॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

agar aapko chhoti-chhoti baton par gussa aa jaata hai, to avashya sune !

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

nak mein gussa rakha hai nak mein jara sa chu gaya to peet dega wo gali de dega ladai ladte hain ya man se uska anisht sochne lagte hain to uski hani hogi ki nahi ye to pata nahi par apni hani turant honi shuru ho jati hai jab ham krodh karte hain hriday jalne lagta hai vichar gande hone lagte hain bhavna hamari hamko jalane lagti hai hamen krodh kab aata hai jab hamare pratikul koi baat hoti hai positive anukul mein kabhi krodh aaya hai kya aap dekho aa hi nahi sakta to isko mitana hi hamare liye kartavya hai aur ye pavitra buddhi vivek ke dwara mitaya ja dusri koi dawa nahi vivek dharan tabhi hoga jab buddhi pavitra ho buddhi pavitra tabhi hogi jab ahar pavitra ho sang pavitra ho aacharan pavitra ho vichar tabhi hamare pavitra honge na to thoda brahmcharya par dhyan do ahar shuddh rakho gande logon ka sang na karo aur naam jap karo aapki buddhi mein vivek ane lagega kshamta ane lagegi usko katne ki kaat diya to baat ban jaegi ab nahi kata to phir usko kaat doge ladai jhagda gali Gupta

ye sab krodh to tab aae jab ham achhche ho aur sab log bure ho bure upar krodh aata hai na to agar laut ke dekho to ham bure hain isiliye to krodh aata hai to phir hamko sudhar karna chahiye bura jo dekhn main chala bura na miliya koe jo dil khoju apno to hamse bura na ho aap dekho imandari se bachpan se jab se yad hai tab se ab tak ki aapne sab kam sahi hi kiya hai kya vichar karke to phir ham dusre par kyon krodh karen jaise man lo bachchha hai parivaar ka jan hai ya koi pdos ka jan hai jo hamne galtiya ki agar usse wo galti ho rahi to jaise hamne apni galtyon ko kshma karke kabhi apne ko dand nahi diya aise unko bhi kshma kar den agar hamen bachchon se krodh dikhana pare to dikhavti karen natak wala ki inka sudhar ho jae andar se ham krodh na karen andar se krodh karne par phir hamara hriday malin ho jaega phir hamare andar dves vritti aa jaegi aur bhajan ki to baat jane do phir agar ham sambhal na paye to hinsa aadi dves ho jaate hain na na ham nahi chahte par krodh aa gaya hamne aisa thappad mara

ki nak mein lagao mar gaya aise hamne jhal diya dival mein laga mar gaya hinsa da dosh bhayanak paida ho jaate hain krodh se aur pujya janon ka apman bhi ho jaata hai aparadh bhi ban jaata hai krodh se kabhi kisi ko labh aaj tak mila nahi hai jab kabhi kisi ko labh mila hai to kshma se mila hai krodh se nahi mila aap kshma karo aap kisi par gussa mat karo to bole agar ham kshma karte rahenge to badh jaega va aur hamen sataega nahi wo swatantr nahi hai ishwar hai na wah shashak hai wah sab prashasan karta hai wo apne aap aisi line mein pahunch jaega theek ho jaega donon mein se kisi ek mein honge to aap krodh par vijay prapt kar lenge yadi ye smriti mein aapke hai ki naam chal raha hai rup chal raha hai ye chhute na to aap krodh ko sah jaenge aur yadi smriti chal ra ki samne wala jo hamen krodh dilane ki cheshta kar raha hai mera pritam hi hai to aap krodh par vijay prapt aur krodh ka prabhav hai ki wo smriti ko nasht karta hai agar ye donon prakaar ki smriti mein chuk ho gayi to phir buddhi hamari patit ho

jaegi aur hamse aise aacharan aisi vani aisa sankalp banne lagega jo hamare sadhan bhav ko lupt kar dega krodh ki koi swayam ki satta nahi hai wah kamna se paida hota hai ab hamko dekhna hai ki hamara kartavya uske prati kya hai kab krodh aaya jab ham apne kartavya ko bhulkar aapke kartavya hamare liye kaise hone chahiye wahi krodh aata hai aap iski janch kar lijiye pati putr parivaar ke prati hamara kya kartavya hai jab aap socho to krodh nahi aayega unse ham chahte hain kamna karte hain aur wo jab wo nahi karte tab hamen gussa aata hai aur agar ham naam jap karen to yah baat khatm ho jaegi hamari buddhi shital hone lagegi krodh aata hai to kadva bolne ka man hota hai kisi ke liye gali bolna kadva bolne ka man hota hai aur hinsmtk vritti jagrit hoti hai bhagwat smriti ka lop hone lagta hai krodh tabhi havi hoga jab ham bhagwat vismaran kar denge yadi ham krodh ke upar gussa karke to bhagwat yad ko bulaega kyonki krodh ka pradhan aakraman smriti pe hota hai yad ye smriti mein aapke hai ki naam chal raha

hai rup chal raha hai yah chhute na to aap krodh ko sah jaenge aur yadi smriti chal ra ki samne wala jo hamen krodh dilane ki cheshta kar raha hai mera pritam hi hai to aap krodh par vijay prapt aur krodh ka prabhav hai ki wo smriti ko nasht karta hai agar ye donon prakaar ki smriti mein chuk ho gayi to phir buddhi hamari patit ho jaegi aur hamse aise aacharan aisi vani aisa sankalp banne lagega jo hamare sadhan bhav ko lupt kar dega gupt kar dega hamen anand ka nash karne wali vritti parast kar degi donon mein antar hai kinhin kinni ko krodh ka natak karna hi chahiye jaise pita hai mata hai wo bachchon ko ay dular karta hai par use krodh ka natak karna padega samay se unko bhojan dijiye vastr dijiye avshyakta ki purti kijiye aur nireekshan parikshan karke tumhari nazar itni shasan purvak honi chahiye krodh nahi hai haan is samay tum kahan the ek ghanta se gayab the aap janch honi chahiye aur lagna chahiye ki gussa aa rahi par gussa nahi hona chahiye wo unke sudhar ke liye hai to kahin kahin krodh

hai nahi par karne ka swang karna hi chahiye to mata-pita gurujanon ke dwara yah jo kiya jaata hai unko dhyan rakhna chahiye ki krodh mein nahi ana chahiye krodh ko daba karke krodh ka swang karoge to badhiya baat ban jaegi aur wah swang aapka prabhavshali hoga aur jab aap krodh mein honge to iska prabhav hoga ki uske andar aapke andar jo krodh vritti wo jaegi aapka virodhi bhav paida ho jaega chahe aapka beta hi kyon na ho ek din wo aapke virodh mein khada ho jaega ki ab ham bhi vayaska ho

chuke hain aap apna jeevan dekhiye ham apna jeevan dekhenge jab aap swang karoge to namr ho jaega kyonki aap krodhit nahi ho vastvik wo ek din vichar karega ki agar pitaji ne danta na hota main galat sang mein fas jaata jab gussa aa jae man kyonki gussa ka pahla kam hai galat bolna duru kti gali dena katu vachan bolna bas wo badhta chala jaega usko chup kar do maun kar do Radha Radha Radha Radha kshma ke dwara krodh par shasan kare krodh ko sah jae aur jab apne ko gussa lage na to apne thakur se ladna chahiye bahar bahar bahar ladne se hoga kya andar klesh hoga ashanti hogi thakur se lado na baat ban jit jaoge inko theek karna hai hamen kam theek hona inko zyada theek hona isliye i haan kabhi-kabhi aisa hota hai kabhi kabhi hota hai ki apne bhakt ke ros purn mukharvind ko dekhne ke liye yah bhi leela karte hain use chherd dete hain aur jab wo gussa hota hai tab inko sukh milta hai ki yah me jaise chhota bachchha na naraz hokar ekdam maa ki god mein dauda hai maa ke kes pakdta hai maa se maa

ko ek wo keval maa hi janti hai dusra nahi dusre la itna uddand hai apni maa se lekin maa se pocho usko ek dular lagta hai aise mere pyare bhi hain kabhi-kabhi aisi chhedkhani karte do prakaar se vinay hoti hai ek dainya hokar aur ek hoti hai apne pan se vinay aapko aisa karna hi hoga aapke hote hue meri ye durdasha main nahi nahi kya ye sharanagati tumhari hai tumhare hote hue ye kam krodha mujhe le jae mujhe parast kar da Swami kaisi sharanagati kaisa aapka bal ye ham lade inse ladenge hamari vinay bhi inheen se hai aur ham ladenge inheen se kyonki hamare mein samarth nahi hai yah vishay jab chahta hai tab mujhe parast kar deta hai isliye he Swami meri raksha karo aisa sabko chahiye sabko chahiye inse itna apnapan kar lo ki kisi dusre se prashn karne ki zaroorat na pare kisi dusre se shikayat karne ki zaroorat na pare inse man karo ye hamse man karte hain to ham inse man karenge nahi bolte jao agar manane na jae kisi rup mein to bata na lekin sacha apla pal hona chahiye agar

inke siva apnapan nahi hai to phir chuk ho sakti hai agar keval keval yah apne hain aap dekh lena inke siva kahin aur apnapan hai to aap phir thoda intazar karna pare aur agar keval inheen se apna apan man kar jao to kisi na kisi rup mein akar aapko mula Baba ho gaya to aur koi nahi aaya wahi aae hai rup badal ke aae prerit karke bheja hai aur dular karenge ho gaya va thakur ji kripal hai theek kar da chalo age badho aisa isliye mujhe lagta hai hamen kisi aur se nahi lad i se ladna inke siva hamara koi nahi aur inse ladai hogi to ham vijay ko prapt honge meri har nahi hone wali

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi