sakhiyon ke prem ka adbhut varnan
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
upasna aur dikhava donon alag-alag hai. Upasna dainyta aur gupt dikhava ahankaar aur pragat prakashit kar dena. Upasna chhipav aur vasna chhapav. Chhap jana aur chhip jana bada antar hai. Jab koi chhipkar sadhna karta hai aur uski sadhan vritt bhagwat anand ki taraf badhti hai to bhagwan ke pratap se swayam uska yash fail jaata hai. Yadi wah us yash ka bhogta na bane to bhagwan ki kripa se uski bhagwat prapti mein koi badha nahi ho sakti. Yadi yash ka bhogta ban gaya to thoda vilumb ho jaega. Kanchan, kamini, kirti ye teen aisi khaiyan hain jinme prayah lagbhag sab gir jaate hain.
koi birla nikal pata hai. Chalan chalan sab koi kahe birla pahunche koi ek kanchan ek kamini durlabh ghati doe. Yahan kirti ko abhi nahi liya. Kaha ki chalna chalna sab koi kahte hain bhagwat marg mein par koi birla pahunch pata hai nahi to ek kanchan ek kamini ye do ghatiyan aisi jismen mar ke gira diya jaata hai ab kanchan tajna sahaj hai sahaj tiya ka ne man badhai irshya durlabh tajnae man sakte hain aap dhan ke tyagi aap kam bhog ke tyagi hai par prashansha yash kirti apni aur dusre ki yash kirti badhti dekhkar ke irshya matsarta isse bach pana bahut kathin hai.
jo isse bhi bach jae tab riddhiya siddhiya jo inse bhi bach jae tab wah moksh aadi jab inse bhi bach jae tab prem aur prem ka charm rup sahachari swaroop shripad Prabuddhanand ji maharaj kah rahe hain sada Radha Krishna pranlay pulka shrud gamam bhut kishori kandpa kul kanak Gaurang latika prasad shagwasta bharan krit bhoosh pranay prapad shri Vrindavan bhumi vichitra khil kala maha prem ras mein dubi hui shri ji ka prasadi chandan shri ji ke prasadi vastr abhushan dharan kiye hue Priya pritam ke prem ras mein dubi hui jo kinchin matra bhi kahin na to swa ka smaran hai na swa sukh ki chah hai keval tat sukh Priya pritam ke prem sukh mein nimgn aisi sachariyo ki main vandna karta hoon Priyaju ke prem ki mahavatti mein Lalaju maharaj apne aap ko vismrit kar dete hain.
aur Lalaju ki asakti dekhkar ke Priya jo apne aap ko bhul jati hain. Aur aise Priya aur pritam donon ki asakti se yukt hokar sahchariya param chaitanya chetna yukt rah ke Priya pritam ki seva karti hai. Isliye sabse bada prem sakhiyon ka jo Priya pritam ke prem mein ashwadhara pravahit karti hui atyant sundar deh wali Priyaju [gala saaf karne ki aawaz] ki sahcharya kaisi hai atyant sundar deh wali karod karod lakshmiyon ko bhi ashcharyachkit kar dene wali sundarata shri ji ki dasiyom mein hai sahcharyon mein hai wo ras se akul swarn gaur deh wali jo hamari priyaju hai inki thesak mein bhari hui aur pritam ko priyaju ke sukh mein nimgn karne mein badi praveen sakhiya jo samasth kalaon mein janne wali kishori ganon mein sarvshresht hain.
aisi sakhiyon ko main Vrindavan ki bhumi se bar-bar pranam karta hoon. Aisa kyon kaha Vrindavan ki bhumi se? Kyonki bina Vrindavan bhumi ke sakhiyon ka prichay hi nahi mil sakta. Jab tak Vrindavan ki raj ka sevan nahi hoga tab tak sakhiyon ka prichay nahi ho sakta. Shri dhruvdas ji balhari jaate hain sakhiyon ki ho nij sakhiyan ki balhari jugal priti ar rup jinah ke jeevan yah sudhari ho nij nij sakhiyan ki balhari Priya pritam ki nij sakhiyon ki main balhari jati hoon. [gala saaf karne ki aawaz] sakhiyon ka jeevan kya hai?
yugal sarkar shri shyama Shyam shri shyama Shyam ladli lal ki priti hi ladli lal ka sukh hi ladli lal ki seva hi sakhiyon ka jeevan hai. Sakhiyon ka jeevan ladli lal ladli lal ki priti ladli lal ki seva yahi sakhiyon ka jeevan hai. Aisi nij sakhiyon ki main balhari jaata hoon. Nain mag hoe pan karat din tah ras mein rahe leen sah na sakat pal pal kan antar jaise jal mein meen har samay sakhiyon ke netr shri Priya pritam ki rup madhuri ka pan karte rahte hain. Ek kshan ke liye bhi koi sakhi Priya pritam se vilag nahi hoti.
jahan aisa varnan hai ki koi sakhi nahi hai to phir leela ka varnan kaun si sakhi kar rahi hai? Agar koi sakhi nahi hai to wo jo varnan kar rahi sakhi usne kaise us leela ko dekh liya. Iska antarik bhav hai ki Priya pritam ko pata hai ki koi sakhi nahi dekh rahi. Lekin sab sakhiya dekh rahi Priya pritam ko kyonki ismen spasht varnan hai sahi na sakat pal pal kan antar jaise jal te meen ho nij sakhiyan ki balhari ek palak jhapakne ke antar ko wo sakhiya sah nahi sakti jaise aise jal se machhli ko alag kar do tadap kar pran tyag degi.
aise ek nimash matra ke liye bhi Priya pritam se vilaksha sakhiya nahi rah sakti. To phir leela mein jaise varnan hai ki yahan koi sakhi nahi hai. Priya pritam khel rahe hain. To ye Priya pritam ko pata hai koi sakhi nahi. Par sab sakhiya kunj randhon se Priya pritam ko dekh rahi chhup ke. Chhin chhin naval Priya sukh chahat aur na man kachu bhavat hit dhruv jih vidhi ruchi pyari man tah tah bhanti ladavat jaisi ruchi hamari Priya ji ki yah hai siddhi hamare Priyaju ki is samay kya ruchi hai? Yah sakhiyon ke man mein aa jaata hai.
kyonki sakhi ka man, Priyaju ka man, Lalaju ka man ek hai. Priyaju ke man mein jo aaya wahi sakhiyon ke man mein aa gaya. Sakhiyon ke man mein aaya wahi priyal ke man mein aaya. Sakhiyan ki usi ai byah vinod rach sukhdai. Usi samay dulha dulhan bankar byah ke liye raji Priya pritam chhin chhin naval Priya sukh chahat sakhiyon ka sukh kya hai pal pal mein Priya pritam ko sukh pradan karna ab kaun sa sukh pradan karen ab kaun si leela ab kaun si ritu ab kaun sa gaan kaun si rag ragini kaun sa bhav yah sab sakhiya pratiphal pravinta purvak Priya pritam ko sukh pahunchane ke liye chintan karti rahti aur na man kachu bhavat kuch hai hi nahi man mein Priya pritam ke siva kuch nahi hai tabhi to grah nakshatra tirth aadi aadi
ye sab bahut dur srishti aadi varta keval apne ladli lal aur unhee ke dular mein magan ye bahut samta hua prem ka marg hai prem gali ati sa mein donon samae jaise pucha jaata hai ki aapka man nahi hota ki aap amuk jagah jae aap amuk jagah jae man to tab hona jab hamare paas ho ek ho to so gayo Shyam pe ab ko aradhe i Udhav man na bhay da 20 ek tha wo Priya pritam ke charnon mein ab kahan kiski aradhna karne ke liye man bhi to chahiye na aur man hai nahi to man ke bina kya aradhna hogi man to gaya Priya pritam ke charnon mein gaya agar nahi gaya to use sanjo kar tayyari rakho pahunchane ke liye keval Priya Priya pritam hamen aur kuch nahi chahiye aur isse badi baat kya hogi jiske hriday mein Priya pritam bilas rahe hain Priya pritam vihar kar rahe hain wo hriday dhanya ho gaya chhin chhin naval Priya sukh chahat aur na man kachu bhavwat hit dhruv ji vidhi ruchi pyari manti bhanti ladavat jaisi pyari jo ki ruchi sakhiya waise hi sab samjh vidhan karke Priya pritam ko sukh pahunchati ho nij sakhiyan ki
balhari aisi sakhiyon ki balhari mahan shang naam sahaj madhuratma priy katha ab sakhi bhav ki kaise prapti hogi bole jo sabse alag hai aise mahapurush ka varnan karo maha nishanga naam kafi tha nishanga naam kisi ka sang nahi kisi ka rang nahi apne prem marg mein sabse badi baat hai hamse koi sadhan bane na bane ham bilkul apne ko priyal ke liye dharohar ke rup mein rakhe baithe hain. Jab chahe tab le lo aapki vastu hai is par hamara koi adhikar nahi. Sharir par, man par, indriyon par, vani par aur swayam par mera ab koi adhikar nahi.
ye aapki vastu hai. Yah hai asang hona. Ham asangta ko ekdam bahar lete hain ki kisi stri purush se na milna asangta hai. Yah to bahari asangta hai. Antarik asangta hai ki sharir se, indriyon se, man se, vani se, kriya se aur swayam se ham asang hai. Kyonki yah sab kuch dharohar hai Priya pritam ki meri nahi hai. To mahan nishanga naam jo sabse asang hai aise pehle mahapurushon ka sang ho. Pujya Sadgurudev bhagwan abhi jo drishti mein Vrindavan ras mein sahachari bhav mein itni unchai par pahunche hue mahapurush shri Sadgurudev bhagwan kisi se koi matlab nahi ye to abhi char din hue hain logon ka judna kisi se koi matlab nahi kamdal chhadi wo rahni 20on varsh se ek hi rahni ek hi khanpan ek hi khanpan aaj kuch aur aisa kabhi nahi dekha do roti roti sabji sham ke aadha liter doodh shri ji ka bhog 12 mahina 12 mahina wahi roti wo to uchchishta mein milti hai aur don varsh seva mein sarkar ki rahe
to wahi man badalne wali koi chij nahi wahi utna hi jitna utna hi roz shri ji ko mahan shanga naam kabhi kisi se koi matlab nahi kisi se matlab nahi mahan sang naam bas apne Priya pritam mein tript raat din Priya pritam aise mahapurush ka sang ho nit dharman sang anya nahi nit ek dharman sang to rang bharat nit nit saras nit nit prem abhang yah jo kripa Harivansh ki nirakhat nitya vihar pulkit tan romavli anand nain sudhar yah jo kripa Harivansh ki nitik dharm sang mahan sang naam sabse alag sabse alag kahin koi utsah nahi na dekhne ka na milne ka na khane ka na pine ka na jane ka na ane ka baith gaya man Priya pritam ke charnon mein mahan shanga naam sahaj madhuratma priy katha uska vyasan ban gaya hai Priya pritam ki charcha karna sunna bhagwat charcha karna ek nasha ban gaya hai sahaj mein aisi aisi priyata hai ki bina satsang sune bina bhagwat charcha kiye bina bhagwat charcha sune uska samay par nahi ho sakta.
uska nasha hai. Prasang naam prem pulak galdas kulgiram aur jab priyal ka prasang charcha kare to gadgad kanth ho gaya. Ashru dhara bah rahi hai. Apare shri Vrindavan ras maha vihartam siro mein sollasam wah mahtam shri pad apaar sansaar samudra se bilkul vilag prem samudra Vrindavan mein nitya vihar karne wale shyama Shyam mein asaktit aise mahapurushon ke charan raj mastak par dharan karne ki akanksha karta hoon. Shripad kah rahe hain jo sabse alag hai. Kisi se koi matlab nahi. Keval Priya pritam keval Priya pritam prem tabhi hota hai jaise Meera ji kah rahi jake sir mor mukut mero pati soi mere to Giridhar gopal dusro na koi aise hi Priya pritam ke siva mera koi nahi mere to shyama Shyam dusro na koi ekmatra shyama Shyam ki akti bas aur sab bhajan ka sar hai ananyata aur ananyata ka swaroop hai kahin man na chale chale apne isht ke siva agar chale to ananyata nahi shri dhruvdas ji ne kaha aise mahapurushon ka sang mil jae jo nishanga naam mahan nishanga naam aise mahapurushon ka sang mil jae jinka swabhav ban gaya hai Priya pritam ki charcha karna bhagwat charcha karna bhagwat charcha sunna aur bhagwat charcha karte karte ashubh pravah hona gala avrudh ho jana romanchit ho jana to shripad kah rahe hain aise mahapurushon ki charan raj main mastak par dharan karne ki akanksha karta hoon.
kyonki aisi charan raj dharan karne par wahi ras aa jaega jo unke hriday mein hai. Jinke jane janie yugal chandra sukumar shri dhruvdas ji ne likha hai unki charan raj mathe par dharan karo aur unko Priya pritam se bhi badhkar mano. Tinko tanu te adhik Priya pritam se adhik bhav un rasik mahapurushon mein ho jinke prichay karane se hamara Priya pritam se prichay hua hai. Ek board mein aaj likhe hue the ki jo janna hai wo yahi jana ki tumhen jana nahi ja sakta. Galat likhe ho tum. Jo janna hai wo yahi janna hai ki hamara tumhara sambandh kya hai?
jana nahi ja sakta. To itne brahm rishiyon ne jana kya? Jhooth jana kya? Itne mahapurushon ne jana samyak rup se jana par wo anant hai isliye ek shabd kaha jaata hai ki samyak rup se jante hue bhi purn jana nahi ja sakta kyonki wo anant hai wo bahar ki baat hai Vrindavan mein nahi jo ras ne shruti bhako ta adh sudha ras chakhyo Vrindavan mein bolda kam nahi karega ki janne mein keval yahi jana ki tumhen jana nahi ja sakta nahi tumhari ragrag jante hain tumhari ek ek harkat jante hain. Kaise jante ho?
tumhare naam ki kripa se, tumhare pavan charit ki kripa se, tumhare charnon ke aashray se aur janat tumhen ho jae. Aur aapki kripa se jab aapko jaan gaye to phir aap aur aap mein koi antar nahi rah jaata. Hamare ko janna itna hi hai ki hamara kisi se sambandh nahi. Inhi se sambandh hai aur inse kya sambandh hai ye guru bataenge. Aur Gurudev ne jo sambandh bata diya usi ko siddh kar le. Ho gaya jeevan ka param labh.
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- ekantik vartalaap evam darshan #1441 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- brahm gyani mahatma apna sharir chhota hai to uska sukshm sharir kahan jaata hai? — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- ekantik vartalaap evam darshan #1440 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- diwali par maharaj ji ke amritmay vachan | Diwali Special — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- ekantik vartalaap evam darshan #1439 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- ye 9 galtiyan aapki puri sadhna bigad sakti hain — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…