nirantar naam jap kaise karen?
nirantar sadhna atyant avashyak hai, chahe wah naam jap ho, chahe antarik rup se shri chaturasi ji ka gayan ho, ya phir koi Bhagwad vichar man mein aa raha ho. Kintu jaise hi is nirantrta mein badha aati hai, maya ki dhul antahkaran par aisi jam jati hai ki use hatane mein bahut samay lagta hai, jabki man ko malin karne mein koi samay nahi lagta.
isliye upasak ko nirantrta banae rakhne par dhyan dena chahiye. Bhale hi kabhi-kabhi kuch kshanon ka antral aa jae—chahe wah das second ho ya bees second—parantu yadi ek bar “Radha Radha” jap liya jae, to yah ek shreshth sadhan ban jaata hai. Hamne to yah bhi kaha hai ki yadi pure 24 ghante nahi jap sakte, to kam se kam 24 minute to jap len. Phir dhire-dhire yah badhakar do ghante kar sakte hain. Yah keval prerna dene ke liye kaha gaya hai, parantu vastav mein labh nirantar jap mein hi hai.
jab ant mein hamare hriday mein naam prakashit ho jaata hai aur uske darshan evam shravan ka anand milne lagta hai, tab yah sharir kab chhut gaya, iska bhi pata nahi chalta. Naam-jap mein itni gahrui hoti hai ki manushya usmen puri tarah doob jaata hai. Yah sthiti swabhavic rup se tab aati hai jab sadhak ko kripa se anubhav hone lagta hai ki ab wah keval naam hi sun raha hai, naam hi dekh raha hai, aur uska swayam ka astitva vilin ho gaya hai.
nirantar naam jap aur aashray
nirantrta atyant labhdayak hai, kyonki yah aapko antarmukhi bana deti hai aur Bhagwad bhav mein dubo deti hai. Jab sadhak apne purusharth se nirantar bhajan karne ka prayas karta hai aur saath hi Bhagwad-aashray leta hai, tab yah atyant prabhavshali ho jaata hai. Anytha, bina aashray ke sadhan mein prapanch badhta jaata hai, aur zyada sadhan karne se bhi adhik labh nahi hota.
“Radha Radha”, “Ram”, “hari”, “Krishna”—bhagwan ke jo bhi naam hain, unki nirantrta banae rakhen. Kuch samay ke liye man ko yah kathin lagega, kyonki chanchal man aur malin pravriti ko bhagwad-chintan mein lagana sahaj nahi hota. Lekin abhyaas mein apaar shakti hoti hai.
yadi aap vachik jap ka abhyaas karen, to dhire-dhire upansu jap (wah jap jismen jihwa, honth, talu, kanth ka prayog to ho kintu dhvani japak ko swayam ko bhi na sunai de) mein pravritta ho jaenge. Jab upansu mein ekagrata badhegi, to mansik jap (wah jap jismen naam ya mantr ka ucharan bolkar karne ki jagah man mein hi kiya jaata hai) swabhavic rup se prarambh ho jaega. Lekin jab tak mansik jap siddh na ho jae, tab tak us par purn vishwas na karen, kyonki man abhi bhi sthir nahi hai. Bhagwad-bhajan mein man lagta hai, phir hat jaata hai. Yadi maya ki halki-si bhi hawa aa gayi, to hamari sthiti bigad sakti hai. Isliye shuruaat mein mansik jap par purn vishwas na karen.
Bhagwad-aashray aur sadhna
bhagwad-aashray hamari sthiti ko bigdne nahi deta, aur purusharth hamen asadhan ki or jane se rokta hai. Laukik samgri aur kriyaen keval jeevan jine ke liye hain, lekin satsang aur naam jap jeevan ka param labh hai. Manushya-jeevan mein bhajan kiya jae, to isi janm mein mukti sambhav hai.
bhagwan atyant karunamay hain. Unki karuna har samay baras rahi hai, chahe paristhitiyan kaisi bhi hon. Hamen keval naam jap nahi chodna chahiye. Hamari yahi prarthna hai ki “Radha Radha” nirantar aapke kano tak pahuche, aur jitne log is naam-kirtan ko sunenge, unhen bhi param labh hoga. Saath hi, aap par bhi shri ji ki vishesh kripa hogi.
indriyon ka sarthak upyog
bhagwan ne hamen ankhen di hain—sochiye yadi ve na hotin, to kaisa lagta? Bhagwan ne hamen kan diye hain—yadi ve na hote, to ham Bhagwad charcha kaise sunte? Yadi jihwa na hoti, to naam jap kaise kar sakte? Yah sab ishwar ki den hai, aur hamen inka sarthak upyog karna chahiye.
isliye, nirantrta banae rakhen, chahe jaise bhi sambhav ho. Kabhi Radha-naam chal raha ho, kabhi sharanagat mantr, kabhi nij mantr, kabhi chaturasi ji ka pad gayan—lekin nirantrta bani rahni chahiye. Jaise-jaise sadhan mein nirantrta badhti jaegi, waise-waise sadhak divyta ko prapt karta jaega.
nirantar naam jap ke liye man ko kaise niyantrit karen?
nirantrta banae rakhna thoda kathin hai, kyonki man vishyon ki or bhagta hai aur unmein sukh ka anubhav karta aaya hai. Lekin ise niyantrit karne ke do upay hain—
- jaha-jaha man jae, waha-waha prabhu ko dekhne ka abhyaas karen.
- jaha-jaha man bhage, waha se hatakr use apne lakshya par kendrit karen.
satsang man ko niyantrit karne mein sahayata karta hai. Yah vishay-bhogon se vairagya utpann karta hai aur Bhagwad-tatv ki jignyasa badhata hai. Jiske jeevan mein bhagwad-marg ki nirantrta aa gayi, uska kam ban gaya. Aapko kuch samay ke liye kathinaiyan sahni par sakti hain, lekin ve kshnik hain. Age keval anand ki dhara pravahit hoti hai. Dusri or, jagat ka kshnik sukh anttat klesh aur ashanti hi utpann karta hai.
isliye, yadi ham is jeevan ka sarvottam upyog karna chahte hain, to nirantar Bhagwad-bhajan aur satsang ko apnaen. Yahi vastvik anand aur mukti ka marg hai.
margdarshak: pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj
pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj nirantar naam jap par margdarshan karte hue
sambandhi video: YouTube · YouTube
mul lekh: bhajanmarg.com
sambandhi
- jab bhi man udas ho, chinta ho ya koi pareshani aae, to yah padh lena ! — jeevan ke sangharshon mein jab mansik udasi, chinta aur ashanti ka andhkar hamen gher leta hai, tab vivek ki drishti dhundhli padne lagti hai. Shastron ne is sansaar ko ‘dukhalai’ aur ‘bhav-samudra’ kaha…
- naam jap pehle aapko harayega ! — adhikansk log shanti, samriddhi aur dukho se mukti ki khoj mein “naam jap” ka marg apnate hain. Lekin kya aapne kabhi socha hai ki bhakti ke marg par chalte hi jeevan mein pareshaniyan aur mansik…
- apne bhajan ko bchane ke liye kya jhooth bolna theek hai? — jab baat apne bhajan aur antarik shanti ko sansarik pradushan se bchane ki ho, to yah ‘jhooth’ matra ek suraksha kavach hai. Adhyatmik marg par ‘pradarshn’ sadhna ka sabse bada shatru hai. Uchh koti ke…
- man par vijay pane ke sutra — kalpna kijiye us sadhak ki, jisne varsho tak satsang suna, Gurudev ki vani ko atmasat karne ka dava kiya, lekin jab vasna ki ek lahar uthi, to sara gyan dhara ka dhara rah gaya. Sadhak…
- sadhak ka swabhav kaisa hona chahiye? — ham ghanton naam-jap karte hain, lekin jab vihaar ki baat aati hai, to wahi purana chhal-kapt aur krodh ubhar aata hai. Kya aapne kabhi socha hai ki aapki barson ki sadhna aapke ‘swabhav’ ko kyon nahi badal…
- bas yah kar lo, koi bhi gandi aadat chhut jaegi ! — aksar ham kisi gande vishay ya purani vasna ko chhorne ka dridh sankalp lete hain, lekin agle hi din khud ko usi daldal mein wapas pate hain. Ham jitni shakti use ‘chhorne’ mein lagate hain, wah utni…