॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

kabhi socha hai? Aap kiske liye ji rahe hain?

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

main nokri karta hoon. Bat mere ko abhi jab lagta hai ki main ritayar hounga to uske baad main karunga kya? Ham ye aapse puchna chahte hain ki padh likh ke nokri kiske liye ki dhan ke liye. Dhan kiske liye? Jine ke liye. Lekin ji kiske liye rahe ho? Ab iska uttar de dijiye. Yadi aapke jeevan mein bhagwan nahi hai, aapke jeevan mein prem nahi hai, aapke jeevan mein sacchidanand nahi hai, to phir wah yahi kram ki ji rahe hain, rupya kamane ke liye, rupya kama rahe, jine ke liye ji rahe hain. Bhogon ke liye hamen lagta hai ki hamare jeevan ka uddeshya bhagwan ki prapti hona chahiye.

ya bhagwan se matlab nahi rakh pa rahe ho. Man lo abhi itni pavitra nahi to itna to ho jae ki manushya banau tab suar kutta na banu. Itna to uddeshya ho hi jae to kam se kam ham itna bhajan to kar le ki hamen phir manushya sharir mile aur ham phir achhche karm karen aur bhagwan ko rijha le to isliye bhajan karo isliye bhajan karo ki yah jo padvi mili hai jo sukh suvida mili hai jo manushya sharir mila hai ye dobara bhi mil jae kyonki ye punya bal se mila hai bhagwan ki kripa bal se mila hai to donon bal hamare paas ho punya bal bhi ho aur bhagwan ka kripa bal ho to naam jap se badhkar koi punya hain.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi