॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

bilwamangal thakur ji ki kahani – kam vasna nirantar naam jap mein sabse badi badha hai!

naam jap mein nirantrta banae rakhne mein hamare chitt ko sabse adhik badha phucha sakta hai kam. Kam se prerit hokar jab hamari drishti kamini ki or jati hai to usmen bhog-vasnaon ki vritti jud jati hai. Yadi jeevan mein ek bar kamini ka sang ho gaya, to uski trishna tumhen jeevanbhar pareshaan kar sakti hai. Jab hamara man kam se prerit hokar kahin bhi uski purti ki sthiti khojta hai, to us samay gahan chintan hota hai aur wahi chintan hamen nasht kar deta hai.

jaise ki Bhagwad gita mein bhagwan kahte hain:

**dhyayto vishyanpuns sangasteshupjayte.
sangat sanjayte kaam kamatkrodhobhijayte. **
vishyon ka chintan karne wale manushya ki un vishyon mein asakti paida ho jati hai. Asakti se kamna paida hoti hai. Kamna se krodh paida hota hai. Krodh hone par sammoh (mudhbhav) ho jaata hai. Sammoh se smriti bhrasht ho jati hai. Smriti bhrasht hone par buddhi ka nash ho jaata hai. Buddhi ka nash hone par manushya ka patan ho jaata hai.
Bhagwad gita 2.62

kriya utni khtrnak nahi hoti, jitna ki chintan khtrnak hota hai. Kriya hui, to wah samapt ho gayi, lekin chintan nirantar chalta rahta hai aur bhitar se hamen khokhla kar deta hai. Hamare ya stri sharir mein kya sukh hai? Yah keval bhagwan ki maya ka akarshan hai. Yah matra buddhi ka bhram hai, aur yah bhram itna gahra baith jaata hai ki us stri ya purush ke bina jeevan kathin lagne lagta hai. Pran tyagna aasan ho sakta hai, lekin use chodna sahaj nahi hoga. Tab keval ek hi marg bachta hai—yadi bhagwan kripa karen, to bacha sakte hain; anytha, mrityu hi ekmatra nishkarsh nazar aata hai.

bilwamangal thakur aur chintamani vaishya ki kahani

chintamani ek atyant sundar vaishya thi, aur bilwamangal ji us par puri tarah nyochhavar the. Chintamani bhi unse prem karti thi. Parantu, ek vaishya ke liye dhan avashyak hota hai, jabki grihasth jeevan mein dhan ki ek sima hoti hai. Bilwamangal ji ke mata-pita ne unke sare vaibhav ko kramash unke liye kharcha kar diya. Anttat, jab mata-pita ne dekha ki unka putr vaishya gaman mein lipt ho gaya hai, to unhone uska vivah ek sundar, susheel aur pativrata kanya se kara diya. Parantu, chitt jaha ram jaata hai, waha se hatana kathin hota hai. Man yadi kisi moh mein par jae, to anya kisi vastu ki or akarshit nahi hota—jis prakaar vish ka kida keval vish hi khata hai.

bilwamangal thakur ji ki pativrata patni ka samarpan

bilwamangal ji ne kabhi apni patni ki or drishti tak nahi dali. Phir, jab dhan ki avshyakta hui, to ve apne ghar aae. Us samay pahli bar unhone apni patni ko dekha aur bole, “yadi tum mujhe jivit rakhna chahti ho, to yadi tumhare paas kuch swarn ya dhan ho, to mujhe de do. ” unki patni, jo aaj tak maun thi, ne uttar diya, “praneshwar, yah jeevan aapka hi hai. ” wah pativrata nari, jo ab tak unse samvad tak nahi kar pai thi, apne samasth abhushan aur saubhagya ke chinh utarkar unhen samarpit kar diye.

chintamani ka krodh aur bilwamangal thakur ji ko thukrana

jab ve chintamani ke paas pahuche, to usne pucha, “yah abhushan kaha se laye ho?” bilwamangal ji ne uttar diya, “meri patni, jise aaj tak maine dekha tak nahi tha, aaj pahli bar use dekha. Parantu, main tumhare bina ji nahi sakta. Jab maine usse prarthna ki, to usne apne abhushan mujhe de diye. ” chintamani vaishya ne krodhit hokar kaha, “dhikkar hai tujh par! Ab iske baad kya laaega tu? Nikal yahan se!” jaha atydhik asakti hoti hai, waha viyog pranghatak ban jaata hai. Uske kuch sevkon ne bilwamangal ji ko dhakka dekar bahar nikal diya.

bilwamangal thakur ji ko mila ek sant ka margdarshan

shayad bhagwan ki kripa ko yahi manjur tha. Ab unka hriday ghyal tha—”hai chintamani! Hai chintamani!” ve vyakul hokar pukarte rahe. Unhen is avastha mein dekhkar ek sant ne pucha, “chintamani! Yah kiska naam hai? Puri baat batao. ” bilwamangal ji ne sara vrittant sunaya aur kaha, “main uske bina ji nahi sakta. ” sant ne uttar diya, “isse bhi adhik sundar aur mahan sukh pradan karne wale bhagwan shrikrishna hain. Yadi tum apna chitt unmein lagao, to tumhara man aandit ho sakta hai. Anytha, kam ki chot se ghyal chitt yadi stri mein hi aasakt rahega, to uska keval nash hi parinaam hoga—koi dusra marg nahi. ”

sant ne unhen ek varsh tak apne paas rakha. Vaishnav parampara ke anusaar unhen diksha di gayi aur updesh diya gaya. Unhone kaha, “main bhramn karna chahta hoon. ” chanchal, bogi aur ashant man ek sthan par tik nahi sakta. Aisa man sadaiv naya-naya anubhav chahta hai. Is prakaar ve age badh gaye.

bilwamangal thakur ji ki kamasakti ki punravritti

marg mein ek devalay ke samip ek sarovar tha, jaha bhagwan ka vigrah pratishtit tha. Gaon ki nav kumariyan aur vivahita striyan waha pujan karne aati thin. Inheen mein se ek stri pujan karne ai, jiska rup chintamani ke saman pratit ho raha tha. Ek kshan ko to bilwamangal ji ko laga ki wahi chintamani hai. Unki ankhon mein abhi bhi chintamani ki chavi basi hui thi, isliye jaha bhi dekhte, wahi pratibimbit hoti. Sanyogwash, us stri ka swaroop bhi chintamani se kuch milta-julta tha. Ab phir wahi asakti jag uthi—”hai chintamani! Hai chintamani!”

wah stri pujan karke apne ghar ke liye nikli, aur bilwamangal ji uske piche-piche chal pare. Jab usne mudkar dekha, to use yah vichitra laga ki ek vaishnav uske piche kyon aa raha hai. Uski drishti bhi nirmal nahi thi. Aasakt man ki vasna bhari drishti alag hi dikhti hai.

bilwamangal thakur ji ne kiya stri ka ghar tak piche

jab wah tezi se ghar ki or badi, to bilwamangal ji ne bhi apne kadam tez kar liye aur uske piche-piche uske ghar tak pahunch gaye. Ghar ane ke baad usne apne pati se kaha, “ek vyakti mera piche karte-karte yahan tak aa gaya hai. Uska bhesh to vaishnav ka hai, lekin mujhe lagta hai ki yah koi kami purush hai, koi pakhandi hai. ” uske pati ne uttar diya, “wah hamare darwaze tak aa phucha hai, aur atithi bhagwan ka swaroop hota hai. Ham dekh lenge, tum nishcint raho. ” premi hriday aur aasakt man ke saath unhone pucha, “yah jo abhi nav vadhu ai thi, kaun hai?” uttar mila, “yah meri patni hai. ” unhone vinati ki, “ek bar ise bhar netr dekhna chahta hoon. ”

koi sadharan vyakti hota to shayad krodhit hokar iska tiraskaar karta, parantu wah dharmatma purush tha. Uske man mein vichar aaya—”ya to bhagwan mere dharm ki pariksha le rahe hain, ya yah koi papi purush hai. Yadi yah papi hai aur main iska tiraskaar karu, to sambhwat yah apne paap yahi hamare upar chhod kar chala jaega. Yadi yah bhagwan ki hi koi leela hai, to iska parinaam bhi mangalmay hoga. Mujhe bhayabhit nahi hona chahiye. ”

atah usne apni patni se kaha, “tu pativrata hai, mera adesh hai ki tu sampurn shringar ke saath ise darshan de. Ja, aur ekant mein baith ja. Main yahi hoon, mere adesh ka palan kar. ” pati ki agyaa sunkar patni sankoch mein par gayi, parantu usne apne pati ki baat mani. Jab wah waha pahunchi, to kampte hue boli, “kya agyaa hai?”

bilwamangal thakur ji ne kiya apne netron ka balidan

bilwamangal ji ne netr uthae. Hriday vikal ho utha. Janm-janmantar se inheen bhogon mein man rama raha tha, parantu guru kripa se use shrikrishna charnarvind ki or mod diya gaya tha. Phir bhi, wahi kam ki aag, wahi chintamani ki jalan use satane lagi. Unhone stri se kaha, “devi, kya mujhe do suiyan mil sakti hain?” stri ne vinamrata se uttar diya, “avashya. ” bas, itni hi unki mang thi—do suiyan. Wah bhitar gayi aur do sui lekar aa gayi.

bilwamangal ji ne donon suiyan hath mein lin aur bole, “he shrikrishna! In netron ne janm-janmantar se mujhe bhatkaya hai. Ab nahi! Ab main inhe wahi rup dekhkar phir se jalne nahi dunga. Jai shrikrishna!” yah kahkar unhone apne donon netr phod liye. Stri chilla uthi, aur uski aawaz sunkar uska pati bhi waha aa gaya. Donon ne vyakul hokar pucha, “aapne aisa kyon kiya?” bilwamangal ji shant bhav se bole, “yadi sahayata kar sakte ho, to mujhe ek lathi de do. Janm se jo andhe hote hain, unhen andhkar mein chalne ka abhyaas hota hai, parantu mera abhyaas nahi. ” pati ne turant ek lathi di. Unhone kaha, “mujhe Vrindavan jane ke marg par khada kar do. Main wahin se age badh jaunga. ”

bilwamangal thakur ji ke samne prakt hue bhagwan shrikrishna

wah ab andhe the, parantu man mein shrikrishna ka smaran tha. Lathi ke sahare chalte hue age badhe. Kintu abhyaas na hone ke karan marg mein age badhte-badhte ek gehre kuen ke samip pahunch gaye, jo ghas se dhaka hua tha. Unhen kuch pata nahi chala, aur ve sidhe kuen mein gir gaye. Girte hi ve art bhav se pukar uthe, “ha Krishna! Ha Krishna! Ha Krishna!” jab koi purn hriday se bhagwan ko pukarta hai, to bhagwan ko ane mein ek kshan bhi nahi lagta. Usi kshan bhagwan shrikrishna prakt hue aur bole, “Baba, lathi upar karo!” unhone lathi upar uthyi, aur ek pal mein ve kuen se bahar aa gaye. Bilwamangal ji ne socha, “itna gahra kuan, itni chhoti lathi, aur mujhe ek kshan mein bahar nikal diya?”

ab ve lathi pakadkar dhire-dhire age badhne lage aur unhone dhire se bahar niklne wale ka hath thaam liya. Parantu usne jhat se apna hath chhuda liya. Tab ve bole, “main jaan gaya! Main jaan gaya ki tum kaun ho! Sansaar mein mujhe itna prem karne wala koi nahi ho sakta. He shrikrishna! Yah aap hi hain!” bhagwan swayam bilwamangal ji ko Vrindavan le aae. Waha pahunchkar ve shrikrishna prem mein unmatt ho gaye aur bilwamanglacharya ke rup mein vikhyat hue. Unhone bhav-vibhor hokar madhur shloko mein bhagwan ki mahima ka gaan kiya, jinme shrikrishna ke divya prem ka ras pravahit hua. Parantu sabse pehle unhone vandna ki chintamani ki. Unhone kaha, “he guru swaroopa chintamani! Yadi tumne mera tiraskaar na kiya hota, to main aaj shrikrishna prem ki is param avastha ko prapt na kar pata. ”

vishay-bhog aur asakti ka antar

vishay-bhog aur asakti do alag chijon hain. Kisi vishay ka bhog karna ek alag baat hai, aur kisi ke prati aasakt ho jana, prem ya apnapan mehsus karna bilkul alag. Bogi purush keval nitya naye bhogon ki lalsa rakhta hai, jabki aasakt purush yadi kisi ek par aasakt ho jae, to chahe tribhuvan ki samasth sundriyan aa jaen, wah unki or drishti tak nahi uthaega. Asakti sampurn chintan par adhikar kar leti hai, jisse koi dusra vichar tik nahi pata.

naam jap mein sabse badi badha

jab stri ya purush ke sharir mein asakti ho jati hai, to chitt lubhayaman hokar usi ka chintan karne lagta hai. Nirantar naam-jap mein sabse badi badha yahi hai. Chintan prabhu ke liye karna hai, par yadi wahi chintan vishay-vasna ne chhin liya, to phir bhajan kaise hoga? Bhog ki chintan-vritti atyant khtrnak hai. Netron ko sambhalo, ye bar-bar bhram mein dalte hain. Palkon ka parda girakar in par niyantran rakho. Kisi mata ya bahan ke rup ko kam bhavna se mat dekho. Shastr agyaa dete hain:

**jo aapan chahai kalyana. Sujsu sumati subh gati sukh nana ॥
so parnari lilar gosain. Tajau chauthi ke chand ki nain ॥ **
jo manushya apna kalyan, yash, subuddhi, shubh gati aur nana prakaar ke sukh chahta ho, wah parastri ke mukh ko chauth ke chandrama ki tarah tyag de (arthat jaise log chauth ke chandrama ko nahi dekhte, usi prakaar parastri ka mukh hi na dekhe).
shri Ramcharitmanas

parai matao aur bahno ke mukh ko kam bhav se dekhne par nischay hi tumhara patan ho jaega.

margdarshak: pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj

pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj bilwamangal thakur ji ka prasang sunate hue

sambandhi video: YouTube · YouTube

mul lekh: bhajanmarg.com

sambandhi

  • jab bhi man udas ho, chinta ho ya koi pareshani aae, to yah padh lena ! — jeevan ke sangharshon mein jab mansik udasi, chinta aur ashanti ka andhkar hamen gher leta hai, tab vivek ki drishti dhundhli padne lagti hai. Shastron ne is sansaar ko ‘dukhalai’ aur ‘bhav-samudra’ kaha…
  • naam jap pehle aapko harayega ! — adhikansk log shanti, samriddhi aur dukho se mukti ki khoj mein “naam jap” ka marg apnate hain. Lekin kya aapne kabhi socha hai ki bhakti ke marg par chalte hi jeevan mein pareshaniyan aur mansik…
  • apne bhajan ko bchane ke liye kya jhooth bolna theek hai? — jab baat apne bhajan aur antarik shanti ko sansarik pradushan se bchane ki ho, to yah ‘jhooth’ matra ek suraksha kavach hai. Adhyatmik marg par ‘pradarshn’ sadhna ka sabse bada shatru hai. Uchh koti ke…
  • man par vijay pane ke sutra — kalpna kijiye us sadhak ki, jisne varsho tak satsang suna, Gurudev ki vani ko atmasat karne ka dava kiya, lekin jab vasna ki ek lahar uthi, to sara gyan dhara ka dhara rah gaya. Sadhak…
  • sadhak ka swabhav kaisa hona chahiye? — ham ghanton naam-jap karte hain, lekin jab vihaar ki baat aati hai, to wahi purana chhal-kapt aur krodh ubhar aata hai. Kya aapne kabhi socha hai ki aapki barson ki sadhna aapke ‘swabhav’ ko kyon nahi badal…
  • bas yah kar lo, koi bhi gandi aadat chhut jaegi ! — aksar ham kisi gande vishay ya purani vasna ko chhorne ka dridh sankalp lete hain, lekin agle hi din khud ko usi daldal mein wapas pate hain. Ham jitni shakti use ‘chhorne’ mein lagate hain, wah utni…