॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

janie kyon bhajan mein hamara man nahi lagta !

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

aapko roz munafa ho raha ho vyapar mein aur aapka achanak roz ghata shuru ho jae aapko kaisa hriday mein lagega accha nahi lagega na bolo na ek jalan si lagegi na ghata ho gaya sacchidanand prabhu ka naam isse bada to koi labh hai nahi trikal mein nasht nahi hota jahan bhi jaoge saath tumhare rahega bhagwat varta bhagwat seva bhagwan naam jap yah chhut jaata hai aur mujhe chain se bhojan pana aata hai nind aa jati hai khushi se ham logon se baat kar lete hain iska matlab abhi mahatva nahi jagrit hua agar mahatva jagrit ho jaega to dekho dhan mein mat hota hai na agar matra keval 000 ka roz ghata shuru ho jae to aapko accha lagna band ho jaega 5000 ghata ho gaya chalo aaj dusre din phir 5000 ghata ho gaya to hamari dincharya kaise chhut jati hai naam chhut gaya aur hamen kai karod ka labh hua to saath jaega kya

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi