॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

ekantik vartalaap evam darshan #1438

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

pasna goswami ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji mujhe aisa lagta hai ki mera koi mitra nahi hai jab hamko aisa laga to hamne sare sambandh chode aur bhage ki hamen ek aisa dost chahiye jo avinashi ho wah bhagwan hi to bachpan se unhin se dosti ki aur aaj tak unhone dosti ka nirvah kiya aur age bhagwan ja lekin aaj tak to nihal kar diye wahi hamare dost hain. Wahi hamare dost hain. Wahi sache mitra hain jo avinashi hain aur har samay hamare paas hain. Hamse kabhi dur nahi hote. Sarvatra hain to jahan ham hai wahan hain.

sab samay hain to jis samay ham hai us samay hain. Sabke hain to mere bhi hain. Sab mein hai to mere mein bhi hai. Aisa mitra jo mere mein samaya hua hai wahi narayan hai. Wahi hari hai. Wahi Krishna hai. Isliye hamen lagta hai ki sacha pyar to bhagwan se hi milta hai. Aur yahan to chhal kapt ka pyar hota hai. Aapse accha koi to dusra usse lubhayaman ho jaega. Phir tisre se lubhayaman ho jaega. Lekin koi hamen pyar kare nahi apne liye hamen pyar kar sakta hai. Apne liye hamen pyar kar sakta hai. Lekin hamare liye hamen pyar to keval bhagwan hi kar sakte hain.

dusra nahi kar sakta hai. Jaise mata bachchhe ke liye bachchon ko pyar karti hai. Apne liye nahi karti. Wo bachchhe ke liye karti hai. To anant matao ka vatsalya bhagwan ko vatsalya sindhu kaha gaya hai. To bhagwan hi hai aise jo hamare sache mitra hain, sache pati hain. Sache putr hain, sache guru hain, sache shishya hain. Jo chahe wo bhagwan se sambandh kar le wo sweekar kar lete hain. Maharaj ji log mujhe apne swarth ke liye prayog karte hain. Mujhe yah bhav bahut pareshaan karta hai maharaj ji. Nahi to paye jaan jagat mein sab jan kapti kutila kalyugi tanchu jagat mein to isi ka rajya hai swarth kapt chhal isi se to maya apna rajya chala rahi hai agar swarth na ho kapt na ho chhal na ho jhooth na ho maya kahan sacchidanand bhagwan ka khel aa jae sacchidanand bhagwan ke khel tak na pahunchne dene ki yahi vrittiya hai swarth kapt chhal chhidr tabhi bhagwan kahte hain na moh kapt chhal chhidr na bhawa nirmal janm man so moh pava wo yahan kahan milega wo to bhajan karne walon mein nirmal man hota hai nahi to chhali kapti swarthi aapse bahut pyar ki baat karenge aapko lagega ye mere upar jeevan balihar kar rahe hain lekin wo sirf apne swarth ki purti karna chahta hai wo apni vasna ki purti karna chahta hai isliye kuch bhi kah sakta hai lekin pyar nahi karta pyar to sirf bhagwan karte hain aur sacha pyar bhagwan karte hain aur sada pyar bhagwan karte hain ye sansaar mein nahi milega sacha sada yah keval bhagwan se hi milega.

aap karke dekh lo. Jab har jana to hamare shri Krishna ko apna yar bana lena bad nirvah ho jaegi. Jata shankar ji ghaziabad se Radhe Radhe Radhe-Radhe maharaj ji charan sparsh maharaj ji ishwar par atuut astha ke baad bhi man chhoti-chhoti kathinaiyon se kyon bhayabhit ho jaata hai? Iska kya nivaran galat ishwar mein atuut astha hone ke baad ye nahi hota. Abhi aap keval shabd yad kar liye ho atuut astha atuut astha garm tave par bithala gaya tapt balu dali ja rahi nakhun ukhad liye gaye aur jante ho shabd kya nikla tha tera kiya mitha lage samjh rahe ho guru arjun dev ji ka tera atuut astha mein tera kiya mitha lage vichilta kaise aa gayi iska matlab naam jap abhi jo hona chahiye wah naam jap nahi ho raha.

jaisi sadhna honi chahiye waisi sadhna nahi aur jaisa vishwas hona chahiye vaisa vishwas nahi. Haridas ji maharaj chaitanya mahaprabhu ke parikar ke 22 bazaron mein mar dande mar kode pran le liye jae. Ye pharman jari ho gaya. Mare jaate unke komal sharir par kode to chamda udhil jaata. Unhin par phir kode marte hue hari bol hari bol aa nahi kaha mara jaan karke unko ganga ji mein phenk diya ganga ji ka jal pavan lagte hi unko shudhi ai puri chetna hui baad mein unki katha aur jab unse pooch pucha gaya to unhone yahi kaha ki mere kisi karmon ka phal hoga mujhe koi kasht nahi bhagwan ki mere upar badi kripa hai kya shabd tha bhagwan ki mere upar badi kripa hai vishwas sa wahi jo hamko vichlit na hone de.

vichlit ho rahe hain to abhi vishwas mein kami hai. Abhi hamare bhajan mein kami hai. Atuut vishwas mein vichilta nahi ho sakti. Koi kam rukta nahi hai. Ishwar hamesha sahayak rahte hain. Kam ka matlab hi nahi rah gaya. Jab bhagwan pe vishwas hai to kam aur kamnao ki to baat hi alag raheela. Sakal kamna hin je Ram bhagat ras leen. Jab kamnao ki purti ko lekar tum bhagwan par vishwas ki baat karoge to bahut halke par aapne baat kar di. Bahut halke par kyonki jitni kamna hai wo sab vinashi hai aapki. Koi avinashi kamna hai kya?

itna bhajan badao ki har paristhiti mein haan keval anand hi anand. Man mein, apman mein, ninda mein, sthiti mein, labh mein, hani mein, sukh mein, dukh mein, jai mein, parajay mein ekmatra mere bhagwan ki kripa. Kripa ke siva aur kuch dikhayee hi na de. Samjh rahe hain na? Haan. Y drishtha labh santushto jaisi paristhiti de de y drashta labh santushto dwandateeto vimatsara dwando mein saman bhav kisi se irshya nahi aur yatha labh santosh sada kahu so kachu na chaho dridh vishwas mangwo bhlo na bap so jo prabhu rakhe tek bhagwan ka bharosa agar dridh hai na to kisi se mangne ki koi baat nahi kisi se sahyog ki koi akanksha nahi wo sarv samarthshali paramatma swayam akar karega aur agar wah nahi karta hai to mujhe nahi karvana hai wo jis sthiti mein rakhna chahta hai main usi mein raji hoon joi joi pyaro kare soi mohi bhave phir pareshani kya hai ki hamari jahan kami usko ham puri karen hamare bhagwat chintan mein hamari sadhna mein jo truti ho rahi usko ham aur sambhale to ham aur balvan hote chale jaenge.

jaise Prahlad ji maharaj ko kitna kasht diya gaya lekin har sthiti mein bhagwan ne unki raksha ki. Aise hi bhagwan hamari raksha karte hain. Aise hi par yah jarur hai ki hamari kamna ke anusaar bhagwan nahi chalenge. Bhagwan ke chalne ke anusaar hamko raji hona padega. Kyonki ham bachchhe hain. Hamari jo buddhi hai wo alp hai aur bhagwan sarvagya hain. Bhagwan dur ki dekhte hain aur ham nazdik ki dekhte hain. Hamen utna hi dikhayee deta hai aur bhagwan bhavishya ko pura dekh rahe hain to jisse hamara bhavishya mangalmay hoga wo wahi karenge kyonki wo mangal bhavan hai.

unke dwara kiya hua vidhan amangal ho hi nahi sakta. Ji bhanvar sinh ji shri Radhe maharaj ji Radhe-Radhe maharaj ji main kuch varsho se adhyatma ko janne samjhne ka nishphal prayas kar raha tha vibhinn dharmon ke santo ke pravachan sunta raha parantu jeevan mein koi bhi thahrav nahi aaya kisi ek sadhna paddhti mein santushti nahi mili man nirakaar ki or akarshit tha aur bhakti marg adhyatma marg ekmatra avastha lagti thi pahli avastha pichle dhai varsho se aapke sanidhy evam sangati mein aaya hoon dhai varsho se nirantar ekantik vartalaap satsang sunta hoon naam jap bhi karta hoon aapke agyaa evam anushasan mein chalne ka prayas kar raha hoon.

ab jeevan mein thahrav ane lag gaya hai. Sakar nirakaar ka bhed khatm ho ab yah baat samjh li hai ki bhakti pratham bhi hai aur bhakti purnata bhi hai. Bhakti ko koi aisa na samjhe jitna bhi gyan hai jitna samgr gyan bhagwan ne kaha tapasvi se bhi adhik yogi gyani se bhi adhik yogi aur karm yogi se bhi adhik yogi wo yogi jo shraddwan bhajte mam jo shraddha purvak mera bhajan karta hai kyonki sacha gyan bhagwan ke dwara diya jaata hai soi jane je dehu janai aur jab jaan jaoge to janat tum ho jai tatv rup se bhagwan ko janna sahaj hai.

lekin leela rup bhagwan ka janna bahut kathin hai. Bahut kathin hai. Jaise tatv rup mein sona to sona man liya jaan liya lekin gahne rup mein janna bahut kathin hai. Kitne gahne ban sakte hain. Har gahne mein wahi sona hai. Aise bhagwan ka jo sakar rup hai wo bada vichitra hai. Usko janna bada kathin hai. Buddhi ki adhishthatri devi sati devi ko bhi bhram ho gaya jo tatv gyan swaroop bhagwan shiv ke ardhanag mein virajman rahte hain. Jab bhagwan shri Ram ro rahe hain asur pravah kar rahe hain aur kah rahe he khag he mrig he Madhukra shrani tum dekhi Sita mrig naini he khag he mrig he bhramar ki panktiyon he lataon he vrikshon tumne kahin meri pran Priya mrig naini Sita ko dekha hai kya aur bhagwan shiv jai sacchidanand paramdhaam sati ji ko laga agar sacchidanand tatv hai ye to sarvagya hona chahiye ye to khagmag pashu panchhi lataon se pooch rahe hain ki meri Sita ko dekha hai kya bhram ho gaya bade-bade Garun mahagyani gunrasi jab meghnath ne bhagwan ko nagpas mein bandh diya aur dekha ki main akar ke mukt kar raha hoon.

to unko laga yah bhagwan kaise ho sakte hain? Jo hamare vahan rup mein hamen sweekar karte hain. Main un bhagwan ko janta hoon. Sarv samarth hai. Wo aise bandhe kaise ek nich nishachar bandh diya aur aap hamara intazar kar rahe hain. Aap bandhe pare hain. Moh ho gaya. Bhram ho gaya. Phir jana para ka bhusund ji ke paas. Unko wahi tatv rup mein sarvatra virajman hai. Kinchin matra bhi koi bhi tribhuvan mein na koi aisa jad hai na chaitanya hai jo paramatma na ho. Swayam paramatma bana hua hai. Bhagwan ki apra prakriti aur para prakriti do hain.

bhed karke varnan karne mein panch mahabhut man buddhi ahankaar kitne hue? Aath. Yah aath bhagwan ki apra prakriti hai. Maya maya prakriti hai. Aur jeev ye bhagwan ki para prakriti hai. Jab ham bhed karke varnan karte hain to maya aur jeev aur jab tatv rup mein dekhte hain to wahi maya hai aur wahi jeev bana hua hai. Koi antar nahi hai. Wahi panchbhut bana hua hai. Indriy naam manasma wahi man bana hua hai. Wahi buddhi bana hua hai wahi aham bana hua hai. Uske siva koi hai matta par taram nyatat kinchidasta Dhananjay mere siva kinchin matra koi nahi.

to tatv rup se Siyaram mein sab jag jani karo pranam jor jug pani aur leela rup se rasaswadan Siyaram ka kar rahe hain goswami ji. Yah bhakti ki sthiti hai. Keval tatv gyan nahi hota use. Tatv bodh hone ke baad bhagwat prem bhi hota hai. To bhakti sarvshresht hai. Swarupanusandhan bhakti re gasi bhagwan shankaracharya ji ne kaha swaroop bodh ke liye bhakti sarvshresht hai jo gyani badi mehnat se tatv bodh karta hai swaroop bodh karta hai mam darshan phal param anupa jeev pav nij sahaj swaroopa mere darshan ki bhavna usko swaroop bodh kara deti mam darshan phal param anupa jeev pav koi aisa na samjhe bhakti ka haan ham gyan marg ashtang yog marg karm yog marg sab margo se chal ke aae hue tab Radha Radha bol rahe hain aise aise na samjhe ki bhai bas Radha Radha Radha aise le bachpan se bahut praveen vigyan may buddhi thi sab aise ham kisi ko aaj tak hamara koi dost nahi hua ham kisi ko apna nahi mana aur kisi se jaldi hamne shraddha nahi ki.

hamara swabhav tha bahut tarkik buddhi sanyasi the. Bahut tarkik buddhi thi. Ham kisi par shraddha nahi karte the. Tumhare pravchno se ham lubhaeeman tumhare aacharan kaise hain? Tumhara ekant kya hai? Tumhari sthiti kya hai? Tab tum bolne ko to mike mein bolna ek ekting bhi ki jati hai sadhuta ki lekin sadhuta sadhuta ekant hogi. To jab piche hatkar ke dekhen aur sahi to sang kiya nahi to sang nahi kiya. Bahut praveen buddhi rahi. Tab wo akar ke jab yahan mahadev ji ki kripa se Radha Radha Radha to yah koi na samjhe ki bhakti prathmik sthiti hai.

prathmik sthiti bhi hai aur purnata hi hai. Brahm bhuta prasann atma sochti ka samesh bhuteshu mad bhaktim late param meri bhakti ka param labh kya hua? Brahm bhut ho gaya. Prasann atma na sochti na ka na koi chah na koi ichchha param sthiti brahm bhut sthiti to sabka swaroop nirakaar hai aapka swaroop bhi to nirakaar hai vichar karke dekho ye akar to mayakrit panchbhut janit hai ye to prakriti ka hai aapka kya swaroop hai nirakaar hai ab usko jano to kaise janoge uska sadhan sakar hai uska sadhan sakar hai sakar Gurudev ko sweekar karo.

sakar vedant ko sweekar karo aur chintan karte karte achint ho jao to apne se apne ko jaan jaoge. Indriyon ke dwara ya man ke dwara apne ko nahi jana ja sakta. Kyonki indriy aur man apne se prakashit hai. Ye apne prakashak ko kaise jaan sakte hain? Apne se apne ko to pehle bhajan kiya jae dat ke to sab abhi Radha bol rahe ho abhi pran nikal jae. Abhi bhagwat prapti ho gayi. Jab putr ke bahane narayan bulaya to bhagwat prapti ho gayi. Ham jaan ke narayan bulaenge to hamen bhagwat prapti nahi ho jaegi.

khub dhairya purvak vichar kar lena chahiye ki hamen bhagwat prapti karni hai to naam nahi chodna pakki baat samjh lo. Param gyani bhagwan shankar har samay naam jap karte rahte hain. Param gyani sanakaad hari sharanam hari sharanam hari sharanam har samay japte rahte hain. Koi aisa mahatma nahi koi aisa srishti mein jo bhagwan ka naam jap na karta ho. Naam jap hi sarvopri hai. Isliye khub naam jap karo. Kuch samjh mein ave na ave apne aap samjh theek ho jaegi. Naam jap kar naam jap karne ka prayas kar rahe hain jab se aapne bola hai bat kah rahe hain ki ayu ke is padav mein bhi sansarik vishyon mein man bhtak jaata hai maharaj ji uski chinta mat karo lekin ab kriya se bacho man ke sankalp vikalp to dhire-dhire shant honge jaisejaise malinta nasht hogi par ab kriyon se ub jao ki bahut ho gaya ab hamne jeevan mein jo dekh liya dekh liya ye trishna kabhi papini bujhne wali nahi ab isko rokna hoga trishna kahte hain bhoge hue vishay ko punah bhogne ki ichchha ab

isko rokna hoga Radha Radha Radha Radha jahan man sankalp vikalp karne lage wahan Radha Radha Radha Radha nahi bhai nahi ab lau nasani ab na nas sahi ho ab tak hamne bahut nash kiya apne jeevan ki svase vyarth ke maya ki vilasita mein ab nahi ab to bas Radha Radha Radha Radha to dhire dhire dhire dhire antahkaran pavitra hoga pavitra ho ya na ho bata diya agar Radha kaha pran chhuta to bhagwat prapti ho ho gaye isliye har samay Radha Radha pakde raho ji deepesh ji Radhe-Radhe maharaj ji guru ji mansik puja vastvik puja ke saman hi hoti hai kya vastvik se bhi shreshth jo mansik seva hai wo vastvik seva se bhi shreshth hoti hai kyonki vastvik pragat seva mein alp samay aur alp vastue hoti hain.

mansik seva mein to chalte phirte bhi kar sakte hain aur vistar purvak kar sakte hain. Mano pragat seva mein to ham swarn ki thal swarn ke patr vivid bhog samgri ye nahi kar payenge thakur ji lekin bhav mein ham kar sakte hain. Bhav mein vishal swarn ki thal hai. Chhoti-chhoti katoriyan hai. Kisi mein khir hai, kisi mein ras malai, kisi mein rabri, kisi vivid prakaar ki bhog samgri ekatrit karke apne hath se pawate hain. Bhav mein apne hath se pawar rahe hain. Hamare thakur ji bhav mein par rahe hain.

unko pawar rahe hain jo dular kar rahe aur wah satya hai. Wo keval kalpna nahi hai. Wo satya hai. Ek bar shri vitthlnath goswami ji se kisi dhani mani ne pucha ki bina paise ke bhagwan ki seva ho jae aur bhagwan prasann ho jae. Bahut kanjus aadmi tha. Hote hain na kabhi kabhi koi koi bahut kanjus swabhav ke hote hain to usne kaha ek paisa na lage aur bhagwan ki seva ho jae aur bhagwan prasann ho jae hai aisa koi upay bole haan upay hai mansik seva ek paisa nahi lagta to bataya paddhti aise aise aise aise mansik karo to kuch din ho gaye to ek din usne mansik mein doodh mein chini dala to thoda zyada ho gayi to usko thoda chubha ki chini zyada ho gayi kanjus swabhav to thakur ji ne ek thappad mara pragat mein jab thappad to thakur ji prakt ho gaye aur kaha mansik mein tere paisa kahan laga mansik cheeli zyada ho gayi to tere ko bura kyon laga matlab thakur ji mansik seva ko sweekar karte hain.

pakka sweekar karte hain. Par mansik seva ka swaroop tabhi mana jaata hai jab mansik isht dikhayee de. Jaise ham aise baithe hain tumhare samne hamare Priya pritam hai mansik tabhi to unki seva hogi. Mansik dev dikhayee den tab unki seva hogi. Unko snaan karana, ang pochhna, vastr pahnana, tilak rachna karna, abhushan pahnana, bhog lagana, aarti karna, pranam karna, nritya karna sab mansik ho sakta hai. Apne mansik sab kar sakte hain. Thoda-thoda to kalpna mein kar hi sakte hain. Aur aur wo labh waise hi milega.

matlab vastvik jo pragat mein aap bhog arpit karte hain waise hi labh aapko milega. To dekho ek paisa ka kharch nahi aur punya bahut bada labh to thodi der baith ke karna chahiye. Thakur ji ko ham rabri pawa rahe. Thakur ji ko aam pawa rahe. Thakur ji ko sev pawa rahe. Jo jo bhav ave achhche-achhche padaarth to ek thal mein karke thakur ji ko pawa rahe. Achman karaya mukh pocha pan ki bidi pawa di. Itr laga jo chaho man chaha khub seva ho sakti hai bina paise ke aur bhagwat prapti pakki mansik seva bhagwat prapti pakki kyonki man seva kar raha hai na to mansik seva mein lagne ke liye pragat seva avashyak hai kyonki pragat seva ke bina mansik seva tak pahunchna kathin hai.

jab hamne pragat mein bhog nahi lagaya to mansik mein kaise hamara bhav banega to koshish karen ki thodi der pragat seva karen to 5 10 minute mansik seva bhi karen. Agar samay mile to aur adhik karen to mansik seva vastvik se seva se bhi shreshth hai kyonki usmen sab pavitra vastue hain. Man lo ismen to ham bazar se laye to apvitra bhi ho sakta hai. Lekin usmen ham bhav se laye hain. Bhav se samagriyan laye to param pavitra bhagwan bhav ka hi bhog lagate hain to bahut uttam baat hai. Mansik seva ashish ji Radha vallabh shri maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam.

maharaj ji mera prashn hai ki jab naam jap karte hain to jinka naam jap karte hain yani na ke swaroop ka dhyan aata hai. Jaise Radha naam mein Radha ji ka swaroop ka dhyan aata hai. Jaise Ram ji mein Ram ji isi prakaar jab tatv rup mein Ram Krishna Radha ji ek hi hain to naam jap mein swaroop mein bhed kyon hai maharaj ji kyonki naam mein bhed hai na naam mein bhed hai na Radha naam liya to Radha rup unhone dharan kiya hai to Radha rup aayega Ram naam liya to Ram rup aayega shiv naam liya to shiv rup aayega agar Om naam leo to tatv aayega maharaj ji ek chhota sa prarthna hai kisi ne swaroop ke darshan hi nahi kiye diye hue hain to naam dekhi rup naam adina wo naam hi to karva

raha hai bina naam jap ke aise jhanki aa jaegi kya aise aa jaega kya ye chitrapton mein jo hai wahi hai kya are bhai koti koti rasna jo rom rom prati ho pyari jo ke rup ko na praman kaho jat hai jo ko koti kalp lag jive rasna kotik pave to ruchir badnarwind ki shobha kahat na ave jab ham Radha Radha Radha Radha Radha Radha bahut japenege hamara man nishpap hoga tab Radha rup jhalkega aur jab Radha rup jhalkega to premay ho jaoge samjh pa rahe ho aap maharaj ji prakrit swaroop chidanand swaroop ek nahi ho sakta kisi se nahi kadpi nahi ho sakta bhagwan ka kabhi prakritik rup hota hi nahi hai.

jaise yah chitrapat aap dekh rahe hain. Yah mansik kalpna mein aaya. Ismen jo syahi lagi wah mayakrit lagi hui hai. Ismen chitrakar ki bhavna hai. Jaise Manu ye sakhi hai tung vidya jo to aisi hai tung vidya jo kalpna kar sakte hain. Ab ham mani sankhya tung vidya jo mani sankhya jaise school mein sawal hal karna hota tha to lagaya jaata tha mani sankhya kuch bhi rakh lo aur sawal hal ho jaata tha to mani sankhya tum vidya jo ab ham inhe man ke he tung vidya jo pujan karte hain aur dhyan mein tatpar hote hain to ham prakritik tung vidya jo ke rup ka chintan karte hue chidanand rup mein pahunch jaenge.

yah jo hamara prakritik swaroop hai aaj tak koi syahi hi nahi bani jo Shyam sundar ki Shyamta hai. Aaj tak wah koi gora varn hi nahi hai jo hamari pyari ju ka hai. Pita arun anant tad latabham ek bijli chamakti to hosh kharab ho jaate hain. Anant bijliyan ek saath uday ho aisi kant hai shri Radha kishori ji ki kaise jhal payega koi to ham mana shri Radha ji aur pujan karne lage aur naam jap karne lage to hamari indriyon mein prakritik jo kshamta thi wo hatne lagi aur chidanand kshamta ane lagi dhire dhire dhire dhire yah rup gayab ho jaega jo asli swaroop hai wo swaroop aa jaega yadi naam jap kar rahe hain aur prakritik rup ki aradhna kar rahe jo prakritik ham pashan murti virajman kiye ya asht dhatu ya chitrapat rup mein inheen ki aradhna se hamen chidanand rup ki prapti ho jaegi.

hamen chidanand tak pahunchna hai. Haan chidanand tak pahunchna hai kyonki jaise hamare prakritik netr hain aur bihari ji chidanand mein hai. To kya hamen sukh milta hai? Agar sukh mile to phir bihari ji ke siva kuch yad na ave. Bihari ji ke siva aur kuch dekhne ka man na ho. Sukh mile tab na ho. Lekin thodi der baad phir mandir dekhne lagte hain. Idhrudhur dekh ke phir accha to na wo netr hai aur na wo ham rup dekh pa rahe hain. Jo bihari ji ka rup Swami ji dekhte the wo ham dekh pa rahe hain kya?

hai to wahi bihari ji. Ab jab ham kunj bihari shri haridas kunj bihari shri haridas khub naam jap karen. Hamare netron mein jab chidanand power jage to dekhenge ki koti-ki kamon ko bhi murchhit kar dene wale bihari jo hai koti kam lawanya bihari koti kam karodon ek kam pure tribhuvan ko nachne nach nachae karodon kam ko bhi murchhit kar dene wale bihari ji jo hai ab wo bhajan se hoga khub ham bhajan karen bihari ji ki aradhna karen tab hamen netron mein netr mile manas netr tab phir ham sacchidanand main deh tumhari vigat vikar jaan adhikari phir adhikar wo aa jaega phir janne mein aa jaega vata ji Haryana se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji kya naam jap se manushya ki matlab meri rajogun ki pravriti badal sakti hai.

are rajogun ki baat kya rajogun tamogun to nasht hi ho jaenge aur satogun se upar trigunnatt avastha prapt ho jaegi. Naam jap nirantar jap ka abhyaas ban jae to y labdhaman siddho bhavti amrito bhavti tripto bhavti jo siddh ho jaata hai jo amrit pan kar leta hai jo tript ho jaata hai wo naam japak naam jaap naam mein samjhte ho badi apaar samarth naam bhagwan mein virajman bade bhagyashali hain jo nirantar naam japne ka abhyaas lete hain par naam jap anand mile na mile sukh mile mile na mile labh mile na mile iski koi parvah na karke ek duty bye jab jap karen tab jakar satu dirgh kal nirantar satkar sevit dridh bhumi jo dirgh kal tak aadar sahit naam bhagwan ka nirantar jap karta hai wo dridh bhumi wo siddh ho jaata hai wo bhagwat prapt ho jaata hai pehle naam jap mein abhyaas ke dwara dhyan lagana sikhen sahi jap hath mein mala chal raha hai jaban mein naam chal raha man sansaar mein ghum raha hai.

abhi sahi jap nahi hua. Sahi jap hua mala ho ya na ho jaban chale ya na chale man ke dwara hamara naam jap par yah bahut unchai ki baat hai. Isliye naye sadhako ko ghabrana nahi chahiye. Nahi class bye class bhumika hai. Naam jap ki bhumika hai. To hamen pratham bhumika mein chahiye ki jibhya hilate hue naam jap karen aur jahanjahan man hamara jae wahan wahan se hatakr naam mein lagaen. Bar-bar ye abhyaas karen aur jahanjahan man jae wahan wahan bhagwan ko dekhne ki cheshta karen ki wahan bhi paramatma virajman koi bhi vastu koi bhi vyakti koi bhi sthan aisa nahi jahan paramatma na virajman ho.

to naam jap karte karte do abhyaas karen. Ek to jahan jae wahan se hata ke naam mein lagave aur ek jahan jae wahin bhagwan ko dekhne ki cheshta karen. Wahin paramatma ko dekhne ki cheshta karen. Dhire-dhire hamara man yah ham nahi kah rahe ki tum do mahine mein siddh ho jaoge, char mahine mein abhyaas lamba kheenchna padega kyonki bahut janmon ka abhyaas hamara vishay chintan ka hai. To jab ham naam ko dhyan purvak japte hain. Dhyan purvak kaise kahte hain? Ki jaise hamne kaha Radha to ab hamare kan mein gunj gaya Radha.

hamari ankhon ke samne likh gaya Radha. Chahe ankhen band ho, chahe khuli ho. Koi jaban nahi chal rahi andar se Radha Radha ya Ram Ram Ram Ram aise ek dhvani chal rahi aur ham usi dhvani mein dubte chale ja rahe hain to jab ekagrata hoti hai naam jap ki tab use dhyan sahit jap kahte hain. Jab ekagrata tik jati hai ghanta do ghanta tik gayi tab use sampragyat samadhi kahte hain. Aur jab ekagrata uthte baithe chalte phirte khate pite sab samay bani rahti hai. Ek kshan ke liye bhi naam nahi chhutta to use asam pragyati vichakshana samadhi kahte hain.

wahi siddh purush ho gaya. Kabir das ji kahte thade baithe pare utana Kabir kahe ham thikana. Chahe ham khade hain ya baithe hain ya pare hain ya kha pi rahe hain. Ham thikane mein rahte hain. Arthat har samay bhagwan ke chintan mein rahte hain. To yadi is prakaar naam jap kiya jae to naam jap se trigunnatt avastha samadhi paramatma darshan leela mein pravesh jo chahe wah sab prapt ho sakta hai. Naam se badhkar koi sadhna nahi hai. Naam hi jeevan ka sar hai. Aisa nahi ki apne sadhan nahi kiye. Apne ashtang yog ka sadhan kiye hue hain.

sankhya yog ka sadhan kiye hue hain. Karm yog ka sadhan kiye hue hain. Sab karke aapko bata rahe hain ki sabka sar hai naam mein priti ho jana. Har samay madhur madhur bhagwan ka naam chal raha hai. Jo naam priy hai. Agar naam nahi hai to ham sab adhura samjhte hain. Jiske jeevan mein naam nahi uska jeevan kuda hai. Jaise shunya shunya shunya kya matlab rah gaya? Ab ek lagao phir shunya rakho to 10 ek shunya aur badha do 100 ek shunya aur badha do hazar wo badhta chala jaega ek hai naam agar naam rupi ek hai to aur sadhan rupi shunya lagate chale jao mahima badhti chali jaegi aur naam rupi ank hata do to shunya shunya shunya shunya koi uska arth nahi rahta isliye sabko naam jap karna chahiye naam jap se rajogun hi nahi tamogun bhi nasht ho jaega satogun ke upar avastha aa jaegi.

trigunnatt gunatit avastha aa jaegi. Shri Harivansh maharaj ji maharaj ji asang kaise raha jae? Iske kya niyam hai? Matlab inka divorce ho gaya maharaj ji. Uske baad jeevan mein asang rahne matlab chahte hain ki mansik aur adhyatmik unnati hoti rahe unki aur aajkal ke modarna jamane mein kaise maharaj ji isko? Jab tak ham antwritti ko bhagwan se nahi jodte hain tab tak asangta ho hi nahi sakti kyonki man kisi na kisi vastu vyakti sthan ka aashray liye bina rah nahi sakta. Iska swabhav hai. Yah aashray leke hi rahega.

dekho aap shant hokar dekho to koi vyakti chal raha hai dimaag mein ya koi vastu ya koi sthan ya koi ghatna ya koi paristhiti wo aashray lekar uska chintan karta rahta hai. To iske in ashrayon ka jo purv mein aashray lekar apne andar kaiset bana li hai jab ham naam jab karte hain tab hamen khol ke dikhata hai ki yah kamai hai hamare paas to hamen use delete karni hai aur nai hone na pave. Iske liye hamen har samay naam jap karna hai. Andar se vritti jodni hai. Ab bahar se anguli se mala chal raha hai aur jaban chal rahi mukh mein aur man chal raha hai sansaar mein to bhi asang nahi ho paye.

man maiyasakta mana Parth bhagwan ne kaha mere mein aasakt man wala bane to bhagwan ki jab ham leela kathayen sunte hain jaise bhagwat ka dasham skand hai ham swayam padhen ham khub kano se sune bhagwan ki leela kathayen sunte hain bhagwan ka naam jap karte hain aur bhagwan ke marg mein chalte hain to hamare andar ek power aata hai bhagvatik power usse ham asang rahte hain hamen accha hi nahi lagega aise lagta hai ki main akela hoon. Koi to mera hona chahiye. Aisa lagta hai na sabko lagta hai jiske ham god mein sir rakhkar chain se so sake.

wo keval bhagwan hai. Nahi to sansaar kapti hai. Ye paye jaan jagat mein sab jan kapti kutila kalyugi tanch. Upar se kya hai? Andar se kya hai? Jaan pana bada kathin hai. Upar se kuch aur bhasha hai aur dikhava hai aur andar se bahut aur dikhava hai. To ek hai jo bhitar aur bahar donon se ek hai wo bhagwan hai. Bhagwan ka ham aashray len. Jisse bhi mile hamara pavitra vihaar hona chahiye. Ganda aacharan nahi hona chahiye. Koi hamko gali de to ham sun ke sah jae. Ham kisi ko palat ke gali na den aur naam jap karen to dhire-dhire hamare andar adhyatma ki wah yogyta aayegi jise asangta kahte hain.

asango ham purush main asang hoon. Yah aisa anubhav hoga kyonki vastvik ham asang hai. Hamara jo swaroop hai wo asang hi hai. Wo kabhi par wo swaroop jo hai galti kar baitha. Deh ko main mankar antahkaran man buddhi ko main mankar wo phas gaya. Isliye naam jap karo, bhagwat charcha suno, satsang suno aur achhche aacharan karo, pavitra aacharan karo. Tabhi asangta hai. Galat aacharan karen aur adhyatma ki baten karen to wo baten baten keval hai. Jeevan mein prakash nahi hoga. Agar jeevan ko unnatisheel banana hai, badhiya sukhmay jeevan vyatit karna hai to gande acharno ko pehle roko.

jo paap aacharan hai unko roko. Achhche aacharan karo aur naam jap karo. Baba iska bal aapko mila. Nahi yah bal jo hamen jahan se mila hai wahi khajana tumhen de rahe hain. Man lo ham kah rahe Radha Radha japo bhagwat charcha suno to isi se to hamen bal mila hai. Jis bal se ham tike hue hain wahi bal ham sabko de rahe hain. Agar is bal ko aap sweekar karen to lambe samay mein aap khud anubhav karenge ki aapke andar kaisi kshamta badh rahi hai. Aapke andar kaise bhav badh rahe hain. Ji

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • ekantik vartalaap evam darshan #1441 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • brahm gyani mahatma apna sharir chhota hai to uska sukshm sharir kahan jaata hai? — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1440 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • diwali par maharaj ji ke amritmay vachan | Diwali Special — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1439 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • ye 9 galtiyan aapki puri sadhna bigad sakti hain — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…