॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

degree mil gayi, par khushi kyon nahi mili?

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

laga tha ki seee ki degree mil jaegi to phir man shant ho jaega. Sab theek ho jaega. Maharaj ji ab degree prapt ho gayi phir bhi man ashant hai. Maharaj ji kaise kab hoga shant? Yadi sukh chahte ho, shanti chahte ho, vishram chahte ho jin digriyon aur pado par nahi hai wo bhagwan ke naam mein hai. Hamen is baat ka garv hai ki hamare rashtrapati dharmatma hai. Hamare rashtrapati adhyatmik hai. Hamare rashtrapati naam japak hai. Is baat ka hamen sukh mila unse milkar ke ki is samay ham gaurav se kah sakte hain ki is samay bahut accha samay chal raha hai.

hamare desh mein dharm ke liye badha nahi hai. Nahi pehle tha ki aap khule katha nahi kar sakte. Khule bhajan nahi kar sakte. Jab makshon ka rajya tha bahut accha avsar aaya hai. Kalyug mein aisa avsar bar-bar shayad na ave. Age chalkar aur badhae khadi ho jae. Naam jap mein bhagwat katha kirtan mein apna kalyan kar lena chahiye. To ham aapko ishare se bata diya ki aap to chhoti degree liye hue hain. Bharat ki sabse badi degree lene wala bhi bhagwan ki sharan mein adhyatma ki sharan mein bhagwan ka naam japak. Isiliye wo prasannata isiliye wo anand jinka naam parmanand pradan karne wala hai us naam ko rato isi se anand milega.

aap thodi si hamari bhi padhai padh lo. 24 ghante mein 24 minute Radha Radha japo.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi