॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

ekantik vartalaap evam darshan #1431

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

gyaneshwar ji Pune maharashtra se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji agar jagrit swapna aur sushupti avastha ye tino avastha parivartnshil hai to kya turyavastha in sari avasthao ko sthai chetna deti hai ya hai aur kya turya avastha ka anubhav hi atma ka pratyaksh anubhav hai. Kya yahi gyan marg se khud ko jaan sakte hain? Aise gyan marg aur bhajan marg mein mujhe kis tur avastha ko matlab jante ho? Bhai kisi baat ko jab tak ham jante nahi tab tak usko pramanit kaise kar sakte hain? Matlab jagrit ko to aap dekh rahe hain.

jagrit ka sthul sharir swapna ko aap dekh rahe hain. Tab jagrit ka vismaran sthul sharir ka vismaran aur sukshm sharir ka smaran. Sukshm sharir se swapnavastha hoti hai. Phir karan sharir karan sharir se sushupti avastha hoti hai. Jahan buddhi bhi leen ho jati hai. Turi avastha hoti hai. Buddhi leen nahi hoti. Buddhi jagrit rahti hai. Avastha jagrit rahti hai lekin wah paramatma mein sthit rahta hai. Kinchin matra na jagrit na swapna na sushukti na sthul na sukshm na karan wo atma swaroop mein sthit mahapurush turi avastha mein kaha jaata hai.

sthul se shreshth sukshm sukshm se shreshth karan se shreshth turi turi se shreshth brahm sukh brahm sukh se shreshth Baikunth sukh Baikunth sukh se shreshth Dwarika sukh Dwarika sukh se shreshth Mathura sukh Mathura sukh se shreshth Brajbhumi Brajbhumi mein gop Vrindavan goshtha Vrindavan jise kahte hain. Phir gopi Vrindavan aur phir ye nitya Vrindavan ye nitya vihar Vrindavan jo hai yah nirantar prem samadhi mein sthit rahne wale mahapurushon ka hai. To jo turi hai wah brahm sukh hai. Jagrit swapna sushupti tino se alag hai.

ab aap use kaise samjh sakte hain? Jab aap dehabhmani hai. Deh bhav mein sthit hai to turi ko kaise samjh sakte hain? Kyonki dehateet tino dehon se atit jo mahapurush hai wah turi avastha mein rahta hai. Jaise gadh [gala saaf karne ki aawaz] nidra mein kisi bhi tarah ka sankalp vikalp nahi hota. Gadh nidra mein nahi to swapna mein sankalp vikalp hote hain. Swapna ka drishya hota hai. Gadh nidra mein jaise aise jagrit avastha mein gadh nidra ki bhanti sansaar se soya hua lekin wo jaga hua hai. Gadh nidra mein jaise koi halchal nahi hoti andar.

aise gadh nidra ki bhanti jiske hriday mein koi halchal nahi hoti. Ki gadh nidra to tamogun se hai aur ye trigunnatt hai. Wo parbrahm paramatma mein sthit mahapurush turi hai. Turi ek sthiti hai jisko atma tatv prakashit karta hai na ki atma turi hai. Samjh pa rahe hain na? Turi ek avastha ek sthiti hai jo atma tatv mein tanmay hue mahapurush ki hoti hai. Atma tatv isse bhi alag hai. Sthul sukshm karan turi se alag brahm hai. Jo brahmaakar vritt use turi kahte hain. Vritti ko turi kahte hain.

jo brahmaakar sthiti use turi kahte hain. Atma ko turi thodi kahte hain. Brahm ko turi thodi kahte hain. Samjh pa rahe hain aap? Brahm se ek hote hain ham kyonki janna jab ham jante hain to je jane jag jae harai pahli jankari mein sansaar ka drishya aparan ho jaata hai ekmatra sarvam khalwidam brahm ne nanast kinch keval brahm hi virajman hai aur wahi brahm main hoon aisa brahm vid brahm bhavti wo brahm swaroop mein apne sthit ho jaata hai brahm ko ham jante nahi hai ham brahm hai janna hota hai dusri vastu ko ham aapko jante jante hain to dusri vastu ka janna hota hai.

apne ko apne aap se janna hota hai. Janna tumhen tumhen ho jae. Brahm swaroop apne sthiti mein rahta hai. Use turi avastha ko mahapurush prapt kahte hain ki wo turi avastha ko prapt hai. Jo ek second ke liye bhi kabhi sansaar mein nahi aata. Har samay brahmaakar vritti bani rahti hai. Sansaar mein khate pite chalte phirte sab kriyaen ho rahi lekin wo kinchin matra kisi kriya ka karta nahi hai. Kriyaen prakriti ki prakriti mein ho rahi hai aur wo paramatma mein sthit hai. Ab aur shastron ka swadhyay karo.

bhajan karo. Bina bhajan ke keval swasadhyay se baat nahi banti. Bhajan kuch naam jap karte ho. Haan khub khub naam jap karo. Jisse antahkaran pavitra hoga. Pavitra buddhi ke dwara ham aise dekhte hain anumanta jaise dal ke ek hath upar dekho chandrama dikhayee deta hai chandra shakha nyay aise wo buddhi ki pahunch nahi hai wo buddhi mein prakashit ho jaata hai buddhi ki wahan pahunch nahi hai wo tatv buddhi mein prakashit ho jaata hai jaise darpan mein ham nahi hai lekin darpan mein hamara pratibimb bhasne lagta hai aise maharaj ji mujhe naam jap aur bhajan se adhik main kaun hoon ismen zyada khichav hota hai.

haan to ye ye anubhav karne ke liye zaruri hai na swarupanusandhan bhakti rev garsi swaroop ka anusandhan karne ke liye bhakti shreshth hai. Naam jap bhagwat katha kirtan isse antahkaran pavitra hota hai. Agar yah nahi karoge to aise jaan paoge. Yah panch indriy ke pare hai to ham yah body yah jo sharir hai abhi tum samjh nahi pa rahe bachchan hamne kya kaha darpan mein ham nahi hai lekin hamara sharir kaisa hai darpan mein dikhayee de sakta hai ki nahi dikhayee de sakta hai agar darpan malan hai to nahi dikhayee dega to hamen darpan antahkaran rupi darpan man buddhi chitt ahankaar in charon ko pehle nirmal karna hai nirmal antahkaran mein atma swaroop ka pratibimb parta hai to pratibimb ke sahare swayam mein aa gaye yahi anand mein antahkaran samta ko prapt

hua yadachchha labh santushto dwandateeto vimatsara har paristhiti mein santusht koi bhi dwaand jiske hriday mein vyapta nahi man apman sukh dukh labhan ye pavitra antakran vimatsara koi irshya nahi koi matsarta nahi nirantar paramatma mein sthit to antahkaran pratibimb ki tarah hai usmen atma tatv ka bhasta hai to hi turant wo apne swaroop mein sthit ho jaata hai aur sthit swaroop mein main brahm hoon aisa nahi brahm hai main brahm hoon nahi brahm hai abhyaas ke liye main brahm hoon lekin brahm hai kyonki main aur tu ye mayakrit hai main aur mor todte maya yah bhi khatm ho jaata hai keval brahm to sarvam khalmidam brahm jo apni atma mein sabko dekhta hai aur sab mein apni atma ko dekhta hai wahi uttam gyani hai vidya vinay sampann brahmin gasta shapakecha pandita sam darshana wahi samdarshi gyani mahatma hai jo sab mein bhagwan ko dekhta hai aur bhagwan mein sabko dekhta hai apni atma ko sab mein sthit dekhta hai aur sabke sab svaroopon mein apni atma mein sthit dekhta hai ek hai

dusra koi hai nahi iske liye bahut bhajan karna padega bachchha raat din bhajan karte hue gunakshar nyay jo jaise gehun mein ghun lag gaya na upar khokhla bana rahta hai. Andar pura upar keval kawar rahta hai. Andar pura khokhla kar deta hai. Aise buddhi ke dwara paramatma tatv mein ghus jae. Raat din usi ka chintan bhojan pa rahe lekin main nahi bhojan pa raha. Is sthul sharir prannon ki kriya hai. Ek-ek chij ka gyan hona chahiye. Rup dekh raha hai. Bahut accha. Nahi ye panchbhautik rup dekhne wali indriyan aur man hai.

mana kastan indriyaan prakriti sthan main inka drashta hoon. Har samay sachet agar ek minute bhi chuk hua to mar degi maya mar de jo gyan kar chit apai aur bariyai vimoh bas kare gyan naam chet devi Bhagwati balada Krishna mohay Mahamaya prachchhati isiliye bhagwan ki sharan hua jaata hai guru aur bhagwan ek hi hai bina bhagwan aur guru ki sharan mein hue brahm bodh nahi ho sakta chahe pura vedant kanthsth kar lo chahe pure ved kanthsth kar lo anubhav jad chetan ki granthi jo hai nahi uska bhhedan nahi ho sakta wo chhut nahi sakti jad chetan granthi par gayi yadyap masa chutati

kathin isliye bhajan dainyta guru aashray mani sankhya guru parbrahm bas sawal hal ho jaega bas guru mein jab hamari drishti puri tanmayata ko prapt hui to akhand mandlakar vyaptam characharam tatpadam drishtam tasmai shri guruve nam samasth jagat mein mere Gurudev viraj jab wahan virajman to yahan bhi ab guru tatv rah gaya ek sawal tabhi hal mana jaega jab ek rah jaega ek ke siva kuch hai to abhi sawal hal nahi hua sawal hal tabhi mana jaega jab chahe bhakti se chahe gyan se jaise bhakti se to brahm nahi maya nahi jeev nahi kal apni hi sudhi na rahi ek rahe Nandlal aa gaya shesh ek bachna chahiye pure anant bramhandon mein sawal halta tab mana jaega jab ek bachna chahiye.

chahe use brahm kaho, chahe use Krishna kaho, chahe use paramatma kaho, jo kaho atma kaho wo ek bachna chahiye. Agar ek ke siva kuch bach raha hai to abhi tum hasil jodna bhul gaye. Jo hasil karna chahiye wo jodna bhul gaye. Arthat wo bhi paramatma swaroop hai. Ghor durachari bhi sakshat brahm hai. Yah anubhav hota hai gyani mahapurush ko. Durachaar kriya hai. Lekin jo atma swaroop hai wah to nirvikaar sacchidanand virajman hai. Isliye wah atma swaroop paramatma ko dekhta hai. Kriyon ko nahi jo kriyon ko dekhta hai wo agyani hota hai aur jo tatv drishti rakhta hai wo gyani hota hai.

yog vashishta bachchha jante ho uska swadhyay karo. Upnishad ki Upnishad haan Upnishad se zyada yog vashishta se samjh mein aayega kyonki bahut saral dhang se bhagwan Vashisht ji ne bhagwan shri Ram ji ko samjhaya hai ek bar sangopang yog vashishta padho bada labh milega usse bada labh milega theek hai shri narayan pedeeval ji Gujarat se Radha vallabh shri shri Harivansh maharaj ji maharaj ji pichle do varsho se aapka satsang evam ekantik vartalaap nit sun raha hoon. Dhire-dhire ab pura parivaar bhi aapko nit sunne laga hai.

parivaar ke yuvaon mein bhi aapke prati shraddha jagrit hui hai. Aapki vani se unke vicharon mein parivartan bhi hai aur nai urja aur disha mili hai. Maharaj ji mera ek prashn hai. Kisi bhi rishte mein ahankaar eego aur swabhiman matlab selpha rispekta mein kaise fark karen? Aaj pura vishv aapko sunta hai. Aap swabhiman ko ham jaan nahi paye. Isliye ham swabhiman ko dehabiman ko hi swabhiman samjhte hain. Apni kul, apni jati, apne pad, apni pratishtha ko ham swabhiman samjhte hain. Swabhiman shabd param pavitra hai.

swabhiman ki raksha karni chahiye. Par swabhiman ka matlab sharir ko lekar nahi hai. Swatatwa ko lekar hai. Swatatwa atma ko kahte hain. Shankar sahaj sva rup samara lag samadhi akhand apara sva atma tatv ko lekar ke hai. Bhagwat tatv ko lekar ke hai. Swabhiman ham ya to kisi jati paksh ko lete hain ya kul dharm ko lete hain ya rashtr paksh ko lete hain. Koi na koi ham paksh lete hain. Lekin sva ka sahi arth hai atma swaroop. Atma swaroop ham atma swaroop arthat bhagwat marg ke virudh nahi chal sakte use abhiman nahi kahte jaise as abhiman jai jan more main sevak Raghupath pati more Siyaram ji mere pritam hai pati hain Swami hain aur main unka sevak hoon ab main dharm ke virudh nahi chal sakta ham ahankaar use kahte hain jismen main ke age koi lage jaise main amu main ke age jo tatv main shuddh brahm hai uske age jo shabd lagta hai use abhiman kahte hain lekin lekin swabhiman jo kahte hain wo atma tatv ko lekar sva atma ka naam sva bhagwan ka naam hai.

ham dharm ke virudh nahi chal sakte. Use swabhiman kahte hain ki ham dharm jaise jab muglon ne aakraman kiya to swabhiman ki raksha ke liye hamare sanatan dharmiyon ne swayam atmhtyaa kar li. Gala katwa liya lekin vidharma ko sweekar nahi kiya. Yah hai swabhiman. Kyonki wah paramatma tatv dharm se lekar ke juda hua hai. Uska sharir sambandh se nahi hai. Agar sharir sambandh se hai to wo kulabhiman hoga. Wo jaata jati abhiman hoga. Wo vidyabhiman hoga. Wo dhanabhiman hoga. Wo padabhiman hoga. Ye nindniy hai.

yah dharm ki taraf se nindniy hai. Lekin apne dharm ke liye jaise ab hamara dharm hai sanatan. Ab sanatan dharm hamara swabhiman hai. Lekin sanatan dharm kitna mahan hai isko dekhna hoga. Sanatan brahm hai, sanatan vayu hai, sanatan prithvi hai, sanatan jal hai, sanatan shri Krishna hai, sanatan shri Ram hai. Ham apne is dharm ke palan ke liye pran tyag denge to hamari sadgati ho jaegi. Swabhiman jagtiik prakritik prapanch ko lekar ke nahi wo abhiman hota hai. Aur jo bhagvatik dharm ko lekar hota hai use swabhiman kahte hain.

jaise ham apne dharm ki raksha ke liye pran tyag denge. Chahe jitna kuch ho jae ham dharm bhrasht nahi ho sakte. Hamara chahe gala kaat diya ise kahte hain swabhimani purush hai. Abhimani purush kahte hain use jo anya baton ko prakritik baton ko lekar garv karta hai. Lekin ye swabhiman to bana rahna chahiye. Is swabhiman par chot ane par hamen sahan nahi karna. Dekho jis samay ven bhagwat mein katha hai. Usne adharmacharan ki dhoom macha di. Rishiyon ne jakar samjhaya unko ki aap raja hain. Raja ka kartavya hota hai praja ka palan karna na ki shoshan karna.

aap praja ka is tarah hani kar rahe hain. Bhagwan ki ninda kar rahe hain. Apne ko bhagwan man rahe hain aur praja ko galat raah dikha rahe hain. Aap sudhar jao. Jab nahi sudhre to sankalp ke dwara tatkaal mrityu ki aur phir mrityu karke unki bhujao ka manthan kiya jisse bhagwan prathu aur archa ka avatar hua. Shrimad bhagwat mein likha ye hai swdharm. Lekin anya prakritik pado ko lekar balon ko lekar wah abhiman hai. Wah nindniy hai aur yah bandhneey hai. Aap samjh pa rahe hain? Lekin parivaar mein swabhiman aur ahankaar in donon mein fark wo usi ko swabhiman samjhte hain.

main pita hoon. Tum hamare putr ho. Wo dehabiman ko lekar ke hota hai. Main tumhara bada bhai hoon. Main amuk hoon. Main amuk paddhikari hoon. Wo sab dehabiman ke antargat aata hai. Wo swabhiman ke antargat nahi aata. Swabhiman ke antargat dharm aata hai. Dharm bhagwan ye sab swabhiman ke antargat ate hain. Aur jab ham prakriti mein agar swabhiman len to ham bhartvassi hain. Ham apne rashtr ke liye phansi ka fanda sweekar karte hue mahapurushon ko dekha hai. Jinhone prannon ki ahuti de di.

hamare desh ke tirange ki raksha ke liye. Yah bhi swabhiman ke antargat aayega. Kyonki apne prannon ko nyochhavar karke dharm ki rashtr dharm ki raksha ke liye to yah bhi ek abhiman vande matram bol ke phansi ka fanda chumkar bhagat sinh aadi jab Chandrashekar ajad ji ne dekha hamare paas goli nahi rah gayi to apne ko suit kar liya apne rashtr ke liye apne dharm ke liye swdharm ke liye usko swabhiman ye jo personal sharir sambandh ko lekar hai yah prakritik abhiman ke antargat aata hai jo pariviarik sambandho mein use swabhiman nahi kahte use use abhiman hi kahte hain.

use sudharna chahiye. Uska apna nirakran kaise karen? Us samay nirakran bhajan ke bina nahi ho sakta. Agar bhajan hriday mein hai to abhi jaise inse kaha dwandwati to man apman mein sam rahna stuti ninda mein sam rahna tiraskaar namaskaar mein sam rahna labhhani mein sam rahna sukhdukh mein sam rahna jai parajay mein sam rahna sukhadkhe samay krtva labha labho jayajo iske liye hamko bhajan ki himmat chahiye jab ham bhajan karenge tab ham ab ham dekh rahe hain samne wala apman karta chala ab ham shant ho gaye Radha Radha Radha shant koi uttar nahi.

maun yah kshamta hoti hai. Ise bal kahte hain. Yah adhyatma bal ke dwara saha ja sakta hai. Anytha to bahut kathin hai. Ek do shabd ke baad hamare andar krodh aa jaega aur krodh ate hi hamari smriti dhak jaegi. Smriti dhakte hi vimudhta ate hi gali galauj marpeet ye sab shuru ho jaega. To hamen lagta hai naam jap karke adhyatma bal ko ham hriday mein dharan karen aur gambhir bane. Use swabhiman nahi kahte. Swabhiman dharm rashtr bhagwan atma swaroop ko lekar ke hota hai. Sva shabd atma swaroop ke hain. Swaroop swaroop atma ko kahte hain.

shankar sahaj sva rup sambhara lag samadhi akhand apara sva bhagwat tatv ko kahte hain. Sahil ji Haryana se Radhavallabh shri Harivansh maharaj ji maharaj ji prabhu ke shri vigrah mein to bhagwat bhav ho jaata hai par sabhi mein nahi kar pa raha maharaj ji isse man bahut vichlit rahta hai maharaj ji haan bhajan karo bhajan karo jab antahkaran pavitra hoga tabhi samjh mein aayega accha yah vichar karke batao ham tum hi se tumhare mein puchte hain tumne apne ko jana kya to aap socho aapke kitne bade gyani ho ab sab mein bhagwan ko janne ke liye pehle apne ghar mein to dhundna chahiye.

ham dusron ke ghar mein tab dhundhe jab apne ghar mein mil gaya ho. Apne hriday mein aap vichar karo aap kaun hain? To aap shisha se dekh ke kah sakte hain ki main yah to dhancha hai. Ye aapka ghar hai jismen aap rah rahe hain. Aap kaun hain? Ab iska uttar agar bodh hai to hai nahi to uttar nahi. Kisi ke paas uttar nahi iska. Sab isi par ghum rahe hain. Jitna charachar jagat hai sab deh bhav ko lekar ghum raha hai. Deh ke pare jo atma tatv hai usko wahi paramatma hai. Power jaise chhota sa pankha ek bahut badi mashin hai. Ek light ab pankhe mein light nahi hai.

usmen light halogen mein hai. Agar agyani hai to kahega bijli to chamakti hai. Ismen bijli kaise ho sakti hai? Accha bijli to hawa deti hai to heater mein garmi kaise de sakti hai? Nahi yantron ke karan bijli ka prabhav alag-alag ho jaata hai. Lekin sab mein power bijli hai. Aise koi mahatma hai, koi duratma hai, koi nich hai, koi oonch hai, koi dusht hai, koi stri hai, koi purush hai. Ye sab karan hai. Jaise pankha hai, hydrogen hai, AC hai, heater hai. Ye karan hai. Lekin inme power jo hai wo rama hua Ram hai.

wo paramatma hai. Sab mein jo rama hua hai wo Ram hai. Wahi paramatma hai. Usi ko jo jaan gaya wah gyani aur nahi to sab agyani isi ko dekhne wale to sab agyani jo usko jaan gaya wah gyani jo us paramatma ko jaan gaya paramatma ko janne ke liye bahu naam janm navte gyanvan mam prapaddyate vasudeva mahatma sud durlabh wo mahatma bada durlabh hai is sansaar mein milna jo sab mein paramatma ko dekhta hai Siya Ram mein sab jag jani karo pranam jo jug pani sab mein prabhu to naam jap karo shastron ka swadhyay karo, santo ka sang karo, mata-pita ki seva karo, dusron ka paropkar karo to hriday pavitra hoga.

pavitra hriday se dekha jaata hai sab mein. Sab mein bhagwan ka darshan jiska hriday pavitra hota hai wahi kar sakta hai. Isliye khub naam jap karo. Theek hai. Samjh pa rahe ho? Theek hai. Haan. Theek hai. Maharaj ji agar ham naam jap kar pa rahe hain. Matlab ye prabhu ki ichchha hai. Bahut badi kripa hai prabhu ki. Bahut badi kripa hai ki naam jap kar Harivansh kripa Harivansh kahe Harivansh kahe Harivansh lahe Harivansh sulabh sada tinke sukh sampatti dampati jo jinke jo prabhu ka naam jap karte hain prabhu ki kripa se wo bol pa rahe hain aur prabhu ki kripa se jo naam jap karte hain wo nischay prabhu ko prapt hote hain.

naam se badhkar ke kuch nahi. Naam bahut mahan hai aur is kalyug mein to aur sadhan hai hi nahi. Naam hi pradhan sadhan hai jiske dwara ham bhajan karke bhagwan ki prapti kar sakte hain aur sab sadhno mein man lag sakta hai lekin naam mein nahi lag sakta ek naam ko nirantar kai ghante lagakar man dekho ghante kya minute lagakar dekho bhagta hai man ek naam le liya guru mukh se jo naam milta hai usi naam ko ramaya jaata hai naam swas do bilak chalat hai inko bhhedan moko bhave swas naam he swasa naam swas ko bhed mitave rom rom jab rag rag bole tab ka swad naam ko pave jab swas aur naam ka bhed mit jae jaise hamari swas bina prayas ke aa ja rahi aise naam prayas ke chal raha hai aur phir rom rom ragar rag anand se pulkit hokar jab naam to mahapurushon ne naam ke bal se bhaykar kashto ko bhi sahaj mein muskurate hue saha hai.

kisi bhi charit mein chahe Pralhad ji ho, chahe guru arjun dev ji ho, chahe guru teg bahadur sinh ho. Bade-bade mahapurushon ne naam ke bal se naam ki samarth se muskurate hue aise kasht sahae jo dusra nahi sah sakta. Wo keval siddh purush hi sah sakta hai. Wo keval guru hi sah sakte hain. Wo keval bhagwan hi sah sakte hain. Wo bhagwan ke rup mein hi hai. Wo bhagwan hi hai jo us rup mein aae nahi thi. Itni samarth aur kisi sadhno mein nahi dekhi gayi. Jaise in mahapurushon mein dekhi gayi. Vaibhav Garg ji Delhi se maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam.

maharaj ji jab ham bahut samay se kisi karya ko karne ka prayas kar rahe hain aur wo anek prayason ke baad bhi purn na ho pa raha ho. Ant man se aisa anubhav ho raha hai ki sambhwat hamne koi truti ho gayi hai hamse. Aisa nahi aisa nahi hai. Hamara purv ka koi praarabdh karm aisa hai jo hamen safal nahi hone de raha. Hamen aur bhajan badhana chahiye. Naam jap karna chahiye jisse ham us praarabdh karm ko nasht kar sake jo hamari safalta mein badha pahuncha raha hai. Bhagwan yahan is beech mein bhagwan ko na lave. Yah hamara koi praarabdh karm hai jo bar-bar ham safalta ke liye prayas karte hain aur mujhe asfal kar deta hai to mujhe naam jap badhana chahiye.

naam jap se us praarabdh ko dabakar ham safalta ko prapt karen. Bhagwan mano aise hain jaise pita ne kheti de diya aur bij de diya. Ab aap kya bote ho? Kheti aapki, bij aapka, aap jo boge wah aapko milega. To bahut janmon se hamne galat bij boe hain. Paap karm kiye hain. Is janm mein bhi kiye hain. Dekho na dhyan se agar dekho to is janm mein bhi paap karm kiye hain. Ab wo jaenge kahan? Hamko dukh denge. Dukh tabhi hoga jab asfal honge na. Vipatti tabhi hogi jab hamari safalta nasht hogi. To hamko chahiye ki hamen itna sukrit ekatrit kar lena chahiye ki purv ke patit praarabdh ko ham nasht kar sake.

gire hue praarabdh ko ham nasht kar sake nahi hamen nasht kar dega. Naam jap hai. Shastron ka swadhyay hai. Kuch stotr hain. Kuch jaise kabhi teerthayatan dham aa gaye. Haridvar chale gaye. Ganga snaan pavitra kabhi paropkar dusron ka hit kar diya. In sab punyeon ke bal se ham purv ke praarabdh ko daba sakte hain aur safalta prapt kar sakte hain. Anytha purv ka agar prabal praarabdh hua to lakh upay karo tumhen har hi pahunchaega tumhen gira hi dega. Aise dekhe jaate hain zyada prayas nahi karte ho.

badi safalta milti hai unko. Unka purv ka punya kam kar raha hai. Yadyapi wah vartman mein paap kar rahe hain lekin unko safalta mil rahi kyonki purv ka punya kam kar raha hai. Yadyapi aap dharm se chal rahe hain lekin aapko asflata mil rahi kyonki aapka paap ka sanyog aapko gira raha hai. Yahi kram hota hai. To logon ko ismen bhram ho jaata hai ki wah to paap karta hai. Bade mauj se rah raha hai aur ham dharm se chal rahe hain. Bada dukh bhog rahe hain. Aisa nahi. Dharm aaj ki kheti hai aur purv ka paap jo aapne kiya purv ki kamai is samay aapko pareshaan kar rahi hai to usko parast karne ke liye bhagwan naam jap karo naam japne mein nirantrta nahi aa rahi aur jo naam chhorne se honi chahiye wo nahi ho to kahin na kahin kisi sukh mein ham raji ho rahe hain.

koi aisa sukh dhundho hriday mein jismen ham raji ho rahe hain. Nahi to vyakulta tad smaran param vyakulte sanskrit mein kaha gaya hai ki apne paramatma ka apne ishwar ka jo naam ham jap rahe hain uske chhutne par itni vyakulta honi chahiye jaise machhli ko pani se nikal ke bahar kar de to tadpne lagti hai agar ham hamare andar aisa nahi ho raha to ham kisi sukh mein raji hain wo indriy sukh mein netrendar vak indri rasendriy shravnendriy jnendriay kisi na kisi indriy sukh mein ham raji hain hamen sukh mil raha hai kisi indra indra sukh ka isliye yah lakshan nahi aa rahe.

agar un indriyon ke sukho ka tyag kar diya jae to abhi vyakulta rona ane lagega. Ek kshan ke liye chhutne par lagega kya chahiye jo chhut gaya? Kiske liye chhut gaya? Kyon chhuta? Apne aap se itna jhakjhor ho jaega. Itni ladai ho jaegi apne aap ki kyon chhoda? Chahiye kya? Kya is paramatma ke chintan se badhkar koi baat hai? Kyon chhoda? Man se ladai ho jaegi aur man asantusht ho jaega. Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha wo aur vyakulta paida ho. Agar kisi indriy jan sukh ko ham bhog rahe hain aur ham man rahe hain ki sab theek chal raha hai to wo balance banta rahega lekin vyakulta nahi aayegi.

wo antray banta rahe. Jaise naam se badhkar kuch nahi. Ab agar hamko koi rupaye de aur hamse panch minute naam chhudrva de to naam se badhkar rupya ho gaya na. Naam chhota ho gaya. Ab accha bhojan kisi ne diya ham bhojan pane mein raji ho gaye aur naam chhut gaya to bhojan bada hua na naam chhota ho gaya abhi ham naam ko sarvo par virajman nahi kar pa rahe yadi sarvo par virajman kar le to kisi bhi sthiti mein naam nahi chhutega to iske ek upay agar aap kar sake to karen kisi ek bindu par netron ko aise karke koi ek bindu rakh lijiye kisi bhi jagah ham bindu man sakte hain samne samne aise baithe aur ek bindu rakh liya koi bindu aur us par wo naam likh liya manas se aur usi par bas aise ab bar-bar naam chal raha hai ham ekaagr ho rahe hain ise tratak kriya yog mein kahte hain tratak kriya ankhon mein jab jalan hone lage phir ankhen shant karke aise mund lo aansu pravah niklegaa aansu nikalne lagenge wah bhav ke nahi wah prakriya ke phir khol lo aise phir naam chalao aise aur shwas ki gati lambi khinche lamba shwas jae matlab 10 20 naam bar-bar naam chal raha isse ekagrata sanchit hogi.

ekagrata sanchit hogi to ham phir 24 ghante uska prayog kar sakte hain. Panch minute aap agar yah sadhan karen to 10 12 ghante to chalega. 10 12 ghante prayog hoga. Jaise ham mobile charge karte hain na aise ekagrata hai aur jab aap sadhan par baithe to 10 bar kam se kam agar aap kar sake rokna nahi hai. Baye se khinche bhrpur daen se nikal de. Daen se khinche baye se nikal den. Aap ek mahina yah karke dekhiyega. Yah 10 svase dekho. Kuch nahi hai ismen jo hi pran hamare andar ek sushmana nadi hai jo band padi hai agar wah khul jae to antray naam ka khatm ho jae isse 10 bar aise karenge aur ekagrata ye karenge aur naam likhne ki prakriya karenge aap ek mahine kariega phir aap bataiega ki aapko kaisa lagta hai aur jo indriy sukh mein man raji ho usko hataiega jismen man prasann ho wo abhi abhi aap dekho abhi aapko dikhayee dega ki bhajan ke baad kis mein man raji hota hai.

kuch dekhna kuch bhogna kuch sunna kuch chakhna kuch khana usi par ankush kar lo jo hai ki ab bhajan kar lete hain. Phir ye jo aapko accha lag raha ho wahi usi mein indri phas rahi hai. Use hatane ki koshish karo. Bhojan niras bhajan saras. Bhojan saras bhajan niras pakka samjh lo. Mahapurushon ne bhojan niras paya hai tab bhajan saras hua hai aur jiska bhojan achhche-achhche prakaar ke padaarth bhajan mein man nahi lagega bhajan mein antray par jaega alphar asan par baithkar ke aur shwason ki prakriya theek karke aur phir baithkar ke naam ka dhyan karo wo ghanton chalega dhyan aise chalte phirte bhi chalega kyonki wo nasha chadh jaata hai wo nasha chadh jaata koi baat chal rahi to usi mein khinch gaye koi drishya dekha usmen khinch gaye koi ghatna ghati wahi chintan mein ane lagi.

isliye in chintnon ko bachaie aur aisa abhyaas kijiye phir dekhiyega.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

Related

  • ekantik vartalaap evam darshan #1441 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • brahm gyani mahatma apna sharir chhota hai to uska sukshm sharir kahan jaata hai? — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1440 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • diwali par maharaj ji ke amritmay vachan | Diwali Special — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1439 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • ye 9 galtiyan aapki puri sadhna bigad sakti hain — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…