॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

jab se diksha li hai mere sare mitra alag ho gaye hain maharaj ji !

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

maharaj jabse diksha li sare mitra alag ho gaye maharaj koi mitra tumhen mila ye tumhen pata nahi chala mile na aap mile to phir bas aap aise hi mitra bane rahna aur yah to tumhen bahari rup dikhayee de raha hai Priya pritam ke sharanagat hue ho na shyama Shyam ke to unke jaisa dost wo sarvagya hai sarvatra hai sab jagah virajman hai tum jahan ho wahan wo hain aisa anubhav karo par ye anubhav tabhi mein aayega jab khub mantr japoge naam jap karoge na sansaar ka dost aaj nahi to kal apne aap chhut jaega yahan sab chhutne wala hai koi aapse pyar nahi karta aapka sharir bhi chhutne jaega anttogatwa hamen akela jana padega to sache mitra ki pehchan kar lo wo prabhu hai agar wo hai to unke rom kup mein anant brahmand hai phir sab kuch mera hai kyonki mere malik ka hi to sara vaibhav hai to phir aisa dost mil gaya yar ab nirash kahe ko ho nahi haan accha

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi