॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

galat kamai se bhandara karana ya mandir banana kya uchit hai?

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

manmane aacharan se dhan kamkar bhandara karne mandir banwaen pujari baitha de wahan to maharaj ji donon mein se kaun sa uttam hai uttam ki baat kahte ho manmani aacharan karke bhandara khavaoge aur pujari baitha doge to narak jaoge manmani paisa kamaoge manmani shabd hai manmani manmani mein adharm bhi aata hai dharm se dhan kamaenge dharm se jo dan shabd hai wo hai ki dhan mehnat se kamaya dharm se kamaya to ₹100 mein ₹10 de sakte ho kisi ko ₹90 tum prayog karo aur ₹10 kisi garib ko bimar ko kisi ko bhi de sakte ho.

yah tumhara dan badhiya rahega. Dharm yukt rahega. Jaise aap ₹1 lakh papacharan se kamae aur ek lakh sant ko de diye aur wo sant jab wo ek lakh ka prayog karega to uski buddhi bhajan mein nahi lagegi. To aapka wo paap to bana hi aur sant ka bhajan na karane ka wo paap bana. Donon tumhen narak le jaenge. Manmani aacharan se to ye bhul kar rahe hain jo log manmani paap aacharan karke sochte hain 10 5 lakh santo ko de denge to ham pavitra ho jaenge nahi to wo nark jaoge aur us sant ki bhi buddhi bhrasht ho jaegi aur aapko bhi nark jana padega

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi