ekantik vartalaap evam darshan #1437
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
eesha ji dubai se Radhe Radhe maharaj ji mujhe step bye step batayen ki jisse mera man shant ho jae matlab kaise chalun shuru kahan se karun aur kahan tak iska bhojan sudharo sabse pehle bhojan sudharo alphar karo nind sudharo nind sudharne ka matlab 5 ghante ya chha ghante jo time rakho wah ratri mein hona chahiye aur brahm muhurt mein uthna chahiye. Agar step bye step chalna chahti ho to pehle bhojan sudharo. Aapka bhojan satvic hona chahiye. Pavitra hona chahiye aur dharm ke dwara kamae hue dhan se hona chahiye.
dusra aap apni nind sudharo. Nind mein 6 ghante sone ko hone chahiye. 10:00 baje se lekar 4:00 baje tak kitna samay hua? Haan. 4:00 baje theek brahm muhurt mein uth jao. Agar aapko theek chalna hai, bhajan karna hai to ye 7 8:00 baje tak jo 9:00 baje tak sote hain ye step bye step bhajan kar payenge. Unka jeevan hi vyarth hai. Surya bhagwan uday hue aur jo saiya mein so raha hai uski ayu shri kirti buddhi sab nasht ho jati hai. Jiska bhojan theek aur jiska shayan theek aur jaban sudharo har samay naam jap karo maun ka aashray lo.
agar uttar dena hai to uchit shabdon ka uttar do. Vyarth ki varta na karo. Vani sanyam mein jiska sunna sanyam mein ham gandi baten na sune. Prapanch na sune bhagwan ki leela katha sune bhagwan ki charcha sune sant vani sune shastron ki vani sune to hamari shravan indri pavitra jab hamari ek ek indri pavitra ho jaegi tab hamara man bhagwan mein lagne lagega aur samasth shastron mein varnan hai naudha bhakti se shreshth koi sadhna nahi hai jo shravanam kirtanam smrnam Vishnu pad sevnam archanam vandnam dasy sakhya atmasmarpanam isse badhkar ke koi shreshth bhakti nahi hai.
nau prakaar ki bhakti hi prem lakshna bhakti pradan karti hai. Par ham pehle apne aacharan sudhare. Har indriy ko pavitra karen. Ab jo vybhchar karte hain gandi adte gande acharno mein aur wah soche ki ham bhakti to bhakti ka natak kar le. Bhakti nahi ho sakti. Bhakti hoti hai pavitra indriyon ke dwara. Ab jo gandi baten dekhenge mobile mein gande aacharan karenge ganda bhojan payenge hotlon ka bhojan payenge manmani jage manmani soen manmani aacharan karen aur adhyatma nahi ho sakta wo manmani aacharan unko narak durgati ki taraf le jaega bhagwan ki prapti ki taraf nahi le jaega to isliye pehle sunna theek karo dekhna theek karo bolna theek karo sona theek karo bhojan theek karo aur phir nau prakaar ki bhagwan ki bhakti ko apne hriday mein dharan karo.
bhagwan ka hi shravan, bhagwan ka hi kirtan, bhagwan ka hi smaran, bhagwan ka hi pujan, bhagwan hi hamare mitra hain. Bhagwan hi hamare Swami hain. Bhagwan ko atmsamarpan archan vandan isi se bhagwat prem prapt ho jaata hai. Ji eesha Yadav ji Hyderabad se. Radhe-Radhe maharaj ji. Maharaj ji jaise hamara apne parivaar janon se moh hota hai. Kya waise hi hamara apne Gurudev ke prati moh hota hai ya sneh hota hai? Maharaj ji ye kaise pata chala? Moh nahi hota. Gurudev se prem hota hai. Jo sat marg mein hai use prem shabd kahte hain.
aur jo asat se hai use moh kahte hain, rag kahte hain, asakti kahte hain, sneh kahte hain. Asat hai panchbhuton se rachit ye sharir. Jab ham Gurudev se prem karte hain to Gurudev hamen bhagwan ka naam sat, bhagwan ka rup sat, bhagwan ki leela sat, bhagwan ka dham sat yah sat ka sang karate hain. Isliye Gurudev sat swaroop hai. Guru brahma, guru Vishnu, Gurudev Maheshwara, guru sakshat param brahm, tasmai shri guruve namah, guru sakshat param brahm hai. Gurudev koi panchbhut sharir nahi hai. To jab ham Gurudev se pyar karte hain to wah hamare Shastri paddhti mein wo prem mana jaata hai.
dhyan mulam guru murti puja mulam guru padam mantr mulam guru vakyam moksh mulam guru kripa to Gurudev bhagwan hai na ki manushya to Gurudev se jo hamara anurag hai wo prem hai aur jaise mata-pita parivaar mein yah moh hai yah rag hai yah asakti hai yah sneh hai yahi janm maran mein pahunchaega aur Gurudev se jo prem hai asakti hai wahi janm maran se mukt kar denge. To Gurudev se jo kiya hua anurag hai wah prem kaha jaata hai. Wah asakti param kalyankari hai. Kisi birle ko apne Gurudev mein asakti hoti hai.
nahi to Gurudev mein asakti nahi hoti. Parivaar mein bhale ho jae. Bhagwan aur Gurudev saman mane gaye hain. Jo yah bhav man liya ki Gurudev aur bhagwan guru Govind na bhed karae. Santat sakal suno chit laye. Jo guru aur Govind mein bhed nahi manta. Aur agar bhed bhi mane to itna ki Govind dusre number par pehle mein Gurudev guru Govind do khade kake lago paye to balhari guru aapne jin Govind diyo batae to balhari hai Gurudev ki Gurudev mein asakti ho jae to mangal ho jae abhishek ji mumbai se Radhehe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji aap kah rahe hain ki jaise Prahlad ji ne apni bhakti pe hi focus rakha apni jo dikkaten ai jo inko pratikultaa ai us pe dhyan nahi diya waise hi hamen bhi aise hi rakhna chahiye keval bhakti pe focus rakhen ya dikkaton ka bhi samna karen.
nahi dikkaten aisa nahi ki Prahlad ji ko mehsus nahi hoti thi. Par Prahlad ji ko yah dikhayee deta tha ki bhagwan sadaiv unko apni god mein liye hue hain. Bhakti ka lakshya rakhne ke karan jaise pahar ke niche dabae gaye to dekhte the ki bhagwan mujhe god mein liye hue hain. Pahar bhagwan mein tik gaya aur ham bache hue. Jaise jal mein dubo diya patthar bandh ke to unko dikhayee deta tha ki bhagwan mujhe aise kiye hue hain jisse bhagwan ki kripa se meri shwason mein jal nahi aa raha aur main mrityu ko prapt nahi ho raha aag mein baithaal diye gaye vish pilaya gaya kya kya nahi kiya gaya lekin har samay bhagwan ko dekhte the aur bhakti ka lakshya hai bhagwan ko dekhna jab ham bhagwan ko vipatti mein beech mein le aaenge to bhagwan anand samudra hai bhagwan kartum akartum anytha kartum sarv samarth hai wo vipatti bhi hamare liye ananddayak ho jaegi.
dukh dene wali vastu hamare liye sukh dene wali ban jaegi. Jaise Prahlad ji ko aag mein bithala gaya to jal gayi hiranyakashyap ki bahan aur Prahlad ji ka ek rom bhi nahi jala. Anand raha kyonki bhagwan ka sanidhy hai na bhagwan lakshya hai na bhagwan ka chintan hai na to viparit paristhiti ho jati thi. Jis usne shital pat prapt kiya tha. Agni se vardan prapt kiya tha. Nahi jaleng to shital pat odhkar baithi to aisi vayu chali ki samne Prahlad ke upar shital pat ho gaya aur wah jalkar rakh ho gaye to pratikultaa bhi anand pradan karne wali ban jaegi yadi ham bhakti ka lakshya rakhen aur jo ai hui vipatti hai usmen bhagwan ka vidhan dekhen mangalmay koi bhagwan ka vidhan hai jo dukh aaya hai yah sukh ko prakt karne ke liye aaya hai aisi jab bhavna rakenge to dukh aadar purvak ham sah jaenge aur jab ham dukh dukh ko dukh mankar bhayava to phir ham ghabra jaenge.
bhagwan ka smaran chhut jaega aur ham dukh se nikal bhi nahi payenge. Bhagwan ka bhakt kabhi depression mein nahi jaata. Bhari se bhari dukh, bhari se bhari vipatti, bhari se bhari samasya mein bhi wah bhagwan ko apne sanidhy mein rakhta hai ki bhagwan sab jagah hain to is jagah bhi hai, sabke hain to mere hain. Sab samay mein hai to is samay mein bhi hai. To jab bhagwan hai to bhagwan mangal bhavan hai, sukh samudra hai, anand sindhu hai. Mujhe dukh kaise vyapt ho sakta hai? To aisi bhakti ko ham apne hriday mein dharan karen aur sangharsh to karna hi hai.
aisa nahi hai ki bhakt hath par hath rakh ke baitha rahta hai. Nahi wo pryasrat rahta hai par us prayas ko bhagwan ka diya hua prayas manta hai. Safalta asflata donon mein saman bhav rakhta hai. Praytn purvak wo dukh sukh ko sadupyog karta hai. Sukh ka sadupyog auron ko bantkar dukh ka sadupyog bhagwan ki kripa mankar agar bhagwan ki ham kripa manenge to ham dukh ko sah jaenge. Kunti ji ne to pad pad par vipatti mangi bhagwan se. Bhagwan ne kaha aaj tak kisi ne vardan nahi manga. Vipatti dukh kaun chahta hai?
to unhone kaha prabhu jab vipatti ai to aapko apni taraf ate hue dekha. Aur jab sampatti aa gayi to aap Dwarika ja rahe ho pith karke. Mujhe aisi sampatti nahi chahiye. Mujhe wo vipatti chahiye jismen aap daudte hue hamari taraf aa rahe ho. To bhakt dukh mein vipatti mein bhagwan ke sanidhy ka anubhav karta hai. Maharaj ji aap kah rahe hain ki aap ek vikat paristhiti mein fansi hain. Pehle to ismen zyada wo nahi tha agyanta vash bat kah rahe hain ki jab se aapko suna hai ek kisi se prem karte the aur jeevan sathi banane ka donon ka dridh nischay ho gaya.
bat abhi unko pehle pata tha ki unke jo jahan jana hai wo nonvej khate hain. Matlab abhaksh padaarth ka sevan karte hain. Bat abhi jab se suna hai to inko lagta hai ki matlab uska parinaam bada mahapap hai. To abhi aise unko bhi chhod nahi sakte. Agar unko chhote hain to phir kahte hain ki shadi nahi karenge to phir mata-pita dukhi hote hain to abhi main itna depression mein ho gaye hain ki din raat rote rah rahe hain ki kya karun? Mujhe kuch samjh nahi aa raha. Aur main abhi achhche marg par bhi chalna chahte hain. Us ghar ko bhi chodna nahi chahte.
mata-pita bhi dwandatmak sthiti mein ab is samasya ka samadhan hamare paas to hai nahi kyonki aapke dwara jis purush ka chayan kiya gaya wo abhaksh padartho ka sevan karne wala hai. Aap purush ki asakti ko nahi tyag sakte aur wah purush manas aadi nahi tyag sakte to phir galat chayan kiya hai aapne. Ab ham yah nahi kah sakte ki aap unko chhod do kyonki aap depression mein jane ki baat waise hi kar rahe ho. Hamne kah diya chhod do to aap waise depression mein chali jaugi. Aap mein adhyatma bal to hai nahi ki aap apne adhyatma bal ke dwara unko kahe yadi aap mujhe sweekar karna chahte hain to pavitra bhojan aapko pana hoga.
pavitra aacharan karna hoga. Agar aap aise nahi karenge to hamara aapse koi sambandh nahi. Itni kshamta aap mein hai nahi. Nahi hai na? Andar ka ullas shakti puri adhyatma galat chayan kiya hai na aapne galat chayan kiya hai aapne aapko pehle pata tha ki ye mans khate hain ab aapne chayan kiya hai ab aap jaoge to aapko aap khao ya na khao aap to bhrasht ho hi jaenge kyonki jis purush ka ham sang kar rahe hain wo mans khane wala hai aur wah hamara pati swaroop hoga to wo to khanpan to unka ganda hi hai to aap bhrasht to ho hi jaenge bhagwan ki prapti ke liye jo satmarg chahiye chahiye.
uske isiliye to sahsa koi kadam nahi uthaya jaata. Apne bade bujurgo se pehle kaisa niyam tha? Bade bujurg tay karte the ki hamara pati kaun hoga aur wo sanyam niyam sab dekh ke ganv se pooch ke vihaar karke salo baten chalti thi byah ki. Tab wo byah hota hai. Aaj ladkiyaan boyfriend kar liye vybhchar kar liye. Ab wo blackmail kar raha hai. To ab wo depression mein pahunch rahe hain. Ab phir breakup karke dusra boyfriend kar liya. Phir jab tisra pati hoga tab wo chain se rah payenge. Wahi gandi aadat wahi bhrasht aacharan unko giraenge.
to ab yah to bahut badh raha hai. Ab iske vishay mein ham kya kah sakte hain? Hamare paas iske vishay mein koi nirnay nahi hai. Agar nirnay ham den to ham tab nirnay de sakte hain jab hamara koi shishya ho. Hamari agyaa par chalta ho. Apne putr ko ya apne bachchhe ko danta ja sakta hai. Dusron ko nahi data. Aap dusre hain. Ham aapko apni nahi kah sakte kyonki hamari wahi hogi jo hamare dharm ka palan kare. Prashn hi nahi aata aapke andar ki hamare guru ji hain jab unhone hamko mana kiya hai to ya to aap mujhe sweekar karo to aap wo chhod do.
nahi hamara aapka koi sambandh nahi. To yah samasya ka samadhan aapne khud samasya bana rakhi hai. Aapne khud galat sambandh sweekar kar rakha hai. Ab aapne swikrati ki to usko ham kaise tod sakte hain? Ji shweta ji merath se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji atma sakshatkar mein aur bhagwat sakshatkar mein kya antar hai? Maharaj ji bhagwat sakshatkar mein bhagwan ke sagun rup ka darshan hota hai aur atma sakshatkar mein swayam ka bodh hota hai. Atma koi aur nahi hai. Main hi hoon. Main is sharir ko lekar nahi jo sthul sharir, sukshm sharir, karan sharir tino shariron ka prakashak hai, wah hai atma tatv aur wah main hoon.
yah brahm gyan ke marg ke dwara iska bodh hota hai. Atma sakshatkar hota hai. Arthat apne aap se apne aap ka anubhav hota hai. Aur bhagwat sakshatkar ka matlab hai Ram rup ke darshan, Krishna rup ke darshan, shiv rup ke darshan, narsingh rup ke darshan jo bhagwan ke bhavmay upasna hai, usmen jo bhagwan ka rup hai, uska jo darshan hota hai use bhagwat sakshatkar kahte hain aur ise atma sakshatkar kahte hain. Aur sarvatra wahi virajman hai. Ise tatv bodh kahte hain ki tatwagyani hai. Sarvatra bhagwan ka darshan ya sarvatra atma swaroop ka darshan wo tatv gyani kahlata hai.
ji bhargav hemant Radhe-Radhe maharaj Radhe-Radhe maharaj ji Gurudev main embeebeees doctor hoon evam vaigyanik bhi hoon. Desh ke bade chikitsak sansthan mein karyrat hoon. Maharaj ji mere anusandhan ka mukhya lakshya hamari bharatiya chikitsa paddhti jaise ayurveda evam yog ki vibhinn mansik evam shareerik vikaro par upyogita ka aadhunik vaigyanik upkarnon dwara parikshan karna hai. Gurudev apne parikshan ke nateeje vaigyanik shodh patr maharaj ji inka bhav yah hai ki usmen apne khud ke naam par prakashit karne hote hain.
matlab jo shodh kiya pehle mujhe apna naam dekhkar bahut harsh hota tha. Kintu aapke batae bhajan marg par vigat do varsho se chalne ka prayas kar raha hoon. Ab yah naam aur kirti ki abhilasha bhajan mein vighan si pratit hoti hai. Kintu yadi apna naam hatakr bina koi davedari dikhae anusthan karta naam se hi apnapan hata do na. Aapka naam thodi hai. Aapke sharir ka naam hai. Jaise inka naam hai. Aise aapke sharir ka naam hai. To aapko jaise inke naam se koi harsh ya shok nahi. Aise sharir ke naam se harsh ya shok nahi hona chahiye.
apnapan hata dijiye usse. Aap thodi hain. Aapka kya naam hai? Hemant. To yah sharir ka naam hai. Hemant bhargav na ki aapka naam hai. Aap to atma swaroop ishwar ansh jeev avinashi chetan amal sahaj sukh rashi aap to bhagwat swaroop hain. Yah naam rup sharir ka hai. Jo shisha mein rup dekhte ho. Yah panch bhautik hai. Aur isi panch bhautik ka naam hemant hai na ki aapka naam hai. To is naam se hi apna nata hata lijiye. Yah mera naam nahi hai. Yah sharir ka naam hai. To chahe jahan garb se likho koi pareshani nahi. Sambandh ka hi to sara khel hai.
sambandh rakhe hue hain ki yar mera naam nahi ana chahiye. Nahi to paramarth mein badha hogi. To paramarth mein badha to aapne khadi kar li. Mera naam jod ke ki yah mera naam hai. Yahi to hatana hai. Main aur mor tod tay maya je bas ki jeev nikhaya. Is sharir se bhi gaadi ki tarah kam lena hai aur sharir ka naam hemant hai na ki mera naam hemant hai. To agar gali mil rahi hemant ko to uske karm aur agar hemant ko yash mil raha hai to uske karm main to drashta hoon. Main thodi hemant hoon. Samjh pa rahe hain aap?
bas is bhav se chalie. To usmen apna naam bhi jo sharir ka hai usko likhte rahie. Koi pareshani nahi. Jab use apnapan jod ke na karenge to jo pareshani haan karne mein wahi pareshani na karne mein hai. Kyonki apnapan to jud hi gaya na. Apnapan pareshani hai. Apnapan ko hatakr prabhu ke charnon mein lagate hain. Yahi khas baat hai. Is sharir se apnapan nahi. Is sharir ke naam rup se apnapan nahi. Bhagwan ke naam rup se apnapan. Haan. Hamara naam nahi hai. Ham iske drashta hain. Iske sakshi hain. Aur satya baat hai.
aapka naam nahi is sharir ka naam hemant hai. Aap to bhagwan ke swaroop ho. Aap to brahm swaroop ho. Aap bhagwat swaroop ho. Ishwar ansh jeev avinashi avinashi chetan amal sahaj sukh rashi yah aapka swaroop hai. Yah maran dharma sharir thodi aapka swaroop hai. Isi maran dharma sharir mein aham karke hamari durgati ho gayi hai. Ab is maran dharma sharir se apna sambandh hatakr maran dharma sharir ke sambandhi se sambandh hatakr sabki mamta tag batori mam pad manah bandh babar dori. Shri bhagwan ke charnon mein samarpit karte hain. Koi badha nahi hai.
jab ham apnapan ismen rakenge to hi badha hai. Apnapan isse hata den to koi badha nahi. Sab Radha hi Radha hai. Dusre log prashansha karen us shodh ki inki to inki dusre log prashansha karen to aapko kya lagega? Inki ho rahi hai. Aapki thodi ho rahi hai. Aap to prashansha ke sakshi hain. Prashansha ho rahi. Sharir, buddhi, man indriyon ke dwara jo bhagwan ne karaya uski prashansha ho rahi. Aapse jo truti hui uski ninda ho rahi hai. Jo man indriyon, buddhi ke dwara truti hui uski ninda ho rahi.
aap uske drashta hai tabhi to wah dwandatit hota hai. Jo sadhak dwandatit hota hai. Man apman mein sukhdukh mein labh hani mein jai parajay mein saman tabhi saman hota hai. Jab wo apne ko na dekh kar ke inko dekhta hai. Aur yahi hai gyan isi baat ka hai. Ye maya ke gunon ke dwara sanchlit hai. Indriyan man sab kuch jitna kuch hai. Agar accha ban gaya to inki prashansha hoti hai. Bura ho gaya to inki ninda hoti hai. Aap donon ke drashta hai accha aur bura ke karta nahi hai. Jab aap aisa samjhenge to shuddh gyan aapke andar rahega to uski prashansha ho rahi to koi aur ninda ho rahi to koi baat nahi hai.
dhanda to bhi mat salah apnapan apnapan ka apnapan hat jae to usse koi pareshani nahi anjali Mishra ji amravti Radhehe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji aapke charnon mein sadar pranam maharaj shri main apne jeevan mein kuch naya karya karne chalti hoon to mere aaspas ke log mujhe mere bachpan ke jaise hi samjhte hain aur matlab utsahheen kar dete hain jiske karan mere karya mein utsah ki kami ho jati hai. Main apne karya mein ya keval apne lakshya aur bhagwan ko dekhna chahiye. Kisi vyakti ke support ya uske hatne se hamen koi fark nahi padna chahiye.
wahi sacha karta hoga kriyavan jo keval bhagwan ko dekhen aur apne lakshya ko dekhen. Mujhe yah karna hai. Mere sahyogi bhagwan hai. Bas char log prashansha karte hain. Yah unki buddhi hai. Char log ninda karte hain. Yah unki buddhi hai. Ham kisi ki buddhi ke support se nahi chal rahe hain. Ham apni buddhi ke support se chal rahe hain. Hamari buddhi ko support bhagwan ka mil raha hai. Is tarah agar ham chale to ham bade utsah yukt rahenge. Nahi to utsah dilane wale bahut kam hote hain. Utsah girane wale bahut log hote hain.
jo utsah ko girate hain wah theek nahi hai. Unko bhi chahiye ki bachchon ko ya naujvano ko utsah yukt karen. Achhche marg mein haan galat marg mein ho to nishedh karen. Unka utsah bhang karen. Lekin yadi sahi marg mein ho to unka utsah badhana chahiye. Unko support dena chahiye. Par yadi aisa na mile to apna lakshya dridh rakhen aur bhagwan ko apna support karta mane. Bhagwan ka aashray le le to phir hamen koi pareshani nahi padegi. Amit kumar ji Radhe-Radhe prabhu ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji main 16 varsho se film line mein tha.
maharaj ji jab se maine mobile ke madhyam se aapka satsang suna mera man abhinay mein nahi lag raha aur main mumbai sab chhod-chhod ke Vrindavan rahne ke liye aa gaya hoon maharaj ji. Nahi hamen lagta hai ki abhinay jeevan jine ke liye hai aur jeevan prabhu ke liye aisa bana lo abhinay karna jeevan jine ke liye arth milta hai aur arth se hamare jeevan ka poshan hota hai aur jeevan prabhu ke liye kar le to ismen koi pareshani nahi hogi abhinay koi nishiddh baat nahi hai ki ham tyag karen aisi haan bhagwan ka jab ham sat chintan karne lagte hain to phir asdat baton mein man nahi lagta.
yah baat to hai. Lekin jeevan jine ke liye bhagwan ne hamen yahan bheja hai. Apna apna role hai. Sab abhinay kar rahe hain. Sabka abhinay, koi mata ka abhinay, koi pita ka abhinay, koi pati ka abhinay, koi samaj ke bahut bade pad ka abhinay, sabko abhinay. To aapko jo abhinay mile wo aap abhinay karo aur bhagwan ka bhajan karte raho to kya pareshani hai? Nahi? Haan aisa karo kyonki jeevan sabka ek role hai. Sabko abhinay karna par raha hai. Ab yahan Vrindavan mein jaise to Vrindavan mein man lo kaise rahoge? Kuch na kuch to abhinay yahan bhi karna padega.
nahi karna padega. To yahan koi galti ka hone ka chans agar ho to hamen lagta hai dur rah ke Vrindavan ka chintan karen to zyada accha hai. Yahan rahkar agar koi hamse paap banne lage, koi gandi baten banne lagi, gande aacharan ho jae to hamen lagta hai dur rahkar yahan aoge to tatkaal paap nasht ho jaenge. Kyonki dham hai na aur dham mein paap ban gaya. Man lo jawan sharir hai. Ab kahin idhrudhur kisi se gandi baten ho jae to sab gadbad ho jaega na. Main sochta hoon chhod ke yahi rahe prabhu ji man nahi lag raha Baba ji ban raha hai kya main to waise hi soch raha are bahut kathin hai Baba ji banna bahut kathin hai Baba ji banna sachchai ka Baba ji banna sachchai mein chalne mein hamen lagta hai ki agar bhash na rakhe aur sachchi bhakti ki jae to aur zyada accha hai.
man lo ab ham log dusron ke dwara diye hue ann paisa kapda latta unka prayog karke bhajan kar rahe hain to hamare bhajan ka hissa wahan bhi to jaega aap mehnat karke role karke kama rahe hain aur kha rahe hain aur sachchai se bhajan kar rahe hain to aapka bhajan aapke paas hi hai. To hamen lagta hai jab kabhi aisa koi bairagi accha to bhale sant ban jae nahi to hamen lagta hai sant banna ab kalikaal mein dhire-dhire kathin ho raha hai. Santatwa mein chalna. Ab aise dhong karna to bahut lekin sachchai se chalne mein bachchon bahut kathin baat hai.
bahut kathin baat hai. Isliye hamen lagta hai sadhu bhesh to dharo mat. Sadhu bano. Andar se sadhu ban jao aur bhash sansarik rakho aur mehnat karke kamao khao. Dusron ko khavao aur khub bhajan karo. Yah badhiya hai. Theek hai? Haan. Shivpal ji jhajjar Haryana se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji maine kisi granth mein padha tha ki mrityu ke samay jeevtma apne sukshm sharir ke madhyam se bahar niklti hai to tatkaal uska sanrakshan karne ke liye uske purv swajan isht guru aadi ka sahyog milta hai. Kuch nahi kuch nahi sab nahi aisa kuch nahi hota jo agyani jeev sharir chhota hai to karm bandhan mein bandha hua hota swatantr nahi hota aur uski koi raksha karne ki zaroorat nahi hoti.
wah do prakaar ki gatiyon ko prapt hota hai. Ya to narki gati ko aur ya punya atma hai to swarg gati ko. Agar swarg gati ko jaata hai to devlok se ate hain usko lene ke liye. Agar nark gati ko jaata hai to yamdoot lene ke liye ate hain. Hari guru sabki raksha karte hote to baat ban gayi hoti na. Sabki baat ban gayi hoti aur jo bhakt hai uska jab sharir chhutta hai jo vastvik bhagwan ki bhakti karta raha hai ant samay mein smaran ho gaya bhagwan ka to bhagwan ko prapt ho jaata hai agar ant samay smaran nahi hua uska to punyavanon ke loko mein jakar ke sukh bhogta hai.
phir yahan mrityu lok mein Shri van kulvan dhanwanon ke yahan uska janm hota hai aur wah purv bhajan jahan se uska ruka hua tha wahan se phir bhajan chal ke wo bhagwan ko prapt ho leta hai to aisi gatiyaan aisa nahi ki sab parivaar ke swajan koi swatantr hai kya koi swatantr hai kya sab partantra hai karm ke vashbhut sab hain to aisa thodi ki tumhare pita akar tumhari sameeraksha karenge wo na jane kaun se nark mein hai ya na jane kaun se swarg mein na jane kaun si yoni mein chale gaye. Wahan koi parivaar swajan sambandhi tumhara thodi hai.
sharir tak hai. Sharir ka kam khatm. Karm bandhan se wo jeev kahan kida banega jake ki devta banega jakar ki kya banega uska koi ye sab pramanik kisi granth mein likha ho to hamen batao. Kyonki jahan tak bachpan se ham granth hi padhte rahe hain. Samjh mein aa raha hai aapko? To yah baat aisa hai jeev swatantr nahi hai. Jeev partantra hai. Karm ke parwar aur jis din karm par vijay prapt kar li usne to phir wo to bhagwan ka swaroop ho gaya. Brahmvid brahm bhavti wo to paramatma swaroop uska kahan ana jana hai.
jaise tarang samudra mein leen ho gayi to samudra ho gaye. Tarang ka astitva khatm ho gaya. To jab jeev ko gyan ho gaya to brahm vid brahm vibhavti brahm swaroop ho gaya. Uska kahin ana jana nahi. Sarvatra vyapt kan-kan mein paramatma mein leen ho gaya. Sama gaya jaise tarang samudra mein leen ho gayi. Ab khojne par bhi tarang naam pata nahi chalega. Tarang vayu vikar jeev maya vikar maya vikar nasht hua paramatma swaroop ho gaye. Jab ana jana hai to wo jahan ana jana hai wahan ke parsad le jaenge. Mata-pita parivaar ye sab in sabka pravesh nahi hai.
ji rajesh kumar ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji jab yah sharir bhakti karne yogya tha tab yah sharir prapanch mein raha parantu Gurudev bhagwan bhajan naam jap abhi shuru kiya hai ab ye sharir ek avastha mein nahi baith sakta maharaj ji baithna bhakti nahi hai bhakti ka swaroop hai tadpita akhilacharita tad smaran param vyakulte devrshi narad ji kahte hain hamare har aacharan bhagwan ke anukul ho aur bhagwan ko samarpit ho. Anukul ka tatparya hai shastr dharm mariyada ke anusaar ab hamare aacharan ho. Koi bhi aacharan dharm ke virudh na ho.
paap aacharan nahi hona chahiye. Aur wah karm bhagwan ko samarpit hona chahiye. Jo bhi karm karen bhagwan ko samarpit karen aur uthte baithe chalte phirte khate pite sote jagte jab hamari smriti ave Radha Radha Radha Radha jo bhagwan naam priy hai wo naam ham jap kar rahe hain isi ka naam bhakti hai. Bhagwan ki leela kathaon ko sunna, bhagwan ki puja karna, bhagwan ke bhakton ka sang karna, bhagwan jahanjahan jo leela kiye un tirth sthaliyon mein jana to ye sab bhakti ke antargat aata hai. Baithna koi sadhna bhakti ki nahi hai ki ham baithkar hi bhajan nahi.
fawda chalate hue, jhaddu pocha lagate hue, vyapar karte hue, nokri karte hue bhi bhagwan ki bhakti kar sakte hain. Naam jap nirantar naam jap ka abhyaas karen andar hi andar aur bahar vihaar karte rahe to kya fark parta hai? To bhakti ka swaroop hai bhagwat smriti. Prabhu se chitt jode rahna. Maiyasakta mana bhagwan mein man jodna. Agar hamara man prabhu mein juda hua hai to hamari bhakti ho rahi hai. Wah ham chahe padhe hain to padhe hain hamara man bhagwan mein juda ho. Sharir ki sthiti ko bhagwan nahi dekhte.
aap ganga ji mein khade hokar galat chintan kar rahe hain to aapko galat chintan ka phal milega. Ganga ji mein khade hokar galat chintan karen to galat chintan ka phal milega. Aur aap soch mein baithkar ke badhiya chintan kar rahe hain to aapko badhiya phal milega. Sharir soch mein hai ya ganga ji mein? Isse matlab nahi zyada khas matlab hai aapka chintan kya hai? Aapka chintan yadi bhagwan ka hai to aapki bhakti ho rahi hai. Aapka chintan sansaar ka hai to Vrindavan mein rahte hue bhi bhakti nahi ho rahi hai. Chintan bhagwan ka chahiye. Jaise aapne tratak ke bare mein bola wo chahta tha ki vaisa nahi ho sakta baithe hue.
tratak bola tha ek bindu par. Haan dekho sabke liye sab sadhan nahi hai. Sabke liye sab sadhan nahi hai. Ab jo hamare samne jaise 500 jawan sadhak hai to unko to ham bolenge yar ek ghanta to baitho Padmasan mein ab wo jawan hai wo aram se baith sakte hain. Ab yah baat sabke liye nahi hai. Ab wo virakta hai. Unke liye alphar karo. Char ghante so aise chalo. Ab grihasth aadmi char ghante so ke kaise chal payega? Usko to sat ghante chahiye. Aur wo alphar karega to fawda kaise chalaega? Uske liye to accha bhojan chahiye.
to yah dekhna chahiye ki updesh kisko diya ja raha hai. Agar updesh virakta ko diya ja raha hai to usmen se jo baten hamare layak hai wo ham le lete hain. Bakaya wo to virakta ke liye hai. Apne ko dekhna apne grihasth hain. Apna satmarg kaise chalna hai? Ya kabhi kisi baat par sanshay ho to pooch lena chahiye. Jaise abhi pucha. Theek hai? Ji
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- ekantik vartalaap evam darshan #1441 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- brahm gyani mahatma apna sharir chhota hai to uska sukshm sharir kahan jaata hai? — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- ekantik vartalaap evam darshan #1440 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- diwali par maharaj ji ke amritmay vachan | Diwali Special — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- ekantik vartalaap evam darshan #1439 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- ye 9 galtiyan aapki puri sadhna bigad sakti hain — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…