॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

kya guru diksha lene se sare papon ka nash ho jaata hai?

chaturbhuj das ji Bhagwad charcha kar rahe the. Katha mein unhone kaha ki jab koi diksha leta hai, to uska ek naya janm ho jaata hai aur uske purane paap us par lagu nahi hote. Isi beech, ek chor jo ek sahukar se chori karke bhaga tha, wahan aa phucha. Uske piche sainik lage hue the. Wah chor us sthan par pahunch gaya jaha satsang chal raha tha aur hazaron log baithe the. Wah unhin ke beech jakar chupchap baith gaya.

raja ke sainik jab waha pahuche, to unhone dekha ki satsang chal raha hai. Unhone socha, “yahan to bhakti ki charcha ho rahi hai, chor yahan kyon rukegaa?” aur ve laut gaye. Is tarah chor bach gaya. Usi samay satsang mein yahi charcha ho rahi thi ki diksha lene se naya janm hota hai aur purv ke paap nasht ho jaate hain.

chor ne li guru diksha

jab satsang samapt hua, to chor chaturbhuj das ji ke paas gaya aur bola, “maharaj, kya yah sach hai ki diksha lene se sare paap nasht ho jaate hain? Main ghor papi hoon — chor hoon, hinsak hoon. Aisa koi paap nahi jo mujhse na hua ho. Kya yadi main diksha lun, to nishpap ho jaunga?”

chaturbhuj das ji bole, “ha, diksha lene ke baad tum nishpap ho jaoge. ” chor ne vinati ki, “to kripya mujhe diksha den. ” chaturbhuj das ji ne man hi man socha, “yah to diksha ka sacha adhikari hai, kyonki yah atyant papi aur hinsak swabhav ka hai — aur ab parivartan ki ichchha rakhta hai. ” unhone turant use diksha di — uska sir mundwaya, kanthi pahnai, tilak aur dwadash tilak lagae.

chor ka pakda jana

diksha lene ke baad agle din wah nirbhay hokar ghum raha tha. Sahukar seth apne sainikon ke saath tha aur us chor ko khoj raha tha. Achanak uski nazar usi chor par padi. Usne apne sainikon se kaha, “are! Yahi hai wo chor. ” chor ko bandi bana liya gaya aur rajdarbar mein le jaya gaya.

raja ne pucha, “tumne chori ki hai?” chor ne uttar diya, “is janm mein nahi ki. ” seth ji bole, “maharaj! Yah janm ki nahi, kal ki baat hai. Kal isne mere ghar chori ki hai. ” chor ne kaha, “main kasam khakar kah sakta hoon ki is janm mein maine koi chori nahi ki. ” seth ne kaha, “main bhi kasam khakar kahta hoon ki isne hi kal chori ki hai. Isne keval sadhu ka vesh dharan kar liya hai — sir mundwa liya, tilak laga liya — lekin hai wahi chor. ” ab donon apni-apni kasam par ade rahe.

satya ki pariksha

us samay satya ki pushti ke liye jo parampragat paddhti prachlit thi, uske anusaar ek lohe ka tukda garm kiya jaata tha. Phir aropi ke hath par peepal ka ek patta rakha jaata aur uske upar sut ka ek patla dhaga bandh diya jaata. Iske baad aropi ko wah garm loha hath mein pakdne ko kaha jaata. Yadi sut ka dhaga na jale aur aropi sat kadam chalkar us garm lohe ko phenk de, to use satyavadi mana jaata tha.

yahi prakriya us chor ke saath bhi apnai gayi. Usne man hi man kaha, “Gurudev ne kaha tha ki diksha lene se naya janm hota hai. ” phir usne jor se kaha, “maine is janm mein koi paap nahi kiya. ” aur wah sat kadam chalkar wah garm loha phenk aaya. Ascharya ki baat yah thi ki sut ka dhaga bilkul vaisa hi bana raha, na jala, na tuta.

satya ka khulasa – chor ki satya nishtha

ab to raja ne seth se kaha, “ise tumne chor kaha? Itne bade sant ko chor kahne ka aparadh kiya hai! Ise phansi ki saza milni chahiye. ” jaise hi seth ki phansi ki baat samne ai, chor bol para, “sarkar! Nahi, wo bhi sahi hain. Kripya unhen phansi na den, kyonki ve aparadhi nahi hain. Asli aparadhi to main hoon. ” raja ne ascharya se pucha, “ab tum kaise aparadhi ho sakte ho? Tumhara to praman ho chuka hai ki tumne is janm mein koi chori nahi ki. ”

chor bola, “aap sahi kah rahe hain, maine is janm mein koi chori nahi ki. Lekin kahani yah hai ki chori maine sachmuch kal hi ki thi. Seth ji theek kah rahe hain. Parantu uske baad maine diksha le li. Aur diksha lene ke baad naya janm ho jaata hai. Isliye main sache man se kah sakta hoon ki is janm mein maine koi paap nahi kiya. ” is baat ko sunkar raja atyant prabhavit hue aur bole, “main un sant se avashya milna chahta hoon, jinhone tumhare jaise chor ka bhi jeevan parivartan kar diya. ”

nishkarsh: guru diksha ka asli prabhav

diksha ke baad purv ke paap nasht ho jaate hain—yadi uske pashat koi naya paap na kiya jae. Is drishtant se yah spasht hota hai ki diksha ke saath ek naya janm hota hai. Lekin yah keval tabhi phaldayak hoti hai jab vyakti sache man se sankalp kare ki ab wah koi paap nahi karega. Ukta chor ne diksha ke baad na kabhi jhooth bola, na hi kabhi chori ki. Usne kaha, “ab tak jo kiya, wah kiya — ab nahi karunga. ” isi sache parivartan ke karan uske sare purv paap nasht ho gaye.

parantu yadi koi diksha lekar bhi paap karta rahe, to uske paap aur bhi dridh ho jaate hain. Aise papon ko bhogna hi parta hai, aur us paap ka prabhav uske guru par bhi parta hai. Yadi shishya paap kare aur guru use dand na de ya us shishya ka tyag na kare, to guru par bhi dosh aata hai—ki unhone aise ayogya vyakti ko diksha kyon di?

margdarshak: shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj

shri hit Premanand ji maharaj guru diksha par margdarshan karte hue

sambandhi video: YouTube · YouTube

mul lekh: bhajanmarg.com

sambandhi

  • jab bhi man udas ho, chinta ho ya koi pareshani aae, to yah padh lena ! — jeevan ke sangharshon mein jab mansik udasi, chinta aur ashanti ka andhkar hamen gher leta hai, tab vivek ki drishti dhundhli padne lagti hai. Shastron ne is sansaar ko ‘dukhalai’ aur ‘bhav-samudra’ kaha…
  • naam jap pehle aapko harayega ! — adhikansk log shanti, samriddhi aur dukho se mukti ki khoj mein “naam jap” ka marg apnate hain. Lekin kya aapne kabhi socha hai ki bhakti ke marg par chalte hi jeevan mein pareshaniyan aur mansik…
  • apne bhajan ko bchane ke liye kya jhooth bolna theek hai? — jab baat apne bhajan aur antarik shanti ko sansarik pradushan se bchane ki ho, to yah ‘jhooth’ matra ek suraksha kavach hai. Adhyatmik marg par ‘pradarshn’ sadhna ka sabse bada shatru hai. Uchh koti ke…
  • man par vijay pane ke sutra — kalpna kijiye us sadhak ki, jisne varsho tak satsang suna, Gurudev ki vani ko atmasat karne ka dava kiya, lekin jab vasna ki ek lahar uthi, to sara gyan dhara ka dhara rah gaya. Sadhak…
  • sadhak ka swabhav kaisa hona chahiye? — ham ghanton naam-jap karte hain, lekin jab vihaar ki baat aati hai, to wahi purana chhal-kapt aur krodh ubhar aata hai. Kya aapne kabhi socha hai ki aapki barson ki sadhna aapke ‘swabhav’ ko kyon nahi badal…
  • bas yah kar lo, koi bhi gandi aadat chhut jaegi ! — aksar ham kisi gande vishay ya purani vasna ko chhorne ka dridh sankalp lete hain, lekin agle hi din khud ko usi daldal mein wapas pate hain. Ham jitni shakti use ‘chhorne’ mein lagate hain, wah utni…