॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

diwali par maharaj ji ke amritmay vachan | Diwali Special

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

Maharshi aaj Diwali ka shubh parv hai maharaj ji desh videsh mein aapko bahut log sunne wale hain. Maharaj ji aapke kuch ashi vachan ki aaj kya savdhania rakhen kya karen? Kya na karen maharaj ji asli baat kya hai ki ham jaise satsang mein bole the aaj ki jitne bhi hamare tyohar hote hain wo bhagvatik hote hain. Inme koi na koi sambandh hamare bhagwan ki lilaon se hota hai. Jaise yah Diwali hai to avdh mein bhagwan shri Ramchandra ji to yah utsav manaya gaya. Deep sampurn Ayodhya deep se prakashit hai.

bhagwan shri Ram 14 varsh vanvas ke baad avdh mein jo hai virajman ho rahe chakravarti samrat pad pe. To ye ab ise ham gharghar hamen lagta hai pure bharat mein mantri hogi. Sadbhavna to hai hi. Aur hamko yah samjhna padega ki jaise ham Diwali utsav mein juaa aadi khalne lagte hain. Log nahi khalne lagte ki bhai sal bhar to ham nahi khelte par Diwali ko to khelen. Kyon bhai? Kahan likha hua hai ki aap Diwali ko wo aparadh karen jismen kalyug ka vas rahta hai. Jismen bade-bade dharmatmaon ki bhari bhari vipattiyan aae.

dharmraj yudhishthir maharaj nal Damayanti bade-bade pavan charit hain mahapurushon ke kyon dat krida mein kalyug ka nivas hai kalyug sharab pina mans khana par stri gaman karna swarn chori karna dat krida karna dat mane juaa khelnaa to jaise Diwali ko zyada to hamen gyan nahi par ganv mein hamne dekha tha ki jo log nahi khelte the wah bhi khelte the aaj ham danv lagaenge par prabhu se pujan karo apne Priya pritam ka ya bhagwat vigrah kisi ka aur baith jao mala lekar ke 12:00 baje ratri tak khub naam mantr jap karo bada shuddh kai guna badhkar ke labh milta hai deepak jala lo ghee ka khub guru mantr japo naam jap karo dat kida aadi nahi ye sab ye sab aapko asat marg mein le jaegi to yah jo hamara tyohar hai.

iska antarik bhi swaroop hai. Hamare hriday mein bhakti kar deep prem kar bati. Hamare andar gyan ka prakash jaise ham ghar mein deepak jlate hain to andhera jaata hai na. Bahar ke andhere jane se hamare hriday ka andhkar to nahi mitega na. To hamen hriday ka bhi andhkar nasht karna hai. Jab bahar ki Diwali itni khushi de sakti hai to agar andar ki Diwali ho jae to kitna anand aa jaega. Phir to ham anand sindhu mein doob jaenge. Kaun sa deep andar jalaya jaata hai? Bhakti ka deepak aur prem ki baten. Agar bhakti ka deepak, prem ki baten ho jae to us prakash jo prakt hota hai use gyan kahte hain.

us gyan se ye jitni bhi chinta, shok, dukh, mrityu aadi ka bhay hai, yah sab nasht ho jaega. Aap sharir nahi hain. Aapka swaroop sacchidanand hai. Kisi bhi shastr astr ki takat nahi ki aapko mar sake aur yah sharir bach nahi sakta. Kyonki yah prakriti ka hai aur yah marega. Jaise ye bachchha se kab jawan hua, kab budha hua aapko pata nahi chala. Aise hi kab mrityu aa jaegi, aapko pata nahi chalega aur sharir chhin jaega. Yah prakash hota hai andar. Aur jab yah baat pata chal jati hai ki main kaun hoon to nach parta hai atmanand yaj gyatwa stabdho bhavti mato bhavti atma ramo bhavti jisko jaan lene par wo shant ho jaata hai wo mast ho jaata hai wo atmaram ho jaata hai yah ai diwali andar ki to ye bhakti kar deep aur prem kar bati kisi bazar mein nahi milti hai yah bahari deepak aur bati to bazar mein mil jati lekin ye bhakti kar deep prem kar bati kahan milegi bole sadhu sangati kar anudin rati yadi bhagwat premi mahatmaon ka sang ho jae to deepak bhi mil jaega bati bhi mil jaegi aur prakash bhi ho jaega aur agyaan andhkar nasht ho jaega hamen lagta hai khub badhiya deepak jalae aur manjeera uthave bhagwan naam kirtan karen 10 20 50 log milke phir ekant mein naam jap karen thakur ji ko bhog lagae aarti karen to yah satvic bhagwan aae to utsav manaye, anand manaye, asuri pravriti wala koi bhi karya na ho aur andar bhi jab ham naam jap karenge, bhakti karenge to andar prakash bahut zaruri hai.

aaj hamare bahar to prakash ki bahut badhiya vyvasthaye hain. Haeejan, bijli sab chal rahi. Jab bijli nahi to janretar se chal jaega. Andar andhkar chhaya hua hai. Nahi chhaya hua. Is andhkar mein jab tak Diwali nahi hogi tab tak vastvik anand ka anubhav nahi hoga. Aur yahan anand jaise ham dekho andhkar mein kya rassi ko saanp samjh rahe hain. Bhayabhit ho rahe hain. Sharir mein itni asakti maine man liya main stri hoon. Main man liya maine purush hona hi hai tu. Ye teri poshak hai. Aur jitne bhi dukh hai sab isi mein ate hain.

tu kahe ko isko pakde hue hain. Tu apne swaroop ko dekh tu alag hai. Ab ye baat samjhne ke liye sadat chahiye. Ab tum gande aacharan karte ho, ganda chintan karte ho. Kaise tum apne swaroop ko janoge? To yahi gyan prakash yahi gyan ho jae ki main bhagwan ka ansh hoon. Jaise bhagwan kahte hain mamwa anshu aur bhagwat prapti karna mera param dharm hai. Anandmay ji grahasti mein mahatma ho jaoge. Itna anand rahta hai usko jo bhagwat prapt ho jo bhagwan ke chintan mein bhari se bhari dukh use kahin bhi vichlit nahi kar sakta.

aayega dukh bacho. Dukh ane ke pehle jahan dukh ka prhar hona hai usse alag ho jao. Bilkul aap alag hain. Jaise mere table mera hath to main hath to nahi hoon na upar pure mera sharir khud aap bol rahe hain. Main sharir aisa to nahi koi kahta mera sharir matlab ye main nahi hoon. Theek. Andar chalte hain. Mera man meri buddhi. Main to nahi bola. Phir aur andar chalte hain. Karan sharir wo swabhav ka aa jaata hai. Bole mera swabhav aisa nahi hai. Aap is alag ko apne mein dhar liye. Ab durgati ho rahi hai. Main dhani main nirdhan.

ye prapanch chhaa gaya. Bas isi Diwali mein ye dekh lo prakash mein ki tum yah nahi ho jo tum dukh pa rahe ho. Tum dukh koi bhi dukh tumhen chu nahi sakta. Anand sindhu ka bachchha anand sindhu hai. Ishwar ansh jeev avinashi chetan amal sahaj sukh rashi mujhe to lagti hai yahi Diwali hamare hriday mein bhi jalni chahiye. Bahar savdhani purvak naam jap karen. Achhche bhog prabhu ko lagave. Ye udandta wale karya juaa khelnaa ye sab aise karya na karen aur andar ki Diwali jalane ki bhi ek bar koshish karen. Agar jal gayi to janm mrityu rupi bhay se mukt ho jaoge.

aur yah sharir keval isiliye mila hai nahi to bhatakna hi bhatakna hai hamari. Maharaj ji ek vishesh parv pe aapne kisi ko bola tha ki aaj aisa parv hai aaj se dridh nischay karo ki aaj se main ye vyasan chhod dunga. To maharaj ji aaj bahut sare naye yuvak bhi aapse jude hain maharaj ji. To maharaj ji aapki taraf se unke liye kyonki unko ek dridta chahiye ki koi to ek bole hamen ki aaj se vyasan nahi karunga. Haan ham to prayah har ekantik ke samapan mein sabse kahte hain ae bhaiya tum aae ho. Aaj se tum galat aacharan na karo.

sharab na piyo. Matao bahno ki taraf paap drishti se mat dekho. Mata-pita ko bhagwat bhav se dekhne ke liye buddhi shuddh chahiye. Jagat mein agar unnati prapt karna hai to buddhi shuddh chahiye. Sharab pina, mans khana, vybhchar karna, juaa khelnaa, chori, hinsa bade-bade gande aacharan hote ja rahe hain nai samaj ke. Ab wo motorcycle se bagal se nikle. Koi bahan mobile se baat kar rahi. Aisa jhatka ki nak ke bal gir gaye, muhn ke bal gir gaye. Kitne ko mobile? Janjir sone ki chain kitne ko? 400 500 pakda raaksasi buddhi se khincha ab wo to motorcycle mein baitha aisa khincha wo kai tarah girti ye kya ho gaya?

buddhi bhrasht ho gayi. Hamen lagta hai ki agar hamari baat aapke kan tak pahunche jo tumhari durgati karane wali baat hai. Agar isko chhod do to hamen sukh milega ki hamara bharat desh ka samaj ek dharmik samaj ek shantipriy samaj aur swayam parmanand mein dubne wala ban jae. Yah tumhen nashebaji gande aacharan bada dekho na kya parinaam hota hai. Man lo do char bar nahi pakde gaye aap lekin jab pakde jaoge tab tab aisi pitai hogi yahan aur aajeevan ka agar chhut bhi gaye to yahan se tum bhale chhut jao kisi praman dekhkar lekin ek aur nyayalay hai jahan raeepai ki chuk nahi hoti koi ghas nahi chalti wahan ke nyayalay se daro pakka yahan to man lo aap idhar-udhar karke praman dekar bach sakte ho ya kuch le de ke lekin ek nyayalay jahan kuch lena dena nahi hai kisi gavahi ki zaroorat nahi hai wo swayam sarv sakshi to paap karm ka tyag, gande vyasan, gande ahar ka tyag, yahi bhari utsav ho jaega.

yahi ham bhet mangte hain. Jab koi ekantik mein kabhi bhav aata hai to ye kahte hain aap sab ye gande aacharan yahan chhod jao. Dham hai bhagwan ka aur jo man lo theek kaha ki diwali ka parv hai to kuch na kuch lenden bhet hoti hai na. Bhai koi priyjan aae unke khawaya khawaya piyaya kuch to hamari priyata yahi hai ki tum sukhi raho, tum svasth raho, tum muskurao, tum aandit ho. Kaise achhche acharno se bhagwan naam jap se agar bure aacharan karoge to bhai tumhen rupya shanti nahi de sakta dekho koi wo chuk na kar dena jo ghar mein ganv mein aur samaj mein aap aise utha ke na dekh pa rahe matra kuch chand rupaye ke karan jab hamari baat bigad jati hai to hamari padvi aur samaj ki priyata sab nasht ho ek galti ne pura mitiya met kar diya koi adhikari ji ji the to unhone matra ₹10,000 ki wo priyata mein aur unko aur unhin ke adhikari jan jo kraim vibhag kahte hain wo unko aise buri tarah pakar ke le ja rahe the.

tab mujhe kisi ke dabaw aur pralobhan mein akar kabhi wo mat karna ki ek nyay aur vibhag hai. Wahan tumhen kataghre mein khada kiya jae. Kyonki sabka nyayadhish shri Krishna hai. Wah jab nyay karta hai to wahan kisi gavahi ki zaroorat nahi rahti. Aapka pad aapki jo yogyta wah hamare samaj ke mangal ke liye aap namak roti khao bhale aap kasht se jio lekin aap aankh jhukane wale nahi bano aankh mein aankh dal ke baat karne ki kshamta rahe aur apne pad ke dwara adharm ko dand dene ki kshamta rahe agar aap galti kar diye to padhai likhai mata-pita samaj isse aap aankh nahi mila payenge sab vyarth ho jaega ye kyon vyarth ho jaata hai jab hamen yah baat samjh mein aati hai ki dhan mein sukh hai buddhi bhrasht ho patit ho gayi buddhi nahi dhan mein sukh nahi dharm mein sukh hai aap dekho na bahut aap adharm purvak dharm le to aap dekho aapka parivaar bikhar jaega ashanti paida ho jaegi aisi santane paida hongi jo aapko har samay dekhkar jalati rahegi pakka vishwas manna adharm ke dhan se kabhi sukh shanti nahi milti aur ye adharm tabhi hota hai jab hamari buddhi kharab ho aur buddhi kharab tabhi hoti hai jab ye chhah baten hoti hai pakka samjh lena sharab pina, mans khana, par stri se ya par purush se vybhchar karna aur hinsa karna aur chori karna.

da kida aadi chori karna jaise ye chori hi mani jati hai. Adhikar ke viparit aacharan karna chori hi mani jati hai. Ye jab hoga to kalyug baith jaega. Kalyug ko ye sthan diya aur kalyug jab baith jaega tab durdasha kara dega. Ek bade dharmatma mahapurush ki buddhi mein baith gaya kalyug. Wo mukut lagane ke karan Jarasandh ka to ek rishi ke gale mein mara hua sarp dal diya karan ban gaya mrityu ka sat din mein takshak kateega aisa sangi rishi ne saap de diya isliye bahut savdhaan haan hamare paas bhagwan ki kripa se jo aapka ana hua hai aap nasha rahit aap gande aacharan rahit ek achhche manav bane tab aap mein devta banne ki samarth ave daivi sampada ave phir aap chaho to narayan ban sakte ho jab narayan nar ban sakta hai to sidhi hui na to aap isi se chadh sakte ho.

nar narayan ban sakta hai kyonki ham usi ke ansh hain. To isliye satsang ka labh len aur vysanon ko tyag den. Vrindavan mein baithe ho agar niyam le lo to bahut bada sahyog mil jaega ki bhai koi kasam khavai jati hai to mandir mein nahi chakha jaata. Chalo mandir mein ek mandir kya yahan to dham hai 84 kos braj. Ya niyam le lo sharab nahi piyenge. Mans nahi khaenge. Parai mata bahan ko gandi drishti se nahi dekhenge. Chori nahi karenge, juaa nahi khelnge, insaan nahi karenge. Le lo andar se jo nahi karte ho to dhanyavaad ke patr jo karte ho to batane ki zaroorat nahi.

niyam le lo mangal ho jaega. Jo YouTube se sun rahe hain ya social media se sun rahe ho wo kaise len? Haan. Jab ham bol rahe hain to vachan kan mein gaya aur wah sakshi man len. Wo hamare vachan ko sakshi man le. Sant vesh ko sakshi man le. Aur unko power na mile to batana. Jo davaiyon se tum nasha nahi chhod sakte. Baat man lena wah power aapko apne aap pahunch jaega. Jaise pichle mein koi bola tha ki ham apne parivaar ke mans machhli ye sab chhod diya khana haan maharaj ji pichle batch mein pichle batch mein bola tha haan kya ham kabhi mile hain na kabhi dekha hai hua kya usne baat man li na sakshi man li to ye shabd aise nahi nikal rahe hain ye ye manoranjan nahi hai aap sachchi baat samjhna ye keval aapke kalyan ke liye nikal rahe hain aur aap pakar lo inme takat hai jaise aapse kah de ki aaj se sharab na pina ho aap niyam le len to to aapki jo dikkat hogi chhorne ki wo aapko power mil jaega kyonki bhagwan chhudwana chahte hain na to samarth bhi dete hain.

ye keval dhancha bhar hai. Kam unhin ka ho raha hai. Wahi kar rahe hain. Agar wo na karen to is danche mein bolne ki samarth nahi. Aap sachchi samjh lena. Ye dimaag jo kam kar raha hai hamara nahi kar raha hai is sharir ka. Haan ye shri Krishna ka kar raha hai. Dhyan rakhna. Ye to wo to apaar samarthyshali hai. Aa sharab mat pina. Tum mat piyo. Aap dekho aap mein samarth aa jaegi. Aap ye vachan pakde rahna jahan bhi hoge wahi shri Krishna hai. Jahan bhi koi kan ho koi kshan aisa nahi jo shri Krishna se alag ho. Har samay tumhare saath hain.

wo tumhen power denge. Achhche aacharan karo naam jap karo. Radha Radha

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

Related

  • ekantik vartalaap evam darshan #1442 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • Say "Radha" Once Every 5 Minutes, Then Watch the Miracle — Revered Shri Udiya Baba Ji Maharaj says that the words of great souls purify both self-interest and selfless service, and strengthen both. Baba does satsang but does not do…
  • Private Conversation and Darshan #1441 — Dharmik Ji from Surat, Radhe Radhe, Maharaj Ji, Maharaj Ji. If one lives as a householder and keeps a balance, how will the longing for union with the Lord grow? If not, how do…
  • When a Brahm-gyani mahatma leaves his body, where does his subtle body go? — Vinayak Ji from Maharashtra. Radhe Radhe Radhe-Radhe. Maharaj Ji, my crore-crore pranams at your feet. Maharaj Ji, when a Brahm-gyani mahatma leaves his gross body, where does…
  • Private Conversation and Darshan #1440 — Dr. Vidhi Ji from Maharashtra: Radhe Radhe, Radhe Radhe. Maharaj Ji, my millions of salutations at your feet. Maharaj Ji, the body and the mind move together. When the body is…
  • Private Conversation and Darshan #1439 — Akshi ji from Jammu. Radhe Radhe, Guru ji. Maharaj Ji, when I see small children and people walking without footwear, I try to offer them sandals to protect them from the heat.…