parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen?
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par kaise age badhe waise ye chij to ghar-ghar mein ho rahi hai matlab aap ya kisi ek ghar ki baat nahi kar rahe aap sarvbhaum baat kar rahe hain kyonki jab tak shastr ka swadhyay nahi hai aur aacharan sad nahi naam jap nahi hai, dusron ke prati shraddha nahi hai to har ghar mein kal hai. Jawan bachchhe budhe mata-pita ko budhe mata-pita ka jo aadar hona chahiye anadar ho raha hai.
kuch bachchon ki manobhavnaon ko raunda ja raha hai. Mata-pita ke dwara pita bhi aise hain jo poshan karne wali vrityio mein shoshan kar rahe hain. To kai jagah ghum karke agar buddhi ko dekha jae to dharm virudh acharno ke karan har ghar mein kalah ho rahi hai. Koi birla aisa ghar hoga jismen priyata ho. Patip mein priyata pita putr mein priyata bhai bhai mein priyata kalah ki pradhanata hone ke karan yah sab ashanti mein badal raha hai. Kyon kalah kyon hota hai? Kyonki apni manyata ke anusaar apne ko sukh bhogna hai.
jahan hamko apne sukh mein badha padegi wahin kalah ho jaega. To hamen lagta hai ki jahan kalah ho wahan apne ko shant karna sikhen. Unko shant karne ka upay karega to krodh badh jaega aur kalah aur badh jaenge. Agar ham apne ko shant karna seekh len to shayad ham kalah se bach jae. Kale ko to nahi hata sakte kyonki buddhi ashudh ho rahi hai. Dekho kai bar ham prarthna ki hai ki jo hamare naveen bhai bahan gande acharno mein utar rahe hain yah sadgrihastha nahi ban payenge. Isliye nahi ban payenge ki hamari jaise vritti hoti hai waise hi hamari vritti pusht bhi hoti hai.
jaise ham aaj se shuru kiya 10 bar naam jap karna kal karenge 12 bar 15 bar 18 bar aur ham do char mahine jape to ab bina jap kiye hamko accha nahi lagega lage na aise hamne aaj boyfriend banaya phir usko boyfriend banaya phir usko banaya ya girlfriend banaya breakup kiya aisa aisa hamari vritti wo pusht ho rahi hai na anjane mein wo vritti jab ham grihasth mein jaenge to pusht vritti hai ab hamen chain nahi padegi kya wo grihasth kal kal yukt hogi ya shanti yukt vichar karke dekhiye kal yukt hogi na haan ab hamari mange badh gayi hamari vasnae badh gayi hamari priyata ek jagah rahi nahi to kalah to hoga hi ashanti to hogi ab naye bachchhe hain ab unko arth chahiye pita ki itni samarth nahi hai phir wo galat margo mein utar jaenge kyonki unko nasha chahiye unko vybhchar chahiye unko yah dikhana hai ki ham tumse kam nahi hai ham bhi kisi bas yah sab jo bahari manyataen hain yah har ghar mein kalah ho rahi har ghar mein koi wahi bakaya hai jo thoda dharm se chalta hai naam jap karta hai aur santo ka
satsang sunta hai swadhyay karta hai wahi bach sakta hai nahi ham har ghar har ghar ka matlab yahan bhi har ghar mein kalah ho rahi yahan bhi kal ho rahi man ghasit raha hai bhogon ki taraf idhar udhar udhar kitni itni ashanti paida ki jara dekho aap man lo aap vivekvan hai buddhiman hai to aap andar vichar karke dekhiye kya shant hai kya is ghar mein kalah nahi ho rahi ye kya kalah shunya ho gaya hai agar kalah shunya ho gaya hai to anand mein magan ho jana chahiye kalah shunya ka matlab na sochti na kakshati samavesh bhuteshu mad bhaktim
late param na koi ab soch hai na koi chah rah gayi hai tript ho gaya hai anand magan ho aisa na is ghar mein hai aur na bahar hai. Jab tak dharm se nahi chala jaega bhagwat aashray naam jap aur sharir bhi pavitra aacharan wala sharir ka bada prabhav parta hai. Dekho agar hamara sharir apvitra rahega to hamari indriyan aur man apvitra rahenge. Indriyan man apvitra rahenge to hamare vichar gande rahenge. Apvitra rahenge. Ab jab vichar gande, man ganda, indriyan gandi, sharir apvitra to shanti kisko milegi? Sukh kisko milega?
phir wo kya? Chidchida swabhav, kadva swabhav. Kuch aise drishya jaise sansaar mein dekhe na ki lagta hai ki yah manushya rup mein Rakshash hai aisa nirnay hota hai. Kyonki raaksasi buddhi badh gayi hai. Are jaise budhi maa hai usko jawan bachchha peet raha hai. Ye Rakshash nahi. Are jiske charan dho ke pina chahiye. Us maa ne garb mein dharan kiya. Us maa ne hamari soch phenki. Hamko itna sayana kiya. Ab to hamko uski seva karni chahiye. Uske thappad maro. Yah raaksasi buddhi badh gayi. Pita ne jeevan bhar kamkar apne bachchon ko do bachchhe char bachchhe padha likha ke bada kiya.
