bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain.
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah samjh aaya ki ham jaise aviveki logon ke liye bhi hai bhagwat marg. Ab jab bhagwat marg par chalne ka prayas kar rahe hain to har din asfal se ho rahe hain. Man vikalpit ho raha hai. Kripya kar darshan kijiye ki ham aapko batayen hamne apne apne jeevan mein asflata ko safalta ka yog mana. Jahan ham asfal hue wahan hamen safalta ka marg prakt dikhayee diya.
he bhagwan meri raksha kijiye. Krodh aaya he bhagwan meri raksha kijiye. Mujhe sambhaliye to asfal asran ho jana hi sharanagati ki pushta hai. Jab tak apne mein bal hota hai koi tab tak shuddh sharanagati nahi hoti. Jab apne ko sunahri maine nirbhal ke Balram. Jis samay hamen lagta hai ki main purn safal hoon. Mere mein koi samarth nahi to rona aata hai aur rokar ham bhagwan ko pukarte hain. He karuna sindhu bhagwan main to asfal hoon. Agar aap kripa karo to main in vikaro se mukt hokar aapki shuddh bhakti ko prapt kar sakun.
nath mere mein samarth nahi ki main in vikaro par vijay prapt karke aapki taraf chal sakun. Goswami tulsidas ji kahte hain ho haro kar jatan vivid vidhi atishay prabal ajay tulsidas bas hoe tab jab prabhu prerak bar jae he prabhu aap kam krodh ko prerna dete hain hamare man ko prerna dete hain sari leela aapki chal rahi aap inko rok do aur hamen apne charnon ki taraf ane do asflata mein nirasha nahi ani chahiye asflata mein asha judni chahiye aur bhagwan se main to kisi yogya nahi lekin aap sarv samarthyshali hain.
aapki ek kripa kor se mera sab kuch ban jaega. Mere banae na banegi koti kalpon aapke banae banegi pal pav mein. Pal ke chauthai hisse mein aapki kripa kor se ban jaega. Nath aapne bahut patiton ko pavan kiya hai. Mujh jaise adham ko bhi pavan kijiye. Ye andar se bhavna aa jati hai to hamari safalta ka yog ban jaata hai. Hamen nirash nahi hona. Hamen udas nahi hona. Hamen hatash nahi hona. Apne kartavya par kadam age badhate rahna hai. Phesal jae to phir khade hokar ke chal. Ye paramarth ka marg hai. Ismen harna nahi.
ismen nirash nahi hona. Ham avinashi ke bachchha hain. Ek na ek din param pad ko prapt karke rahenge. Aaj agar ham parast ho rahe hain to ham rukenege nahi. Ham 100 bar girenge to 101 bar khade hokar phir paramarth pe chalenge. To kabhi na kabhi bhagwan hamen vijay dila hi denge. Sansaar mein moh maya ka bahut jal hai. Hamari kamjoriyan hamen girati rahti hain maharaj ji. Hamari kamjoriyan hai lekin hamare prabhu to bahut balshali hai na. To udhar drishti rakho. Apni taraf drishti kyon rakho? Jab apne ko pata hai apne se nahi sambhalne wala to aise chalo giroge nahi.
aise chaloge kabhi nahi giroge. Aaj tak jitne bhi unchai par chadhe wo aise chadhe hain jo bhagwan ki sharan mein hue sanakaad brahm gyani hai lekin har samay hari sharanam hari sharanam hari sharanam japte rahte hain jo bhagwan ka naam jap karta hai bhagwan ka smaran karta hai apne ko asmarth dekhta hai wahi to param pad ka adhikari hota hai wahi to bhagwan ka kripa patr banta hai yahi darbar din ko aadar reet sada chali ai jo apne ko kisi yogya nahi samjhte wahi sarv yogya ho jaate hain jo apne ko kuch yogya samjhte hain wo bhrasht ho jaate kyonki abhiman nash ka karan banta hai.
patan ka karan banta hai.
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
- ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…
- jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…
- ekantik vartalaap evam darshan #1398 — ajay Mishra ji Pune maharashtra se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji Gurudev main sabhi devtaon ki puja karta hoon parantu meri shri Ram ji mein shraddha hai. Main shri Ram ji ke prati eknishtha…
- pujya maharaj ji ne bhagwat gita padhne ke liye kya updesh diye? — punit ji, karauli Rajasthan se. Radhe-Radhe maharaj ji, aapke charnon mein koti-koti naman. Maharaj ji, main apni manodsha, adhyatmik vikas tatha mansik shanti ke liye ah Shri madbhagwat gita ko padhna…