santo ki kripa se prapt hoti hai aisi adbhut sthiti / Uddhav ji ko dekhkar brajvasyon ki virhadsha
pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.
pura pravachan
Vrindavaneswari tav padarvindm premik makrand rasau purnam hadya pitam madhupte smarta mugram nirvai param shital mayam param shital maya param sacchidanand ghan Premand swaroop navni nikunj mahmmahim param pavan shri Vrindavan dham shri Vrindavan dham ke ladlele yugal sarkar pranaaradhy pran priy shri Priya pritam jo samasth samasth sahachari vrind khag mrig pashu panchhi taru lata shri yamuna ras rani rajrani samasth Brijvasi parikar ke charnon mein kotish pranam koti naman namaskaar [gala saaf karne ki aawaz] pratip ayu nasht ho rahi hai.
[gala saaf karne ki aawaz] hamari svase gini chuni hai aur wah ek-ek shwas kam ho rahi hai. Jaise anjuli ka jal kitna bhi jor se bandh lo wo ek samay khali ho hi jaega. Aise hi hamari ayu, hamari svase khali ho rahi hai. Jaise patte mein latka hua bund ek samay tut kar gir hi jaega. Aise hi hamari ayu purn hote hi yah sharir nasht ho jaega. Isliye sharir nasht hone ke pehle hi bhagwat prapti kar lo. Agar bhagwat prapti na ho pai aur hamne bhagwat prapti ka prayas kiya to agla janm hamara Shri van kulvan bhakti sampann ghar mein hoga aur ham punah bhagwat bhajan karke bhagwat prapti karenge.
par yadi is janm mein prayas hi nahi kiya to phir 83 lakh999 yoniyan hain. Unmein hamen jana hi padega. Ekmatra keval manushya yoni aisi hai jisse ham bhagwat prapti kar sakte hain. Anya yoniyon mein kriyman nahi hai. Keval sanchit aur praarabdh hai. Manushya sharir mein kriyman hai. Naya karm kar sakte ho. Wah chahe paap karm ho, chahe punya karm ho ya bhagwat bhajan ho. Isliye bahut savdhani se bhagwat samarpit jeevan vyatit karo. Ek ek shase badi kimti hai. Shyama Shyam ke naam rup mein laga do. Shripad Prabuddhanand ji maharaj kahte hain idam bhagwat arpana charit sarv satkarmana phal cha bhagwat padam bhujo subhakti mat sangte phalatma bhagwat katha ruchi shruti naam param phalam Madan mohno yajmaksha Vrindavane he bhai jeevan ki sarthakta hai bhagwat arvan jeevan kal bas keval itne ki charcha hui thi idam bhagwat arpana charitam tumhara jeevan tumhara charit bhagwat arpit hona chahiye uska phal hai sadhu sang phal bhagwat padambu subhakti mat sangte jo bhagwat charanwind mein subhakti prapt kiye hue mahapurush hain.
o ka sang milega. Yadi aapne man se soch liya ki main Priya pritam ka hoon. Main Priya pritam ke sharan mein hoon to iska phal milega. Bhagwat padam rati prapt subhaktiman mahapurush mahapurushon ka sang milega. Phalatma bhagwat katha amrit ruchi uska phal hoga sant samagam ka ki tumhen bhagwat charcha prannon se bhi adhik priy lagne lagegi. Agar satsang na mile to aisa lagega aaj ka hamara din vyarth gaya. Ham kaise samay katenge? Satsang ke liye nasha ho jae, ruchi ho jae, asakti ho jae, wo kaise hogi?
bole bhagwat padambuj rati subhaktiman mahapurush ke dwara jab ham bhagwat premi mahatma ka sang karte hain to garmi sardi barsat ye sab kuch suhai nahi deta keval bhagwat charcha sunai deti hai satya kahte hain hriday us din hamara bahut vyathit hua jab hit dham mein varsha ho rahi thi aur sab sant baithe katha sun rahe the aap log jo purane hain unko yad hoga ki thandi hai, varsha ho rahi aur jyon ke tyun sab koi tas se mas nahi. Keval bhitar 25 log baithe 40 log baith sakte the. Bahar saikadon log bhajte hue katha tab ye aaya tha ki hriday mein bhagwan kabhi aisi vyvastha ho jae ki shrota jan bhagwat charcha sun sake.
to aise kuch suhad jan jo vastvik suhad jan hai unhone apne jeevan ki kamai lagai. Aisa ye nahi hua ki dan chanda se bana ho ye nahi unhone apna sarvasv nyochhavar kar diya. Jeevan arpit kar diya. Sab kuch arpit kar diya. Aise aise bhavuk bhakt hue. Ye jo saubhagya mila hai Priya pritam ke charan raj mein baithkar satsang sunne ka. Agar hamen Priya pritam ki charcha mein ruchi na hui to hamare kisi sadhan ka koi phal nahi mila. Jaise ismen varnan hai ki bhagwat arpit jeevan ka phal hai mahapurush ka sang aur mahapurush ke sang ka phal hai bhagwat katha mein ruchi.
aise varnan hai goswami ji kah rahe hain ki teerthatan sadhan samudai jog virag gyan nipunai nana karm dharm vrat dana sanjam dum jap tap makh nana bhut daya dwij guru sevka vidya vinay vivek badhai jahan lagi sadhan ved bukhani sab kar phal hari bhakti Bhawani sab kar phal hari bhakti Bhawani teerthatan vivid tirthon ka niyam purvak avgahan karna uska phal kya hua? Bole bhagwat prapti ki sadhna mein ruchi jignyasa kaise bhagwat prapti ho kaun sa marg hai vivid sadhna yog vairagya gyan nipunta nana karm dharm vrat dan sanyam dum arthat indriyon ka daman jap tapasya makh nana prakaar ke yagya aur samasth praniyon par daya aur brahm rishiyon ki seva guru ki agyaa mein rahna vidya vinay vivek ye sab in sab ka phal hai bhagwan ke charnon mein ahetu ki bhakti ho jana jahan lagi sadhan ved bukhani sab kar phal hari bhagat Bhawani sabka phal hai bhagwan ke charnon mein prem ho jana, bhagwan ke naam mein prem ho jana, bhagwan ki leela katha sunne mein aasakt ho jana.
agar yah nahi to so sab dharm karm jar jau. Jahan na Ram pad pankaj bhav. Yadi prabhu ke charnon mein bhav nahi bana, prem nahi hua to sab dharm karm bekar ho gaya. Sab sadhan kar yah phal sundar prabhu pad pankaj priti nirantar samasth sadhanao ka sundar phal hai. Prabhu ke charnon ka nirantar madhur madhur smaran. Agar bhakti prakt nahi hui to sadhan sab vyarth ho gaye. Bhagwan kah rahe hain na ham ved na tapsa na danen na chejyaya shakya evam vidho drisht drisht mam yatha bhakt tyaya sako arjun gyaat drisht tatv prave cha param tap bahut jor ki baat hai arjun ji se kah rahe hain tum jaisa mujhe dekh rahe ho aisa main ved se tapasya se dan se yagya se bade-bade anushthanon se main dekhne mein nahi aa sakta jaisa tum mujhe darshan kar rahe ho aisa na main ved path se na tapasya se na dan se na yagya se main dekhne mein nahi aa sakta kaise aa sakte ho maharaj dekhne mein to kah rahe keval anannya bhakti se anannya bhakti ke dwara hi tum mujhe dekh sakte ho aur gyaat tum mera gyan prapt kar sakte ho tatv pravesh tum tatv se mere ko samjh sakte ho.
mera gyan prapt kar sakte ho. Tatv bodh ho sakta hai. Mere ko tum jaan sakte ho main kaun hoon? Kitna hoon, kaisa hoon. Kisse? Anannya bhakti ke dwara. Keval anannya bhakti ke dwara. Shri bhagwan swayam apni baat kah rahe hain ki na sadh mam yogo na saamm dharm Uddhav na dhyaap tyago yatha bhakti mamta bhakt mein grah shraddha atma priy sata bhakti pat man nishtha supaka sambhwat agar mujhe koi vash mein kar sakti hai to bhakti vash mein kar sakti hai agar bhakti nahi hai to mujhe yog ke dwara gyan ke dwara dharm ke dwara swadhyay ke dwara tapasya ke dwara tyag ke dwara vash mein nahi kiya ja sakta.
main santo ka priy atma hoon. Main keval shraddha bhakti ke dwara hi vash mein ho sakta hoon. Agar meri shraddha bhakti anannya bhakti chandal ke hriday mein jagrit ho jae to wah bhi jagat ko pavitra karne wala ban jaata hai. Agar meri bhakti nahi to wo koi bhi ho jin hari bhagat hriday nahi aa jivit 100 saman te prani wo jite hue murda hai aur chandal ke bhi hriday mein yadi bhakti aa jae to aho pachto gar y jigya warte naam tyam wo sabse shreshth tribhuvan mein mahan hai jiski jibhya pe bhagwan naam chal raha hai hriday se bhagwat charnarvind ka aashray hai isliye bhagwan karuna karke jab satsang dete hue baat samjh mein aati hai ki jeevan bhagwan ko arpit kar diya jae to uska phal hota hai bhagwan ke naam mein ruchi ho jana bhagwan ke dham mein asakti ho jana bhagwan ki leela katha mein asakti ho jana shripad prabhund ji maharaj kah rahe hain phalatma bhagwat kathamrit ruchi aur phir us katha sunne ka phal kya hua?
bole shruti naam param phalam Madan mohno yaj Vrindavan Vrindavan mein virajman Madan mohan shri Lalaju aur Mohini shri Priyaju inko apne netron se dekh pata hai. Yahan ghatna ghatti hai. Yahan ghatna ghatti hai. Galavya diye hue yugal sarkar avyakt rup se hamari drishti mein nahi aa rahe par vyaktan karte hain aur jisko ye dekhte hain ki ye mera anannya hai. Bas keval ananyata dekhte hain. Jahan dekha mera anannya hai. Bas wahi parda hata diya maya ka aur sakshatkar ho gaya. Yahan koi zyada mehnat nahi padti.
dham hai. Yahan keval ananyata ki baat hai aur wah ananyata anannya rasik mahapurushon ke sang se hi aati hai. Shripad kripa karke kah rahe hain phir uski sthiti kya hoti hai? Bahut sundar baat hai. Agar ye samjh mein aa jae. Bhagwat samarpit karne ki jahan bhavna hui to din dayal prabhu dravit hokar apne bhagwat premi mahatma ka sang de dete maha sangsasta durlabh ho yah durlabh baat hai bhagwan prasann hokar ke rupya paisa de dete hain makan de dete hain sundar stri de dete hain putr de dete hain ye ye baat nahi sut dara dhan lakshmi papiyon ke ghar ho sant samagam hari katha tulsi durlabh do durlabh baat kya hui mahat sangst durlabh ho samatma su durlabh bhagwat prem mein mat wala sant mil gaya jisko kanchan kamini kirti ne apne aap hath jodkar chhod diya hai ya jisne in tino ke rag ko nasht kar diya hai aise bhagwat premi mahatma ke sang sang se bhagwat katha mein ruchi, bhagwat naam mein ruchi, bhagwat acharno mein ruchi aur uska phal hoga ki Priya pritam ka sakshatkar Vrindavan mein hoga.
aap chahe america mein rahte ho wahi Vrindavan prakashit ho jaega aapke netron ke samne aur Vrindavan mein adbhut vihar karte hue Priya pritam ka sakshatkar ho. Phir kya sthiti hoti hai? Phir sthiti kya hoti hai? To bole jagrit swapna sushupti nitya milno nityanuragoti nityachyam naveen divya vayso nitya smaro madini nityanya vichitra kelno nitya vrindti shri Vrindavan nagar bhajman taav nityo ab uski jagrit avastha ho chahe swapna avastha ho chahe sushupti avastha ho wo milnotsav ek mahan utsav mein rahta hai kya har samay mila hua rahta hai kal kisi ne prashn kiya ki maharaj yadi aapka antim samay ave aur Priya pritam poohe ki aapki antim ichchha kya hai to aap kya mangoge?
Priya pritam hamse puchenge antim ichchha kya hai? Ulta baat kar rahe ho. Ham unse puchenge ki sharir chhutne wala hai jiska naam Premanand hai. Ab aap batao aapki akhiri seva kya hai? Hamare ko adesh karo ki ab wo bechara kya jane? Hamare ko adesh karo ki is sharir se antim seva kya aapki ban jae? Kyonki ham to nitya seva mein samarpit hone ja rahe hain. Ab is anitya sharir se akhiri seva kya ban jae? Aur samjh paya ho ki na samjh paya ho. Hamari ichchha aapko sachchi kahte hain. Na jine ki ichchha, na marne ki ichchha, na hamko bhakti ki ichchha, na shakti ki ichchha.
aap kahoge kya baat kar rahe ho? Aap samjho. Jab nikunjeshwari ne hamen sweekar kar liya to ab ham unse ichchha karen kya ki hamen nikunj bulao. Are bhaiya hamari property hai. Ichchha to uski ki jati hai jo aprapta hai. Ab aprapta nahi hai. Ab aprapta nahi hai. Ye ham apni tapasya sadhna ke bal se nahi kahte. Haan to hamari antim ichchha kya hai? Ki hamare Priya pritam bol de ki antim seva ye karke ja aur unse kaha ye antim hi seva chal rahi hai. Aap kya samjh rahe ho? Jo kaksha nau padhe hain.
bilkul bolne ki tameej nahi use pravachan kara rahe jise koi gyan nahi usse prashn uttar kara rahe bhukam karoti vachalam pangum langte giri yat kripa tamam jiske sharir ki samarth 10 kadam chalne ki nahi use seva karvawe ye unki antim ichchha hai ye antim ichchha hai hamari ichchha hamari ichchha to na jane kab khatm ho gayi thi kuch ichchhae thi jab ghar se nikle un ichhao ka nash ho gaya. Kaise palan hoga? Kaun hamen sambhalega? Kaise lakshya ki prapti hogi? Ye kuch ichchhae thi. Ye ichchhae thodi hoti hai.
kam, krodh, lobh, mujhe to attack hai. Ye ichchha thodi ye to aakraman hai unka. Us aakraman ko to unhone sambhala. Ichhao ki purti unhone kar di. Ab jo ichchha hai wo ek hi ichchha hai ki man man ki ruchi jaan ne vidhi anusare he yugal sarkar aapki ichchha jankar [nak se ki jane wali aawaz] ye jeevan keval aapko samarpit rahe aapki ichchha kya hai main janu aapki ichchha man man ki ruchi jaan ne vidhi anusare aapke hath ka yantr ye aapki ruchi ke anusaar chale bas hamari ichchha kya hai? Ab hamari to shri shyama Shyam ichchha hai.
aur sahi pocho to ham shyama Shyam ki ichchha rup hi hai. Samjh pao to samjh pao. Ham shyama Shyam ki ichchha rup hain. Unki jo ichchha hoti hai wahi cheshta ho rahi hai. Tumhen kya pata chahe wo ujjwal ho ya malin wo keval shyama Shyam ki ichchha hai. To jagrit swapna sushupti nitya milno nityanuragoti kya sthiti aati hai? Jagrit mein swapna mein sushupti mein nitya utsav chalta rahta hai. Kaun? Milnotsava chhin chhin vihrat sang ab ye vishuddh sthiti ki baat hai to sabki samjh mein ave ki na ave jaise Harivansh mahaprabhu kahte hain jagrit swapna sushupti mein Radha pda chhata ab baikunthe narkeva mam gati Radha bina kaise samjh paoge jagrit swapna sushupti nitya milnotsav ab jagrit mein swapna mein sushut mein nitya milnotsava koi bhi rup rakh ke aao koi bhi baat rakh ke aao aap hi aa rahe ho ab dusra nahi nityanurago unnati nitya hi uske anurag ka vardhan hota hai kyonki anurag ka swaroop
hi hai prakshan vardhmaanam aur nitya ascharya mein uska jeevan hota hai nitya asha aisa kaise ho sakta hai nitya aashcharyamay jeevan nitya aashcharyamay naveenam jeevan aap abhi kya samjhte ho Ramkrishna Paramhans ji se kaha gale mein cancer ab aapko bolna band bole do ghanta hamara niyam hai ham to bolenge do ghanta ham din bhar bolte rahte hain din bhar bolte rahte hain kabhi tumhen pravachan sunate hain to kabhi shri ji ko sunate hain hamara naam jante ho kya hai priywadini hamari seva hi hai priywadan karna karna sabko sukh pahunchana aur Priya pritam ko sukh pahunchana yahi hamari seva hai.
ham wahan jakar kya karenge jante ho? Yahi karna hai. Haan unke samne unka jas ga ke nritya karna hai. Unko rijhana hai. Unko sukh pahunchana hai. Aur sab sevae ga hai. Hamari pradhan seva hai. Gayan pradhan seva hai. Aise hamen rag rang nahi aata. Lekin swayam sakla kala sushli na kada sura madhur swaam ham khol ke isliye kah rahe hain samjh jao hamara jo uddeshya hai wo keval Priya pritam ki prapti ko lekar ke hai. Ye jo charcha hai ekmatra uddeshya Priya pritam ki prapti. Priya pritam ki prapti ke marg mein aap chaloge to aapko asakti ho jaegi.
santo se santo se asakti ho jaegi to Priya pritam mein ruchi ho jaegi. Priya pritam mein ruchi hogi. Unki katha mein ruchi hogi. Unke naam mein ruchi hogi. Wo yahan mil jaenge. Yahan bahut jaldi milte hain. Kadava khelanto braj nagar vith su hridayam haranto shri Radha brajapti kumaro sun aksmaat ko mare prakt kaisor vibhav kisi din dekhna aksmaat jinka kashor avastha ka adbhut vaibhav adbhut lawanya hai wo khelte hue aaenge kadava khelanto braj nagar vith sudyam napuron ki jhankar hui drishti gayi dekha yugal sarkar nihal ho jaoge ye Vrindavan dham hai kaun sa sukrit hai jisse Priya pritam darshan dete [gala saaf karne ki aawaz] kaun sa tap hai jisse Priya pritam parda maya ka hata dete hain koi dan
punya teerthatan vrat upvas ye nahi hai wo hai bhagwat premi mahatmaon ki aradhna shri Harivansh prasiddh dharm samjh nal tap samjho shri Harivansh kripa sevo dharman jap jo Priya pritam ke prem mein dube hue hain unki agyaa pe chalna aur unka naam smaran karna aur unka dhyan karna is sukrit ke phal se kadava khelanto ye siddhant hai Shyam shyama pad kamal sangna to kadava khelanto braj nagar vith hriday haranto shri Radha brajapti kumaro suna kabhi tumhare hriday ka haran kar lenge aur usi samay tum dekh paoge hridyara shri Priya pritam kaise aa rahe kal nikas kunj thade bhae bhuja paraspat ansh shri Radha vallabh mukh kamal nirakh nayan Harivansh ham aapse sachchi kahte hain.
hamne kabhi ichchha hi nahi ki ki shri ji hamen darshan de. Kabhi ichchha nahi ki. Ek hi ichchha ki hai ki pata nahi ham adhikari hain ki nahi aapke darshan ke. Par aapka smaran na chhute. Bas hamare jeevan ka lakshya raha hai. Aapka bhajan na chhute. Aapka chintan na chhute. Bas ye hamne guru ji se bhi kaha tha. Ek din aise charcha hui to bahut pehle ki baat hai. Jab pujya maharaj ji ladli kunj mein virajman the. Ye 25 26 varsh pehle ki baat to kaha maharaj ji hamne kabhi ichchha hi nahi ki bhagwat darshan ki. Par ichchha yahi ki ek second bhi bhajan na chhute.
to guru ne kaha isi ka to naam bhagwat darshan isi mein to sab kuch ho jaata hai. Bhajan vishay aur hamare yahan sandhya aarti mein ke baad jab wo vinay gai jati hai chandra mite dinkar mite mite trigun vistar usmen bisri ho na ye bahut jor ki baat hai bisri ho na bisari ho yahi dan mohi dev to jagrit mein swapna mein susrupt mein milnotsava jaise hitaj maharaj kah rahet mein Radhika pad aise yahan kah rahe milnotsava har samay jagrit mein hai to milan mein hai swapna mein hai to milan mein hai sushupti mein hai to milan mein hai aur nityanuragoti uska nitya anurag badhta hai aur nityam naveen wo nitya ascharya naveen naveen uski jeevan shaili ho jati hai nitya ascharya aisa kaise ho sakta hai aisa kaise ho sakta hai aisa aise ho sakta hai ki wo priy pritam ka hai kya nahi ho sakta hai nitya hi aashcharyamay aur nitya naveen teen vay jinka nitya premodi nitya paraspat vichitra kel vinodi aur nitya sakhi mandal se ghire hue Priya pritam ko wo prapt ho jaata hai.
sakhi mandli mein wo sammilit ho jaata hai aur apaar sukh samudra Priya pritam apaar sukh samudra Uddhav ji [gala saaf karne ki aawaz] braj mein aae bhagwan ka sandesha lekar ke bhagwan ko rudan karte dekhkar ke Uddhav ji ko laga tha ki bhagwan rudan kiske liye karte hain? Bhagwan ne Uddhav ji ka hath rakhkar apne hath mein kaha Uddhav ye brajvasi jan bavare hain prem mein ye rudan karte hain to hamen rudan karna aata hai. Agar hamara rudan rokna hai to in braj premion ko tum jao aur inko samjha do. Uddhav ji ke man mein bada fulan ho rahi hai.
bhagwan swayam kah rahe hain ki jao to hari Gokul ki priti chalai suno Uddhav mohi na visrat ye brajvasi sukhdai ye param sukh mere ko dene wale brajvasi jan dekho bhagwan kah rahe vismaran nahi hota. Jab dekho tab brajvasi hi hamare dimaag mein chhae hue hai. Kabhi sakha kabhi maiya Baba kabhi brajvasi jan kabhi gopi jan kya karen? Isiliye rona raha hai. Yah chit hot jaun main ab yahan nahi man lagat. Gopi gwal gay van charan ati dukh payo tyagat kya karun? Man hota hai abhi udkar pahunch jaun. Hamen hamare braj ki ganga gopag sakhag gopi jan in sab ki bahut yad aati hai aur aapko sahi batau aaj tak pet nahi bhara Uddhav ji se kah rahe jab maiya hamko dant dant karke makhan mishri roti pavati wo pyar Mathura mein kaho Mathura mein to 56 bhog lag rahe hain lekin mujhe wo pyar nahi mil raha kahan makhan roti kahan jasumti jev kahi prem are nahi abhi itna nahi aur pa lala aur pao ye kaun pavaega sur Shyam ke vachnat hasan suni khapat apno ne Uddhav ji hans rahe hain akhil koti bramhandon ka ishwar kaise prem vivash hokar baat kar rahe hain Uddhav braj ko gaman karo tum bade gyani ho.
ham bina gopika virahni tinke dukh harro. Jao tum gyan ka prakash karo. Uddhav ji ko lag raha tha wo moh vasata bhagwan ka dukhi hokar chintan karte hain. Isliye bhagwan yatha mam prapaddyate main jaaunga aur gyan ka updesh karunga. Unki samjh mein aa jaega. Jo gyan parban ko jo sukh pave nari purn brahm sakal prichay kar dare moh bisari [gala saaf karne ki aawaz] sahi baat pocho to Uddhav ko rangna chahte hain apne prem rang mein bhagwan Uddhav se kahte tumhen purn gyan hai yog ka gyan hai wo bechari gwaline purn brahm ka gyan to unhen yahan hai nahi isliye tum jao aur unko prichay do mera.
yadi wah mujhe bhul jae, rona band kar de to phir baat ban jae. To main nahi rounga. Agar wo roengi to sakha praveen hamare tum ho tum te nahi mahant. Sur Shyam hi karan patwat hoe avego sant. He Uddhav tumse badhkar mera praveen koi sakha nahi hai. Tum hamare ekantik premi ho. Tum gyani mahan mahant ho. Tumhara antahkaran gyan se bhara hua hai. Isliye main tumhen bhej raha hoon. Tum wahan jao jakar ke gopiyon ko updesh karo. Aur baad mein kah rahe hain ki jab lautoge na tab tum dekhna kya ban jaate ho.
udho man abhiman badho. Jab bhagwan ne aisa kaha to Uddhav ke man mein gyan garv phula ki aaj jakar ke apna gyan prakashit karne ka avsar milega samasth brajvasyon aur gopiyon ke beech mein Udhav man abhiman badho jadupti jog jaan sancho nain akash chadho sochne lage ki vastvik main yogi kitna bada hoon aur gyani kitna bada hoon yah to shri Krishna jante hain sachchai isiliye mujhe bhej rahe hain kanhaiya yadi mujhe bhej rahe hain Krishna to main braj ki gopiyon ka agyaan dur karke unke andar gyan prakashit karunga yah garv badha Uddhav ke hriday mein wo brajangnae gop bala kya jane brahm gyan main jakar unko updesh karunga isliye unki ankhen akash chadh gayi.
akash chadh matlab garv ho gaya. Ankhen garv yukt ho gayi. Aur ve man hi man ap karat prashansha yah mithya sukh bhog. Man hi man apni prashansha kar rahe ki Brihaspati ji se gyan prapt hua. Aaj gyan sarthak hoga. Bhagwan meri sachchai jante hain ki main kitna bada yogi aur gyani hoon. Ab garv se bhar ke main braj jaaunga aur wahan updesh karunga. Ayash man leo sir upar prabhu agyaa parman to prabhu mujhe agyaa dijiye. Surdas prabhu Gokul pathwat main kyon kaho ki an mujhe swayam bhagwan bhej rahe apna ekantik jan jaan ke to main jakar ke unko gyan ka updesh karunga.
Uddhav ji rath par savar hue. Aapne kal suna badi sheeghrata se rath ko sanchan to Uddhav ji ki veshbhusha sakshat shri Krishna ki veshbhusha Uddhav rath baith chale braj tan samuhai braj ki taraf rath mod diya Mathura te nikas pare gail maajh mein ai Mathura se us marg mein jo braj Vrindavan ki taraf ja raha hai rath sanchar kaise hain Uddhav wah mukut mor mukut wah Pitambar jo bhagwan ka prasadi aur waise bhi Shyam ang hai Uddhav ke pure Shyam sundar lag rahe hain wah mukut wah Pitambar Shyam rup ka bas antar itna hai ki bhagupad ek vanchit aur aur angache na to kaustubh mani hai aur na bhagu chinh hai bakaya pure shri Krishna lag rahe hain Shyam ang Uddhav ke mor mukut Pitambar waise dharan kiye bas vaksha sthal par kaustu mani aur bhagupad chinh nahi hai.
Uddhav ji maharaj bahut gyan ko abhiman kiye. Moko hari pathyo mero hi bhajan thaap maya sukh jhutho madhuban te chale tab Gokul niyrano dekht braj log Shyam ayo anumanyo Uddhav ji ko abhiman hai kis baat ka ki agar main itna uttam gyani na hota to bhagwan mujhko apne premion ke beech mein braj mein na bhejte main jaaunga aur shuddh bhajan ki sthaapna karke aaunga. Shuddh bhajan gyan ye maya ke sab sukh jhuthe hain. Main mera tu tera sab jhutha hai. Dehabiman ke karan hi dvait bhasta hai. Nahi to tatv masi tum wahi ho.
kiske liye ro rahe ho? Shuddh gyan shuddh bhajan madhuban se chale aur jab braj mein pravesh kiya to log anuman karne lage ki kya shri Krishna aa rahe hain. Aisa lagta hai ki shri Krishna wapas aa gaye. To sakha log daudte hain vaiso hi rath dekht sab kahat haras bani suraj prabhu se lagat taruni muskani aapas mein sab gopiyan hamen lagta hai hamare shri Krishna aa gaye. Jaise rath mein gaye the vaisa hi rath hai aur mor mukut Pitambar dharan kiye hue Shyam sharir dur se laga ki bhagwan shri Krishna aa gaye. Nand gop harshit hoe gaye lene age.
nand Baba bade harshit hue. Lala aa gaya. Jo bahar nikal kar dekha itne mein Yashoda maiya ne suna shri Krishna aa gaye jaise koi bavri bhage mera lala aavat Balram Shyam sunat daud chale bam mukut jhalak Pitambar man man anuragi nischay aae gopal aandit bhai bal mit virah ko janjal jot te kal jo jo sun raha hai bhage sabke virah dukh mit rahe hain prabhu aa gaye prabhu aa gaye nischay aae wo nischay prabhu hi aae hain kyonki mor mukut dharan kiye dur se dekh Pitambar dharan kiye hue hain gadgad tan pulak bhyo mukut pit basan nayo man mein kachu soch bhyo Shyam
kidho ko jab nazdik ja rahe to mor mor mukut Pitambar wahi dhoti waise hi swaroop sanvla lekin nazdik jake nahi nahi ye to aur koi hai Shyam sundar nahi sakha daud ke nahi ye to Shyam sundar nahi ye to unki poshak dharan kiye unke rang wala koi aur hai agar Shyam sundar hote to saath mein haldhar bhi hote Balram ji hote sab daud daud ke Uddhav ji ke rath ke paas aae vaso hi rath vaso hi sab saj mano bahri bichri kachu man suphlak sut ayo brajaj wahi rath hai wahi sajbaj hai hamne lagta hai ki akrur ji ko lajja lag gayi aur hamare shri Krishna ko wapas le aae pehle gaman gayo le hari ko param param sumati ro ratiraj ajhu kiya kaha ki chahat hai yate adhik kans ko kaj ye ab kya karna chahta hai Balram ji ko wahan chhod aaya shri Krishna ko yahan le aaya ye kya karna chahta hai koi sochta hai akrur ji ka ye wahi rath hai akrur ji lekar ke Shyam sundar ko aae par jab wahan nazdik pahunchte to koi sarathi nahi keval Uddhav ji Uddhav ji ko koi sarathi nahi Uddhav ji swayam isliye ki bahut ekantik varta karni
hai. Braj mein gharghar ye baat fail gayi ki Mathura se koi aaya hai. Aaj braj koi ayo hai. Koi kahta kaun aaya? Wahi akrur aaya hai. Ab kya mar karke hamko le jaega? Hamare pran dhan to le gaya. Ab kahe ko aaya hai akrur? Koi aisi baten karta hai. Koi kahta hai dekho dekho wo rath aa raha hai. Tum theek theek batao kya jo deenon par daya karne wale hari hain wahi wapas aae hain. Sab milkar ke aapas mein daud pare. Jagat ke samip jab gaye to chal mil samiti sakhi puchhan ko tab udho daras dikhayo tab pehchan jaan prabhu ko bhrat karn jor sirnayo are ye prabhu nahi ye to suna hai prabhu ke mitra Uddhav ji hai sakhajan sab pranam karte hain Uddhav ji se abhi rath mein Uddhav ji se puchte hari hai kushal hamare shri Krishna kushal se hain jo jo aa raha hai wo sab shri Krishna ke kushal pooch raha Uddhav ji nand Baba ke darwaze par rath khada kiya bhid lag gayi nand Baba ke yahan kyonki shri Krishna virhi jan hai aho bhagya jinko prabhu se apnapan ho gaya hai.
apnapan kyon matlab ab jiya nahi jaata aapke bina phir ye to prabhu ke sang khele hain khae hain hase hain kude hain. Prabhu ke sang rahe hain. Inki virah ki kya mahima ka varnan karen? Pran hamare tab hi le gayo ab ki karan ayo main janie baat sunat prabhu kripa karn uth dhayo pehle to hamare pran le gaye the ab ye Uddhav ji kya lene aae hain kisi ne kaha ham par kripa karne aae hain kyonki ham sab virah mein jal rahe the Shyam sundar ki kam se kam prasadi poshak to pahne hain. Hamen unki poshak ke to darshan ho rahe hain.
yah to Shyam rang wale hain. Hari rath jatan jare ki anup dikhave ji mag Krishna gaye ut hi te ave ut hi te ave sakhan bulawe dekho man hi bichri mani mukut kiran tan pit basan ko Govind ke anuhari soi abhushan lage dekhn jab lagre aae Udhav ji jane mukh ko milane Krishna sandesh pathae aae daud daud ke sakha brajvasi jan budhe log ate hain Uddhav ji ke vastr chhute kyonki shri Krishna ke prasadi hai na koi choom raha hai koi hriday se laga raha hai koi sparsh kitna prem hai hamare prabhu ka prasadi vastr dharan kiye sab prasadi vastr ko sparsh kar rahe hain.
sachchi baat bhagwan ke nij janon mein jo prem hai wahi prem ka kinka jagrit ho jae to jeevan ham unhin ke hain mamwa bhagwan kah rahe main unhin ka hoon main bhul kar ke haan jagat ke bhram mein phas gaya nand Baba Uddhav ji ka hath pakar ke utarte hain mahal mein le jaate hain sevak charan dhota hai Uddhav ji ke nand Baba palang par baitha dhalte hain aur pyar se puchte hain Uddhav kya ham brajvasyon ki kavi shri Krishna kaise jite honge jinki god mein baithkar shri Krishna khele un Baba ki halat kya hogi apne log to keval sahara liye hain.
sab thodi dekh paye hain. Keval sahara liye. Unke naam ka sahara liye. Tab aisa lagta hai ki wo jeevan hi nahi jismen prabhu na ho. Wo jeevan kis karya ka? Par Baba ki halat thoda chitt laga ke dekho. Jinki god mein baithe jinka unki halat kya hogi? Us maiya ki halat jo subah se sham tak keval lala ki paricharyaa mein lage wah lala unki halat kya hogi un gaun ki kya halat hogi un sakhaon ki kya halat hogi un gopiyon ki kya halat hogi jo keval inhi ke liye hai inhi se jivit hai Baba puchte hain ki tum batao kya kabhi bhi apni maiya Yashoda ki yad karte hain aur Yashoda varn manani putras charitan cha maiya to aisi bavri hai ki unko ye pata hi nahi Uddhav aae hain wo to apne bhav ruk lala ruk la thoda makhan khata ja phir ja Baba dikha rahe hain ki dekho kya halat hai are wah to Mathura chale gaye.
phir vikal hokar ro padti hai. Kabhi palne ke paas jati hai wahi palna jismen shri Krishna jhulte wahan shri Krishna jhulte phir dekhte hain ye to khali hai. Shri [gala saaf karne ki aawaz] Krishna to chale gaye. Unki pratiphal naveen naveen prabhu ki leela aur unhee lilaon mein khoi hui kabhi ar bhav mein pukarti kabhi unke piche daudti kabhi hans deti hai. Badi uttam dasha shri Yashoda maiya ki hai. Uddhav ji kampayamaan ho rahe aae garv rakh ke gyan ke lekin yahan jab premion ki dasha dekhi abhi to das sakhya vatsalya inhi ka darshan kar rahe hain.
shri Krishna ki ek ek leela ka chintan karke netron se aansu bahate hue nand Baba aur Yashoda maiya putr sneh ki baadh unke stanon se ab bhi dugdh dhara bahne lagi Yashoda maiya ke Uddhav ji ne dekha Yashoda maiya ki dasha aur nand Baba ki ki shri Krishna ke prati kaisa agadh anurag hai. Yah dekhkar ve prem se vikal hone lage. Abhi tak prem Uddhav ko nahi aaya. Je hi Baba ka vatsalya prem aur maiya ka prem dekha to Uddhav anand magan ho gaye aur kahne lage he Baba ismen sandeh nahi ki aap donon samasth sharir dhariyon mein atyant bhagyawan hai.
sarahna karne yogya hai. Sare charachar jagat ke banane wale unhen gyan dene wale sarveshwar bhagwan ke prati aapke hriday mein aisa vatsalya sneh ye putr bhav maine to pahli bar dekha mere prabhu se itna pyar par Baba ham aapko batane aae hain etau hi vishwas choni ramo Mukund purush pradhanam anwi bhuteshu vilakshanas gyanas che sat imo purano Baba ye shri Krishna Balram sakshat bhagwan hai puran purush hai sare sansaar ko banane wale hain aur swayam sansaar rup ban banne wale hain. Arthat upadan karan aur nimit karan donon prabhu hai.
bhagwan shri Krishna pradhan purush hai to Balram ji pradhan prakriti hai. Yahi donon samasth shariron mein pravesht hokar unhen jeevan dan dete hain. Baba atyant vilakshan jo gyan swaroop jeev hai uska niyman karne ke karan inhe i kaha gaya hai. Jo jeev mrityu ke samay apne shuddh man ko ek kshan ke liye bhi prabhu mein laga de to uske samasth karm vasnae nasht ho jati hai aur wah shighr hi surya ke saman tejasvi brahmamay hokar param gati ko prapt karta hai. Aur unhee bhagwan mein aapka aisa chitt laga hua hai.
ve bhagwan hai. Sabke atma hai. Param karan hai. Bhakton ki abhilasha purn karne aur prithvi ka bhaar utarne ke liye hi wah manushya sharir mein prakt hue hain. Unke prati aap donon ka aisa prem bhav he mahatmaon aap donon ke liye ab kaun sa karm karna shesh rah jaata hai? Bhaktavatsal Yaduvansh shiromani bhagwan shri Krishna chandra jo yah bole the ki ham aaenge wo aaenge aur aap donon ko aandit karenge. Jis samay unhone samasth yaduvanshiyo ke drohi kans ko rangbhumi mein mar dala aur aapse wapas hote samay kaha tha main braj mein aaunga.
us kathan ko satya karenge. Nand Baba Yashoda maiya aap donon param bhagyashali hain. Aap khed na karen. Aap shri Krishna ko apne paas hi dekhenge kyonki jaise kaasht mein agni sada hi vyapak rup se rahti hai. Waise hi ve samasth praniyon ke hriday mein sarvda virajman hai. Phir bhi Uddhav ji ne yahan apna gyan varnan kiya. Dekho Baba ek sharir ke prati abhiman na hone ke karan bhagwan ka na to koi priy hai aur na apriy hai. Yah gyan hai keval aisi baat nahi hai. Agar aap ek aansu shri Krishna ke liye dalenege na to shri Krishna bik jaenge.
ye gyan hai. Jab yah gyan hota hai to aansu nahi nikelte. Isiliye is gyan ko namaskaar aur hamen wah agyaan accha jo yah baat lagti hai ki mere ladli lal bas ye kaun hai? Kya hai yah sab mere hain jo bhi hain jitne bhi hain jaise bhi hain wo mere hain. Mere apne pyare hain. Bas yah baat ke liye dhanyati dhanya hai rasik mahapurush jo aise gyan ka bhi mitiya met karke asakti paida kar diye ki mere ladli lal vishay purush ka parivartan karna to sahaj hai lekin gyani ka parivartan karna bahut kathin hai. Ye brajar gyanyon ka bhi parivartan kar deti hai.
dekh lo Uddhav ji gyan baghar rahe hain. Kah rahe na unka koi priy dekh ke aa rahe hain ro rahe the dekh ke aa rahe hain ro rahe abhi samjh nahi pa rahe udhar wo rudhan kar rahe hain to idhar ye rudhan kar rahe na unka koi priy hai na unka koi apriy hai. Man sukh nahi jaega is baat mein unka koi priy nahi hai are unke jaisa koi pyar karne wala hai aapse sachchi kahte hain agar thoda bhi jaan jaoge ki prabhu aapko kitna pyar karte hain to unke jaisa pyar karne wala koi hai hi nahi. Har Swami mein ek baat hoti hai ki uska sevak dosh rahit ho, gunvan ho.
lekin hamare Swami aise ki hazaron dosh hone par bhi kabhi tyagte nahi. Jab prabhu ke swabhav ki taraf dekh to kaise hota hai ye sab gyan vigyan keval sansaar ka rag tyagne ke liye prabhu ke anurag mein inki koi zaroorat nahi mere prabhu bas prabhu ka swabhav jaan jaoge to keval rote rahoge jab apni nichta aur prabhu ki mahanta in donon ka hota hai tab lagta hai itne mahan hokar itne nich ko sweekar na unka koi priy hai na koi apriy hai pare aisa nahi isliye aisa nahi ki ham anubhav ki baat kahte hain.
bahut pyar karte hain. Thoda bhi koi naam jap kar raha hai, thoda bhi bhajan kar raha hai, thoda bhi aashray liye waise to sabko pyar karte hain. Par karm parampara jo hamare anant janmon ke karm hai wo avashya mein bhoktuvi kritam karm shubhash shubham ye siddhant hai. Lekin jo thoda bhi bhajan karta hai to mitiya met kar dete hain karmon ka aur bhagwan param sukh pradan karte hain. Bhagwan ki sabke prati saman drishti hai. Saman drishti hote hue bhi paksh pate hain. Apne bhakton ka paksh lete hain. Apne premion ke adhin ho jaate hain.
bhagwan ki drishti mein koi apna aur paraya nahi hai. Nahi hai. Jo bhagwan se apnapan karte hain, bhagwan unse apnapan karte hain. Jo bhagwan se apnapan nahi karte, unko karmon ke hisaab bhogne hote hain. Jinkar kal rup mein bhrata unke liye na koi uttam hai na adham hai. Bhagwan kahte hain Uddhav ji se hi kaha tha ki na main apne sharir ko utna pyar karta hoon na main apni atma bhagwan shankar ko utna pyar karta hoon na apni lakshmi ji ko utna pyar karta hoon jitna apne anannya bhakton ko pyar karta hoon.
siddhant gyan ka alag hai. Bhakti ka siddhant alag hai. Bhagwan sam hai. Ye gyan ki baat hai. Sam hote hue bhakt ka pakshpat le lete hain. Bhishma ji mahabhagvat hai lekin adharm ke paksh mein hai. Pandavo ke virudh paksh mein hai. Banon ki saiya mein sulwa diya. Aur ek bhi baan panchon pandavo ka kabhi bhhedan nahi kar paya. Bhagwan pakshapati bhi hai. Jo unka aashray le leta hai bhagwan uska pakshpat le lete hain. Bhagwan ke na to koi mata hai aur na pita hai. Dekho ye gyan hai. Prem sukh jae baat sun ke.
na koi apna hai na paraya hai aur na unka janm hai na unki deh hai yah hai gyan na unka koi karm hai ye to dharm sthaapna ke liye santo ko sukh dene ke liye sadhuan ke paritran ke liye jaise bhagwan matsya avatar vamna avatar dharan kiya aise hi bhagwan shri Krishna avatar dhan ye zyada gyan accha nahi. Wah ajnma hai. Unmein satogun, rajogun, tamogun nahi hai. Is prakaar ke gunon se atit hone par bhi leela ke khel khel mein ve tino gunon ko sweekar karke jagat ki rachna palan aur sanhaar karte hain.
Baba jaise bachchhe ghumri pareta khalne lagte hain to manushya veg ke chakkar lagane lagta hai to usko lagta hai jagat ghum raha hai. Vriksh ghum rahe hain par ghum wo raha hai. Aise hi vastvik sab kuch karne wala chitt hai. Parantu usit mein ahankaar buddhi ho jane ke karan bhramwash use apna main samjh leta hai. Aur jeev isi ke karan karta bhav se janm maran ke chakra mein pista hai. Baba bhagwan keval aapke putr nahi hai. Ve samasth praniyon ki atma hai. Pita hain, mata hain, Swami hain, sab kuch hai. Baba jo kuch dekha suna jaata hai chahe wah bhut se sambandh rakhta ho, vartman se athva bhavishya se, sthavar ho ya jangam ho, mahan ho ya alp ho wo shri Krishna se prithak nahi hai.
sab shri Krishna mein hai. Shri Krishna ke atirikt aisi koi vastu nahi jise ham vastu kah sake. Vastav mein sab ve hi hain. Ve hi paramarth satya hai. Yah gyan ki baat Uddhav ji varnan kar rahe hain jo unko bhagwan ki kripa se hi prapt hua hai. Par bheja isiliye hai ki is nirmal jal mein shakkar mil jae. Abhi nirmal jal hai Uddhav ji. Prem rupi shakkar mil jae to sharbat mitha jal ban jae. Bhagwan shri Krishna ke sakha Uddhav ye sab baten ek taraf rakhi rahti hai. Sab baten hain. Dimaag mein sabko gyan hota hai jab bhagwan bhagwat marg mein lekin sab baten bhul jae.
isiliye bhai ji ka ek pad hai hamen buddhihin bana do. He bhagwan hamen bas itna mere ladli lal aur ekant mein baitha rota rahe. Unse baten karta rahe. Unko dular kar. Isse badi koi sthiti nahi. Isse badi koi sthiti nahi. Ye sab sadhno ka phal, sab gyan, dhyan, vrat sabka phal hai ki keval itni asakti ho jae mere ladli lal. Aur unhin ka naam le lekar roye, unhin ko pukare, unhin mein ham apne chitt ko lagaen. Bas aur zyada ismen phailav nahi hai. Ye prem hai. Prem galiyat sa kari ismen zyada nahi.
bas rasikan ne nishan bajayo ek Shyam shyama pad priti bhagwan shri Krishna ke priy sakha Uddhav nand Baba aur se aisi baten kar rahe the puri raat bit gayi raat shesh rahne par gopiyan uthi deepak jalakar unhone ghar ki daheliyon par vastudev ka pujan kiya Sohni lagai dahi mathne lagi theek jaise bhagwan shri Krishna ke samay braj ki utsavmay sthiti hoti thi. Gay dhone ka ghar shabd hone laga. Mathani chalne lagi aur shri Krishna ke mangalmay geet gate hue gopikaen sevarat hain. Bhagwan shri Krishna ke mangalmay charitra ka gaan kar rahi hai gopiyan aur dahi mathti ja rahi hai.
jiski swar lahri pure braj mein fail rahi hai. Dhire-dhire bhuvan Bhaskhar ka uday hua. Brajangnaon ne dekha nand Baba ke darwaze par ek sone ka rath khada hai. Ek dusre se poochne lagi yah rath kiska hai? Kisi gopi ne kaha kans ka prayojan siddh karne wala ye akrur to nahi aa gaya dobara. Jo hamare kamal nayan pran pyare Shyam sundar ko yahan se Mathura le gaya tha. Kisi dusri gopi ne kaha kya wah hamen le jakar apne mare hue Swami kans ka pinddan karaega. Ab yahan uske ane ka kya prayojan ho sakta hai?
brijwasni yuvatiyaan aapas mein batchit kar rahi thi. Usi samay nitya karm se nivatt hokar Uddhav ji aa pahunche. Parikshit gopiyon ka tan man pran sab shri Krishna mein gopiyon ki drishti Shyam mein jidhar apne tan mein bhi dekhte hain to Shyam sundar dikhayee dete hain. Shyam tan Shyam man Shyam hai hamaro dhan aatho jam udho hamen Shyam hi so kam hai Shyam ha Shyam jie Shyam binu na andhe ki sheela kari adhar Shyam Ram naam hai. Gopiyon ka tan bhi Shyam sundar hai. Man bhi Shyam sundar hai. Dhan bhi Shyam sundar hai.
atho pahar keval Shyam sundar mein hi sthiti hai. Shyam hi Shyam jie Shyam bin nahti hriday mein man mein sab kuch Shyam sundar bane hue Shyam matlab braj yuvati ka matlab Shyam sundar jaise andhe aadmi ke chalne ke liye uska sahara lathi hi hai aise man buddhi chitt ahankaar tan sab kuch Shyam sundar Shyam gati Shyam mati Shyam hi hai pran pati Shyam sukhdai so bhalai shobha dham hai kaisi sthiti hai gati bhi Shyam mati bhi Shyam pran pati bhi Shyam Shyam se hi sukh Shyam se hi shobha shyammai hai gopiyan shyammai hai sab ekatrit ho gaye dekha rath khada
hai kaun aaya hai itne mein nitya karm nivatt hokar Uddhav ji samne se ate hue dikhayee de Baba ke ghar se nikelte hue shri Krishna ke sevak Uddhav ji ki akriti veshbhusha shri Krishna ki wahi kamal dal lochan azaan bahu sharir par Pitambar gale mein kamal pushpo ki mala mani jatit kundal mukharvind par muskurahat Pitambar dharan kiye hue mor mukut dharan kiye gopiyan kahne lagti ye dekhne mein to Shyam sundar jaisa hai parantu hai nahi ye kaun hai kahan se aaya hai isne shri Krishna jaisi veshbhusha kyon dharan kar rakhi sab ki sab gopiyan unka prichay prapt karne ke liye utsuk hai.
pavitra kirti bhagwan shri Krishna ke charan kamlo ke ashrit samasth gopiyan janna chahti kaun hai? Uddhav ji jab unhen malum hua ki yah to hamare liye aae hain. Ye hamare pran pritam shri Krishna ke priy sakha hain. Tab sab gopiyan jahan virajman thi Uddhav ji udhar gaye. Hriday to bhagwan ke prem mein duba hai. Netr Shyam sundar ke rup mein chhake hain. Je Uddhav ji nazdik gaye to gopiyon ne netron se naman kiya. Premi ko sir jhukane ki fursat nahi hoti. Kisko sir jhukae? Wo to dube hue hain. Netron se halka naman kiya aur asan dal diya.
Uddhav ji baith gaye. Phir Uddhav ji aur gopiyon ke madhya mein jo varta hui wo aa gayi. Itni prarthna jarur karte hain ki is janm ki sarthakta hai. Jaise bane waise ye hamen pyare lagne lage. Jaise bane waise ham inke sahare ho jae. Keval ek baat hriday mein ho jae ki jaisa ho aapka ho. Aapke siva hamara koi nahi. Bhai yah baat aa jae bhakti ka, gyan ka, yog ka, sadhna ka sabka ek phal hai ki hamen pata nahi ki ham aapke yogya hain ki nahi hai. Bas aap mere hain. Bas aap mere hain. Aapke siva hamara koi nahi hai.
itni baat aa jae. Itni baat ke liye sadhna ho rahi. Dusro na koi mere to Giridhar gopal dusro na koi sadhna isi baat ki koi dusra mere dimaag mein na ane pave koi dusra hamare hriday par adhikar na kare keval ek baat hai mere prabhu jaisa bhi hoon aapka hoon aap mere hain. Isi se bhagwat prapti hoti hai. Hamara bal keval ro dena hai. Nirbhal ka bal kya ho sakta hai? Kisi ko sadhna ka bal, kisi ko tapasya ka bal, kisi ko hamara bal keval ro dena hai. Hamse puchoge ki aapke paas kya hai? To rona hai rona bas.
dusri baat aapke liye ro sakta hoon. Wo bhi aapki kripa se. Wah bhi ham nahi kar pa rahe hain. Wah to aap kripa kar rahe ho to aapke liye rona aa raha hai. Bas itne se hi bhagwat prapti hai. Ye sab jitna daud bhag hai sab buddhi ka marjan hai. Bhagwat prapti keval itne se hai ki bas main aapka hoon. Aap mere hain. He nath jaisa bhi ho aap kaho. Koi asha mat rakho hamse ki ham aapke liye kuch ban payenge. Bas jaisa ho aapka ho. Aap jaisa banana chaho bana lo. Main aapka hoon. Hriday se baat tab aayegi jab pehle vani se shuru karo.
he prabhu he nath main aapka hoon. Jaisa hoon aapka hoon. Phir hriday mein aa jaegi aur hriday mein aa gaye to nishcint ho jaoge. Nirbhay ho jaoge. Nishukh ho jaoge. Unko aur kuch nahi chahiye. Kya chahiye unko? Bachchhe se kya chahiye? Bachchha bas keval itna kah de ki hamare aap pita ho. Aap hamare mata ho. Bhul se jo idhar udhar bhtak raha tha wah laut ave. Bas itni baat unko hai. Yah jo ham janani Janak bandhu sutara tan dhan dham sud parivara ismen ham bhul chuke hain. Isko samet lo bhul ko aur prabhu ke charnon mein kar lo.
bas ho gayi bhagwat prapti. Aap khud dekh lena. Bahut jaldi aapko jo bade-bade munio ke dhyan mein nahi ate ho muskurate hue samne dikhayee denge. Shesh charcha aa gayi. Shri Radha vallabh lal
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)
sambandhi
- sarv papon ka nash karne wale shri giriraj ( Govardhan ji ) ki adbhut mahima // 09/11/26 — pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.
- divya Diwali maha mahotsav // 08/11/26 — pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.
- in 10 dosho se pahchanen ki hamare bhitar paap hain ya nahi / gopiyon ki virah vyatha evam bhramargeet ka varnan — pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.
- upasna mein badha dalne wale ye 6 dosh / Uddhav ji ka gyan aur gopiyon ka anannya prem // 06/11/26 — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam haditam madhupte smarta mugam nirvai param shital mayam param shital maya param sacchidanand ghan Premanand swaroop navni nikunj mahmmahim param pavan…
- nihal kar dene wali sharanagati ka varnan / Uddhav ji ka shrikrishna ka sandesh lekar ana / nandbaba se varta — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam haditam madhupte smarta mugram nirvai param shital mashyam param shi shital maya param sacchidanand ghan Premanand swaroop navni nikunj mahmmahim param…
- nirantar naam jap mein badhak hain ye 5 baten / kans vadh / Devki-vasudev ji se milan / gurukul shiksha grahan — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam haditam madhupte smarta mugram nirvai param shital mashyam param shital mayam param sacchidanand dhan Premanand swaroop navni nikunj mahmmahim param…