sab sampatti de di pyar mein aur pita ke viparit ho gaye. Yah bahut tarah ki aisi manovattiyan hain jo hamare hriday ko jalati hain aur bahar isiliye ham sabse kahte hain prarthna karte hain ki agar aap naam japna shuru karen apne chhote-chhote bachchon ko ek mala hi sahi 5 minute hi sahi Radha Radha naam sunawe aur unko achhche aacharan ki shiksha den to age chalkar wo achhche grihasth ban jaenge. Agar jin bachchon ko shiksha nahi di jati wahi bachchhe udandta mein phas jaate hain. Accha mata-pita mein jab jeevan mein bhajan nahi kiya to ab shastron ka gyan nahi ki ham usse sah sake ab wo jalte hain becharey ashant ho jaate hain.
badi avyvastha hai jeevan mein. To jeevan ko vyvasthit dhang se chalne ke liye naam jap aur sat shastron ka swadhyay ya satsang zaruri hai. Jiske jeevan mein satsang aa gaya. Kai aise naujawan bhai ate hain ki hamne sab vyasan chhod diye. Hamse pehle galti ho gayi thi. Ab ham mata-pita ko apne paas rakhte hain. Ab unki seva kar hriday thanda ho jaata hai. Haan haan hamara jeevan sarthak hua ki char log badal to rahe. Char apne swabhav ko to theek kar rahe hain. Agar ham satsang sune, naam jap karen aur yah baat baitha len ki kahin mandir mein bhagwan ki puja hi sarvshresht nahi hai.
in hridyon mein bhi bhagwan virajman inki bhi puja avashyak hai. Sabke hriday mandir mein Govind virajman chahe maa ho, bahan ho, patni ho, putr ho, parivaar wahi hain. Prabhu agar wah chale jae to un shariron ko ham pyar nahi karenge. Agar is bhavna se to phir hamen lagta hai kahin kalah nahi rah jaegi. Par bada mushkil hai ab kyonki bahut gande aacharan badh gaye. Bahut ganda nasha badh gaya. Bahut badh gaya. Matlab ek bar man ghabra jaata hai ki abhi ye halat hai to age kya hogi? Chhote-chhote bachchhe lakh prarthna karo.
wo nasha karne lage. Jab nasha karte hain to unki buddhi theek nirnay nahi kar paegi. Jaise hamne prarthna ki thi abhi naya varsh ka yah jo angrezzi ke dino mein naya varsh manaya jaata apna to chaitra mein hota hai to angrezzi dino mein ab naye-naye bachchhe udandta kar rahe hain. Sharab pi rodon mein tahal rahe hain. Udand ye koi utsav hai. Hamne kaha to bhai utsav ka matlab hai 10 20 log baitho aur naam kirtan karo aur sundar sundar pakwan banao bhog lagao aur apne pao char logon ko pavao koi bhi utsav karo ham kah rahe kisi bhi bahane se utsav karo naam jap karo thakur seva virajman hai bhog lagao sabko pavao to tumhara buddhi shuddh hogi tumhara jeevan shuddh ye kya hai raaksasi piye sharab rodon mein atank machae ghum rahe ho idhar udhar udandta to aaj hamari thoda samaj jo hai wo galat disha ko ja rahi hai.
galat disha ye ham bahari logon ka anuran karne wale bharatiya nahi hote. Hamara anuran karne wale bahari log hote hain. Desh videsh mein har jagah hamare desh ke rishi munio ka mahatva raha hai. Yahan ki upasna ka mahatva raha hai. Hamen aisa lagta hai ki swarg aur nark se badhkar kahin koi aur baat nahi hai. Agar moksh hai, param pad hai, kaivalya pad hai to bharat ke hi brahm rishiyon ke dwara shodh ki hui baat hai. Nahi to nark aur swarg se badhkar koi baat nahi. Jahan dekho to nark ki baat ya swarg ki baat aisa kuch lagta hai.
zyada to ham padhe nahi anya dharm granthon ko lekin batchit se lagta hai. Sacchidanand param tatv mein mukt ho jana ya bhagwat prem tatv bodh yah baat yahi ki rishi ki hogi. Bharatiya koi rishi agar bahar gaya hai to bhale moksh ki baat ho, yog ki baat ho anytha swarg narki ki baat rahi to ham bharatiya hain. Hamara anuran dusre karen. Yah baat to theek hai lekin ham dusron ka anuran karke bhrasht ho yah baat theek nahi jinke gharo mein yah sab hota hai mans khana madira pina aur ye to phir wo gharo mein vighna hi vighna rahega pakka samjho aur jinke gharo mein 10 minute bhagwan naam kirtan hota hai thakur virajman aarti hoti hai to nischit samjho ham man sakte hain ki kuch samay ke liye unke paas dhan zyada na ho dukh bhari samasya aisi aisi dikhayee de lekin wo unka kul pavitra hoga.
unka hriday shant hoga. Ek din wo deepak ki tarah jalenge aur bahut age tak jaenge. Ham mana ki sab upadravi haeejan ki tarah jalenge lekin bahut jaldi fyuz bhi ho jaenge. Kyonki adharm zyada tikta nahi. Papacharan zyada sthai nahi rahta hai. To hamen lagta hai bhagwan ka aashray liya jae aur theek se chala jae, naam jap kiya jae to hriday ka kalah bhi shant ho jaega aur ghar ka bhi kalah shant ho jaega. Kyon sir main yah kahna chah raha hoon ki maine parivaar bachchon ke liye sab kuch kiya nokri chhod di parivaar bachchon ke liye ji chha sal pehle nokri chhod di ji gavarnament job se chhod diya bachchon ki seva karne mein laga raha par sal bhar se teen char sal se ghar mein itna kala itna marpitai ham hi ko hi marte pigte rahte hamne ghar hi chhod diya hamne patni bachchon sab Delhi mein ham chhod ke yahan Vrindavan kerla se aae hain Vrindavan mein aaj kerla nokri karte the chhod diye aur ham ab aur kahin prabhu ke sharan aur kahin mujhe jana bhi nahi.
itna marpeet gala tak dabaya mera. Itni bar dabaya gala sab kuch de diya unko. Ye keval aapka vishay nahi hai. Ye lakho pita ka vishay hai. Lakho logon ka vishay hai. To matlab padha likha wo log nokri pa gaye wo log. Sab kuch pa gaye. Wo waise hamne sab varnan kar diya hai. Abhi abhi aapne sab suna hai ki sab to prabhu aapka dukh nahi hai. Lakho ka dukh hai. Waise badi kripa hai aapke upar. Ham aapko batayen. Badi kripa hai. Inhi mein phas ke tumhari durgati ho jati hai. Main yahi soch ke main chala aaya. Haan nahi ham jo bata rahe hain ab aapke liye positive putr mein, patni mein, parivaar mein, ghar mein, sampatti mein isi mein phas ke jeev bhagwan ko bhul jaata hai.
tumhare upar badi kripa hui. Jinko chodna chahiye tha unhone tumhen thukra diya. Ab agar Radha Radha jap pao aur bhagwan ke ashrit ho jao to tumhara jeevan safal ho jaega. Mein mujhe lanka chhod ke chale aae. Wale log phir pati bhi nahi aapko aapko rona nahi chappal pi thi to paise bhi nahi the nahi aapko rona nahi hai aapko hansna hai sansaar ka drishya dekh ke hansna hai ye dekho inko maine putr mana inke liye jeevan arpit kiya isiliye ham jab kahte hain na kabhi-kabhi koi kisi ka nahi hai dekho ek pita hai isne kya-kya nahi apni santan ke liye ki hogi aur sarkari kis kis department mein seeaeeesaeph mein pulis mein inspektar haan to aap vichar karo aapne sab kuch kiya iske baad parinaam yah aaya hai to aapko ab chinta nahi karni ek department hai hari sharanam hari sharanam wo bahut pyar karte hain wo bahut pyar karte hain aap dukhi mat hoiye rona mit jaega yadi hari ko aapne hamen to lagta hai badi kripa ho gayi sahi batayen badi jahan se chhutna katil tha un logon ne thukra diya par man ki buri dasha yah hai ki agar inse hriday se pucha jae ki aap kya chahoge?
to yah kahenge yahi ashirwad de do ki bachchhe mujhe pyar karne lage. Mujhe sansaar pyar kar le. Yah man ki andar chupi hui baat hai ki ek bar mujhe phir us sansaar mein pyar nahi to ab rone ki zaroorat nahi. Ye jo roye na ab rone ki zaroorat tu badshah hai. He tera sansarik kartavya nipat gaya. Chal bhagwan ke marg mein chauthi avastha hai. Wah sabka bharan poshan karta hai. Wo bharan poshan karne wala hai. Dekho bhagwan ka jab aashray loge na to in baton par tumhen hansi aayegi ek din ki yar main kahan ro raha tha, kahan phansata kitni bhagwan ki ham par kripa hai ki hamen jo chodna tha bhagwan ne chhuda diya.
Radha Radha Radha Radha Radha Radha bilkul chinta na karo.
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- swarg mein wo kaun-sa sukh hai, jo dharti par bhi nahi hai? — paras kohli ji nai Delhi se Radhe Radhe maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam maharaj ji sukh aur dukh ek hi gaadi ke do pahie hain. Mera prashn yah hai ki wah kaun sa sukh swarg mein hai…
- ekantik vartalaap evam darshan #1401 — Vikram pande ji mirjapur se shri Harivansh maharaj ji Radhavallabh shri Harivansh maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam maharaj ji aapka satsang sunta hoon aur kripa ka anubhav hai maharaj ji…
- sant bhagwan ke prashn par maharaj ji ne sadhna jeevan ke liye kya updesh diya? — maharaj ji kuch ham logon ko aap bata den ki jaise sadhna jeevan mein kya kaise kuch bhi aap apne mukharvind se kuch sab baton ki keval ek hi baat hai na vishay chintan hone pave na vishay kriya bas…
- ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …