma karo ya dand do main aapki sharan mein hoon yah pakki baat hai ham shri ji ke sharanagati ke layak hain kyonki ham kisi layak nahi hai.
isiliye ham sharan mein ho rahe hain. To yah hamari sharanagati pakki sweekar karte hain. Chahe jitna bada durachari ho bhagwan ki sharan mein aa jae. Bhagwan kah rahe koti vipr badh lage jahu aae sharan tajhu nahi tahu karod vipron ke marne ka brahm rishiyon ke marne ka paap ho aur meri sharan mein aa jae to main use tyagta nahi bhagwan kah rahe hain jo nar hoi charachar drohi pure vishv ka droh karne wala ho ave sab sharan tak moh bhayabhit hokar bhagwan ke sharan mein aa gaya ki he bhagwan ab aapke siva hamari koi raksha nahi kar sakta to bhagwan use prannon ke saman rakhte hain jo sabhi awa sharnai rakho tai pran ki nai bhagwan use bahut pyar karte hain isiliye bhagwan hai wo isiliye bhagwan hai ki nich patit durachari ko bhi gale lagate hain aur uska kalyan karte jo pehle paap karte rahe wo bhagwan ki sharan mein hue to mahatma ban gaye.
brahm rishi ban gaye. Jo Ram Ram nahi kah pate the mara mara kahe wo brahm padvi ko prapt kar liye. Yahi bhagwan ki bhagwatta hai. Yahi bhagwan ki mahima hai ki ham patiton ko bhi wo pavan kar dete hain. Ham din janon ko bhi wo gale lagate hain. Ham asmarth asahay ko bhi wo sahayata karte hain. Ham wo agar dekhe hamari taraf dekhen to hamara kabhi kalyan na ho. Wah hamari taraf na dekhkar apne swabhav ki taraf dekhte hain. Apne prabhav ki taraf dekhte hain to usi se hamara kalyan ho jaata hai. Siddhi shah ji, ahmedabad se.
Radhe-Radhe maharaj. Radhe-Radhe maharaj ji. Maharaj ji, bhakti karne baithe, to kabhi wah apni jo asphaltaen mili hai jeevan mein, uska smaran karta hai jiske karan sahi se bhakti nahi ho pa rahi maharaj ji. Bhakti mein man sthir nahi ho raha maharaj ji. Haan, man ko mehnat karne par bhi man ko bar-bar jab hamara man lakshya se hate. Lakshya kahte jaise ham Radha Radha japne baithe. Wo bar-bar galat chintan karta hai ya bhut ka chintan karta hai ya bhavishya ka chintan karta hai to hamko us chintan se hata ke naam mein lagana hoga.
yah abhyaas karna hoga. Abhyaas yog yuktan chetsa nanyagamina yadi ham bahut samay tak aisa abhyaas bar-bar karen ki jo naam chhodkar man bar-bar sansaar mein ja raha hai use bar-bar naam mein lagaen. Bar-bar naam mein lagaen to yah lagne lagega. Ya jahanjahan man jae vahanvhan bhagwan ko dekhne ki cheshta karen ki jab srishti nahi thi tab bhagwan the. Jab srishti nahi rahegi tab bhagwan rahenge. To beech mein bhagwan hi to hain. Jis rup ka dhyan ho, jis vastu ka dhyan ho, jis vyakti ka dhyan ho usmen bhagwan ki bhavna kar lo to aapka bhajan accha hone lagega.
do prakriyaen apnao. Ek to jahanjahan man jae wahan wahan se hata ke apne lakshya mein lagana ya jahanjahan man jae wahan koi vastu ho koi vyakti koi padaarth ka chintan hoga to use bhi bhagwan dekhna ki ismen bhi bhagwan virajman koi kan aisa nahi jismen bhagwan virajman na ho yadi ham bhajan ke samay aisa chintan karenge to dhire-dhire man jab pavitra ho jaega wo bhagwan mein lag jaega par dirgh kal tak aisa abhyaas karna padega ye koi do char din mein aisa nahi ki do char din ham karen aur hamara man man bhagwan mein lag gaya dirgh kal tak.
ab jab tak hamara man nirmal nahi hoga tab tak wo chanchal hokar bhagta rahega. Jahan nirmal hua to jis jap mein lage usi mein lag jaega. Aur man abhi swad nahi paya bhajan ka isliye bhagta hai. Nahi to dekho aap log aapke manokul film ho to teen ghante man kahin nahi bhagega. Nahi bhagega. Na bhagwan ka bhajan hai na satya hai jhuthi hai. Koi bhi film jhuthi to rachi jati hai. Puri ki puri 100% jhuthi rachi jati hai. Lekin ham paisa dekar ke bhi jhutha drishya dekhne mein itne tanmay ho jaate hain ki teen ghante kab vyatit ho gaye pata nahi chalega.
manokul hona chahiye. Agar aise hi bhagwan mein swad mil jae bhagwan ke naam mein bhagwan ke rup mein to phir man nahi bhagega. Kabhi usko swad nahi mila to sansaar ki taraf bhag raha hai. Jahan swad milega to nahi tab tak hamko ye pareshani karni hai ki bar-bar usko hata ke na ye pareshani hi hai ki ab ham bhajan mein baithe hain. Ham shant hona chahte hain. Wo ashant kar raha hai to bar-bar usko hata hata ke bhagwan ke naam mein lagane se wo karat karat abhyaas ke jad mat hot sujan rassi aavat jat hi sil par hot nishan.
to aise hi man phir abhyaas ke karan wo bhagwan mein lag jaata hai. Nidhi Jain ji Gujarat se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji mujhe bahut adhik nakaratmak vichar aur adhik dar satata hai. Man apne nirantran mein nahi rah pata. Ye bahut khtrnak ki had ho gayi hai maharaj ji. Yah bahut khtrnak sthiti hai. Agar nakaratmak soch bani rahi to depression mein pahuncha sakti hai aur pareshaniyan paida kar sakti hai. Jab yahi soch zyada badh jati hai to sharir ke nash ki bhi salah dene lagti hai. Nakaratmak soch bahut kharab chij hai.
yah paap se aati hai. Jab hamare se koi paap ban jaata hai is janm mein ya purv janm mein wah jab savar hota hai to dekho chahe jitni viparit paristhiti ho agar sakratmak bhav hai to ham usmen bhi aandit rahte hain. Bhagwan ki kripa hai. Aaj ai hai paristhiti badal jaegi. Jaise din nahi raha raat ai aise raat nahi rahegi. Din aayega. Aise sukh aur dukh hai. Dukh aaya hai to sukh aa jaega. Sukh hai to phulo mati dukh ane wala hai. Ek kram hai iska. To hamen chahiye ki nakaratmak soch ko ham nasht kar den. Bhajan bal ke dwara ham khub naam jap karen aur apni nakaratmak soch ko choden aur bhay karne ki zaroorat nahi.
sarvatra bhagwan hain. Jab jisko jahan marna hai aap na ave aap par tai tahan le jae wah wahin jaega. Waise ghatna ghategi. Waise paristhiti ban jaegi. Ek bar marna hai 100 bar marna nahi to na marne ka dar hona chahiye na aur koi bhay hona chahiye. Naam jap karo aur achhche aacharan karo aur bhagwan ki kathayen suno. Bhagwan aur bhakton ke charit sunne se bahut jaldi hriday pavitra hota hai. Ji aryan maurya ji Radhe-Radhe maharaj Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji mera sawal hai ki ham yuvaon ko apne kariyar aur vyaktitva vikas donon ka samanjasya kaise bithana chahiye?
apne vikas ke prati age badhna hai. Jab tak bachchha adhyatma jeevan mein nahi hoga tab tak vinash ki or to badh sakte ho. Vikas ki or badhna sambhav nahi. Yahan jo kuch dekh rahe ho sab vinashi hai. Aap beimani karke rupya kama sakte ho. Aap ghas dekar ke kisi doctor ban sakte ho. Koi pad prapt kar sakte ho. Lekin wo sab vinashi hai. Char din baad jab tumhare pran chhut jaenge to sharir hi chhut jaega, pad chhut jaega, bank balance chhut jaega to isko vikas ham kahe ya vinash kahe. Vichar karke dekhiye.
vikas to tab hai jab lokar ki bhi gati hamari achchhi ho. Hamen bhagwan ki prapti ho ya bhagwan ke dwara aise uttam phir hamara janm ho. Ham uttam karm karne wale bane. Hamare andar sadgun ho. Ham paropkar karen. Samaj ko sukh pahuncha sake. Iske liye adhyatma ki avshyakta hai. Ham agar adhyatma se nahi jude, shastron ke anusaar nahi chale. Dekho kitna ganda mahaul hai navyuvkon mein nasha karna aur yah gandi baten karna hai ki nahi badh raha hai kai kai ladkiyon se kai kai ladkon se aise gande sambandh banana ye sab kya hai jo girlfriend boyfriend chal raha hai ye sab kya hai yah vinash ki taraf hai ya vikas ki taraf hai aap vichar karke dekho brahmcharya ka nash karna pavitra ka nash karna man ko gande sanskar dena yah to vinash ki taraf ja rahe ho.
iske baad phir vyasan karna. Phir iske baad vyasan ke liye udandta karna, hinsa karna, chori karna, apne mata-pita ko pratdit karna yah sab vinash ki baten hain. Bachchha agar ham laukik aur parloulik donon unnati chahte hain to hamen adhyatma se judna chahiye. Hamen satsang sunna chahiye. Hamen shastr swadhyay karna chahiye aur bhagwan ka naam jap karna chahiye. Aur apne mata-pita budhe janon ki seva karni chahiye. Unke charnon ke ashirwad se hi ham age badhenge. Aisi bhavna rakhni chahiye. Apne bujurgo ko bhagwan ki tarah puje.
agar unka ashirwad mila to bhagwan ka ashirwad mila. Agar unka mangal bhavna hamare prati bani rahe to samajik aur parmarthik donon unnati hamari hoti rahegi. Hamara naam jap, shastr swadhyay, satsang aur seva yah hamare jeevan ko utha degi. Aur jiske jeevan mein yah nahi hai to wo jeevan vinash ki taraf badh raha hai. Bhale wo apne ko samjh raha hai. Main vikas ki taraf ja raha hoon. Yahan vikas nahi hai. Yahan vinash hai. Ant ka dekhna hota hai. Parinaam buddhiman jan parinaam dekhte hain. Jo murkh hota hai wo vartman ke sukh ko dekhta hai.
jo buddhiman hota hai wo bhavishya ki baat sochta hai ki yah jo karya kar raha hoon iska parinaam kya hoga? Iska bhavishya kya hoga? Jo viveki hai wah parinaam dekhta hai. To parinaam yahan jo kuch bhi hai wah sab vinashi hai. Agar hamne bhagwan ka bhajan nahi kiya, sad aacharan nahi kiye, parivaar mein ham shanti prem nahi bana paye, samaj ko ham paropkar ke dwara sukh nahi pahuncha paye to hamara jeevan vinashi aur vinash hi kama paye. Avinashi kuch hath mein laga nahi. Avinashi hai bhagwan ka naam bhagwan ka dhyan bhagwan ka chintan karte hue bhagwat bhav se samaj ki seva samjh pa rahe ho aap ji Harivansh maharaj ji maharaj ji maine sankalp liya tha Baba vishvanath ji ke samne ki brahmcharya nasht nahi karunga lekin kuch mahine mein tut gaya he prabhu bacha lo kya bhagwan mujhe maaf karenge abhi sankalp se kam nahi chalta savdhani se kam chalta hai agar aap hastmaithun ka abhyaas dridh kiye hain aap mobile mein gandi baten dekhte aap ganda sang karte hain to aap hanuman ji, Ram ji, shankar ji jinko chaho hath mein le lo.
nahi ganda aacharan chodo. Kasam sankalp nahi karna chahiye. Kasam nahi khani chahiye. Ham abhyasat hain. Pryasrat hain. Ham aisa prayas karenge ki jeevan mein na ho. Kasam nahi kha rahe. Agar ham prayas mein phayl ho gaye. Phir ham prayas karenge. Phir prayas karenge. Aise karna chahiye. Kasam nahi khani chahiye. Kasam kisi baat ki nahi khani chahiye. Ham prayas karenge bhrpur pranpan se tutne nahi denge par kasam nahi khate. Agar tut gaya to koi aparadh nahi kyonki hamne kasam nahi khaya hai. Ham phir uska prayas karte hain.
aise prayas karna chahiye aur jab do char varsh nikal jaen tab kasam kha sakte ho. Ki ab main kasam khata hoon ki bhul karke bhi main aisa karya nahi karunga kyonki char varsh 5 varsh ho gaye. Main sanyam se chal raha hoon to kasam khai. Kasam bigdail mein nahi khai jati. Kasam banne par khai jati hai. Bigdail mein to praytn kiya jaata hai apne bigde swabhav ko sudharne ka. To dekho vishvanath ji pita hain. Param gyani gyan ke samudra hain. Ham jaise agyaniyon ki baton par wo dhyan nahi dete hain. Isliye daro mat.
ab apne ko sudhar karo. Hamko chahiye ki ab ham sudhar karen. Jahan hamse galti ho rahi wo galti ki duri baname. Jab hastmaithun ke liye man kahe to bilkul aisa samjho mere hath tut gaye hain. Main bilkul nahi karunga. Agar zyada man pareshaan kare to bahar nikal kar tahalne lago. Radha Radha Radha Radha Radha usse bacho. Ab agar aap aisi kriya ko sahyog karoge to phir to patan ho hi jaega. Aur hamara kai janmon ka abhyaas galat hai. Accha abhyaas to ab ham shuru kar rahe hain aur bura abhyaas to bahut janmon ka hai to hamko gira to dega hi isliye bahut savdhaan rahna chahiye.
doctor sonu Yadav ji bihar Radhe-Radhe maharaj Radhe-dhe maharaj ji maharaj ji aap kah rahe hain ki aap imarjensi vibhag mein duty dete hain aur gambhir rogi ate hain to unhen jyadatar rogi kripa se theek ho jaate hain ham jitna prayas karte hain kafi bar aise hota hai ki rogi ki sthiti kharab ho jati hai pariviarik jan bahut gali nikaalte hain sambandhiyan duryvhaar karte hain maharaj ji aisi ghatna man mein niklti nahi hai maharaj ji aur phir bahut zyada matlab waise chahiye ki marij ke parivaar walon ko chahiye ki yah vidhan bhagwan ke dwara rachit hai jeev ke karm ka.
ab jaise ek serious aata hai aur svasth hokar chala jaata hai. To iska matlab hai doctor aur teknashiyan apna karya pura kiye na aur ek aata hai wahi doctor hai. Wahi teknashiyan hai. Wahi seva karne wale hain. Par wah asfal ho jaata hai. To usmen marij ka bhi to praarabdh hota hai na. Marij ko bhi to dukh bhog karke man lo mrityu prapt karni hai to wah amar thodi doctor ki itni samarth thodi ki amar kar de to hamen lagta hai gali galauj to nahi karna chahiye ladai jhagda nahi karna chahiye haan daktron ko bhi chahiye aae hue marij ko bhagwan ka swaroop samjhkar jitna apna gyan hai uske anusaar waise aushadhi karke svasth karne ki puri cheshta karni chahiye usmen tanik bhi pramad nahi hona chahiye aur jo marij ke jan hain unko yah bhi vichar karna chahiye ki is jeev ka praarabdh bhog hai.
wah kahan gyan hai us samay us samay mamta ke karan gyan kam to karta nahi. Wah apna prayas karta hai. Tumhara jeevan bhay age to bachoge nahi hai to mar jaoge. Chahe jitna bada sarjan ho chahe jitna bada doctor ho jeevan dan paramatma ke dwara hai. Wo jitne svase nischit hai utni hi svase rheng aur antim swas hai to chahe brahma aa jae to bhi nahi bacha sakte. Doctor ki to baat jane do. To isliye hamen lagta hai marij ke parivaar walon ko is baat ko lekar ke ki asflata prapt hui to doctor ki kami hai.
aisa nahi sochna chahiye kyonki prayah jo doctor hi padhe hote hain to unka vichar hi yahi hai marij ko svasth rakhna. Ab koi pramadi ho, koi galat ho to ham nahi kah sakte kyonki kabhi-kabhi aisi bhi shikayat aati hai koi ho sakta hai hazaron mein daktron mein koi ek adh pramadi aisa ho ki jo marij ki avastha ko dekh ke pramad sthiti mein sahi dawa ya sahi operation aadi saphaltapuk na kar pave. Nahi to prayah doctor prayah bhagwan ke swaroop mane gaye hain aur wah aisa hi upay karte hain ki marij svasth ho jae.
par marij ka bhi to bhagya hai. Agar usko dukh bhogna hai aur marna hai to phir koi bhi doctor nahi bacha sakta. Isliye chahiye ki aapko prasann rahna chahiye. Wo log galat hain jo is tarah ki gali galauj karte hain. Aapki usmen koi galti nahi hai. Haan apni taraf se koi pramad sthiti koi galti hone na pave. Hamma.
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- ekantik vartalaap evam darshan #1441 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- brahm gyani mahatma apna sharir chhota hai to uska sukshm sharir kahan jaata hai? — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- ekantik vartalaap evam darshan #1440 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- diwali par maharaj ji ke amritmay vachan | Diwali Special — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- ekantik vartalaap evam darshan #1439 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- ye 9 galtiyan aapki puri sadhna bigad sakti hain — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…