kin karanon se hota hai swapnadosh aur use rokne ke achuk upay - shri hit premananda Govind sharan ji maharaj
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
maha madhuri sharan Baba sher maharaj ji ham sab sadhako ki taraf se ek prashn hai ki koi bhi brahmcharya nash ki kriya na karne par bhi kuch dino mein brahmacharya ksheen ho jaata hai swapan dosh ho jaata hai ji phir ham bahut chintit hote hain yah kyon hota hai isse bachne ka upay kya hai swapna dosh hone par bhi kya ham brahmachari hain is vishay mein ham janna chahte hain ki ham kya karen jisse swapna dosh na ho ji hamne jo paramhansh sthiti ko prapt mahapurush hai unhin se balyvastha mein jab ghar se nikle the to kuch samay baad y prashn kiya tha najabgadh sthan ganga kinare hai shri onkaranand Saraswati ji unka naam tha wah antar dhyan ho chuke unse prashn kiya tha ki maharaj ji koi bhi shareerik kam cheshta na hone par bhi upasak ke sharir se jo veeryapat hota hai kya uska brahmcharya ksheen mana jaega yadi ksheen mana jaega to kyon nikalta hai jab uski koi kriya nahi use kaise roka ja sakta hai to jo unhone bataya tha us samay sadharan shabdon mein veer do tarah se nikalta hai ek to
jo ghatak hai wo usi ke sharir se niklegaa jisne hastmaithun kiya hai ya gandi kriyaen karke bachchha pan se hi veeri ko nasht kiya hai jaise 12 1 varsh ki avastha hai aur us avastha se aap apne kusang ke karan veer ka nash kar rahe hain to kuch varsho tak hast maithun karne wala ya anya gandi cheshta karne wala yah nahi jaan pata hai ki iske dwara meri hani ho rahi wo nahi samjh pata kyonki jivni shakti bhagwan apni taraf se dete hain wo bilkul khae aur hast maithun kare to bhi usko samjh mein nahi aayega kuch samay ke baad jab uski sthai jivni shakti se ksheen hona prarambh ho jaega tab use wo lakshan jo hast maithun karne se nash aise us prasang mein bataya gaya wo lakshan uske jeevan mein utpann hone lagte hain ab yadi wah kisi sang ke prabhav se hast maithun band kar deta hai to uska veeryapat hoga agar wo teen din mein veeryapat karta raha hai to teen din mein veeryapat hoga pakka hoga kyonki uska abhyaas ban gaya hai do tarah ka ye veer pat mana jaata hai ek jaise aap theek dincharya se chal rahe
hain aapka khanpan sanyam sab theek pahli baat to yah hai ki jisne kabhi hast maithu nad ke dwara veer pat kiya hi nahi uska asli virya kabhi pat hoga hi nahi baat pakki samjh lena ye jeevan ke anubhav ki baat karhe hain ismen matlab kyon ma lagane ki zaroorat nahi aap khud dekh lijiega yadi aapne kabhi hast maithun nahi kiya kabhi kisi bhi tarah se janadri ka gharshan karke veeryapat nahi kiya to aapki wah santan utpatti ki kshamta wala jo vastvik virya hai wah swabhavic nikal hi nahi sakta yadi aapne marg
de diya hai phir uske nikalne ka marg ho gaya hai to ek hota hai paramhansh ji ne bataya ki ek hota hai ki aap so rahe hain aur aapko bilkul pata nahi matlab bilkul koi kam ka sankalp nahi koi krida nahi aap jage aapko aisa laga ki veeryapat ho gaya wah dosh nahi hai jaise jab ham gur banate hain to usmen ganda phen nikalta hai upar patai kahte hain ganv mein jaise arhar ki daal jab uba jati thi ganv mein to upar uska phen nikalta hai aise hi yah sharir ka vikar nikla na ki brahmcharya nasht karne wala
virya bahut dhyan purvak sunne layak sh sak ko usmen pareshaan nahi hona aapko bilkul pata nahi chala koi cheshta nahi hui kisi bhi tarah ki harkat nahi hui aur aap jage aapko laga ki wo hamare vastr gande ho gaye to wo aap brahmachari hi hai aapke brahmacharya ka nash nahi hua wo jivni shakti nahi nikli aur aap hast maithun ya anya kriyon dwara veer pat karte rahe aur aaj aapne rok diya ki aaj se nahi karunga to band nahi ho jaega wo chalega agar aap theek niyam se chalenge to chha mahina lagenge aapko usko kawar karne mein chha mahina lagenge agar aapne pramad sthiti ki va to nikal hi jaata hai phir hamko karne se kyon mana kiya jaata hai to aap dekh lena kuch samay baad aapki halat bahut gambhir ho jaegi jo aap bata bhi nahi payenge kisi se kya gambhir ho jaegi aap aise hi sadharan kriyon mein brahmcharya hin ho jaenge aise hi chhue waise aap brahmcharya hin ho jae yah ham sab mahapurushon ke anubhav aur mile hue logon se saikadon log aise milte hain jo apni sthitiyon ko batte hain to jo sant
mahapurushon ne jeevan mein anubhav kiya hai uske adhar par pehle sadhak ko chahiye ki yah dekh le ki hamare dwara koi hast maithun aadi kriyaen jo nindniy kriya wo to nahi ho rahi ek hamare andar manyata baith gayi hai ki veer chharan mein hi anand hai yah sadhak ko chodna hoga kya tumhara jeevan ka anand keval itna hi hai ek bhagwat vidhan hai jab aapka byah ho to santan utpatti ke liye wo marg tab tak aap brahmachari rahe kya itne indriyon ke gulam ho gaye kya itna hi keval aapne sukh samjh liya to phir aap aap dekhna ki age aapko yah man kis dasha mein pahuncha deta hai to jo nau yuvak jan hai sadhak jan hai veer pat mein yadi unka koi smaran nahi raha aur veer pat ho raha to ghabrane ki zaroorat nahi aur yadi swapna mein aapne stri aadi ka sanyog dekha ya koi aisi gharshan aadi kriya hui ya koi aisi kamo utejna janit aur phir aapka veeryapat hota hai to aapke gande vichar aur purvabhaas ke karan hota hai yah bahut hi gandi bimari hai jo aapko andar hi andar khokhla karti jaegi yah jo shukra pat veer
pat veer skhalan swapna dosh jise kaha jaata hai ye dah ki veer pat aur vyyadh ki veeryapat dah ki veeryapat jo swabhavic ho jaata hai usmen bilkul aapki hani nahi koi dosh nahi aur jo ye vyyadh ki veeryapat hai yah bahut hanikarak hai y aapke jivni shakti ko nasht kar dene wala hai isliye isse savdhaan rahe sabse pahli baat aise logon ka kadpi sang na karen jo hast maithun karte hain jo aise logon ka kadpi sang na karen jo gandi tarike se virya ka nash karte hain virya santan utpatti ke liye shastr adesh karta hai manoranjan ke liye nahi yah mano ye jivni shakti manoranjan ka bhi bhag nahi hai pahli baat is swapna dosh se nikalne ke liye hast maithun ko purnta band kar diya jae agar aap sad grihasth bhi ho chuke hain to kuch mahine ke liye aap akhand brahmcharya ka niyam le jab tak aapka veeryapat hona theek na ho jae aap hanikarak jo kamo tejna badhane wale bhojan hai unko chhodie jaise atydhik namak bahut kadvi lal mirch aur jaise bahut hi meet masala aadi jo bahut hi kadva teekha aisa garm masala
aur bilkul garmagram bhojan yah aapke swapna dosh ke theek hone ki baat hai yadi aap swapna dosh se bachna chahte hain to atydhik namak bahut kadvi mirch bahut hi va ushna garmagram bhojan bahut garm masale se bana hua bhojan aur atyant khatti chatni jaise imli ki hai kachu aam ki chatni hai aur mans ye jo log kahte hain ki mans takatwar hota tumhare charbi badha dega takat nahi takat kahte hain sankalp shakti ko takat sharir shakti pradhanata nahi hoti sankalp shakti ka ek mahatma pure samudra ko anjuli mein pi gaya dekho sankalp shakti sharir ki shakti ek simit shakti hai sankalp shakti ek mahan shakti hai jo brahmcharya se yukt hota hai uski sankalp shakti badhti hai bhale aap mans khakar moti charbi aur aap vyayam karke dikha sakte ki dekho main brahmcharya ksheen karta hoon lekin balvan hoon lekin aap atma shakti hin hai wo aapka mota ho jana balvan nahi hai aapke sundar sundar mans peshiya nikal ana wo bal nahi hai aap shakti balvan wo hai jo aae hue antarik vego ko sah jae aae hue antarik veg ko jo sah
gaya wahi balvan hai ye jo machhli anda mans khate hain yah kabhi is rog se mukt nahi ho payenge aur jo log kahte hain main to khata hoon mere andar nahi vishwas mat manna pakka jhutha hai wo jo sharab pita hai wah apne virya ko pavitra nahi rakh payega chahe grihasth ho chahe vyapari ho chahe kisi bhi tarah ki sthiti mein ho savdhaan ho jao yah sharab aapke jeevan ko nasht kar degi brahmcharya mein apne aap ek anuvad hai aap dekho jin bachchon ne brahmcharya chherd nahi kiya hai unko dekho kaise uchhalte hain kaise kudte hain bijli ki tarah unke sharir mein sfurti hoti hai ek unmat hai gate hain kyon wo unmad paida kar raha hai brahmcharya anand ka unmad aur jo brahmcharya ksheen kiye hote makkhi udae nahi udti age dekh lena khud aap dekh lena jo adhik khatte padaarth adhik tle padaarth lahsun pyaaj ke bane hue padaarth aur basi khatta dahi basi bhojan tikta padaarth bhune hue sukhe padaarth aur yah jo khatte phal hain inko khaya jaega to swapna dosh nahi theek hoga kyonki yah sab veer shakti ka ksharan
karane wale patla kar dene wale aap jaise bahut garmagram paie bahut teekha paie to aapke andar kamo tejna paida hogi aap jaan nahi payenge chintan banega aur veer skhalit hone ka sanyog ban jaega aap satvic bhojan karen jaise doodh hai gehun ki roti hai thoda sa gay ka ghee hai thoda makhan hai soth hai moong ki daal hai ubli hui aloo hai kela hai taja dahi hai aur thode taje yey badam aad bhi agar aapko zaroorat lage to aur sundar chaval ghee chini ye ye jo matlab satvic ahar hai aur bahut swadisht banta hai aisa koi na samjhe ki pyaaj lasun aur masala masula na pare to accha nahi lagta aap kaisi baat kar bilkul swadisht ke aap chatte chale jao aise aise aise swadisht thoda angur mithe santra sev anar ye swasthyavardhak vastue aap le sakte hain lekin aise vastu jo aapke brahmcharya ko nasht karen yah pehle bhojan chode dhyan dijiye aap pehle aise vyakti ka sang chode jo hast maithun karane ke liye utsahit kare ya jo gande aacharan mein chahe wo stri sadhak ho ya purush sadhak donon savdhaan yah rog ek
mein hi nahi hota yah rog donon sharir mein hota kamottejna donon ko aati hai gande sang ke karan donon sadhak gandi aacharan kar baithe donon is rog se pidit hote hain purush to is rog ko prakt kar deta hai matayen bahne is rog ko prakashit nahi kar pati lekin pidit hoti hai is rog se yadi savdhaan upasak na chale to chahe stri sharir ho chahe purush sharir usko kasht hota hai dusri baat ismen sahyog hai char baje uthna yah jo log subah 8 baje tak 9 baje tak sote rahte hain aur sochte rah dete hain ki
ham brahmcharya rah payenge ya swapna dosh se nikal paye kabhi nahi ho sakta bhagwan surya jab uday hote hain to aapki atma shakti nasht hone lagti hai yadi aap uth kar ke unka swagat na karen argh na de pranam na karen jagak bhagwan naam jap na karen 4 baje se 6 baje tak ka samay pure 24 ghante ke liye power wala samay hai yadi us samay aap so rahe hain to hamari baat bhi na sune wo is kabil nahi ki isko dharan kar sake jo subah 4 baje se 6 baje tak hoega brahmachari rah hi nahi sakta rah hi nahi sakta pakka kuch logon ko lagta hai ki ek do baje hi swapna dosh ho jaata hai 4:00 baje ki avshyakta nahi tumne galat adte ki tumne apni nas nadiyon ko itni itni gharshan shakti se kamzor kar liya hai ko rokne ki kshamta nahi rakhi to aapko udas nahi hona aisa bhojan chodo aisa sang chodo aur 4 baje jago jagne par tatkaal aap basi pani piye tam ke tambe ke patr mein rakha hua pani aur do liter piye aisa na karen ki aap ek glas mein chhota kas ki pijiye agar ulti ho jati to aur accha hai aap pi ke to dekhiye
vajrasan mein baithkar jal pijiye phir thoda tahal soch jaiye aap grihasth ho virakta ho koi bhi ho agar aap shuddh brahmcharya rahna chahte swapna dosh se nipatna chahte tatkaal vyayam kijiye 30 minute kam se kam dand hai baithak hai aur bhi asan hai yogiyon ne batae hain aur phir 20 minute kam se kam pranayam kijiye kapal bhati anulom vilom aadi jo bhi aap seekh paye aur iske baad 30 minute tak koi khanpan na kijiye pranayam vyayam ke 30 minute tak na aap chai pijiye na pani pa chai to bade budhon ki baat hai aapka sharir rogi ho to chai ki zaroorat kya hai brahmachari apne aap mein itna chai hota hai ki use zaroorat hi nahi dusre kisi garm padaarth pane ki to subah 4 baje uth karke aisi dincharya pranayam vyayam jarur karen jarur jitna bhajan avashyak hai utna yah bhi avashyak hai to uske brahmcharya ko sambhalne mein chha mahine lagenge ab ye savdhani rakhen ki jaise aajkal bahut bada khtrnak chal gaya hai smart mobile intarnet usmen kya hai ki bahut se bachchhe vishay akarshan ke karan gandi filmein jinme hamara
shastr adesh karta hai kisi bhi pakshi ko bhog karte na dekhe bhagwat anya shastr bhi adesh karte koi bhi jeev yadi bhog kar raha ho to ham na dekhen aur ham manushyon ka bhog dekhen usmen aur ham soche ki hamara aap koi kriya na karo keval gande wo bhog sambandhi chitra dekh lo to aapke man mein jo sanskar ban rahe hain jo kamottejak bhav ban rahe hain wo aapko brahmcharya nahi rahne denge sote jagte uthte baithe aapka veer skhalit ho jaega isliye sadhak bahut shighr aise mobile ko tyag de agar na tyag pave wah kamottejak chitra dekhne se to us mobile ka sadharan 2000 wala le lo agar phone ka kam do char mahine to aisa karke dekho phir aapka man sanyam mein ho jae to aap bhale rakh lena lekin agar aap wo dekhte rahe gande chalchitra jo kriyaen bhog ki kar rahe to aapko brahma bhi nahi sambhal sakte ki aap brahmcharya veer shakti ko rok sake ksharan hone se aur yah bahut badi galti ho rahi naye bachchon mein ki wo isko aisa karte hain matlab wo ekant desh mein baithkar aur kabhi bhi ham is baat ko charcha mein bhi na
lave yah stri sambandhi purush sambandhi bhog sambandhi varta hamare andar sanskar dalti hai aur ham samjh nahi pate wo hamare andar aisi agni paida karti hai jisse veer shakti skhalit ho jati hai kabhi ham soch mein baithe laghu shanka mein to sabse pehle veer skhalit ho gaya ab aapko lagega ki ye rog hai rog nahi aapki galti hai aapne jo galat chintan kiya kriya nahi ki lekin manova nadi ne sampurn sharir se veer ko khinch karke wo nikal diya ab nikal jaega wo aapke sav ke samay isliye aap savdhaan rahe kabhi bhi
koi aise granth ko na padhe jismen kamottejak bhav likhe ho jise upanyas aadi kuch aisa jo kuch ho wo aise jo brahmcharya ke nasht karne wali cheshta en jinme varnan ki gayi hai aur aise daktron se na mile wo becharey kya jane doctor jo khud bogi hai jinka lakshya keval hai Rasendra jane indri ko tript karna aap kaho aaj ki hamari sains aisi kahti hai agar sains kahti hai to hazaron kament hai aap padh ke dekh lijiye jinme kah rahe hain ki main atmhtyaa kar lun 12 varsh ki avastha se lekar aaj tak hast maithun kiya meri durdasha ho gayi mujhe upay batao nahi man kahta hai atmhtyaa milao sains wale ko ki isko sambhal pachas aise hain jo atmhtyaa ke liye tayyar hai aap nahi samjh pa rahe hain sains ki buddhi aur mahatmaon ki buddhi mein antar hai mahatma tumhen adhyatma shakti mante hain aap sains ke anusaar chaloge to vinaskaari buddhi badh sakti hai lekin adhyatma buddhi nahi kalyan karne wali buddhi nahi mangal vidhan wali buddhi nahi badh sakti isliye savdhaan rahie yah aapke jo
brahmcharya sambandhi hai isko is tarah se na tala jae ki are bhai aap mahatma aise kahte ho kuch mahatma bhi aise hamen kuch ko nahi dekhna mujhe sirf apne ko dekhna hai Shastri siddhant mahatmaon ke anubhav ke dwara aap apne jeevan ko anandmay banaiye ham ahar par drishti rakhen jaise ham ratri ke samay shayan karte hain to savdhani rakhen ki shayan ke ek ghanta pehle hi doodh le le garam agar ham garm doodh lekar soenge to nischit veeryapat ho jaega jab ham jaan le ki hamen kabz ho raha hai to ham saral aushadhi le aise koi churn na le jo bahut kade garm ho jo hamen brahm charan kar de jaise anvla hai aur va har hai bahra hai triphla ka prayog karen waise pratyek sadhak ko bhojan mein ek anvle ka prayog kar lena chahiye to kabz bhi dur rahegi aur sheetalata bhi rahegi aur anvla patr bhajan mein bhi sahyogi hota hai aur bhi swadisht bhi hota hai aap mitha anvla le sakte hain aap khatta karke le wo anvla khatai mein bhi nahi aata khatai bhi hai wo aapke sadhan mein bhi aayega kabz na rahne pave agar hamare sharir mein pet mein
kabz hai to kabz ato mein jo jama hua mal hai wo aisi uttejna paida karega ki aapka var skhalit ho jaega isliye kabz bhi na hone pave sadhak agar in niyamon ka palan karen aur bhagwat smaran pradhan hai brahmcharya mein sabse pradhan aush hai smaran aapki jo smriti kamak ho gayi hai usko badlie agar aapka chintan nahi badla to aap chahe jitni ausdhiya kha le aap brahmcharya ko sambhal nahi sakte aushadhi ek support hai yadi aap brahmcharya ko theek karna chahte hain kisi ayurvedic vaidya se kuch din ke liye aushadhi le lijiye bakaya roz aushadhi nahi lijiye aap roz aisa karen prat kal uth karar ke ek tulsi ki patti le jaise aap naha dho chuke ek tulsi dal liya thakur ji ke charnon mein chadha diya aur ratri ke samay sham time ek neem ki patti le ek patti aur kuch din use paie agar aapko pach jae to phir ek-ek badha dijiye 10-10 patti tak jaiye kisi aur aushadhi ki zaroorat nahi har rog ka nivaran tulsi ki patti aur neem ki patti subah sham karne se ho jae aap dekh lijiye ye zyada aushadhiyon ko na khae nahi to jab
aushadhi chhodoge tab kamzor ho jaoge agar aap bahut halat kharab hai to ayurvedic kuch aisi ausdhiya kai mahatmaon ne nikali hai jo aapki veer ko pusht karti hai unko sahyog ke liye le le aur bakaya chintan badle kusang ka tyag kare bhojan satvic rakhe aur nind bhar hi soe zyada nahi ki pramad sthiti mein pare rahoge to phir bhi brahmcharya hani ki sambhavna hai nind bhar soe prat kalin vela par jag jae pranayam vyayam kare to nischit is par vijay prapt aise aise sadhak hai ki 10 da varsh ho gaye swapna dosh nahi hua 10 10 varsh ho gaye swapna dosh hi nahi hua aisa aise bhi upas hamare paas hai apne paas hai dasiyon varsh ho gaye swapna doshi nahi hua to kya hai unhone sanyam kiya veer jo hai sthagit ho gaya paripakva ho gaya dhire-dhire urdhava hone lagta hai aap kabhi ghabrae nahi sadhak savdhani purvak ye jo jo baten bataai gayi apne jeevan mein utare chahe grihasth ho chahe virakta veer hi amrit hai veer tyag hi mrityu hai itna samjh le shri Radha vallabh lal ki jai
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- ekantik vartalaap evam darshan #1401 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- sant bhagwan ke prashn par maharaj ji ne sadhna jeevan ke liye kya updesh diya? — maharaj ji kuch ham logon ko aap bata den ki jaise sadhna jeevan mein kya kaise kuch bhi aap apne mukharvind se kuch sab baton ki keval ek hi baat hai na vishay chintan hone pave na vishay kriya bas…
- parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen? — eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par…
- ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …