kya koi ham par jadu-tona kar sakta hai? Isse kaise bache?
jab hamare karm bigadte hain, to koi jadu tona kare ya na kare, ham waise hi pareshaan rahte hain. Buri dasha ane se pehle hi buddhi badal di jati hai.
jako prabhu darun dukh dehi,
taki mati pehle har lehi.
Ramcharitmanas
jab hamen dukh bhogna hota hai, to hamari buddhi hamen dhokha dene lagti hai. Hamen aisa lagta hai ki kisi ne kuch kar diya hai. Aise mein aapke as-paas bhi kuch log mil jaenge, jo is baat se sahmat honge ki aap par jadu tona kiya gaya hai, aur aap is vichar mein phaskar aur adhik pareshaan ho jaenge.
kahu na kou sukh dukh kar data.
nij krit karam bhog sabu bhrata.
Ramcharitmanas
karmon ka prabhav
jab hamare paap karm hote hain, aur koi jeevtma hamen dand dena chahta hai aur wah bhut yoni mein chala gaya hai aur phir sanyog se wah hamen hamare karmon ke karan dand deta hai. Agar bina jhaad-phoonk kiye hamara karm samapt ho jaata hai, to bina kisi bhog ke hi wah pareshani dur ho jaegi. Isi prakaar rog aa sakte hain ya kisi vyakti se koi apriy ghatna ghat sakti hai. Jaise ham bina kisi dushmani ke kahin ja rahe hon, aur achanak kisi chhoti si ghatna se mar-pitai ho jae, jisse nai dushmani paida ho jati hai.
bhut-pret ka savar ho jana, sharir mein rog aa jana, accident ho jana ya kisi vyakti se achanak dves paida ho jana—yah sab hamare karmon ka hi parinaam hota hai. Agar ham apne karm sudhar len, to sab theek ho jaata hai. Agar hamare karm kharab hain, to har kadam par pareshani hi aayegi, aur agar hamare karm achhche hain, to shmashan mein bhi bhut-pret se koi dar nahi rahega.
naam jap aur bhagwan ka smaran
naam jap karen, bhagwan ke smaran se sab theek ho jaata hai. Hanuman chalisa mein bhi likha hai: “bhut pisach nikat nahi ave, Mahavir jab naam sunawe. ” nirbhay raho, naam japte raho, aur jo bhi mansik ya shareerik dukh ho, wah hamare karmon ka hi parinaam hota hai. Agar hamen bhagwan par bharosa hai aur hamara dhyan bhagwan mein laga hua hai to koi bhi dukh hamen parast nahi kar sakta.
agar bhagwan ka chintan nahi ho raha aur sharir svasth hai, saath hi sabhi vyvasthaye bhi hain, phir bhi andar se aapko bechaini mehsus hogi. Aapki ichchhaen aapko jalaengi, aur aapka galat chintan aapko aur dukhi karega. Dusri or, agar bhari kasht ke bavjud bhagwan ka chintan ho raha hai, to aapke jeevan mein ek alaukik shanti bani rahegi.
jis ghar mein naam jap hota hai, thakur ji ka charanamrit utarta hai, unka snaan hota hai, aur unko bhog lagta hai, waha vighna dalne wale Vinayak pravesh nahi kar sakte. Us ghar ki raksha swayam divya shaktiyan karti hain. Apne ghar mein naam kirtan kijiye aur yadi kabhi kisi sant ka charanamrit mil jae, to use apne ghar mein chhidk dijiye. Bhut-pret keval unhin par prabhav dalte hain, jinka swabhav bhut-preton jaisa hota hai. Mans khane wale, sharab pine wale aur vyabhichar karne wale, bhut-preton jaise hi hote hain. Yah galat karya karne se hamare karm bigad jaate hain, aur bhut-pret hamari or akarshit hote hain. Lekin bhut santo aur bhakton ko pareshaan nahi karte. Yadi kabhi bhut bhakton se milte bhi hain, to unka kalyan hi hota hai.
goswami tulsidas ji aur pret ki katha
goswami tulsidas ji kashi mein shauch-snaan karne ke liye ganga ke par jaate the. Unke kamdal mein jo bhi pani bachta tha, wo ek ped ke niche dal dete the. Us ped mein ek pret rahta tha, jo wah pani pi leta tha. Yah kai dino tak chalta raha. Ek din pret hath jodkar tulsidas ji ke samne khada ho gaya aur bola, “aap jo mangenge, main aapko dunga. ” tulsidas ji ne kaha, “maine to aapko pukara nahi, na hi aapki seva ki hai, to main aapse kuch kaise le sakta hoon?” pret ne uttar diya, “aapki seva to ho chuki hai. Aapke bache pani se mujhe bahut rahat mili hai. Main aapko kuch dena chahta hoon. ” tulsidas ji ne uttar diya, “mujhe to bas Siyaram ji ke darshan chahiye. ” pret ne kaha, “itni samarth mujh mein nahi hai, lekin main aapko ek upay bata sakta hoon. ”
pret ne tulsidas ji se kaha, “jab aap Ram katha sunate hain, us samay hanuman ji bhi katha sunne ate hain. Unke charan pakar lena, wo aapko Siyaram ji ke darshan kara denge. ” tulsidas ji ne pucha, “main hanuman ji ko kaise pahchanunga?” pret ne bataya, “hanuman ji sabse pehle katha mein ate hain aur malin vesh dharan karke budhe ke swaroop mein rahte hain. Sabse ant mein ve sabhi ko pranam karke jaate hain. ”
hanuman ji ka prakt hona
agle din tulsidas ji ne bhagwan ki charcha shuru ki aur dekha ki ek vayovriddh vishalkay purush sabse pehle akar chupchap baith gaye.
yatra yatra raghunathkeertanam tatr tatr kritmastakanjlimwashpavaripripurnalochnam marutin namat rakshasantakam ॥
hanuman ji ne ashru bahate hue bhagwan ki charcha suni aur jab katha samapt ho gayi aur sabhi chale gaye, to unhone bhakton ki raj lekar apne mathe par lagai. Tulsidas ji hanuman ji ke piche daude, lekin hanuman ji bhi bhage. Anttat hanuman ji tulsidas ji se mile aur bole, “tum kya chahte ho?” tulsidas ji ne uttar diya, “Siyaram ji ke darshan. ” hanuman ji ne kaha, “yahan nahi, Chitrakoot chalo. ” waha Ram-lakshman ji ke rajkumar rup mein tulsidas ji ko darshan hue.
ek pret ne tulsidas ji ko Bhagwad sakshatkar ka vidhan bana diya. Isi prakaar maharashtra ke mahan bhakt namdev ji ko bhi ek bar bhagwan vitthal ji ke darshan ek pret mein hue the. Jo bhagwan ka naam japte hain, unka kabhi koi amangal nahi ho sakta.
kaliyug aur naam jap
radhaballabh bhajat bhaji, bhali-bhali sab hoi.
jite Vinayak shubh-ashubh, vighna karen nahin koi ॥
vighna karen nahin koi daren kali-kal kasht bhay.
harain sakal santap harshi hari naam japat jai ॥
shri hit sevak vani, 10.5 (shrihit bhakt – bhajan prakaran)
kaliyug bhagwan ka naam japne wale se darta hai. Jitni bhi asuri shaktiyan aur raaksasi swabhav wali shaktiyan hain, ve bhagwan ke bhajan karne wale se darti hain. Isliye naam jap karen taki jadu-tona ya kala jadu aap par asar na kare. Agar aap bhagwan ka bhajan nahi karenge, to chahe koi jadu tona kare ya na kare, aapke jeevan mein vighna ate rahenge.
aajkal mansik rog badh gaye hain, aur log swayam apne man aur dimag ke karan pareshaan ho rahe hain. Nakaratmak soch aur zyada sochne ke karan log khud hi pidit ho jaate hain. Vyarth ka chintan na karke, ham Ram-Krishna-hari ya Radha-Radha ka jap karen, taki sarv mangal ho. Koi tantr-mantr, jadu-tona hamen pareshaan nahi kar sakta. Hamen hamare apne karm hi pareshaan kar rahe hain.
margdarshak: pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj
pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj jadu-tone par margdarshan karte hue
sambandhi video: YouTube
mul lekh: bhajanmarg.com
sambandhi
- jab bhi man udas ho, chinta ho ya koi pareshani aae, to yah padh lena ! — jeevan ke sangharshon mein jab mansik udasi, chinta aur ashanti ka andhkar hamen gher leta hai, tab vivek ki drishti dhundhli padne lagti hai. Shastron ne is sansaar ko ‘dukhalai’ aur ‘bhav-samudra’ kaha…
- naam jap pehle aapko harayega ! — adhikansk log shanti, samriddhi aur dukho se mukti ki khoj mein “naam jap” ka marg apnate hain. Lekin kya aapne kabhi socha hai ki bhakti ke marg par chalte hi jeevan mein pareshaniyan aur mansik…
- apne bhajan ko bchane ke liye kya jhooth bolna theek hai? — jab baat apne bhajan aur antarik shanti ko sansarik pradushan se bchane ki ho, to yah ‘jhooth’ matra ek suraksha kavach hai. Adhyatmik marg par ‘pradarshn’ sadhna ka sabse bada shatru hai. Uchh koti ke…
- man par vijay pane ke sutra — kalpna kijiye us sadhak ki, jisne varsho tak satsang suna, Gurudev ki vani ko atmasat karne ka dava kiya, lekin jab vasna ki ek lahar uthi, to sara gyan dhara ka dhara rah gaya. Sadhak…
- sadhak ka swabhav kaisa hona chahiye? — ham ghanton naam-jap karte hain, lekin jab vihaar ki baat aati hai, to wahi purana chhal-kapt aur krodh ubhar aata hai. Kya aapne kabhi socha hai ki aapki barson ki sadhna aapke ‘swabhav’ ko kyon nahi badal…
- bas yah kar lo, koi bhi gandi aadat chhut jaegi ! — aksar ham kisi gande vishay ya purani vasna ko chhorne ka dridh sankalp lete hain, lekin agle hi din khud ko usi daldal mein wapas pate hain. Ham jitni shakti use ‘chhorne’ mein lagate hain, wah utni…