aisa upay jisse papi bhi bach sakta hai / arishtasur vadh / shrikrishna aur Balram ko Mathura bulane ka shadyantra
pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.
pura pravachan
Vrindavaneswari [gana gane ki aawaz] tav padarvindm prema makrand raso purnam had itam madhupte smarta mugram nirvai param shital maya param shital Shyam param sacchidanand ghan Premanand swaroop navni nikunj mahmmahim param pavan shri Vrindavan dham shri Vrindavan dham ke ladlele yugal sarkar pranaaradhy pranapriy shri shyama Shyam ji samasth sahachari vrind khag mrig pashu panchhi tarulta yamuna ras rani raj rani samasth brajvasi parikar ke charnon mein koti koti pranam koti koti naman namaskaar Priya pritam ki ahetu ki kripa baras rahi hai bas hamari hamari kumarggami indriyan hamare bas mein nahi hai.
man hamko adhin kiye hue hain. Isi se ham unki kripa ka pan nahi kar pa rahe. Ham unki kripa mein purn rup se ekagrit hokar tanmay nahi ho pa rahe. Aur yah hoga Priya pritam ki kripa se hi ham kitna bhi upay karen yah bar-bar indriyan man malin vishyon ki taraf hi jaate hain. Jaise pani ko kahin chodo wo jahan dhalan hoga wahin jaega. Aise indriyan aur man kabhi urdhagami nahi ho sakte. Yah adhogami hi hote hain. Swabhavat inko bhagwan ki kripa ke bal se, naam mantr ke bal se Priya pritam mein lagaya ja sakta hai.
anytha ye keval prakriti janit bhogon mein hi sukh ka anubhav karne ke liye har kshan vyakul rahte hain. Indriyan aur man yah bada vichitra bhagwan ka maya khel hai. Wahi sadhna karate hain. Wahi sadhya bankar mil jaate hain. Apne to itna samjh paye hain ki sadhna bhi shyama Shyam hai aur sadhya bhi shyama Shyam hai. Wahi swayam sadhna ke rup mein avtrit hote hain aur wahi sadhya ke rup mein darshan karate hain. Nahi jeev ki gati keval bhogon tak hi hai. Wah dehabhmani jeev bar-bar indriyon ki man ki adhinta sweekar karke bhogon mein hi sukh khoj raha hai.
yah anant kal se bhram chala aa raha hai. Yah bhram nasht hoga guru kripa se isht kripa se guru prasann sahab anukula mite sakal kalpit bhay shula kalpnatmak bhay kasht ye jo dehabiman ke karan ho rahe hain ye guru kripa se jab gyan prakt hota hai tab ye ksheen ho jaate hain. Shripad Prabuddhanand ji maharaj kah rahe hain namaskaar Vrindavan mah namyasta jagta nasat kurwan Vrindavan damyasta jagtam guru kurwan Vrindavan makhil devadik guru laghum kurwan Vrindavan tanam koti laghu jo roz Vrindavan ko pranam karta hai kahin bhi raho wahi prat kal uthkar saiya se jab niche utro to bhumi ke charan sparsh karke phir Vrindavan ki disha ko pranam karo.
jahan bhi rahte ho wahin se Vrindavan ko pranam karo. Kya hoga? Bole nam kurwan Vrindavan maha namasta jagtam wo itna mahan ban jaega ki tino lok usko namaskaar karenge jo Vrindavan ko nitya namaskaar karta hai. Nitya pranam karta hai. Tino jagat mein uska yash fail jaega aur tino jagat use pranam karenge. Na satguru Vrindavan maha dum jagtam yadi wah Vrindavan ka apman karta hai, aparadh karta hai to wo tino loko mein kahin bhi bhag ke chala jae usko dand milega. Yahan ka aparadh bhi vajr ke saman hota hai.
vajr arthat tala nahi ja sakta. Bhogna hi padega. Jaise ganv gali mein nagar mein paap ban jae to tirthon ka ugahan karo. Tirthon mein paap ban jae to Prayagraj jo Tirtharaj hai wahan sangam mein snaan karke bhagwan naam jap aadi se tirthon ke kiye hue paap nasht ho jaate hain. Yadi puriyon mein aur Tirtharaj prayag mein paap ban jae to dham sevan karne se nasht ho jaate hain. Agar dham mein paap ban jae to vajr ki leek ho jaata hai. Isiliye kah rahe hain jo Vrindavan ka sammaan nahi karte apman karte hain na satat kurwan Vrindavan maha to damyasta jagtam bhag jao kahin bhi tribhuvan mein tumhen dand milega is baat ka to hamne suna hai pujya shri Mathura das ji se ki yadi Vrindavan mein aparadh ban jae to kaise bole Vrindavan hi maaf karega Vrindavan ka hi sevan karo Vrindavan mein hi par raho to vrinda Vrindavan ka aparadh Vrindavan hi maaf karega.
jaise seva aparadh 32 hai to seva aparadh seva se hi nasht ho jaate hain. Uske liye koi aur upay karne ki zaroorat nahi. Jaise nama aparadh 10 hai to naam kirtan se hi wah nasht ho jaate hain. Aur kah rahe hain ki jo guru kurwan Vrindavan makhil devadik guru jo shri Vrindavan mein kisi rasik ko guru bana le ya Vrindavan ko guru man le to Vrindavan ki bhasha samjhne ke liye bhagwat rasik rasik ki baten rasik bina ko samjh sake na isiliye iska bhav banega ki Vrindavan ke kisi premi mahapurush ko guru bana lo agar Vrindavan ke kisi premi mahapurush ko guru bana liya to samasth devtaon ka bhi wah guru ho jaega jo Vrindavan ke Gurudev ki agyaa mein bahut kathin vishay hai guru agyaa mein rahna chale kumarag pag par na kha le agar guru agyaa kar de ki jao ye kumargh hai ismen niklo to tumhara kadam nahi ladakhdaega guru agyaa tumhare ko kumargh se nikal ke param pad mein pahuncha degi.
bas mahima jaan jae guru agyaa ka palan karna agar wo kah de ki kumargh mein kadam rakh do chalehu kumargh pag parehu na khale kabhi gir nahi sakte kyonki guru agyaa hai to kumargh kaise ho sakta hai jo Vrindavan mein bhagwat premi mahatma ko guru bana leta hai to samasth devta usko namaskaar karte hain. Aur jo Vrindavan ke tan ko bhi he bhav se dekha, nich bhav se dekha to tribhuvan mein sabse nich ban jaata hai. Vrindavan mein kisi ko nich mat dekho. Priyaju ne kripa kari hai tab wo dham aaya hai. Ab uski udandta jab Priyaju pasand karte hain to hamen kya karna hai?
agar priyaju ne kripa na kari hoti to dham aa hi nahi sakta. Shri Radhika kripa bin sabke manan agam mein jinko vrinda vipin hai kripa ta ki hoe Vrindavan mein tab to rahan pa soe to jab hamari bihareen jo ki kripa hai to hamara adhikar kaise banta hai ki usmen dosh darshan karen ek din kripa hogi sab dosh nasht ho jaenge to ham kisi brajvasi Vrindavan vasi par dosh darshan na karen yahan tak ki pashu pakshi mein bhi are ye to kutta hai yah suar hai. Yah sab mahan hai. Ye sab bhagwat dham ke bhagwat jan hai. Jo Vrindavan ke tan ko bhi chhota samjh liya aur use nich bhav se dekha to tribhuvan mein sabse patit ho jaega.
nich ho jaega. Naman mauli vrinda vipin da sarwot tamo mana preeto Vrindavan bhu samasth priyatam dadat kinchit Vrindavan tante sarv bhagwat vibhute bhagi so bhavti jagtam par jo Vrindavan ko roz pranam karta hai naman mauli vrinda vipin da sarwot tamo kahin bhi ho roz Vrindavan ko pranam karo jab yad aa jae tab jhukkar Vrindavan ki taraf pranam karo. Bole jo shri Vrindavan ki disha ko bhi namaskaar karta hai wah sarv lok mein pujniya ho jaata hai. Vaisa mahan bhakt banega sarvlok pujniya ho jaega. Mana preeto Vrindavan bhu samasth priyatma jo thoda bhi man se Vrindavan se priti karega to sab use pyar karne lagenge.
thodi bhi priti Vrindavan se ho jae to sara jagat use pyar karne lagega. Dadat kinchit Vrindavan tante sarv bhagwat yadi shri Vrindavan dham mein kinchin matra thodi hi vastu kisi vasi ki seva mein laga diya. Sardi hai kapde ki vyvastha kar di. Bhojan ki vyvastha kar di. Yahan vas kar rahe hain. Bhagwat swaroop hai. Sabke paas sab suvidhae nahi hai. Agar ham kisi bhi Vrindavan vasi ki kinchin matra bhi dan ke dwara vastr hai, bhojan hai, vas ki vyvastha aise kar dete hain to kah rahe hain shri Vrindavan ki kripa se ek din wo bhagwat vibhutiyon se yukt ho jaega.
dadat kinchit Vrindavan tante sarv bhagwat to vibhute bhagesh bhavat jagtam tadti para samasth bhagwat vibhutiya use gher leng jo Vrindavan mein dan karega Vrindavan mein kya dan kisi bhukhe ke bhojan vyvastha jinki vas vyvastha nahi bhagwan tumhen dhan diye ho to vas ki vyvastha kar do sardi hai vastr ki vyvastha bimar hai aushadhi ki vyvastha tha. Kisi Vrindavan vasi ki thodi bhi seva bhagwat vibhutiyon se yukt kar dega tumhen. Dekh lena jo Vrindavan mein jhopdi dal ham to pranam karte hain unko jo Vrindavan mein riksha chalate hain.
anya gharo mein sevkai karte hain aur apna udar poshan karke vani path niyam nishtha aur dham vas kar rahe hain. Balihar hai unke jeevan ka. Pratigarh shunya jeevan kisi se dan nahi lete. Khub mehnat karte hain aur apna Vrindavan vas karte hain. Inko sadharan na samjhe ki ye to riksha wale hain. Nahi kahan ke riksha wale hain. Vrindavan ke riksha wale hain. Inke har samay yahan ki raj vayu sparsh karti rahti hai. Nishpap hai. Ye bhagwat kripa patr hain. Vrindavya mavya vidti na kath vas matra nityam durbhagi vyakti ko kabhi Vrindavan ki na charcha sunne ko milti hai na Vrindavan ane ko milta hai.
ek jab hamari 1820 ki avastha sharir ki thi to bahut sadhan mein lage rahte the. Jab ganga ke kinare to 20on varsh prichay nahi hua. Jab Vrindavan aae to jab aisa prakash hua to phir wah aae unhone kaha bas ek ashirwad de do ek bitiya rah gayi hai bas byah karke aajeevan Vrindavan vas bada kathin hai bhai dekho shri ji ki kripa kyonki Vrindavan vas to shri ji ki kripa se hi hota hai phir kuch dino baad aae unka bitiya ka vivah ho gaya kafi varsh baad aae to bole nahi uske to santan bhi ho gayi tum kaha ab bole himmat nahi padti parivaar ko chhodkar jane ki aur vridh ho gaye hain marne ki avastha hai himmat nahi hoti wo chhota sa nati jab daudkar god mein nana aur jab chhota sa poutr akar ke Baba tab lagta hai bhagwan mile chahe na mile inko chhodkar kahan jae wo aisi mamta aisi asakti wo ghutne ke bal chal rahe hain to wo bhi ghutne ke bal chal rahe hain wah bol rahe tatla ke to wah bhi bol rahe hain.
yah sukh kahan milega? Is sukho mein aasakt hokar ke param sacchidanand bhagwan ke sukh ko jeev chhod deta hai. Hari guru bade kripalu hai. Dekho aap sachchi mangie jo ichchha kar man mahi hari prasad kachu durlabh nahi. Agar aap sansaar bhagwan se mangoge to de denge. Unhin ka racha hua hai. Lo khelo. Jab is khel se rona tab phir hamse batana ab kya chahiye tab phir de denge aise anant janm hamare vyatit ho gaye to vrindavya mabhavya vidhti na katham vas matra nityam agar keval Vrindavan vas kar liya jae to isi se sab baat ban jaegi kyonki param pavitra dham ka vas hai na aap dekho prati mahine maagh mas mein ganga ke kinare ramnagriya lagti hai aur Prayagraj mein aur kahin ardh kumbhi ya Kumbh ho to pure bharat ke sab vishesh sant mahatma bhakt jan sab ekatrit hote hain.
param pavitra chati hai ek mahine vas aur jahan Prayagraj akar ke ghutne tek ke raj mein lautta hai wo hai Vrindavan dham. Agar yahan aap vas kar rahe ho to sabse bada bhajan vas ho raha hai. Aur kahin bhagwan ke hetu ki kripa se nirparadh vas ho raha hai phir kya kahna hai? Phir to aur anand mangal rahega. Par kaise bhi agar Vrindavan vas kar raha hai en kin prakararen wo bahut badi baat hai. Vrindavan vas bhi bahut badi baat hai. Yah baat sachchi samjh lo jo Vrindavan vasiyon ki se ham dekh rahe hain jo Vrindavan vasiyon ki seva ki na kisi ki bhi seva kar le.
sant mahatma brajvasi kisi ki Vrindavan vasi to bhagwat vibhutiya usko gher leti. Bhagwat vibhutiya aishwarya badhta hai, bhagwat bhakti badhti hai, bhav badhta hai, samarpan badhta hai. Kisi ki bhi seva kar de wo kaisa hai hamse isse matlab nahi. Vrindavan vasi bhagwat dham ka aashray liye hamse ban jaega kapda de denge roti de denge vastr de jo bana nahi bana to kam se kam hath jod ke usse prabhashan to kar sakte hain vrindavya mabhavya vidti na katham vas matra cha nityam vas matra se nitya bhagwan ki prapti Vrindavan vas bahut mahimashaali hai chodna nahi jinko mil gaya badi paristhitiyan aati hai.
badi paristhitiyan aati hai. Man lo joda rah raha tha pati patni ka. Ab pati padhar gaye dham gaye. Ab akele patni koi bolne wala nahi. Koi seva karne wala nahi. Aur chhadi liye aise maharaj aise to ab ham dekh rahe hain andar se ki hamari Priya isko bal dengi. Hamari Priya jo usko buddhi dengi. Ek bar to tut gaye aur kaha ab yahan koi seva karne wala nahi hai. Meri baat man lo jana nahi. Jane ka matlab hai apni sadgati ko kho dena. Aap sache mano indriy aur man ki sadhna se ham param pad prapt kar lenge.
kalyug hai kabhi nahi. Aise do minute mein chhachhit girata hai. Jo daud raha hai usko pata hai girna kise kahte hain? Jo gire gire hue ka bhookh lagi to bhojan kha liya kamna ai to kam ka upbhog kar liya jo man aaya so kar liya tum kya jano girna kise kahte hain girna wo jo bilkul sut pe chal raha hai ladkhda ke jab girta to lagta hai he bhagwan kitne kitne varsh sadhna karte ho jaate hain lagta hai sab theek ho gaya aur ek minute mein lagta hai ki kya theek hua jahan se chale the wahi khade ye aisa bhul bhulaiya ka marg hai ki keval bhagwan jo gita ji mein kahte hain devi hash gunmai mam maya dhuratya keval mamev ae
prapadte maya menta tarte jo keval mera aashray le lete hain to trigunmay maya jo daratya hai usse par ho jaate hain yahan yahan kah rahe hain vas matra cha nityam vishwas karo is shabd par bahut bade mahapurush bol rahe hain keval vas matra se nityam jatwa sarvatra moksha khal sukham na vasamyam usko aisa sukh milega ki jo moksh mein sukh nahi hai wo sukh use milega prem [gala saaf karne ki aawaz] vas matra cha keval vas matra se hamne dekha hai ki kaisa bhi swabhav ho kaisa bhi virodh karta ho Vrindavan vasi hai to dhire dhire dhire dheeredheere usse itna panapan ho jaata hai ki lagta hai yah hamare ghar ka hai.
yah hamara hai wo mane na mane. To aise hamari shri ji manne lagti hai ki ye hamare ghar ka hai. Hamara mahal hai Vrindavan hamare mahal mein rahta hai. Ye wo bhale shri ji ka dhyan na karta ho. Bhale shri ji ki jai na bolta ho lekin shri ji man lete hain. Isiliye kah rahe hain vrindavya mabhavya vidti na katham vas matra nityam durbhagi vyakti kabhi Vrindavan vas ki soch bhi nahi sakta. Aho bhagya jo Vrindavan vas chodna nahi bhai chahe jaisi samasya ho. Dekho kuch log kahne lagte agar Vrindavan mein bhajan na ho to kahin bhi raho jake yahan kyon rahte ho to sabse pahla bhajan hai Vrindavan vas aur dusri baat ham shripad prabhudas kuch shlok bhav thoda sa bata bahar main brahma nahi banna chahta bahar main shri Krishna ke prem mein unmatt hona nahi chahta par Vrindavan mein main ab jo baat hai wo sabki samjh mein nahi aayegi isliye agamyagman karke bhi rah sakta hoon.
ek Paramhans sanyasi brahm bodh mahatma aisi baat hai kuch Vrindavan mein matlab Vrindavan mein ham aise nich adham papi aise jaise bana waise rahenge par Vrindavan nahi chhodenge to bole vas matra cha nityam Shrimad sudhananidhi mein akhri ke shlok mein paap bhajap jo paap vartman mein kar raha hai lekin akhand Vrindavan vasi usse paap ban raha to bole wah itni samarth rakhta hai man lo swabhav hai galtiya usse ho rahi par wo Vrindavan vasi Priya pritam ka anannya hai to uski itni samarth hai ki bahar ke yogiyon ko pavitra kar sakta hai mahaprabhu ne likha hai abhi usmen vartman mein paap buddhi hai par wo Vrindavan vasi hai to bade-bade yogendron ko pavitra karne ki samarth rakhta hai Vrindavan ke prabhav se badi mahima Vrindavan ki hai Vrindavan ke vasi mein yah na dekhe ki amuk vritt galat hai.
nahi shri ji ne unko apne vas diya dham mein mahal mein to nischit unka bhagwat aradhan mana jaega. Paap bhaaj jaise likha hai aise vas matra cha nityam vas matra se usko nitya sacchidanand prem ki aisi prapti hogi jaise moksh mein bhi sukh nahi. Ye vishwas karke pakar le Vrindavan ko. Ham dekh rahe hain sabki baat sudhar raha hai Vrindavan. Jaise nagreeda das ji kah rahe hain hamari sab hi baat sudhari. Kripa kari shri kunj bihari arsi kunj bihari to sachchi baat mano sabki baat Vrindavan sudhar raha hai.
nahi aap hat ke dekho Vrindavan se bahar to kaisa atank macha hai kalyug ka kapt chhal dosh nana prakaar ki ye sab aisi havaen gandi chal rahi keval buddhi bhrasht hai. Koi birla aisa hai te ubhre te kalam je rakhe Raghuvirr bhagwan jinhe bacha rahe hain wahi bach rahe bahut maya ka akarshan itna prabal hota chala ja raha hai ki dharm shastr guru sab ek kone mein rakhe jo man mein aaya so ham kar rahe hain atrand sindhur madhutar mahasar murti kishorau aha nityanyam chorau sva nikat milte vata somasgham ab jara dhyan se suno Vrindavan mein vas karne wale ko maha aand sindhu nav kishor shri Priya pritam jo ek dusre ke chitt ko cura rahe itne sundar hai nityanyam chorhu lal markat man chhabi lo tum jo kanchan gat bani sahit Harivansh jori ubhay gun gan mat ek dusre ke gun se gun badh rahe hain.
ek dusre ke rup se rup badh raha hai. Ek dusre se lawanya badh raha hai. Ek dusre ke chitt ko cura rahe hain. Nagar nav kishor mithun manas chor Priya pritam paraspat jo ek dusre ke chitt ko cura rahe hain. Kya hoga? Sva nikat milte vantta sva rasgham kisi din bagal se nikelnge Priya rasaugham usi din ras mein doob jaega ye likha hi nahi aisa hai aisa hai ye hai aisa Vrindavan bahut chamatkarik hai ham Vrindavan ka dridta purvak aashray aur vas sweekar kar le. Ham kaise bhi nich swabhav wale hain. Kuch swabhav ki prabalta hoti hai.
purv paap jo hai bahut jor ka hota hai. Kabhi-kabhi jaise sab sadhan kiye jaate hain. Lakshya bhi bhagwat prapti hai. Lekin agar swabhav uska kisi vishesh papacharan se pusht hai to bar-bar jeevan bhar wahi aadat usko phislati rahegi. Ab is koti ki kripa ho ki wah kisi tarah aadat kat jae. Naya sanskar na bane to jeevan mukt ho jae. Yah bahut bahut prabal praarabdh hota hai kabhi-kabhi. Kabhi jab purusharth prabal ho jaata hai bhajan sadhan to praarabdh mit jaata hai. Kabhi-kabhi praarabdh itna jor ka ho jaata hai ki purusharth ko mita deta hai.
yah nahi kaha ja sakta ki purusharth bada hai ki praarabdh. Kabhi-kabhi itna bura praarabdh hota hai ki wah praarabdh sabse pehle attack kahan karta hai? Buddhi par. Buri dasha ane ke pehle buddhi badli jati hai. Pehle buddhi kam nahi karti. Aur bar-bar jaise bachpan se lekar ke aur budhape tak aapki jo aadat nahi chhut rahi gandi to samjho itna bura praarabdh hai ki itna lamba sadhan karne par bhi wo purusharth ko raund raha hai. Bar-bar wahi bar-bar wahi to aisi vivashta praarabdh ki kabhi-kabhi dekhi jati hai jismen na chahte hue bhi sadhak ke dwara jo paramarth virudh cheshta hai wo uska pind nahi chhodti.
yah matlab tark ka vishay nahi hai. Samjhne ka vishay hai ki wah purusharth ko raund karke praarabdh apna prabhav dikhata rahta hai. Aur kabhi-kabhi purusharth itna jor ka ho jaata hai ki praarabdh ko vidhvans kar deta hai. Aur jinka purusharth kamzor par gaya to phir praarabdh akar ke tut parta hai. Praarabdh purv janm ka kiya hua karm hota hai. Dekho kitna janm ka janm hisaab jama hai ki chha mahina banon ki saiya par bal brahmachari bhagwat anuragi dwadash vaishnavacharyon mein Bhishma ji kitna bura praarabdh ki akar ke chha mahina tak banon ki saiya mein kabhi-kabhi praarabdh apna itna prabal purusharth ko bhi raund karke apna prabhav dikhata hai to sadhak ko chahiye us samay ek hi keval upay hai harishchar sharanam he bhagwan main aapki sharan mein hoon.
dekh lo aap bacha lo to bacha lo nahi to jaisa bhi ho aap kaho. He bhagwan aapki sharan mein hoon. Bas itni baat hai. Yahan koi aise moochh pe taav dekar nahi nikal sakta. Koi bhi aisa swaroop hai bhagwan ki maya ka ki tum jaan hi nahi paoge ki ye maya hai. Jaan hi nahi paoge. Aur jab bhagwan ki kripa se phir gyan netr khulte hain tab lagta hai haan haan ham to saikadon hath niche gir gaye tab pata chalta hai isliye dhamwas naam nirantar jap bhagwan ke leela gunanuvad ka shravan yahi bharosa hai bhagwat prapti ke aur jitendrita mano nigrh lok parlok ke bhogon se vairagya titaksha aur samadhan ye sab granthon mein likhe rah gaye hain.
ab jo hai na tatiksha samadhan bahut badi mushkil baten hain. Yahan kaun titakshu hai? Kahan tateekshu hai? Nak mein gussa rakha hua hai. Thoda bhi bardast nahi kar sakte. Pratikultaa, bhookh, pyas, garmi, sardi, man, apman, ninda, stuti inko jo sahe use hi to titu kahte hain. Koi birla agar koi tyag bhi hai to dikhave mein parinit ho jaata hai. Kalyug ka aisa prabhav hai. Isliye dham ka aashray na chodo. Kalyug ka aisa prabhav hai. Prakt kalyan karne ke liye garaj raha hai Vrindavan dham. Isiliye Harivansh mahaprabhu Shrimadd Radha sudha ji mein kahte hain vrindan sarv mahta mahay durad Vrindavi manusro pranyan cheta satarni krit subhav sudhar saugam Radha vidhan mein divya nidhan mast tum bade-bade sadhan aur sadhyon ka tyag karke Vrindavan aa jao kyonki jinka swabhav hi hai tar dena aise sat sat swabhav wale hamari ladli jinka swabhav hi tar dena hai.
yah baat nahi ki sajjanon ko tar dena. Nahi ye to phir baat samjh mein nahi ai. Jaise satarneekrit swabhav jinka swabhav hai sajjanon ko tar dena. Yar sajjan to tar hi jaenge. Unmein tarne ki kya baat hai? Aa jao aspataal mein lekin tumhare bukhar na ho, jukham na ho, cancer na ho, kidney phayl na ho, koi rog na ho. Aie ham vada karte hain aapko nirog kar denge. To ye vinod hua ki nahi hua? Vinod to bole aa jao Vrindavan mein samasth sadhan aur sadhyon ka tyag karke wahan jinka swabhav hai ki sajjan purushan ko tar de.
jaise arth likha hai usmen satarni krit swabhav. Satarneekrit swabhav to sat swabhav tarneekrit sat swabhav jinka satya swabhav hai wo apne swabhav se vichlit nahi hoti ne kahun na riska kahun bhuli hoon na o saki kinka jo Vrindavan vasi hai tarneekrit swabhav sat swabhav tarneekrit to hamari samjh mein aa ye baat ai nahi to ye ki sant purush sat ka matlab hota hai sant sant janon ko tar dena jinka swabhav hai. Ye kahe ko majak kar rahe ho? Santo ko tarna parta hai kya? Sant to tarah hote hain. Asanton ko tar de to mahima ki baat aati hai.
to jinka sat swabhav tarni krit jinka swabhav hi hai satyamay ki wo tar deti hai jo Vrindavan dham ka aashray le leta hai. Vas vrinda sarv mahta maphay durad bade-bade sadhan aur sadhyon ka dur se hi tyag kar do. Vrindavi manusro pranyan cheta it Vrindavan ka anusaran kar kyon kyonki wahan virajman jo kishori ji hai Radha namak tatv unka sat swabhav tarni krit unka swabhav hai satarni krit swabhav sudharam jo premrit ki sindhu hai Radha vidhan mein divya nidhan mast shri kishori maharaj jinka naam shri Radha hai jinka swabhav hi hai tar dena aisi shri ladli jo viraj aa jao Vrindavan Vrindavan vas matra se bhagwat prapti kyonki ladli ji ki kripa drishti us par hoti hai pujypad shiv Baba ji maharaj jo rag aur dves pale rahta hai kaata nahi hai tatkaal kato jaise tumhare are koi bahut anukul hai to rag ho jaega.
pratikul hai to dves ho jaega. Aur yah baat ho gayi to sansari purush hai. Nanak sahab kahte hain rag dves donon khoie khojie pad nirvaan. Nanak kahe path kathin hai koi koi guru mukh jaan rag aur dves donon ka jo tyag kar deta hai wahi nirvaan pad moksh pad ko prapt hota hai. Nanak sahab ji kahte hain ki yah hai to marg bada kathin par Gurumuakh se saral ho jaata hai. Jab guru ke charnarvind ka aashray lekar unke vachno ke anusaar sadhna karte hain to rag dves ka nash hokar samta ka pradurbhav ho jaata hai.
yadi koi tapasya kar raha hai bhajan kar raha hai aur krodhit ho jaata hai chhoti-chhoti baton mein to uska kiya karaya sab choupat ho jaata hai. Krodh jo hai yah bhajan ko, tapasya ko, vrat niyam sanyam ko yah nishprabhavit kar deta hai. Sab bekar ho jaata hai. Matlab prabhav nahi jagrit hoga uska. Nishprabhavit nishprabha jaise marne ke liye misail chale aur misail beech mein nasht ho gayi. To krodh kya karta hai? Ki jo ham tapasya bhajan sadhan karte hain agyaan mitane ke liye to us agyaan ka nash nahi kar pata. Jahan krodh aaya wo tap ksheen ho gaya.
wo beech mein rah gaya. Wo agyaan ko nasht nahi kar paya. Chali misail par beech mein mar ke gira di gayi. Aise krodh chahe koi kitna bada tapasvi ho, kitna bada bhajnanandi ho, yadi wah krodh karta hai to uska kiya karaya sab choupat ho jaata hai. Puj judiya Baba kam, krodh, lobh yahi narak ke dwaar hai. Kami, kroadhi lalchi in so bhakti na hoe bhakti kare koi surma jati varan kul khoe. Jo kami purush hai, jo kroadhi purush hai, jo lalchi purush hai, inse bhakti nahi hoti. Inse bhakti ka natak hota hai.
bahari bhakti ka natak hota hai. Andar se chah hoti hai kamini ki, rupya ki, nana prakaar ke aishwarya, naam, yash, kirti ki. Bhakti to koi Shurvirr karta hai jo in tino ko chhodkar kam, krodh, lalach ko chhodkar ke jati, varan, kul in sabko chhodkar ekmatra bhagwan ka anannya hokar bhakti karta hai. Tumhara bhajan theek chal raha hai. Iski pehchan tumhare hriday mein shanti badhti jae. Kamnayen hatti jae, vinivatta kama aur hriday shant hota jae. Ekdam shant. Shanti use kahte hain jab tumhen 10 galiyan samne se de aur tum shant raho.
10 galiyan samne se de. Bhajan ka phal bhajan tumhara badh raha hai. Iska matlab shanti badh rahi hai. Kamna ka nash ho raha hai. Shanti ka prichay 10 gali tumhen koi samne se de aur tum muskura ke chale jao. Yah shanti hai. Baba ne dekha hoga aapas mein sadhak jhagadte hain, ladte hain to yah sadhna kis baat ki karte hain? Tumhen jo gali deta hai wo tumhare ashubhon ka nash karta hai. Dhyan karo. Tumhari jo prashansha karta hai, tumhare punyeon ka nash karta hai. Sahi mane mein bhav dekho aur jo tumhen gali deta hai, tumhare papon ka nash karta hai.
to badhiya kaun hua? Gali dene wala par badhiya hamko lagega prashansha karne wala ninda karne wala bura lagega isliye paramarth ke path ko samjho bhajan tumhara sahi chal raha hai iski pehchan shanti shanti ka arth hai tumhen koi 10 galiyan de tumhari ninda kare tumhare samne to bhi tumhen gussa nahi ani chahiye tumhari shanti jo ki dev ho kusangi aur satsangi ek se nahi ho sakte. Jo kusangi hai wah kam, krodh, lobh ke adhin hoga. Jo satsangi hai wo bhagwan ke naam rup leela dham ke adhin hoga.
jo kusangi hai wah dusron ki ninda karta jhagadta dves karta rahta hai. Jo satsangi hai wo ye sab baten na karke sah leta hai. Agar uski ninda ho koi jhagda kare to sah leta hai aur khub naam jap karta hai. Baba hamara agla janm hoga ki nahi? Are bhai bhavi jeevan hamare bhajan ke adhin hai. Yadi hamari bhavna siddh nahi hui aur ham kisi se var karte hain, kisi se prem karte hain to hamara ana jana laga rahega. Harivansh naam leen je ajat shatru te sada prapanch damb aadi de tahan kachu na pe wahi naam siddh hai jiska shatru is sansaar mein paida hi nahi hua ajat shatru maharaj yudhishthir ko kahte the kaisa swabhav tha ratri mein Duryodhan jaata to kahte aao bhratashri baithe wo puchta bhrata shri kal yuddh mein kaun sa vivar chala jaega bata dete aise aise ye vu ki rachna hogi age kaun khada hoga baju mein kaun khada hoga sab wo bata dete to bhagwan ko do sangoshti karni padti ek yudhishthir ji ke saath aur ek
bilkul alag to jab yudhishthir ji bata dete kal ye chakravyuh hoga to wahan dusra hi chakravyuh milta wahan dusra hi maharathi khada milta kyonki pata tha yudhishthir ji sab kuch bata denge ajat shatru te sada ek bhi shatru dushman sansaar mein na ho wah mahan bhagwat jab tumhara koi sansaar mein shatru nahi hoga to tumhen nahi ana padega aur tumhara mitra bhi nahi hona chahiye aur asakti bhi nahi honi chahiye kisi se to tumhara bhavi janm nahi hoga jitna uchh bhavna rakhoge utna hi tumhara bhavi janm uchh hoga aur yadi bhagwat bhavna rakhoge to janm janm hoga hi nahi.
sab mein shri bhagwan na rag na dves na mitrata na shatrutha. Isliye ham kah rahe hain bhagwat bhavna ko pusht karo. Odiya Baba agar agla janm nahi chahte to bhagwat bhavna ko pusht karo. Ham yah dekhte hain ki achhche-achhche sadhak bhi rag dves karte hain. Mithya bhashan karte hain. Vyarth bhashan karte hain. Ye kaise bhajan karte hain? Jo maun ban jaate hain wo zyada prapanch aur karne lagte hain. Pati, suha, pen, kopi teen prakaar ka prapanch pehle shuru wala. Ab wo kahe ye maharaj ji ab wo pareshaan hai samne wala aur pareshaan hai mohni maharaj ab dusri baat mein ki pura likh gaye sidhi baat bhaiya ye saman utha alp vakyo ke dwara uchit shabd bol de bas khatm isse badhiya maun nahi hota maun ya to jad maun Radha Baba Baba ji wala na uu na aa na likhna na padhna mrtak tully sharir jeevan ye to bahut kathin hai jad maun ekdam jad maun man ka nisankalpa ho jana vani ka maun ho jana yah sankalp rahit sthiti hai ab yah bahut kathin sthiti hai to hamen lagta hai sahi maun hai uchit shabdon ke dwara uttar de dena use vichar maun kahte hain jad maun avashyak laga to bol diya nahi avashyak laga to Radha Radha apna chal diye uchit maun vichar maun ye mithya bhashan vyarth bhashan jiske vani ke dosh bante rahte hain uska bhajan nahi hota aur jo maun hokar aadambar karta hai uska bhi bhajan nahi hota to Baba kah rahe maun ka aadambar na karen maun ka dhong to bahut log karte dekhe jaate lekin vastvik unko maun ka labh nahi milta.
maun ka matlab ekdam phir shant ho jana. Bahut anand milta hai vani ko. Jab ham maun ki taraf le jaate hain to bahut anand milta hai. Kyonki mantrakaar vritti karne ke liye maun atyant aniwarya hai. Bar-bar bolte raho to phir wah mantr ka ek tar jo chalta hai wah tut jaata hai. Vani ka maun atyant avashyak hai. Vichar maun rahiyega sab log. Vani ka maun atyant avashyak hai. Avashyak hai to baat kar lijiye nahi to nahi. Avashyak ka matlab haan avashyak hai. Ab yahan bolna to bol diya nahi to chupchap shant. Bhajnanandi sadhak 10 ekatrit hokar kabhi prapanch ki varta karke hansi majak ho hi nahi sakta.
bhajan mein ruchi nahi antarmukhta nahi to bahirmukhta mein hota rahta hai. Bhajnanandi sadhak ko chahiye ki bhojan ka swad na le. Bhai hamen mukt hona hai na to yahi to bandhan hai. Indriyon ka sukh lene ki lalsa rakhna yahi bhagwat prapti mein badha hai. Jab swapach Valmiki ji ko rajaswi yagya ki purnata ke liye nimantran karke bulaya gaya aur raat bhar Draupadi ji ne alag-alag padaarth banae aur jab parosa to sab ek hi mein mila liya. Mitha khatta namkeen charaphra jo tha aur mila to Draupadi ji ke man mein laga hai to koi rajkumar hote to alag-alag swad lete puri raat lagi banane mein ghanta nahi baja jo yagya purnata ke liye laga tha to bhagwan se yudhishthir ji ne kaha aap kahte the mahabhagvat pa lega to to bole aparadh ban gaya Draupadi ji wahi khadi thi to kaha kisi nij jan ke dwara inke prati dosh drishti hui.
to Draupadi ji ne kaha prabhu agar dosh drishti to meri hui hai kyonki raat bhar hamne alag-alag prakaar ke vyanjan aur bhojan sab banae aur yah ek hi mein mila ke sab pa liye to unse pucha ki aapne ek mein mila kyon paya? To bole prabhu swad to aap lete ho ham to prasad pate hain. Swad to aap lete sab mila khir, rabri, khatai, mithai sab ek ek mila. Bhala pav mila ke daal roti jo bhi ho sab ek hi mein milakar aur ek alaukik swad aayega. Bhajan mein ruchi badhegi. To isliye Baba kah rahe hain pahli baat to bhajnanandi ko maun aadambar wala nahi sahi wala maun rahna chahiye.
vani se mithya bhashan vyarth bhashan ye chhod dene chahiye. Dusra baat ismen do indriyan ek vakya indri bolna ek ras indri rasaswad ke lobh se bhojan nahi karna chahiye. Satoguni bhojan pane par bhi tamogun ho jaega. Agar swad lekar bhojan paya jae. Rasd vashbhut na hone par jnendriay vash mein nahi ho sakti. Sandhya ke samay itne kam nahi karne chahiye. Bhojan nahi pana chahiye. [gala saaf karne ki aawaz] shastr swadhyay nahi karna chahiye, sona nahi chahiye aur maithun nahi karna chahiye. Sandhya kal ke samay jis samay bhagwan surya astachal ko ja rahe hain ya udyachal se prakt ho rahe hain ya madhyan ke theek 12:00 baje 15 minute idhar 15 minute udhar paune sava ye 30 minute aur sandhya kal ke donon sandhyaon ke matlab wo do ghadi 24 duni 48 minute inke samay keval bhagwat dhyan mantr jap bhajan kiya jae us samay mein sona khana to dhire-dhire buddhi bhrasht hone lagti hai.
shri kirti aishwarya ye sab nasht hone lagta hai. Sandhya ke samay maithun nahi karna chahiye. Shayan nahi karna chahiye. Swadhyay nahi karna chahiye aur bhojan nahi karna chahiye. Aur jab bhojan karne ke samay to donon hath pair dhove pehle aur kulla karen. Aise bhojan hath pair dhoe jake pehle bhojan ke pehle hath pair dho lena chahiye. Pujya Baba kah waise bhi vaigyanik drishti se bhi hath thoda pavitra karke jao nahi to pata nahi kahan kahan chhue kaun-kaun se usmen keetanu jeevanu hai to dho lena chahiye aur bhojan ke baad phir kulla karke achman karke phir aise jhuthe muhn nahi rah jaata prasadi amniya juthna pavitra apvitrata iska gyan tumhen nahi rahega to pashuta bani rahegi upasak ko chahiye ki shauchalay mein utna hi vastr pahan karke jae jitna dho sake.
theek nahi hai. Isse bhajan nahi banta. Buddhi bhrasht ho jati hai. Upasak ko chahiye devta, ved, guru, guru mantr, tirth, aushadhi aur mahatma in par shraddha aur vishwas badhata chala jae. Jitna shraddha vishwas badhata chala jaega utne labh milta chala jaega. Paramarth mein anek vighna ate hain aur jo sadhak ko chalayman karte hain par bhagwan ka kripa patr sadhak kabhi vichlit nahi hota. Jo adhik bhashan karta hai wah mithyavadi hota hai. Jo mithyavadi hota hai bhajnanandi nahi ho sakta hai. Sadhak ko chahiye ki has parihas karna band kar de.
hansi majak karna aur tamasha sinema jise aaj series kahte hain. Ye sab dekhna band kar de. Kahe ko prapanch dimaag ke seesi camera mein bhar rahe ho? Phir wahi tumhare bhajan mein badha pahunchaega. Tamasha, film, samchar yah sab dekhna band karen kyonki bhagwat marg mein chalna hai. Chhal bhari baat na karen. Baat kuch aur hai, dikhava kuch aur hai. Chhal na karen. Anyay na karen. Abhakton ka sang na karen. Dusre ki samalochna na karen. Kisi dusre ke vishay mein bole hi nahi. Shastron ka gyan hone par jab tak prashn na ho tab tak bole na shant rahe.
jitna pavitra rahoge utna hi chitt shuddh hoga. Main durbal hoon. Main apvitra hoon. Aisi bhavna hi na ane pave. Dhairya utsah purvak param pavitra main mahan balshali bhagwan ka ansh hoon parast nahi ho sakta. Bhogya vastu ke saath adhik prem hone se chitt ka patan hone lagta hai. Bhogya vastu ke saath adhik priyata hone se chitt ka patan hone lagta hai. Isliye achchhi tarah yad kar lo ki kisi bhi bhogya vastu se tumhari priti na hone pave. Sharir nirvah ke liye keval le lo priti na hone pave.
dekho sharir ko jaisa rakho waise hi yah rahna shuru ho. Yahan kya pahnte ho? Bhishan sardi mein yahan kya pahnte ho? Aur ati sukumar jagah hai to dekho bachpan se abhyaas kiya to aapka nirvah ho gaya. Nahi jaise sharir ko chaho nirvah kar sakte ho. Jaise chaho waise nirvah kar sakte. Isko abhyaas ki zaroorat hai. Abhyaas kar le to waise hi waise nahi to hai sardi hai garmi hai barsat ye nana prakaar ke prakriti ke wa usmen vikal hone lagta hai. Jeevan ho gaya piche kabhi pankha bijli ka sevan nahi kabhi aisi pareshani 10 minute garmi lagi thoda aise hawa kiye hath se pankha hath wale pankha bas jitni nind ani hai utni nind aur bhajan mein to upasak ko chahiye ki bhogya vastuon ke saath priti na hone pave ab ham iske bina nahi rah sakte iske bina nahi rah sakte to shri ji ke bina nahi rah sakte yah kab bologe ham prabhu ke bina nahi rah sakte prabhu ke bhajan ke bina nahi rah sakte agar koi sankalp karo to use chodna mat nahi to punya nasht ho jaate hain.
jaise ki aaj se niyam lete hain ham aisa sahsa koi sankalp mat karo. Kasam mat khao. Lekin agar kasam kha lo to phir kha li kasam. Kasam ka matlab hota hai pran lena. Ham kisi ki kasam na khae. Kasam ka matlab shpath purvak kahta hoon. Matlab pran purvak kahta hoon. Aaj ke baad yah nahi karunga. To bas phir uska nirvah karna chahiye. Sadhak is baat ko pakde. Sadhak ko chahiye ki jis vastu vyakti sthan ke milne se bhajan chhutta uska jaldi se jaldi tyag kar dena chahiye. Wah vastu jo bhajan chhuda de wah vyakti jo bhajan chhuda de wah sthan jahan baithe se bhajan chhut jae hamen unka turant tyag karna chahiye.
bhajan bhojan par vishesh adharit hai. Pakka jaisa bhojan vaisa bhajan bhajan karne wale ko pratdin niyat samay se adhik nind nahi lena chahiye. Alasya ko aap badhate jao to badhta jaega. Sat ghante 10 ghante sote jao. Bhojan ko badhate jao to badhta jaega. Aap chahe jitna pana char bar pao panch bar pao ya ek bar pao ya thoda alphar karo jaise chaho waise chal sakte kahe ko bojha badha rahe ho sharir ka bojha badhna theek nahi hai agar sharir svasth hai to vyayam karo alphar karo aur nind ka ek niyam rakho char ghante panch ghante adhik se adhik chha ghante iske age sadhak nahi kaha aayega chha ghante se adhik jo soega apne yahan to bhagwan ki aisi kripa hai ki sona chahe to bhi nahi so payega kyonki samay hi nahi sabki alag-alag dincharya itni bandhi hui dincharya hai ki ek minute ki fursat kisi ko nahi to bhojan waise ye sadhak ka nahi hai ki badal badal ke bhojan pana ye sadhak ka nahi badal badal badal ke roz aaj yah bana kal wo bana parso wo bana shri ji ke liye to theek hai utne shri ji ke liye bhog uttam bhog lagae mor markat ko sev aur aap ek mutti chana pate the Swami haridas ji maharaj Radha charan das ji maharaj jo tatiya sthan ke the unke bhi wo chana hi pate the ek muthi sanyam purvak rahne se bhajan siddh hota hai.
upasak ko chahiye ki apna bichhauna, odhne ka vastr aur asan ye kisi ko na de. Ek do naye asan rakhe koi bhag jana. Guru baith sakta hai aapke asan pe. Bakaya apna asan mod ke rakh de. Naya asan bichhave unke liye. Agar kahin bhi jae to apna asan ek dupatte chahe dale rahe usko bicha de us par baithe sadhak ko chahe apna bichhauna apna odhna apna vas sthan apna asan ye alag rakh usse paramanu ekatrit hote hain bhajan ke upasak ko alasya se bachna chahiye alasya se sadhna ksheen hoti chali jati hai upasak ko alasya pramad are isse bachna chahiye ya are se bachna chahiye are sab aise nahi jo niyam diya gaya us niyam jab aaj koi sharanagat leta hai to usko char baten ham dete hain char niyam dete hain pahla hota hai 11 mala guru mantr ka japna adhik japo bhagwan ki kripa dusra acharya granth chaturasi ji pura path karo to bahut badhiya hai par ham 12 pad roz gayan ka niyam dete hain.
tisra bhaksha bhojan ka tyag, chautha kusang ka tyag. Ab aap ismen dekho ki apni dincharya mein kya 11 mala aur yahan ke sadhako ko kaha tha satsang mein ek bar kai bar sambodhan kiya ki apne thakur ki 11 21 51 108 dandvat chal rahi. Chal rahi. Badi kripa hai. Thakur ji ki dandvat char parikrama karke aur apne niymanusar bhajan ki paddhti puri ki jae. Alasya aur pramad ye donon sadhu ko sadhuta se vilakh kar dete hain. Jis samay tumhare bhajan mein koi vighna upasthit ho us samay rote hue bhagwan se prarthna karo ki hamara ye sadhna ka vighna nasht ho jae.
chalo ek prasang Shrimad bhagwat mahapuran ka shravan karte hain. Bhagwan shri Krishna chandra jo jab din mein gay charane jaate to samasth gopiyan bhagwan ki charcha mein din vyatit karti aur sayam kal jab ate tab wo babhagini gopiyan jinka man shri Krishna mein hi laga rahta wo shri krishnamay hokar ke shri Krishna ka darshan karti is prakaar unke din vyatit hote parikshit jis samay samay bhagwan shri Krishna braj mein pravesh kar rahe the. Anand utsav ki dhoom machi hui thi. To kans ne ek bade mahan balshali Rakshash ko bheja asur ko jiska naam arishtasur tha.
wo daitya bhaykar balshali bail ka rup dharan karke aaya. Bada balvan aur bahut vishal bail ka rup dharan karke khuron se Brajbhumi ko aise khodta hua kapata hua wo badi jor se garjan kar raha tha. Pooch apni khadi kiye seengon se char deevari todta hua bichbich mein gobar chhota hua aankh faad kar idhrudhur wo bhagwan shri Krishna ko dekh raha tha. Kahan hai? Aise wo dahad hunkar marta sab brajvasi bhayabhit ho gaye. Teekhe seeng wale us arishtasur ne jo bail ka rup dharan kiya tha. Brajvasyon ne kaha ye hamara bail to hai nahi braj ka.
ye kahan se aa gaya? Pashu dar gaye. Bhag pare sab gaushala se. Sab brajvasyon ne kaha he shri Krishna he shri Krishna hamen is bhay se bachao Krishna Krishna tate sarve Govinda sharanam y bhagwanap tadweeksha gokulam bhay vidutam he shri Krishna he shri Krishna hamen is bhay se bachao is prakaar pukarte hue sab bhagwan ki sharan mein hue. Bhagwan ne dekha yah brajvasi atyant bhayatur ho rahe hain. Tab unhone kaha are koi darne ki baat nahi hai. Main janta hoon ye arishtasur hai. Aur bhagwan ne lalkara ai dusht murkh tu in becharey bhole jo brajvasi jan inko dara raha hai.
gaun ko dara raha hai. Are dekh tujh jaise duratma duston ke bal ka ghamand churchur kar dene wala main yahan hoon. Aisa lalkaar kar bhagwan shri Krishna ne taal thoki aur krodhit karne ke liye taal thok ke ek sakha ke gale mein bah dalkar khade ho gaye. Bhagwan shri Krishna ko hi wah dhund raha tha aur bhagwan shri Krishna ki taal thokne ki chunoti se wah aur krodh ke mare tilmila utha aur khuron se bade jor se dharti khodta hua shri Krishna par tut para. Usne apni teekhe seeng age kar liye. Lal lal ankhon se takatki lagakar shri Krishna ki or tedhi nazar se dekhta hua itne veg se tuta mano indra ke hath se chhoda hua vajr ho bhagwan savdhaan hokar khade ho gaye arishtasur jo bail bana hua bhagwan par aakraman kiya to bhagwan ne uske donon seeng pakar liye aur jaise ek hathi apne se bhidne wale wale dusre hathi ko piche hata deta hai.
waise hi use 18 pag piche thel kar daudate hue ulta seeng pakar ke ulta daudate hue 18 pag le gaye aur pachad diya. Bhagwan ke is prakaar pachad dene par. Phir wo krodh karke khada hua. Lambi lambi sanse chhota hua bhagwan par tut para. Us samay uska sharir paseene se lathpath ho raha tha. Bhagwan ne dekha ki to mujh par prhar karna chahta hai. Tab uske punah seeng pakar liye aur seeng pakar kar uske ek lat mari. Donon seeng pakar liye aur ek lat mari. Je bhi mari to dharti par gir para. Are maha parakrmi bhagwan ke age kiska bal?
aur bhagwan ne jaise gila kapda nichoda jae aise pair rakh ke usko aise aise aise seeng pakar ke khub kachumar nikal diya uska aur phir seeng ukhad ke usi se usko pita ab wo arishtasur muhn se khun ugalta hua pair patakne laga ankhen ulat gayi bade kasht ke saath pran nikle devta foolon ki varsha karne lage arishtasur mara gaya. Bhagwan shri Krishna ne is prakaar arishtasur ka udhar kiya. Sab gop gopiyan bhagwan ki prashansha karne lage. Phir Balram ji ke saath goshtha mein pravesh kiya aur bhagwan ki shobha ko dekhkar brajvasi jan aandit ho rahe hain.
bhagwan ki leela atyant adbhut hai. Idhar jab arishtasur mar dala gaya to bhagwan narad ji jo shighr se shighr bhagwan ka darshan karane wale hain. Kans ke paas pahunche. Kans ne puja ki to narad ji ne kaha kans jo kanya tumhare hath se akash mein chali gayi thi wo Devki ki kanya nahi thi. Wo Yashoda ki kanya thi. Aur jo braj mein shri Krishna hai wah Devki ke putr hai. Jo Balram ji hain wah Rohini ke putr hai. Vasudev ne tumse darkar apne mitra nand ke paas un donon ko rakh diya hai. Unhone hi tumhare jitne asur bheje sabka vadh kiya hai.
aur chup ho gaye narad ji. Yah sunte hi kans ki ek ek indriyan krodh ke mare kamp uthi. Usne vasudev ji ko mar dalne ke liye turant teekhi talwar utha li. Narad ji ne roka galat kar rahe ho. Vasudev ji ko abhi marna theek nahi hai. Kyonki mrityu to shri Krishna ke hath se hai. To usne kaha inhone hamare saath chhal kiya. Suno ek saath marna. Pehle vasudev Devki ke samne shri Krishna ko marna phir vasudev Devki ko marna. Haan, yah baat to tabhi inko pata chalega ki tumse chhal karne ka kya phal hota hai.
to hathkadi bediyon se jakad karke kaid khane mein Devki vasudev ko rakh diya ki jab inka putr mara jaega tab inko dukhi dekhkar phir inko marenege. Aur phir kaha ki tum Krishna aur Balram ko yahan Mathura bulao aur yahi mar dalo. Narad ji kans bhagwan se milane ka kam narad ji karte hain. Ab narad ji aisa kah ke chale gaye. Kans bada udas. Itne mein hi keshi naam ka ek asur aaya. Aur usne kaha aap udas kyon ho? Ek bar hamko avsar dijiye. To kaha theek hai tum Balram aur shri Krishna ko donon ko mar dalo.
kesi bahut balvan tha. Kans ne mushtik chanur shal toshal aadi pahalwanon ko bulaya mantriyon ko bulaya mahavton ko bulaya aur kaha veerwar chanur mushtik tum log dhyan purvak meri baat suno. Vasudev ke do putr Balram aur shri Krishna nand ke braj mein rahte hain. Akashvani ne bataya hai ki wahi hamari mrityu hai. Atah ham unko utsav ke bahane bulaenge. Aur jab aa jae to tum log kushti ladne ke bahane unko mar dalna. Charon or mushtikad se kaha ki kushti ke bahane unhen mar dalna. Manch sajao, akhadon ko golgol saja do.
puri praja baithkar dekhe ki kaise tum shri Krishna ko pachad pachad kar marte ho. He mahavat tum bade chatur ho. Dekho bhai dangal ke ghere ke phatak par koyliya peed hathi ko rakhna. Ye 60 hazar hathiyon ka bal lagta tha koyliya peed hathi. Jab mere shatru shri Krishna Balram ave to ai mahavat [gala saaf karne ki aawaz] hathi ke dwara tum unhen marwa dalna aur isi chaturdashi ko vidhi purvak dhanush yagya prarambh kar do. Kans to keval swarth sadhna ka siddhant janta tha. Isliye usne mantri pahlvan mahavat ko is prakaar agyaa dekar shreshth Yaduwanshi akrur ji ko bulaya aur unka hath apne hath mein lekar bola akrur ji aap to bade udaar hain.
bhumika ban rahi maharaj ki braj se bahar jane ki jo bahar se aae the. Akrur ji aap to bade udaar hain. [khansne ki aawaz] sab tarah se mere adaraniy hain. Aaj mera ek kam kar dijiye. Bhojwanshi aur vrishnavanshi yadwon mein aapse badhkar meri bhalai karne wala dusra koi nahi hai. Yah kam keval aap hi kar sakte hain. Aap mere mitra bhi hain aur maine is kam ke liye aapka aashray liya hai. Theek waise hi jaise indra samarth hone par bhi bhagwan Vishnu ka aashray lekar apna swarth sadhte hain. Akrur ji aap nand ray ke braj mein jaiye.
wahan vasudev ji ke do putr hain. Unhen isi rath par chadhakar yahan le aie. Bas aap itna kar dijiye. Deri nahi honi chahiye is kam mein. Sunte hain Vishnu ke bhrose jine wale devtaon ne un donon ladkon ko meri mrityu ka karan bataya hai. Abhi ladka hi samjh mein aa rahe hain. Putna agasur bakasur na jane kitnon ko nipta diya. Abhi iski buddhi mein balak hi nazar aa rahe hain. Yahan ane par pehle to kal ke saman koliya ped hathi se marwa dalunga. Ye to bachenge hi nahi. Yadi usse bach gaye to vajr ke saman majbut phurteele pahlvan mushtik chanur inse marwa dalunga.
aur unke mare jane par vasudev aadi vrini bhoj dasarwanshi unke bhai bandhu in sabko main apne hathon se marunga. Mera pita ugrasen ye to budha ho gaya parantu usko rajya ka lobh bana hua hai. Yah sab kar chune ke baad main uske devak ko aur dusre jo bhi hai sabko talwar ke ghat utarunga. Apne pita ko bhi, vasudev ko bhi aur samasth yaduvanshiyo ko. Mere mitra akrur ji phir to main hounga aur aap honge aur hoga nishkantak rajya aur aapko pata hi hai ki Jarasandh hamare bade budhe sasur hain. Vanar raj dwid mere pyare sakha hain.
sanrasur narkasur banasur ye mere se mitrata karte mera muhn takte rahte hain. In sab ki sahayata se main devtaon ke pakshapati naraptiyon ko markar prithvi ka akandak rajya karunga. Yah kalpna aur dekho hamari gupt baten hain. Hamne bata diya aur yah baten kisi ko batana nahi aur aap braj mein jao jaldi se Balram aur shri Krishna ko wahan le aao. Are abhi wo bachchhe unko mar dalne mein kya lagta hai? Keval itni baat kahiega ki dhanush yagya ho rahi Mathura mein uska darshan karne ke liye Mathura ki shobha dekhne ke liye aap chalo aur aap unko leva lao.
akrur ji ne kaha maharaj aap apni mrityu apna arishta dur karna chahte hain. Isliye aapka aisa sochna theek hai. Manushya ko chahiye ki safalta ho ya asflata donon ke prati sambhav rakhkar apna kam karta jae. Phal to praytn se nahi daivi prerna se milta hai. Manushya bade-bade manorthon ke pul bandhta rahta. Parantu wah yah nahi janta ki dav ne praarabdh ne ise pehle se hi nasht kar rakha hai. Yahi karan hai ki kabhi praarabdh ke anukul hone par praytn safal ho jaata hai to harsh se phool uthta hai. Kabhi pratikul hone par viphal ho jaata hai to shok grast hota hai.
par phir bhi main aapki agyaa ka palan karunga. Kans ne mantriyon aur akrur ji ko is prakaar agyaa dekar sabko vida kiya. Tadantar apne mahal mein chala gaya aur akrur ji apne ghar laut aae. Kans har samay bhay ke dwara bhagwan ka chintan karta tha. Wo raat mein nind nahi aati. Din mein jidhar dekhta to use shri Krishna nazar ate. Itna tanmay ho gaya tha. To isiliye shri Sukhdev ji ne kaha chahe bhay se chahe prem se chahe kam se rishedari natedari kaise bhi vrittiya bhagwan se jude to jeev bhagwan ko prapt hota hai.
shesh charcha age shri Radha vallabh lal ki jai
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)
sambandhi
- yamuna ji ka prakty, mahima aur aradhna ka adbhut phal // 10/11/26 — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam haditam madhupte smarta mugam nirvapay param shital mashyam nirvapay param shital mashyami param sacchidanand ghan Premanand swaroop navni nikunj…
- sarv papon ka nash karne wale shri giriraj ( Govardhan ji ) ki adbhut mahima // 09/11/26 — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta mugam nirvapay param shital mashyam nirvapay param shital mayam param shital maya param sacchidanand ghan Premand swaroop navni…
- divya Diwali maha mahotsav // 08/11/26 — param sacchidanand ghan premamart ras pravahi shri yugal sarkar ke atyant sukumar gaur saval charnarvind yahi hamare jeevan sarvasv hain. Yahi hamare param dhan hai. Yahi hamare sarvshresht sadhan hain aur yahi…
- in 10 dosho se pahchanen ki hamare bhitar paap hain ya nahi / gopiyon ki virah vyatha evam bhramargeet ka varnan — vrindavnesheshwari tav padarvindm prema makrand raso purnam had itam madhupte smarta mugram nirvai param shital mashyam param shital mashray param sacchidanand ghan Premanand swaroop navni nikunj mahmmahim…
- upasna mein badha dalne wale ye 6 dosh / Uddhav ji ka gyan aur gopiyon ka anannya prem // 06/11/26 — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam haditam madhupte smarta mugam nirvai param shital mayam param shital maya param sacchidanand ghan Premanand swaroop navni nikunj mahmmahim param pavan…
- santo ki kripa se prapt hoti hai aisi adbhut sthiti / Uddhav ji ko dekhkar brajvasyon ki virhadsha — Vrindavaneswari tav padarvindm premik makrand rasau purnam hadya pitam madhupte smarta mugram nirvai param shital mayam param shital maya param sacchidanand ghan Premand swaroop navni nikunj mahmmahim param…