bhog bhogne ke baad bahut dukh hota hai bhagwan se mafi mangne mein bhi sharm aati hai !!
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
Gurudev aapke charnon mein koti koti pranam Gurudev mera prashn hai ki mujhe ab bhautik sukho se bhogon se bhay lagne laga hai aapki kripa se anubhav kar raha hoon ki jab bhi man bhautik bhogon mein jaata hai to use bhog to leta hai lekin uske baad hriday ko bahut pida pahunchti hai itni mushkil se chal paya aur phir bhogon ke karan paramarth mein dhilai kar di is sthiti se bahut ghabra jaata hoon aur ab to Priya pritam ke samne bar-bar mafi mangne laga hoon sharm se aati hai ki unse kitni bar apne is a karya ke liye kahu Gurudev mujhe sambhal lijiye apni sharan mein le lijiye jisse mujhe aapse aur Priya ju se gaadh prem ho jae dekho haan ismen ek baat dhyan rakhni hai ki aap grihasth dharm ke marg se bhagwat prapti mein chal rahe hain ek hai virakta marg aur ek hai grihasth marg donon marg bhagwan ki prapti karane mein samarth hai ab chalna apne marg se jaise aapne pani grahan sanskar kiya hai hain abhi nahi nahi kiya phir galti hone ki sambhavna kaise baat ye hai phir to matlab jo aap kah rahe ho
usse zyada jalan honi chahiye ye aparadh hai agar pani grahan sanskar kiya hai jis grihasth ne uske liye nishedh nahi hai savdhani sanyam ka bartaav karen par nishedh nahi kyonki jise jab aapne pani grahan kiya tha to shart thodi rakhi thi ye to aaj tum satsang sunkar sanyam ki taraf chal rahe ho to tumhara sathi jisko tumne pani grahan kiya aapko nirvah karna hoga bhale aapke andar ruchi na ho bhale aapke andar rag na ho par aapko kartavya hai use kartavya mankar karna padega jab aapka pani grahan nahi hua to to prashn hi nahi uthta phir phir to matlab shastr sammat baat nahi hai wo to aparadh ke antargat aa ja de nahi karna chahiye koshish karen hamse punah ab galti na ho ab lo nishani abna galti ko galti aap man rahe ho phir bhi kar rahe ho to galti mana kahan dekho asliyat mein jab ham galti man lenge bura man lenge jaise aap varnan kiye ab hamen bahut sundar rabri mili aur kisi ne kan mein akar kah diya ki jahr mila hai ab khake dikhao nahi khaoge na to galti man li ki aparadh hai galti phir kaise
ho gaya iska matlab jaban se to kah rahe galti lekin sukh buddhi aur swad buddhi ja ki ty wahan hai to phir ay aparadh bhajan ki to baat jane do ye to gira dega kama Sanjay krodha krodha smriti vibhram smriti brasha buddhi naso buddhi nasha pranati sarvnash y koi khilwad nahi aaj jaise manoranjan mein utar gaye na log dharm ki mariyada ka tyag karke parinaam mein dekhiyega aur dekh rahe hain aur age bhi keval hani hi hani keval hani jo bachchha bachchi jo jawan aur jo matayen bahne dharm ka gyan nahi rakh rahe dharm ka gyan tyag rahe chahe stri ho chahe purush ho ashanti dukh chinta aur bahut hi parinaam dukhad samay ane do har karm ek bij ki tarah hai bodhiya hai wo fasal ka intazar tatkaal thodi hota hai tatkaal kuch nahi hota hai aap doodh ko tatkaal dahi nahi bana sakte uske liye samay chahiye kisan bij bota hai to char mahine chha mahine fasal aise hi tumne karm bodh galat pha parinaam dekh lena jin bachchon mein sanyam nahi hai wah khud vartman mein parinaam dekhen aur jo sanyam mein wah apna dekhe aaj hamara sanyam
nasht hota chala ja raha hai grihasth mein hai lekin len sanyam purvak grihasth dharm ka bartaav karen jab tak grihasth mein nahi tab tak to purn sanyam sanjo ke rakhen grihasth ke liye apni jeevan shakti ko apne vicharon ko pavitra rakhen aur jab jeevan sathi ko pakde to chahe phir jaisi vyvastha ho aajeevan nirvah karen aisa ise pyar kahte hain ise prem kahte hain mano anukul thode din phir iske baad pratikul to aisi bhi baten aati hain ki unke sharir ko kaat ke phenk vah pyar dhikkar tumhari zindagi ko tumhare jeevan ko jisne tumhen apna jeevan sathi mana uske saath dhokha dagabaji aisi narak mein bi thor nahi milegi ek ek karm ka hisaab hota hai ab hota kya ki apne log use buddhi aur man ko chhod diya ekdam gulam ban gaye na man buddhi ke dekho dawa kam karti hai rog nivaran ke liye kupath karne wale ko dawa aur dukh dene wali ban jati hai to jo naam ke bal se paap karte hain bhagwan ke bal se paap karte hain wah aparadh hai aur bada hi dukh milega bchane wale ke saath dhokha kar rahe ho bhagwan kah rahe
moi kapt chhal yahi to chhal kapt hai are naam se nishpap hua jaata hai bhagwan ka aashray lekar ham vishyon par vijay prapt karte hain ham gande aacharan karen roz ham Priya pritam se kahe ki kshma karte raho aisi baat to nahi haan hamse galti ho gayi age se ham galti nahi karenge to kshma ki baat phir aa sakti hai avlo nishani amnath ham har baat ko apne manoranjan mein utarna chahte hain shastr ki baat ko bhagwan ki mahima ko nahi yah aparadh hai aise nahi kiya jaata dekho jo davaen dawa ke rup mein li jati hain jab use koi vyasan ke rup nasha mein leta hai to uske lagu ho jaata hai na wo tablet nahi bikega wo tablet aap nahi kharid sakte yadyapi wo dawa ke liye hi bana hua tha ham jab naam ka durpayog karne lagenge na to bhagwat ki shakti tumhari buddhi ko dand de degi tumhari buddhi aisi jagah phasa degi jahan na Radha bol paoge na Krishna bol paoge aur na kshma yachna ki buddhi rah jaegi bhrasht hote chale jaoge isliye nahi galti mat karo alon shani ana daro ki hamse galti na ho jae aparadh na ho
jae ab bachchhe to ho nahi ki bhul se galti hogi aap khud kah rahe hain mujhe jalan hoti hai mujhe aisa lagta hai ki main prabhu ke samne kaise baat karun kyonki main radh kar raha hoon to phir itna vivash bhi na ho jao ki man buddhi tumse galat karate rahe aisa kaise ho sakta hai ham jante hain ki yah galat hai ham kaise galat kar sakte hain vichar karke dekhen to ham kahin na kahin bahut kamzor ho rahe hain bhajan bal hamare andar abhi nahi aaya hai aur ham chhut de rahe hain man indriyon ko tabhi galti hoti hai y chhut dena band karo aapki samarth se wo aapko nasht kar rahe hain unmein koi samarth nahi jo indriy hai man hai wah aapki samarth se aapki salah dekho jab tak hamari sukh buddhi hai kisi bhi vastu mein to lakh samjhao samjh nahi banegi aur jab sukh buddhi hat jaegi dukh buddhi ho jaegi to prayas hi nahi karna padega man nahi jaega bhai dukhad vastu ko kyon bhogna chahega par hamare andar sukh buddhi hai adharm se kiya hua jo karm hai aacharan hai pravriti hai wo sadaiv ashant ki rahti man ko aur wahi dharm se mano
aap pani grahan sanskar karke grih dh to aap dekhna aapke hriday mein shanti nahi rahegi kyonki dharm purvak aap sevan kar rahe hain aisi har kriyaen hain har cheshta hai dharmo rakshti Rakshita agar aap dharm purvak chal rahe ho to hriday mein anand rahega bhale wo grihasth ke karm hai lekin bhagwan ne banaya system aise aise kanun ke antargat aap dharm kanun ke viparit aacharan phir theek nahi hai aur is samay tak to aapko bahut shanti tak pahunchna chahiye tha jab tak byah nahi hua aur itni avastha hai to aap sanyam mein hote to kitna accha rahta phir sanyami bankar grihasth hote phir kitna accha hota to aajkal naveen pidhi jo gir rahi hai yahi hamen thoda sa chinta ka vishay banti hai ki aap apne ko nasht kar rahe hain yah sukh nahi bhog rahe nasht kar rahe hain kyonki dharm bhi nahi hai aur jivni shakti bhi vyarth mein nasht ho rahi to buddhi bhi nasht ho rahi sharir svasth ho raha hai chintan ka vishay hamare bahut ganda ban raha hai ab shanti kaise milegi bahar ki bhog vastu mein kabhi shanti nahi pradan karti shanti to hriday ka
chintan pradan karta hai ab chintan mein aap jal rahe hain bahar se badhiya kapda pahne khub accha khanpan hai khub suvidhae aur andar tumhare gandagi bhari hui to kya jeevan hai bahar se aap bhale kamzor nazar aa rahe hain in sab sukh suvidhaon mein par andar se aap bahut achhche vyaktitva wale aapka chintan pavitra hai to aap dekhiyega aap aandit rahe aapko ek bal milega wahi samjhane ke liye satsang hota hai ki aap galat dhang se ji rahe ho achhche dhang se jio to yahan bhi anand rahega aur parlok mein bhi anand rahega accha yahan ka jitna sukh vaibhav yah kuch jane wala nahi yar uske liye paap to na karo achhche karm karo jo mil jae uske anusaar chalo use bhogo dharm ke anusaar paap karm karke kahe ko itna niche gadha mein girne wali baat karte ho mujhe to bachchha lagta hai pakki galti ho rahi hai kacchi galti nahi ho rahi kacchi agar aap nadan bachchhe ho to baat hai yah pakki galti ho rahi ismen jab tak pani grahan sanskar na ho sanyam purvak rahe phir grahasti mein jab jae to bahut pyar mein jeevan vyatit kar char din
ki zindagi agar pyar mein grahasti nahi to phir matlab kya raha tumhare grihasth dharm ka haan pati patni ko prannon se bhi adhik pyar karen wah sharanagat ki tarah samarpit hui apne ghar ko chhodkar patni ko chahiye ki prannon ki tarah apne pati ko pyar chhoti-moti aapas ki baten wo sujha le par charit hinta yah nahi honi chahiye aaj ham charitrheen ho rahe hain aap dekho na vichar karke charit hinta kabhi hriday mein shanti nahi de sakti kabhi hamare andar shubh vichar nahi aa sakte kabhi theek nirnay buddhi nahi kar sakti kyonki charitrheen ho chuke hain aaj hamare naveen pidhi mein charit ka mahatva hi nahi rah gaya hai aap dekho na drishti dal ke dekho to wo jo vrittiya hai wo tumhare jeevan ki ghatak vrittiya hai aap dekho na parinaam dekho jail mein dekho jake to sab ke sab jitne fanse kam shabd mein fase kamna hamari kamna mein jara sa badha pahuchi krodh aaya hinsa kar di kamna kamna pure sansaar ko jalan yukt bhay yukt sankat yukt ashaon ne hamen aisa phansi ki tarah bandh rakha hai ham nikal hi nahi
pa rahe usi se nikalne ke liye kahte hain naam jap karo satsang suno dekh kitne aise jawan jo sab galat aacharan karte the khanpan baad mein hamse mil rahe hain chode unko kai kai mahine ho gaye kya hua satsang ne kitna bal diya unko ki wo sab gandi baten chhodkar achhche ban rahe hain mujhe lagta hai ki ham bahut kamzor ho rahe hain aisi galti hamen nahi karni chahiye aaj se savdhaan raho bhai galti ho gayi to ho gayi age se savdhani yadi ham bartaav karen to bhagwan ka swabhav hai aam tom sarv pape maksha sham mas wo agar kshma na karen to koi bhi na age badh pave kyonki galti kisi se bhi ho sakti hai lekin ise ab aparadh mein laya jaega galti matlab bhul chuk se hoti hai ab nahi jante hain to ab aparadh mat kijeyega theek hai
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- ekantik vartalaap evam darshan #1401 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- sant bhagwan ke prashn par maharaj ji ne sadhna jeevan ke liye kya updesh diya? — maharaj ji kuch ham logon ko aap bata den ki jaise sadhna jeevan mein kya kaise kuch bhi aap apne mukharvind se kuch sab baton ki keval ek hi baat hai na vishay chintan hone pave na vishay kriya bas…
- parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen? — eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par…
- ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …