॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

aapse dar lagta hai ki aap sab chhudrva doge !

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

mahar ji main aapko pichle kuch dino se sun raha hoon par aapse dar sa lagne lag gaya hai kyonki aap sab kuch chhudrva doge. Ham kisi ki sahi chij thodi chhudwate hain. Sharab chhod do, mans chhod do. Parastri se vybhchar chodo, gande swabhav ko chodo. Dekh aap achhche vyakti ban jaenge. Par man ko to wahi accha lagta hai. Nahi bachchon ko jaise bathroom le jao na, gande khel rahe ho ki unko badhiya nahla dhula to unko bura sa lagta hai ki meri mummy jo hai yah bura kam kar rahe hain ki mujhe nahlane le ja rahi hai.

lekin balak yah nahi janta ki abhi saaf swachchh karke shringarit kar denge. Aise hi sant maa ke saman hai. Tumhari buraiyon ko dhona chahte hain. To aap bachchhe ke saman use dar mante hain ki yar meri buraian chaleengi. Nahi to aap batao sant sang se burai ke siva aur kya jaata hai? Sant sang se kisi ki hani hui hai kya? To dukh sab koi chodna chahta hai. Lekin jin baton se dukh milta hai wo baten nahi chodna chahta. Sant se darne ka to koi kisi bhi tarah sant kisi ko thappad thodi marte hain.

kisi ko gali nahi dete. Haan thappad marne aur gali dene ka swabhav hatwa dete hain.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi