॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

upasna mein badha dalne wale ye 6 dosh / Uddhav ji ka gyan aur gopiyon ka anannya prem // 06/11/26

▶ YouTube

pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam haditam madhupte smarta mugam nirvai param shital mayam param shital maya param sacchidanand ghan Premanand swaroop navni nikunj mahmmahim param pavan shri Vrindavan dham shri Vrindavan dham ke ladlele yugal sarkar pranaaradhy pran priy shri Priya pritam jo samasth sahachari vrind khag mrig pashu panchhi tarulta shri yamuna ras rani raj rani samasth brajvasi parikar ke charnon mein koti sa pranam koti sa naman namaskaar badi kripa hai har samay kripa hai har vidhan kripamay hai.

har paristhiti kripa hai. Kripa hi kripa hai. Jinki kripa kripa karte hue kabhi tript nahi hoti. Aghati nahi hai. Sadaiv kripa barsati hi rahti hai. Aisi shri ladli lal ki apaar kripa ham sabke upar hai. Ham aisa anubhav karen. Jab ham kripa ka anubhav karte hain to ham priyal ko prapt kar sakte hain. Aisa utsah badhta hai aur jab ham apni taraf dekhte hain to hamare kadam piche ho jaate hain. Ladakhdane lagte hain ki hamari samarth nahi ki ham in kam, krodh, lobh aadi par vijay prapt kar le. Hamari samarth nahi ki ham maya ke akarshan se apne ko bacha pave to hamen lagta hai bhagwat prapti bahut kathin hai.

lekin jab kripa ki taraf dekhte hain to lagta hai bahut kripalu hain. Ham nahi chal payenge to wah hamare paas aa jaenge. Yah dridh vishwas hai. Hamari yogyta nahi hai par wah hamen apne yogya bana lenge. Ham jaise bhi hain he Priya pritam aapke hain. Bas is kripa ka bharosa hi hamen bhagwat prapti ke nazdik le ja raha hai. Ham dekh rahe hain. Vishwas maniye jitna aap kripa ka bharosa karte jaenge, jitna vishwas karte jaenge, utne hi aap prabhu ke nazdik hote jaenge. Vishwas se badhkar koi sadhna nahi hai.

shayad yah baat koi birla hi samjhta ho. Prabhu par vishwas kar lene se badhkar koi sadhna nahi hai. Hit dhruv jo vishwas hai tab hi sudhre baat na tar maya panth mein phire jo takkar khaat bin vishwas bhagat nahi te bin dravah na Ram aur Ram kripa bin sapne hoon jeevan lah vishram vishwas vishwas hai main nich hoon adham hoon bilkul yogya nahi hoon kahan wo rasik mahapurush jo raat din Priya pritam ke prem mein ashubh pravah karte aur kahan apne log jo raat din indriyon ke bhogon mein sukh ka anubhav karke ek bar bhi aansu nahi bahate Priya lal ke liye ek bar bhi nahi tadpate to ham kaise adhikar pesh kar sakte hain ki ham aapki prapti ke yogya hain.

nahi keval kripa kripa hi kripa charon taraf se kripa har samay kripa har paristhiti mein kripa ham aisa anubhav karen. Jab aap kripa ka anubhav karoge to kripa donon taraf akarshit karti hai. Bhagwat kripa bahut badi samarth rakhti hai. Wah prabhu ko bhi akarshit karti hai. Jeev ki taraf aur jeev ko akarshit karti hai i ki taraf aur donon ko milakar ke muskurati hai. Hamare prabhu ki kripa ka sakshat swaroop hai Harivansh mahaprabhu. Kripa rup jo vap dhar kripa rup jo vap dhar kripa ne jab rup dharan kiya bapu dharan kiya to Harivansh mahaprabhu bhutla par avtrit hokar adham jeevan ko bhi nitya vihar ras ka adhikari bana dena aur Priya pritam ko apni god mein lekar ke us jeev ko seva ka adhikar de dena yah kripa ka swaroop hai.

murtiman kripit jo maharaj Harivansh chandra jo maharaj hain bade ahobagy hain unke jinhone aise kripa sindhu Harivansh mahaprabhu ki sharan le li chahe vachan se hi kyon na ho itne udaar hain ki Priya lal ko bhi sukh phuanchte hain. Itne udaar hain ki wo dekhte hi nahi hai ki kitna adham hai. Kaise wo papi kyon na ho. Harivansh naam jo le alak ladti reej ke mahal khavasi de kripa rup jo dhare aisi karuna uday hoti hai jisko abhay dan de diya uske sare karm bandhan nasht kar diye kate karm bandhan sansari sukh sagar puri ati bhari vidhi nishedh shrankhla chhudave chhudave aur nij alay bana basave.

apne mahal mein basa lete hain. Bade kripalu hai kyonki kripa ka hi avatar hai. Isliye acharya sharanagat hokar unke dwara bataai hui upasna paddhti mein chitt jodne se alaukik anubhav hone lagte hain. Shripad kah rahe hain mahand nishchandni vishv cheto mriga bandhini aha randhini bandh sandhe raso mat Vrindavi valgini ta hare divya bansi maham sheelyami bansi hariju ki bansi Harivansh Harivanshi kah rahe hain mahanand nishandindni vishv cheto mrigav bandhini vishv kit rupi mrig ko vedh karke priyal ke charnon mein sada sada ke liye bandhan yukt kar dena maya bandhan on ko kaat ke chitt rupi jo chanchal chitt hai usko vedh karke banseenad priyal ki asakti se yukt kar dena aur maha anand nishchandni maha anand ras barsane wali shri hariju ki bansi hai.

ye sunne ko milte hain. Achanak keval kano mein bansi dhvani sunai de rahi. Wo bansi dhvani jo yahan koi baja hi nahi sakta. Alaukik jo bhagwan shankar ki samadhi bhang kar de jo jad ko chetan kar de chetan ko jad kar de randhni band sandeh jitne bhi bandhan hai sab ka vinash karne ki samarth ekmatra bansi ji mein vashi dhvani samasth mohon ka samasth ragon ka samasth kamnao ka nash kar deti hit ko sada sada sada ke liye priyal mein arpit kar deti hai. Maha anand ras ka vardhan karne wali bansi rasonmat ras mein unmatt kar deti hai.

Vrindavi vagini tam hare divya bansi maham sheeyami hari ki us divya bansi ka main dhyan karte hue naman karta hoon jo Vrindavan mein sadaiv bajti rahti hai. Yahan banseenad aur napur nad hota rahta hai. Maharani ji ke charnon ka napur nad aur lal ji ke adhron par virajman banseenad kisi din tumhare chitt ka aphrn kar legi. Yadi aap vashi ji ki sharan mein hain aur vashi ji ke gaye hue chaturasi ji ke pado ka gayan karte hain aur banshi ji ke batae hue naam aur mantr ka jap karte hain to ye Harivanshi ek din aapke chitt ka aphrn karke priyal ki asakti se yukt karke raso mast karke sadaiv sadaiv ke liye divya Vrindavan vas pradan kar degi.

jab bansit ka akarshan karte hain to kya dekhne ko milta hai? Bole kadava mda ghada karan netra kuleebh Vrindavan shri rasen nijangam muda guth tadjobh Priya sumapini bhat Radha jinke ke karnayat netr hai. Kan tak vishal netr hai. Aur jo prem mad se ghurnit hai akran lambit netr prem mad se ghurnit hai. Wo shri kishori jo nilambr ka aise ghunghat kiye hue pritam shri Shyam sundar ki or dekh rahi hai aur samasth sakhi mandli se ghiri hui hai. Aisi kishori jo ka sakshatkar karwati hai bansi jit ka aphrn karke rasonmat karke samasth bandho ka nash karke apni aradhya shri Radha kishori ka darshan karane ki samarth bansi ji mein hai.

bansi ji darshan karati hai. Kaise swamini jo hai mda ghurnan netram prem ras se ghurnit netr ruchir manohar bank vilokan aisi aur ghunghat nilambr ka uthakar apne pritam ki taraf dekh rahi sakhi mandliyon jooth ki joot sakhiya ghere hue hain. Swamini jo pritam ke mukharvind ki taraf dekh rahi hai. Divya Vrindavan ki adbhut kunj vishv vande ho jaega wo jo swamini ji ke aise rup ka dhyan karega. Shripad kah rahe hain wo vishv vandit kyonki priyaju ke rup ka darshan atyant durlabh vishay hai. Sada Radhika Krishna ke sthal naam vilna tar divya shobha vibhand kande mahash vrinde nivyati Vrindavane vishv vandya wo vishv vandneey ho jaega jo hamari pyari ju ke rup ka sakshatkar kar lega pyari ju ke rup ka sakshatkar wahi kar payega jo Harivanshi ju ki sharan mein hai.

Harivanshi juhi sampurn sangopang seva ki paddhti aur seva ki yogyta aur seva ki sauj sab pradan karti hai. Shri Priya pritam ke divya leela sthal Vrindavan ka netron mein prakashit hona aur shri Vrindavan ke aradhya dev shri Priya pritam ka netron mein prakashit hona maha aand kand mahamod maha prem ye uske hriday mein jagrit ho jaata hai. Isliye ab savdhani mahamohini koti dur drishti maha siddhi koti durgandh buddhi had vyakt Radha pda bhoj shobha kada lobhyam Vrindavan karod karod sundari apsraen mil jae to bhi bhogne ki ichchha na ho ya sundar devta jaise purush mil jae to bhi bhogne ki ichchha na ho.

tabhi hamari kishori kishor jo ki seva ki yogyta prapt hogi. Mahamohini koti dur yah keval agyaan ke karan aisi buddhi hoti hai ki in shariron mein sukh hai. Nahi to shariron mein sukh nahi hai. Keval sukhas hai. Sukhas sukh ki chhaya. Jise tum sukh samjhte ho. Yah sukh nahi sukh ki chhaya hai. Samjh padti nahi. Yah mere Giridhar ki maya hai. Yah durmoh hai. Ye agyaan hai. Ye avidya hai. Jo upasak itna sudridh hai ki koti koti apsraen yadi use gher le to bhi uska man chalayman na ho. Wo hamari swamini ji ke darshan ka adhikar prapt kar sakta hai.

shripad Prabodhanand ji maharaj ne Vrindavan mahimamrit mein piche varnan kiya hai ki jo gore charnarvind ka aashray le leta hai usmen aisi samarth aa jati hai ki bhagwan ke Mohini avatar mein bhi samarth nahi ki mohit kar sake. Jo gore charnarvind ka sharanagat ho chuka hai hriday se usmen aisi samarth maharani jo pradan kar deti hai ki bhagwan ki Mohini avatar mein bhi samarth nahi ki uske chitt ko cura le are swayam bhagwan ki samarth nahi swayam bhagwan ki jab nij praneshwarya ye samjh ke aalingan chumban paribhan karte hain to sakhi kya kahti hai tav shri Radhe pad ras vilase mam mana mera man he kishori ji us samay bhi aapke charan kamal ki seva sukh mein hi hai.

aur kah rahe hain drishti maha siddhi koti durgandh buddhi badi-badi siddhiya yadi jagrit ho jae to unke prati he bhav karke unko tyag de. Prem siddhi prapt karne ke liye har siddhi ka tyag kiya jaata hai. Jo anya siddhion ko sweekar kar leta hai bhagwat sakshatkar rupi siddhi ka adhikari nahi rahta. Isliye goswami tulsidas ji maharaj ne likha hai ki Riddhi siddhi pere bahu ai buddhi lobh dikhave bhai hoe buddhi jo param sayani chintan chit nahit jaan hamara anhit ho jaega isliye siddhion ko sweekar karna nishedh kaha gaya kah rahe hain drishti maha siddhi koti durgandh buddhi tumhari drishti aisi honi chahiye siddhi mein ki karodon karodon durgandh yukt padaarth arthon se bhi he siddhi kya bahut rupon mein prakt ho jana dusre ke man ki baat jaan lena bahut dur ki baat dekh lena kai jagah ek saath prakt ho jana akash mein vichran karna bahut si siddhiya hai agar in siddhion ko sweekar kar le to priyal ki prem siddhi nahi milti man man ki ruchi jaan ne vidhi anusare priyal ke man ki chah kya hai yah janne ki samarth nahi rahegi isliye hamare braj ke jitne siddh hue hain sabko koi aise nahi hue ki chutki bajaen koi chamatkar dikhae.

yahi chamatkar ankhon se ashu pravah ho raha hai. Haan Radha haan prannath haan Krishna aise roterote pura jeevan vyatit kiya. Yahi param siddhi mili. Yahi prem rupi siddhi mili. Shri Radha charan kamal ki shobha ka pan wahi kar sakta hai jo koti koti sundari apsraon ko bhi ya sundar purushan ko bhi dekhkar ke man chalayman na ho. Koti koti mahasiddhiyon ki taraf bhi durgandh buddhi ho. Wahi hamare vrindavnadheeshwar yugal sarkar ka sakshatkar karne ki yogyta prapt kar sakta hai. Aur itni samarth ham mein hai nahi.

yah samarth acharya pradan karte hain. Hit jo maharaj pradan karte hain. Hit sajni jo pradan karte hamari samarth nahi. Ham to ek chhoti si vastu mein lubhayaman ho jae. Ham to ek chhote se padaarth mein lubhayaman ho jae. Aisi bade-bade akarshanon se bachakar Priyalal ke charnon tak pahunchana. Ye jimmedari hai acharya ki. Jab ham acharya sharanagat ho jaate hain to kamal kar jin unhone grahan kiya jinka kar kamal use par kar diya. Is bhav samudra se sukh purvak aur priyal tak pahuncha diya. Isliye upasak ko acharya nishtha rakhni chahiye.

jo Harivansh tajo bhajo aur to moh shri Harivansh duhai mujhe Harivansh ki kasam hai yadi Harivansh chhodkar aur kisi ka aashray lun aur bhajan karun. Man kram vachan trishuddh sakal mat ham shri hit Harivansh upasi dridh acharya nishtha to pura bhajan aur purn bhajan ka phal priyal ye nischit mil jaenge vishwas karo Harivansh sharanagati mein bahut bada bal hai. Pujypad shri odiya Baba ji maharaj pujya Baba kahte hain ki agar yah chhah baten jiske jeevan mein hai wah sadhna ya aradhna ya upasna nahi kar sakta. Dhyan se sunna bade anubhavi mahapurush hai.

pahli baat jisko bhog bahut priy lagte hain. Dekh lo chahe Rasendra ka bhog ho, chahe Jnendra ka bhog ho, chahe netendra ka bhog ho, chahe shravan indri ka bhog ho. Yah sab bhog hi hai. Jinko bhog priy hai wo upasna sadhna is marg mein nahi chal sakta adhyatma marg mein ab aap nirash ho jaenge tabhi hamne kaha acharya sharanagati ham yah hai tarna aur acharya sharanagati hai nav mein baithna shri Harivansh pratap naam nauka nij khevak bhavsagar sukh tart nikat hari Harivansh jo sevak ab dekho hamko bahut achhche-achhche padaarth khane ka shauk hai.

yah durgati kar dega. Bandhan karak hai. Aur wahi shauk ham priyal ko arpit karte hain. Jo jo padaarth achhche lagte hain wo sab Priyalal ko pyar se pawate hain. Prasad rup se pate kuch nahi bigdega. Jo bhog hamen priy ham apne pritam ko samarpit kar dete hain. Wah sambhal lenge. Pahla bhogon mein vishesh priyata yah sadhak ke liye kalank hai jo bhagwan ke marg ka pathik ho bade se bade sampatti bade se bade vaibhav bade se bade bhog ka ek kshan mein tyag kar deta hai ek kshan mein kyonki janta hai ek hamare prabhu ka sankalp matra anant bramhandon ka srijan kar diya yah koi satya vastu nahi hai dusra sansarik purushan se prem karna.

sadhna mein upasna mein bahut badhak hai. Jo bogi purush sansarik purush hain unke sharir mein aise paramanu hote hain jisse hamen bhog priy lagne lagta hai jisse sansaar ki baten achchhi lagne lagti hai. Ghar parivaar rishte nate ye sab satya lagne lagte hain. Tisra bahut bolne ka swabhav jiska hai. Bahut prapanch ki baten karne ka swabhav jinka hai. Kuch logon ki to aisi sthiti hai ki agar wah mil jae to pind chhudana mushkil ho jae. Baten hi nahi khatm hoti. Baat hi nahi khatm hoti. Beech mein unko pranam karke chalna hota hai.

accha maharaj to jo bahut bolne ka agar bahut bolne ka hai to naam kirtan karo. Bhagwan ki charcha karo. Puri chaturasi ji ka path karo. Shant ho jaega vani ka veg. Jo bahut bolne ka abhyaas aur chautha jo bahut khane ka abhyaas bahut khane ka abhyaas ye bhajan nahi hone deta kyonki puri jivni shakti bhojan pachne mein lag jati hai. To jo bhajan ke liye hamen swas pravas khali jagah chahiye wo milti nahi. Thaas ke bhar liya ann phir upar se pani to vayu ki jagah nahi rah gayi. Ab shwas prashwas mein badi badha padti hai to phir bhajan nahi hota.

aram se shwas prashwas le sake. Pani pine ke baad matlab 10 roti kha sakte ho to char roti khao aur aadha pani bhar lo. Pani bahut garmi shant karta hai. Brahmcharya pusht karta hai. Pet saaf karta hai. Bahut avashyak hai. Yah naye bachchhe to pani pite nahi. Adhiktar kabz se bimar rahte hain. Abhi 1820 ke hain aur kai beemariyan lagi. Uska karan hai jab aap teen sa teen liter pani 24 ghante mein ek sharir ko chahiye. Wah sharir ki garmi nasht karta hai, pet saaf karta hai aur ujjwal kant banata hai. Jal atyant avashyak kyonki hamara sharir panch se bana hai.

wo panchon tatv hamen chahiye is sharir ke poshan ke liye. To prithvi tatv se jo gandh aadi hai wah hamen jal tatv se jal hamen kant badhata hai. Hamare sharir ko pusht karta hai. Prithvi tatv se anna aadi ki bhi purti hoti hai. Vayu tatv bhagwan ki kripa se mil hi raha hai. Akash tatv shabd sab jagah hai hi aur jathragni ke rup mein agni tatv virajman hai. Ah vairo bhut prani naam deh ma vai agni ke rup mein bhagwan yahan virajman hai. Bhojan zyada na pave. Zyada bhojan pana bahut nuksan prad hai aur bilkul na pana bhi nuksan prad hai.

yuktahar viharas uchit bhojan karen. Agar sadhna theek karni hai to uchit vastr dharan karen. Jitne mein aapko lage ki haan sardi hai. Itna vastr dharan karna chahiye. Ab ya vayovriddh ho ya rogi sharir ho to baat alag. Ham aapko kahte hain abhyaas ki jai. Itne pe kya pahnte ho? Yahan kya pahnte ho? Koi bhi batao. Yahan kya pahnte ho? Aur yah sabse sukomal jagah hai. Aur puri sardi sah jati hai ki nahi sah jati? To kyon? Abhyaas janm se aisa abhyaas diya gaya ki yahan koi vastr nahi dharan karaya gaya.

to iska abhyaas ban gaya hai. Har sardi ko sahne ka, garmi ko sahne ka. Ab aap itna nahi sharir mein utna hi vastr dharan karo jitna lage ki haan sardi hai. Jaisa ham kahe vaisa chaloge. Agar sharir kampayamaan ho raha hai to sweater pahan lo. Aap utna vastr odh lo jitne se kam chal jae. Kuch log anavashyak vastr dharan karte hain. Nahi dharan karna chahiye. Sadhna agar karni hai to anavashyak nahi. Garam par gam kapde aur phir upar se loi phir aise topi phir maphlar phir aise matlab hawa chu na jae phir brahmcharya kya tum ho sahi batayen agar sahi mayne mein brahmcharya raho na to in sab ki zaroorat hi nahi hai.

ganga ke kinare aap anuman karo maah mein kaisi sardi hoti hogi aur us samay keval ek vastr mar ke lal geru se ranga hua bas na koi sweater na koi loi tha hi nahi na koi agar kambal aad koi deta tha to vairagya itna praveen sudridh vairagya tha ki bura lagta tha jaise koi gali dena aise sammaan lagta tha jaise koi hamko kupath wali vastu dena aise se sukh wali vastue lagti thi. Ek bahut mahnga sal idhar phatehgadh ki taraf ganga kinare jab the to do din ruke the wahan bahut mahnga sal garam ekdam ab unki shraddha se aise odh liya ki chalo bhagwan ne prerna kari to wo bahut shraddhaalu the.

jo odh ke chale to prashn ho gaya agar koi shraddha kare to tum sab le loge. Jo chahe wah dil le loge uski vasna ke anusaar le loge turant wahan to sab murde ke pare rahte aise fenka sal phir aise chal diye itna vairagya prabal tha wo sweekar hi nahi karta tha kuch agar ham sweekar bhi kar le to vairagya ek kshan mein use hatwa deta tha utna hi bhojan utna hi vastr yuktahar viharas aur utni hi kriya jitne se hamara bhagwat chintan na chhute chhatdam shil virat bahu karma nirat nirantar sajjan dharma bahut karm aise utaptang ke na karen jisse hamara chintan chhut jae aur pancha

bahut sona jab aapka bhajan mein prem ho jaega to nind aise shatru ki tarah lagegi dushman ki tarah ye lagega chha ghante barbad kar diye vyarth mein agar ham chha ghante bhagwat chintan mein indriyon ko pusht kar pave to nind mein kyon le jae sachchi sachchi kahte hain is nind rupi dushman se lada gaya to hai hi nahi hai hi nahi bilkul aap samjh lijiye jiddi swabhav ladne ka swabhav kise dusron se nahi apne vishyon se apni sukh suvida se ladna nahi hai mere jo garmi mein udte the wahi udte hain abhi tak sardi ka kapda nahi shuru hua ye ham apne ahankaar ke nahi kah rahe abhyaas purvabhaas jabki kidney phayl hai.

sharir mein koi dum nahi hai. Tab agar kidney sahi hoti na to ek hi achla keval bandhe hote. Yahi kahin tat patti mein pare hote. Par kya karen? Vyvastha hai sharir ki kya vaisa aisa aisa to adhik vastr dharan karna adhik bhojan karna adhik sona ye sab sadhako ke lakshan nahi hai. Sadhak ko to bechaini badhti hai. Ham apni dincharya ko itni teevr banain ki hamara hriday bhagwat prapti ke liye vyakul ho jae. Rudan karne lage. Yah sona theek nahi. Isse lado. Shayan utna hi jitna avashyak hai utna kar lo. Shri krishnanand Swami ji maharaj the.

bahut bade mahapurush hue. Unhone ladna shuru kiya do ghante mein 24 ghante mein keval do ghante vishram karte the. Aur odiya Baba to bas aise apne Padmasan mein baithe-baithe aise tek dete aur aise laga ke bas aise thodi der vishram karte. Aise hi kabhi let ke vishram nahi kiya. Varsho kabhi sidha nahi lete. Bas Padmasan mein baithe-baithe aise in mahapurushon ne maya par vijay prapt ki. Ham jawan sharir hokar ke bas khanpan vishram vastr kapda mil gaya. Isi mein raji nahi. Chhathwa hansi majak manoranjan karna.

ye chhah baten jismen hongi wo sadhak nahi ho sakta. Wo upasak nahi ho sakta. Kaun si? Pahla bhogon mein vishesh prem hona. Dusra sansarik purushan se prem karna. Tisra bahut bolna. Chautha bahut khana. Pancha bahut sona aur chhathwa aapas mein hansi majak karna. Teen mein maya vishesh rakh di gayi hai. Adhik sona, adhik bolna, adhik khana ismen vishesh maya. Adhik khaoge, adhik bologe, adhik sooge, bhajan mein ruchi nahi rah jaegi. Jab ratrat bhar jagkar bhajan hota hai tab sayam machti hai. Wahi mantr, wahi naam gunjta hai.

aur aisa kabhi nahi hua. Ye jhatka mare. Jhatka mare to aise thanda pani upar dal le. Khade ho gaye. Ek pair ke bal khade. To majak samjhoge. Jab Gayatri anusthan hota tha to choti ko upar jo uski phus ki jhopdi hoti thi na usmen mote mote mooj ke aise bandhan dale jaate hain to usmen ek dori bandh dete usmen choti bandhe ki aise na ho wo sidhe aise khade sidhe khade hokar ke jap kar ye ladai hai bhai ye ladai hai ye yuddh hai ye chhah baton par control karo bhogon se vishesh prem tyag karo sansarik purushan se sambandh tyag karo.

bahut bolna band karo. Bahut khana kam khao. Bahut sona teen ghante char ghante sadhak ke hain. Chha ghante sansari purush ke hain. Chha ghante se zyada jo sota hai wo pramadi purush hai. To aapas mein hansi majak ho manoranjan. Bhai baith gaye tv chal rahi. Khub taliya baj rahi, hans rahe hain. Ye sab ye sab bhajnandiyon ka nahi hai. Are wo tv dekhe ki apne hriday mein antarmukh paramatma ko dekhe. Bahar ke sansarik purushan ko dekhe ya param purush paramatma ko dekhe. Sadhak ko dekhna chahiye ki main sadhak hoon. Jab ye tumhen yad rahega main sadhak hoon to aap hosh mein rahoge.

jab ye bhul jaate ho tab yah baat hoti hai ki chalo manoranjan kar lete. Nahi to kahan manoranjan? Are marna hai aaj nahi to kal marna hai. Manoranjan kya manoranjan? Hamara man ka ranjan to prabhu ka naam bhakt jan manoranjan prabhu se hota hai. Hamare man ka alhad to prabhu se hota hai. Bhakt jan manoranjan hamara manoranjan sansaar nahi prabhu mein manoranjan hona chahiye. Chalte hain Shrimad bhagwat mahapuran. Param karunamay bhagwan shri Krishna chandra ji ne Uddhav ji ko apni poshak pahna karke bheja. Uddhav ji pehle nand Baba aur Yashoda maiya se mile.

samasth brajvasyon se mile. Braj gop sakhaon se mile. Iske baad prat kal jis samay samasth gopiyan ekatrit ho rahi hain ki hamen lagta hai ki phir akrur aa gaya. Kya aap kya lene aaya hai? To gopiyon ne kaha kya apna pitr tarpsn karane ke liye ham sabko lene aaya hai. Hamare pran pritam shri Krishna ko le gaya. To kisi ne kaha akrur nahi aae hain. Is bar koi dusra aaya hai. Itne mein dekha to azaan bahu Shyam varn kamal dal lochan mor mukut Pitambar dharan kiye. Bas antar itna hai kaustubh mani nahi shri lanchhan chinh nahi.

pucha hai kaun hai? Pata chala hai shri Krishna ka ekantik priy sakha priy sakha ekantik inka naam Uddhav hai. Sunte hain ye shri Krishna ka sandesha lekar aae hain. Rama raman bhagwan shri Krishna ka sandesh lekar aae. Yah sunte hi gopiyan jo viraha agni se tap rahi thi kuch hriday shital hua itne mein Uddhav ji nazdik pahunch gaye gopiyon ne madhur vani aao padharo aur prem purn chitvan isse Uddhav ji ka satkar kiya aur ekant mein jakar ke Uddhav ji ko asan diya bithala Uddhav ji bade garv mein antarik hain. Abhi ki in braj gopiyon ko shuddh gyan nahi hai.

isiliye prabhu shri Krishna ke liye rudan karti hain. Apne ko prabhu se dur manti hai. Uddhav ji ne kaha ki Udhav ko updesh suno brajnari rup shil lawanya sab gun agri prem dhvaja ras rupni upjavan sukh punj sundar Shyam vilasini nav Vrindavan kunj suno brajnagri Uddhav ji ne kaha hamne prabhu se aapke prem ki baten suni hai aap prem ki dhvaja ho aap rup shil lawanya sab gunon se agri ho sundar Shyam nav Vrindavan mein aapke saath vilas kiye hain. He brajnagri meri baat suno. Kahan Shyam sandesh ek main tum pe ayo kahan samay sanket kahun avsar nahi payo.

sochta hi man mein raho. Kab paun ek thau kah sandesh Nandlal ko bahri madhupuri jaun suno braj nagri Uddhav ji ne kaha Shyam sundar ne bahut ekantik sandesh diya hai. Main yahi khoj raha tha ki aap logon ko kabhi ekant mein paun aur main wah sandesh sunaun aur pura Mathura puri ko wapas laut jaun. Je bhi kaha main Shyam sundar ka sandesha lekar aaya hoon to sunat Shyam ko naam bam grih ki sudhi bhuli bhar aand ras hriday prem beli dhrum phuli pulak rom sab ang bhae bhariya aae jal nain kanth ghute gadgad gira bol jat na bain vyvastha prem ki jevi ka mein Shyam sundar ka sandesha le Shyam sundar sab tanmay ho gaye deh shuddh vismriti sthiti ho gayi sabki ankhon se ashubh pravah ho rahe awaz nahi nikal rahi.

gadgad kanth ho gaya. Sharir romanchit prem ki aisi vyvastha Uddhav ji ne keval yah kaha abhi ki main Shyam sundar ka sandesha lekar aaya hoon aur ekant khoj raha tha ki main aapse milun aur ekant mein varnan karun. Thodi der mein chetna bahen hui. Are pritam ke sakha hai savdhaan hui aur asan diya arghasan baithae bahuri parikrama deeni Shyam sakha nij jani bahuri hit seva keeni hamare pritam ke tum pyare mitra ho is bhav se sundar argh diya asan diya bithala aur char parikrama karke pranam karke bajhat sudhi Nandlal ki bihsat mukh brajpal neeke hain balweer jo bolat vachan rasal sakha sun Shyam ke sahi batao hamare balwi shri Krishna kushal sena sukh purvak hai na unko koi pareshani to nahi hai Mathura mein Uddhav ji kahte hain kushal Shyam aru Ram kushal sangi sab unke jad kul sigre kushal param aand saban ke bajhan braj kushlat ko ho ayo tum tir mili hai thore divas mein jan jidheer suno braj nagri Uddhav ji ne kaha Shyam sundar kushal se hain gaur sundar Balram ji kushal se hain unke sab nij jan kushal se hain.

jakul mein sab kushal anand hai aur aapka kushal mangal lene ke liye mujhe bheja hai. Yah ham aapko prabhu ke ekantik baat kahte hain ki unhone kaha main thode din mein avashya aaunga. Tum adhir mat ho. Ham tum logon se jarur milenge. Suni mohan sandesh rup sumiran hoe ayo pulkit anan kamal ang avesh janayo bihal dharni pari braj banita murjhae da jal chhi prabhu dah udho bain suha suno brajnagri kitna apaar prem hai suni mohan sandesh main aaunga tumse milunga bahut jaldi aaunga itni baat sunte hi sabke samne prabhu shri Krishna mano netron ke samaksh vikal ho gayi itna vikal ho gayi ki murchhit ho vihal ho dharni par braj banita murjhae beshuddh ho gayi murchhit ho gayi Shyam sundar ki yah sandesh bhari baat sunte hi ki main aaunga bahut jaldi aaunga aap dhairya dharan karen bhai itni baat dhairya dharan karen vihal vikal hokar samasth gopikaen murchhit ho gayi Uddhav ji ne jo argh ke liye jal laya gaya tha usse chheenta diya phir usne dusri ko dusri ne tisri ko sabko hosh dilae.

Uddhav updesh dene lage. Socha ki ab zyada agar prem ki baat kahenge to ye vikal ho jaenge. Isliye jo main sandesh dene aaya hoon inko gyan jagrit karne wo main jagrit karun. Uddhav ji ne kaha he gopikaon ve tumte nahi duri gyan ki aankh dekho akhil vishv bhrpur rup sab un visho loh daru pasan te mein jal thalam akash sachar achar barat sab jyoti brahm prakash suno braj nagri Uddhav ji ne kaha gopi janon aap ye moh ka tyag karo Shyam sundar ke prati jo aap moh kiye ho ham jo gyan tumhen updesh kar rahe hain use dhairya se suno tumhara rona band ho jaega ve tumse dur nahi hai tum gyan ke netron se dekho akhil vishv shri Krishna hai bhrpur shri Krishna hi hai.

shri Krishna ke siva aur koi nahi hai. Dekho loh mein, lakdi mein, pashan mein, jal mein, thal mein, prithvi mein, akash mein char achar sab brahmamay hai. Sarvam khalmidam brahm sab brahmamay hai. He brajnagri shri Krishna sakshat brahm hai aur wahi un sarv rupon mein vyapt hai. Wahi prithvi hai. Wahi akash hai, wahi jal hai, wahi pashan hai, wahi lakdi mein bhi hai, wahi lohe mein bhi hai, wo char achar sab mein brahm vyapt hai. Kyonki shri Krishna brahm hai. Braj gopi ne kaha kaun brahm ko jyoti gyan ka so kahe udho hamre sundar Shyam prem ko marg sudho nain bain shruti nasika mohan rup dikhayee sudhi buddhi sab Murli hari prem thagori lai sakha sun Shyam ke ye kaun se brahm ki baat kar rahe ho Uddhav kaun se jyoti aur gyan ki baat kar rahe ho kisse kar rahe ho tumhen pata hai are hamare Shyam sundar hai ham unke hain bas sidha hai marg ismen beech mein sab wo hamare pritam hai hamare pran pyare tum mano brahm ham to apna pritam mante hain hamare netr dekho Shyam sundar samae hain meri vani dekho keval Shyam sundar ke liye hai hamari kan dekho keval Shyam sundar ki charcha sunte hain.

meri nasika keval Shyam sundar ke shri ang ki gandh are mohan ne hamare sab angon mein apna adhikar kar liya hai. Mohan ne sarvatra adhikar kar liya. Main jidhar dekhun jidhar sunu jidhar sunun jit dekhun tit Shyam mai hai tum dekh pa rahe ho to Shyam kunj ban Yamuna shyama Shyam gagan ghan ghta chhai hai jit dekhun tit Shyam mai hai. Main jidhar dekhti hoon mujhe Shyam sundar dikhayee dete hain. Shyam kunj kunj ki taraf dekhti hoon to Shyam sundar. Vrindavan mein dekhti hoon jidhar Shyam sundar. Jo shyama yamuna ji hai udhar dekhti hoon to Shyam sundar agar akash ki taraf dekhti hoon to Shyam sundar ghan ghta ko dekhti hoon to Shyam sundar jidhar dekhti hoon to Shyam sundar hi dikhayee dete hain sab rangan mein Shyam bharo hai log kahte yah baat nai hai ho bari ki logan hi ki Shyam putriya badal gayi hai.

jit dekho tit Shyam mai hai. Sab rangon mein mujhe to Shyam rang hi bhara dikhayee deta hai. Log kahte hain to nai baat hai. Pata nahi main bavri ho gayi hoon ya logon ki putri theek nahi hai. Are dekho na sarvatra Shyam sundar hi Shyam sundar dikhayee de rahe hain. Chandrasar ravisar Shyam hai mrigad Shyam kam vijay hai neelkanth ko kanth Shyam hai mano Shyam taleeb hai chandrama surya jidhar dekhti hoon mujhe Shyam sundar hi dikhayee dete hain neelkanth ka kanth Shyam hai mrigmad Shyam hai sab aisa lagta hai Shyamta ki beli bo gayi hai.

shruti ko akshar Shyam dekhiyat deep shikha par Shyam tai hai. Nar devan ki kaun katha hai alakh brahm chavi Shyam mai hai jit dekho tit Shyam mai hai. Main jidhar dekhti hoon udhar Shyam sundar hi dikhayee dete hain. Uddhav yah to meri drishti ki baat hai. Mere kan pehle hi jae mile gun mein shravan pheri rup sudha mati keeno nainhu payan hai hasan natan chitvan musikan sughrai rasikai mili mati pai pan hai mohi mohi mohan may ri man mero bhyo mohi mohi mohan may ri man mero bhyo harichand bhedna parat pehchan hai kan bhay pran mein kan bhay pran mein pran bhay kan mein ki mein na jaan par kan hai ki pran hai meri shravan indri chali gayi Shyam sundar ke paas meri netr chali gayi unka muskurana, unka chalna, unka dekhna, unki sughrai, unki rasikai ye hamen bavri kar gaye.

aisa ham sab gopiyon ko moh liya hai mohan ne ki mera man, mera tan, mera pran sab Shyam sundar ho gaye. He Uddhav kan bhay pran mein pran bhay kan mein he mein na jaan pare ki kan hai ki pran hai mere pran krishnamay ho gaye Krishna pranmay ho gaye pata nahi chalta ki pran hai ki Krishna hai batan mein ghatan mein beethin mein bagan mein vrikshan mein belin mein batika mein van mein dharan mein divar mein dehri dareechan mein hiran mein haran mein bhupan mein tan mein kanan mein kunjan mein gopin mein gayan mein Gokul mein godhan mein damini mein ghan mein jahan jahan dekho tahan Shyam hi dikhayee de jidhar main dekhti hoon tumhen aur kuch dikhayee de raha hai?

main jidhar dekhti hoon udhar keval Shyam sundar hi dikhayee dete hain. He Uddhav kis brahm ki baat karte ho? Uddhav sargun sab upadhi rup nirgun le unko nirakaar nirlep lagat nahi tino gun ko hath paye nahi nasika nain bain nahi kan achut jyoti prakashika sakal vishv ke pran suno braj nagri Uddhav ji ne kaha dekho ye jo shagun rup hai yah upadhi yukt brahm ki upadhi hai jo nirgun rup hai uska chintan karo nirakaar nirlep tino gunon se pare na hath na pair nasika na nain na bain na kan wo prakash swaroop hai sakal vishv ka adhar wahi hai nirakaar nirgun parbrahm paramatma he brajnagri

suno to brajnagri gopikaon ne kaha tumhare brahm ke mukh nahi bavare are jo mukh nahi hu to kaho kin makhan khayo chhin chhin ke chor chor ke hamara makhan khaya tum kahte ho unke mukh nahi bavare tum ho gaye ho ye gyan ka garv jo hai gyan guddi ho gaya tum kahte ho mukh nahi jo mukh nahin hu to kaho kin makhan khayo tum kahte ho unke pair nahi to payan bin go sang kaho ko ban ban dhayo ankhin mein anjan diyo tum kahte ho unki aankh nahi maine ankhon mein anjan lagaya hai aur tum kahte ho hath nahi to Govardhan leo hath nand Yashoda poot hai kunwar kan brajnath sakha sun Shyam ke agar mukh nahi to makhan kisse paya aur agar pair nahi to gay kisse charai aur tum netron ki baat kahte ho maine anjan lagaya unke netron mein aur tum kahte ho hath nahi hai to Govardhan kisse dharan kiya are tum kahte ho sakal jagat ka adhar hai are nand Baba Yashoda maiya inke adhar hain.

inka janm kiya. Inka palan poshan kiya. Inko dular kiya. Anguli pakar ke chalna sikhaya. Tum kahte ho jagat adhar hai. Sahi jagah Uddhav ji aae. Bhagwan ne isliye sahi jagah bheja hai. Uddhav ji ne kaha jah kaho tum kan tah ko pitu nahi mata. Akhiland brahmand vishv nahi mein jaata leela ko tar le dhar aae tanashyam jog jug hi paie parbahma pad dham suno braj nagri gopikaon kyon bhuli ho jise tum kahti ho ki kanhaiya are unke koi mata-pita nahi wo samasth bramhandon ka srijan karne wala akhil brahmanddhipti hai uska kaun mata-pita ho sakta hai.

wah leela ke liye avatar dharan kiye hue hain. Tanashyam rup mein agar ham jo samjha rahe hain samjh jaoge to parbahma pad tumhen prapt ho jaega. Braj nari boli braj gopika tah batao jog jog Udhav je pav Udhav jog jog ham na tah batao jog jog Udhav jeh payo gopi kahti hai Uddhav tum use jog batao jakar ke jisko asli yog ka gyan na ho tum hamen jog sikhane aae ho Udhav jog jog ham nahi abla sar gyan ka jane kaise dhyan dharahi Udhav jog jog ham nahi Uddhav tum hamen jog sikhane aae ho bhai Padmasan lagakar aankh mund kar dhyan dhare aisa are te mundan nain kahat ho hari murat jin mahi aisi katha kapt ki Madhukra ham te suni na jahi shravan cheer sir jata bandha ye dukh kaun samahi chandan taj ang bhasm batavo birah anal ati dahi jogi bhramat jah lagi bhule so to hai apmahi sur Shyam te nyari na pal chhin jo ghatte parchhahi un netron ko mundne ko kahte ho jinme Shyam sundar samae hue hain.

are auron ko sikhao jakar yahan unka prasadi chandan lagakar unke netron mein netr milakar jo hamne sukh liya hai wo yog mein nahi na yog mein hai na sankhya mein hai na karmkand mein hai na kisi aur sadhan mein hai. Uddhav abhi tum khud nahi samjhe ki kisko yog kahte hain. Abhi yog ka tumhen gyan hi nahi hai. Udhav tahe batao jog jog Udhav je payo jisne yog pa liya unka tumne yog bataya brahma ji ko yog bataya tha bhagwan ne kabhi raas khele unke saath yog ke adhikar se kabhi raas mein aae brahma ji raas mein galvaiya di hamne galbaiya di hamko tum bata rahe ho jog jog bata rahe ho jinka jog satat hai unko tum jog bata rahe ho jah kaho tum kan hath tah batao jog jog udho je pav prem sahit ham paas nand nandan gun gao agar ham gopiyon ko sukh dena chahte ho na to nand nandan ke gun gawe nirgun brahm

ki baat band karo nain bain man pran mein mohan gun bharpuri prem peeyu se chhar ke kaun samete dhuri sakha sun Shyam ke premamart ka tyag karke ye dhul batorne ki baat kahte ho yog ki are jo bhagwan se prem se dur hai wahi yahi marg ka anusaran karega are jab sidhe premamart pine ko mil raha hai to dhuri batorne ki baat Uddhav dhuri buri jo hoi are Uddhav brihaspat ke shishya jaldi har manne wale nahi dhuri buri jo hoi i kyon shish chadhave dhar kshetra mein ai karm kar hari pad pave dharah tevo tan

bhyo dhar so brahmand lok chaturdas dhur ke saptadeep nau khand suno braj nagri Uddhav ji ne kaha ki aap dhuri ki ninda na karen koi dhuri buri nahi hai agar bhakton ki charan raj ya Vrindavan ki charan raj ya bhagwat charan raj mathe par dharan kar li jae to bhagwan ko bhi vash mein kar liya jae. Agar ye Bhagvati braj 84 ko bhagwat dhamo ki dhuri ka sevan kiya jae to brahm pad hari pad prapt ho jae. Aur dekho anant bramhandon ka srijan isi dhuri se hua hai. Lok chaturdash dhuri hi vyapt hai. Tum dhuri ki ninda mat karo.

brijnagiri ne kaha ki ham yahan jo baat kar rahe hain wah tum jo jog rupi karm rupi dhuri ankhon mein dalkar Shyam sundar ke darshan karana chahte ho uski baat kar rahe hain. Karm dhuri ki baat ye karm adhikari jane karm dhuri ko aa prem amrit mein sane ye karm dhuri ki baat to karm adhikariyon ko samjhao jakar jo jo karna chahte hain ham premamart mein lipt hain. Hamare ankhon mein dhul jhonkna chahte ho jinme nand nandan base hue hain. Tab hi lo sab karm hai jab lo hari u na karm band sab vishv ke jeev vimurkh hoe jae sakha sun Shyam ke jab tak hriday mein Shyam sundar nahi prakashit hote tabhi lage ye sab karmkand jog ye sab hai muni man dhyan dharat nahi pavat hamare hriday mein Shyam sundar virajman hai kya tum hamko jog aur karm ka updesh kar rahe ho Uddhav ne kaha karm nindo kaha karm te sadgati hoi karm rup te bali nahi tribhuvan mein koi tum karm ki ninda mat karo kyonki karm te sadgati hoti hai karm se bali tribhuvan mein koi nahi hai bada balvan hai karm karm te utpatti hai karmah te sab nash karm kiye te mukti hoe parbahma purwas suno braj nagri karm se hi utpatti hoti hai.

karm se hi nash hota hai. Karm se hi mukti hoti hai. Karm se hi parbrahm ki sthiti hoti hai. Suno gopiyon karm bahut shreshth hai. To gopi janon ne kaha karm do hi prakaar ke hote hain. Shubh aur ashubh. Paap aur punya. Karm paap aur punya loh sone ki beri. Paap karm hai lohe ki janjir. Aur punya karm mein sone ki janjir donon mein jeev bandhta hai mukt nahi hota vyarth ki baat mat karo Uddhav ji se kaha donon karm karm paap aur punya loh sone ki beri payan bandhan do mano bahu teri karm badhyata hai jeev ko karta bhav se bahut se bahut swarg le jaega jo uncha punya karm hoga aur nicha paap karm hoga to nark le jaega.

tumne aise kaise kah diya ki karm kiye te mukti hoe parbahma purwas. Gopi jan ko yah agyani thodi param gyani hai. Kah rahe hain ki unche karm te swarg hai nich karm te bhog. Prem bina sab pach vishay vasna rog sakha suni Shyam ke. Prem ke bina atma rati ya Krishna rati ke bina koi param pad nahi prapt kar leta. He Shyam ke sakha ye hamari baat suno. Uddhav ji ne kaha karm bui jog ko kahe dhare Padmasan sab dwaar rok indrin ko mare brahmagin jar shuddh have siddh samadhi lagai leen hoe sayuj mein jaate jyoti samai suno braj nagri ye mukti ka swaroop bata rahe hain ki jab koi yogi Padmasan lagakar indra dvaron ko rok kar indriyon ko antarmukh karke nirvikaar kar leta hai.

tab uske andar brahm gyan rupi agni prakashit hoti hai. Wo brahm gyan rupi agni mein tino shariron ke rag ko bhasm karke samadhi siddh hota hai aur wo sayujya moksh ko prapt hota hai. Suno brajnagri yah karm hi usko moksh padvi par virajman kiya. To braj gopiyon ne kaha jogi jyoti bhaje bhakt nij rup hi jane prem piyush pragat Shyam sundar ane nirgun gun jo paie log kahe yah na ghar aae nagan puje bami pujan jae sakha sun Shyam ke jogi jiske liye jog karte hain. Bhakt use apna pritam mante hain.

paramatma nahi mante. Apna mante hain. Mere sakha, mere pritam, mere putr, mere mitra aadi aadi. Dekho prem rupi amrit ka pan Shyam sundar se apnapan karne se hota hai. Aur hamare Shyam sundar hriday mein virajman hamare priyatam hain. Nirgun gun jo poi log kahe na gun mane hota hai rassi mein aap bina rassi ke mala nahi bana sakte to bina Shyam sundar ke prem piyush nahi prapt kar sakte nirgun se prem piyush prapt nahi hota hai Shyam sundar se prapt hota hai aur Uddhav agar ghar mein nag aa jae uska pujan na kare aur babi ka pujan karne jae to kya wo gyani kaha jaega ka hamare Shyam sundar tum kah rahe ho param brahm paramatma to mere hai na ab unse pyar chhod kar tum nirgun nirakaar ki baat karte ho.

Uddhav ne kaha dekho ham ved ki baat kahte hain jo hari ke gun hoi ved kyon neti bakhane nirgun sargun atma Upnishad jo gane aap kahte ho nirgun ki avhelna wali baat to dekho ved bhi neti neti kahta hai agar wo nirgun na hote to neti neti kyon kahta dekho nirgun aur sagun in donon tattvo ka varnan Upnishad ne bahut achhche se gaan kiya hai. Ved purannon mein bhi gaan kiya gaya hai. Ved puran khoj ke na payo gun ek gun hi ke jo ho gun ka akash ki bolo akash kis mein sthir hai? Swayam mein.

aise hi paramatma kisi gun ka adhar nahi. Wo swayam apne aap mein sthit hai. Kisi gun ke adhar par nahi tika hua hai. Isliye shri Krishna ko tum jo gun mein jaan rahe ho wo nirgun hai. Uddhav ji aise kah rahe hain. Gopi janon ne kaha jo unke gun naan to aur gun bhay kahte yadi unke gun nahi to sab gun prakashit kahan se hote hain? Gun samudra bhagwan se hi. Bahut sundar bahut sundar varnan hai. Uddhav ji jo varnan kar rahe hain wah gyan shuddh gyan aur gopi jan jo varnan kar rahe hain wah shuddh prem jo unke gun na aur gun bhay kahan te accha batao bij bina taru jame mohi tum kaho kahan te bina bij ke vriksh ho jaega kya jaise bina bij ke vriksh nahi hota mul bij bhagwan hai aise hi samasth gunon ke mul bij shri Krishna vagun ki parchha hari maya darpan bit kya sundar baat kahi jaise hamare beech mein darpan rakh diya jae to pratibimb dikhayee diya darpan hata do to swayam to kah rahe ye

maya rupi darpan rakha hua beech mein isko hata do to dekho kaun bachta hai gopi gyani nahi hai vaag gun ki parchha hari maya darpan beech gun te gun nyare nahi amal bar mil ki sakha sun Shyam ke jal mein kichad nahi par kichad bana kahan se jal se hi na bana aise hi brahm mein maya nahi hai par maya ai kahan se hamare shri Krishna ki hi hai kaise ye dvait bhas raha hai bole jaise darpan mein main aur main ka pratibimb ye bahut uchh koti ki varta hai Uddhav ji ne kaha maya ke gun aur aur gun hari ke jano wa gun ko in man aal kahe ko shano gopi janon maya ke gun aur hai satogun rajogun tamogun aur hari ke gun aur hai hari ke gunon ko maya ke gunon mein kyon san rahe ho jake gun aur rup ko jaan na payo bhed tate nirgun brahm ko badat Upnishad ved suno brajnath ri jinke gun aur rup ko koi aaj tak nahi jaan paya unhen nirgun brahm ke rup mein Upnishad ved varnan karte hain.

he braj nagri suno gopiyon ne kaha to ved kahan se prakt hue Uddhav vedo hari ke rup swas mukh te jo nisre hamare Shyam sundar ki swas se vedon ka pradurbhav hua kato is baat ko ved nirgun brahm ka varnan karte hain. To ved kahan se prakt hue? Sagun brahm se jaki swas ved shruti chari so hari padhe achraj kya matlab kya shuddh tark rakha hai gopi janon ne ved hari ke rup swas mukh te jo nisre karm kriya asakti sab pachhili sudh basre ved bhi karm kriya asakti in sab ka praman dete hain lekin ved ka pradurbhav bhagwan shri hari ki swason se hua isliye karm madhya dhundhe sab kin na payo dekh karm rahit hi pa tate prem abhishek bahut sundar baat jo sakal karmon ka tyagi hota hai samasth aashray chittritti se bhagwan ka le leta hai use prem hota prem mein hi Shyam sundar ko sampurnatya jana jaata hai abhi kal charcha mein prarambh mein tha ki bhagwan kah rahe main anannya bhakti ke dwara hi purn janne mein aata hoon.

drishti mein aata hoon. Anytha anya kisi sadhno se nahi aata. Uddhav ne kaha prem hi ke ko vastu rup dekht lo lage vastu drishti bin kaho kaha premi anurage taran chand ke rup ko nahi payo gun jaan to unko kaha janie gunatit bhagwan suno brajnagri prem ke koi vastu rup dekhkar karke lau lagti hai. Vastu drishti ke bina anurag nahi hota. Jaise ye Chandrika jo chandni hai wo chandrama ki mahima ko kya jaan paye kyonki wo usse prakashit hoti hai. Isliye hamari drishti bhagwat tatv se prakashit ho rahi hai.

usi se hamara rup to pradhan chij hua gun pradhan hua tatv aur jo tatv hai wo nirgun hai. Ta unko kaha janie gunatit bhagwan suno braj nagri jaise taran chandra ke rup ko nahi jaan sakti hai aise hi buddhi us nirgun nirakaar param tatv ko nahi jaan sakti ved bhi neti neti kahte hain braj gopi jan kahti hai taran akash prakash jah mein raho durai tumhara chandni aur chandni prakash karne wala chandrama ye donon akash mein hi hai. Mul chij samjho. Tumne kaha ye chandni chandrama ke tatv ko nahi janti hai to aap aur age badho.

tumhari chandni aur chandrama donon akash mein virajman hai aur ek chhote se hisse mein virajman hai. Akash jaise anant hai. Divya drishti binu kaho kaun pe dekho jai bina divya drishti ke koi ar par pa sakta hai. Jo divya drishti sampann hai wo aise jaise anvla rakh do hatheli pe charon taraf se dekh lo aise anant bramhandon ko dekh sakta hai. Jinke ve ankhen nahi dekhe kyon wah rup kyon upje vishwas je pare karm ke kup sakha sun Shyam ke jinke wo divya drishti nahi wo rup nahi dekh sakte wah prem purn rup nahi dekh sakte suno vishwas karo jo karm phande mein fanse hue hain wah hamare pritam ke prem rup ko nahi jaan sakte hain Uddhav ji jab karie nit karm bhakti hoon ya mein jai to aap kaun si bhakti ki baat karti hain?

bhakti bhi to karm rup hai. Aarti karo, puja karo, yah karo, wo karo. Wo sab karm ke antargat aata hai. Uddhav ji kah rahe hain karm rup te kaho kaun pe chhutyo ai. Kaun aisa jo karm se chhut gaya? Kram kram karmon ke kiye karm nash hoe jae. Tab atma karm hoe nirgun brahm samae. Suno braj nagri. Dhire-dhire kram kram karke karm karte karte se upar uth jaata hai. Use atmjyan ho jaata hai aur nirgun brahm mein sthit ho jaata hai. He braj gopiyon meri baat suno. Braj gopiyon ne kaha ki jo hari ke nahi karm karm bandhan kyon ayo badi vichitra baat kah rahe.

tum yah kahte ho ki kram kram karke karm bandhan nasht ho jaate hain. Atma swaroop mein sthit ho jaata hai. Aise hari karm bandhan mukt hai. Ham kahte nahi wo prem rupi bandhan se yukt hokar ate hain. Jab koi premi prem karm karta hai to usi se prabhavit hokar dekho yah prem karm hua na sab devta prithvi bade-bade rishi muni ekatrit hue aur bhagwan se prarthna kari to bhagwan vivash hokar prakt hue avatar dharan kiya to kah rahe hain ki wo bhi prarthna rupi ka jab karie nit karm bhakti hoon ya mein jai karm rup te kaho kaun pe chhutyo ai Uddhav ji varnan kiye tab wo kahe jo hari ke nahi karm karm bandhan kyon ayo to nirgun ho vastu matra parman banayo jo unko parman hai to prabhuta kachu na nirgun bhay atit ke sagun sakal jag mai sakha sun Shyam ke nirgun se kaun pyar karta hai wo atit hai aur ye hamare pritam sakal jagat mein sabko ko pran pyare hain.

unka praman nahi, nirgun ka praman nahi. Hamare pritam ka praman hai. Hamare pritam hamare hriday mein, hamare man mein hai, hamare prannon mein aur sara jagat janta hai hamare shri Krishna ko. Uddhav ji aur gopikaon ki shri nanddas ji ne bahut sundar charcha ki hai. Thoda hi varnan ke baad phir bhav badal jaata hai gopikaon ka aur Uddhav ki bolna band karva deti hai aur apne vikal hokar prem mein jab rudan aur wo prem bhari varta to Uddhav ko apna gyan phika lagne lagta hai ki abhi tak jo ham nirgun nirakaar ka varnan karte rahe usmen to hamen ek bar bhi aansu nahi aae ek bar bhi hriday dravit nahi hua aur wo phaphak ke rone lagi bar-bar kabhi milan kabhi virah kabhi virah kabhi milan Uddhav Uddhav ji ka dimaag kam nahi kar raha ki gopiyon ki sthiti kahan hai aur har prashn ka uttar gopi jan Uddhav ke jab diye aur prem ki aisi dasha dekhi to Uddhav charnon mein sashtang laut gaye.

ham to keval ek paksh jante hain ki wo param brahm paramatma hai. Lekin aapne unse prem kiya. Aapka itna gadh bhav bar-bar charan raj lekar mathe par lagate. Shesh charcha ki shri Radha vallabh lal ki jai

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)

sambandhi