॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

kam vasna mujhe bar-bar gira deti hai. Main har chuka hoon !

hamen khud ko asmarth nahi samjhna. Kyonki kam hamen bahut samay se parast karte chala aa raha hai, to harna hamara swabhav ban gaya hai. Ham prabhu ke jan hain, hamare paas prabhu ka naam hai. Kam ka nivas ahankaar mein hai. Antahkaran mein char karan hain – man, buddhi, chitt aur ahankaar. Main purush hoon, main stri hoon, main bhokta hoon ya main karta hoon, yah ahankaar ki bhumi hai, yah isi par tikta hai. Ahankaar nirantar kahin vas nahi kar sakta. Bhagwan ke vachan hain:

**matrasparshastu kauntey sheetoshnasukhduhkhdAh.
agmapayinonityastastitikshaswa bharat ॥ **
sukh aur dukh ka asthayi rup se prakt hona tatha samay ke saath unka lupt ho jana, sheet aur greeshma rituon ke prakt hone aur lupt hone ke saman hai. Ve indriy bodh se utpann hote hain, aur manushya ko unhen bina vichlit hue sahan karna sikhna chahiye.
Bhagwad gita, 2.14

kam aata-jaata rahta hai. Ahankaar iska nivas sthan hai. Hamen iske ghar ka darwaza band karna padega. Jab tak aap apne mein kuch bhi bal mante hain (ahankaar), tab tak yah aapko parast karta rahega. Jis din aap nirbhal hokar prabhu ki sharan mein apne ahankaar ko samarpit kar denge, phir kisi ki takat nahi ki aapko parast kar sake. Yah nirbalta tabhi aayegi jab aap naam jap karenge.

kam vasna ko parast nahi, balki sahna sikhen

ham abhi kamzor hain. Jab kam aata hai tab ham use harane mein apni puri takat laga dete hain aur phir kahte hain ki kam aaya aur hamse galat kriya kara gaya, ab kya karen? Pehle kam ko rokna sikhen. Hamen pehle use sahna sikhna hai, parast karna nahi.

**yam hi na vyathyantayete purusham purusharshabh.
samduhkhsukham dheeren somritatway kalpte ॥ **
jo manushya sukh-dukh se vichlit nahi hota tatha donon mein sthir rahta hai, wah avashya hi moksh ka adhikari hai.
Bhagwad gita, 2.15

jab bhi kam vasna aapko pareshaan kare, Radha-Radha japen, yah aapko kam ko sahna sikhaega. Kam aapse kahega yahan chalte hain, ye dekhte hain, isse milte hain, ye khate hain, aapko bas uski har baat ansuni karni hai. Wah aapka kuch nahi bigad payega. Pareshani bas yahi hai ki ham kam ko apna dushman nahi mante aur usse pyar karte hain. Wo jo kahta hai, ham kar dete hain. Aise ham kaise uspar vijay prapt kar paenge? Ispar vijay prapt karne ke liye pehle aap yah maniye ki yah hamara dushman hai. Yah janmon se hamen bhagwan se dur karne ke liye zor laga raha hai. Ab hamen isse ladna hai, ab hamare paas bhagwan ke naam ka bal hai.

kam vasna se bachne ka achuk upay – naam jap

bhagwan ke naam rupi jahaz par jo chadh gaya, wo bhavsagar se par ho gaya. Kam rupi magarmachch tairne wale ko parast kar sakte hain, jahaz mein baithe vyakti ko nahi. nanak naam jahaj hai, chadhai so utre par. Ajamil ne jeevan bhar gande aacharan kiye, lekin apne jeevan ke antim samay mein usne apne balak ka naam, narayan, bola to use lene Bhagwad parsad aa gaye aur uska mangal kar diya. Naam jap karen. Kam ke saath ki ladai koi chhoti-moti ladai nahi hai, yah badi unchai tak apna adhikar rakhta hai. Ye bhagwan ki shakti se hi shaktiman hai. Jab tak thoda bhi ahankaar rahega, tab tak aapko girna padega. Kam tabhi banega jab ham man len ki ham har gaye. Lekin yah jeev bahut hi kapti hai, ye kahta hai ki main har gaya lekin andar se nahi harta. Bhagwan to hamare andar ki hi baat dekhte hain. Jab ham andar se har jaate hain tab hari aur guru hamari baanh pakar lete hain aur uske baad koi hamen parast hi nahi kar sakta.

har na manen – har koi lambe samay se kam vasna se pidit hai!

aisa nahi hai ki yah keval aapko hi sata raha hai. Bade-bade santo ko bhi isse rahat ke liye rona para hai. Sabko bhagwan se prarthna karni padi hai – nath! Mujhe bacha lo. Prabhu ka naam lene se prabhu ka bal milta hai aur dhire-dhire aisi unchai aati hai ki phir kam aapko chu hi nahi pata. Aap ghabraen nahi. Ham jo yah rona-dhona shuru kar dete hain, yah sabse badi hani hai. Ham khud ko shatru se itna kamzor na manen, ham bhagwan ke bachchhe hain. Kam bhagwan ki shakti se shaktiman hokar tribhuvan mein jhanda phahra raha hai aur ham bhagwan ke bachchhe hokar ro rahe hain. Hamne bhagwan ko apna nahi mana isiliye aisa ho raha hai. Jis din aap apne guru aur bhagwan ke ho jaenge to aapke andar sabse ladne ki samarth aa jaegi. Sau bar girenge, phir bhi ham ispar chadhai karenge. Kam ka abhyaas hai hamen nasht karne ka, to aaj se ham pran lete hain ki ham avinashi ke bachchhe hain, ham swayam avinashi hain, ham ise dekh lenge. Ek din aap jit jaenge.

bas hota yah hai ki vishyon ko bhogte-bhogte hamara atambal ksheen ho gaya hai. Hamen lagta hai ki ham kam ko kaise hara sakte hain, yah to hamare bas ki baat nahi, yah to sadhu mahatma hi kar sakte hain. Sadhu mahatma kya akash se utarte hain? Unhone bas guru kripa se baat samjhi aur jeevan bhar kam ko saha. Phir ham aise logon ko sant nahi kahte, wo sakshat bhagwan ka hi rup ho jaate hain. Yah ghabrane wala, darne wala ya udas hone wala marg nahi hai. Sau bar giro, phir bhi piche mat dekho, agla kadam age hi rakho. Naam jap karen, man aapke vash mein ho jaega. Jab aap bhajan ke liye kadam uthaoge, to bina mange santo ka ashirwad aapko milega. Ye kripa na karen to ham swayam maya mukt nahi ho sakte.

margdarshak: shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj

shri hit Premanand ji maharaj kam vasna ko sahne par margdarshan karte hue

sambandhi video: YouTube

mul lekh: bhajanmarg.com

sambandhi

  • jab bhi man udas ho, chinta ho ya koi pareshani aae, to yah padh lena ! — jeevan ke sangharshon mein jab mansik udasi, chinta aur ashanti ka andhkar hamen gher leta hai, tab vivek ki drishti dhundhli padne lagti hai. Shastron ne is sansaar ko ‘dukhalai’ aur ‘bhav-samudra’ kaha…
  • naam jap pehle aapko harayega ! — adhikansk log shanti, samriddhi aur dukho se mukti ki khoj mein “naam jap” ka marg apnate hain. Lekin kya aapne kabhi socha hai ki bhakti ke marg par chalte hi jeevan mein pareshaniyan aur mansik…
  • apne bhajan ko bchane ke liye kya jhooth bolna theek hai? — jab baat apne bhajan aur antarik shanti ko sansarik pradushan se bchane ki ho, to yah ‘jhooth’ matra ek suraksha kavach hai. Adhyatmik marg par ‘pradarshn’ sadhna ka sabse bada shatru hai. Uchh koti ke…
  • man par vijay pane ke sutra — kalpna kijiye us sadhak ki, jisne varsho tak satsang suna, Gurudev ki vani ko atmasat karne ka dava kiya, lekin jab vasna ki ek lahar uthi, to sara gyan dhara ka dhara rah gaya. Sadhak…
  • sadhak ka swabhav kaisa hona chahiye? — ham ghanton naam-jap karte hain, lekin jab vihaar ki baat aati hai, to wahi purana chhal-kapt aur krodh ubhar aata hai. Kya aapne kabhi socha hai ki aapki barson ki sadhna aapke ‘swabhav’ ko kyon nahi badal…
  • bas yah kar lo, koi bhi gandi aadat chhut jaegi ! — aksar ham kisi gande vishay ya purani vasna ko chhorne ka dridh sankalp lete hain, lekin agle hi din khud ko usi daldal mein wapas pate hain. Ham jitni shakti use ‘chhorne’ mein lagate hain, wah utni…