॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

chandan ki tarah bano, kusang ka vish mat apnao!

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

agar tumhen satsang milta hai to kusang bhi apna prabhav dikhane ki koshish karega. Aapki nishtha, aapki bhavna itni surakshit honi chahiye ki kisi ka bhi kusang ka prabhav hamare man par na pare. Jo rahim uttam prakti ka kar sakat kusang chandan vish vyapat nahi lapte rahat bhujang. Chandan mein bade-bade phandhari saanp lipte rahte hain sheetalata prapt karne ke liye. Lekin chandan apna sheetalata deta hai. Uska dosh vish nahi grahan karta. Aise hi kusangi purush agar kabhi hamare paas baithe uska mangal ho. Ham uski amangal bhasha nastik bhasha apne man mein apne shravan indra mein kabhi na baitha le to phir guru agyaa ka palan karne mein hamara man utsahit hokar chal padega.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi