॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

parivaar aur pati ki itne varsho tak seva ki mere liye kya wo itna bhi nahi kar sakte ?

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

punam ji shri Harivansh shri Harivansh maharaj ji aapke charnon mein koti-koti naman maharaj shri sare pariviarik arthik dayitwon ko varsho se imandari se nirvah karte hue main jab bhakti marg par badi to jeevan sathi bhakti dham aur bhakton ke sang se manahi karte hain. Aap mein guru evam pita donon ki chavi dekhti hoon. Maharaj ji virodh karke maa ke saath dham aati hoon to kya yah aparadh hai? Kya mere pati mein bhagwan ki drishti kijiye aur gupt rup se andar andar bhajan kijiye aur satsang unke samne mat sunie mobile mein sun liya granth rakh lo wo jab seva mein chale jae padh liya zaruri nahi agarbatti tum bhagwan ki karo uski uski prasannata mein aa jao nath jaise aap mandir mein waise mere pati ke hriday mein aap hamare saath leela kar rahe ho ki main aapki bhakti na karun to karungi par aapke pratikul nahi jaoongi.

aap kahoge dham nahi jana kabhi nahi jaoongi. Aap kahoge tilak nahi lagana kabhi nahi lagaungi. Aap kahoge kanthi nahi pahnna nahi pahnungi. Lekin hriday se aapko kabhi bhul nahi sakti. Bhagwan ki prapti ho jaegi. Na jhagda karne ki zaroorat hai na kahin bhagne ki zaroorat hai. Aaj to itni kripa hai ki aap america mein baith ke satsang sun sakte ho. Accha har samay koi paas thodi rahta hai. Aur jab apne ko baat pakar li na to ham unke samne nahi karte koi bhakti ki baat. Khali samay anand se bhajan kar dekha ki ab aarti kar diye bhagwan nahi to unki aarti kar di man se bhagwan wahi viraj hamen to lagta hai bhakti kabhi jhagda nahi karati bhakti kabhi ashanti paida nahi karti kahin chuk hoti hai tabhi jhagda aur ashanti hoti hai nahi to lanka mein rahkar ke vibhishan ne mahan bhakti prapt ki ki nahi Ravan [nak se ki jane wali aawaz] ka saga bhai aur mantri pad pe chaturi isi baat ki hai bhagwan kah rahe tum sari ke sant priy more vibhishan ji ke liye itna virodhi bhakti ka virodhi

kshetra pura nagar ek bar Ravan ko suchna pahunchi ki vibhishan ne pure mahal mein Ram Ram likha rakha hai aapka virodhi hai pahunche Mandodari ke saath pranam kiya ye kya likha dekha ye kya mere shatru ka naam bole nahi bhaiya kisne kaha shatru bole Ram likha hai Rama maa bole ra se Ravan aap maa se Mandodari hath ae chatur Ram bhaje chatur bada prasann hua bhakti apni gupt rakh li hai prakashit karoge gala kat jaega shant hamen chap nahi laga li ki ham bhakt hain phir cheking ho jaegi ki ho ki nahi ho aap

shant bhagwan jis paristhiti mein tumhen diya usmen bhajan karke dikha do bhagwan prapt kar bhagwan prapt hi hai wo prakashit ho jaenge pati mein bhi bhagwan hai parivaar mein bhi bhagwan ro wahan se haan Vrindavan Vrindavan tumhare paas chala jaega ye jad desh nahi hai ye chaitanya chidanand hai jaise bhagwan ka naam chidanand aise dham chidanand rup chidanand leela chidanand bhagwan man mein hi baithe tumhare sun rahe hain jab tumhen andar se ha Vrindavan to tumhare swapna mein Vrindavan aa jaega tumhare jagrit

mein jhanke ane lagi nihal ho jaoge hamen lagta hai ki hamen kahin jhagda virodh nahi karna chahiye andar andar ham jap rahe kaun jale kya jap rahe Radha Radha Radha Radha andar bahar se nahi bolenge andar se bahar se aaenge ham waise hi vihaar karenge jo Meera ji ne bhi kaha tha apne pati se kaha tha ki hamare vastvik pati Giridhar hain par lok vihaar mein tum pati bane ho to tumse itni prarthna hai ki hamare patirat dharm ko nasht mat karna wo itne mahapurush the tabhi to saubhagya mila tha unhone kaha ki ab hamara aapka dusra sambandh aap hamare guru aur ham aapke shishya par mahal mein ekant mein ekant mein guru swaroop aapko manunga par vihaar mein aap patni rup karna jisse parivaar virodh na kare to vihaar mein wo pati jaisa vihaar kar jaise karna chahiye pati ke saath waise aur ekant mein wo guru ke jaise baithkar ke updesh karte hue shishyatwa bhav bhagwat prapt mahapurush hue wo to dekho hamen mahapurushon se shiksha leni hai ekant mein apne pritam prabhu ki yad kar rahe vihaar mein jo hamen

mila hai vaisa hamen apne ham agar bhakt hain to ham jante hain ki hamara hamara kya kartavya hai? To hamen yah nahi ki pati ki avhelna ho aur uske prati aisa bhav kar le sab gadbad ho jaega. Bilkul shant bilkul gambhir bhakti ka karya dikhava ya dukh ya ladai jhagda nahi hai achhche se samjh lo. Bahari agar chinh dharan karne ke liye anumati hai to dharan kar nahi to mat dharan karo. Prabhu jante hain andar ki baat andar ki priti prabhu pehchante hain. Vibhishan ji se kahe tum sari ke sant na koi unhone sanyaas bhed dharan kiya na koi aisi kanthi til kuch nahi hai kyonki Ravan ki sabha mein baithe wale hain.

bhala wahan kahan aisa chal sakta hai lekin andar se itne mahan bhakt hain ki bhagwan unse kah rahe tum sari ye bahut hamen matlab chintan tum sari sant prem re dhar deh nahi an tumhare jaise santo ke liye main avatar dharan karta hoon. Bas khas baat andar hi andar prem andar ka vishay bahar prakashit mat karo yadi parivaar virodh karta hai aur mobile aae to sabke paas hota hai satsang suno ramayan padho bhagwat padho samay milne par aur khub bhajan karo dekho bhagwan mil jae santo se milna dham ana iska ek hi phal hai bhagwan mein prem ho jana bhakti ho jana wo ghar mein bhi ho sakti hai baat suno man lo agar aata hai pati sang to kabhi sal chha mahine mein ai darshan kar gaye nahi aata hai mat kabhi mat aao ye jaenge aapke paas bihari ji pahunch jaenge.

haan thakur pahunch jaenge. Dekho bhakton ke jahan kahin bhi bhakt hote bhagwan wahan aisa thodi hai. Bhakti karo bas ladai jhagda nahi. Kasht mile sah jao prasad man ke jaisa vidhan bhagwan ka he nath aap dekh rahe ho bas wo sab sambhal jaega. Par itne ke liye dhairya chahiye. Vichlit mat ho. Ab pati office se jana hai aur yahan naha dho ke agarbatti puja hai vistar kar rahe hain aur wo bar-bar samay dekh raha hai ki nashta agar mil jaata yahan na pate to kam se kam office mein pa lete tumhari bhakti kam nahi karegi wahan agarbatti ki zaroorat hai tatkaal tayyar hokar pehle uski rasoi tayyar karo usko pavao pranam karo mangal manao wo jab chala jae tab ghar ki aarti puja karo alag-alag dharm hai aap grihasth dharm mein hai ab ham logon ke liye kya jab se jago jab se raat din bhajan mein lago koi aur dhanda thodi hai khub bhajan karo to aap logon ke liye bahut se karya hain thoda samay bhajan mein lagaya har karya bhagwan ka man ke kar rahe hain aur use samarpit karen isi se bhagwat prapti ho jaegi jo apni duty us duty ko samjho bhajan aur beech-beech mein naam jap karo haan par ye ki sharab mat piyo vybhchar mat karo gande aacharan jo nishedh kiye wo mat karo to aap bhi mahatma ho apne apne karm mein laga hua dekho jaise ham mala se jap karte hain.

aise kisan fawda se jap karta hai. Ek jawan goli se jap karta hai. Alag-alag jab bhi daal hai apnipani nishtha se agar lage ho na to wahi pahunchoge malik ke paas kyonki ham sab malik ke naukar hain. Ham sab naukar hain. Alag-alag sevae mili hui. Alag-alag dharm ka swaroop samjh lo. Bada vichitra hai. Aap ek patni hai. Aapka ek dharm hai. Patirat dharm. Bhale wo kaisa ho. Nahi ek bar mujhe bhagwan ne yah diya hai saubhagya ki main aapke andar bhagwan ko dekhungi to ab sab sahungi aur aapko bhagwan manungi. He jit gayi jagat.

ab pati [gala saaf karne ki aawaz] ka nirader karke parivaar mein kalah macha karke to jahan jaugi wahan yahi do hi baat milegi. Tumhen nirader milega aur kalah milegi. Ashanti milegi. Dharm se chalo wahi ghar baithe bhagwan mil jae. Ek mahatma the unka Kashyap naam tha. To tapasya kar rahe the ek vriksh ke niche bahut din kathor tapasya to ek baguli wo upar dal mein baithi thi usko to gyan hai hag diya wo beet kar diya to unke upar aise giri to unko bada gussa aaya jab aise aise kiya to bhasm ho gayi tapasya thi ab unko gudgudi hui ki tapasya to bhari ho gayi bas bhasm kar diya usko ab bhiksha mangne gaye to ek pativrata nari wo bhiksham de to nikle aae pranam mahatma hamen ann chahiye bhookh lagi kuch kshan thahre abhi bana ke lati hoon idhar pradhan darwaze par unse

kah ke gayi aur dusre darwaze se pati aa gaye ab uska pradhan dharm patirat dharm hai tatkaal unke bithala jal pilaya aur phir kaha aapke ghar mein atithi aae hue hain darwaze par sant karen aapki agyaa ho to bhiksha de aae bahut jarur jarur pehle kyon nahi bata hai jao ab turant jao to bhiksha le gaye to mahatma gussa mein khade the tum jante nahi ho hamen itna vilumb kaise kar diya to unka kaha bhag hamare patidev aa gaye patidev kya hote to unhone kaha bhagwan wo dal ki baguli mat samjhna mujhe aur tu kamp gaye kyonki ekalant ki baat thi unhone kaha dal ki baguli mat samjhna mujhe jo tum tapasya se nahi jaan paye ho main apne pati ki seva se trikalgya hoon baithe-baithe dekh rahe tumhare kya chal raha hai kya nahi chal raha abhi tum shuddh tapas swi nahi ho kyonki tumhen krodh aa gaya hai.

tum jao aur ek kasai hai jo mans kaat ke bechte hain unke charnon mein pranam karo jake. Wo tumhen shiksha denge tab tumhari samjh mein aa to hosh ud gaye na. Bole main pati aur dharm se trikalak hoon. Tino kal ka mujhe gyan hai. [gala saaf karne ki aawaz] ab jahan bheja wahan gaye to ek kilo do kilo do. Aise kaat bole bada ascharya ki baat hai. Mans kaata hai. Ye hamen kya gyan dega? Jane lage to bole ruko mahatma wo pativrata patni amuk ganv ki bheja hai na mobile nahi the us samay ab unke aur hosh ud gaye ki iske aacharan to dekho mans ve chalao isko gyan is baat tab unhone kaha ye hamari janm siddh kriya hai main kasai kul mein paida hua hoon par main bhagwan ka bhajan karta hoon thodi der baitho phir main tumhen in sab udaharnon se pata chalta hai yadi aapka jo krit hai aapka jo kartavya hai aap usko kar rahe ho aur bhagwan ka bhajan kar rahe ho to aap sadhu hi ho aur aap sadhu ho

apne krit se chuk gaye ab wo pashu usko gyan nahi hai usko tumne bhasm kar diya tumhara kam tapasya ke dwara jagat mangal karna hai ki jo chhote-chhote aparadh man lo ban jae unko bhasm kar dena hai aisa to nahi hai isiliye hamari baat ko keval samjho hamare paas aur kuch nahi hai jo sant aur gurujanon mahapurushon se shastron se jo baat mili agar us pe chaloge to is maya rupi rog se mukt ho jaoge bahu rog se mantr mul mulam guru vakyam mantr ka mul kya gurujanon ke vachan agar unki baat man loge to aap nihal ho koi jhagde ki zaroorat nahi kahin ane jane ki zaroorat nahi ghar mein rahkar ke pati aur parivaar ko bhagwan ka swaroop man jaise mandir mein nahi hote Siyaram ji radheshyam ji shiv ji sab mandir aise sas sasur mata pita bhai bandhu ye pura mandir hai ghar ismen bhagwan in rupon mein seva ki aur ekant mein unse prarthna ki jab samay mila prabhu is parivaar rupi aapki seva se aap prasann ho jao aur mujhe apne charnon ka prem do.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi