bhagwan ki kripa aur vishuddh bhakti pradan karane wali ye 20 baten !
pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.
pura pravachan
jai jai shri Harivansh jai jai shri Radha jai shri Radha Radha samasth vishv ke bhagwat premi sant mahatma gan sabko koti sa pranam namaskaar ye jo bhagwan ki bhakti ka marg hai ye bada vichitra marg hai. Is marg mein chalne wale upasak ko sabse pehle bahut dhairyvan hona chahiye. Bahut hi dhairyvan hona chahiye. Ham aapko ek anubhav ki baat batte hain ki jab koi bhagwan ke marg mein chalta hai, bhagwan se judta hai, usko anand, anukulta yah sab prashansha, kirti yah sab prapt hone lagti hai. Sammaan lekin jab bhagwan usse pyar karne lagte hain to phir dusri baat aa jati hai.
phir uski aisi kasauti hoti hai pratikultaa ki ki jaise Meera ji ke devra ne hi had kar di. Meera ji ko itna kasht diya pocho mat had kar di hiranyakashyap ne Pralhad ji ko kasht de pratikultaa apman ninda ye wo pushp hai jisse hamen pata chalta hai ki bhagwan sugandh rup se hamare hriday mein prakashit hone wale wale hain anand rup se par inko sahna bahut kathin hai. Jab hamari prashansha hoti hai char log dandvat karte hain to accha lagta hai ki bhagwan ki bhakti ka labh mil raha hai. Lekin jab wahi char log ninda karne lagte hain aur apman karne lagte hain to lagta hai kahan gaye bhagwan?
hamari dekho ninda ho rahi hai. Apman ho raha hai. Lekin usi samay savdhaan hona chahiye. Ki bhagwan ki ab vishisht kripa utar rahi hamare hriday mein. Hamari is baat par vishwas kijeyega. Jab apman aur tiraskaar aur ninda samaj mein hone lage nirdosh rahne par to bhagwan ki vishuddh kripa hoti hai aur wo bhakti ke sopan mein unnatisheel hota hai jo dhairya purvak tatiksha sahenshilta hriday mein dharan karta hai vyakul nahi hota ub nahi jaata bhagwan par shraddha nahi karta. Kitni bhi pratikultaa ho aur yah jeevan jab ham shri priyal ko arpit kar dete hain to ham kathputli hain.
jaise wo nachaenge waise hi nachna padega. Umadar dusit ki nai sab nachavat Ram gosai ham aise rahe sharanagat rahe. Ham buddhi na lagaen. Apni buddhi ko prabhu ke charnon mein samarpit kar de. Wah tabhi samarpit mani jati hai jab tesha satat yukt naam bhajta priti purwakamda buddhi yogam tam mam jo satat bhagwan ka bhajan karta hai. Ab pujya pad shri iya Baba ji ke updeshon mein se yah 20 baten jo sadhak apne jeevan mein utar leta hai. Use bhagwan ka pyar prapt hota hai aur nischit sadhan siddh ho jaata hai.
nirantar uska bhajan hone lagta hai. Nirantar bhajan bhagwat prem bhagwat prapti ke liye yah 20 baten aap dhairya purvak shravan kijiye. Pahli baat hai darie mat satya bolie yadi aapse galti hui to aapko dand milega ninda hogi aap pavitra ho jaenge lekin yadi aap jhooth bolkar use chhupa lenge to wah paap jama ho jaega aur ek jhooth chhupane ke liye kai jhooth bolne padte hain to hamen agar bhagwat prapti karni hai to hamen satya ka aashray lena padega. Bhagwan ko satyanarayan kaha gaya hai. Satya vratam kaha gaya hai. Isliye pahla ham satya bole.
jhooth ka aashray na le. Dusra kabhi kisi ki ninda na karen. Yah bahut agyani jan hai. Jo vyarth mein sansarik labh ke liye bhagwan ke bhakton ki santo ki ninda karte hain. Par ninda ke kiye te aavat nahi kachu hath murkh parvat paap ko le chal apne saath dusre ki ninda karne se paap ki gathri apne sir par lag jati hai aur narak ko jaata hai aur bhakt ninda ati buri bhul kare jin koi ki sukrit bahu janm ke chan mein dhare khoe agar kahin bhakt ninda ho rahi hai to bahut janmon ke punya ek kshan mein nasht ho jaenge.
isliye dusra point kabhi kisi ki ninda na karen na sune. Sunne se bhi wahi paap lagta hai jo karne se lagta hai. Tisra point bhagwan ki maya ko samjhkar anukulta mein harshit mat ho aur pratikultaa mein shokit mat ho. Saman bhav se bhagwan ka bhajan chalte rahna chahiye. Chahe jitni badi vipatti ho hari smriti sarv vipad vimokshana bhagwan ka satat smaran karo wo vipatti nasht ho jaegi. Vipatti mein akar ghabrakar bhagwan ka smaran chhodkar kisi sansari paddhikari ya sansari purush ka aashray le liya. Aapki bhakti dushit ho gayi.
ek bharoso ek bal ek as vishwas ek Ram Ghanshyam hit chatak tulsidas ek bharosa keval bhagwan se wo chahe apman de chahe sammaan de chahe dukh de chahe sukh de tiraskaar karvawe ya namaskaar karvawe unka apne bhakton ke saath khel chalta rahta hai kabhi bade-bade samrat taj utar kar rakhte hain to kabhi sadharan aadmi unko peet deta hai. Unki ninda karta hai. Unke khilaf khada ho jaata hai. Ye bhagwan ki leela hai aur sampurn bhakton ke jeevan mein aisa hota hai. Bade bhakt jo hai unke sabke jeevan mein aisa hota hai.
isliye dhairya purvak jab vipatti ave to bhagwan ke chintan mein doob jao aur jab sammaan ave to bhagwan ka dular samjhkar bar-bar unko pranam karo aur yahi vichar karo ki sammaan rupi vish ko hamen nahi khana sammaan kalyati ghor gagnam nicha apmanam sudha isliye bhagwan se prarthna karen ki sammaan rupi vish kabhi na mile jisse aapka chintan badhe, aapki bhakti badhe, aapki priti badhe, wahi hamen apman, dukh aur tiraskaar milta rahe. Isse sansaar se rag na ho, sharir se rag na ho. Chautha koi bhi dukhi prani yadi tumhare sharan mein aa jae, kitni bhi badi galti kiye ho to aap use kshma kar de to bhagwan ki aapke upar kripa hogi.
mana usse galti ho gayi maya hai phesal jaega shivika wo hai puran agar chuk ho gayi hai aur wo bhagwan ke marg mein chalta hai to use kshma kar dena chahiye wo glaan se yukt ho ke apne swabhav ko bhagwan ke charnon mein samarpit karke ek din theek ho jaega ek din wo sant ban ban jaega. Sahi mein sant ban jaega. Bhagwan aisi pratikultaa denge. Har gali band ho jaegi. Keval bhagwan ki gali khuli rahegi. Agar koi aparadh karke tumse kshma yachna mangta hai aur gilgida raha hai aur sudhna chahta hai to kripa karke use ek chans dijiye.
wo bhagwan ki taraf badhe to bhagwan aap par kripa karenge. Pancha dukh upasthit hone par apne dukh ki charcha kisi se na karen. Andar hi sah lo. Dusre se kahoge wah bhi dukhi hoga ya uphash karega. Apne hriday ke dukh ko kisi se kahoge to ya to uphash karega aapka aur ya swayam dukhi ho jaega to swayam sah lo aur bhagwan se prarthna karo ki dukh mitao ya na mitao mujhe dukh sahne ki samarth do. Chhathwa sabke prati paropkar ki bhavna rakho. Sukh deve ko chavchit sab suhit nishkap hamen usse kuch nahi chahiye.
par hamare dwara uska upkar hona chahiye. Chahe wah hamara apkar kar raha ho to bhi uska upkar karna chahiye. Yah bhagwan ke pyare bhakton ke lakshan hai. Satwan kisi bhi prani ke dwara kiya hua krit aparadh na mane. Kyon? Kyonki hamara karm usse prerit karke karva raha hai. Hamare purv janm ka karm hi usse prerit karke pratikul kriya karva raha hai. Aparadh karva raha hai. To hamen use sahan karna chahiye. To aapke sare aparadh nasht ho jaenge. Aur aparadh karne wala wo bhagvatik dand ke dwara sudhara jaega.
Uma kshma saap te bhari apne karm jakari agar kshma kar diya to saap se bhi badhkar usko dand degi aur sudhar degi athwan apne sansarik karya ko karte hue bhagwan ka naam japna chhutne pave ye bahut point ki baat hai payo naam Charu chintamani u karte na khaso ab nashani ab tak to apne jeevan ko indriyon ke vashbhut man ke vashbhut hokar nasht karta raha. Ab bhagwan ki kripa se samjh mein aaya ki sansaar dukh kha le masash hai. To jo bhi vyapar nokri jo bhi karya ham karen bhagwan ke naam jap ka abhyaas karen. Nava kabhi ham kathor bhashan na bole katuk vachan kabahu na kaha priy hitkar madhur bhashan bole tabhi aap bhagwan ke ladle bhakt hain.
aapse milne ke baad dusre ka hriday shital hona chahiye. Aisi vani vani ek amol hai jo koi bole jaan ye taraaju tol ke tab mukh bahar aa hriday rupi taraaju mein pehle vani ko tolo ki nikal kar samne wale ko sukh degi ki ya dukh degi madhur bhashan hitkar bhashan priy bhashan daswa kabhi bhi gussa aa jae to bhi gali gali na de. Ashleel shabdon ka ucharan na karen. Aapas mein baithkar ashleel baten na karen. Bodhta parsparam paraspat baithkar bhagwan ki charcha karen. Agar kabhi krodh aa jae to vani ko sanyam mein rakhte hue ya maun mein rakhte hue krodh ke veg ko sah lena chahiye.
tas bharat sah lena chahiye. Ane jane wale kam krodh hai. 11wa kisi ki kami ko dusron se na batayen. Agar aapko bhagwat prapti karni hai. Nahi raha jaata to jiski kami hai usi se kah do. Wo ninda nahi hogi. Wah chugali nahi hogi. Lekin uski baat kisi dusre se kahne par chugali ho jati hai. Aur wah hamari buddhi ko malin karke usi dosh se yukt kar deti hai. Isliye kisi ki chugali na karen. 12wa vyarth mein ghanton baithkar prapanch ki baten na karen. Abhyartha kalatwam samay ko bhagwan mein hi vyatit karen to samay sarthak hai.
[gala saaf karne ki aawaz] yadi prapanch ki baten karenge to samay nirrathak ho gaya. Shastr agyaa karta hai. Avyartha kal samay nasht na karo. 13wa apni kamai ka hi prayog karen. Beimani, ghaskhori, chori, chhal kapt, hinsa aadi ke dwara kamaya hua dhan ye bhagwan ke marg mein chalne nahi deta. Dharm se chalne nahi deta. Yah bahut vipatti bankar aata hai. Akhri mein sarvnash kar deta hai. Isliye pavitra dhan kamao aur usse apne parivaar ka poshan karo. Koi bhi aisi kriya mat karo jo shastr virudh hai. 14wa vyarth ka karya anusthan mat karo.
jaise taash khelnaa hai, vyarth ka karya koi labh nahi milega. Aur bhi nana prakaar ki aisi kreedaen hain jin kreedaon ko bhagwat vismaran karke karte hain to pura ka pura samay nasht ho raha hai. Ek shwas itni kimti hai ki 50 varsh ki kamai aur aap kah do ki ek swas aur badha di jae to nahi badhegi. Aisi swason ko vyarth ke kamon mein vyatit na karen. 15wa hitkar supachya halka bhojan karen jisse aapke bhojan mein unnati hogi bahut garishta tamoguni bhojan rajoguni bhojan aur yahan tak bhar ke bhojan ye sab agyaan ka lakshan hai.
uchit ahar karo, alphar karo, pathya ahar karo jo shahar mein pach jae to aapka bhajan dekhna badhega. 16wa jo tumhen bhakti mein anubhav ho raha hai wah sadharan janta ke samne mat prakt karo. Agar prakt hi karna hai to apne ko lakshya karke mat bolo ki main ye bhajan kiya to yah anubhav hua. Nahi koi sadhak hain wah bhajan karte hain. Wah bata rahe the ki aisa aisa anubhav hota hai. Swayam prakt na karen. 17wa kisi bhi bhakti ke karya ko abhiman purvak sweekar na karen. Chahe jitna jap ho, tap ho, pavitra ho, tirth yatan ho, bhagwan ki kripa se ho raha hai.
mere mein samarth kahan hai? Atishay kripa Ram ki hoi pav deh yah marg so bhagwan jab atishay kripa karte hain tab sataarg ke sadhan bante hain to bhagwan ki kripa ko namaskaar karen na ki abhiman karen. 18wa sab man prad apmani jo bhi tumhare samip ave unka sammaan karo samay man prad aap man sabko man dena aur aap man se rahit rahna jaise shri hanuman ji maharaj vibhishan se kah rahe asmay adham sakha sun moh pad 19wa apne mein jitne Bhagvati gun hai un sabko chhupa kar rakhna chahiye. Bhagvati gunon ka pradarshn karne par bhakti ksheen ho jati hai aur gun antar dhyan ho jaata hai.
sab ang gunheen ho tako jatan na koi ek kishori kripa te jo kachu ho so apne mein samasth gunon ki hinta ka anubhav hona ye dainyta hai aur guna abhiman hona ye bhagwan se vimukhta hai. Bhagwan apne bhakt ka abhiman kabhi nahi rakhte. Sunhu Ram kar sahaj subhau jan abhiman na rakhe kaun aisi leela karte hain jo dhul dhulit ho jaata hai uska abhiman 20wa sharir ko bahut shringar na karen bhagwat prasadi mala chandan it aadi to baat alag hai aadhunik shringar bhakt na karen kyonki usse rajogun badhega aur bhajan bhi vikepit hoga.
deh bhav pusht hota hai shringar karne se. Agar ham prabhu prabhu ka prasadi chandan lagate hain, raj lagate hain. Ye koi laukik shringar mein nahi aata. Garv ka vishay hai. Apne isht ka tilak, guru ke dwara di hui kanthi, bhajan mala yah sab saubhagya ka chinh hai. Ye 20 baten yadi sadhak apne jeevan mein utar le to usmen divya sadgun utpann ho jaenge. Kaun se sadgun? Nirpekshm wah nishpaksha ho jaega. Kisi ki apeksha nahi rakhega. Kisi se koi chah nahi rakhega. Chah miti chinta mit manva muni nirantar shastr aur guru mantr aur naam ka manan karne wala ban jaega.
shantam har dwaand mein shant rahega. Koi bhi dukh sukh use harshit ya shokit nahi kar payega. Nirrwairam pure jagat mein ek bhi uska dushman nahi hoga. Harivansh naam leen je ajat shatru sada sam darshan sam mein apne bhagwan ka darshan kare. Aise bhakt ke prati bhagwan ka itna pyar umadta hai ki swayam uske charan raj lene ke liye piche dolte hain. Anujam nityam sabse prarthna hai in mahapurushon ke vachno ko shravan kiya jae. Manan kiya jae. Dhairya purvak apni bhakti ko age badhaya jae. Hamara jeevan bhagwan ki prapti ke liye hai aur bhagwan ne adesh kiya hai satwin bhakti sato sab mohime jag dekha mote adhik sant kar lekha ye bharat bhumi mein ek mahan purush sant virajman hai age bhi rahenge piche bhi the bina santo ki sharan ke bhagwan ki taraf ham chal nahi sakte unnati nahi ho sakti aap sab hamari atma hai aap majbut hokar tayyar hoiye aur badi se badi vipreetta, pratikultaa, dukh, apman, ninda inko sahte hue age badhie.
hamen kisi ki ninda nahi karni. Koi hamari ninda kare. Muskura ke sah lo. Bhagwan ne thoda kadva prasad diya hai. Jo bahut jaldi abhiman rupi rog ka nash karega. Isliye shravan kijiye aur manan kijiye aur aacharan mein utarie.
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)
sambandhi
- yamuna ji ka prakty, mahima aur aradhna ka adbhut phal // 10/11/26 — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam haditam madhupte smarta mugam nirvapay param shital mashyam nirvapay param shital mashyami param sacchidanand ghan Premanand swaroop navni nikunj…
- sarv papon ka nash karne wale shri giriraj ( Govardhan ji ) ki adbhut mahima // 09/11/26 — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta mugam nirvapay param shital mashyam nirvapay param shital mayam param shital maya param sacchidanand ghan Premand swaroop navni…
- divya Diwali maha mahotsav // 08/11/26 — param sacchidanand ghan premamart ras pravahi shri yugal sarkar ke atyant sukumar gaur saval charnarvind yahi hamare jeevan sarvasv hain. Yahi hamare param dhan hai. Yahi hamare sarvshresht sadhan hain aur yahi…
- in 10 dosho se pahchanen ki hamare bhitar paap hain ya nahi / gopiyon ki virah vyatha evam bhramargeet ka varnan — vrindavnesheshwari tav padarvindm prema makrand raso purnam had itam madhupte smarta mugram nirvai param shital mashyam param shital mashray param sacchidanand ghan Premanand swaroop navni nikunj mahmmahim…
- upasna mein badha dalne wale ye 6 dosh / Uddhav ji ka gyan aur gopiyon ka anannya prem // 06/11/26 — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam haditam madhupte smarta mugam nirvai param shital mayam param shital maya param sacchidanand ghan Premanand swaroop navni nikunj mahmmahim param pavan…
- santo ki kripa se prapt hoti hai aisi adbhut sthiti / Uddhav ji ko dekhkar brajvasyon ki virhadsha — Vrindavaneswari tav padarvindm premik makrand rasau purnam hadya pitam madhupte smarta mugram nirvai param shital mayam param shital maya param sacchidanand ghan Premand swaroop navni nikunj mahmmahim param…