॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

dhan aur jeevan-nirvah ki chinta chhod do, bhagwan sab sambhal lenge

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

anant janmon se jis maha sukh ki khoj mein ham bhtak rahe hain. Is janm mein hamen use prapt karne ka avsar diya gaya hai. Hamen marg ka gyan karaya gaya hai. Hamen marg mein chalne ki samarth di gayi hai. Ab ham anannya bhav se pura prayas karke apni ek-ek cheshta ek ek shwas ekmatra jo maha sukh sindhu hai param karunamay hai jinki prapti ke baad kuch prapt karna baki nahi rahta jahan dukh ka lesh bhi nahi hai. Shok, vishad, chinta, bhay inka pravesh hi nahi hai. Wah maha sukh prabhu ke ashrit, prabhu ke nirantar chintan paraayan upasak ko prapt hota hai.

us upasak ko kabhi bhi kisi bhi tarah ki na jeevan nirvah ki chinta karni padti hai, na param pad ki chah hi karni padti hai. Jaise pita ki sampatti par putr ka swayam adhikar ho jaata hai. Aise bhagwat ashrit anannya chintan paraayan sukh dukh ko saman bhav se sahne wala upasak param pad ka adhikari swayam ho jaata hai. Avshyakta hai jo shri bhagwan kah rahe hain ki mera tum anannya bhav se aashray sweekar karo. Anya bhav hi maya hai aur ananyata hi bhakti ka swaroop hai. Prayah sab bhakt hi hain. Kyonki hamari drishti mein hamare prabhu ke siva koi hai nahi.

to sab bhakti kar rahe hain. Koi vishay ki, koi putr parivaar ki, koi dhan ki, koi man pratishtha ki. Mere prabhu hi sab rupon mein hain. Par yah na janne ke karan anya bhavon ka arop kar lene se durgati ho gayi. Mere prabhu hi hriday mein virajman hai. Par unki mahatwata unki mahima ko vishwas purvak na sweekar karne ke karan hamara hriday anand sindhu mein nahi doob pa raha. Nana prakaar ki chintaen, klesh, ashanti, abhav yah hamen satae ja raha hai. Jabki purn kripa sindhu, anand sindhu hamare hriday mein hi virajman hai.

to hamari kahin truti ho rahi hai. Nahi hriday mein virajman prabhu aur dinata dukh bhay vishad yah dinata bhakti janit nahi vishay dinata abhav janit dinata jo bhakti ki dinata hoti bhav ki charm sima hai wo lekin yah dinata vishay prapti ke liye kamnao ki purti ke liye dainya hua bhtak raha hai jabki sarv samarthyshali sarv sukh sindhu prabhu hamare samip hai hamen kyon kyon anubhav mein nahi aa rahe? Anand sindhu madhya to bhasha phir ham kyon anand ki khoj vishyon mein kar rahe hain? Agyaan ke karan avidya ke karan us agyaan avidya ki nivitti kaise hogi?

mame prapaddyate maya menta tarte jo meri sharan mein aa gaya wah maya avidya se tar gaya uske agyaan ka nash ho gaya to prabhu ki sharanagati ka swaroop kya hai sarv bhav se apne prabhu ko prasann kar lena bhagwan varnan karte hain ananyas chintyantu mam ye jana parpasate meri sarv bhav se upasna man se vachan se karm se pratyek cheshta se keval ekmatra upasna ka tatparya apne prabhu ke samip rahna hamara bhav hamari cheshta hamari indriyan prabhu se judi honi chahiye upasna apne prabhu ke samip hi honi chahiye bhaleebhanti jo upasna mein hai parpasate anya bhavon ka tyag karke anannya bhav se mera jo bhajan karte hain.

bhaleebhanti se meri upasna karte hain. Ab usko yogkshem ki chinta ki parvah nahi honi chahiye. Yah chinta parvah unko hoti jo bhagwat ashrit nahi hote. Swayam shri bhagwan kah rahe yogkshm bhamyam lok parlok mein jo tumhen chahiye wo main pradan karunga aur jo pradan kiya hai uski raksha main karunga. Tumhen bilkul chinta nahi karni. Na sadhan ki aur na vihaar ki i parlok sakal sukh pavat dekho itne bade malik kah rahe hain chhem main tumhari raksha karunga yogam jo tumhen prapt karana hai wo main karaunga tumhen bilkul chinta nahi karni keval meri sharan mein hokar mere ashrit hokar mera anannya chintan karo prasang chal raha tha ki purn sharanagati kise kahte us purn sharanagati ke prasang mein kuch lakshan apne logon ne shravan kiye the.

pahla hai hamen sharanagat ki tayyari karni hai. Purn samarpan prabhu kar lete hain. To sharanagati tayyari ka pahla lakshan hai nitya nirantar apne prabhu ka anannya bhajan hona. Apne ham kisi aur ka bhajan nahi kar rahe. Apne prabhu ka kar rahe hain. Tabhi nitya nirantar hota bhi hai. Apne prabhu ke siva mera koi apna nahi. Is apne shabd mein koi bhi vastu, vyakti, sthan, pad, pratishtha nahi ani chahiye. Apnapan aapka surakshit keval prabhu ke liye ho. Ham log yahan chuk kar baithe hain. Kisi na kisi ko apna man lete hain.

apna dhan, apna janm, apna bal, apna gyan, apni tapasya, apna vrat, apna niyam. Koi birla hi hota hai jo keval prabhu ko apna manta hai. Apnapan keval prabhu ko phir to baat ban gayi. Phir to matlab aisi jeevan mein divyta aayegi ki aap khud anubhav karenge. Shabd yad kar lijiye. Apnapan keval prabhu se dusra koi apnepan ko na lene pave. Yahi hamari savdhani hai. Par hamare hriday mein janch karke dekha jae to sab jagah apnapan ho sakta hai lekin prabhu se nahi. To kaise janch ki jati hai hriday ki jisse ham yah jaan pave ki prabhu se apnapan hai ya kisi vastu vyakti se.

to jiske milne se prabhu ka vismaran ho jae to usse vishesh apnapan hai kyonki usse kam apnapan wale ko ham bhul jaate hain. Zyada apnapan wale ki smriti aa jati hai. Yadi kisi vyakti vastu pad pratishtha sthan ki prapti par apne pran pritam prabhu ka vismaran ho jae to abhi apnapan ham pura nahi de paye. Prabhu chhote ho gaye. Unka apnapan kam ho gaya aur sansaar ke sambandh bhog samgri yash kirti pratishtha yah zyada ho gaye. Hriday mein dekho prabhu ke saman keval prabhu hi hai aur hamara apnapan keval unke liye hai.

yah bahut badi mahimamay sharanagati ki baat hai. Pahla hai nitya nirantar apne prabhu ka anannya bhajan hona. Phir dusra hai prabhu ko hi akhil vishv rup mein prakt bhavna mein dekhna. Mere hi inki vyakhya ho chuki hai. Tisra hai aapse jitni cheshta ho rahi hain. Aap yantravat kar rahe hain. Aapke yantri chalane wale prabhu hain. Main kuch nahi kar raha. Mere dwara jo kuch kara rahe hain wah prabhu kara rahe hain. Beech se sweekar mat karna. Kram se sweekar karna. Nahi to aapko bhram ho jaega. Kaise bhram? Aapne yah baat sweekar kar li keval apni buddhi se ki jo kuch kara rahe hain prabhu kara rahe hain.

phir ab vidhi nishedh ki kya baat rah gayi? Phir to ham jo papacharan kar rahe hain, bhog kar rahe hain, hinsa kar rahe hain, chori kar rahe hain, khanpan galat kar rahe hain. To bole aapne hi kaha tha prabhu jo kara rahe hain wahi ho raha. To wahi ho raha hai. Iska matlab aapne sharanagati ka siddhant samjha nahi. Beech se keval baat pakar li hai. Isiliye kah rahe savdhaan jab wo nitya nirantar apne prabhu ka bhajan karta hai aur vishv ko apne prabhu ka rup samjhta hai to papacharan kisse hoga? Isiliye tisri lakshan vritti mein rakha gaya hai ki wah anubhav karta hai ki mere dwara jo kuch ho raha hai wah mere aradhya dev kara rahe hain.

chautha prabhu ko hi sabse badhkar ekmatra apna pran priyatam anubhav karna prabhu ki jagah keval prabhu dusra koi nahi. Pancha apne prabhu par purn vishwas. Chhathwa sarvda sarvatha apne prabhu ke anukul hi aacharan hona. Siddh sharanagat mein hote hain. Sadhak sharanagat isko adarsh mankar chalta hai. Shri Krishna anukul len. Kabhi wo apne prabhu ke pratikul aacharan nahi kar sakta. Prabhu ke arthat jo bhagwan ne adesh kiya hai Shrimad bhagwat ji mein gita ji mein aur santo ki Gurudev ki vani mein baithkar kabhi uske pratikul aacharan usse nahi hote.

satwan sab kuch prabhu ka samjhna aur prabhu se kabhi kuch na chahna. Hamara sharanagati hamara bhajan prabhu se lene ke liye nahi hai. Prabhu ko prapt karne ke liye prabhu ka bhajan prabhu se apni kamnao ki purti ke liye chahe wo moksh kamna hi kyon na ho badi prashansniy hai moksh kamna. Par yah premi mahabhagavton ki baat ho rahi hai jo moksh ka bhi tyag kar chuke hain. Prabhu ka bhajan keval prabhu ke liye karna. Ab jab hamara sharir, man, jeevan prabhu ko samarpit hai to jinke prati samarpit hai unhin ke liye bhajan karna.

yah to samarpit jeevan. Ab hamara kuch bakaya hi nahi raha. Jo kuch hamara apnapan tha wo sab prabhu ke charnon mein samarpit hai. To siddh purush mein aisi vritti rahti hai. Par sadhak ko aisi dharana karni padti hai. Sab kuch prabhu ka samjhna aur keval prabhu ke liye hi bhajan karna. Prabhu se kuch nahi chahna. To lagega phir kya bhajan ka anand hua? Are bavare jisne ek nimash matra mein anant bramhandon ka srijan kar diya apne anand sindhu ke ek bindu ke shikhar se ab wo anand sindhu mil gaya to ab aur kya chahiye koi chah hi nahi rah jaegi us sthiti mein to aie athwa prabhu ke pratyek vidhan mein param prasann hona ab iski vyakhya hai abhi tak jo sutra bole kal inki charcha hui thi aise aise sharanagat bhakt jo upar ke lakshan se yukt hain.

upar ke lakshan ko dharan karne ki cheshta kar rahe hain. Wah samjhte hain ki hamare prabhu ka jo bhi vidhan hai wo bada mangalmay hai. Kabhi amangal ho hi nahi sakta. Prabhu ke vidhan se pujya shri Radha Baba jaise bhagwan surya upasthit hai to andhkar dhundne par bhi nahi milta hai. To ham bhagwan surya ko agar aisa kahe ki tumhari takat ho to andhkar karke dikhao to asmarth hai. Kyonki wah jab samne honge to andhkar tikega hi nahi. Aise hi agar vinod ki bhasha mein bhagwan se kahe ki tumhari takat ho to amangal karke dikhao to bhagwan kabhi amangal kar hi nahi payenge.

unki samarth nahi hai. Amangal ham karte hain aur mangal bhagwan karte hain. Kaise? Bhagwan jab kabhi krodhit hue dikhayee dete hain aur unka vadh karte hain to unko wo param pad milta hai jo rishi muni sadhna karke prapt karna chahte hain. Kya hua? Amangal hua kya? Are mahamangal ho gaya. To mangal bhavan prabhu ko agar kah diya jae ki tumhari takat ho to amangal karke dikha dena. To ek vinod ki bhasha mein kah sakte hain ki bhagwan ki takat hi nahi ki amangal kar sake kyonki wo mangal bhavan hai. Jaise surya ki takat hi nahi ki wo andhere ka darshan kara de.

wo chale gaye to andhkar chhaa jaega. Jab tak surya hai to andhkar nahi chhaega. Aise jiske jeevan mein bhagwan ki sharanagati utar gayi. Ab har vidhan mangalmay hai. Har vidhan ek mantri prabhu ka bhajan karte the aur sharanagati ke sutra ko achchhi tarah samjhte the. To kuch bhi ho kah dete bhagwan ki badi kripa. To ek din raja shikar khalne ke liye jaate hi hain. Jo praja ke nashak pashu hain, jo rugna pashu hain, jinke dwara sankramak rog phailte hain, unko vadh karke praja ko surakshit rakhte hain. Unka shikar khelnaa swad ke liye nahi hota.

praja raksha ke liye hota hai. Mantri bhi saath the to kisi pashu ka piche kiya aur bade avesh mein aae. Savdhaan nahi rahe to pratyancha se angootha kat gaya aur unka mantri angootha kat gaya unko bhagwan ne bahut accha kiya badi kripa unke ye shabd hi the kyonki jante the bhagwan ka pratyek vidhan param mangalmay hota hai bada gussa aaya unka dusht kahin ka to hamara mantri hai dushman hai hamara angootha kata to kahta bhagwan ne bahut accha kiya badi kripa hui isko bandi banaya jae aur turant kadi saja ke dwara ise jail mein rakha jae raja raja ka adesh unka badi kripa maharaj bhagwan ki badi kripa bahut accha kiya bhagwan pagal ho gaya ye mantri mantri pad se hata ke ise jail mein rakh rahe kah raha bhagwan ne bahut accha kiya badi kripa kuch din baad vaidya ke dwara angootha theek hua swabhavwash phir shikar khalne ke liye gaye ek pashu ka piche kiya jo raj sainik the wo jangal ki galiyon mein piche rah gaye aur wo age nikal gaye pashu ka piche karte hue udhar koi balshali raja ke parikar bali dene ke liye purush ki khoj kar rahe the.

bhadrakali ko prasann karne ke liye narabli ka unhone sankalp liya tha. Ye mil gaye raja. Inko le gaye. Snaan aadi kara ke jab purohit ke samne le gaye. Jahan bali di jati thi to purohit ne sarvang pushta ka nireekshan kiya ki sarvang pusht hai ki nahi. To dekha to angootha kata hua tha. Unhone kaha yah ang bhang purush ki bali nahi di jati. Chodo isko chhod diya. Ab wo manaye ki baat to sahi thi. Agar bhagwan kripa karke angootha na katte to aaj gala kat jaata. Mantri ne theek kaha tha. Bhagwan ka har vidhan mangalmay hota hai.

wapas aae mantri ko sadar bulaya aur kaha aap jo kahte hain aaj mujhe samjh mein aaya agar mera angootha na kata hota to mera gala kat jaata. Puri baat bataai aap kahte bhagwan ki badi kripa bhagwan ne accha kiya. Yah baat to samjh mein aa gayi. Lekin tum mantri pad se hata ke kadi saja bhog rahe ho jail mein. Iske liye bhi kaha bhagwan ki badi kripa bhagwan ka mangal vidhan ismen kya kripa aapne dekhi to unhone kaha maharaj sainik bhale piche rah jaate lekin jahan aapka ghoda hota wahan mera hota aap bandi banae jaate aur main bandi banaya jaata aapka to angootha kata tha aap bach jaate lekin meri bali chadh jati isliye bhagwan ne mujhe jail mein rakh diya bhagwan ki badi kripa jo bhakt hota hai har vidhan aur nischit param kripa chupi hoti hai apne ko lagta hai ki bhagwan aisa kyon kiye aisa kyon kiye lekin unke vidhan mein param mangal hota hai.

kai bar pratap ray ji ke charit mein udaharan mein diya hai bade hi nirmal bhagwat grihasth bhakt the. Unke kul parampara mein jeevan yapan ke liye ek vritti thi ki jaise aapko koi kam hai to aap apna abhushan rakh jaiye aur paisa le jaiye. Aur phir byaj sahit paisa de jaiye aur abhushan le jaiye. Mahajan log pehle aisa karte the. Usi se thakur seva, sant seva aur bhajan anya koi wo karya nahi karte the. Jo kul parampragat chal raha tha vaisa bhi karte. Badi samaj mein pratishtha thi kyonki satyavadi dharm se chalne wale aur har samay bhajan karne wale mala liye baithe rahte the gaddi mein koi aaya vashish.

to jo wahan ke kazi the wah anya dharmavalabi the to kuch dusht logon ne unko bhadkaya ki iski itni pratishtha ho rahi hai itna man ho raha hai aur dhan bhi aa raha hai to unhone ek man mein jo thana tha nicha dikhane ke liye apna pura ka pura plan bataya ki aisa aisa kiya jae to samaj mein bhi iski ninda hogi aur sara dhan iska chhin liya jaega aur isko dand bhi diya jaega. Kazi ko sahmat kar liya. Teen log ismen pramukh bane. Ek gaya pranam kiya pratap ray ji ko aur kaha hamari beti ka byah hai.

₹100 chahiye. To bole aapko hamare yahan ka siddhant pata hoga. Bole haan ham pehle se jante hain. Ye kuch hamare swarn abhushan hai. Wo dekhte bhi nahi the. Ek bada box rakha tha. Apna naam likhkar parchi rakhiye us par aur abhushan rakh dijiye aur unka sevak rahta ₹100 le jaiye aur jab aapko ho kam ho jae to byaj sahit wapas kar jana apne abhushan le jana dekha bhi nahi kya hai thodi der baad dusra aaya hamare ghar mein khane ko bhi nahi hai hamen arth chahiye to hamare swarn abhushan ye hai aap bilkul 10 da hazar teen log le gaye aur apne abhushan aise rakh gaye parchi laga char panch panch din baad hi aae ₹100 byaj sahit wapas kiye aur abhushan pehle ne uthaya apni are dekho kitna natkeey hai ismen ek bhi abhushan nahi ismen to patthar bhare patthar hi rakh gaye the unhone dekha bhi nahi bhakt ka jeevan vishwasmay hota hai kyon koi chhal kapt karega aisi bhavna se thodi der mein dusra gaya thodi der mein tisra gaya tino ne are dekho ye natak hamara swarn abhushan hata ke patthar bhar ke rakha hai hamne to byaj se isko paisa diya aisa thodi der mein kazi ji ko bula liya.

kazi ne atank macha diya. Badshah se dastakhat kara ke raj sainikon ke dwara pura inka parivaar bandi bana liya gaya. Inhone apni patni ko kaha thakur ji lo abhushan lo piche ki khidki se bhag jao. Yah koi bhagwan ki leela ho rahi hai. Hamare dwara to koi galti hui nahi. Bahut hi unko apmanit kiya gaya. Ganv ke log samjh gaye ki yah pakhand kar raha tha, bhakti nahi kar raha tha. Are ek aadmi jhooth bolegaa. Teen adamiyo ke saath wo kapti thag the hi. Aisa hota hai bhagwan ki badi vichitra leela hoti hai.

kabhi-kabhi satya ko parde mein dhak diya jaata hai aur asatya ka bolbala dikhayee deta hai. Lekin zyada din nahi chalta wo. Inko bandi bana liya gaya. Sari sampatti aphrn kar li gayi. Kuch logon ne kaha ki inki patni hai aur wo thakur ji ke abhushan aur thakur ji ke lekar ke apne mayke chali gayi. Wahan sainik bheje gaye. Usko bhi bandi bankar thakur ji ko bhi lakar jahan sab swarn abhushan jama kiye jaate hain us khajane mein thakur ji ko bhi rakh diya. Jab patni paas mein hi band karke ai aur unko ekant mila tab wo rone lage pratap ray ki mujhe ye jo apman mila hai bandi bana liya gaya.

mujhe iska kasht nahi. Nath main aapko pragat mankar atho pair seva karta tha. Aapko ek abhushan ki tarah hi khajane mein rakh diya gaya. Yah main sah nahi pa raha hoon. Aapko kaise bhog lage? Aapko kaise jal pilaun? Aapko kaise shayan karaun. Prabhu aur dand jo chaho dila do. Par mujhe aisa kuch sahyog bana do jisse aapki aur ar bhav se rone. Je bhi rone lage te wahi Priya pritam prakt ho gaye. Sakshat o jo bade-bade rishi munio ki akanksha hoti sadhna karte hue wo aradhya dev kaise milte hain? Unka vidhan kadva ho sakta hai lekin parinaam mahamangal mein lut gaye charnon mein tatkaal bhagwan ne kai vishwasneey janon ko adhikariyon ko prerna di ki yah nirdosh hai janch ki gayi to kazi sahit un tino ko jhutha paya gaya badshah ki taraf se unko dand mila aur pure nagar mein sasamman ke saath pratap ray ji ko phir sthaapit unki pratishtha unka man unke thakur unki sampatti aur raja ne ne kaha aaj ke baad sadaiv hamara sahyog rahega.

kya hua? Thodi der ke liye kadva vidhan nazar aaya lekin bhagwat sakshatkar ka yog ban gaya. Jo bhakt hai uske hriday mein nischay ho jaata hai ki ab jo hoga wo sab mangal vidhan bhagwan ka hoga. Ek hota hai sahna ki ab kya karen? Bhagwan hai. Jo karenge sahna hi padega. Aur ek hota hai aandit hokar ke. Mere prabhu jo kar rahe hain bahut mangalmay kar rahe hain. Aap itna samjh lo ki bhagwan ke bhandar mein anand hi anand hai. Dukh to hai nahi. Amrit hi amrit hai. Jahr hai nahi. Vishwas kar lijiye. Kisi bhi tarah se wo prayog karenge to amrit aur anand ki anubhuti hogi.

yadge vishma parinaam amritom shuruaat tumhen vish jaisi lag sakti hai par wo vidhan tumhen amrit mein dubo dega vishwas kar lo kripa ka swaroop kai tarah se prakt hota hai kabhi bahut hi madhur swaroop prakt hota hai kabhi bahut komal kabhi bahut sukh swaroop kabhi-kabhi kripa bahut hi bhayanak rup mein aati hai badi hi kat rup mein aati hai badi hi bhishan rup mein aati hai. Par uska parinaam bahut mangalmay hota hai. Upasak mridu komal madhur kripa ya katu bhishan dukhmay in donon ke bhed ko nahi dekhta. Keval kripa dekhta hai.

kripa hai aapki. Kripa hai. Bade leela bihari hai. Unki leela wahi samjh sakte hain ya jisko samjha de. Vaman rup se jaate hain. Teen pag bhumi mangte hain. Nap karke ek hi pag mein brahmlok tak dusre mein brahmand bol bada dani banta tha. Bandh diya Varun paas mein aur kaha ab bol tisra pag kahan se de? Do pag mein sab na. Yah badi bhishan kripa ka swaroop hai. Sab aaspas bhagwat parsad khade hue hain jo puri srishti ka lay srijan palan karne ki samarth rakhte hain aur bhagwan garjan karke kah rahe bada ahankaar karta tha teen pag prithvi ka dan kar dunga apne ko dani ab pura kar muskurae bali ji prabhu abhi to aapko pranam bhi nahi kiya hai pranam bhi kaise karun aapne to bandh rakha hai prarthna karta hoon ki jin shri charnon ke napne se aapne manga tha unhee shri charnon se do mein to sampatti nap li ab ek mein sampattivan ko nap lijiye apne charan hamare

mathe par padhraie aur mujhe bhagwan bandh gaye bali ji ko nahi banda bandh gaye karuna samudra bhagwan muskura diye bole tumhen tanik bhi shobh nahi ho bole prabhu cho kis baat Prahlad ji aa gaye stavan kar rahe hain unki patni stavan kar rahi bhagwan ne kaha aaj ke baad dwarpaal main tumhara aaj bhi bhagwan bali ke dwarpaal bane hue khade aaj bhi bolo bhagwan ne bali ko banda ya bali ne bhagwan ko bandh diya lekin kripa itni bhishan dikhayee de rahi thi ki koi mangal ka vidhan hi nahi samjh mein aa raha tha itne bade mahan bhakt ko bhagwan ne Varun paas mein jismen pratiphal mrityu ka kasht hota hai.

Varun paas pratiphal jakadta jaata hai. Prannon ko bhishan kasht hota hai. To kripa mridu bhi ho sakti hai, bhishan bhi ho sakti hai. Par bhakt mridu aur bhishan nahi dekhta. Keval kripa dekhta hai to parinaam mein kripa sindhu ko apne hriday mein apni drishti mein apne prannon mein apne jeevan mein bahar bhitar unki kripa hi kripa unka anubhav karta

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • ekantik vartalaap evam darshan #1441 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • brahm gyani mahatma apna sharir chhota hai to uska sukshm sharir kahan jaata hai? — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1440 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • diwali par maharaj ji ke amritmay vachan | Diwali Special — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1439 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • ye 9 galtiyan aapki puri sadhna bigad sakti hain — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…