॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

tulsi puja ke niyam: hari bhakti ka amulya dwaar

1/
jo tulsi ji ko jal arpit karta hai,
unki seva karta hai,
aur hari ka chintan karta hai,
us par koi bhi paap sparsh nahi kar sakta.

2/ 📿 aapne suna hoga: 800 gram sona ya 3.2 kilo chandi ka dan karne se jo punya milta hai…

3/
…uska phal bhi
ek tulsi ka patta
(jo tulsi ka paudha aapne apne hathon se lagaya ho)
shri hari ke charnon mein arpit karne ke phal ki barabri nahi kar sakta.

4/ 👉 isliye aap bhi tulsi ka paudha lagaiye. unki seva kijiye aur jal arpit kijiye. Roz subah tulsi ke patte chunie aur shri hari ko arpit karie.

5/ lekin 🚨 bahut savdhaan rahe.

dwadashi tithi ko
tulsi ka patta kabhi bhi na toden.
6/
dwadashi ke din
tulsi ke paudhe ko
chuna bhi nahi chahiye.
yah shastron mein ghor aparadh mana gaya hai.
7/
yadi dwadashi ko tulsi ko toda ya chhwa,
to brahmahatya ke barabar paap lagta hai.
⚠️ yah sadharan bhul nahi,
ek mahapap hai.

8/ isliye 🔹 niyampurwak tulsi ki seva karen 🔹 keval uchit tithiyon mein tulsi ke patte toden 🔹 dwadashi ko tulsi se dur rahe 🔹 aur shraddha se hari ka smaran karen

9/ tulsi seva + hari smaran = papon se mukti + atma ki shudhi + prabhu ki kripa

margdarshak: pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj

mul lekh: bhajanmarg.com

sambandhi

  • jab bhi man udas ho, chinta ho ya koi pareshani aae, to yah padh lena ! — jeevan ke sangharshon mein jab mansik udasi, chinta aur ashanti ka andhkar hamen gher leta hai, tab vivek ki drishti dhundhli padne lagti hai. Shastron ne is sansaar ko ‘dukhalai’ aur ‘bhav-samudra’ kaha…
  • naam jap pehle aapko harayega ! — adhikansk log shanti, samriddhi aur dukho se mukti ki khoj mein “naam jap” ka marg apnate hain. Lekin kya aapne kabhi socha hai ki bhakti ke marg par chalte hi jeevan mein pareshaniyan aur mansik…
  • apne bhajan ko bchane ke liye kya jhooth bolna theek hai? — jab baat apne bhajan aur antarik shanti ko sansarik pradushan se bchane ki ho, to yah ‘jhooth’ matra ek suraksha kavach hai. Adhyatmik marg par ‘pradarshn’ sadhna ka sabse bada shatru hai. Uchh koti ke…
  • man par vijay pane ke sutra — kalpna kijiye us sadhak ki, jisne varsho tak satsang suna, Gurudev ki vani ko atmasat karne ka dava kiya, lekin jab vasna ki ek lahar uthi, to sara gyan dhara ka dhara rah gaya. Sadhak…
  • sadhak ka swabhav kaisa hona chahiye? — ham ghanton naam-jap karte hain, lekin jab vihaar ki baat aati hai, to wahi purana chhal-kapt aur krodh ubhar aata hai. Kya aapne kabhi socha hai ki aapki barson ki sadhna aapke ‘swabhav’ ko kyon nahi badal…
  • bas yah kar lo, koi bhi gandi aadat chhut jaegi ! — aksar ham kisi gande vishay ya purani vasna ko chhorne ka dridh sankalp lete hain, lekin agle hi din khud ko usi daldal mein wapas pate hain. Ham jitni shakti use ‘chhorne’ mein lagate hain, wah utni…